Posted in Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm

ḤUSNU AL-MAʻĀB FĪ ḎH̲IKRI ABĪ TURĀB KARRAMA ALLĀHU WAJ•HAHU AL-KARĪM

مَوْلَایَ  صَلِّ  وَسَلِّمْ  دَآئِمًا  اَبَدًا
عَلٰی حَبِیْبِکَ خَیْرِ   الْخَلْقِ کُلِّھِمِ

مُحَمَّدٌ   سَیِّدُ  الْکَوْنَیْنِ  وَالثَّقَلَیْنِ
وَالْفَرِیْقَیْنِ مِنْ عُرْبٍ  وَّمِنْ عَجَمِ

صَلَّی اﷲُ تَعَالٰی عَلَیْهِ وَعَلٰی آلِهِ وَصَحْبِهِ وَ بَارَکَ وَسَلَّمَ﴿

Posted in Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm

Ḥarfe āġhāz

Ḥarfe āġhāz

                Maulā-e kā’enāt Abū Turāb sayyidinā ʻAlī kī ẕāte aqdas kisī taʻāruf kī moḥtāj nahīṅ balki ḳhẉud taʻāruf āp kā moḥtāj hai. ʻAli woh jo daryā-e maʻrefat kā shanāwar, kitābe Ḥaqq kā mufassir, ʻilme Ilāhī kā Amīn, nafse Rasūl, zauje Batūl, Abū al-Ḥasan aur Abū al-Ḥusayn, Nabī kā rāz-dān, waṣī-e Rasūl, babe Madīnaṫ al-ʻilm, ġhazī-e Badr-o Ḥunain, fāteḥe Ḳhaibar, imam al-auliyā’ wa-al-ṣulaḥā’, imam al-s̲aqalain, qā’id al-muttaqīn aur Amir al-Mu’minīṅ wa-al-Muslimīṅ hai, ʻAlī maulūde Kaʻbā, shahīde masjid aur āyā-e raḥmat aur sāyā-e barkat-o rāfat hai.

                Bārgāhe risālat meṅ ḥāṣile maqām maratbā hī sayyidinā ʻAlī ‘alayhi al-salām kī īmānī faz̤īlat aur ẕāte Muṣtafá ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam se ġhāir-maʻmūlī wābastagī kī dalīl hai. Āp woh ʻaẓīm al-ṣifāt shaḳhṣīyat haiṅ ki āp kī ẕāt meṅ sharfe ṣaḥābīyat ke sāth sāth sharfe Ahle Bait bhī jamʻa kar diyā gayā. Ḥaz̤rat ʻAlī ‘alayhi al-salām kī parwarish-o tarbīyat chuṅ-ki ḳhẉud mŏʻallime insānīyat aur murabbi-e kā’enāt ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne farmā’i thī. Yehī waj·h thī ki āp qubūle(e’lāne) Islām se qabl bhī zamānā-e jāhilīyat kī ālā’ishoṅ, ālūdagiyoṅ aur but-parastī kī najāsatoṅ se dūr rahe. Āp un shaḳhṣīyāt me se haiṅ jinhone qubūle ḥaqq meṅ ek lamhā bhī tāmmul na kiyā aur ṣirf āt̥h yā das sāl kī ʻumr meṅ sab se pĕhle qubūle (e’lāne) Islām aur Āqā ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam kī maʻīyat meṅ namāz adā karne kī saʻādat ḥāṣil kī.

                Umm al-mu’minīn sayyidah ʻĀʻishah Ṣiddiqah raḍiya Allāhu ‘anhā bayān farmātī haiṅ ki Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ko sab se ziyādā mĕḥbūb sayyidā-e kā’enāt Ḥaz̤rat Fāṭimaṫ al-Zahrā salāmu Allāhi ‘alayhā thīṅ aur mardoṅ meṅ sab se mĕḥbūb-tar un ke shauhar Ḥaz̤rat ʻAlī ‘alayhi al-salām the. Sayyidah ʻĀ’ishah Ṣiddiqah raḍiya Allāhu ‘anhā hī bayān farmātī haiṅ ki Ḥuz̤ūr ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne farmāyā: maiṅ tamām aulāde Ādam kā sardār hūṅ aur ʻAlī tamām ‘Arab kā sardār hai.ˮ

                Maulā-e kā’enāt tājdāre iqlīm-o wilāyat sayyidinā ʻAlī karrama Allāhu ta’ālá waj·hahu al-Karīm kī zindagī kā ek goshā āp kī tamām faz̤īlatoṅ par ḥāwī hai ki āp ko zauje Batūl hone kā sharaf ḥāṣil hai. Rasūl Allāh ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne ḥukme Ilāhī se āp kā nikāḥ sayyidā-e kā’enāt Fāṭimah salāmu Allāhi ‘alayhā se kiyā jis meṅ chālis hazār firishtoṅ ne ba-ṭaur gawāh shumūlīyat kī. Āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne sayyidā-e kā’enāt se farmāyā: kyā tum is bāt par rāz̤ī nahīṅ ki maiṅ ne tumhārā nikāḥ apnī ummat meṅ sab se pĕhle Islām lāne wāle, sab se ziyādā ʻilm wāle aur sab se ziyādā burd-bār shaḳhṣ se kiyā hai?ˮ

                Bārī taʻālá hameṅ un ʻazīm manābeʻ ʻilm-o wilāyat se iktesābe faiz̤ kī taufiq ʻaṭā farmā’e aur un ke taṣadduq se hamāre īmān kī bhī ḥifāẓat farmā’e. (Āmīn bijāhi Sayyid al-Mursalīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam)

Yeke az sagāne Ahle Bait

(Ḥāfiẓ Ẓahīr Aḥmad al-Isnādī)

Research Scholar, Farīde Millat Research Institute


[Ṭāhir al-Qādrī fī Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm,/05_06.]

Posted in Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm

al-Āyāt al-Qurʻānīyah

 

Bismi Allāh al-Raḥmān al-Raḥīm

al-Āyāt al-Qurʻānīyah

١۔                       إِنَّمَا يُرِيدُ اللَّهُ لِيُذْهِبَ عَنكُمُ الرِّجْسَ أَهْلَ الْبَيْتِ وَيُطَهِّرَكُمْ تَطْهِيرًا۝

                “Bas Allāh yehī chāhtā hai ki ae (Rasūl ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ke) Ahle Bait! Tum se har qism ke gunāh ka mail (aur shak-o naqṣ kī gard tak) dūr kar de aur tumheṅ (kāmil) ṭahārat se nawāz kar bilkul pāk ṣāf kar de۝”(01)

٢۔                         قُل لَّا أَسْأَلُكُمْ عَلَيْهِ أَجْرًا إِلَّا الْمَوَدَّةَ فِي الْقُرْبَى

                “Farmā dijī’e: maiṅ is (tablīhe risālat) par tum se ko’ī ujrat nahīṅ māngtā magar (merī) qarābat (aur Allāh kī qurbat) se maḥabbat (chāhtā hūṅ).”(02)

٣۔                         وَيُطْعِمُونَ الطَّعَامَ عَلَى حُبِّهِ مِسْكِينًا وَيَتِيمًا وَأَسِيرًا۝

                “Aur (apnā) khānā Allāh kī maḥabbat meṅ (ḳhẉud us kī ṭalab-o ḥājat hone ke bā-wujūd is̲āran) mohtāj ko aur yatīm ko aur qaidī ko khilā dete haiṅ۝”(03)

٤۔                         الَّذِينَ يُنفِقُونَ أَمْوَالَهُم بِالَّيْلِ وَالنَّهَارِ سِرًّا وَعَلاَنِيَةً فَلَهُمْ أَجْرُهُمْ عِندَ رَبِّهِمْ وَلاَ خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلاَ هُمْ يَحْزَنُونَ۝

                “Jo log (Allāh kī rāh meṅ) shab-o roz apne māl poshīdā aur ẓāhir ḳharch karte haiṅ to un ke li’e un ke Rabb ke pās un kā ajr hai aur (roze qiyāmat) un par na ko’ī ḳhauf hoga aur na ranjīdā honge۝”(04)

٥۔                         وَالَّذِينَ آمَنُواْ وَهَاجَرُواْ وَجَاهَدُواْ فِي سَبِيلِ اللّهِ وَالَّذِينَ آوَواْ وَّنَصَرُواْ أُولَـئِكَ هُمُ الْمُؤْمِنُونَ حَقًّا لَّهُم مَّغْفِرَةٌ وَرِزْقٌ كَرِيمٌ۝

                “Aur jo log īmān lā’e aur unhone hijrat kī aur Allāh kī rāh meṅ jihād kiyā aur jin logoṅ ne (rāhe Ḳhudā meṅ ghar-bār aur waṭan qurbān kar dene wāloṅ ko) jagah dī aur (un kī) madad kī, wohī log ḥaqīqat meṅ sachche musalmān haiṅ, in hī ke li’e baḳhshish aur ʻizzat kī rozī hai۝”(05)

[Ṭāhir al-Qādrī fī Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm,/07_08,

(01) al-Aḥzāb, 33: 33,

(02) al-Shūrá, 42: 23,

(03) al-Insān, 76: 08,

(04) al-Baqarah, 02: 274,

(05) al-Anfāl, 08: 74.]

Posted in Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm

ḤUSNU AL-MAʻĀB FĪ ḎH̲IKRI ABĪ TURĀB KARRAMA ALLĀHU WAJ•HAHU AL-KARĪM: 01

al-Aḥādīṯẖ al-Nabawīyah

١۔                         عَنْ زَيْدِ بْنِ أَرْقَمَ رَضِيَ اﷲ عَنْهُ يَقُوْلُ: أَوَّلُ مَنْ أَسْلَمَ عَلِيٌّ.

                رَوَاهُ التِّرْمِذِيُّ وَالنَّسَائِيُّ وَأَحْمَدُ وَابْنُ أَبِي شَيْبَةَ. وَقَالَ التِّرْمِذِيُّ: هٰذَا حَدِيْثٌ حَسَنٌ صَحِيْحٌ ، وَقَالَ الْحَاکِمُ: هٰذَا حَدِيْثٌ صَحِيْحُ الإِسْنَادِ.

01.               Ḥaz̤rat Zayd bin Arqam raḍiya Allāhu ‘anhu se marwī hai ki āp farmāte: sab se pĕhle Ḥaz̤rat ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhu ne Islām qubūl kiyā.

                Is ḥadīs̲ ko imām Tirmiḏẖī, Nasā’ī, Aḥmad aur ibn Abī Shaybah ne riwāyat kiyā hai. Aur imām Tirmiḏẖī ne farmāyā: yeh hadīs̲ ṣaḥīḥ hai. Ḥākim ne bhī farmāyā: is kī sanad ṣaḥīḥ hai.

                                وفي رواية: عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِکٍ رَضِيَ اﷲ عَنْهُ قَالَ: بُعِثَ النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ يَوْمَ الإِثْنَيْنِ وَصَلّٰي عَلِيٌّ يَوْمَ الثُّ.لَاثَاءِ.

                                رَوَاهُ التِّرْمِذِيُّ وَالْحَاکِمُ، وَقَالَ: صَحِيْحُ الإِسْنَادِ .(۱)

                Ek riwāyat meṅ Ḥaz̤rat Anas bin Mālik raḍiya Allāhu ‘anhu se marwī hai ki pīr ke din Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam  kī be’s̲at hū’ī aur mangal ke din Ḥaz̤rat ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhu ne namāz par̥hī.ˮ

                Is ḥadīs̲ ko imām Tirmiḏẖī aur Ḥākim ne riwāyat kiyā aur farmāyā: is kī sanad ṣaḥīḥ hai.

[Aḳhrajah al-Tirmiḏẖī fi al-Sunan, kitāb al-manākib, bāb manāqibi ʻAlī ibn Abī Ṭālib raḍiya Allāhu ‘anhumā, 05/642, al-raqm: 3735,

al-Nasā’ī fī al-Sunan al-kubrá, 05/43, al-raqm: 8137,

Aḥmad ibn Ḥanbal fī al-Musnad, 04/367,

Ibn Abī Shaybah fī al-Muṣannaf, 06/371, al-raqm: 32106,

al-Ḥākim fī al-Mustadrak, 03/147, al-raqm: 4663.

(01)      Aḳhrajah al-Tirmiḏẖī fi al-Sunan, kitāb al-manākib, bāb manāqibi ʻAlī ibn Abī Ṭālib raḍiya Allāhu ‘anhumā, 05/640, al-raqm: 3728,

al-Ḥākim fī al-Mustadrak, 03/121, al-raqm: 4587,

al-Munāwī fī Fayḍ al-Qadīr, 04/355,

Ṭāhir al-Qādrī fī Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm,/09_10, al-raqm: 01.]

Posted in Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm

ḤUSNU AL-MAʻĀB FĪ ḎH̲IKRI ABĪ TURĀB KARRAMA ALLĀHU WAJ•HAHU AL-KARĪM: 02

٢۔                         عَنْ عَائِشَةَ رَضِيَ اللهُ عَنْهَا قَالَتْ: خَرَجَ النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ غَدَاة وَعَلَيْهِ مِرْطٌ مُرَحَّلٌ، مِنْ شَعْرٍ أَسْوَدَ. فَجَاءَ الْحَسَنُ بْنُ عَلِيٍّ رَضِيَ اللهُ عَنْهُمَا فَأَدْخَلَهُ، ثُمَّ جَاءَ الْحُسَيْنُ رَضِيَ اﷲ عَنْهُ فَدَخَلَ مَعَه، ثُمَّ جَاءَ تْ فَاطِمَةُ رَضِيَ اللهُ عَنْهَا فَأَدْخَلَهَا، ثُمَّ جَاءَ عَلِيٌّ رَضِيَ اﷲ عَنْهُ فَأَدْخَلَه، ثُمَّ قَالَ: ﴿إِنَّمَا يُرِيْدُ اﷲُ لِيُذْهِبَ عَنْکُمُ الرِّجْسَ أَهْلَ الْبَيْتِ وَيُطَهِرَکُمْ تَطْهِيْرًا﴾.

رَوَاهُ مُسْلِمٌ وَابْنُ أَبِي شَيْبَةَ وَأَحْمَدُ.

02.               Ḥaz̤rat ʻĀ’ishah raḍiya Allāhu ‘anhā farmātī haiṅ ki Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ṣubḥ ke waqt is hāl meṅ bāhar tashrīf lā’e ki āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne ek chādar or̥h rakhkhī thī jis par siyāh ūn se kajāwoṅ ke naqsh bane hū’e the. Ḥaz̤rat Ḥasan bin ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhumā ā’e to āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne unheṅ us chādar meṅ dākhil farmā liyā, phir Ḥaz̤rat Ḥusayn raḍiya Allāhu ‘anhu ā’e aur un ke sāth chādar meṅ dāḳhil ho ga’e, phir sayyidah Faṭimah raḍiya Allāhu ‘anha ā’īṅ to āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne unheṅ bhī chādar meṅ dāḳhīl farmā liyā, phir Ḥaz̤rat ʻAlī karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm ā’e to āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne unheṅ bhī chādar meṅ dāḳhil farmā liyā. Phir āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne yeh āyate mubārakā par̥hī: “Ae Ahle Bait! Allāh to yehī chāhtā hai ki tum se (har ṭarḥ kī) ālūdagī dūr kar de aur tumheṅ ḳhūb pāk-o ṣāf kar de.ˮ

              Is ḥadīs̲ ko imām Muslim, ibn Abī Shaybah aur Aḥmad ne riwāyat kiyā hai.

[Muslim Fi al-Ṣaḥīḥ, Kitāb faḍā’il al-ṣaḥābah, bāb faḍā’il Ahl al-Bayt al-Nabī ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam, 04/1883, al-raqm: 2424,

Ibn Abī Shaybah fī al-Muṣannaf, 06/370, al-raqm: 36102,

Aḥmad ibn Ḥanbal fī Faḍā’il al-ṣaḥābah, 02/672, al-raqm: 1149,

Ibn Rāhwayh fī al-Musnad, 03/678, al-raqm: 1271,

al-Ḥākim fī al-Mustadrak, 03/195, al-raqm: 4707,

al-Bayhaqī fī al-Sunan al-kubrá, 02/149,

Ṭāhir al-Qādrī fī Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm,/10_11, al-raqm: 02.]

Posted in Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm

ḤUSNU AL-MAʻĀB FĪ ḎH̲IKRI ABĪ TURĀB KARRAMA ALLĀHU WAJ•HAHU AL-KARĪM: 03

٣۔                         عَنْ عُمَرَ بْنِ أَبِي سَلَمَةَ رَبِيْبِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ ، قَالَ: لَمَّا نَزَلَتْ هٰذِهِ الْآيَةُ عَلَي النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ : ﴿إِنَّمَا يُرِيْدُ اﷲُ لِيُذْهِبَ عَنْکُمُ الرِّجْسَ أَهْلَ الْبَيْتِ وَيُطَهِرَکُمْ تَطْهِيْرًا﴾ فِي بَيْتِ أُمِّ سَلَمَةَ، فَدَعَا فَاطِمَةَ وَحَسَنًا وَحُسَيْنًا رَضِيَ اللهُ عَنْهُمْ فَجَلَّلَهُمْ بِکِسَائٍ، وَعَلِيٌّ رَضِيَ اﷲ عَنْهُ خَلْفَ ظَهرِه فَجَلَّلَه بِکِسَائٍ، ثُمَّ قَالَ: اَللّٰهُمَّ، هٰؤُلَاءِ أَهْلُ بَيْتِي، فَأَذْهِبْ عَنْهُمُ الرِّجْسَ وَطَهِرْهُمْ تَطْهِيْرًا.

        رَوَاهُ التِّرْمِذِيُّ وَالْحَاکِمُ نَحْوَهُ، وَقَالَ: هٰذَا حَدِيْثٌ صَحِيْحٌ عَلٰي شَرْطِ الْبُخَارِيِّ.

03.               Parwardā-e Nabī Ḥaz̤rat ʻUmar bin Abī Salamah raḍiya Allāhu ‘anhu se riwāyat hai ki jab Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam par Ḥaz̤rat Ummi Salamah raḍiya Allāhu ‘anha ke ghar meṅ yeh āyate mubārakā “Ae Ahle Bait! Allāh to yehī chāhtā hai ki tum se (har ṭarḥ kī) ālūdagī dūr kar de aur tum ko ḳhūb pāk-o ṣāf kar deˮ nāzil hū’ī. To āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne Ḥaz̤rat Fāṭimah, Ḥaz̤rat Ḥasan aur Ḥaz̤rat Ḥusayn raḍiya Allāhu ‘anhuma ko bulāyā aur ek chādar meṅ d̥hānp liyā. Ḥaz̤rat ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhu Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ke pīc̥he the, āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne unheṅ bhī kamlī meṅ d̥hānp liyā, phir farmāyā: Ilāhī! Yeh mere Ahle Bait haiṅ, in se har ālūdagī ko dūr kar de aur inheṅ ḳhūb pāk-o sāf farmā de.ˮ

              Is ḥadīs̲ ko Imām Tirmiḏẖī aur Ḥākim ne isī kī mis̲l riwāyat kiyā hai. Aur Ḥākim ne farmāyā: yeh ḥadīs̲ imām Buḳhārī kī sharā’iṭ par ṣaḥīḥ hai.

[Aḳhrajah al-Tirmiḏẖī fī al-Sunan, kitāb al-manākib, bāb manāqibi ʻAlī ibn Abī Ṭālib raḍiya Allāhu ‘anhumā, 05/351,  al-raqm: 3205,

al-Tirmiḏẖī fī kitāb al-manāqib, bāb manāqib Ahl al-Bayt al-Nabī ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam, 05/663, al-raqm: 2787,

al-Ḥākim fī al-Mustadrak, al-raqm: 03/158, al-raqm: 4705,

Ṭāhir al-Qādrī fī Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm,/12_13, al-raqm: 03.]

Posted in Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm

ḤUSNU AL-MAʻĀB FĪ ḎH̲IKRI ABĪ TURĀB KARRAMA ALLĀHU WAJ•HAHU AL-KARĪM: 04

٤۔                         عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ رَضِيَ اللهُ عَنْهُمَا قَالَ: لَمَّا نَزَلَتْ هٰذِهِ الآيَةُ: ﴿قُل لَّا أَسْأَلُكُمْ عَلَيْهِ أَجْرًا إِلَّا الْمَوَدَّةَ فِي الْقُرْبَى﴾ قَالُوْا: يَا رَسُوْلَ اﷲِ، مَنْ قَرَابَتُکَ هٰؤُلَائِ الَّذِيْنَ وَجَبَتْ عَلَيْنَا مَوَدَّتُهُمْ؟ قَالَ: عَلِيٌّ وَفَاطِمَةُ وَابْنَاهُمَا. رَوَاهُ الطَّبَرَانِيُّ وَأَحْمَدُ.

04.               “Ḥaz̤rat ʻAbd Allāh bin ʻAbbas raḍiya Allāhu ‘anhumā se marwī hai ki jab yeh āyate mubārakā nāzil hū’ī: “Ae mĕḥbūb! Farmā dījīe ki maiṅ tum se ṣirf apnī qarābat ke sāth kā sawāl kartā hūṅ.” To ṣaḥābā-e kirām raḍiya Allāhu ‘anhum ne ʻarz̤ kiyā: yā Rasūl Allāh! Āp kī qarābat wāle yeh kaun log haiṅ jin kī maḥabbat ham par wājib kī ga’ī hai? Āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne farmāyā: ʻAlī, Fāṭimah aur un ke donoṅ bet̥e (Ḥasan aur Ḥusayn).”

                Is ḥadīs̲ ko imām Ṭabarānī aur Aḥmad ne riwāyat kiyā hai.

[Aḳhrajah al-Ṭabarānī fī al-Muʻjam al-kabīr, 03/47, al-raqm: 2641,

al-Ṭabarānī fī al-Muʻjam al-kabīr, 11/444, al-raqm: 12259,

Aḥmad ibn Ḥanbal fī Faḍā’il al-ṣaḥābah, 02/669, al-raqm: 1141,

al-Hayṯẖamī fī Majmaʻ al-zawā’id, 09/168,

Ṭāhir al-Qādrī fī Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm,/13_14 al-raqm: 04.]

Posted in Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm

ḤUSNU AL-MAʻĀB FĪ ḎH̲IKRI ABĪ TURĀB KARRAMA ALLĀHU WAJ•HAHU AL-KARĪM: 05

٥۔                                عَنْ سَعْدِ بْنِ أَبِي وَقَّاصٍ رَضِيَ اﷲ عَنْهُ قَالَ: سَمِعْتُ رَسُوْلَ اﷲِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ يَقُوْلُ لَهُ وَ قَدْ خَلَّفَهُ فِي بَعْضِ مَغَازِيْهِ. فَقَالَ لَه عَلِيٌّ: يَا رَسُوْلَ اﷲِ، خَلَّفْتَنِي مَعَ النِّسَاءِ وَالصِّبْيَانِ؟ فَقَالَ لَه رَسُوْلُ اﷲِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ : أَمَا تَرْضٰي أَنْ تَکُوْنَ مِنِّي بِمَنْزِلَةِ هَارُوْنَ مِنْ مُّوْسٰي إِلَّا أَنَّهُ لَا نُبُوَّةَ بَعْدِي. وَسَمِعْتُهُ يَقُوْلُ يَوْمَ خَيْبَرَ: لَأُعْطِيَنَّ الرَّايَةَ رَجُلًا يُحِبُّ اﷲَ وَرَسُوْلَه وَيُحِبُّهُ اﷲُ وَرَسُوْلُه قَالَ: فَتَطَاوَلْنَا لَهَا فَقَالَ: ادْعُوْا لِي عَلِيًّا فَأُتِيَ بِه أَرْمَدَ فَبَصَقَ فِي عَيْنِهِ وَدَفَعَ الرَّايَةَ إِلَيْهِ. فَفَتَحَ اﷲُ عَلَيْهِ. وَلَمَّا نَزَلَتْ هٰذِهِ الْآيَةُ: ﴿فَقُلْ تَعَالَوْا نَدْعُوْ اَبْنَآءَنَا وَاَبْنَآءَ کُمْ﴾ [آل عمران، 3 : 61]، دَعَا رَسُوْلُ اﷲِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ عَلِيًّا وَفَاطِمَةَ وَحَسَنًا وَحُسَيْنًا فَقَالَ: اَللّٰهُمَّ، هٰؤُلَآءِ أًهْلِي. رَوَاهُ مُسْلِمٌ وَالتِّرْمِذِيُّ.

05.               “Ḥaz̤rat Saʻd bin Abī Waqqāṣ raḍiya Allāhu ‘anhu bayān karte haiṅ ki maiṅ ne Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ko farmāte hū’e sunā jab āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne ba’z̤ ġhazwāt meṅ Ḥaz̤rat ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhu ko pīc̥he (Madīnā Munawwarā meṅ) c̥hor̥ diyā to Ḥaz̤rat ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhu ne ʻarz̤ kiyā: yā Rasūl Allāh! Āp ne mujhe ʻaurtoṅ aur bachchoṅ meṅ pīc̥he c̥hor̥ diyā hai? To Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne Ḥaz̤rat ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhu se farmāyā: kyā tum is bāt par rāz̤i nahīṅ ho ki tum mere liye aise ho jaise Mūsá ‘alayhi al-salām ke liye Hārūn ‘alayhi al-salām the, al-battā mere baʻd ko’ī Nabī nahīṅ hogā. Aur ġhazwā-e Ḳhaibar ke din maiṅ ne āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam se yeh sunā ki kal maiṅ us shaḳhṣ ko jhand̥ā dūngā jo Allāh aur us ke Rasūl se maḥabbat kartā hai, aur Allāh aur us kā Rasūl us se maḥabbat karte haiṅ, so ham sab is saʻādat ke ḥusūl ke inṭeẓār meṅ the, āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne farmāyā: ʻAlī ko mere pās lā’o, Ḥaz̤rat ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhu ko lāyā gayā, is waqt woh āshūbe chashm meṅ mubtālā the, āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne un kī ānkhoṅ meṅ luʻābe dĕhĕn d̥ālā aur un ke jhand̥a ʻaṭā kiyā, Allāh Taʻālá ne un kī hāth par Ḳhaibar fateḥ kar diyā aur jab yeh āyat nāzil hū’ī: “Āp farmā dījīe ā’o ham apne bet̥oṅ ko bulā’eṅ aur tum apne bet̥oṅ ko bulā’o.” To Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne Ḥaz̤rat ʻAlī, Ḥaz̤rat Fāṭimah, Ḥaz̤rat Ḥasan aur Ḥaz̤rat Ḥusayn raḍiya Allāhu ‘anhum ko bulāyā aur kahā: ae Allāh! Yeh merā kunbā hai.”

                Is ḥadīs̲ ko imām Muslim aur Tirmiḏẖī ne riwāyat kiyā hai.

[Aḳhrajah Muslim fī al-Ṣahīh, kitāb faḍā’il al-ṣaḥābah, bāb min faḍā’il ʻAlī bin Abī Ṭālib raḍiya Allāhu ‘anhu, 04/1871, al-raqm: 2404,

al-Tirmiḏẖī fī al-Sunan, kitāb al-manāqib, bāb manāqib Alī bin Abī Ṭālib raḍiya Allāhu ‘anhu, 05/638, al-raqm: 3724,

Ṭāhir al-Qādrī fī Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm,/14_15, al-raqm: 05.]

Posted in Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm

ḤUSNU AL-MAʻĀB FĪ ḎH̲IKRI ABĪ TURĀB KARRAMA ALLĀHU WAJ•HAHU AL-KARĪM: 06

٦۔                         عَنْ جَابِرٍ رَضِيَ اﷲ عَنْهُ أَنَّ عَلِيًّا رَضِيَ اﷲ عَنْهُ حَمَلَ الْبَابَ يَوْمَ خَيْبَرَ حَتّٰی صَعِدَ الْمُسْلِمُوْنَ فَفَتَحُوْهَا. وَأَنَّهُ جُرِّبَ فَلَمْ يَحْمِلْهُ إِلاَّ أَرْبَعُوْنَ رَجُلاً.

                                رَوَاهُ ابْنُ أَبِي شَيْبَةَ وَالْخَطِيْبُ وَالْبَيْهَقِيُّ وَابْنُ عَسَاکِرَ. وَقَالَ الْعَسْقَ.لَانِيُّ: قُلْتُ: لَهُ شَاهِدٌ مِنْ حَدِيْثِ أَبِي رَافِعٍ رَوَاهُ أَحْمَدُ فِي مُسْنَدِه لٰکِنْ لَمْ يَقُلْ أَرْبَعُوْنَ رَجُلًا. وَقَالَ الْهِنْدِيُّ: حَسَنٌ.

06.             “Ḥaz̤rat Jābir raḍiya Allāhu ‘anhu bayān karte haiṅ ki ġhazwā-e Ḳhaibar ke roz Ḥaz̤rat ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhu ne qalʻā-e Ḳhaibar kā darwāzā (ukhār̥ kar) ut̥hā liyā yahāṅ tak ki musalmān qalʻā par char̥h ga’e aur use fateḥ kar liyā aur yeh tajrebā-shudā bāt hai ki is darwāze ko chālīs ādamī mil kar ut̥hāte the.”

              Is ḥadīs̲ ko imām ibn Abī Shaybah, Ḳhaṭib Baġhdādī, Bayhaqī aur ibn ʻAsākir ne riwāyat kiyā hai. imām ʻAsqalānī ne farmāyā: maiṅ kĕhtā hūṅ ki is ḥadīs̲ kī mis̲āl Ḥaz̤rat Abū Rāfiʻ raḍiya Allāhu ‘anhu se bhī marwī hai jise imām Aḥmad ne apnī musnad meṅ riwāyat kiyā hai lekin is meṅ chālīs ādmiyoṅ kā ẕikr nahīṅ kiyā.

        Imām Muttaqī Hindī ne ise ḥasan kahā hai.

[Aḳhrajah ibn abī Shaybah fī al-Muṣannaf, faḍā’il Alī ibn Abī Ṭālib raḍiya Allāhu ‘anhu, 06/374, al-raqm: 32139,

al-Ḳhaṭīb al-Baghdādī fī Tārīḳh Baġhdād, 11/324, al-raqm: 6142,

al-Bayhaqī fī Dalā’il al-Nubuwwah, 04/212,

al-ʻAsqalānī fī Lisān al-mīzān, 04/196,

al-ʻAsqalānī fī Fatḥ al-bārī, 07/478,

Ibn ʻAsākir fī Tārīḳh Madīnaṫ Dimashq, 42/111,

al-Ṭabarī fī Tārīḳh al-umam wa-al-mulūk, 02/137,

Ibn Hishām fī al-Sīrah al-Nabawīyah, 04/306,

al-Hindī fī Kanz al-ʻummāl, 13/60, al-raqm: 36431,

al-Suyūtī fī Tārīḳh al-ḳhulafā’,/167,

Ṭāhir al-Qādrī fī Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm,/16_17, al-raqm: 06.]

Posted in Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm

ḤUSNU AL-MAʻĀB FĪ ḎH̲IKRI ABĪ TURĀB KARRAMA ALLĀHU WAJ•HAHU AL-KARĪM: 07

٧۔                         عَنْ سَعْدِ بْنِ أَبِي وَقَّاصٍ رَضِيَ اﷲ عَنْهُ، قَالَ: خَلَّفَ رَسُوْلُ اﷲِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ عَلِيَّ بْنَ أَبِي طَالِبٍ، فِي غَزْوَةِ تَبُوْکَ. فَقَالَ: يَا رَسُوْلَ اﷲِ، أَتُخَلِّفُنِي فِي النِّسَاءِ وَالصِّبْيَانِ؟ فَقَالَ: أَمَا تَرْضٰي أَنْ تَکُوْنَ مِنِّي بِمَنْزِلَةِ هَارُوْنَ مِنْ مُوْسٰي؟ إِلَّا أَنَّه لَا نَبِيَّ بَعْدِي. مُتَّفَقٌ عَلَيْهِ وَاللَّفْظُ لِمُسْلِمٍ.

07.             “Ḥaz̤rat Saʻd bin Abī Waqqāṣ raḍiya Allāhu ‘anhu bayān karte haiṅ ki Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne ġhazwā-e Tabūk ke mauqaʻ par Ḥaz̤rat ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhu ko Madīnā meṅ (apnā nā’ib banā kar) c̥hor̥ā to Ḥaz̤rat ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhu ne ʻarz̤ kiyā: yā Rasūl Allāh! Kyā āp mujhe ʻaurtoṅ aur bachchoṅ meṅ pīc̥he c̥hor̥ kar jā rahe haiṅ? Āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne farmāyā: kyā tum is bāt par rāz̤ī nahīṅ ki mere sāth tumhārī wohī nisbat ho jo Ḥaz̤rat Hārūn ‘alayhi al-salām kī Ḥaz̤rat Musá ‘alayhi al-salām se thī al-battā mere baʻd ko’ī Nabī nahīṅ hogā.”

                Yeh ḥadīs̲ muttafaqun ʻalaih hai aur maẕkūrā alfāẓ Muslim ke haiṅ.

[Aḳhrajah al-Buḳhārī fī al-Ṣaḥīḥ, kitāb al-maġhāzī, bāb ġhazwah Tabūk  wahiy ġhazwaṫ al-ʻusrah, 04/1602, al-raqm: 4154,

Muslim fī al-Ṣaḥīḥ, kitāb faḍā’il ʻUṯẖmān bin ʻAffān raḍiya Allāhu ‘anhu, 04/1870_1871, al-raqm: 2404,

al-Tirmiḏẖī fī al-Sunan, kitāb al-manāqib, bāb manāqib Alī bin Abī Ṭālib raḍiya Allāhu ‘anhu, 05/638, al-raqm: 3724,

Aḥmad ibn Ḥanbal fī al-Musnad, 01/185, al-raqm: 1608,

Ibn Ḥibbān fī al-Ṣaḥīḥ, 15/370, al-raqm: 6927,

Ṭāhir al-Qādrī fī Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm,/17_18, al-raqm: 07.]