Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-06 : ﴾Farz Namazo’n Ke Baa’d Du’aa Karna﴿

Fazeelate Du’aa Ka Bayaan

Fasl-01 :

Fazeelate Du’aa Ka Bayaan

01/327.    “Hazrat Nauman Bin Bashir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Du’aa Ayn Ibaadat Hai Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne (Bataure Daleel) Yeh Aayat Tilawat Farmaa’i : ‘Aur Tumhare Rabb Ne Farmaya Hai Tum Log Mujh Se Du’aa Kiya Karo Mein Zaroor Qubool Karunga, Be Shak Jo Log Meri Bandagi Se Sarkashi Karte Hain Woh Anqarib Dozakh Me Zaleel Ho Kar Daakhil Honge.”

رواه الترمذي وصححه وأبوداود.

وكال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/374, Raqm-3247,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/211, Raqm-2969,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/456, Raqm-3372,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/76, Raqm-1479,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1258, Raqm-3828,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/450, Raqm-11464,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/267, 271, 276,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/172, Raqm-890,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/667, Raqm-1802,

Aboo Ya’la Fi Al-Mu’jam, 01/262, Raqm-328,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/108, Raqm-801,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-333, Raqm-327.]

02/328.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Kee Bargah Me Du’aa Se Ziyaada Ko’i Cheez Mohtaram Wa Mukarram Nahin Hai.”

رواه الترمذي وحسنه وابن ماجه.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/455, Raqm-3370,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1258, Raqm-3829,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/151, Raqm-870,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/666, Raqm-1801,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/362, 2523,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/38, Raqm-1106,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/249, Raqm-712,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-333, 334, Raqm-328.]

03/329.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jise Pasand Ho Ki Allah Ta’ala Mushkilo’n Aur Takleefo’n Ke Waqt Us Kee Du’aa Qubool Kare, Woh Khush’haali Ke Awkaat Me Ziyaada Se Ziyaada Du’aa Kiya Kare.”

رواه الترمذي وأبوداود وابن ماجاه.

وقال الحاكم : صحيح الإسناد.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/462, Raqm-3382,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/76, Raqm-1479,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1258, Raqm-3828,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/450, 11464,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/172, Raqm-890,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/667, Raqm-1802,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/267, 271, 276,

Aboo Ya’la Fi Al-Mu’jam, 01/262, Raqm-328,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/108, Raqm-801,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-334, Raqm-329.]

04/330.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Du’aa Ibaadat Ka Maghz (Khulaasa Aur Jauhar) Hai.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/456, Raqm-3371,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/224, Raqm-3087,

Hakim At-Tirmidhi Fi Nawadir-ul-Usool Fi Ma’rifati Ahadith-ir-Rasool ﷺ , 02/113,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/191,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/317, Raqm-2534,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-335, Raqm-330.]

05/331.    “Hazrat Sulayman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Du’aa Ke Ilaawah Ko’i Cheez Taqdeer Ko Radd Nahin Kar Sakti Aur Neki Ke Ilaawah Ko’i Cheez ‘Umr Me Izaafa Nahin Kar Sakti.”

رواه الترمذي وأحمد.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/448, Raqm-2139,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/277, 280, 282, Raqm-22440, 22466, 22491,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/670, Raqm-1814,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/109, Raqm-29867,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/100, Raqm-1442,

Ahmad, Wat-Tabarani An Sawban RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Wal-Bazzar Fi Al-Musnad, 06/501, Raqm-2540,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-335, Raqm-331.]

06/332.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Azaan Aur Iqaamat Ke Darmiyan Maangi Jaane Waali Du’aa Radd Nahin Hoti.”

رواه الترمذي والنساءي.

وقال الترمذي : حديث أنس حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 01/415, Raqm-212,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/576, Raqm-3594, 3595,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/22, Raqm-98985, 9897,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/119, Raqm-12221, 12606, 13693,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/31, Raqm-29247,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 06/363, Raqm-3679,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,04/392, Raqm-1562,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/138, Raqm-5139,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/334,

Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 04/102,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-335, 336, Raqm-332.]

07/333.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmate Hu’e Suna : Allah Ta’ala Ne Farmaya : Aye Ibn Aadam!  Jab Tak Too Mujh Se Du’aa Karta Rahega Aur Ummid Rakhega Jo Kuchh Bhi Too Karta Rahe Mein Tujhe Bakhshata Rahunga Aur Mujhe Ko’i Parwaah Nahin. Aye Ibn Aadam! Agar Tere Gunaah Aasmaan Ke Baadalo’n Tak Pahonch Jaa’e’n Phir Bhi Too Bakhshis Maange To Mein Bakhsh Doonga. Aye Ibn Aadam! Agar Too Zameen Bhar Ke Baraabar Gunaah Bhi Le Kar Mere Paas Aa’e Phir Mujhe Is Haalat Me Mile Ki Toone Mere Saath Kisi Cheez Ko Shareek Na Thahraana To Yaqeenan Me Zameen Bhar Ke Baraabar Tujhe Bakhshish ‘Ata Karunga.”

رواه الترمذي والدارمي وأحمد والطبراني في الثلاثة.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/548, Raqm-3540,

Darami Fi As-Sunan, 02/414, Raqm-2788,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/167, Raqm-21510, 21544,

Tabarani An Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/19, Raqm-12346,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/337, Raqm-5483,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/82, Raqm-820,

Bayhaqi An Abi Zar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/17, Raqm-1042,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/216,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-336, 337, Raqm-333.]

08/334.    “Hazrat Aboo Darda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Ko’i Musalman Apne Musalman Bhai Ke Liye Us Kee Adam Maujoodagi Me Du’aa Karta Hai To (Mukarrar Karda) Firishta Kehta Hai Tere Liye Bhi Aysa Hee Ho (Jo Toone Apne Bhaai Ke Liye Du’aa Kee Hai).”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2094, Raqm-2732,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/452, Raqm-37598,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/268, Raqm-989,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/21, Raqm-29158, 29161,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-337, Raqm-334.]

09/335.    “Hazrat Ummi Darda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmaya Karte They : Musalman Kee Apne Bhai Ke Liye Us Kee Adam Maujoodagi Me Kee Jaane Waali Du’aa Maqbool Hoti Hai. Us Ke Sir Ke Paas Ek Firishta Muqarrara Hota Hai Jab Bhi Woh Apne Us Bhai Ke Liye Nek Du’aa Karta Hai, To Firishta Kehta Hai Aameen Aur Tujhe Bhi Ayse Hee Naseeb Ho (Jayse Ki Toone Apne Bhaai Ke Liye Du’aa Kee Hai.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2094, Raqm-2733,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/452, Raqm-27599,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 03/353,

Ibn Ghazwan Kitab-ud-Dua’a, 01/234, Raqm-63,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-337, 338, Raqm-335.]

10/336.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Amr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Duaao’n Me Sab Se Jaldi Qubool Hone Waali Du’aa Woh Hai Jo Ek Gaayib Shakhs (Ikhlaas Ke Saath) Doosre Gaayib Shakhs Ke Liye Kare.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/352, Raqm-1980,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/89, Raqm-1535,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/21, Raqm-29159,

Daylami Al-Firdaws Bimasur Al-Khattab, 01/369, Raqm-1490,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/1331, Raqm-327, 331,

Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 02/265, Raqm-1328, 1330,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/43, Raqm-4734,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-338, Raqm-336.]

11/337.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Teen³ (Qism Ke Logo’n Kee) Duaaye Bila Shak Wa Shub’ha Maqbool Hain, Mazloom Kee Du’aa, Musaafir Kee Du’aa Aur Waalid Kee Apni Aulaad Ke Liye Kee Ga’i Bad-Du’aa.”

رواه الترمذي وأبوداود وأحمد.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/314, Raqm-1905,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/502, Raqm-3448,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/89, Raqm-1536,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/258, Raqm-7501, 7564, 10199, 10719, 10781,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 06/416, Raqm-2699,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/105, Raqm-29830,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/25, Raqm-32,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/12, Raqm-24,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/300, Raqm-3594,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/43, Raqm-4735,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-338, 339, Raqm-337.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-06 : ﴾Farz Namazo’n Ke Baa’d Du’aa Karna﴿

Farz Namazo’n Ke Ba’d Du’aa Karne Ka Bayaan

Fasl-02 :

Farz Namazo’n Ke Ba’d Du’aa Karne Ka Bayaan

12/338.    “Hazrat Aboo Umama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me ‘Arz Kiya Gaya : Kis Waqt Kee Du’aa Ziyaada Suni Jaati Hain? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Raat Ke Aakhiri Hisse Me (Kee Ga’i Du’aa) Aur Farz Namazo’n Ke Baa’d (Kee Ga’i Du’aa Jald Maqbool Hoti Hai).”

رواه الترمذي والنساءي.

وقال الترمذي : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/526, Raqm-3499,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/32, Raqm-9936,

Abd-ur’Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/424, Raqm-3944,

Nasa’i Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa’l-Laylah, 01/186, Raqm-108,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/370, Raqm-3428,

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 01/454, Raqm-803,

Bayhaqi Fi As-Sunan-us-Sughra, 01/477, Raqm-839, 840,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam, 01/273,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/321, Raqm-2550,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,11/134,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-340, Raqm-338.]

13/339.    “Hazrat Mughirah Bin Shu’bah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Har Farz Namaz Ke Baa’d Yoo’n Kaha Karte They Aur Bukhari Kee Riwayat Me Hai : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Har Namaz Ke Baa’d Jab Salam Pherte To Yoo’n Kaha Karte They Aur Muslim Kee Riwayat Me Hai : Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Namaz Se Faarigh Hote Aur Salam Pherte To Is Ke Baa’d Yoo’n Farmate : Nahin Hai Ko’i Ma’bood Magar Allah Ta’ala,  Woh Tanha Hai Us Ka Ko’i Shareek Nahin, Usi Kee Badshahi Hai Aur Usi Ke Liye Sab Ta’reefein Hain Aur Woh Har Cheez Par Qudrat Rakhta Hai. Aye Allah! Jise Too De Use Ko’i Rokne Waala Nahin Aur Jis Too Roke Use Ko’i Dene Waala Nahin Aur Kisi Daulatmand Ko Tere Muqaabale Me Daulat Nafa Nahin Degi.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/289, Raqm-808,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2332, Raqm-5971,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2439, Raqm-6341,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2659, Raqm-6862,

Muslim Fi As-Sahih, 01/414, Raqm-593,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/96, Raqm-299,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/82, Raqm-1505,

Nasa’i Fi As-Sunan, 03/70, Raqm-1341, 1342,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/97, 245, 247, 250, 254, 255,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 01/365, Raqm-742,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/345, Raqm-2005, 2007,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/269, Raqm-3096,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/32, Raqm-29260,

‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/244, Raqm-3224,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/185, Raqm-2840,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/388, Raqm-914,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-340, 341, Raqm-339.]

14/340.    “Hazrat Amr Bin Maymoon Awdi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Apne Sahabzado’n Ko In Kalimaat Kee Ayse Ta’leem Dete Jayse Ustaad Bachcho’n Ko Likhna Sikhaata Hai Aur Farmate : Be Shak Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Har Namaz Ke Baa’d In Kalimaat Ke Zareeye Allah Ta’ala Kee Panaah Talab Kiya Karte They (Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmate: ) Aye Allah! Mein Buzdili Se Teri Panaah Chaahta Hoo’n Aur Mein Zillat Kee Jindagi Kee Taraf Lautaaye Jaane Se Teri Panaah Chaahta Hoo’n Aur Dunya Ke Fitne Se Teri Panah Maangta Hoo’n Aur Azabe Qabr Se Teri Panaah Maangta Hoo’n. (Hazrat Amr Bin Maymoon Bayan Karte Hain) Jab Mein Ne Yeh Hadith Hazrat Mus’ab (Bin Sa’d) Ke Saamne Bayan Kee To Unhone Bhi Is Kee Tasdeeq Kee.”

رواه البخاري والترمذي.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح.

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1038, Raqm-2667,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2341, Raqm-6004,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/562, Raqm-3567,

Nasa’i Fi As-Sunan,  08/267, Raqm-5447,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/186, Raqm-1621,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 01/367, Raqm-746,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/371, Raqm-2024,

Bazzar Fi Al-Musnad,  3/343, Raqm-1144,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/18, Raqm-29130,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/110, Raqm-771,

Nasa’i Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa’l-Laylah, 01/198, Raqm-131,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-341, 342, Raqm-340.]

15/341.    “Hazrat Mu’aadh Bin Jabal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ek Din Un Ka Haath Pakad Kar Farmaya : Aye Mu’aadh! Mein Tum Se Mahabbat Karta Hoo’n Hazrat Mu’aadh RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya (Ya RasoolAllah ﷺ! ) Mere Maa Baap Aap Par Qurban Ho’n Mein Bhi Aap Se Mahabbat Karta Hoo’n. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Mu’aadh! Mein Tumhe’n Naseehat Karta Hoo’n Ki Har Namaz Ke Baa’d Yeh Du’aa Maangna Harghiz Na Chhodna : Aye Allah! Apne Zikr, Shukr Aur Achchhi Tarah Ibaadat Kee Adaaygi Me Meri Madad Farma. Phir Hazrat Mu’aadh Ne Sunaabihi Ko Is Du’aa Kee Naseehat Kee Aur Unhone Aboo ‘Abd-ir-Rahman Ko Naseehat Kee (Ki Har Namaz Ke Baa’d Yeh Du’aa Zaroor Maangna).”

رواه أبوداود ووالنساءي واللفظ له و ةأحمد وابن حبان والحاكم.

وكال الحاكم : هذا حديث صحيح على شرط اشيخين.

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/86, Raqm-1522,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/32, Raqm-9937,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05244, Raqm-22172,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/365, Raqm-2021,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/407, Raqm-1010,

Bazzar Fi Al-Musnad, 07/104, Raqm-2661,

Bayhaqi Fi As-Sunan-us-Sughra, 01/27, Raqm-17,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/60, Raqm-110,

Nasa’i Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa’l-Laylah, 01/187, Raqm-109,

Ibn Sunni Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa Al-Laylah, 01/45, Raqm- 119,

Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib, 02/300, Raqm-2475,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-342, 343, Raqm-341.]

16/342.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayan Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aaj Raat Mera Rabb Mere Paas Nihaayat Ahsan Soorat Me Aaya Allah Ta’ala Ne Mujh Se Farmaya : Aye Muhammad ﷺ! Aap Namaz Ada Kar Chukein To Yeh Du’aa Maange. Aye Allah! Mein Tujh Se Achchhe Aamaal Ke Apanaane, Bure Aamaal Ko Chhodne Aur Masaakeen Kee Mahabbat Ka Sawwal Karta Hoo’n Aur Jab Too Apne Bando’n Ko Aazmaane Ka Iraada Kare To Mujhe Us Se Pehle Hee Baghair Aazmaaye Apne Paas Bula Le.”

رواه الترمذي ومالك وأحمد.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح، وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/366, 368, Raqm-3233, 3235,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/218, Raqm-508,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/368, Raqm-3484,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/243, Raqm-22162,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/708, Raqm-1932,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/109, Raqm-216,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/228, Raqm-682,

Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib, 01/159, Raqm-591,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 07/177,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-343, 344, Raqm-342.]

17/343.    “Hazrat Aboo Ayyub RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Jab Bhi Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Iqtida’ Me Namaz Padhi To Dekha Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Namaz Se Faarigh Hote To Mein Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Formate Hu’e Sunta : Aye Mere Allah! Meri Tamam Khataaye Aur Gunaah Bakhsh De, Aye Mere Allah! Mujhe (Ibadat Wa Ita’at Ke Liye) Chust-Durust Rakh Aur Mujhe Apni Aazmaaish Se Mahfooz Rakh Aur Mujhe Nek Aamaal Aur Akhlaaq Kee Rahnumaa’i ‘Ata Farma, Be Shak Nek Aamaal Aur Akhlaaq Kee Hidaayat Tere Siwa Ko’i Nahin Deta Aur Bure Aamaal Aur Akhlaaq Se Tere Siwa Ko’i Nahin Bachaata.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/365, Raqm-610,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/362, Raqm-4442,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/125, Raqm-3875,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/227, Raqm-7893,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/522, Raqm-5942,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/475, Raqm-1935,

Ibn Sunni Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa Al-Laylah, 01/45, Raqm-117,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/173,

وقال : ورجاله وثقوا.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-344, 345, Raqm-343.]

18/344.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Mein (Namaz Me) Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ain Pichhe Khada Hota Tha. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Salam Pherte To Farmate : Aye Mere Allah! Meri ‘Umr Ka Aakhiri Hissa Behtareen Bana De, Aye Mere Allah! Mere Aamaal Ka Khaatma Apni Raza Par Kar, Aye Mere Allah! Mere Dino’n Me Se Behtareen Din Us Ko Bana Jis Din Mein Tere Saath Mulaqat Karu’n.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/157, Raqm-9411,

Ibn Sunni Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa Al-Laylah, 01/46, Raqm-122,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/480, Raqm-1962,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/110,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-345, Raqm-344.]

19/345.    “Hazrat Aboo Umama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Mein Jab Bhi Farz Namaz Ya Nafl Namaz Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Pichhe Khada Hua To Mein Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko In Kalimaat Se Du’aa Farmate Hu’e Suna Jin Me Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Na Ijaafa Farmete They Aur Na Kami (Woh Kalimaat Yeh Hai). Aye Mere Allah! Meri Khataaye Aur Gunaah Bakhsh De,  Aye Mere Allah! Mujhe (Apni Ibaadat Aur Ita’at Ke Liye) Chust-Durust Kar De Aur Mujhe Apni Aazmaaish Se Mahfooz Rakh Aur Mujhe Nek Aamaal Aur Akhlaaq Kee Rahnumaa’i ‘Ata Farma,  Phir Be Shak Tere Siwa In Nek Aamaal Kee Rahnumaa’i Ko’i Nahin Farmata Aur Na Hee Tere Siwa Bure Aamaal Aur Akhlaaq Se Ko’i Bachaata Hai.”

رواه الطبراني والديلمي ورجاله ثقات.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/200, 251, Raqm-7811, 7982,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/475, Raqm-1935,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/112,

وقال : رواه الطبراني ورجاله رجال الزبير بن خريق وهو ثقت،

Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 02/170,

Qazwini At-Tadwin, 03/252,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-345, 346, Raqm-345.]

20/346.    “Marwan Se Riwayat Hai Ki Un Kee Maujoodagi Me Hazrat Ka’b (Ahbaar) RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Halaf Uthaaya Ki Us Zaat Kee Qasam Jis Ne Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Liye Darya Ko Cheer Diya! Hum Ne Tauraat Me Dekha Ki Hazrat Dawud ‘Alayh-is-Salam Jab Namaz Se Faarigh Hote To Woh (Ya’ni Hazrat Dawud ‘Alayh-is-Salam) Yoo’n Du’aa Karte. Aye Allah! Woh Deen Jis Se Mera Bachaaw Hai Use Durust Farma De. Aur Meri Dunya Jis Me Mera Rizk Hai Us Kee Islaah Farma. Aye Allah! Mein Tere Ghazab Se Teri Razamandi Kee Panaah Talab Karta Hoo’n Aur Tere ‘Azaab Se Teri Maafi Kee Panaah Maangta Hoo’n Too Jo Kuchh ‘Ata Kare Use Ko’i Rokne Waala Nahin Aur Jo Too Rok Le Use Ko’i Dene Waala Nahin Hai Aur Maaldaar Ka Maal Tere Nazdeek Kisi Kaam Na Aa’ega. Marwan Ne Kaha Ki Mujh Se Hazrat Ka’b RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Bayan Kiya Aur Hazrat Suhayb RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Un Se Bayan Kiya Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Namaz Ada Farma Lete To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Bhi Yeh Kalimaat Irshaad Farmate.”

رواه النساءي وابن خزيمة والطبراني.  إسناده صحيح.

[Nasa’i Fi As-Sunan, 03/73, Raqm-1346,

As-Sunan-ul-Kubra, 01/400, Raqm-1269,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 01/366, Raqm-745,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/33, Raqm-7298,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,08/65, Raqm-59,

وقال إسناده صحيح.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-346, 347, Raqm-346.]

21/347.    “Hazrat Aboo Zubayr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Unhone Bayan Kiya Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin Zubayr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Har Namaz Me Salam Pherne Ke Baa’d (Du’aa Me) Kaha Karte They : Allah Ta’ala Ke Siwa Ko’i Ma’bood Nahin, Woh Akela Hai, Us Ka Ko’i Shareek Nahin, Usi Ke Liye Badshahi Hai Aur Usi Ke Liye Tamam Taareefein Hain Aur Woh Har Shai Par Qudrat Rakhta Hai Allah Ta’ala Ke Siwa Ko’i Ghaalib Aane Waala Aur Quwwat Rakhne Waala Nahin Aur Hum Siwaaye Us Ke Kisi Kee Ibaadat Nahin Karte Us Ke Liye Tamam Ne’matein Hain, Usi Ke Liye Fazl Aur Tamam Achchhi Taareefein Hain Allah Ta’ala Ke Siwa Ko’i Ma’bood Nahin Usi Ka Deen Khaalis Hai Agarche Kafiro’n Ko Yeh Naagawaar Guzre.”

“Aur Imam Shafi’iy RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ki Riwayat Ke Alfaz Hain : Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam In Kalimaat Ko Har Namaz Ke Baa’d Buland Aawaaz Se Ada Farmaate They, Phir Aage Usi Tarah Hadith Zikr Kee.”

[Muslim Fi As-Sahih, 01/415, Raqm-594,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/82, 1506, 1507,

Nasa’i Fi As-Sunan, 03/70, Raqm-1340,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/398, Raqm-1263,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/38, Raqm-9956,

Shafi’iy Fi Al-Musnad, 01/44,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/04,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/33, Raqm-29262,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 12/184, Raqm-6811,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/184, Raqm-2839,

Tabarani Kitab Ad-Dua’a, 01/216, Raqm-681,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-347, 348, Raqm-347.]

22/348.    “Hazrat Arzaq Bin Qays RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Bayan Hai Ki Ek Imam Ne Hame’n Namaz Padhaa’i Jinhe’n Log Aboo Ramsa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bhi Kehte They,  Unhone Farmaya Ki Mein Ne Yeh Namaz Yas Is Jaisi Nanaz Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Padhi Hai. Farmaya Ki Hazarat Aboo Bakr Aur Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Pehle Saf Me Daaye’n Jaanib Khade They Aur Ek Aadami Namaz Kee Takbeere Oola Me Aa Shaamil Hua. Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaz Padha Lee To Daaye’n Jaanib Salam Phera,  Yaha’n Tak Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Rukhsaaro’n Kee Safedi Hum Ne Dekhi. Phir Ayse Hee Mude Jaise Aboo Ramsa Mude Hain Ya’ni Woh Khud. Phir Jo Shakhs Takbeere Oola Me Aa Kar Shaamil Hua Tha Khada Ho Kar Dogaana Padhne Laga Pas Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Us Kee Taraf Jhapte Aur Use Kandho’n Se Pakad Kar Hilaaya Phir Farmaya Ki Bayth Jaao Kyun Ki Ahle Kitab Sirf Is Wajah Se Halaak Hu’e Ki Un Kee Namazo’n Ke Darmiyan Waqfa Nahin Rehta Tha . Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Nigaah Mubarak Uthaa’i Aur Farmaya : Aye Ibn Khattab! Allah Ta’ala Ne Tumhe’n Sahi Baat Kee Taufique ‘Ata Farmaa’i Hain.”

رواه أبوداود والحاكم والبيهقي والطبراني.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح على شرط مسلم.

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/264, Raqm-1007,

Hakim Fi Al-Mustadrak,  01/403, Raqm-996,

Bayhaqi Fi As-Sunan-us-Sughra, 01/395, Raqm-675,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/190, Raqm-2867,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/316, Raqm-2088,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-348, 349, Raqm-348.]

23/349.    “Imam Abd Bin Humayd,  Imam Ibn Jareer, Imam Ibn Mundhir, Imam Ibn Abi Haatim Aur Imam Ibn Mardawya Ne Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Kee Taraf Se Aallah Ta’ala Ke Is Farman ( فَإِزَا فَرَغْتَ فَانْصَبْ) Me Riwayat Kiya Hai Ki Is Se Muraad Yeh Hai Ki ˝Aye Mehboob! Jab Aap Namaz Se Faarigh Ho Jaa’e’n To Du’aa Me Mashgool Ho Jaaya Kare Aur Allah Ta’ala Se Maanga Kare Aur Usi Kee Taraf (Kaamil Yaksoo’i Se) Raaghib Hua Kare.”

[Ibn Jarir Tabari Fi Jaame’-ul-Bayani ‘An Ta’wili Aayi-‘l-Qur’an Tafsir-ut-Tabari,30/236,

Suyooti Fi Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bil-Ma’thoor, 08/551,

Bayzawi Anwar-ul-Tanzil, 05/506,

Shawkani Fi Fat’h-ul-Qadir Al-Jaame’ Bayna Fanni Ar-Riwayah Wa’d-Dirayah Min ‘‘Ilm-it-Tafsir, 05/463,

Ibn Jawzi Fi Zad-ul-Maseer Fee ‘‘Ilm-it-Tafseer, 09/166,

Aloosi Fi Rooh-ul-Ma’ani Fi Tafsir Al-Qur’an Al-Azim Wa Al-Sab’ Al-Mathani, 30/172,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-349, 350, Raqm-349.]

24/350.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain (فَإِزَا فَرَغْتَ) Ya’ni Jab Aap Namaz Se Faarigh Ho Jaa’e’n (فَانْصَبْ)To Du’aa Me Mashgool Ho Jaa’e’n (وَإِلَى رَبِّكَ فَارْغَبْ) Aur Sawaal Karne Me Apne Rabb Kee Taraf Hee Raaghib Hua Kare.”

[Suyooti Fi Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bil-Ma’thoor, 08/551,

Shawkani Fi Fat’h-ul-Qadir Al-Jaame’ Bayna Fanni Ar-Riwayah Wa’d-Dirayah Min ‘‘Ilm-it-Tafsir, 05/463,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-350, Raqm-350.]

25/351.    “Imam Abd-ur-Razzaq Aur Imam Abd Bin Humayd, Imam Ibn Jareer Aur Imam Ibn Mundhir Ne Hazrat Qatadah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Kee Hai : (فَإِزَا فَرَغْتَ فَانْصَبْ) Se Muraad Yeh Hai Ki Jab Apni Namaz Se Faarigh Ho Jaa’e’n To Khud Ko Du’aa Me Mashgool Kar Le.”

[Suyooti Fi Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bil-Ma’thoor, 08/552,

Jassas Fi Ahkam-ul-Qur’an, 05/373,

Nahhas Fi An-Nasikh Wa Al-Mansookh Fi Kitab Allahi Azza Wa Jall Wa Ikhtilaf Al-Ulama’ Fi Dhalik, 01/773,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-350, 351, Raqm-351.]

26/352.    “Hazrat Qatadah Zahaak Aur Maqaatil Allah Ta’ala Ke Is Farman : (فَإِزَا فَرَغْتَ فَانْصَبْ) Kee Tafsir Me Bayan Karte Hain Ki Is Se Muraad Hai Ki Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farz Namaz Se Faarigh Ho Jaa’e’n To Khud Ko Apne Rabb Kee Taaf Du’aa Karne Me Mashgool Kare Aur Sawaal Karne (Ya’ni Maangne) Me Usi Kee Taraf Raaghib Ho Woh Aap Ko ‘Ata Farma’ega.”

[Razi Fi At-Tafsir-ul-Kabir Aw Mafatih-ul-Ghayb, 32/08,

Suyooti Fi Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bil-Ma’thoor, 08/55,

Baghawi Fi Tafsir-ul-Baghawi Al-Musamma Ma’alim-ut-Tanzil, 04/503,

Sam’ani Fi Tafsir As-Sam’ani, 06/252,

Ibn Jawzi Fi Zad-ul-Maseer Fee ‘‘Ilm-it-Tafseer, 09/166,

Shawkani Fi Fat’h-ul-Qadir Al-Jaame’ Bayna Fanni Ar-Riwayah Wa’d-Dirayah Min ‘‘Ilm-it-Tafsir, 05/462,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-351, Raqm-352.]

27/353.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Allah Ta’ala Se (Du’aa) Nahin Maangta Allah Ta’ala Us Par Ghazab Farmata Hai.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/456, Raqm-3373,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/667, 668, Raqm-1806, 1807,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 12/10, Raqm-6655,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/229, Raqm-658,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam, 01/191,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-351, 352, Raqm-353.]

28/354.    “Hazrat ‘Abd Allah (Bin Mas’ood) RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Teen³ Baar Du’aa Aur Teen³ Baar Istaghfaar Karna Pasand Farmaya Karte They.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/86, Raqm-1524,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/119, Raqm-10291,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/394, 397, Raqm-3744, 3769, 3770,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/159, Raqm-10317,

Shashi Fi Musnad-ush-Shashi Al-Musamma Bi-‘l-Musnad Al-Kabir, 02/138, Raqm-677,

Nasa’i Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa’l-Laylah, 01/331, Raqm-457,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 04/348,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-352, Raqm-354.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-06 : ﴾Farz Namazo’n Ke Baa’d Du’aa Karna﴿

Du’aa Me Haath Uthaane Ka Bayaan

Fasl-03 :

Du’aa Me Haath Uthaane Ka Bayaan

29/355.    “Hazat Aboo Moosa Ash’ari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Du’aa Kee Aur Apne Dono’n Haath Uthaa’e, Yaha Tak Ki Mein Ne Aaap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Mubarak Baghalo’n Kee Safedi Dekhi.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2335,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1571, Raqm-4068,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-353, Raqm-355.]

30/356.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne (Du’aa Ke Liye) Haath Uthhaye Yaha Tak Ki Mein Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Baghal Mubarak Kee Safedi Dekhi.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2335,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/349, Raqm-984,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1307, Raqm-3372,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-353, Raqm-356.]

31/357.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apne Haath Uthaa’e ‘Arz Kiya : Aye Allah!  Jo Khaalid Ne Kiya Mein Teri Bargah Mein Us Se Bari Hoo’n.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2335,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1577, Raqm-4084,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2628, Raqm-6766,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/236, Raqm-5405,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/150, Raqm-6382,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 11/53, Raqm-4749,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 09/115,

‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 05/221, Raqm-9434,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-353, 354, Raqm-357.]

32/358.    “Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Du’aa Ke Liye Haath Uthaate To Apne Chehrae Aqdas Par Pherne Se Pehle (Haath) Neeche Na Karte They.”

رواه الترمذي والحاكم والبزار.

وقال أبوعيسى : هذا حديث صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/463, Raqm-3386,

‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/247, Raqm-3234,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/719, Raqm-1967,

Bazzar Fi Al-Musnad, 01/243, Raqm-129,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/124, Raqm-7053,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/44, Raqm-39,

Suyooti Fi Al-Jami-us-Saghiru Min Hadith-il-Bashir-in-Nadhir, 01/156, Raqm-236,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 05/138,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-354, Raqm-358.]

33/359.    “Hazrat Saabit Bin Yazeed RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Apne Waalid Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Du’aa Farmate To (Us Ke Liye) Apne Dono’n Hath Mubarak Uthaate (Phir Du’aa Ke Baa’d) Apne Chehra-e Anwar Par Haath Pherte.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/79, Raqm-1492,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/221,

Tabarani Al-Mu’jma-ul-Kabir, 22/241, Raqm-631,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/45,

Suyooti Fi Al-Jami-us-Saghiru Min Hadith-il-Bashir-in-Nadhir, 01/145, Raqm-216,

Maqrizi Fi Mukhtasar Kitab Al-Witr, 01/152,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-354, 355, Raqm-359.]

34/360.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Bhi Ko’i Shakhs Du’aa Ke Liye Haath Uthaata Hai (Aur Itne Buland Karta Hai) Yaha’n Tak Ki Us Kee Baghal (Kee Safedi) Zaahir Ho Jaati Hai Phir Woh Jo Kuchh Allah Ta’ala Se Maangta Hai Allah Ta’ala Use ‘Ata Farma Deta Hai Jab Tak Ki Woh Jaldi Na Kare. Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Jaldi Se Kya Muraad Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Is Tarah Kahe : Mein Ne Maanga, Mein Ne Maanga Lekin Mujhe Kuchh Na Diya Gaya.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 3608/3969,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-355, Raqm-360.]

35/361.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayan Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Tumhara Rabb Bada Hayaadaar Aur Kareem Hai Woh Us Baat Se Haya Mahsoos Karta Hai Ki Us Ka Ko’i Banda (Us Ke Saamne Du’aa Ke Liye) Haath Uthaa’e Aur Woh Unhe’n Khaali Lauta De Pas Jab Bhi Tum Mein Se Ko’i Du’aa Ke Liye Haath Uthaa’e To Yoo’n Kahe :  (يا حي ﻻ إله إﻻ أنت يا أرحم الرحمين) Yeh Kalimaat Teen³ Baar Dohraaye Phir Jab Woh Apne Haatho’n Ko (Waapas) Hataaye To Woh Unhe’n Apne Chehre Par Pher Le.”

[Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/106, Raqm-876,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 03/391, Raqm-1867,

Bazzar An Salman RadiyAllahu Ta’ala

Anhu Al-Musnad, 06/478, Raqm-2511,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/423, Raqm-13557,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/221, Raqm-847,

Ibn Rashid Fi Al-Jaame’, 10/443, Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 02/165, Raqm-1111,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/315, Raqm-2527,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/169, Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 02/87, Raqm-3266, 3268,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-355, 366, Raqm-361.]

36/362.    “Imam Zuhri Farmate Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Du’aa Me Apne Haath Mubarak Seenae Aqdas Tak Buland Farmate Aur Phir Du’aa Ke Baa’d Un Ko Apne Chehra-e Anwar Par Pher Lete.”

“Is Hadith Ko Imam Abd-ur-Razzaq Ne Riwayat Kiya Hai Aur Woh Farmate Hain Ki Mein Ne Imam Ma’ammar Ko Aksar (Du’aa Me) Aise Hee  Karte Dekha Aur Mera Apna Ma’mool  Bhi Yahi Hai.”

[‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/247, Raqm-3234, 3235,

‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 03/123, Raqm-5003,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-356, Raqm-362.]

37/363.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Farmate Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Du’aa Farmate To Apni Mubarak Hatheliyo’n Ko Apne Rookhe Zayba Kee Taraf Farma Lete.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/435, Raqm-12234,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/250, Raqm-5226,

Suyooti Fi Al-Jami-us-Saghiru Min Hadith-il-Bashir-in-Nadhir, 01/145, Raqm-217,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 05/133,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-356, 357, Raqm-363.]

38/364.    “Hazrat Khallaad Bin Saa’ib Ansari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Du’aa Farmate To Apni Hatheliyo’n Ko Apne Chera-e Anwar Ke Saamne Kar Lete.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/56,

Suyooti Fi Al-Jami-us-Saghiru Min Hadith-il-Bashir-in-Nadhir, 01/146, Raqm-217, 247,

Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 07/77, Raqm-1418,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Talkhis-ul-Habir, 02/100, Raqm-723,

Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 04/35,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-357, Raqm-364.]

39/365.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Du’aa Karte Hu’e Dekha Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apni Hatheliyo’n Ke Baatin Aur (Namaz Istiska’a-Baaris Mangne Waali Namaz Me) Zaahir Ko Yoo’n Kiya Hua Tha.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/78, Raqm-1487,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/427, Raqm-23670,

Shaybani Al-Mabsut, 01/102,

Qurtubi Fi Al-Jaame’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 11/237,

Ibn ‘Adi Fi Al-Kamil Fi Du’afa’-ir-Rijal, 05/32, Raqm-1202,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-357, Raqm-365.]

40/366.    “Hazrat Salman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaaya : Be Shak Allah Azza Wa Jala Ko Is Baat Se Haya Aati Hai Ki Us Ka Banda Du’aa Ke Liye (Us Ke Samne) Haath Uthhaaye Aur Woh Unhe’n Khaali Baghir Un Me Kuchh Daale Lauta De.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/256, Raqm-6148,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/84, Raqm-203, 205,

Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 02/87, Raqm-3267,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-357, 358, Raqm-366.]

41/367.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karet Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Ko’i Banda Du’aa Karta Hai Aur Apne Hath Ko Uthaata Hai Aur Allah Ta’ala Se Maangta Hai To Allah Ta’ala Farmata Hai : Beshk Mein Apne Is Bande Se Haya Karta Hoo’n Ki Mein Is Kee Du’aa Ko Radd Kar Doo’n”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/256, Raqm-6148,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/84, Raqm-203, 205,

Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 02/87, Raqm-3267,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-358, Raqm-367.]

42/368.    “Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Bayan Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Tumhara Rabb Bada Hayaadar Aur Sakhi Hai. Use Is Baat Se Haya Aati Hai Ki Ko’i Banda (Du’aa Ke Liye Us Ke Saamne) Apne Haath Uthhaye Aur Woh Unhe’n Khaali, Khairaat Daale Baghair Waapas Lauta De.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/256, Raqm-6148,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/84, Raqm-203, 205,

Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 02/87, Raqm-3267,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-358, Raqm-368.]

43/369.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Diwaaro’n Ko (Pardo’n Se) Naa Chhupaaya Karo Aur Jo Shakhs Apne Bhaai Ke Khat Me Baghair Us Kee Ijaazat Ke Dekhta Hai Be Shak Woh Jahannam Kee Aag Me Dekhta Hai. Allah Ta’ala Se Hatheliya’n Oopar Kar Ke Sawaal Kiya Karo Aur Haatho’n Kee Pusht Oopar Na Rakkha Karo Aur Jab Faarigh Ho Jaao To Unhe’n Chehre Par Mal Liya Karo.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/78, Raqm-1485,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/719, Raqm-1968,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/52, Raqm-29405,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/212, Raqm-2969.,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/319, Raqm-10779,

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/432, Raqm-1639,

Shaybani Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 04/410, Raqm-2459,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/306, Raqm-3383,

Maqrizi Fi Mukhtasar Kitab Al-Witr, 01/152,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/169,

وقال رجاله ثقاة ،

Qurtubi Fi Al-Jaame’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 11/337,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-358, 359, Raqm-369.]

44/370.    “Hazrat Aswad Aameeri Apne Waalid Se Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Namaaze Fajr Ada Kee Pas Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Salam Phera To Ek Taraf Rookhe Anwar Mod Kar Apne Dono’n Mubarak Haath Uthaa’e Aur Du’aa Farmaa’i.”

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/269, Raqm-3093,

Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 02/171,

وقال رواه ابن أبي شيبة في مصنفه،

Ibn Qudamah Fi Al-Mughni, 01/328,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-359, Raqm-370.]

45/371.    “Muhammad Bin Abi Yahya RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat ‘Abd Allah Bin Zubayr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Dekha Aur Unhone Ek Aadami Ko Namaz Se Farigh Hone Se Qabl Haath Uthaa’e Du’aa Maangte Hu’e Dekha Pas Jab Woh Namaz Se Farigh Hua To Hazrat ‘Abd Allah Bin Zubayr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Use Farmaya : Be Shak Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam (Du’aa Ke Liye) Haath Nahin Uthaate They Yaha’n Tak Ki Woh Namaz Se Farigh Na Ho Jaayein.”

رواه المقدسي والطبراني كما قال الحيشمي.

وقال : ورجاله ثقات.

[Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,09/336, Raqm-303,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/169,

وقال : رواه الطبراني وترجم له فقال محمد بن يحيى الأسامي عن عبدالله بن. الزبير ورجاله ثقات ،

Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 02/100,

وقال : رواه الطبراني ورجاله ثقات.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-359, 360, Raqm-371.]

46/372.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Kiya Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ko’i Bhi Banda-e (Momin) Aisa Nahin Jo Har Namaz Ke Baa’d Apni Hatheliya’n (Du’aa Ke Liye) Phailaata Hai Phir Yeh Kehta Hai : Aye Mere Allah! Aye Mere Aur Ibrahim Aur Is’haq Aur Yaqoob ‘Alayhima As-Salam Ke Ma’bod Aur Jibra’il Aur Mika’il Aur Israfil ‘Alayhima As-Salam Ke Ma’bood Mein Tujh Se Sawaal Karta Hoo’n Ki Too Meri Du’aa Ko Qubool Farma Kyon Ki Mein Majboor Hoo’n Aur Too Mujhe Mere Deen Me Mazboot Rakh Kyoo’n Ki Mein Aazma’ish Me Hoo’n Aur Too Mujhe Apni Rahmat Se Ziyaada Se Ziyaada Hissa ‘Ata Farma Kyoo’n Ki Mein Gunahgaar Hoo’n Aur Mujh Se Fiqr Ko Door Farma Kyoo’n Ki Mein Ek Miskin Hoo’n.”

Phir Allah Ta’ala Apne Zimma-e Karam Par Le Leta Hai Aur Us Ke Haatho’n Ko Naakaam Waapas Nahin Lautaata.”

[Ibn Asakir, 16/383,

Ibn Sunni Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa Al-Laylah, 01/52, Raqm-139,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/481, Raqm-1970,

Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 02/134, Raqm-3475,

Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 02/171,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-360, 361, Raqm-372.]

47/373.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hai Ki Mein RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Ghar Se Masjid Kee Taraf Nikla Aur Kuchh Log Masjid Me Apne Haatho’n Ko Uthhaye Allah ‘Azza Wa Jalla Se Du’aa Maang Rahe They To Mujhe Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Tum Woh Cheez Dekh Rahe Ho Jo Un Ke Haatho’n Me Hain? To Mein Ne ‘Arz Kiya : Aap Un Ke Haatho’n Me Kya Dekh Rahe Hain? To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Mein Un Ke Haatho’n Me) Noor (Dekh Raha Hoo’n) Mein Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Allah Ta’ala Se Du’aa Farmaa’e’n Ki Woh Mujhe Bhi Ye Noor Dikhaaye, Hazrat Anas Bayan Karte Hain Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Anas! Jaldi Karo Yaha’n Tak Ki Hum Bhi Un Logo’n Ke Saath (Du’aa Me) Sharik Ho Sake. Pas Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Jaldi-Jaldi Un Logo’n Kee Taraf Gaya Phir Hum Ne Bhi Du’aa Ke Liye Haath Utha Liye.”

[Bukhari Fi At-Tarikh-ul-Kabir, 03/202, Raqm-692,

Tabarani Kitab Ad-Dua’a, 01/85, Raqm-206,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-361, Raqm-373.]

48/374.    “Hazrat Fazl Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Namaz (Nafl) Do² Do² Rak’ate’n Hain Har Do² Rak’at Ke Baa’d Tashahhud Hai, Khushooa Wa Khuzooa Sukoon Aur Apne Rabb Kee Taraf Haatho’n Ko (Du’aa Me) Is Tarah Uthaana Ki Un Ka Andruni Hissa Moo’nh Kee Jaanib Rahe Aur Phir Kehna : Aye Rabb!  Aye Rabb!  Jis Ne Aisa Na Kiya Woh Aisa Hai Woh Aisa Hai.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/225, Raqm-385,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/212, 450, Raqm-615, 1440,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/167,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 18/295, Raqm-757,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/203, Raqm-770,

Aboo Mahasin Fi Mu’tasar Al-Mukhtasar, 01/38,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/106,

Ibn Qutaybah Ta’wil Mukhtalif-ul-Hadith, 01/168,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-362, Raqm-374.]

49/375.    “Hazrat Mutallib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Namaz Kee Do² Do² Rak’ate’n Hain Har Do² Rak’at Par Tashahhud Hai Aur (Namaz Se Faraghat Ke Baa’d Banda Apne Parwardigar Kee Bargah Me Apni) Musibat Wa Ghurbat Ka Haal ‘Arz Karta Hai Dono’n Haath Phaila Kar Kehta Hai, Ya Allah! (Yeh ‘Ata Farma Woh ‘Ata Farma ) Ya Allah!  Jo Aisa Na Kare Us Kee Namaz Na Mukammal Hai.”

Imam Ibn Khuzaymah Apni Sahih Me Is Hadith Kee Takharij Ke Baa’d Bayan Farmate Hain :  Is Hadith Me Du’aa Me Haath Uthaane Kee Mazid Sarah Hai Aur Yeh Ki Du’aa Maangne Waale Ko Kehna Chaahiye :  Aye Mere Allah!  Aye Mere Allah! Aur Lays Kee Riwayat Me Hain Ki Du’aa Maangne Waala Apne Dono’n Haath Allah Kee Taraf Uthaa’e Aur Unhe’n Apne Chehre Ke Saamne Rakkhe Aur Yeh Kahe : Aye Mere Rabb!  Aye Mere Rabb! Aur Rafa’ Yadain Aur Salam Se Pehle Tashahhud Sunnat Namaz Me Se Nahin Hai Aur Yeh Cheez Is Baat Par Dalaalat Karti Hai Ki Rafa’yadain, Aur Du’aa, Aur Sawaal Karna Salam Ke Baa’d Hai Ya’ni Dono’n Taraf Salam Pherne Ke Baa’d (Aur Namaz Mukammal Karne Ke Baa’d) Dono’n Haath Utha Kar Dua Karni Chahiye.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/29, Raqm-1296,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/419, Raqm-1325,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/212, 451, Raqm-616, 1441,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 02/220, 221, Raqm-1212, 1213,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/167,

Daraqutni Fi As-Sunan, 01/418, Raqm-04,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/488, Raqm-4354,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/407, Raqm-3811,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/203, Raqm-770,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-362, 363, Raqm-375.]

50/376 .   “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Farmate Hain : Mangne Ka Tariqa Yeh Hai Ki Apne Dono’n Haath Apne Kandho’n Tak Uthaawo Ya Un Ke Baraabar Aur Istaghfaar Ek Ungli Se Ishaara Karna Hai Aur Aajizi Ka Izhaar Dono’n Haatho’n Ka Ikat’the Phailana Hai.

Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas Bin Ma’bood Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Is Hadith Kee Riwayat Me Farmate Hain Ki Izhare Ajizi Is Tarah Hai :  Phir Unhone Apne Dono’n Haath Uthaa’e Aur Un Kee Pusht Apne Chehre Ke Saamne Rakhi.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/79, Raqm-1489, 1490,

Abd-’Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/250, Raqm-3247,

Tabarani Kitab Ad-Dua’a, 01/86, Raqm-208,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah, 09/486, Raqm-468, 469,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,11/143,

وقال : أخرجه أبوداود والحاكم ،

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Dirayah Fi Takhrij Ahadith-ul-Hidayah, 02/17, Raqm-426,

Zayla’iy Fi Nasb-ur-Rayah Takhrij Ahadith Al-Hidayah, 03/51,

San’ani Fi Subul Al-Salam, 04/219,

Zarqani Fi Sharh-ul-Zarqani ‘Ala Muwatta’ Imam Malik, 02/59, Raqm-123,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 01/184,

Azim Abadi Fi ‘Awn-ul-Ma’boodi Sharh Sunan Abi Dawud, 04/253,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-363, 364 Raqm-376.]

51/377.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Allah ‘Azza Wa Jalla Se Du’aa Karo To Apne Haath Kee Hatheliyo’n Se Du’aa Kiya Karo Na Ki Un Kee Pusht Se Aur Jab Du’aa Se Farigh Ho Jaao To Apne Haatho’n Ko Moo’nh Par Mal Lo.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1272, Raqm-3866,

Ibn Majah Fi As-Sunan,  01/373, Raqm-1181,

Kinani Fi Misbah Al-Zujajah Fi Zawa’id Ibn Majah, 01/141, Raqm-422,

Maqrizi Fi Mukhtasar Kitab Al-Witr, 01/151, Raqm-65,

Suyooti Fi Sharh Sunan Ibn Majah, 01/275, Raqm-3866,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-364, 365, Raqm-377.]

52/378.    “Imam Bayhaqi Ne “Shuab-ul-Iman” Me Farmaya :  Aadabe Du’a Me Se Hai :

(Insaan Ka) Hamessa Du’aa Par Istiqaamat Ikhtiyar Karna Khwaah Woh Khush’haali Me Ho Aur Du’aa Ko Sirf Sakhti Aur Musibat Ke (Waqt Ke) Saath Khaas Na Kare.

Aur Yeh Ki Du’aa Ke Aaghaaz Aur Aakhir Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood Bhejna,

Aur Yeh Ki Apni (Tamam) Namazo’n Ke Baa’d Du’aa Karna.

Aur Yeh Ki (Dono’n) Haatho’n Ko Du’aa Me Apne Kandho’n Ke Barabar Buland Karna.

Aur Yeh Ki Du’aa Se Farigh Ho Kar Apne Haatho’n Ko Chehre Par Pherna.”

[Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/45,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-365, Raqm-378.]

53/379.    “Imam Aboo Zakariya Yahya Bin Sharf Nawawi Ne Farmaya : Hamare Ulama-e Kiram Aur Kuchh Digar Ne Kaha Hai Ki  Har Du’aa Me Jo Kisi Musibat Jaise Qahat Wagairah Ke Taalne Ke Liye Ho, Haath Uthaana Sunnat  Hai Aur Woh Is Tarah Hai Ki Apni Hatheliyo’n Pusht Aasman Kee Taraf Kare. Is Hadith Ko Daleel Banaate Hu’e Baa’z Logo’n Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Qaul Bayan Kiya Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Namaaze Istisqa’ (Baaris Maangne Waali Namaz) Ke Ilaawah Du’aa Me Haath Buland Farmate They Hatta Ki ( Jab Aap Haath Buland Farmate To) Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee BaGalo’n Kee Safedi Mubarak Nazar Aati Thi.

Is Hadith Ka Zaahir Yeh Waham Daalta Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Namaaze Istisqa’ Ke Ilaawah Haath Buland Nahin Farmate They Jab Ki Darhaqiqat Muamla Aisa Harghiz Nain Balki Yeh Baat Saabit Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaaze Istisqa’ Ke Ilaawah Digar Mauqo’n Par Bhi Haath Utha Kar Du’aa Maangi Hai Aur Yeh Mauke Beshumar Hain Aur Mein Ne Sahihain Ya In Dono’n Me Se Kisi Ek Me Se Is Tarah Kee Tees-30 Ahadithe Jam’a Kee Hain.”

[Nawawi Fi Sharh Sahih Muslim, 06/190,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-365, 366, Raqm-379.]

54/380.    “Shaikh Ibn Taymiyyah Ne Apne Fatawa Me Bayan Kiya Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Haath Uthaa Kar Du’aa Maangna Is Kasrat Se Saabit Hai Ki Is Ka Shumaar Nahin Kiya Ja Sakta. Neez Farmate Hain Ki Us Kee Ahadith Mu-Tawaatirah Hain Aur Agr Is Se Kisi Ne Yeh Muraad Liya Hai Ki Du’aa Karne Waala Apne Haath Na Uthaa’e To Yeh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Manqool Sunane Mu-Tawaatirah Ke Khilaaf Hai Aur Is (Insani) Fitrat Ke Bhi Khilaaf Hai Jis Par Allah Ta’ala Ke Bande Hain (Ya’ni Maangne Waala Hamessha Haath Badhata Hai) Aur Woh Yeh Hai Ki Du’aa Me Allah Ta’ala Kee Taraf Haath Buland Ki’e Jaayein.”

[Ibn Taymiyyah Majmu’ Fatawa, 05/265,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-366, 367, Raqm-380.]

55/381.    “Imam Ibn Rajab Hanbali Ne Ek Tawil Hadith Me ( Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ek Sahabi Kee Kaifiyate Du’a Bayan Karte Hu’e) Bayan Kiya : Unhone Apne Haath Aasman Kee Taraf Buland Ki’e Aur Yeh Aadaabe Du’aa Me Se Hai Jis Ke Sabab Ummide Qubooliyat Rakhi Jaati Hai.”

[Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/105,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-367, Raqm-381.]

56/382.    “Iman Jalaluddin Suyoot Ne Farmaya : Du’aa Ke Liye Haath Uthaane Ke Baare Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Taqriban Sau-100 Ke Qarib Ahadith Manqool Hain Jin Me Yeh Mazkoor Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Du’aa Me Haath Buland Farmaa’e Hain In Tamam Ahadith Ko Mein Ne Ek Mustaqil Kitab (فض الوعا في أحاديث رفع اليدين في الدعاء) Me Jam’a Kar Diya Hai Agarche Yeh Duaae’n Mukhtalif Qazaaya Se Muta’alliq Hain Magar In Me Haath Uthaana Chunki Qadre Mushtarak Hai Is Liye Yeh (Haath Utha Kar Du’aa Karna) Majmooi Aitibaar Se Ahadithe Mu-Tawatir (Se Saabit) Ho Gaya.”

[Suyooti Fi Tadrib-ur-Rawi Fi Sharh Taqrib Al-Nawawi, 02/180,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-367, 368, Raqm-382.]