Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 10

10.                   “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Main Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Huwe Suna, Us Waqt Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hazrat Yusoof ‘Alayhim-us-Salam Ke Awsaaf Bayaan Kar Rahe They Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Unhen (Me’raaj Kee Raat) Teesre Aasmaan Par Dekha. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Main Ne Ek Aise Shakhs Ko Dekha Jis Kee Soorat Chaudhwi’n Raat Ke Chaand Kee Tarah Thi. Pas Main Ne Pucha: Aye Jibra’il! Yeh Kaun Hain? Unhone Arz Kiya: Yeh Aap Ke Bhaai Hazrat Yusoof ‘Alayh-is-Salam Hain. Ibn Is’haq Kehte Hain: Allah Ta’ala Ne Hazrat Yusoof ‘Alayh-is-Salam Ko Woh Husn-o Ro’b Ata Kar Rakkha Tha Jo Aalamin Me Se Aap Se Pehle Aur Na Aap Ke Baa’d Kisi Ko Ata Kiya Gaya. Yaha’n Tak Ki Kaha Jaata Tha Ki Allah Ta’ala Kee Qasam! Main Yeh Jaanta Hoo’n Ki Hazrat Yusoof ‘Alayh-is-Salam Ko Poore Husn Ka Aadha Hissa Aur Dusra Aadha Hissa (Tamaam Dunya Ke) Logo’n Ko Ata Huwa.”

          Is Hadith Ko Imam Hakim Aur Ibn Qutaybah Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/623, Raqm-4087,

Ibn Qutaybah Fi Tawilu Mukhtalif-il-Hadith, 01/321,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/26_28, Raqm-10.]