Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 12

12.                   “Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Waadi’e Azraq Kee Taraf Tashreef Laae Aur Daryaaft Farmaya: Yeh Kya Hai? Sahaba’e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne Arz Kiya: (Ya RasoolAllah!) Yeh Waadi’e Azraq Hai. To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Goya Ki Main Moosa Bin Imran ‘Alayh-is-Salam Kee Taraf Dekh Raha Hoo’n Ki Woh Us Waadi Me Allah Ta’ala Kee Kibriyaa’i Bayaan Karte Huwe Utar Rahe Hain. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ek Pahaadi Raaste Kee Taraf Tashreef Laae To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Daryaaft Farmaaya: Yeh Kaunsa Pahaadi Raasta Daudta Hai? Sahaba’e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne Arz Kiya: Yeh Fula’n Fula’n Pahaadi Raasta Hai. To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Goya Main Hazrat Yoonus Bin Matta ‘Alayh-is-Salam Ko Surkh Ghunghriyaale Baalo’n Waali Oontni Par Baitha Huwa Dekh Raha Ho’n. Us Oontni Kee Lagaam Khajoor Kee Hai Chhaal Kee Hai Aur Aap Talbiyah Keh Rahe Hain Aur Aap Ne Oon Ka Jubba Zebe Tan Kiya Huwa Hai.”

          Is Hadith Ko Imam Hakim, Ibn Hibban, Aboo Nu’aym, Aboo Awanah Aur Tabarani Ne Riwaayat Kiya Hai. Imam Hakim Ne Farmaya: Yeh Hadith Imam Muslim Kee Sharaa’it Par Sahih Hai.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/373, 638, Raqm-3313, 4123,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 14/103, Raqm-6219,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/159, Raqm-12756,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 02/421,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 02/421, Raqm-3682,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/29, 30, Raqm-12.]