09. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: (Shabe Me’raj) Main Ne Khud Ko Hateeme Ka’ba Me Paaya Aur Quraysh Mujh Se Safare Me’raj Ke Baare Me Sawaalaat Kar Rahe They. Unhone Mujh Se Bayt-ul-Maqdis Kee Kuchh Cheezen Poochhi’n Jinhen Main Ne (Yaad’ Daast Me) Mehfooz Nahin Rakkha Tha Jis Kee Waj’h Se Main Utna Pareshaan Huwa Ki Us Se Pehle Kabhi Itna Pareshan Nahin Huwa Tha, Tab Allah Ta’ala Ne Bayt-ul-Maqdis Ko Utha Kar Mere Saamne Rakh Diya. Woh Mujh Se Bayt-ul-Maqdis Ke Muta’alliq Jo Bhi Cheez Poochhte Main (Dekh Dekh Kar) Unhen Bataata Chala Gaya Aur Main Ne Khud Ko Ambiya’ Kee Ek Jama’at Me Paaya. Main Ne Dekha Ki Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Khade Masroofe Salaat They, Aur Woh Qabila’e Shanoo’ah Ke Logo’n Kee Tarah Ghunghriyaale Baalo’n Waale They Aur Phir Hazrat Isaa Bin Maryam ‘Alayh-is-Salam Khade Masroofe Salaat They Aur Urwah Bin Mas’ood Thaqafi Un Se Bohat Mushaabeh Hain, Aur Phir Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Khade Masroofe Salaat They Aur Tumhaare Aaqa (Ya’ni Khud Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Un Ke Saath Sab Se Ziyaada Mushaabeh Hain Phir Namaz Ka Waqt Aaya, Aur Main Ne Un Sab Ambiya’ ‘Alayh-is-Salam Kee Imaamat Karaa’i. Jab Main Namaz Se Faarig Huwa To Mujhe Ek Kehne Waale Ne Kaha: Yeh Maalik Hai Jo Jahannam Ke Daaroga Hain, Inhen Salam Keejie. Pas Main Un Kee Taraf Mutawajjeh Huwa To Unhone (Mujh Se) Pehle Mujhe Salam Kiya.”
Ise Imam Muslim Aur Nasa’i Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Muslim Fi As-Sahih, 01/156, Raqm-178,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/455, Raqm-11480,
Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/25, 26, Raqm-09.]