Fasl-01 :
Fazilate Namaz Ka Bayan
01/119. “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Shabe Me’raaz) Allah Ta’ala Ne Meri Ummat Par Pachaas-50 Namazein Farz Kee To Mein Un (Namazo’n) Ke Saath Waapas Aaaya Yaha’n Tak Ki Mein Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Paas Se Guzara To Unhone Kaha Ki Allah Ta’ala Ne Aap Par Aaap Kee Ummat Ke Liye Kya Farz Kiya Hai? Mein Ne Kaha : Allah Ta’ala Ne Pachaas-50 Namazein Farz Kee Hain. Unhone Kaha Ki Apne Rabb Kee Taraf Waapas Jaaiye Kyun Ki Aap Kee Ummat Is Kee Taqat Nahin Rakhti, Pas Unhone Mujhe Waapas Lauta Diya (Meri Darkhwast Par) Allah Ta’ala Ne Un Ka Ek Hissa Kam Kar Diya. Mein Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Kee Taraf Waapas Gaya Aur Kaha Ki Allah Ta’ala Ne Ek Hissa Kam Kar Diya Hai. Unhone Kaha : Apne Rabb Kee Taraf Phir Jaaiye Kyun Ki Aap Kee Ummat Me Un Kee Taqat Nahin Hai, Pas Mein Waapas Gaya To Allah Ta’ala Ne Un Ka Ek Hissa Kam Kar Diya. Mein Un Kee Taraf Aaya To Unhone Phir Kaha Ki Apne Rabb Kee Taraf Jaaiye Kyun Ki Aap Kee Ummat Me In Kee Taaqat Bhi Nahin Hai Mein Waapas Lauta To (Allah Ta’ala Ne) Farmaya : Yeh Zahiran Paanch-05 (Namazein) Haiin Aur (Sawaab Kee Aitabar Se) Pachaas-50 (Ke Barabar) Hain Mere Nazdeek Baat Tabdil Nahin Hua Karti. Mein Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Paas Aaya To Unhone Kaha : Apne Rabb Kee Taraf Jaaiye (Aur Mazid Kami Ke Liye Darkhwast Kare) Mein Ne Kaha : Mujhe Ab Apne Rabb Se Haya Aati Hai. Phir (Jibra’il ‘Alayh-is-Salam) Mujhe Le Kar Chale Yaha Tak Ki Sidrat-ul-Muntaha Par Pahonche Jise Mukhtalif Rango’n Ne Dhaanp Rakkha Tha, Nahin Ma’loom Ki Woh Kya Hain? Phir Mujhe Jannat Me Daakhil Kiya Gaya Jis Me Motiyo’n Ke Haar Hain Aur Us Kee Mitti Mushk Hai.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/136, Raqm-342,
Bukhari Fi As-Sahih, 03/1217, Raqm-3164,
Muslim Fi As-Sahih, 01/148, Raqm-163,
Nasa’i Fi As-Sunan, 01/221, Raqm-449,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/448, Raqm-1399,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/143, Raqm-21326,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 16/421, Raqm-7406,
Bayhaqi Fi As-Sunan-us-Sughra, 01/191, Raqm-257,
Ibn Mandah Fi Al-Iman, 02/721, Raqm-714,
Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/119, Raqm-354,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-197, 198, Raqm-119.]
02/120. “Hazrat ‘Uthman Bin Affan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Woh Farmate Hain Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Irshad Farmaya : Jis Ne Yaqin Kar Liya Ki Namaz Haqq Hai Aur (Hum Par) Farz Hai To Woh Jannat Me Daakhil Hoga.”
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/60, Raqm-423,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/144, Raqm-243,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 01/58, Raqm-1562,
Bazzar Fi Al-Musnad, 02/87, Raqm-439,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/40, Raqm-2808,
Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/47, Raqm-49,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/288,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-198, 199, Raqm-120.]
03/121. “Hazrat Aboo Umama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Farmate Hain Ki Mein Ne RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna : Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hajjat-ul-Wida’ Ke Mouke Par Khitaab Karte Hu’e Farmaya : Apne Rabb Se Daro, Apni Paancho’n Namazein Ada Karte Raho Aur Apne Mahine (Ramadaan) Ke Roze Rakkha Karo Aur Apne Maalo’n Kee Zakat Diya Karo Aur Apne Oolul-Amr (Sahib-E Hukm) Kee Ita’at Karo To Tum (Is Ke Badle Me) Apne Parwardigar Kee Jannat Me Daakhil Ho Jaa’oge.”
رواه الترمذي وأحمد وابن خزيمة والحاكم.
وفال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/516, Raqm-616,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/251, Raqm-22215, 22312,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 04/12,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/52, 547, Raqm-19, 1436,
وقال : هذا صحيح وسائر رواته متفق عليهم،
Tabrani Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/154, Raqm-7664,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/05, Raqm-7348,
Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,05/64, Raqm-1687,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-199, Raqm-121.]
04/122. “Hazrat Aboo Umama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Farmate Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Logo’n! Jaan Lo Ki Mere Baa’d Ko’i Nabi Nahin Aur Na Hee Tumhare Baa’d Ko’i Or Ummat Hai. Khabardar! Sirf Apne Rabb Kee Hee Ibadat Karo, Aur Apni Paanch-05 (Farz) Namazein Ada Karo, Aur Apne Maah (Ramadaan) Ke Roze Rakho, Dili Razamandi Ke Saath Apne Maalo’n Kee Zakaat Ada Karo Aur Apne (Aadil) Hukmarano’n Kee Ita’at Karo, To Tum Apne Rabb Kee Jannat Mein Daakhil Ho Jaa’oge.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/115, Raqm-7535,
Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/505, Raqm-1061,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-199, 200, Raqm-122.]
05/123. “Hazrat Ubadah Bin Saamat RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Unhone Bayan Kiya Ki Mein Ne RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna : Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Paanch-05 Namazein Hain, Jin Ko Allah Ta’ala Ne Apne Bando Par Farz Qaraar Diya Hai, Jis Ne Un Namazo’n Ko Behtareen Wuzoo Ke Saath Un Ke Muqarrah Awqaat Par Ada Kiya Aur Un Namazo’n Ko Rukoo’, Sujud Aur Kaamil Khushuoo’ Se Ada Kiya To Ayse Shakhs Se Allah Ta’ala Ka Waada Hai Ki Us Kee Maghfirat Farma De Aur Jis Ne Aysa Nahin Kiya (Ya’ni Namaz Hee Na Padhi Ya Namaz Ko Achchhi Tarah Na Padha) To Ayse Shakhs Ke Liye Allah Ta’ala Ka Ko’i Waada Nahin Hai Agar Chaahe To Us Kee Maghfirat Farma De Aur Chaahe To Us Ko ‘Azaab De.”
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/115, Raqm-425,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/317, Raqm-22756,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/56, Raqm-4658,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/126, Raqm-9315,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 03/366, Raqm-6292,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/148, Raqm-546,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-200, 201, Raqm-123.]
06/124. “Hazrat Aboo Dhar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Sarma Ke Mousam Me Jab Patte (Darakhto’n Se) Geer Rahe They Baahar Nikle, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ek Darakht Kee Do Shaakho’n Ko Pakad Liya, Aboo Dhar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Shaakh Se Patte Geerne Lage. Raawi Kehte Hain Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Pukaara : Aye Aboo Dhar! Mein Ne ‘Arz Kiya : Labbaik Ya RasoolAllah ﷺ! Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Musalman Banda Jab Namaz Is Maqsad Se Padhta Hai Ki Use Allah Ta’ala Kee Razamandi Haasil Ho Jaa’e To Us Ke Gunaah Isi Tarah Jhad Jaate Hain Jis Tarah Yeh Patte Darakht Se Jhadte Jaa Rahe Hain.”
رواه أحمد إسناده حسن.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/179, Raqm-21596,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/151, Raqm-560,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-201, Raqm-124.]
07/125 . “Hazrat Hasan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Namazi Ke Liye Teen³ Khaslatein (Aadatein) Hain : (Ek) Yeh Ki Us Ke Dono’n Qadmo’n Se Le Kar Sar Tak Rahmate Ilahi Naazil Hoti Rehti Hai Aur Doosara Yeh Ki Mala’ika Use Us Ke Liye Dono’n Qadmo’n Se Le Kar Aasman Tak Ghere Hu’e Rehte Hain Aur (Teesra) Yeh Ki Nida Karne Waala Nida Karta Rehta Hai Ki Agar Munaajaat Karne Waala (Ya’ni Namaz Padhne Waala) Yeh Jaan Leta Ki Woh Kis Se Raaz Wa Niyaaz Kee Baate Kar Raha Hai To Woh Namaz Se Kabhi Waapas Na Laut’ta.”
–
[Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 01/49, Raqm-150,
Maruzi Ta’zim Qadr-us-Salah,01/199, Raqm-160,
Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 05/292,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-201, 202, Raqm-125.]
08/126. “Hazrat Humraan Bin Abaan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Hum Hazrat ‘Uthman Bin Affan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Khidmat Me Haazir They To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Paani Talab Kiya Aur Phir Wuzoo Kiya Jab Aap Wuzoo Se Faarigh Hu’e To Aap Muskuraye Aur Poochha Ki Kya Tum Jaante Ho Ki Mein Kis Wajah Se Muskuraya Hoo’n? To Phir Aap Ne Khud Hee Farmaya : Ek Martaba Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Wuzoo Farmaya Jis Tarah Mein Ne Wuzoo Kiya Hai Aur Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Muskuraaye Aur Poochha : Kya Tum Jaante Ho Ki Mein Kis Wajah Se Muskuraya Hoo’n? To Hum Ne Jawab Diya : Allah Ta’ala Aur Us Ka Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hee Behtar Jaante Hain. To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Banda Bade Ehtmaam Ke Saath Wuzoo Mukammal Karta Hai Aur Phir Namaz Padhta Hai Aur Namaz Ko Bhi Bade Ehtamaam Ke Saath Mukammal Karta Hai To Jab Woh Namaz Se Faarigh Hota Hai To Woh Is Tarah Gunaaho’n Se Paak Hota Hai Goya Ki Woh Apni Maa Ke Batan(Pet) Se Abhi Payda Hua Hai.”
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/61, Raqm-403,
Bazzar Fi Al-Musnad, 02/83, Raqm-435,
Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/49, Raqm-59,
Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 01/209, Raqm-542,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-202, 203, Raqm-126.]
09/127. “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Kee, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmay : Yaqinan Pehli Chiz Jis Ka Hisaab Bande Se Liya Jaa’ega Woh Namaz Hai Pas Agar Namaz Durust Hogi To Bande Ke Jumla Aamaal Durust Honge Aur Agar Namaz Durust Na Hu’i to Doosre Tamaam Aamaal Bhi Durust Nahin Honge.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/240, Raqm-1859,
Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/106, Raqm-788,
Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,07/145, Raqm-2579,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/150, Raqm-551,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/292,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-203, Raqm-127.]
10/128. “Hazrat Aboo ‘Uthman Nuhdi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Unhone Bayan Kiya Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Musalman Namaz Padhta Hai Aur Us Ke Gunaah Us Ke Sar Par Dhare Rehte Hain Pas Jis Waqt Woh Sajda Karta Hai To Us Ke Gunaah Jhadte Chale Jaate Hain Aur Jab Woh Namaz Se Faarigh Hota Hai To Us Kee Haalat Aysi Ho Jaati Hai Ki Us Ke Tamaam Gunaah Us Se Jhad Chuke Hote Hain.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/272, Raqm-1153,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/250, Raqm-6125,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/145, Raqm-3144,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/145, Raqm-533,
Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 14/313, Raqm-7634,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/300,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-203, 204, Raqm-128.]
11/129. “Hazrat ‘Amr Bin Shu’ayb RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ba-Wasta Waalid Apne Daada Se Riwayat Karte Hain Unhone Kaha Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Apni Aulaad Ko Jab Woh Saat-07 Saal Ke Ho Jaa’e’n To Namaz Ka Hukam Kiya Karo Aur Jab Woh Das-10 Saal Kee ‘Umr Ko Pahonch Jaa’e’n To Namaz Kee Paabanmdi Na Karne Par Unhe’n Maara Karo Aur Un Ke Sone Kee Jagah Alag Alag Karo.”
رواه أبو داود وأحمد.
“Aur Ek Riwayat Me ‘Abd-il-Malik Bin Rabi’ Bin Sab’ra Ba-Wasta Apne Waalid Apne Daada Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Saat-07 Saal Ke Bachche Ko Namaz Sikhaawo Aur Das-10 Saal Ke Bachche Ko Namaz (Na Padhne) Par Saza Do.”
رواه الترمذي وأبو داود.
وقال أبو عيسى : حديث حسن صحيح..
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/259, Raqm-407,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/133, Raqm-494, 495,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/187,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/311, Raqm-708,
Daraqutni Fi As-Sunan, 01/230, Raqm-01, 03,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 02/102, Raqm-1002,
Darami Fi As-Sunan, 01/393, Raqm-1431,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/228, 229, Raqm-3050, 3052,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/398, Raqm-8650,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 07/115, Raqm-6546,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-204, Raqm-129.]
You must be logged in to post a comment.