17. “Hazrat Ubaydullah Bin Buraydah Apne Waalid Hazrat Buraydah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Aye Buraydah! Jab Tum Apni Namaaz Padhne Baitho To Tashahhud Aur Mujh Par Durood Bhejna Kabhi Tark Na Karna, Woh Namaaz Kee Zakaat Hai. Aur Allah Ta’ala Ke Tamaam Ambiya’ Aur Rasoolo’n Par Aur Us Ke Nek Bando’n Par Bhi Salaam Bheja Karo.”
Is Hadith Ko Imam Daraqutni Aur Daylami Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Daraqutni Fi As-Sunan, 01/355, Raqm-03,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/392, Raqm-8527,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 02/132,
Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/37, 38, Raqm-17.]