Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 05

05.                   “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Ambiya’e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Apni Apni Qabro’n Me Hayaat Hain Aur Namaz Bhi Padhte Hain.”

          Is Hadith Ko Imam Aboo Ya’ala, Ibn Adi, Bayhaqi Aur Daylami Ne Thiqah Raawiyo’n Se Bayan Kiya Hai. Aur Imam Ibn Adi Ne Farmaya: Is Hadith Kee Sanad Me Koi Naqs Nahin Hai. Aur Imam Haythami Ne Bhi Farmaya: Imam Aboo Ya’la Ke Rijaal Thiqaat Hain. Aur Allama Shawkani Ne Farmaya: Ise Imam Bayhaqi Ne Sahih Qaraar Diya Hai Aur Hayaate Ambiya ‘Alayhim-us-Salam Par Unhone Ek Juz’an (Sahih Ahadith Kee Mukhtasar See Kitaab) Bhi Taalif Kee Hai. Isi Tarah Imam Zurqani Ne Bhi Farmaya Ki Imam Bayhaqi Ne Hayaate Ambiya ‘Alayhim-us-Salam Par Ek Nihaayat Lateef Kitaab Taalif Kee Hai Jis Me Unhone Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Marfoo’a Riwaayat Isnaade Sahih Ke Saath Bayaan Kee Hain.

                   “Imam Asqalani Fat’h-ul-Bari Me Bayan Karte Hain Ki Imam Bayhaqi Ne Ambiya’e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Ke Apni Qabro’n Me Zinda Hone Ke Baare Me (Sahih Ahadith Par Mushtamil) Ek Khoobsoorat Kitab Likhee Hai Jis Me Unhone Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ki Yeh Hadith Bhi Waarid Kee Hai Ki Ambiya’e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Apni Qabro’n Me (Hayaate Zaahiri Kee Tarah Hee) Zinda Hote Hain Aur Salaat Bhi Ada Karte Hain. Yeh Hadith Unhone Yahya Bin Aboo Kathir Ke Tareeq Se Riwayat Kee Hai Aur Wo Sahih Hadith Ke Raawiyo’n Me Se Hain. Unhone Mustalim Bin Sa’iyd Se Riwayat Kee Aur Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Bhi Unhen Thiqah Qaraar Diya Hai. Imam Ibn Hibban Ne Yeh Hadith Hajjaaj Aswad Se Riwayat Kee Hai Aur Wo Ibn Abi Ziyad Al-Basari Hain Aur Unhen Bhi Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Thiqah Qaraar Diya Hai. Imam Ibne Mu’iyn Ne Bhi Hazrat Thabit Se Yeh Hadith Riwayat Kee Hai. Imam Aboo Ya’la Ne Bhi Apni Musnad Me Isi Tareeq Se Yeh Hadith Riwayat Kee Hai Aur Imam Bazzar Ne Bhi Is Kee Takhreej Kee Hai Aur Imam Bayhaqi Ne Ise Sahih Qaraar Diya Hai.(01)

[Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 06/147, Raqm-3425,

Daylami Al-Musnad-ul-Firdaws, 01/119, Raqm-403,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,06/487,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Lisan-ul-Mizan, 02/175, 246, Raqm-787, 1033,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/211,

Suyoot Sharah Sunan An-Nasa’i, 04/110,

Azim Abadi Fi ‘Awn-ul-Ma’boodi Sharh Sunan Abi Dawud, 06/19,

وقال:وألفت عن ذالك تأليفا سميته:انتباه الأذكياء بحياة الأنبياء،

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir,  03/184,

Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 05/178,،

Zarqani Fi Sharh-ul-Zarqani ‘Ala Muwatta’ Imam Malik, 04/357,

(01) Dhakarahu Al-‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,06/487,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/17_20, Raqm-05.]