Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 02

02.                  “Hazrat Aboo Darda’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Jumu’ah Ke Din Mujh Par Kathrat Se Durood Bheja Karo, Yeh Yawme Mas’hood (Ya’ni Meri Baargah Me Firishto’n Kee Khusoosi Haaziri Ka Din) Hai. Is Din Firishte (Khusoosi Taur Par Kathrat Se Meri Baargah Me) Haazir Hote Hain, Jab Koi Shakhs Mujh Par Durood Bhejta Hai To Us Ke Faarigh Hone Tak Us Ka Durood Mere Saamne Pesh Kar Diya Jaata Hai. Hazrat Aboo Darda’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Main Ne Arz Kiya: (Ya RasoolAllah!) Aur Aap Ke Wisaal Ke Baa’d (Kya Hoga)? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Haa’n (Meri Zaahiri) Wafaat Ke Baa’d Bhi (Mere Saamne Isi Tarah Pesh Kiya Jaaega Kyun Ki) Allah Ta’ala Ne Zameen Ke Liye Ambiya’e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Ke Jismo’n Ka Khaana Haraam Kar Diya Hai. Pas Allah Ta’ala Ka Nabi Zinda Hota Hai  Aur Use Rizq Bhi Ata Kiya Jaata Hai.”

          Is Hadith Ko Imam Ibn Majah Ne Sahih Sanad Ke Saath Riwaayat Kiya Hai. Imam Mundhiri Ne Farmaya: Is Imam Ibn Majah Ne Jayyid Isnaad Ke Saath Riwaayat Kiya Hai Aur Imam Manaawi Ne Bayaan Kiya Ki Imam Damiri Ne Farmaya: Is Ke Rijaal Thiqaat Hain. Imam Ajlooni Ne Bhi Ise Hadithe Hasan Kaha Hai.

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/524, Raqm-1637.

Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 10/328, Raqm-2582,

Ibn Kathir Fi Tafsir Al-Qr’an Al-Azim, 03/515,

Ibn Kathir Fi Tafsir Al-Qr’an Al-Azim, 04/493,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 02/87,

Ajlooni Fi Kashf-ul-Khafa’, 01/190, Raqm-501.

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/14, 15, Raqm-02.]