Fasl-10 :
Adhkaar Aur Tasbeehaat Ka Bayaan
65/447. “Hazrat Jabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Behtareen Zikr (ﻻَ إلَهَ إلَّااللهُ) Hai, Aur Behtareen Du’aa (ٱلْحَمْدُ لِلَّه) Hai.”
رواه الترمذي وابن ماجه والنسائي.
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن، وقال الحكيم هذا حديث صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/462, Raqm-3383,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1249, Raqm-3800,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra,06/208, Raqm-10667,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/126, Raqm-846,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/90, Raqm-1834,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-414, Raqm-447.]
66/448. “Hzarat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Woh Kalimat Zabaan Par (Bohat) Halke Phulke Hain, Taraazu Me (Bohat) Wazani Hain, Rahmaan Ko Bohat Pyare Hain (Aur Woh Kalimat Yeh Hain: ) (شُبْحَانَ اللهِ وَبِحَمُدِهِ، شُبْحَانَ اللهِ العَظِيْم) (Allah Ta’ala Paak Hai Aur Tamaam Ta’rife Usi Ke Liye Hain, Allah Ta’ala Paak Hai Aur Nihayat Azmat Waala Hai.)
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2352, Raqm-6043,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2459, Raqm-6304,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2749, Raqm-7124,
Muslim Fi As-Sahih, 04/2072, Raqm-2694,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/512, Raqm-3467,
وقال الترمذي : هذا حديث حسن صحيح.
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1251, Raqm-3806,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/207, Raqm-10666,
Nasa’i Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa’l-Laylah, 01/480, Raqm-830,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/232, Raqm-7167,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/420, Raqm-591,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/53, Raqm-29413, 35026,
Daylami Musnad-ul-Firdwas, 03/296, Raqm-4887,
Ibn Ghazwan Kitab Ad-Dua, 01/259, Raqm-83,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/272, Raqm-2372,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-414, 415, Raqm-448.]
67/449. “Hazrat Zabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Kaha : ﴿شُبْحَانَ اللهِ الْعَظِيْمِ وَبِحَمْدِهِ﴾ Us Ke Liye Jannat Me Khajoor Ka Ek Darakht Laga Diya Gaya.”
رواه الترمذي والبزار وابن حبان.
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/511, Raqm-3464, 3465,
Bazzar Fi Al-Musnad, 06/436, Raqm-2468,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/109, Raqm-826,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 04/165, Raqm-2233,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/181, Raqm-287,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/273, Raqm-2377,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/94,
وقال الهيثمى : إسناده جيد.
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-415, Raqm-449.]
68/450. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Ek Din Me Sau-100 Dafa ﴿شُبْحَانَ اللهِ وَبِحَمُدِهِ﴾ Padhta Hai Us Ke Tamam Gunaah Mu’aaf Kar Di’e Jaate Hain Agarche Woh Samundar Ke Jhaagh Ke Barabar Bhi Ho.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2352, Raqm-6042,
Muslim Fi As-Sahih, 04/2071, Raqm-2691,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/511, Raqm-3444,
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح،
Nasa’i Fi As-Sunan, 03/79, Raqm-1354,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1253, Raqm-3812,
Malik Fi Al-Muwatta’, 01/209, Raqm-489,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/111, Raqm-829,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/302, Raqm-7996,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/54, Raqm-29417,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/274, Raqm-238,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-416, Raqm-450.]
69/451. “Hazrat Abi Moosa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Kaho (ﻻَ حَوْلَ وَﻻَ قُوَّةَ إِﻻَّ بِاللهِ): “Allah Ta’ala (Kee Taufique) Ke Baghair Na Buraa’i Se Bachne Ki Taaqat Hai Aur Na Neki Karne Ki Istita’at.” Yeh Jannat Ke Khazao’n Me Se Ek Khazaana Hai Ya Farmaya : Kya Mein Tumhe’n Aise Kalme Kee Khabar Na Doo’n Jo Jannat Ke Khazano’n Me Se Ek Khazana Hai? (Woh Kalma) (ﻻَ حَوْلَ وَﻻَ قُوَّةَ إِﻻَّ بِاللهِ) Hai.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2346, Raqm-6021,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2690, Raqm-6952,
Muslim Fi As-Sahih, 04/2076, Raqm-2704,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1256, Raqm-3824, 3825,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/96, Raqm-10186,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/399,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/101, Raqm-82,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-416, 417, Raqm-451.]
70/452. “Hazrat Mu’az Bin Jabal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Mein Tumhe’n Jannat Ke Darwazo’n Me Se Ek Darwaza Na Bataaun? ‘Arz Kiya : Woh Kya Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (ﻻَ حَوْلَ وَﻻَ قُوَّةَ إِﻻَّ بِاللهِ) ˝Allah Ta’ala (Kee Taufique) Ke Baghair Na Buraa’i Se Bachne Kee Taaqat Hai Aur Na Neki Karne Kee Istita’at.”
رواه النسائي واحمد والطبراني بإسناد جيد.
–
[Nasa’i Fi As-Sunan, 06/97, Raqm-10189,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/228, Raqm-22049, 22152,
Nasa’i As-Sunan Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa’l-Laylah, 01/295, Raqm-357,
Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/73, Raqm-128,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/291, Raqm-2441,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/97,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-417, Raqm-452.]
71/453. “Hazrat Aboo Darda’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Jo Shakhs Sub’h Aur Shaam Saat-07 Dafa Yeh Du’aa Padhta Hai Woh Sachcha Ho Ya Jhootha Allah Ta’ala Us Ke Liye (Har Fikrmand Karne Waale Kaam Ke Liye) Kaafi Ho Jaata Hai (حَسْبِيَ اللهُ ﻻَ إِلَهَ إِلَّا هُوَ عَلَيْهِ تَوَكَّلْتُ وَهُوَ رَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِيْمِ) “Mujhe Allah Ta’ala Kaafi Hai Allah Ta’ala Ke Ilaawah Ko’i Sachcha Ma’bood Nahin Usi Par Mein Ne Tawaqqal Kiya Aur Woh Arshe Azim Ka Rabb Hai.”
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/321, Raqm-5081,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 03/475, Raqm-5472,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/255, Raqm-968,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-417, 418, Raqm-453.]
72/454. “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Baaqiyaate Saalehaat (Baaqi Rehne Waali Nekiya’n) Ziyaada Se Ziyaada Jam’a Karo. ‘Arz Kiya Gaya : Ya RasoolAllah ﷺ! Woh Kounsi Hain? Farmaya : (اَللهُ اَكْبَرُ﴾، ﴿ﻻَ إلَهَ إلَّااللهُ ﴾،﴿شُبْحَانَ اللهِ﴾، ﴿ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ) Aur (ﻻَ حَوْلَ وَﻻَ قُوَّةَ إِﻻَّ بِاللهِ) Padhte Rehna.”
رواه ابن حبان وأحمد .
وقال الحاكم : هذا أصح الإسناد.
–
[Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/121, Raqm-840,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/75, Raqm-11731,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/694, Raqm-1889,
Aboo Ya’la Ao-Musnad, 02/524, Raqm-1384,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/425, Raqm-605,
Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/444,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/280, Raqm-2403,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/87,
وقال الهيثمى : إسناده حسن.
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-418, Raqm-454.]
73/455. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Farmate Hu’e Suna : Jab Ko’i Shakhs Kehta Hai (شُبْحَانَ اللهِ وَٱلْحَمْدُ لِلَّهِ وَﻻَ إِلَهَ إِلَّا اللهُ وَاَللهُ أَكْبَرُ وَﻻَ حَوْلَ وَﻻَ قُوَّةَ إِﻻَّ بِاللهِ عَلِيِّ الْعَظِيْمِ) “AllahTa’ala Paak Hain Aur Tamaam Ta’rife’n Allah Ta’ala Ke Liye Hain Allah Ta’ala Ke Siwa Ko’i Sachcha Ma’bod Nahin Aur Allah Ta’ala Sab Se Bada Hai, Allah Ta’ala (Kee Taufique) Ke Baghair Na Buraa’i Se Bachne Kee Taqat Hai Aur Na Neki Karne Kee Istita’at.” To Allah Ta’ala Farmata Hai : “Mera Banda Mera Mateea’ Aur Farmabardar Ho Gaya Hai (Use Bakhs Diya Gaya).”
رواه الحاكم . وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.
–
[Hakik Al-Mustadrak, 01/681, Raqm-1850,
Ibn Ja’d Fi Al-Musnda, 01/257, Raqm-1707,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/284, Raqm-2416,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-418, 419, Raqm-455.]
74/456. “Hazrat Abi Darda’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Sub’h Ke Waqt Aur Shaam Ke Waqt Mujha Par Das-10 Martaba Durood Bhejega Use Qiyaamat Ke Roz Meri Shafa’at Nasib Hogi.”
رواه الطبراني بإسناد جيد كما قال المنذري.
–
[ Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/261, Raqm-987,
وقال : رواه الطبرانى بإسنادين أحدهما جيد، ورجاله وثقوا،
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/120,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-419, Raqm-456.]
75/457. “Hazrat Ka’b Bin Oojarah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Farz Namaz Ke Baa’d Ki’e Jaane Waale Kuch Azkaar Aise Hain Jinhe’n Padhne Waala Ya Karne Waala Naakaam Nahin Hota (Jo Ki Yeh Hain) 33 Dafa (شُبْحَانَ اللهِ) Sub’hanAllah, 33 Dafa (ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ) Al-Hamdulillah Aur 34 Dafa (اَللهُ اَكْبَرُ) AllahuAbkbar Padhna.”
رواه مسلم والترمذي . وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.
–
[Muslim Fi As-Sahih, 01/418, Raqm-596,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/479, Raqm-3412,
Nasa’i Fi As-Sunan, 03/75, Raqm-1349,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/401, Raqm-1272, 9983, 9984,
Nasa’i Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa’l-Laylah, 01/209, Raqm-155, 156,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/362, Raqm-2019,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/187, Raqm-2849,
‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/235, Raqm-3193,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/31, Raqm-29252, 29254,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 19/122, Raqm-259, 260,
Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/218, Raqm-622,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/297, Raqm-6465,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-419, 420, Raqm-457.]
76/458. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Mein Tumhe’n Hazrat Nooh ‘Alayh-is-Salam Kee Apne Bete Ko Kee Hu’i Wasiyat Na Bataaun? Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Zaroor Bataayein. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Hazrat Nooh ‘Alayh-is-Salam Ne Apne Bete Ko Wasiyat Kee : Aye Mere Pyaare Bete! Mein Tumhe’n Do Kaamo’n Ka Hukm Deta Hoo’n Aur Do Kaamo’n Se Rokta Hoo’n. Mein Tumhe’n (ﻻَ إلَهَ إلَّااللهُ) Ke Zikr Kee Wasiyat Karta Hoo’n. Kyoo’n Ki Yeh Kalima Agar Ek Palade Me Rakh Diya Jaa’e Aur Asman Wa Zameen Doosre Palade Me Rakh Di’e Jaa’e’n To Yeh Un Se Wazani Ho Jaa’ega Aur Agar (Yeh Asman Wa Zameen) Gol Daayre Kee Tarah Bhi Ho’n To Yeh Unhe’n Cheerta Hua Seedha Allah Ta’ala Kee Taraf Chala Jaa’ega.”
Is Ke Baa’d Poori Hadith Zikr Kee.”
رواه البزار وأحمد والنسائي والبخاري في الاداب.
وقال الحاكم : صحيح الإسناد.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/169, Raqm-6583,
Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/192, Raqm-548,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/208, Raqm-10668,
Nasa’i Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa’l-Laylah, 01/481, Raqm-832,
Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/217,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/269, Raqm-2360,
قال المنذرى : رواه البزار ورواته محتج بهم فى الصحيح،
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/84,
وقال الهيثمى : رواه البزار.
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-420, 421, Raqm-458.]
77/459. “Hazrat Mu’az Bin Jabal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ek Aadami Ko Yeh Alfaz Kehte Hu’e Suna : (يَا ذَا الْجَلاَلِ وَالإِكْرَامِ) To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tumhaari Dua Qubool Ho Ga’i Hai, Tum Maango.”
رواه الترمذي وأحمد والبزار.
وقال الترمذي : هذا حديث حسن.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/541, Raqm-3527,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/235, Raqm-32109,
Bazzar Fi Al-Musnad, 07/82, Raqm-2635,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/56, Raqm-98,
Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/66, Raqm-107,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/317, Raqm-2537,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-421, Raqm-459.]
78/460. “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mariz Ke Liye Farmaya Karte They : Allah Ta’la Ke Naam Se Shifa’ Talab Kar Raha Hoo’n, Hamari Zameen Kee Mitti Aur Hum Se Kuchh Ka Luaab Allah Ta’ala Ke Hukm Se Hamare Mariz Ko Shifa Deta Hai.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2168, Raqm-5414,
Muslim Fi As-Sahih, 04/1724, Raqm-2194,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/12, Raqm-3895,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/368, Raqm-7550,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1163, Raqm-3521,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/93, Raqm-24661,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-422, Raqm-460.]