03. ‘Izzat Ma’ab Al-Shaykh Professor Doctor Ahmad Umar Hashim (Saabiq Vice Chancellor Jaami’a Al-Az’har)
﷽
Tamam Ta’reefein Us Allah Ta’ala Ke Li’e Hain Jo Tamaam Jahano’n Ka Parwardigaar Hai Aur Durood-o Salaam Ho Tamaam Rasoolo’n Se Mu’azzaz Rasool Hamaare Sardaar Hazrat Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Aal Aur Tamaam Sahaba-e Kiram Par.
Mein Ne Doctor Muhammad Tahir-ul-Qadri Saahib Kee Kitab “Al-Minhaj Al-Sawi Mina Al-Hadith Al-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam” Ka Mutaala’a Kiya Hai, Be Shak Yeh Ek Azim Kitab Hai. Is Li’e Bhi Ki Yeh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Sahih Ahaadith Ke Qaabile Zikr Majmoo’a Par Mushtamil Hai Aur Is Li’e Bhi Ki Yeh Majmoo’a-e Hadith Aqida, Ibaadaat Aur Akhlaaqiyyaat Ke Muta’addad Abwaab Par Mushtamil Hai. Is Kaam Me Faazil Mu’allif Kee Koshish Qaabile Tehsin Hai Jis Ke Zari’e Unhone Is Kaa’enaat Ke Mu’azzaz Tarin Warse Kee Khidmat Me Apna Hissa Daala Hai. Aur Woh Warsa Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Sahib-ul-Hawz Aur Maqaame Mahmood, Sayyid-ul-Khalq Aur Hamaare Shafi’ Wa Sardaar Hazrat Muhammad Mustafa SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ahaadithe Mubaaraka Hain.
Is Me Ko’i Shak Nahin Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ahaadith Ko Phailaane Me Deen-o Dunya Ke Bhalaa’i, Aqida-o Ibaadat Kee Behtari Aur Akhlaaq-o Shari’at Kee Behtarim Khidmat Hai.
Yeh Kitab Un Aham-Tarin Kitabo’n Me Se Ek Hai Jo Islam Ke Asl Al-Usool (Jo Ki Qur’an Ke Ba’d Doosra Masdar Hai) Ya’ni Sunnate Nabawiyyah ‘Ala Sahibihi Afdal-us-Salatu Wa-Atamm-us-Salam Par Mushtamil Hone Kee Waj’h Se Khidmate Islam Ka Bada Zari’a Hain. Pas Allah Ta’ala Is Kitab Ke Mu’allif Professor Doctor Muhammad Tahir-ul-Qadri Chancellor Minhaj-ul-Qur’an Ko Is Mehnate Shaaqqa Par Jo Unhone Is Kitaab Kee Tayyaari Me Sarf Kee Jaza-e Khair Ata Farma’e’n.
Un Kee Khidmate Sunnat Kee Yeh Sa’y Hamaare Aaqa-o Mawla Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Baargaah Me Sharfe Qubooliyyat Se Nawaazi Jaa’e. Mein Allah Ta’ala Se Arz Guzaar Hoo’n Ki Woh Meri, Aap Sab Kee Aur Tamaam Musalmano’n Kee Maghfirat Farmaa’e, Is Kitaab Ke Har Qaari Ko Naf’a Bakhshe Aur Hamaare Aaqa-o Mawla Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ahle Bayte At’har Salamullah ‘Alayhim Aur Sahaba-e Kiram RadiyAllahu ‘Anhum Ajma’in Par Durood-o Salam Bheje.
Katba
Professor Doctor Ahmad Umar Hashim”
(Misr)
–
[Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-36-39]
You must be logged in to post a comment.