Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-04 : ﴾Huzoor Nabiyye Akram ﷺ Ka Tareeqa-e Namaz﴿

Imaamat Karaane Aur Buland Aawaaz Se Tasmiyah Na Padhne Ka Bayaan

Fasl-01 :

Imaamat Karaane Aur Buland Aawaaz Se Tasmiyah Na Padhne Ka Bayaan

01/235.    “Hazrat Anas Bin Maalik Ansari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ghode Par Sawaar Hu’e Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Daaya’n Pahloo Mubrak Zakhmi Ho Gaya So Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hame’n Ek Namaz Bayth Kar Padhaa’i Aur Hum Ne Bhi Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Pichhe Bayth Kar Namaz Padhi Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Salam Pher Kar Farmaya : Imam To Banaya Hee Is Liye Jaata Hai Ki Us Kee Pairwi Kee Jaa’e. Jab Woh Khada Ho Kar Namaz Padhe To Tum Bhi Khade Ho Kar Padho Aur Jab Woh Rukoo’ Kare To Tum Bhi Rukoo’ Karo Aur Jab Woh Sar Uthaa’e To Tum Bhi Sar Uthaao Aur Jab Woh Sajda Kare To Tum Bhi Sajda Karo Aur Jab Woh (سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ) ‘SamiAllahu-Le-Man-Hamidah’ Kahe To Tum  (رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ) ‘Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kaho.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/257, Raqm-699,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/375, Raqm-1063,

Muslim Fi As-Sahih, 01/308, Raqm-411,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/164, Raqm-601,

Nasa’i Fi As-Sunan, 02/98, Raqm-832,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/392, Raqm-1238,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/135, Raqm-304,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/411, Raqm-9318,

Shafi’iy Fi Al-Musnad, 01/58,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/461, Raqm-2103,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/469, Raqm-2108,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/292, Raqm-906,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/286, Raqm-36134,

‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/460, Raqm-4078,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/403,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 06/283, Raqm-3595,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/436, Raqm-1619,

Bayhaqi Fi As-Sunan-us-Sughra, 01/320, Raqm-546,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/97, Raqm-2451,

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 01/62, Raqm-66,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-277, 278, Raqm-235.]

02/236 .   “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ghode Se Neeche Tashreef Le Aa’e To Kharaash Aa Ga’i, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hame’n Bayth Kar Namaz Padhaa’i Aur Hum Ne Bhi Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Bayth Kar Namaz Padhi, Phir Faarigh Hu’e To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Imam Is Liye Banaaya Jaata Hai Ki Us Kee Pairwi Kee Jaa’e. Jab Woh Takbeer Kahe To Tum Bhi Takbeer Kaho Aur Jab Woh Rukoo’ Kare To Rukoo’ Karo Aur Jab Woh Sar Uthaa’e To Tum Bhi Sar Uthaao Aur Jab Woh (سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ) ‘SamiAllahu-Le-Man-Hamidah’ Kahe To Tum  (رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ) ‘Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kaho, Aur Sajda Kare To Tum Bhi Sajda Karo.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/257, Raqm-700,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/375, Raqm-1063,

Muslim Fi As-Sahih, 01/308, Raqm-411,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/194, Raqm-361,

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح،

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/164, Raqm-601,

Nasa’i Fi As-Sunan, 02/195, Raqm-1061,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/393, Raqm-1238,

Shafi’iy Fi Al-Musnad, 01/58,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/110, Raqm-12095,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/477, Raqm-2113,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-278, 279, Raqm-236.]

03/237.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Rukoo’ Aur Sajde Poore Kiya Karo, Khuda Kee Qasam! Mein Tumhe’n Apne Baa’d Bhi Dekhta Hoo’n (Aur Kabhi Farmaya, Peeth Pichhe Se Dekhta Hoo’n) Jab Rukoo’ Aur Sajda Karte Ho.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/259, Raqm-709,

Muslim Fi As-Sahih, 01/319, Raqm-425,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/130, Raqm-12343,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-279, Raqm-237.]

04/238.    “Hazrat Sahal Bin Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Logo’n Se Kaha Jaata Tha Ki Namazi Haalate Namaz Me Apne Daaye’n Haath Ko Apni Baayi’n Kalaayi’n Par Rakkhe. Aboo Haazim Ne Farmaya Ki Mujhe To Yahi Ma’loom Hai Ki Hazrat Sahal Is Baat Ko Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Taraf Mansoob Karte They.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/259, Raqm-707,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/159, Raqm-376,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/429, Raqm-1597,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/140, Raqm-5772,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-279, 280, Raqm-238.]

05/239.    “Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Unhone Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Basara Me Namaz Padhi To Unhone Hame’n Woh Namaz Yaad Kara Dee Jo Hum Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Padha Karte They. Bataaya Ki Aap Jab Bhi Uthate Aur Jhukte To Takbeer Kaha Karte They.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/271, Raqm-751,

Bazzar Fi Al-Musnad, 09/26, Raqm-3532,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/68, Raqm-2326,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-280 Raqm-239.]

06/240.    “Hazrat Aboo Salamah Se Riwayat Hai Ki Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Unhe’n Namaz Padhaaya Karte They, Jab Bhi Jhukte Aur Uthate To Takbeer Kehte. Jab Aap Namaz Se Faarigh Hu’e To Farmaya : Meri Namaz Tum Sab Se Ziyaada Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Ke Saath Mushaabahat Rakhti Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/272,Raqm-752,

Muslim Fi As-Sahih, 01/293, Raqm-392,

Nasa’i Fi As-Sunan, 02/235, Raqm-1155,

Shafi’iy Fi Al-Musnad, 01/38,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/236, Raqm-7219,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/76, Raqm-166,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/221,

Ibn Jarood Fi Kitab Al-Muntaqa, 01/57, Raqm-191,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/62, Raqm-1766,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-280, Raqm-240.]

07/241.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Hazrat Aboo Bakr Aur Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Namaz Ko (ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلْعَالَمِينَ) ‘Al-Hamdu-Lillahi-Rabbil-Aalamin’ Se Shuru Kiya Karte They.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/259, Raqm-710,

Shafi’iy Fi Al-Sunan Al-Ma’thoorah, 01/135, 138,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-281, Raqm-241.]

08/242.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Hazrat Aboo Bakr, Hazrat ‘Umar Aur Hazrat ‘Uthman Ghani RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Kee Iqtida’ Me Namaz Padhi Magar Mein Ne Un Me Se Kisi Ko (بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيمِ) ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Padhte Na Suna.”

[Muslim Fi As-Sahih, 01/299, Raqm-399,

Nasa’i Fi As-Sunan, 02/99, Raqm-907,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/315, Raqm-979,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/103, Raqm-1799,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 01/249, 250, Raqm-459, 497,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/176, 275, 278,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/360, Raqm-4144,

Daraqutni Fi As-Sunan, 01/314, 315,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/448, Raqm-1656,

Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/146, 293, Raqm-922, 1986,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/359, Raqm-1191,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/51, Raqm-2243,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/261, Raqm-1166,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-281, Raqm-242.]

09/243.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mughaffal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain : Mere Waalid Ne Mujhe Namaz Me (بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيمِ) ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Padhte Hu’e Suna To Farmaya : Aye Bete! Yeh Bid’at Hai Bid’at Se Bacho. Phir Farmaya : Mein Ne Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ko Is Se Ziyaada Kisi Aur Bid’at Ko Itna Naapasand Karte Hu’e Nahin Dekha. Aur Yeh Bhi Kaha Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Hazrat Aboo Bakr Siddiq, Hazrat ‘Umar Aur Hazrat ‘Uthman Ghani RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Ke Saath Namaz Padhi, Lekin Un Me Se Kisi Ko (بِسْمِ اللَّهِ)  ‘Bismillah’ Zaahiran Kehte Hu’e Nahin Suna Lehaaza Tum Bhi Buland Aawaz Se Na Kaho Ja Namaz Padho To Sirf (ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلْعَالَمِينَ) ‘Al-Hamdu-Lillahi-Rabbil-Aalamin’ Se (Qir’at) Shuru Karo.”

“Imam Tirmidhi Farmate Hain Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin Mughaffal Kee Hadith Hasan Hai Aur Aksar As’habe Rasool Jin Me Hazrat Aboo Bakr, Hazrat ‘Umar, Hazrat ‘Uthman Ghani Aur Hazrat ‘Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Aur Ke Ilaawah Kaee Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Shaamil Hain Isee Par Amal Paira Rahe Aur Taabe’in Ka Bhi Isee Par Amal Hai. Sufiyan Sauri, Ibn Mubarak, Ahmad Aur Is’haq (بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيمِ)  ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Ko Oonchi Aawaaz Se Padhna Jaa’iz Nahin Qaraar Dete Balki Farmate Hain Ki Aahista Padhni Chaahiye.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/12, Raqm-244,

Ibn Qudamah Fi Al-Mughni, 01/284,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-282, 283, Raqm-243.]

10/244.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mughaffal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Pichhe Aur Aboo Bakr Wa Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ke Pichhe Namaz Padhi Aur Kisi Ko Bhi (Buland Aawaz Se) (بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيمِ) ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Padhte Hu’e Na Suna.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/318, 323,

Nasa’i Fi As-Sunan,  02/99, Raqm-908,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/315, Raqm-980,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/54, 55,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/260, 261, Raqm-1161,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/52, Raqm-2248,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-283, Raqm-244.]

11/245.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Aboo Bakr, Uamar Wa Sman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Kee Iqtida’ Me Namaz Padhi, Yeh Tamaam Hazaraat (بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيمِ)  ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Buland Aawaz Me Nahin Padhte They.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/322,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/179, 275,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/105, Raqm-1802,

Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/146, Raqm-923,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/52, Raqm-2249,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/262, Raqm-1167,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-283, 284, Raqm-245.]

12/246.    “Hazrat Aboo Wa’il RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Ali Aur Hazrat Ammaar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma (Namaz Me) (بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيمِ)  ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Padhte Waqt Aawaaz. Buland Nahin Karte They. ”

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/361, Raqm-4149,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-284, Raqm-246.]

13/247.    “Hazrat Ibrahim Nakha’i RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Imam Ka Buland Aawaaz Me  (بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيمِ) ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Padhna Bid’at Hai.”

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/360, Raqm-4138,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-284, Raqm-247.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-04 : ﴾Huzoor Nabiyye Akram ﷺ Ka Tareeqa-e Namaz﴿

Takbeere Oola Ke Ilawa Namaz Me Raf’yadayn Na Karne Ka Bayaan

Fasl-02 :

Takbeere Oola Ke Ilawa Namaz Me Raf’yadayn Na Karne Ka Bayaan

14/248.    “Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Unhone Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Basara Me Namaz Padhi To Unhone Hame’n Woh Namaz Yaad Kara Dee Jo Hum Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Padha Karte They. Unhone Bataaya Ki Woh (Ya’ni Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim) Jab Bhi Uthate Aur Jhukte To Takbeer Kaha Karte They.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/271, Raqm-751,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/78, Raqm-2326,

Bazzar Fi Al-Musnad, 09/26, Raqm-3532,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-285, Raqm-248.]

15/249 .   “Hazrat Aboo Salamah Se Riwayat Hai Ki Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Unhe’n Namaz Padhaaya Karte They, Jab Bhi Jhukte Aur Uthate To Takbeer Kehte. Jab Aap Namaz Se Faarigh Hu’e To Farmaya : Tum Me Se Meri Namaz Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Se Ziyaada Mushaabahat Rakhti Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/272, Raqm-752,

Muslim Fi As-Sahih, 01/293, Raqm-392,

Nasa’i Fi As-Sunan, 02/235, Raqm-1155,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/236, Raqm-7219,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/76, Raqm-166,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/221,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-285, Raqm-249.]

16/250.    “Hazrat Mutarrif Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Aur Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Hazrat ‘Ali Bin Aboo Talib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Pichhe Namaz Padhi Jab Unhone Sajda Kiya To Takbeer Kahi, Jab Sar Uthaaya To Takbeer Kahi Aur Jab Do² Rak’ato’n Se Uthe To Takbeer Kahi. Jab Namaz Mukammal Ho Ga’i To Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Mera Haath Pakad Kar Farmaya : Unhone Mujhe Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Yaad Kara Dee Hai (Ya Farmaya) Unhone Mujhe Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Jaysi Namaz Padhaa’i Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/272, Raqm-753,

Muslim Fi As-Sahih, 01/295, Raqm-393,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/444,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-286, Raqm-250.]

17/251.    “Hazrat Aboo Bakr Bin ‘Abd-ir-Rahman Ne Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Farmate Hu’e Suna Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Namaz Ke Liye Khade Hote To Khade Hote Waqt Takbeer Kehte Phir Rukoo’ Karte Waqt Takbeer Kehte Phir ﴿سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ﴾ ‘SamiAllahu-Le-Man-Hamidah’ Kehte,  Jab Ki Rukoo’ Se Apni Pusht Mubarak Ko Seedha Karte Phir Seedha Khade Ho Kar ﴿رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ﴾ ‘Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kehte, Phir Jhukte Waqt Takbeer Kehte. Phir Sar Uthaate Waqt Takbeer Kehte. Phir Sajda Karte Waqt Takbeer Kehte. Phir Sajde Se Sar Uthaate Waqt Takbeer Kehte. Phir Saari Namaz Me Isee Tarah Karte Yaha’n Tak Ki Poori Ho Jaati Aur Jab Do² Rak’ato’n Ke Aakhir Me Baythne Ke Baa’d Khade Hote To Takbeer Kehte.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/272, Raqm-756,

Muslim Fi As-Sahih, 01/293, Raqm-392,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-286, 287, Raqm-251.]

18/252.    “Hazrat Aboo Salamah Bin ‘Abd-ir-Rahman Se Riwayat Hai Ki Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Har Namaz Me Takbeer Kehte Chhahe Woh Farz Hoti Ya Doosri, Maah Ramadaan Me Hoti Ya Us Ke Ilaawah Jab Khade Hote To Takbeer Kehte Aur Jab Rukoo’ Karte To Takbeer Kehte, Phir (سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ) ‘SamiAllahu-Le-Man-Hamidah’ Kehte Phir Sajda Karne Se Pehle (رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ)  ‘Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kehte, Phir Jab Sajde Ke Liye Jhukte To (اَللهُ اَكْبَر) ‘AllahuAkbar’ Phir Jab Sajde Se Uthate To Takbeer Kehte, Phir Jab (Doosara) Sajda Karte To Takbeer Kehte, Phir Jab Sajde Se Sar Uthaate To Takbeer Kehte, Phir Jab Doosri Rak’at Ke Qa’ade Se Uthate To Takbeer Kehte, Aur Har Rak’at Me Aisa Hee Karte Yeh’n Tak Ki Namaz Se Faarigh Ho Jaate. Phir Faarigh Hone Par Farmate : Qasam Hai Us Zaat Kee Jis Ke Qabza-e Kudarat Me Meri Jaan Hai! Tum Sab Me Se Meri Namaz Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Ke Saath Ziyaada Mushaabahat Rakhti Hai.  Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Taa Dame Wisal Isee Tareeqe Par Namaz Ada Kee.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/276, Raqm-770,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/221, Raqm-836,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-287, 288, Raqm-252.]

19/253.    “Hazrat Aboo Qilaaba Se Riwayat Hai Ki Hazrat Maalik Bin Huwayris RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Apne Saathiyo’n Se Farmaya : Kya Mein Ne Tumhe’n Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Na Baataaun? Aur Yeh Namaz Ke Muqarrara Waqt Ke Ilaawah Kee Baat Hai. Phir Unhone Qiyam Kiya, Phir Rukoo’ Kiya To Takbeer Kahi, Phir Sar Uthaaya To Thodi Der Khade Rahe, Phir Sajda Kiya, Phir Thodi Der Sar Uthaa’e Rakkha Phir Sajda Kiya, Phir Thodi Der Sar Uthaa’e Rakkha. Unhone Hamaare In Buzurg Hazrat Amr Bin Salma Kee Tarah Namaz Padhi. Ayyub Ka Bayan Hai Ki Woh Ek Kaam Aisa Karte Jo Mein Ne Kisi Ko Karte Hu’e Nahin Dekha. Woh Teesri³ Aur Chauthi⁴ Rak’at Me Baitha Karte They, Farmaya : Hum Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Haazir Hu’e To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Paas Thahre. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Tum Apne Ghar Waalo’n Ke Paas Waapas Jaao To Fula’n Namaz Fula’n Waqt Me Padhna. Jab Namaz Ka Waqt Ho Jaa’e To Tum Me Se Ek Azan Kahe Aur Jo Bada Ho Woh Tumhari Imamat Kare.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/282, Raqm-785,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-288, 289, Raqm-253.]

20/254.    “Hazrat Alqama Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Kya Mein Tumhe’n Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Naa Padhaaun? Raawi Kehte Hain : Phir Unhone Namaz Padhaa’i Aur Ek Baar Ke Ilaawah Apne Haath Naa Uthaa’e,” Imam Nasa’i Kee Bayan Karda Riwayat Me Hai, “Phir Unhone Haath Na Uthaa’e. “

رواه أبوداود والترمذي، والنساءي،

وقال أبوعيسى : هذا هريث حسن.

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/286, Raqm-748,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 01/297, Raqm-257,

Nasa’i Fi As-Sunan, 02/131, Raqm-1026,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/221, 351, Raqm-645, 1099,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/388, 441,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/213, Raqm-2441,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-289, Raqm-254.]

21/255.    “Hazrat Hasan Bin Ali,  Mu’awiya, Khalid Bin ‘Amr Wa Aboo Huzayfa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Riwayat Karte Hain Ki Sufiyan Ne Apni Sanad Ke Saath Hum Se Hadith Bayan Kee (Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne) Pehli Baar Hee Haath Uthaa’e Aur Phir Kuchh Ne Kaha, Ek Hee Baar Haath Uthaa’e.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/286, Raqm-749,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-289, 290, Raqm-255.]

22/256.    “Hazrat Bara’ Bin Aazib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Namaz Shuru Karte To Apne Dono’n Haatho’n Ko Kaano’n Tak Uthaate, Aur Phir Aisa Na Karte.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/287, Raqm-750,

‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf,  02/70, Raqm-2530,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/213, Raqm-2440,

Daraqutni Fi As-Sunan, 01/293,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/253, Raqm-1131,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-290, Raqm-256.]

23/257.    “Hazrat Aswad Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Sirf Takbeere Tahreema Ke Waqt Haath Uthaate They, Phir Namaz Me Kisi Aur Jagah Haath Na Uthaate Aur Yeh Amal Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Naqal Kiya Karte.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/355,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-290, Raqm-257.]

24/258.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Aboo Bakr Wa Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ke Saath Namaz Padhi, Yeh Sab Hazraat Sirf Namaz Ke Shuru Me Hee Apne Haath Buland Karte They.”

[Daraqutni Fi As-Sunan, 01/295,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 08/453, Raqm-5039,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/79,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 02/101,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-290, 291, Raqm-258.]

25/259.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Amr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Dekha Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaz Shuru Karte Waqt Apne Haatho’n Ko Kandho’n Tak Uthaaya, Aur Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Rukoo’ Karna Chaahte Aur Rukoo’ Se Sar Uthaate To Haath Nahin Uthaate They,  Aur Un Me Se Kuchh Ne Kaha Dono’n Sajdo’n Ke Darmiyan (Haath) Nahin Uthaate They.”

[Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad,  01/423, Raqm-1572,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-291, Raqm-259.]

26/260.    “Hazrat Aswad Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Namaz Ada Karte Dekha Hai. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Takbeere Tahreema Kehte Waqt Dono’n Haath Uthaate, Phir (Baaqi Namaz Me Haath) Nahin Uthaate They.”

[Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/294, Raqm-1329,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-291, Raqm-260.]

27/261.    “Aasim Bin Kulayb Apne Waalid Kulayb Se Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Sirf Takbeer Me Hee Haatho’n Ko Uthaate They Phir Namaz Ke Dauraan Haath Nahin Uthaate They.”

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/213, Raqm-2444,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-291, Raqm-261.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-04 : ﴾Huzoor Nabiyye Akram ﷺ Ka Tareeqa-e Namaz﴿

Imam Ke Pichhe Qir’at Na Karne Ka Bayaan

Fasl-03 :

Imam Ke Pichhe Qir’at Na Karne Ka Bayaan

28/262.    “Hazrat Jaabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
Jo Shakhs Imam Ke Pichhe Namaz Padhe To Imam Ka Padhna Hee Us Ka Padhna Hai.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/331,

Imam Muhmamad Fi Al-Muwatta’, 01/96,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad,  01/320, Raqm-1050,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/43, Raqm-7903,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/160,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-292, Raqm-262.]

29/263.    “Hazrat Jaabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Logo’n Ko Namaz Padhaayi, To Ek Shakhs Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Pichhe Qir’at Kee. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaz Se Faarigh Ho Kar Farmaya : Tum Me Se Kisi Ne Mere Pichhe Qir’at Kee Thi? (Log Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Narazagi Ke Dar Se Khaamosh Rahe, Yaha’n Tak Ki) Teen³ Baar Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne BaTakaraar Yahi Istifsaar Farmaya (Poochha), Aakhir Ek Shakhs Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Mein Ne. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Imam Ke Pichhe Ho To Imam Kee Qir’at Hee Us Kee Qir’at Hai.”

[Haskafi Fi Musnad Al-Imam Al-A’zam: 61,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-292, Raqm-263.]

30/264.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Imam Is Liye Banaaya Jaata Hai Ki Us Kee Pairwi Kee Jaa’e. Jab Woh Takbeer Kahe To Tum Bhi Takbeer Kaho Aur Jab Woh Rukoo’ Kare To Rukoo’ Karo Jab (سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ) ‘SamiAllahu-Le-Man-Hamidah’ Kahe To Tum (رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ) ‘Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kaho, Aur Sajda Kare To Tum Bhi Sajda Karo Aur Jab Woh Bayth Kar Namaz Padhe To Tum Bhi Bayth Kar Padho.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/257, Raqm-701,

Muslim Fi As-Sahih,  01/309, Raqm-414,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/164, Raqm-602,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/276, Raqm-846,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/341, Raqm-8483,

Darami Fi As-Sunan, 01/343, Raqm-1311,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-293, Raqm-264.]

31/265.    “‘Ata Bin Yasaar Riwayat Karte Hain Ki Unhone Zayd Bin Saabit RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Imam Ke Saath Qir’at Ke Muta’alliq Sawaal Kiya To Hazrat Zayd Bin Saabit RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Jawaab Diya : Imam Ke Saath Kisi Cheez Me Qir’at Nahin.”

[Muslim Fi As-Sahih, 01/406, Raqm-577,

Nasa’i Fi As-Sunan, 02/160, Raqm-960,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/331, Raqm-1032,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/522, Raqm-1951,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/163, Raqm-2738,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-293, Raqm-265.]

32/266.    “Hazrat Hittaan Bin ‘Abd Allah Raqaashi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Ek Bsar Mein Ne Hazrat Aboo Moosa Ash’ari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Saath Namaz Padhi, Jab Woh Qa’ada Ke Qareeb They To Ek Shakhs Ne Kaha : Yeh Namaz Neki Aur Pakeezagi Ke Saath Padhi Ga’i Hai, Jab Woh Namaz Se Faarigh Ho Ga’e To Unhone Mud Kar Dekha Aur Poochha Tum Me Se Kisi Ne Yeh Baat Kee Thi? Sab Khaamosh Rahe, Unhone Phir Dobaara Poochha Ki Tum Me Se Kisi Ne Yeh Baat Kahi Thi? Sab Khaamosh Rahe, Ki Aap Meri Pitaa’i Karenge (Ya Naraz Honge) Is Mauqe Par Hazrat Moosa Ne Mujh Se Poochha : Aye Hittaan! Shaayad Tum Ne Yeh Kalima Kaha Hai? Mein Ne Kaha : Mein Ne To Nahin Kaha, Mujhe To Aap Ka Dar Tha, Phir Logo’n Me Se Ek Shakhs Ne Kaha : Mein Ne Yeh Kalima Kaha Tha Aur Meri Niyyat Siwaaye Bhalaa’i Ke Aur Kuchh Na Thi, Hazrat Aboo Moosa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Kya Tum Nahin Jaante Namaz Me Kya Kehna Chaahiye? Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hame’n Khutba Diya Aur Hame’n Namaz Ka Mukammal Tareeqa Batla Diya, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Tum Namaz Padhne Lago To Sab Se Pehle Apni Safe’n Durust Karo Phir Tum Me Se Ko’i Shakhs Imamat Kare Jab Imam Takbeer Kahe To Tum Takbeer Kaho, Jab Woh (غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّيْنَ)  ‘Ghay-Ril Magh-Doobi A’Lay-Him Wa-Lad-Daallin’ Kahe, To Tum Aameen Kaho, Allah Ta’ala Tumhari Du’aa Ko Qubool Farma’ega, Phir Jab Woh Takbeer Keh Kar Rukoo’ Kare To Tum Bhi Takbeer Keh Kar Rukoo’ Karo, Imam Tum Se Pehle Rukoo’ Karega Aur Tum Se Pehle Rukoo’ Se Sar Uthaa’ega, Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Is Tarah Tumhara Amal Us Ke Muqaable Me Ho Jaa’ega Aur Jab Imam (سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ) ‘SamiAllahu-Le-Man-Hamidah’ Kahe To Tum (رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ) ‘Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kaho. Allah Ta’ala Tumhare Qaul Sunta Hai Aur Tumhare Nabi Kee Jubaan Par Allah Ta’ala Ne (سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ) ‘SamiAllahu-Le-Man-Hamidah’ Jaari Kar Diya, Phir Jab Imam Takbeer Keh Kar Sajda Kare To Tum Bhi Takbeer Keh Kar Sajda Karo, Imam Tum Se Pehle Sajda Karega Aur Tum Se Pehle Sajde Se Sar Uthaa’ega. Phir Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tumhara Yeh Amal Imam Ke Muqaable Me Hoga Aur Jab Imam Qa’ade Me Bayth Jaa’e To Tum Sab Se Pehle Yeh Kalimaat Padho :  (التَّحِيَّاتُ الطَّيبَّاتُ الصَّلَوَاتُ لِلَّهِ. السَّـلَامُ عَلَيْكَ أيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ الله وَبَرَكَاتُهُ. السَّلَامُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللهِ الصَّالِحِيْنَ. أَشْهَرُ أَنْ لاَ إِلَهَ اللهُ وَأَشْهَدُ أَنْ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُوْلُهُ) ‘At-Tahiyatu At-Ţayyibatu As-Salawatu Lillahi As-Salamu Alayka Ayyuha An-Nabiyu Wa RahmatuAllahi Wa Barakatuhu As-Salamu Alayna Wa Ala IbadiAllahi As-Salihina Ash’hadu AnLa’Ilaha IllaAllahu Wa Ash’hadu Anna Muhammadaan Abduhu Wa Rasooluhu.'”

[Muslim Fi As-Sahih, 01/303, 304, Raqm-404,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/541, Raqm-2167,

Darami Fi As-Sunan, 01/363, Raqm-1358,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-294, 295, Raqm-266.]

33/267.    “Hazrat Qatadah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Me Yeh Alfaz Ziyaada Hai : Jab Imam Qir’at Kare To Tum Khaamosh Raho, Aur Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hadith Me Bhi Yeh Alfaz Hai : Aur Jab Imam Qir’at Kare To Tum Khaamosh Raho.”

‘Imam Muslim Ne Farmaya Ki Yeh Riwayat Mere Nazdeek Sahih Hai.”

[Muslim Fi As-Sahih, 01/304, Raqm-404,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/155, Raqm-2709,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-296, Raqm-267.]

34/268.    “Hazrat Aboo Nu’aym Wahab Kaysaan Se Riwayat Hai Ki Unhone Hazrat Jaabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Yeh Farmate Hu’e Suna : Jis Ne Ko’i Rak’at Padhi Aur Us Me Soorah Faatiha Nahin Padhi To Goya Us Ne Namaz Hee Nahin Padhi, Siwaaye Is Ke Ki Woh Imam Ke Pichhe Ho.”

رواه الترمذي ومالك.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 01/346, 347, Raqm-312, 313,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/84, Raqm-187,

‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/121, Raqm-2745,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/317, Raqm-3621,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/160, Raqm-2725,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/282, Raqm-1265,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-296, Raqm-268.]

35/269.    “Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Zuhar Kee Namaz Padhaayi, Ek Shakhs Aaya Aur Us Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Pichhe Soorat (سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الأَعْلَى) Padhi, Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Namaz Se Faarigh Hu’e To Farmaya : Tum Me Se Qir’at Kis Ne Kee? Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya : Ek Aadami Ne, Mein Jaan Gaya Tha Ki Tum Me Se Ko’i Mujh Se Jhagad Raha Hai.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/219, Raqm-828,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-297, Raqm-269.]

36/270.    “Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaz Padhaayi, Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Namaz Se Faarigh Hu’e To Farmaya : Tum Me Se Soorat (سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الأَعْلَى)  Kis Ne Padhi, Ek Aadami Ne ‘Arz Kiya : Mein Ne. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Jaan Gaya Tha Ki Tum Me Se Ko’i Mujh Se Jhagad Raha Hai.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/219, Raqm-829,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-297, Raqm-270.]

37/271.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ek Jahri Namaz (Jin Me Aawaaz Se Qir’at Hoti Hai) Se Faarigh Ho Kar Farmaya : Kya Tum Me Se Kisi Ne Ab Mere Saath Qir’at Kee Thi? Ek Shakhs Ne ‘Arz Kiya : Jee Ha’n! Ya RasoolAllah ﷺ! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Bhi Keh Raha Tha Ki Kya Ho Gaya Hai Ki Mujh Se Qur’an Me Jhagada Kiya Ja Raha Hai Raawi Bayan Karte Hain Ki Yeh Sun Ne Ke Baa’d Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Jahri Namazo’n Me Qir’at Se Ruk Ga’e They.”

رواه الترمذي والنساءي وابن ماجاه ومالك.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 01/344, 345, Raqm-312,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/313, Raqm-826,

Nasa’i Fi As-Sunan,  02/103, Raqm-919,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/459, Raqm-848,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/86, Raqm-193,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/240, 284, 285, 301, 487,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/280, 281, Raqm-1255,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-297, 298, Raqm-271.]

38/272.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Imam Is Liye Banaaya Jaata Hai Ki Us Kee Iqtida’ Kee Jaa’e, Jab Woh Allahu Akbar Kahe To Tum Log Bhi Allahu Akbar Kaho, Aur Jab Qir’at Kare To Tum Chup Raho.”

رواه ابن ماجه وأبوداود وأحمد.

هذا حديث حسن صحيح.

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/458, Raqm-846,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/237, Raqm-604,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/320, Raqm-993,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/386, Raqm-420,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/331, Raqm-3799,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/115, Raqm-7137,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/281, Raqm-1257,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-298, 299, Raqm-272.]

39/273.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Imam Isee Liye Banaaya Jaata Hai Ki Us Kee Pairwi Kee Jaa’e, Jab Woh Takbeer Kahe To Tum Bhi Takbeer Kaho Aur Jab Woh Qir’at Kare To Tum Bhi Khaamosh Raho Aur Jab Woh (سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ) ‘SamiAllahu-Le-Man-Hamidah’ Kahe To Tum (اللَّهُمَّ رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ)  ‘Allah-Humma Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kaho.”

[Nasa’i Fi As-Sunan, 02/141, Raqm-921,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-299, Raqm-273.]

40/274.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Sarware Kaa’enaat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ek Aisee Namaz Se Faarigh Hu’e Jis Me Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Buland Aawaz Me Qir’at Farmaa’i Thi. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Daryaft Farmaya : Kya Tum Me Se Ab Kisi Shakhs Ne Mere Saath Qur’an Padha? Ek Shakhs Ne Kaha : Jee Ha’n! Ya RasoolAllah ﷺ! Mein Ne Padha. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Isee Liye To Mein Bhi Keh Raha Tha Kya Ho Gaya Ki Ko’i Shakhs Mujh Se Qur’an Me Jhagad Raha Hai. Jab Se Logo’n Ne Yeh Suna To Jis Namaz Me Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Baa Aawaz Qir’at Farmate They Ko’i Shakhs Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Pichhe Qir’at Na Karta.”

رواه نسائي.

[Nasa’i Fi As-Sunan, 02/140, Raqm-919,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-299, 300, Raqm-274.]

41/275.    “Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Sarware DoAalam SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaaze Zuhar Ada Farmaa’i, Ek Shakhs Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Pichhe (سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الأَعْلَى)  Padha, Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Namaz Ada Farma Chuke To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Daryaft Farmaya : Is Soorah Ko Kis Shakhs Ne Padha? Ek Shakhs Ne ‘Arz Kiya : Mein Ne. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mujhe Aysa Ma’loom Hua Goya Ko’i Shakhs Mujh Se Qur’an Me Jhagad Raha Hai.”

[Nasa’i Fi As-Sunan, 02/141, Raqm-917,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/207,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-300, Raqm-275.]

42/276.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Imam Is Liye Hota Hai Ki Us Kee Iqtida’ Kee Jaa’e. Jab Woh (اَللهُ اَكْبَرُ)  ‘Allahu Akbar’  Kahe To Tum  (اَللهُ اَكْبَرُ) ‘Allahu Akbar’ Kaho, Jab Woh Qir’at Kare To Tum Khaamosh Raho Jab Woh (وَلَا الضَّالِّيْنَ) ‘Wa-Lad-Daallin’ Kahe To Tum (آمِيْنَ) ‘Aameen‘ Kaho, Jab Woh Rukoo’ Kare Tum Rukoo’ Karo, Jab Woh  (سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ) ‘SamiAllahu-Le-Man-Hamidah’ Kahe To Tum  (اللَّهُمَّ رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ) ‘Allah-Humma Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kaho Jab Woh Sajda Kare To Tum Sajda Karo, Aur Jab Woh Bayth Kar Namaz Padhe To Tum Bhi Bayth Kar Namaz Padho.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/276, Raqm-846,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-300, 301, Raqm-276.]

43/277.    “Hazrat Aboo Moosa Ash’ari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Imam Qir’at Kare To Tum Khaamosh Raho,  Jab Woh Qa’ade Me Ho To Tum Pehle At-Tahiyyaat Padha Karo.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/276, Raqm-847,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-301, Raqm-277.]

44/278.    “Hazrat Naafea RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Jab Muqtadi Kee Qir’at Ke Baare Me Sawaal Kiya Gaya Ki Kya Muqtadi Bhi Imam Ke Pichhe Qir’at Karega? To Unhone Farmaya : Jab Tum Me Se Ko’i Imam Ke Pichhe Namaz Padhe To Use Imam Kee Qir’at Kaafi Hai Aur Jab Akela Padhe To Khud Qir’at Kare. Naafea Farmate Hain Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Khud Bhi Imam Ke Pichhe Qir’at Nahin Karte They.”

[Malik Fi Al-Muwatta’, 01/86, Raqm-192,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/284, Raqm-1283,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-301, 302, Raqm-278.]

45/279.    “Hazrat Aboo Moosa Ash’ari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Unhone Farmaya Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hame’n Ta’leem Dete Hu’e Farmaya : Jab Tum Namaz Ke Liye Khade Ho To Ko’i Ek Tumhara Imam Ban Jaa’e Aur Jab Imam Qir’at Kare To Tum Khaamosh Raha Karo.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/415,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-302, Raqm-279.]

46/280.    “Hazrat Zayd Bin Aslam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Imam Kee Iqtida’ Me Qir’at Karne Se Mana Farmaya Karte They Aur Hamaare Masha’ikh Ne Mujhe Bataaya Hai Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Farmaya : Us Shakhs Kee Namaz Nahin Jo Imam Kee Iqtida’ Me Qir’at Kare Aur Hazrat Moosa Bin Uqba RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Mujhe Bataaya Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hazrat Aboo Bakr, Hazrat ‘Umar Wa Hazrat ‘Uthman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Imam Ke Pichhe Qir’at Karne Se Mana Farmaya Karte They.”

[‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/139, Raqm-2810,

Imam Muhmamad Fi Al-Muwatta’, 01/98,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-302, Raqm-280.]

47/281.    “Hazrat Aboo Wa’il Se Riwayat Hai Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Imam Kee Iqtida’ Me Qir’at Kerne Ke Baare Me Poochha Gaya To Unhone Farmaya : Khaamosh Raho Ki Namaz Me Masrufiyat Hai Tujhe Imam Is (Qir’at)  Kee Kifaayat Kar Dega.”

[Imam Muhmamad Fi Al-Muwatta’, : 96,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/284, Raqm-1273,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-303, Raqm-281.]

48/282.    “Hazrat Alaqama Bin Qays RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Jahari (Jin Me Aawaaz Se Qir’at Hoti Hai) Aur Sirri (Jin Me Qir’at Aahista Hoti Hai) Dono’n Tarah Kee Namazo’n Me Imam Ke Pichhe Qir’at Nahin Karte They.”

[Imam Muhmamad Fi Al-Muwatta’, : 96,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-303, Raqm-282.]

49/283.    “Dawud Bin Qays Farra Madani Kehte Hain Ki Mujhe Hazrat Sa’iyd Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Aulaad Me Se Kisi Ne Bataaya Ki Hazrat Sa’iyd Bin Aboo Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmaya Karte They : Mein Yeh Pasand Karta Hoo’n Ki Jo Shakhs Imam Ke Pichhe Qir’at Kare Us Ke Moo’nh Me Angaar Ho.”

[Imam Muhmamad Fi Al-Muwatta’, : 98,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-303, Raqm-283.]

50/284.    “‘Abd Allah Bin Abi Layla Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Imam Kee Iqtida’ Me Qir’at Karne Se Mana Kiya Karte They.”

[‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/138, Raqm-2805,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-304, Raqm-284.]

51/285.    “Imam Muhammad Bin Ujalaan Se Riwayat Hai Ki Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Meri Yeh Khwahish Hai Ki Jo Shakhs Imam Ke Pichhe Qir’at Kare Us Le Moo’nh Me Pat’thar Ho.”

[‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/138, Raqm-2806,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-304, Raqm-285.]

52/286.    “Hazrat Aboo Hamzah Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se ‘Arz Kiya : Kya Mein Qir’at Karoo’n Jab Ki Imam Mere Saamne Ho? To Unhone Farmaya : Nahin.”

[Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/284, Raqm-1282,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-304, Raqm-286.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-04 : ﴾Huzoor Nabiyye Akram ﷺ Ka Tareeqa-e Namaz﴿

Buland Aawaaz Se Aameen Na Kehne Ka Bayaan

Fasl-04 :

Buland Aawaaz Se Aameen Na Kehne Ka Bayaan

53/287.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Imam (غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّيْنَ) ‘Ghay-Ril Magh-Doobi A’Lay-Him Wa-Lad-Daallin’ Kahe To Tum Kaho : (آمِيْنَ)  ‘Aameen’, Jis Ka Kehna Firishto’n Kee Tarah Hoga To Us Ke Saabiqa Gunaah Bakhsh Di’e Jaate Gain.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/271, Raqm-749,

Muslim Fi As-Sahih, 01/307, Raqm-410,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/354, Raqm-935,

Nasa’i Fi As-Sunan, 02/105, Raqm-927, 929,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/106, Raqm-1804,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/340, Raqm-797,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-305, Raqm-287.]

54/288.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hame’n Ta’leem Dete They Ki Imam Par Sabqat Na Karo, Jab Imam Takbeer Kahe To Tum Bhi Takbeer Kaho,  Aur Jab Woh (وَلَا الضَّالِّيْنَ) ‘Wa-Lad-Daallin’ Kahe To Tum ‘Aameen’ Kaho, Aur Jab Woh Rukoo’ Kare To Tum Rukoo’ Karo Aur Jab Woh (سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ) ‘SamiAllahu-Le-Man-Hamidah’ Kahe To Tum (اللَّهُمَّ رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ) ‘Allah-Humma Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kaho.”

[Muslim Fi As-Sahih, 01/310, Raqm-315,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/34, Raqm-1576,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/92, Raqm-2424,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-305, 306, Raqm-288.]

55/289.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Ki Jab Imam (غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّيْنَ)  ‘Ghay-Ril Magh-Doobi A’Lay-Him Wa-Lad-Daallin’ Kahe Aur Us Ke Pichhe Muqtadi Aameen Kahe Aur Aameen Padhne Waalo’n Ka Qaul Firishto’n Ke Qaul Ke Muafiq Ho Jaa’e To Namazi Ke Pichhle Tamam Gunaah Maaf Kar Di’e Jaate Hain.”

[Muslim Fi As-Sahih, 01/307, Raqm-410,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/449, Raqm-9803,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 02/456, Raqm-1689,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-36, Raqm-289.]

56/290.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Imam (غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّيْنَ)  ‘Ghay-Ril Magh-Doobi A’Lay-Him Wa-Lad-Daallin’ Kahe To Tum (آمِيْنَ) ‘Aameen’ Kaho. Be Shak Firishte Bhi Aameen Kehte Hain Aur Imam Bhi Aameen Kehta Hai. To Jis Kee Aameen Firishto’n Ke Saath Mil Jaa’egi Us Ke Pichhle Gunaah Bakhsh Di’e Jaa’enge.”

[Nasa’i Fi As-Sunan, 01/144, Raqm-927,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-306, Raqm-290.]

57/291.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Imam (غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّيْنَ)  ‘Ghay-Ril Magh-Doobi A’Lay-Him Wa-Lad-Daallin’ Keh Chuke To Tum (آمِيْنَ) ‘Aameen’ Kaho Kyun Ki Jis Shakhs Ka Aameen Kehna Firishto’n Ke Aameen Kehne Kee Tarah Ho Jaa’ega Us Ke Pichhe Gunaah Maaf Farma Di’e Jaa’enge.”

[Nasa’i Fi As-Sunan, 02/144, Raqm-929,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-307, Raqm-291.]

58/292.    “Hazrat Wa’il Bin Hujr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne (غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّيْنَ) ‘Ghay-Ril Magh-Doobi A’Lay-Him Wa-Lad-Daallin’ Padha To Kaha : (آمِيْنَ) ‘Aameen’ Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Aameen Kee Aawaz Ko Past Kiya.”

رواه الترمذي وأحمد والحاكم.

وقال أبوعيسى : هذا هديث صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 01/289, Raqm-248,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/316,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/253, Raqm-2913,

Tayalisi Fi Al-Musnad : 138, Raqm-1024,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-307, Raqm-292.]

59/293.    “Hazrat Aboo Wa’il RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Ali Aur Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Tasmiyah (بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيمِ)  ‘Bismillah Hirrahma Nirrahim’ Aur Ta’awwuz  (أَعُوْذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيْمِ) A’uzu Billahi Minash-Shayta Nirrajim’ Aur Taameen (آمِيْنَ)  ‘Aameen’ Buland Aawaaz Se Nahin Kehte They.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 09/263, Raqm-9304,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 02/108,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-307, 308, Raqm-293.]

60/294.    “Hazrat Ibrahim Nakha’i RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain, Paanch-05 Cheezo’n Me Ikhfa Kiya Jaa’ega : Sana  (سُبْحَانَكَ اللهُمَّ وَبِحَمْدِكَ) , Ta’awwuz  (أَعُوْذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيْمِ) A’uzu Billahi Minash-Shayta Nirrajim’, Tasmiyah (بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيمِ) ‘Bismillah Hirrahma Nirrahim’, Taameen (آمِيْنَ) ‘Aameen’, Aur Tahmeed  (اللَّهُمَّ رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ) ‘Allah-Humma Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’.”

[‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/87, Raqm-2597,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-308, Raqm-294.]

61/295.    “Hazrat Aboo Wa’il RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Umar Aur Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Tasmiyah (بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيمِ)  ‘Bismillah Hirrahma Nirrahim’, Ta’awwuz (أَعُوْذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيْمِ) A’uzu Billahi Minash-Shayta Nirrajim’ Aur Taameen (آمِيْنَ) ‘Aameen’ Buland Aawaaz Se Nahin Kehte They.”

[Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/263, Raqm-1173,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-308, Raqm-295.]

62/296.    “Imam Ibrahim Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Chaar⁴ Cheezo’n Ko Imam Se Aahista Kaha Jaa’ega : Ta’awwuz (أَعُوْذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيْمِ) A’uzu Billahi Minash-Shayta Nirrajim’, Tasmiyah (بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيمِ)  ‘Bismillah Hirrahma Nirrahim’, Taameen (آمِيْنَ) ‘Aameen’, Tahmeed (اللَّهُمَّ رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ) ‘Allah-Humma Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’.”

[Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 08/274, Raqm-22894,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-308, 309, Raqm-296.]