Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 15

15.                  “Hazrat Ammar Bin Yasir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Be Shak Allah Ta’ala Ne Meri Qabr Par Ek Firishta Muqarrar Kiya Huwa Hai, Jise Allah Ta’ala Ne Tamam Makhlooq Kee Aawaazen Sun Ne (Aur Samajhne) Kee Quwwat Ata’ Farma’i Hai, Pas Roze Qiyaamat Tak Jo Bhi Mujh Par Durood Padhega, Woh Firishta Aur Durood Padhne Waale Ka Naam Aur Us Ke Waalid Ka Naam Mujhe Pahonchaaega, Aur Arz Karega: Ya RasoolAllah! Fula’n Bin Fula’n Ne Aap Par Durood Bheja Hai.”

          Is Hadith Ko Imam Bazzar Aur Bukhari Ne “At-Tarikh Al-Kabir” Me Aur Mundhir Ne Bhi Riwayat Kiya Hai. Imam Haythami Ne Farmaya: Is Kee Sanad Me Ibn Himyariy Raawi Ko Main Nahin Jaanta, Is Ke Ilaawa Tamaam Rijaal Sahih Hadith Ke Rijaal Hain.

                   “Aboo Shaykh Ibn Hayyan Kee Riwaayat Ke Alfaaz Yoo’n Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Be Shak Allah Tabarak Wa Ta’ala Ka Ek Firishta Hai, Jise Allah Ta’ala Ne Tamam Makhlooqaat Kee Aawaaz Sun Ne (Aur Samajhne) Kee Quwwat Ata Farmaa’i Hai, Pas Woh Firishta Mere Wisaal Ke Baa’d Meri Qabr Par Qiyaamat Tak Khada Rahega. Pas Meri Ummat Me Se Jo Shakhs Bhi Mujh Par Durood Bhejega, Woh Firishta Us Ka Naam Aur Us Ke Baap Ka Naam Lega Aur Kahega: Ya Muhammad! (Mere Aaqa!) Fula’n Shakhs Ne Aap Kee Khidmat Me Durood Bheja Hai. Pas Allah Ta’ala Us Shakhs Par Har Ek Durood Ke Badle Me Das Rahmaten Baazil Farmaaega.”

[Bazzar Fi Al-Musnad, 04/255, Raqm-1425, 1426,

Bukhari Fi At-Tarikh Al-Kabir, 06/416, Raqm-2831,

Ibn Hayyan Fi Al-Azamah, 02/762, Raqm-01,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/162,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/32_34, Raqm-15.]