04. “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Me’raj Kee Shab Main Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Paas Aaya, (Aur Haddaab Kee Ek Riwaayat Ke Mutaabiq) Surkh Teele Ke Paas Se Mera Guzar Huwa (To Main Ne Dekha Ki) Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Apni Qabr Me Khade Masroofe Salaat They.”
Is Hadith Ko Imam Muslim, Nasa’i, Ahmad Aur Ibn Abi Shaybah Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/1845, Raqm-2375,
Nasa’i Fi As-Sunan, 03/215, Raqm-161_1632,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/419, Raqm-1328,
Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/17, Raqm-04.]