07. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki Huzoot Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Shabe Me’raaj Meri Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Se Mulaaqaat Hu’i. Raawi Bayaan Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ka Wasf Yoo’n Bayaan Farmaya: Woh Duble Patle, Daraaz Qad, Ghunghriyaale Baalo’n Waale Aise Aadami Hain Jaise Qabila’e Shanoo’ah Ke Log. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Meri Hazrat Isa ‘Alayh-is-Salam Se Bhi Mulaaqaat Hu’i. Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Un Ka Hulya Bayaan Farmaya Ki Yeh Darmiyaana Qad, Surkh Rang Waale (Aur Aise Tar-o Taaza Hain) Goya Abhi Hamaam Se (Naha Kar) Nikle Hain Aur Main Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Se Bhi Mila Aur Main Un Kee Saari Aulaad Me Sab Se Ziyaada Un Se Mushaabeh Hoo’n.”
Yeh Hadith Muttafaque Alayh Hai.
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1269, Raqm-3254,
Muslim Fi As-Sahih, 01/154, Raqm-168,
Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/23, Raqm-07.]