Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 08

08.                  “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Hazrat Isa Bin Maryam ‘Alayh-is-Salam Aadil Haakim Aur Munsif Imam Ke Taur Par Zaroor Utrenge. Woh Fauri Taur Par Hajj Ya Umrah Ua Dono’n Kee Niyyat Se Chal Padenge Aur Meri Qabr Par Zaroor Aaenge, Mujhe Salaam Karenge Aur Main Unhen Zaroor Jawaab Dunga. Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne (Raawi Se) Farmaya: Aye Mere Bhateeje! Agar Aap Ko Un Kee Ziyaarat Kee Sa’aadat Haasil Ho To Un Se Arz Karna Ki Aboo Hurayrah Ne Aap Kee Khidmat Me Salaam Arz Kiya Hai.

          Is Hadith Ko Imam Hakim, Ibn Asakir Aur Mutaqqi Hindi Ne Riwaayat Kiya Hai. Imam Hakim Ne Farmaya: Is Hadith Kee Sanad Sahih Hai.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/651, Raqm-4162,

Ibn Asakir Fi Tarikh Madinat Dimashq, 47/493,

Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 14/146, Raqm-38851,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/24, Raqm-08.]