Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-08 : ﴾‘Ilm Aur A’maale Saaleha Kee Fazeelat﴿

‘Ilm Aur Ulama’ Kee Fazeelat Ka Bayaan

Fasl-01 :

‘Ilm Aur Ulama’ Kee Fazeelat Ka Bayaan

01/461.    “Hazrat Mu’awiya RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : Allah Ta’ala Jis Ke Saath Bhalaa’i Ka Iraada Farmata Hai Use Deen Kee Samajh Boojh ‘Ata Farma Deta Hai Aur Mein To Phir Taqseem Karne Waala Hoo’n Jab Ki Deta Allah Ta’ala Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/39, Raqm-71,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1134, Raqm-2948,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2667, Raqm-6882,

Muslim Fi As-Sahih, 02/718, Raqm-1037,

Tirmidhi An Ibn Abbas Fi As-Sunan, 05/28, Raqm-2645,

Ibn Majah An Mu’awiya Wa Abi Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Fi As-Sunan, Al-Muqaddimah, 01/80, Raqm-22, 221,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 03/425, Raqm-5839,

Malik Fi Al-Muwatta’, 02/900, Raqm-1599,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/234, Raqm-793,

Darami Fi As-Sunan, 01/85, Raqm-224, 22,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-427, Raqm-461.]

02/462.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki  Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Husoole ‘Ilm Ke Liye Nikla Woh Us Waqt Tak Allah Ta’ala Kee Raah Me Hai Jab Tak Ki Waapas Nahin Laut Aata.”

رواه الترمذي وحسنه والطبراني.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/29, Raqm-2647,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/234, Raqm-380,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,06/124, Raqm-2119,

وإسناده حسن،

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/60, Raqm-148,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-427, 428, Raqm-462.]

03/463.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna : Allah Ta’ala Ka Zikr Aur Us Ka Dam Bharne Waale Aur Aalim Aur Talibe ‘Ilmo’n Ko Chhod Kar Baqaaya Dunya Aur Jo Kuchh Is (Dunya) Me Hain Sab Mal’oon (Mardood) Hain.”

رواه الترمذي وحسنه وابن ماجه.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/561, Raqm-2322,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1377, Raqm-4112,

Darami Fi As-Sunan, 01/106, Raqm-322,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/236, Raqm-4072,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/122,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-428, Raqm-463.]

04/464.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne ‘Ilm Haasil Kiya Jis Se Allah Ta’ala Kee Razamandi Haasil Kee Jaati Hai Lekin (Agar) Woh Yeh ‘Ilm Husoole Dunya Ke Liye Sikhta Hai To Qiyaamat Ke Roz Jannat Kee Khushboo Bhi Nahin Paayega.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/323, Raqm-3664,

Ibn Majah Fi As-Sunan, Al-Muqaddimah, 01/92, Raqm-252,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/338, Raqm-8438,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/279, Raqm-78,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/285, Raqm-26127,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 11/260, Raqm-6373,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/282, Raqm-1770,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/65, Raqm-177,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-428, 429, Raqm-464.]

05/465.    “Hazrat Aboo Umama Bahili RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Samne Do² Aadmyo’n Ka Zikr Kiya Gaya : Jin Me Se Ek Aabid Tha Aur Doosara Aalim, Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aabid Par ‘Ilm Kee Fazeelat Usee Tarah Hai Jis Tarah Meri Fazeelat Tum Me Se Ek Adana (Sahabi) Par Hai. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Allah Ta’ala, Us Ke Firishte, (Tamam) Zameen Wa Aasman Waale Yaha’n Tak Ki Cheenti Apne Bil Me Aur Machhliya’n (Bhi Samandaron, Dariyao’n Aur Talabo’n Me) Us Shakhs Ke Liye Rahmat (Kee Du’aa) Maangte Hain Jo Logo’n Ko Bhala’i Kee Taalim Deta Hai.”

رواه الترمذي وحسنه والدامي.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/50, Raqm-2685,

Darami Fi As-Sunan, 01/100, Raqm-289,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/233, Raqm-7911 ,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/56, Raqm-130,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-429, Raqm-465.]

06/466.    “Hazrat Abi Darda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : Jo Aadami Talabe ‘Ilm Me Kisi Raste Par Chalta Hai To Allah Ta’ala Use Jannat Ke Raste Par Chala Deta Hai. Aur Be Shak Firishte Talibe ‘Ilm Kee Raza Ke Husool Ke Liye Us Ke Paanw Tale Apne Par Bichhaate Hain Aur ‘Aalim Ke Liye Zameeno’no Aasman Kee Har Cheez Yaha’n Tak Ki Paani Me Machhaliya’n Bhi Maghfirat Talab Karti Hain Aur ‘Aabid Par ‘Aalim Kee Fazeelat Aise Hee Hai Jaise Chaudahvin Raat Ke Chaand Kee Fazeelat Sitaro’n Par Hai. Aur Be Shak Ulama Ambiya-e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Ke Waaris Hain. Be Shak Ambiya-e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Kee Wiraasat Dirhamo Deenar Nahin Hoti Balki Un Ke Meeraas ‘Ilm Hai Phir Jisne Use Paaya Use (Wirasate Ambiya Se) Bohat Bada Hissa Mil Gaya.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/48, Raqm-2682,

Aboo Hanifah Fi Al-Musnad, 01/57,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/317, Raqm-3641,

Ibn Majah Fi As-Sunan, Al-Muqaddimah, 01/81, Raqm-21723,

Darami Fi As-Sunan, 01/110, Raqm-342,

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/224, Raqm-1231,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/262, Raqm-1696, 1697,

Mahamili Fi Amali,li Al-Amli, 01/330, Raqm-354,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/51, Raqm-106,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-429, 430, Raqm-466.]

07/467.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ek Faqeeh Ek Hazaar Aabid Se Ziyaada Shaitan Par Sakht Aur Bhaari Hai.

Aur Ek Riwayat Ke Alfaz Hain Ki Har Ek Shai Ka Sutoon Hota Hai Aur Is Deen Ka Sutoon (Elme) Fiq’h Hai.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/48, Raqm-2681,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/81, Raqm-222,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/194, Raqm-6166,

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/161, Raqm-1109,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/78, Raqm-11099,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/266, 267, Raqm-1712, 1715,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/57, Raqm-136,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-430, 431, Raqm-467.]

08/468.    “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ulama-e Kiram Zameen Me Un Sitaaro’n Kee Tarah Hain Jin Ke Zareeye Behrobarr Ke Andhero’n Me Rahnuma’i Haasil Kee Jaati Hai Aur Sitaare Ghurub Ho Jaa’e’n To Qareeb Hai Ki (Musafiro’n Ko Raasta Dikhaane Waale) Rahnuma Bhatak Jaa’e’n. (Ya’ni Ulama-e Kiram Nahin Honge To Awaam Gumraah Ho Jaa’enge).”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/157, Raqm-12621,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/134, Raqm-6418,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/343,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/56, Raqm-128,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/121, 122,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-431, Raqm-468.]

09/469.    “Hazrat Jabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : ‘Ilm Do² (Tarah Ke) Hain : Ek ‘Ilm Dil Me Hota Hai Aur Yeh ‘Ilm Naafea (Nafa Dene Waala ‘Ilm) Hai Aur Ek ‘Ilm Zabaan Par Hota Hai Yeh (‘Ilm) Bani Aadam Par Allah Ta’ala Kee Hujjat (Daleel) Hai.

رواه الدارمي والمنذري بإسناد صحيح.

Aur Ek Riwayat Me Hai Ki ‘Ilm Do² (Tarah Ke) Hain : Ek ‘Ilm Dil Me Raasikh Hota Hai Aur Ek ‘Ilm Zabaan Par (Jaari Hota) Hai Phir Yeh ‘Ilm Allah Ta’ala Ke Bando’n Par Hujjat (Daleel) Hai (Ya’ni Agar Sahee ‘Ilm Haasil Nahin Karenge To Yeh Un Ke Khilaaf Gawaah Hoga.)”

[Darami Fi As-Sunan, 01/114, Raqm-364,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/294, Raqm-1825,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/58, Raqm-139, 130,

Daylami An Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Fi Musnad-ul-Firdaws, 03/68, Raqm-4194,

Ibn Umar Al-Azadi Musnad-ur-Rabi’, 01/365, Raqm-947,

Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/407, Raqm-1141,

Hakim At-Tirmidhi Fi Nawadir-ul-Usool Fi Ma’rifati Ahadith-ir-Rasool ﷺ , 03/42,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/343,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 04/390,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-431, 432, Raqm-469.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-08 : ﴾‘Ilm Aur A’maale Saaleha Kee Fazeelat﴿

Dhikre Ilaahi Aur Zakireen Kee Fazeelat Ka Bayan

Fasl-02 :

Dhikre Ilaahi Aur Zakireen Kee Fazeelat Ka Bayan

10/470.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Farmata Hai Ki Mera Banda Mere Muta’alliq Jaisa Khayaal Rakhta Hai Mein Us Ke Saath Waisa Hee Maamala Karta Hoo’n. Jab Woh Mera Zikr Karta Hai Mein Us Ke Saath Hota Hoo’n. Agar Woh Apne Dil Me Mera Zikr (Ya’ni Zikre Khafi) Kare To Mein Bhi Apni (Shaayaane Shaan Ke) Apne Dil Me Us Ka Zikr Karta Hoo’n, Aur Agar Woh Jam’a’at Me Mera Zikr (Ya’ni Zikre Jali) Kare To Mein Us Kee Jam’a’at Se Behtar Jam’a’at (Ya’ni Firishto’n) Me Us Ka Zikr Karta Hoo’n. Agar Woh Ek¹ Baalisht Mere Nazdeek Aa’e To Mein Ek¹ Baazoo Ke Barabar Us Ke Nazdeek Ho Jaata Hoo’n. Agar Woh Ek¹ Baazoo Ke Barabar Mere Nazdeek Aa’e To Mein Do² Baazoo’on Ke Barabar Us Ke Nazdeek Ho Jaata Hoo’n Aur Agar Woh Meri Taraf Chal Kar Aa’e To Mein Us Kee Taraf Daud Kar Aata Hoo’n.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2694, Raqm-6970,

Muslim Fi As-Sahih,04/2061, 2675,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/581, Raqm-3603,

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/412, Raqm-7730,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1255, Raqm-3822,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-433, Raqm-470.]

11/471.    “Hazrat Abi Moosa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Apne Rabb Ka Zikr Karne Waale Aur Na Karne Waale Kee Misaal Zinda Aur Murda (Dilo’n) Kee See Hai.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2353, Raqm-6044,

Muslim Fi As-Sahih, 01/539, Raqm-779,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/135, Raqm-854,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 13/291, 292, Raqm-7306,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/401, Raqm-536,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-434, Raqm-471.]

12/472.    “Hazrat Aboo Hurayrah Aur Abee Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Dono’n Ne Gawaahi Dee Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Log Allah Ta’ala Ke Zikr Ke Liye Baithte Hain Firishte Unhe’n Dhaanp Lete Hain Aur Rahmate Ilahi Unhe’n Apni Aagosh Me Le Leti Hai Aur Un Par Sakeena (Rahmat) Ka Nazool Hota Hai Allah Ta’ala Un Ka Zikr Apni Bargah Ke Haazireen Me Karta Hai.”

رواه مسلم والترمذي.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2074, Raqm-2700,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/459, Raqm-3378,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1245, Raqm-3791,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/92, Raqm-11893,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/136, Raqm-855,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 11/20, Raqm-6159,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/60, Raqm-69475,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/137, Raqm-1500,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/296, Raqm-2233,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/398, Raqm-530,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/262, Raqm-2328,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-434, 435, Raqm-472.]

13/473.    “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Daryaft Kiya Gaya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Koun Se Log Qiyaamat Ke Deen Allah Ta’ala Ke Yaha’n Darje Me Afzal Honge? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Kasarat Se Allah Ta’ala Ka Zikr Karne Waale Mard Aur Auratein Hain. Mein Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Kya Allah Ta’ala Kee Raah Me Jihaad Karne Waale Se Bhi (Ziyaada Afzal Honge)? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Ha’n) Agar Ko’i Shakhs Apni Talwaar Kafiro’n Aur Mushriko’n Par Is Qadr Chalaaye Ki Woh Toot Jaa’e Aur Khoon Aalood Ho Jaa’e Phir Bhi Allah Ta’ala Ka Zikr Karne Waale Darje Me Us Se Ek Darja Afzal Hain.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/458, Raqm-3376,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/75, Raqm-11738,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/419, Raqm-589,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/530, Raqm-1401,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/254, Raqm-2296,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-435, Raqm-473.]

14/474.    “Hazrat Abi Darda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Tumhe’n Tumhare Aamaal Me Se Sab Se Achchha Aisa Amal Na Bataoo’n Jo Tumhare Maalik Ke Yaha’n Behtar Aur Pakeeza Hai. Tumhare Darajaat Me Sab Se Buland Hai. Tumhare Sone Aur Chandi Kee Khairat Se Bhi Afzal Hai, Aur Tumhare Dushman Ka Saamna Karne Ya’ni Jihaad Se Bhi Behtar Hai Is Haal Me Ki Tum Un Ka Qatl Karo Aur Woh Tumhe’n Qatl Kare? Sahaba Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya : Kyon Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Woh Amal Allah Ta’ala Ka Zikr Hai. Hazrat Mu’aadh RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha : (Zikre Ilahi Se Badh Kar) Ko’i Cheez Aisee Nahin Jo Azaabe Ilahi Se Nijaat Dilaane Waali Hai.”

رواه الترمذي وابن ماجه.

وقال الحاكم : حديث صحيح الإسناد.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/459, Raqm-3377,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1245, Raqm-3790,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/239, Raqm-22132,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/673, Raqm-1825,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/394, Raqm-519,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/253, Raqm-2294,

وقال المنذري : إسناده جيد.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-436, Raqm-474.]

15/475.    “Hazrat Mu’az RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Namaz, Roza, Aur Zikre Ilahi Allah Ta’ala Kee Raah Me Maal Kharch Karne Par Bhi Saat Sau Guna Ziyaada Fazeelat Rakhta Hai.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/08, Raqm-2498,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/438, Raqm-15613,

Tabarani Al-Mu’jam-ul-Kabeer, 20/186, Raqm-405,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/249, Raqm-3171,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/162, Raqm-1935,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 05/282,

Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 03/134,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-436, 437, Raqm-475.]

16/476.    “Hazrat Abi Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ka Zikr Itni Kasarat Se Karo Ki Log Tumhe’n Deewaana Kahe’n.”

رواه أحمد وابن حبان وأبو يعلى.

وقال الحاكم : صحيح الإسناد.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/68, Raqm-11671,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/71, Raqm-311692,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/99, Raqm-817,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/677, Raqm-1839,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/521, Raqm-1376,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/397, Raqm-526,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/76, Raqm-212,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/444,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/256, Raqm-2304,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-437, Raqm-476.]

17/477.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ka Zikr Is Kasrat Se Karo Ki Munafiq Tumhe’n Riyaakaar Kahein.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/169, Raqm-12786,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 03/81,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/444,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 01/456,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-437, Raqm-477.]

18/478.    “Hazrat Abi Jawza RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ka Zikr Itni Kasrat Se Karo Ki Munafiq Tumhe’n Riyakar Kahein.”

[Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/397, Raqm-527,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/256, Raqm-2305,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/76,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 02/85,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-438, Raqm-478.]

19/479.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ke Kuchh Firishte Aise Hain Jin Kee Baaqayda Zimmedari Yahi Hai Ki Woh Sirf Majalise Zikr Kee Talaash Me Rehte Hain Aur Majalise Zikr Me Shaamil Ho Jaate Hain. Phir Jab Kisi Majlise Zikr Ke Paas Se Guzarte Hain To (Us Majlis Me Itni Kasrat Se Shirkat Karte Hain Ki) Tah Dar Tah Arsh Tak Pahonch Jaate Hain.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2069, Raqm-2689,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/358, Raqm-8689, 8705,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/244, Raqm-5523,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-438, Raqm-479.]

20/480.    “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Tum Jannat Kee Kyaariyo’n Se Guzro To (Un Me Se) Khoob Khaaya Karo. Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Jannat Kee Kyaariya’n Koun See Hain? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Zikre Ilahi Ke Halqaajaat.”

رواه الترمذي وأحمد والبيهقي.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/532, Raqm-3510,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/150, Raqm-2545,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 06/155, Raqm-3432,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/398, Raqm-529,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/268, Raqm-1044,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/262, Raqm-2329,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-438, 439, Raqm-480.]

21/481.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah ‘Azza Wa Jalla Farma’ega : Dozakh Me Se Aise Shakhs Ko Nikaal Do Jis Ne Ek Din Bhi Mujhe Yaad Kiya Ya Kabhi Kisi Muqaam Par Mujh Se Dara.”

 رواه الترمذي وحسنه.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/712, Raqm-2594,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/141, Raqm-234,

وقال الحاكم : صحيح الإسناد، ٢٤٤/٥، الرقم : ٨٠٨٤،

Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-us-Sunnah, 02/400, Raqm-833,

Bayhaqi Fi Al-I’tiqad,01/201,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-439, Raqm-481.]

22/482.    “Hazrat Abi Darda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Qiyaamat Ke Din Allah Ta’ala Kuchh Aise Logo’n Ko Uthaa’ega Jin Ke Chahre PurNoor Honge, Woh Motiyo’n Ke Mimbaro’n Par (Baithe) Honge, Log Unhe’n Dekh Kar Rashk Karenge, Na To Woh Ambiya Honge Aur Na Hee Shohada. Hazrat Abi Darda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kehte Hain Ki Ek Aa’raabi Apne Ghutne Ke Bal Baith Kar Kehne Laga : Ya RasoolAllah ﷺ! Aap Hamare Saamne Un Ka Huliya Bayan Farmaa’en Taaki Hum Unhe’n Jaan Le. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yeh Woh Log Hain Jo Mukhtalif Qabeelo’n Aur Mukhtalif Ilaaqo’n Se Ta’alluk Rakhne Ke Ba Wajood Allah Ta’ala Kee Khaatir Ek Doosre Se Mahabbat Karte Hain, Ikat’the Ho Kar Allah Ta’ala Ka Zikr Karte Hain.”

رواه الطبراني كما المنذري.

وقال المنذري : إسناده حسن.

[Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/262, Raqm-2362,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/12, Raqm-4583,

 وقال المنذرى : رواه الطبرانى بإسناد حسن،

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/77,

وقال : رواه الطبراني بإسناد حسن،

Suyooti Fi Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bil-Ma’thoor, 10/368,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-439, 440, Raqm-482.]

23/483.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Amr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Majalise Zikr Kee Ghaneemat (Ya’ni Nafa) Kya Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Majalise Zikr Kee Ghaneemat Jannat Hai, Jannat Hai.”

رواهأحمد والطبراني. إسناده حسن.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/177, Raqm-6651, 6777,

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/273, Raqm-1325,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/261, Raqm-2324,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/78,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 04/407,

Suyooti Fi Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bil-Ma’thoor, 01/366,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-440, Raqm-483.]

24/484.    “Hazrat Abi Darda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jin Logo’n Kee Zabaane Hamesha Zikre Ilahi Se Tar Rehti Hain Woh Muskurate Hu’e Jannat Me Daakhil Honge.”

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/111, Raqm-34587, 35052,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 01/219,

Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/397,

Ibn Abi ‘Asim Fi Az-Zuhd, 01/136,

Ibn Jawzi Fi Sifat-us-Safwah, 01/639,

Suyooti Fi Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bil-Ma’thoor, 01/366,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/445,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-440, 441, Raqm-484.]

25/485.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Aasmaan Waale Ahle Zikr Ke Gharo’n Ko Aise Raushan Dekhte Hain Jaise Zameen Waale Sitaaro’n Ko Raushan Dekhte Hain.”

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/170, Raqm-30555,

Ibn Hibban Tabqat-ul-Muhaddithin, 04/282, Raqm-668,

Suyooti Fi Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bil-Ma’thoor, 01/367,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-441, Raqm-485.]

26/486.    “Hazrat Abi Sa’iyd RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah ‘Azza Wa Jalla Farmata Hai : Qiyaamat Ke Din Ikat’tha Hone Waale Ko Pata Chalega Ki Buzurgi Aur Sakhaawat Waale Kaun Log Hain! ‘Arz Kiya Gaya : Ya RasoolAllah ﷺ! Buzurgi Waale Koun Log Hain? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Masaajid Me Majalise Zikr Mun’aqid Karne Waale.”

رواه أحمد وابن حبان وصححه.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/68, Raqm-11670, 11740,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/98, Raqm-816,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/531, Raqm-1403,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/401, Raqm-535,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/253, Raqm-8104,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 06/259, Raqm-2318,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-441, 442, Raqm-486.]

27/487.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Kuchh Log Mahz Allah Ta’ala Kee Raza Joo’i Kee Khaatir Ijtima’i Taur Par Us Ka Zikr Karte Hain To Aasmaan Se Ek Munaadi Aawaaz Deta Hai : Khade Ho Jaao! Tumhe’n Bakhsh Deeya Gaya Hai, Tumhaare Gunaah Nekiyo’n Me Badal Di’e Ga’e Hain.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/142, Raqm-12476,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/154, Raqm-1556,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/401, Raqm-534, 694,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/167, Raqm-4141,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/60, Raqm-29477,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/244, Raqm-35713,

Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-uz-Zuhd, 01/205,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/260, Raqm-2320,

وقال : رواه أحمد ورواته محتج بهم.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-442, Raqm-487.]

28/488.    “Hazrat Suhail Bin Hanzala RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Log Majlise Zikr Me Baith Kar Allah Ta’ala Ka Zikr (Zikr Karne Ke Baa’d Us Majlis Se) Uthte Hain To Unhe’n Kaha Jaata Hai : Khade Ho Jaao! Allah Ta’ala Ne Tumhare Gunaah Bakhsh Di’e Hain Aur Tumhare Gunaah Nekiyo’n Me Badal Di’e Hain.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/212, Raqm-6039,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/454, Raqm-695,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/260, Raqm-2321,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/76,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-442, 443, Raqm-488.]

29/489.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Allah Ta’ala Ko Yaad Kiya Aur Us Ke Khauf Se Us Kee Aankhe’n Is Qadr Ashkbaar Hu’i Ki Zameen Tak Us Ke Aansoo Pahonch Ga’e To Allah Ta’ala Use Qiyaamat Ke Din ‘Azaab Nahin Dega.”

رواه الطبراني والحاكم.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/289, Raqm-7668,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/178, Raqm-1641, 6170,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/113, Raqm-5023,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-443, Raqm-489.]

30/490.    “Hazrat Mu’az RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Karte Hain Ki Ek Aadami Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Sawaal Kiya : Kis Jihaad Ka Sab Se Ziyaada Ajr Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Us Bande Ka Jihaad Jo Sab Se Ziyaada Allah Ta’ala Ka Zikr Karne Waala Hai. Us Ne Sawaal Kiya : Kis Rozadar Ka Ajr Sab Se Ziyaada Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Un Me Se Sab Se Ziyaada Allah Ta’ala Ka Zikr Karne Waale Ka, Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hamare Liye Namaz, Zakaat, Hajj Aur Sadqe Ka Zikr Kiya Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : In Sab Ibaadato’n Me Is Ka Ajr Sab Se Ziyaada Use Hoga Jo Allah Ta’ala Ka Sab Se Ziyaada Zikr Karne Waala Hoga. Zikr Karne Waale Tamaam Bhalaa’i Le Ga’e? To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ha’n (Aboo Bakr Too Sach Keh Raha Hai).”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/438, Raqm-15699,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/186, Raqm-407,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/257, Raqm-2309,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/74,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-443, 444, Raqm-490.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-08 : ﴾‘Ilm Aur A’maale Saaleha Kee Fazeelat﴿

Huzoor Nabiyye Akram ﷺ Par Durood-o Salaam Bhejne Kee Fazeelat Ka Bayaan

Fasl-03 :

Huzoor Nabiyye Akram Par Durood-o Salaam Bhejne Kee Fazeelat Ka Bayaan

31/491.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Mujh Par Ek¹ Baar Durood Bhejta Hai To Allah Ta’ala Us Par Das-10 Baar Durood (Rahmat) Bhejta Hai Aur Imam Tirmidhi Ne In Alfaz Ka Izafa Kiya : Aur Allah Ta’ala Us Ke Liye Das-10 Nekiya’n Bhi Us (Durood Padhne) Ke Badle Me Likh Deta Hai.”

وقال أبو عيسى :  حديث أبي هريرة. حديث حسن صحيح.

[Muslim Fi As-Sahih, 01/302, Raqm-408,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/353, 354, Raqm-484, 485,

Nasa’i Fi As-Sunan, 03/50, Raqm-1296,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/384, Raqm-1219,

Darami Fi As-Sunan, 02/408, Raqm-2772,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/375, Raqm-8869, 10292,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/187, Raqm-906,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/253, Raqm-8702,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/126, Raqm-899,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 11/380, Raqm-6495,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/211, Raqm-1559,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/546, Raqm-2040,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-445, Raqm-491.]

32/492.    “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Mujh Par Ek¹ Baar Durood Bhejta Hai To Allah Ta’ala Us Par Das-10 Rahmatein Naazil Farmata Hai, Us Ke Das-10 Gunaah Maaf Ki’e Jaate Hain Aur Us Ke Das-10 Darjaat Buland Ki’e Jaate Hain.”

رواه النساءى وأحمد.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Nasa’i Fi As-Sunan, 04/50, Raqm-1297,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/385, Raqm-1120/10194,

Nasa’i Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa’l-Laylah, 01/296, Raqm-362,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/224, Raqm-643,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/253, Raqm-8703,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/102, Raqm-12017,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/210, Raqm-1554,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/735, Raqm-2018,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-446, Raqm-492.]

33/493.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Qiyaamat Ke Din Logo’n Me Se Mere Sab Se Ziyaada Qareeb Woh Shakhs Hoga Jo (Is Dunya Me) Un Me Se Sab Se Ziyaada Mujh Par Durood Bhejta Hai.”

رواه الترمذي وابن حبان.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/354, Raqm-484,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/192, Raqm-911,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 03/249, Raqm-5791,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/212, Raqm-1563,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 08/467, Raqm-5011,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/81, Raqm-250,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/327, Raqm-2575,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-446, Raqm-493.]

34/494.    “Hazrat ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Allah Ta’ala Kee Zameen Me Kuchh Gasht Karne Waale Firishte Hain Jo Mujhe Meri Ummat Ka Salam Pahonchaate Hain.”

رواه النساءي والدارمي.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Nasa’i Fi As-Sunan, 03/43, Raqm-1282,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/380, Raqm-1205,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/22, Raqm-9894,

Nasa’i Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa’l-Laylah, 01/67, Raqm-66,

Darami Fi As-Sunan, 02/409, Raqm-2774,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/195, Raqm-914,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/456, Raqm-3576,

Bazzar Fi Al-Musnad, 05/307, Raqm-4210, 4320,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 09/137, Raqm-5213,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/219, Raqm-10528, 10530,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/217, Raqm-1582,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/253, Raqm-8705, 31721,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/215, Raqm-3116,

Shashi Fi Musnad-ush-Shashi Al-Musamma Bi-‘l-Musnad Al-Kabir, 02/252, Raqm-825, 826,

Ibn Hayyan Fi Al-Azamah, 03/990, Raqm-513,

Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/364, Raqm-1028,

Daylami An Abi Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/183, Raqm-686,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/326, Raqm-2570,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-447, Raqm-494.]

35/495.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Meri Ummat Me Se Ko’i Shakhs) Aisa Nahi Jo Mujh Par Salam Bheje Magar Allah Ta’ala Ne Mujh Par Meri Rooh Waapas Lauta Dee Huwee Hai Yaha’n Tak Ki Mein Har Salam Karne Waale Ke Salam Ka Jawab Deta Hoo’n.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/218, Raqm-2041,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/527, Raqm-10867,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/262, Raqm-3092, 9329,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 05/245, Raqm-10050,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/217, Raqm-5181, 4161,

Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 01/453, Raqm-526,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/326, Raqm-2573,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/162,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-447, 448, Raqm-495.]

36/496.    “Hazrat Hasan Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Jaha’n Kahin Bhi Ho Mujh Par Durood Bheja Karo, Be Shak Tumhara Durood Mujhe Pahonchta Hai.”

رواه أحمد والطبراني بإسناد حسن واللفظ له.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/367, Raqm-8790,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/82, Raqm-2729,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/17, Raqm-365,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/15, Raqm-7307,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/326, Raqm-2571,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-448, Raqm-496.]

37/497.    “Hazrat Aboo Talha RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ek Martaba Tashreef Laa’e. Aap Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Chehrae Aqdas Par Khushee Zaahir Ho Rahi Thi. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Abhi Abhi Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Mere Paas Aa’e Aur Unhone Kaha : Aap Ka Rabb Farmata Hai : Aye Muhammad!  Kya Aap Is Baat Par Raazi Nahin Ki Aap Kee Ummat Me Se Jo Shakhs Ek¹ Baar Aap Par Durood Bheje, Mein Us Par Das-10 Rahmate Bhejoo’n?  Aur Aap Kee Ummat Me Se Ko’i Aap Par Ek¹ Baar Salam Bheje To Me Us Par Das-10 Baar Salam Bhejoo’n?”

[Nasa’i Fi As-Sunan, 03/50, Raqm-1295,

Darami Fi As-Sunan, 02/408, Raqm-2773,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/30,

Ibn Mubarak Fi Kitab-uz-Zuhd, 01/364, Raqm-1067,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/100, Raqm-4720,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/252, Raqm-8695,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-448, 449, Raqm-497.]

38/498.    “Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Farmate Hain Ki Yaqeenan Du’aa Us Waqt Tat Zameen Aur Aasmaan Ke Darmiyan Thahree Rehti Hai Aur Us Me Se Ko’i Bhi Cheez Oopar Nahin Jaati Jab Tak Ki Tum Apne Nabiyye Mukarram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood Na Padh Lo.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/356, Raqm-486,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/330, Raqm-2590,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-449, Raqm-498.]

39/499.    “Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Farmate Hain Ki Har Du’aa Us Waqt Tak Parda-e Hijaab Me Rehti Hai Jab Tak Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ahle Bait RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Par Durood Na Bheja Jaa’e.”

رواه الطبراني بإسناد جيد والبيهقي.

وقال الهيثمي : رجاله ثقات.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/220, Raqm-721,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/216, Raqm-1575,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/330, Raqm-2589,

وقال رواته ثقات،

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 03/255, Raqm-4754,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/160,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-449, Raqm-499.]

40/500.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Amr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Farmate Hain Jo Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Ek¹ Martaba Durood Bhejta Hai, Allah Ta’ala Aur Us Ke Firishte Us Par 70 Martaba (Basoorate Rahmat) Durood Bhejte Hain.”

رواه أحمد.

وإسناده حسن.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/172, 187, Raqm-6605, 6754,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/325, Taqam-2566,

وقال : إسناده حسن،

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/160,

وقال :  رواه أحمد وإسناده حسن.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-450, Raqm-500.]

41/501.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Log Kisi Majalis Me Ikaththe Hu’e Phir (Us Majalis Me) Allah Ta’ala Ka Zikr Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood Padhe Baghair Woh Muntashir Ho Ga’e To Woh Majalis Un Ke Liye Qiyaamat Ke Roz Ba’ise Hasrat (Wa Ba’ise Khasaara) Ban Ne Ke Siwa Aur Kuchh Nahin Hogi.”

[Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/351, Raqm-590,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/446, Raqm-9763,

Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/342, Raqm-962,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/79,

وقال الهيثمي : رواه أحمد ورجاله الصحيح.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-450, Raqm-501.]

42/502.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ko’i Qoum Kisi Bahith Ne Kee Jagah (Ya’ni Majlis Me) Baithe Aur Us Me Allah Ta’ala Ka Zikr Kare Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood Na Bheje To Woh Majlis Roze Qiyaamat Un Ke Liye Hasrat (Wa Khasaare) Ka Ba’is Hone Ke Siwa Kuchh Nahin Hogi Agarche Woh Log Jannat Me Bhi Daakhil Ho Jaa’e’n (Lekin Unhe’n Hamesha Is Baat Ka Pachhtaawa Rahega).”

رواه ابن حبان وإسناده صحيح.

[Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/352, Raqm-591,

Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-uz-Zuhd, 01/27,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/263, Raqm-2331,

Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/577, Raqm-2322,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 10/79,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-450, 451, Raqm-502.]

43/503     “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Mujh Par Ek¹ Martaba Durood Padhta Hai Allah Ta’ala Us Par Das-10 Rahmatein Naazil Farmata Hai Aur Jo Shakhs Mujh Par Das-10 Martaba Durood Padhta Hai Allah Ta’ala Us Par Sau-100 Rahmatein Naazil Farmata Hai Aur Jo Shakhs Mujh Par Sau-100 Martaba Durood Padhta Hai Allah Ta’ala Us Kee Dono’n Aankho’n Ke Darmiyan (Ya’ni Paishani Par) Munafiqat Aur Aag (Dono’n) Se Hamesha Ke Liye Aazaadi Likh Deta Hai Aur Qiyaamat Ke Din Us Ka Qiyam (Aur Darja) Shaheedo’n Ke Saath Hoga.”

رواه الطبراني.

وقال الهيثمي : رجاله ثقات.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/188, Raqm-7235,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/126, Raqm-899,

Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib, 02/323, Raqm-2560,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/163,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-451, Raqm-503.]

44/504.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mujh Par Durood Padha Karo Be Shak (Tumhara) Mujh Par Durood Padhna Tumhare Liye (Roohani Wa Jismani) Pakeezagi Ka Ba’is Hai.”

رواه ابن أبي شيبة وأبو يعلى بإسناده.

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/253, Raqm-8704,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 11/298, Raqm-6414,

Harith Fi Al-Musnad (Zawa’id Al-Haythami), 02/962, Raqm-1062,

Ibn Hannad Fi Az-Zuhd, 01/117, Raqm-147,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-452, Raqm-504.]

45/505.    “Hazrat Aboo Darda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Sub’h Ke Waqt Aur Shaam Ke Waqt Mujh Par Das-10 Martaba Durood Bhejega Use Qiyaamat Ke Din Meri Shafa’at Naseeb Hogi.”

رواه الطبراني بإسناد جيد كما قال المنزري والهيثمي.

[Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib, 01/261, Raqm-987,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/120,

وقال المننذري والهيثمي : رواه الطبرانى بإسنادين أحدهما جيد ورجاله وثقوا.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-452, Raqm-505.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-08 : ﴾‘Ilm Aur A’maale Saaleha Kee Fazeelat﴿

Raat Ko Qiyaam Karne Kee Fazeelat Ka Bayan

Fasl-04 :

Raat Ko Qiyaam Karne Kee Fazeelat Ka Bayan

46/506.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Hasad (Ya’ni Rashk) Sirf Do² Aadmiyo’n Se Karna Chaahiye : Ek Woh Shakhs Jise Allah Ta’ala Ne Qur’ane Pak ‘Ata Kiya Ho Aur Woh Raat Ko Namaz Me Is Kee Tilawat Kare, Doosara Woh Shakhs Hai Jise Allah Ta’ala Ne Maal Wa Daulat Se Nawaaza Ho Woh Use Raat Kee Ghadiyo’n Aur Din Ke Mukhtalif Hisso’n Me (Rahe Ilahi Me) Kharch Karta Rahe.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1919, Raqm-4737,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2643, Raqm-6805,

Muslim Fi As-Sahih, 01/558, 559, Raqm-815,

Timidhi As-Sunan, 04/330, Raqm-1936,

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح،

Ibn Majah As-Sahih, 01/332, Raqm-125, 126,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/27, Raqm-8072,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/08, Raqm-4550, 4924, 5618, 6403,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/375, Raqm-2271, 2688,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/153, Raqm-30281, 30282,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/188, Raqm-7615, 7616,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 09/291, Raqm-5417,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-453, Raqm-506.]

47/507.    “Hazrat Jabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : Raat Ko Ek Aisee Saa’at Bhi Aati Hai Jis Me Ko’i Musalman Allah ‘Azza Wa Jalla Se Dunya Wa Aakhirat Kee Ko’i Bhi Cheez Maange, Allah Ta’ala Use Wahi Inaayat Farma Deta Hai Aur Yeh Saa’at Har Raat Aati Hai.”

[Muslim Fi As-Sahih, 01/521, Raqm-757,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/331, Raqm-14583,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 04/189, Raqm-2281,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/241, Raqm-971,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-454, Raqm-507.]

48/508.    “Hazrat Aboo Umama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Raat Ka Qiyam Apne Oopar Laazim Kar Lo Ki Woh Tum Se Pehle Ke Nek Logo’n Ka Tareeqa Hai Aur Tumhare Liye Qurbe Khudawandi Ka Baa’is Hai, Bura’iyo’n Ko Mitaane Waala Aur Gunaaho’n Se Rokne Waala Hai.”

رواه الترمذي والحاكم.

وقال أبو عيسى : هذا حديث أصح، وقال الحاكم : هذا هديث صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/552, Raqm-3549,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/451, Raqm-1156,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/502, Raqm-4423,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/92, Raqm-7766,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-454, Raqm-508.]

49/509.    “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri Aur Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Khud Raat Ko Bedaar Ho Aur Apni Ahaliya Ko (Bhi) Bedaar Kare, Dono’n Do² Raq’at Namaz Mil Kar Ada Kare To Un Ka Shumaar Allah Ta’ala Ka Kasrat Se Zikr Karne Waale Mardo’n Aur (Kasrat Se) Zikr Karne Waali Aurato’n Me Hoga.”

رواه أبو داود وابن ماجه والنساءي واللفظ له.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/70, Raqm-1451,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/423, Raqm-1335,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra,  01/413, Raqm-1310, 11406,

Hakim Mustadrak, 01/461, Raqm-1189, 3561,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 03/48, Raqm-4738,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 06/501, Raqm-4420,

Bayhaqi Fi As-Sunan-us-Sughra, 01/473, Raqm-869,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/126, Raqm-3083,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/242, Raqm-922,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-454, 455, Raqm-509.]

50/510.    “Hazrat ‘Amr Bin ‘Abasah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmate : Allah ‘Azza Wa Jalla Apne Bando’n Ke Sab Se Kareeb Raat Ke Aakhiri Hisse Me Hota Hai. Agar Tum Us Waqt Allah Ta’ala Ka Zikr Karne Waalo’n Me Shaamil Ho Sakte Ho To Zaroor Ho Jaao.”

رواه الترمذي وانساءي.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/569, Raqm-3579,

Nasa’i Fi As-Sunan, 01/279, Raqm-572,

Nasa’i Fi As-Sunan,, 02/226, Raqm-1137,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 02/182, Raqm-1147,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/453, Raqm-1162,

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح،

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 03/04, Raqm-4439,

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 01/349, Raqm-605,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/245, Raqm-933,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-455, 456, Raqm-510.]

51/511.    “Hazrat Asma Binte Yazeed RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Log Qiyaamat Ke Din Ek Maidan Me Ikat’the Ki’e Jaa’ege Aur Ek Munaadi I’laan Karega, Jin Logo’n Ke Pahloo (Apne Rabb Kee Yad Me) Bistar Se Juda Rehte They, Woh Koun Hain? Woh Khade Ho Jaa’ege, Un Kee Ta’daad Bohat Kam Hogi Aur Woh Jannat Me Baghair Hisaabo Kitaab Ke Daakhil Ho Jaa’ege Phir Baaqi (Bach Jaane Waale) Logo’n Ke Hisaabo Kitaab Ka Hukm Jaari Kar Diya Jaa’ega.”

[Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/169, Raqm-3244, 693, 3246,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/433, Raqm-3508,

Ibn Mubarak Fi Kitab-uz-Zuhd, 01/101, Raqm-353,

Qurtubi Fi Al-Jaame’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 14/102,

Tabarani Jaame’-ul-Bayan, 30/186,

Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 03/461,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-456, Raqm-511.]

52/512.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Qur’an Ke Aalim Wa Aamil Aur Shab Zindaadaar (Log) Meri Ummat Ke Asharaaf (Sardaar) Hain.”

[Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/556, Raqm-2703,

Isma’ili Majma’-ush-Shuyukh, 01/319, Raqm-06,

Tabarani Mu’jam-ul-Kabir, 12/125, Raqm-12662,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/243, Raqm-930,

وقال المنذري : رواه ابن أبى الدنيا فى كتاب التهجد،

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 07/161,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-456, 457, Raqm-512.]

53/513.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Allah Ne Tahajjud Guzaaro’n Ke Liye Aisee Ne’mate’n Tayyar Kar Rakhi Hain Jo Kisi Aankh Ne Dekhi Nahin, Kisi Kaan Ne Suni Nahin, Kisi Insan Ke Dil Me Un Ka Khayaal (Tak) Nahin Aaya, Na Hee Unhe’n Ko’i Muqarrib Firishta Jaanta Hai Aur Na Hee Ko’i Nabi Mursal. Ibn Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Hum Bhi Qur’an Paak Me Is (Maf’hoom) Ke Hum Ma’na Aayat Tilawat Karte Hain ‘Jo Kisi Ko Ma’loom Nahin Jo Aankho’n Kee Thandak Un Ke Liye Posheeda Rakhi Ga’i Hai, Yeh Un (Amale Saleha) Ka Badala Hoga Jo Woh Karte Rahe They.'”

رواه الحاكم.

وقال : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/448, Raqm-3550,

Ibn Abi Shaybh Al-Musannaf, 07/34, 108, Raqm-34003, 34568,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/246, Raqm-938,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-457, Raqm-513.]

54/514.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Hamara Rabb Tabarak Wa Ta’ala Har Raat Ko Jab Raat Ka Tihaa’i Hissa Baaqi Rah Jaata Hai To Aasmaane Dunya Par Nuzoole Ijalaal Farmata Hai Aur Irshaad Farmata Hai : Hai Ko’i Jo Mujh Se Du’aa Kare Taaki Mein Us Kee Du’aa Qubool Karoo’n, Hai Ko’i Jo Mujh Se Sawaal Kare Ki Use ‘Ata Karoo’n, Hai Ko’i Jo Mujh Se Maafi Chaahe Ki Use Bakhsh Doo’n.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/384, Raqm-1094,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2330, Raqm-5962,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2723, Raqm-7056,

Muslim Fi As-Sahih, 01/521, Raqm-705,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/307, Raqm-446,

وقال هذا أصح الروايات،

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/526, Raqm-3498,

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسنصحيح،

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/420, Raqm-7768, 10313, 10314,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/435, Raqm-1366,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/214, Raqm-498,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-457, 458, Raqm-514.]

55/515.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Salam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Sab Se Pehla Kalaam Jo Mein Ne Suna Woh Ye Tha, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Logo’n! Salam Phailawo (Ya’ni Kasarat Se Ek Doosre Ko Salam Kiya Karo) Khaana Khilaaya Karo, Khooni Rishto’n Ke Saath Bhalaa’i Kiya Karo Aur Raat Ko (Uth Kar) Namaz Padha Karo, Jab Ki Log Soye Hu’e Ho, Tum Salaamati Se Saath Jannat Me Daakhil Ho Jaa’oge.”

رواه الترمذي وابن ماجاه.

وقال أبو عيسى والحاكم : هذا حديث صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/652, Raqm-2485,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/423, Raqm-1334,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/451, Raqm-23835,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-458, 459, Raqm-515.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-08 : ﴾‘Ilm Aur A’maale Saaleha Kee Fazeelat﴿

Huzoor Nabiyye Akram ﷺ Kee Mad’h Aur Na’t Khaani Ka Bayan

Fasl-05 :

Huzoor Nabiyye Akram Kee Mad’h Aur Na’t Khaani Ka Bayan

56/516.    “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Mein Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Suna : (Aye Hassan) Jab Tak Tum Allah ‘Azza Wa Jalla Aur Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Taraf Se Un Ka Difa’a Karte Rahoge Ruhool-Quddas (Jibra’il ‘Alayh-is-Salam) Tumhari Ta’eed Karte Raheinge, Neez Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Farmaya : Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Hai Ki Hassan Ne Kuffare Quraish Kee Hijw (Nazm Me Kisee Kee Buraa’i Karna) Musalmano’n Ko Shifa Dee (Ya’ni Un Ka Dil Thanda Kar Diya) Aur Apne Aap Ko Shifa Dee (Ya’ni Apna Dil Thanda Kiya) Hazrat Hassan Ne (Kuffar Kee Hijw Me) Kaha : ˝Tum Ne Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Hijw Kee, To Mein Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Taraf Se Jawaab Diya Hai Aur Us Kee Asal Jaza Allah ‘Azza Wa Jalla Hee Ke Paas Hai.”

“Tum Ne Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Hijw Kee, Jo Nek Aur Adyaane Baatila Se Airaaz Karne Waale Hain, Woh Allah ‘Azza Wa Jalla Ke (Sachche) Rasool Hain Aur Un Kee Khaslat Wafa Karna Hai.”

“Bila Shub’ha Mera Baap, Mere Ajadaad Aur Meri ‘Izzat (Hamara Sab Kuchh), Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Izjato Naamoos Ke Difa’a Ke Liye Tumhare Khilaaf Dhaal Hain.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1299, Raqm-3338,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1523, Raqm-3914,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2278, Raqm-5798,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1934, 1935, Raqm-2489, 2490,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 13/103, Raqm-5787,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/341, Raqm-4377,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/273, Raqm-26021,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/555, Raaam-6063,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/238,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/38, Raqm-3582,

Baghawi Fi Sharh-us-Sunnah, 12/377, Raqm-3408,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-460, 461, Raqm-516.]

57/517.    “Hazrat Urwah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Is Baat Ko (Sakht) Napasand Farmati Thi Ki Un Ke Saamne Hazrat Hassan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Bura Bhala Kaha Jaa’e (Hazrat Hassan Bhi Un Par Tohmat Lagaane Waalo’n Me Shaamil They) Farmati Thi (Unhe’n Bura Bhala Mat Kaho) Unhone (Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Shaan Me) Yeh Naa’t Padhi Hai : ˝Bila Shub’ha Mera Baap, Mere Ajadaad Aur Meri ‘Izzat (Hamara Sab Kuchh), Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee ‘Izzat Wa Naamoos Ke Difa’a Ke Liye Tumhare Khilaf Dhaal Hain.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1518, Raqm-3910,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2137, Raqm-2770,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/296, Raqm-8931,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/197,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 08/341, Raqm-4933,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/555, Raqm-6060,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-461, 462, Raqm-517.]

58/518.    “Hazrat Hisham RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Apne Waalid (Hazrat Urwah Bin Zubair RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu) Se Riwayat Kiya Ki Unhone Farmaya : Mein Hazrat Aisha Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Kee Khidmat Me Haazir Hua Aur Hazrat Hassan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Bura Bhala Kehne Laga (Kyon Ki Woh Bhi Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Par Tohmat Lagaane Waalo’n Me Shaamil They) Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Farmaya : Unhe’n Bura Bhala Na Kaho Woh (Apni Sha’iri Ke Zari’e) Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Kuffar Ke Mukaabale Me Difa’a Kiya Karte They.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1523, Raqm-3914,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2278, Raqm-5798,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1933, Raqm-2487,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/299, Raqm-863,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/555, Raqm-6063,

وقال : هذا حديث صحيح ،

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 23/107, Raqm-149,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-462, Raqm-518.]

59/519.    “Hazrat Bara’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Hassan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Farmaya : Mushrikeen Kee Hijw Karo (Ya’ni Un Kee Mazammat Me Ash’ar Padho) Aur Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Bhi (Is Kaam Me) Tumhare Saath Hain.”

Muttafaque ‘Alayh

“Bukhari Kee Ek Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Quraiza Ke Roz Hazrat Hassan Bin Saabit RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Farmaya : Mushrikeen Kee Hijw Karo (Ya’ni Mazammat) Karo Yaqeenan Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Bhi (Meri Naamoos Ke Difa’a Me) Tumhare Saath Shareek Hain.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1176, Raqm-3041,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1512, Raqm-3897,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2279, Raqm-5801,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1933, Raqm-2486,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 03/493, Raqm-6024,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/302,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/237,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 04/298,

Tabarani Al-Mu’jam-us-Shagir, 01/90, Raqm-119,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/49, Raqm-1209,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/268, Raqm-3108,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/41, Raqm-3588, 3589,

Ibn Taymiyyah Al-Sarim-ul-Maslul, 01/214,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-462, 463, Raqm-519.]

60/520.    “Hazrat Masruq Bayan Karte Hain Ki Hum Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Kee Khidmat Me Haazir Hu’e, Dar’ Aa’n Hala’n Ki Un Ke Paas Hazrat Hassan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Baithe Unhe’n Apne Ash’aar Suna Rahe They, Hazrat Hassan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha : ˝Woh Paakiza Aur Daanishamand Hain Un Par Kisee Ke Aybjoo’i Kee Tohmat Nahin Hai Woh Sub’h Ghaafilo’n Ke Gost Se Bhookhi Uthati Hain (Ya’ni Kisee Kee Gheebat Nahin Karti).˝ Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Un Se (Fan Ke Aitabar Se) Farmaya : Lekin Tum Is Tarah Nahin They, Masruq Ne Kaha : Aap Unhe’n Apne Paas Aane Kee Kyon Ijaazat Deti Hain Haala’n Ki Allah Ta’ala Ne Farmaya Hai : ˝Aur Un Me Se Jis Ne Is (Bohtaan) Me Sab Se Ziyaada Hissa Liya Us Ke Liye Jabardast ‘Azaab Hai.˝ ]Al-Noor, 24 : 11[ Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Farmaya : Andhe Hone Se Ziyaada Aur Koun Sa Bada ‘Azaab Hoga? Hazrat Hassan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Difa’a Me Kuffar Ko Jawaab Dete They, Ya Un (Kuffar) Kee Hijw Wa Mazammat Karte They.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1523, Raqm-3915,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1934, Raqm-2388,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/238,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 23/135, Raqm-175,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-463, 464, Raqm-520.]

61/521.    “Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Hai Unhone Farmaya : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Masjide Nabawi Me Hazrat Hassan Bin Saabit RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Liye Mimbar Rakhte They Jis Par Woh Khade Ho Kar Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Taraf Se (Mushrikeen Ke Muqabale Me) Fakhr Ya Difa’a Karte They. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmate : Be Shak Allah Ta’ala Ruhool Quddas Ke Zari’e Hassan Kee Madad Farmata Rahega. Jab Tak Woh Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Taraf Se Fakhr Ya Difa’a Karta Rahega.”

رواه الترمذي وأحمد والحاكم.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/138, Raqm-2846,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/72, Raqm-24481,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/554, 555, Raqm-6058, 6059,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 04/298,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 08/189, Raqm-4746,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/37, Raqm-3580,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 02/423, Raqm-427,

Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 01/123,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-464, 465, Raqm-521.]

62/522.    “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hazrat Hassan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Liye Masjid Me Mimbar Rakhwaya Karte They Aur Woh Us Par Khade Ho Kar Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Gustakhi Karne Waalo’n Kee Hijw (Ya’ni Mazammat) Kiya Karte They To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Jab Tak Hassan Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Taraf Se Difa’a Karta Rahega Ruhool Quddas (Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam ) Bhi Hazrat Hassan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Saath (Un Ke Madadgaar) Honge.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/304, Raqm-5015,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,01/548, Raqm-442,

Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 02/169,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-465, Raqm-522.]

63/523.    “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Hassan Hin Sabit RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Liye Masjid Me Mimbar Banwa Rakkha Tha. Woh Us Par (Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Shaan Me) Naa’t Padhte.

Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Us Par Khade Ho Kar (Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Difa’a Me) Mushrikeen Kee Hijw Karte. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : ˝Mushrikeen Kee Hijw Karo Aur Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Bhi Tumhare Saath (Is Kaam Me Madadgaar) Hain.”

[Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 04/298,

Ibn Shahin Fi Nasikh-ul-Hadith Wa Mansookhuh, 01/484, Raqm-648,

Ibn Adi Al-Kamal, 04/274, Raqm-1106,

Ibn Taymiyyah Al-Sarim-ul-Maslul, 01/214,

Dhahabi Fi Mizan-ul-I’tidal Fi Naqd-ir-Rijal, 04/300, Raqm-4913,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-465, 466, Raqm-523.]

64/524.    “Hazrat Aswad Bin Sareea RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Unhone Bayan Kiya Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam! Be Shak Mein Ne Allah Ta’ala Kee Hamd Bayan Kee Hai Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Naa’t Bayan Kee Hai. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Laawo (Mujhe Bhi Sunaawo) Aur Ibtida Allah Ta’ala Kee Hamd Se Karo.”

رواه أحمد والطبراني والبيهقي والبخاري في الأدب.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/24, Raqm-15711,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/287, Raqm-843,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 04/89, Raqm-4365,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/126, Raqm-342,

Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 02/252, Raqm-1636,

Ibn Adi Al-Kamal, 05/200,,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-466, Raqm-524.]

65/525.    “Hazrat Aswad Bin Sareea RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Unhone Bayan Kiya Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Haazir Hua Aur ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Mein Ne Allah Ta’ala Kee Hamdo Sana Aur Aap Kee Midahat Wa Naa’t Bayan Kee Hai . To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Laawo Mujhe Bhi Sunaawo (Aur Ibtida) Allah Ta’ala Kee Hamd Se Karo Jo Tum Ne Bayan Kee Hai. Raawi Ne Bayan Kiya Mein Ne (Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saamne) Padhna Shuru Kar Diya.”

رواه أحمد والبخاري في الأدب والطبراني وأبونعيم.

ورجاله رجال الصحيح.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/435, 15033, 15038,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/260, 261, Raqm-334, 335,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/125, Raqm-342,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/287, Raqm-844,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 01/46,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/118,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id,09/66,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id,10/95,

وقال : رجال أحمد رجال الصحيح،

Husayni Al-Bayan Wat-Ta’rif, 01/154, Raqm-411,

وقال : أخدجه الإمام أحمد والبجاري في الأدب والنساءي والحاكم أحد أسانيد أحمد رجاله رجال الصحيح،

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 02/162,

وقال : أحد أسانيد أحمد رجاله رجال الصحيح.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-466, 467, Raqm-525.]

66/526.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Umrah Qaza Ke Mauqe Par Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Makkah Mukarramah Me Is Shaan Se Daakhil Hu’e Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin Rawaha RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Aage Aage Chal Rahe They Aur Ash’ar Padh Rahe They : ˝Kafiro’n Ke Beto! Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Raaste Se Hat Jaao. Aaj Un Ke Aane Par Hum Tumhari Gardane Maarenge. Aisee Zarb Jo Khopdiyo’n Ko Gardan Se Juda Kar De Aur Dost Ko Dost Se Alag Kar De.” Is Par Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha : Aye ‘Abd Allah Bin Rawaha! Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saamne Allah Ta’ala Ke Haram Me She’ar Kehte Ho? Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Umar! Use Chhod Do! Yeh Ash’aar Un (Dushmanon) Ke Haqq Me Teero’n Se Tez Asar Karte Hain.”

رواه الترمذي والنساءي والبغوي.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/139, Raqm-2847,

Nasa’i Fi As-Sunan, 05/202, Raqm-2873,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/383, Raqm-3856,

Baghawi Fi Sharh-us-Sunnah, 12/374, 375, Raqm-3404, 3405,

وقال : إسناده صحيح،

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,07/502,

Dhahabi Fi Siyar A’lam An-Nubala’,01/235,

Qurtubi Fi Al-Jaame’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 13/151,

Qastallani Fi Al-Mawahib-ul-Ladunniyyah, 01/297,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-467, 468, Raqm-526.]

67/527.    “Hazrat Moosa Bin Uqba RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Qa’b Bin Zuhair Ne Apne Mash’hoor Qaseede “Baanat Suaad” Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Masjide Nabawi Me Mad’h Kee Aur Jab Apne Is Qaul Par Pahonche : ˝Be Shak (Yeh) Rasoole Mukarram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Woh Noor Hain Jis Se Raushni Haasil Kee Jaati Hai Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam (Kufr Wa Zulmat Ke Alambardaro’n Ke Khilaaf) Allah Ta’ala Kee Tez Dhaar Talwaar Me Se Ek Azeem Teghe Aabdaar Hain.”

Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apne Daste Aqdas Se Logo’n Kee Taraf Ishaara Kiya Ki Woh Unhe’n (Ya’ni Qa’b Bin Zuhair) Ko (Ghaur Se) Sune.”

Aur Hazrat Sa’iyd Bin Musayyab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Riwayat Me Hai Ki Yeh Jab Qa’b Bin Zuhair Ke Paas (Gustakhe Rasool) Ibn Khatal Ke Qatl Kee Khabar Pahonchi Aur Use Yeh Khabar Bhi Pahonch Chuki Thi Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Use Bhi Wahi Dhamki Dee Hai Jo Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ibn Khatal Ko Dee Thi To Qa’b Se Kaha Gaya Ki Agar Too Bhi Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Hijw (Nazm Me Kisi Kee Bura’i Karna) Se Baa’z Nahin Aa’ega To Qatl Kar Diya Jaa’ega To Us Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sab Se Ziyaada Narm Dil Sahaabi Ke Baare Me Maaloomaat Kee To Use Hazrat Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Baare Me Bataya Gaya To Woh Un Ke Paas Gaya Aur Unhe’n Apni Saari Baat Bata Dee Phir Hazrat Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Yeh Ek Aadami Hai Jo Aap Kee Bay’at Karna Chaahta Hai Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apna Daste Aqdas Aage Badhaya To Qa’b Bin Zuhair Ne Apna Haath Aage Badha Kar Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bay’at Kar Lee Phir Apne Chehre Se Naqaab Hata Liya Aur Apna Woh Qaseeda Padha Jis Me Hai.”

˝Mujhe Khabar Dee Ga’i Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Mujhe Dhamki Dee Hai Aur Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Yaha’n Afwo Darguzar Kee (Ziyaada) Ummid Kee Jaati Hai.”

Aur Is Qaseede Me Hai : ˝Be Shak (Yeh) Rasoole Mukarram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Woh Noor Hain Jis Se Raushni Haasil Kee Jaati Hai Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam (Kufr Wa Zulmat Ke Alambardaro’n Ke Khilaaf) Allah Ta’ala Kee Tez Dhaar Talwaar Me Se Ek Azeem Teghe Aabdaar Hain.”

Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne (Khush Ho Kar) Use Apni Chaadar Pehnaa’i Jis Ko Mu’awiya RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Us Kee Aulaad Se Maal Ke Badle Me Khareed Liya Aur Yahi Woh Chaadar Hai Jise (Baa’d Me) Khulafa Eido’n (Aur Aham Tyowharo’n Ke Mauqe) Par Pehna Karte They.

Is Hadith Ko Imam Ibn Qani’ Aur Imam Asqalani Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Ibn Kaseer Ne “Al-Badaaya” Me Riwayat Karne Ke Baa’d Farmaya Hai Ki Mein Kehta Hoo’n Ki Kuchh Riwayat Me Aaya Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apni Chaadar Mubarak Un Ko Us Waqt ‘Ata Farmaa’i Jab Unhone Apne Qaseede Ke Jariye Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Mad’h Farmaa’i……. Aur Isee Tarah Hafiz Aboo-ul-Hasan Ibn Al-Aseer Ne “Usd-ul-Ghabah” Me Bayan Kiya Hai Ki Yeh Wahi Chaadar Hai Jo Khulafa Ke Paas Rahi Aur Yeh Bohat Hee Mash’hoor Waaqe’a Hai.”

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/670, 673, Raqm-6477, 6479,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/243, Raqm-77,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 19/177, 178, Raqm-403,

Ibn Qani’ Fi Mu’jam Al-Sahabah, 02/381,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 05/594,

Ibn Hisham Fi As-Seerat-un-Nabawiyyah, 05/191,

ال كﻻعي في اﻻكتفاء، ٢٦٨/٢،

Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah (As-Sirh), 04/373,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-468, 469, 470, 471, Raqm-527.]

68/528.    “Hazrat Khuraim Bin Aws Bin Harisa Bin Laam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Hum Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Maujood They To Hazrat Abbas Bin ‘Abd-il-Muttalib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Mein Aap Kee Mad’h Wa Naa’t Padhna Chaahta Hoo’n To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Laawo Allah Ta’ala Tumhaare Daant Saheeh Wa Salamat Rakkhe (Ya’ni Tum Isee Tarah Ka Umda Kalaam Padhte Raho) To Hazrat Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Yeh Padhna Shuru Kuya : ˝Aur Aap Woh Zaat Hain Ki Jab Aap Kee Wiladate Ba-Sa’adat Hu’i To (Aap Ke Noor Se) Saari Zameen Chamak Uthi Aur Aap Ke Noor Se Ufaqe ‘Aalam Raushan Ho Gaya Phir Hum Hain Aur Hidayat Ke Raaste Hain Aur Hum Aap Kee ‘Ata Karda Raushni Aur Aap Hee Ke Noor Me In (Hidayat Kee Raahon) Par Gaamzan Hain.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/213, Raqm-4167,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/369, Raqm-5417,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 01/364,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/217,

Dhahabi Fi Siyar A’lam An-Nubala’, 02/102,

Ibn Jawzi Fi Sifat-us-Safwah, 01/53,

Ibn ‘Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab, 02/447, Raqm-664,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah 02/274, Raqm-2247,

Khattabi Islah Ghalat-ul-Muhaddithin, 01/101, Raqm-57,

Ibn Qudamah Fi Al-Mughni, 10/176,

Suyooti Fi Khasa’is Al-Kubra Aw Kifayah At-Talib Al-Labib Fi Khasa’is Al-Habib, 01/66,

Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah (As-Sirh), 02/258,

Qurtubi Fi Al-Jaame’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 13/146,

Halabi Fi As-Sirat-ul-Halabiyyah, 01/92,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-471, 472, Raqm-528.]

69/529.    “Hazrat Husayn Bin ‘Ubayd Allah Riwayat Karte Hain Ki Mujhe Us Ne Bataya Jis Ne Hazrat Naabigha Jaa’di RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu (Aur Un Ka Poora Naam Qais Bin ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Hai Aur Unhe’n Sohbate Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Sharf Haasil Hai) Se Suna Woh Farmate Hain Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Haazir Hua Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Apna Kalaam Sunaaya Phir Jab Mein Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Mad’h Kee To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Ki Allah Ta’ala Tumhare Daant Salamat Rakkhe (Aur Tum Isee Tarah Ka Umda Kalaam Padhte Raho) Aur (Is Du’aa Ke Nateeje Me) Woh Tamaam Logo’n Me Badh Kar Khoobsoorat Daanto’n Waale They Aur Jab Un Ka Ko’i Daant Girta To Us Jagah Doosara Daant Nikal Aata Tha.”

Aur Yahi Hadith ‘Abd Allah Bin Jarrad Se Bhi Marwi Hai Is Me Hain Ki Mein Ne Aap (Naabigha Jaa’di RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu) Kee Taraf Dekha Goya Un Ka Moo’nh (Pahaado’n Par) Giree Hu’i Barf Kee Tarah Raushan Aur Chamakdaar Tha. Un Ka Ko’i Daant Gira Na Kharaab Hua. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Is Farman Kee Badaulat Ki ˝Tum Ne Kya Khoob Meri Mad’h Kee Hai Allah Ta’ala Tumhare Daant Salamat Rakkhe.”

Aap Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Du’aa Kee Badaulat Hazrat Naabigha RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Taweel Zindagi Paa’i Yaha’n Tak Ki Aap 122 Saal Zinda Rahe.”

Imam Suyoot “Al-Khasa’is” Me Bayan Karte Hain Ki Imam Bayhaqi Aur Aboo Nu’aym Ne Ya’la Bin Ashdaq Ke Tareeq Se Yeh Hadith Riwayat Kee Hai Woh Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Naabigha Jo Ki Naabigha Bani Jaa’dah Hain Ko Bayan Karte Hu’e Suna Woh Farmate Hain : Mein Ne Is She’r Ke Zareeye Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Mad’h Saraa’i Kee To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Bohat Pasand Aaya To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Too Ne Kya Khoob Kaha Hai! Allah Ta’ala Tumhare Daant Salamat Rakkhe. Phir Mein Ne Unhe’n Dekha Ki Un Kee ‘Umr Sau-100 Aur Kuchh Saal Oopar Ho Ga’i Thi Lekin Un Ka Ko’i Daant Nahin Gira Tha Aur Imam Bayhaqi Ne Yeh Hadith Aur Ek Tareeq Se Hazrat Naabigha Se Riwayat Kee Hai Aur Ibn Abee Usaama Ne Bhi Un Hee Se Ek Aur Tareeq Se Us Kee Riwayat Kee Hai Aur Us Me Yeh Alfaz ˝Hazrat Naabigha RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tamam Logo’n Se Badh Kar Khoobsoorat Daanto’n Waale They Aur Un Ka Ko’i Daant Girta To Us Kee Jagah Doosara Daant Nikal Aata” Aur Imam Ibn Sukan Ne Aap Hee Se Ek Tareeq Se Is Ko Riwayat Kiya Hai Aur Is Me Yeh Alfaz Hain : Mein Ne Hazrat Naabigha RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Dandaan Safed Olo’n Se Badh Kar Safed Dekhe Aur Yeh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Un Ke Liye Du’aa Ka Nateeja Tha.”

[Ibn ‘Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab, 04/1514, 1517, 1743, Raqm-2648, 3154,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 05/588, Raqm-7407,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 06/394,

وقال : أخرجه البزار وأبونعيم في تاريخ أصبهان،

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/126,

وقال : رواه البزار،

Harith Fi Al-Musnad (Zawa’id Al-Haythami), 02/844, Raqm-894,

Ibn Hayyan Fi Tabaqat-ul-Muhaddithin Bi-Asbahan, 01/274, 276,

Suyooti Fi Khasa’is Al-Kubra Aw Kifayah At-Talib Al-Labib Fi Khasa’is Al-Habib, 02/282,

Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah (As-Sirh), 06/168,

Ibn Kathir Fi Rih Al-Nisrin Fi-Man ‘Ash Min Al-Sahabah, 01/77,

Qannooji Fi Abjad Al-Uloom,01/329,

وقال : أخرجهالسيوطي والبيهقي.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-472, 473, 474, Raqm-529.]

70/530.    “Hazrat Qa’b Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se ‘Arz Kiya : Be Shak Allah Tabarak Wa Ta’ala Ne She’r Ke Baare Me Naazil Kiya Jo Naazil Kiya To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Momin Apni Talwaar Aur Zubaan Dono’n Ke Saath Jihaad Karta Hai Aur Us Kee Zaat Kee Qasam Jis Ke Qabza-e Qudrat Me Meri Jaan Hai! Goya Jo Alfaz Tum In (Kuffar Wa Mushrikeen) Kee Mazammat Me Kehte Ho Woh (Un Ke Liye) Teer Barsaane Jaisa Hai.”

رواه أحمد وابن حبان والبخار في الكبير والبغوي.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/387, Raqm-27218,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/456,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 13/102, Raqm-5786,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 11/05, Raqm-4707,

Bukhari Fi At-Tarikh-ul-Kabir, 05/304,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 19/75, Raqm-151, 153,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/239,

Baghawi Fi Sharh-us-Sunnah, 12/378, Raqm-3409,

Ibn ‘Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab, 03/1325,

Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 24/195,

Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 01/216, Raqm-566,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-474, 475, Raqm-530.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-08 : ﴾‘Ilm Aur A’maale Saaleha Kee Fazeelat﴿

Ziyarate Quboor Kee Fazeelat Ka Bayaan

Fasl-06 :

Ziyarate Quboor Kee Fazeelat Ka Bayaan

71/531.    “Imame Aazam Aboo Hanifah Alqama Bin Marsad Se Woh Sulaiman Bin Burayda Se Aur Woh Apne Waalid Hazrat Burayda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Aur Woh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Hum Ne Tumhe’n Qabro’n Kee Ziyarat Karne Se Mana Kiya Tha, Muhammad Mustafa (SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Ko Apni Waalida Kee Qabr Kee Ziyarat Karne Ka Izn (Hukm) De Diya Gaya Hai, To (Ab) Tum Bhi Qabro’n Kee Ziyarat Kiya Karo Aur Behuda Baate Mat Kiya Karo.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 02/199,

Aboo Yusuf Kitab-ul-Aathar, 01/225, Raqm-996,

Nasa’i Fi As-Sunan, 04/89, Raqm-2033,

Malik Fi Al-Muwatta’, 02/485, Raqm-1031,

Shafi’iy Fi Al-Musnad, 01/361,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/532, Raqm-1393,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-476, Raqm-531.]

72/532.    “Hazrat Burayda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Tumhe’n Ziyarate Quboor Se Mana Kiya Karta Tha, Phir Ab Tum Ziyarate Quboor Kiya Karo.”

Ise Imam Muslim Ne Riwayat Kiya Aur Imam Tirmidhi Ne In Alfaz Ka Izaafa Kiya Ki “Yeh Tumhe’n Aakhirat Kee Yaad Dilaati Hain.”

[Muslim Fi As-Sahih, 02/672, Raqm-977,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1563, Raqm-1977,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04, 03/370, Raqm-1054,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/218, Raqm-3235,

Nasa’i Fi As-Sunan, 04/89, Raqm-2032,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-476, 477, Raqm-532.]

73/533.    “Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Riwayat Karti Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam (Kee Jab Mere Yaha’n Baari Hoti To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Raat Ke Aakhiri Pahar Baqi Ke Qabristan Me Tashrif Le Jaate Aur (Ahle Qabristan Se) Farmate : Tum Par Salamati Ho, Aye Momino’n Ke Ghar Waalo’n! Jis Cheez Ka Tum Se Waada Kiya Gaya Hai Woh Tumhare Paas Aa Ga’i Ki Jise Kal Ek Muddat Baa’d Paawoge Aur Agar Allah Ta’ala Ne Chaaha To Hum Bhi Tum Se Milne Waale Hain. Aye Allah! Baqee-e Gharqad (Ahle Madeenah ake Qabristan) Waalo’n Kee Maghfirat Farma.”

[Muslim Fi As-Sahih, 02/669, Raqm-974,

Nasa’i Fi As-Sunan, 04/93, Raqm-2039,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 08/199, Raqm-4758,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 07/444, Raqm-3172,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-477, Raqm-533.]

74/534.    “Hazrat Burayda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Unhe’n Sikhaya Karte They Ki Jab Woh Qabro’n Kee Ziyarat Ke Liye Jaa’e’n To Un Se Kehne Waala Kahe  …. Aur Hazrat Zuhayr Kee Riwayat Me Hai Aye Momino’n Aur Musalmano’n Ke Ghar Waalo’n! Tum Par Salamati Ho Aur Agar Allah Ta’ala Ne Chaaha To Hum Bhi Zaroor Zaroor Tum Se Milne Waale Hain, Hum Allah Ta’ala Se Apne Liye Aur Tumhare Liye Aafiyat Ke Talabgaar Hain.”

[Muslim Fi As-Sahih, 02/671, Raqm-975,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/353, Raqm-23035,

Ruwayani Fi Al-Musnad, 01/67, Raqm-15,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 07/445, Raqm-3173,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/79, Raqm-7005,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-477, 478, Raqm-534.]

75/535.    “Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ek Taweel Riwayat Me Bayan Karti Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Mein Ziyarate Quboor Ke Waqt Ahle Quboor Se Kis Tarah Mukhaatib Hua Karoo’n? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yoo’n Kaha Karo : Aye Momino’n Aur Musalmano’n Ke Ghar Waalo’n! Tum Par Salamati Ho, Allah Ta’ala Humare Agle Aur Pichhle Logo’n Par Raham Farmaa’e Aur Agar Allah Ta’ala Ne Chaaha To Hum Bhi Tumhe’n Milne Waale Hain.”

[Muslim Fi As-Sahih, 02/669, Raqm-974,

Nasa’i Fi As-Sunan, 04/91, Raqm-2037,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/221, Raqm-25897,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 03/576, Raqm-6722,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-478, 479, Raqm-535.]

76/536.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Madinah Munawwarah Ke Qabristan Se Guzre To Ahle Quboor Kee Taraf Mutawajjah Ho Kar Farmaya : Aye Ahle Quboor! Tum Par Salamati Ho Allah Ta’ala Hamari Aur Tumhari Maghfirat Farmaa’e Tum Hum Se Pehle Pahonche Ho Aur Hum Bhi Tumhare Pichhe Aane Waale Hain.”

رواه الترمذي وفي الباب : بريدة، وعائشة،

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن..

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/357, Raqm-1053,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-479, Raqm-536.]

77/537.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Tumhe’n Ziyarate Quboor Se Mana Kiya Karta Tha Ab Ziyarate Quboor Kiya Karo Kyon Ki Yeh Dunya Me Zaahid Banaati Hai (Ya’ni Dunyaawi Lazzato’n Se Beraghbati Paida Karti Hai) Aur Aakhirat Kee Yaad Deelaati Hai.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/501, Raqm-1571,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-479, Raqm-537.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-08 : ﴾‘Ilm Aur A’maale Saaleha Kee Fazeelat﴿

Faut Shudgan Ko Thawaab Pahonchane Kee Fazeelat Ka Bayaan

Fasl-07 :

Faut Shudgan Ko Thawaab Pahonchane Kee Fazeelat Ka Bayaan

78/538.    “Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Ko’i Fawt Ho Jaa’e Aur Us Ke Zimme Roze (Baaqi) Ho’n To Us Ka Walee Us Kee Taraf Se Woh Roze Rakkhe.”

Muttafaque ‘Alayh

“Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Riwayat Me Hai Ki Farmaya : Agar Us (Fawt Hone Waale) Par Kisee Nazr Ka Poora Karna Baaqi Ho (Jo Us Ne Maani Thi) To Woh Us Kee Taraf Se Us Ka Walee Poori Kare.”

رواه أبوداود.

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/690, Raqm-1851,

Muslim Fi As-Sahih, 02/803, Raqm-1147,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/315, Raqm-2400, 2401,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/237, Raqm-3311,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 2/175, Raqm-2919,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 08/334, Raqm-3569,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/390, Raqm-4417,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 08/200, Raqm-4761,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/253, Raqm-4121,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/255, 256, Raqm-8010,

06/279, Raqm-12424,

Daraqutni Fi As-Sunan, 02/194, Raqm-79, 80,

وقال الدار قطني : إسناده صحيح،

Ibn Jarood Fi Kitab Al-Muntaqa, 01/237, Raqm-943,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 03/113, Raqm-12598,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-480, Raqm-538.]

79/539.    “Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Hai Ki Ek Aadami Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Haazir Hua Aur ‘Arz Kiya : Meri Waalida Achaanak Fawt Ho Ho Ga’i Hai Aur Mera Khayaal Hai Ki Agar Woh (Bawaqte Naz’a) Guftagoo Kar Sakti To Sadqe (Kee Adaaygi Ka Hukm) Karti. Agar Mein Us Kee Taraf Se Khairaat Karoo’n To Kya Use Sawaab Pahonchega Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ha’n.”

Ise Bukhari Aur Muslim Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Muslim Ne “Sadaqat Ke Sawab Ka Shudagan Tak Pahonchne” Ke Unwaan Se Baqaayda Baab Qaa’em Kiya Hai.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/467, Raqm-1322,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1015, Raqm-2609,

Muslim Fi As-Sahih, 02/696, Raqm-1004,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1254, Raqm-1004,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/118, Raqm-2881,

Nasa’i Fi As-Sunan, 06/250, Raqm-3649,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Qubra, 04/109, Raqm-6476,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/906, Raqm-2717,

Malik Fi Al-Muwatta’,02/760, Raqm-1451,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 04/124, Raqm-2499,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 08/140, Raqm-3353,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/51, Raqm-24296,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/410, Raqm-4434,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/62, Raqm-6895, 12409,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/218, Raqm-703,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-481, Raqm-539.]

80/540.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hain Ki (Qabeela) Juhayna Kee Ek Aurat Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Haazir Ho Kar ‘Arz Kiya : Meri Waalida Ne Hajj Kee Mannat Maani Thi Lekin Woh Hajj Na Kar Saki Yaha’n Tak Ki Fawt Ho Ga’i. Kya Mein Us Kee Taraf Se Hajj Karoo’n? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ha’n Tum Us Kee Taraf Se Hajj Karo. Bhala Bataawo To Agar Tumhari Waalida Par Qarz Hota To Kya Tum Use Ada Na Karti? Phir Allah Ta’ala Ka Haqq Ada Karo Kyon Ki Woh Ziyaada Haqq Daar Hai Ki Us Ka Qarz Ada Kiya Jaa’e.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/656, Raqm-1754,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2464, Raqm-6321,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2668, Raqm-6885,

Nasa’i Fi As-Sunan, 05/116, Raqm-2632,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/322, Raqm-3612,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 04/346, Raqm-3041,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/50, Raqm-12443, 12444,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/335, Raqm-8455,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,05/179, Raqm-9634, 12382, 12407,

Ibn Jarood Fi Kitab Al-Muntaqa, 01/133, Raqm-501, 944,

Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/258, Raqm-1710,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-482, Raqm-540.]

81/541.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Ek Shakhs Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Mera Baap Fawt Ho Gaya Hai Aur Us Ne Maal Chhoda Hai Aur Waseeyat Bhi Nahin Kee Agar Mein Us Kee Taraf Se Sadqa Karoo’n To Kya Yeh (Sadqa) Us Ke Gunaaho’n Ka Qaffara Ho Jaa’ega? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ha’n.”

[Muslim Fi As-Sahih, 03/1254, Raqm-1630,

Nasa’i Fi As-Sunan, 06/251, Raqm-3652,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/206, Raqm-2716,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/371, Raqm-8828,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 04/123, Raqm-2498,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 06/278, Raqm-12414,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 11/379, Raqm-6494,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 03/493, Raqm-5816,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-482, 483, Raqm-541.]

82/542.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Ek Aurat Haazir Hu’i Aur ‘Arz Kiya : Meri Maa Fawt Ho Ga’i Hai Aur Us Par Ek Maah Ke Roze Waajib Hain Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yeh Bataawo Us Par Kuchh Qarz Hota To Kya Tum Us Kee Taraf Se Woh Qarz Ada Karti? Us Aurat Ne ‘Arz Kiya : Ha’n. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Phir Allah Ta’ala Ziyaada Haqq Daar Hai Ki Us Ka Qarz (Pehle) Ada Kiya Jaa’e.”

“Aur Ek Riwayat Me Hai Yeh Alfaz Marwi Hain Ki Us Ne ‘Arz Kiya : Meri Bahan Fawt Ho Ga’i Hai Aur Us Par Do² Maah Ke Musalsal Roze Waajib Hain. (To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Use Isee Tarah Se Adaaygi Ka Hukm Diya.).”

[Muslim Fi As-Sahih, 02/804, Raqm-1148,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/173, 174, Raqm-2912, 2915,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/559, Raqm-1758,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 08/299, 335, Raqm-3530, 3570,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/255, Raqm-8012,

Ibn Jarood Fi Kitab Al-Muntaqa, 01/237, Raqm-942,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-483, 484, Raqm-542.]

83/543.    “Hazrat Burayda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Baargaahe Aqdas Me Baitha Hua Tha Ki Ek Aurat Aa’i Aur ‘Arz Kiya : Mein Ne Apni Maa Ko Ek Baandi Sadqe Me Dee Thi Aur Ab Meri Maa Fawt Ho Ga’i Hai. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tumhe’n Sawab Mil Gaya Aur Wiraasat Ne Tumhe’n Woh Baandi Louta Dee. Us Aurat Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Meri Maa Par Ek Maah Ke Roze (Bhi Baaqi) They Kya Mein Us Kee Taraf Se Roze Rakhoo’n? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ha’n Us Kee Taraf Se Roze Rakho. Us Ne ‘Arz Kiya : Meri Maa Ne Hajj Bhi Nahin Kiya Tha Kya Mein Us Kee Taraf Se Hajj Ada Karoo’n? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ha’n, Us Kee Taraf Se Hajj Bhi Ada Karo (Use In Sab Aamaal Ka Sawaab Pahonchega).”

رواه مسلم والترمذي.

وقال الترمذي : هذا حديث حسن صحيح.

[Muslim Fi As-Sahih, 02/805, Raqm-1149,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/54, Raqm-667,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/66, 67, Raqm-6314, 6316,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/800, Raqm-2394,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/256, Raqm-8019,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 04/356, Raqm-121,:) Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 09/120,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/349, 351, 359, 361, Raqm-23006, 23021, 23082, 23104,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-484, 485, Raqm-543.]

84/544.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Ek Shakhs Ne Baargaahe Risalat Me ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Meri Waalida Fawt Ho Chuki Hai Agar Mein Us Kee Taraf Se Sadqa Doo’n To Kya Woh Use Ko’i Nafa Dega? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ha’n! Us Ne ‘Arz Kiya : Mere Paas Ek Baag Hai Aap Gawaah Rahe’n Mein Ne Yeh Baag Us Kee Taraf Se Sadqa Kar Diya.”

“Imam Tirmidhi Farmate Hain : Yeh Hadith Hasan Hai Aur Ulama Ka Yahi Qaul Hai Woh Farmate Hain : Mayyat Ko Sirf Sadqa Aur Du’aa Pahonchti Hain.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/56, Raqm-669,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/118, Raqm-2882,

Nasa’i Fi As-Sunan, 06/252, Raqm-3655,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/110, Raqm-6482,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/581, Raqm-1531,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 04/125, Raqm-2502,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/370, Raqm-3504,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-485, Raqm-544.]

85/545.    “Hazrat Sa’d Bin Ubaada RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Un Kee Waalida Fawt Ho Ga’i. Unhone ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Meri Waalida Fawt Ho Ga’i Hain, Kya Mein Us Kee Taraf Se Sadqa Kar Sakta Hoo’n? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ha’n Unhone ‘Arz Kiya : To Koun Sa Sadqa Behtar Rahega? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Paani Pilaana. (To Unhone Ek Kuwa’n Kharid Kar Musalmano’n Ke Liye Waqf Kar Diya) Phir Yeh Kuwa’n Madinah Munawwarah Me Sa’d Ya Aale Sa’d Ke Paani Kee Sabeel (Ke Naam Se Mash’hoor Tha).”

[Nasa’i Fi As-Sunan, 06/254, 255, Raqm-3662, 3666,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/112, Raqm-6491,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1214, Raqm-3684,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/284, Raqm-22512,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/20, Raqm-5379,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/221, Raqm-3379,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/42, Raqm-1423,1424,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-485, 486, Raqm-545.]

86/546.    “Hazrat Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Ummi Sa’d (Ya’ni Un Kee Waalida Maajeda) Ka Intiqal Ho Gaya Hai. To (Un Kee Taraf Se) Koun Sa Sadqa Afzal Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Paani (Pilana) To Unhone Auk Kuwa’n Khudawaya Aur Kaha : Yeh Ummi Sa’d Ka Kuwa’n Hai.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/130, Raqm-1681,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/41, Raqm-1424,

Husayni Al-Bayan Wat-Ta’rif, 01/120, Raqm-307,

Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 01/362, Raqm-1912,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-486, Raqm-546.]

87/547.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Insan Mar Jaata Hai To Us Ke Aamaal Ka Silsila Khatm Ho Jaata Hai Siwaye Teen Cheezo’n Ke (Un Ka Ajr Use Barabar Milta Rehta Hai: ) Ek¹ Woh Saqda Jis Ka Nafa Zaari Rahe, Doosara² Woh Ilm Jis Se Faayda Uthaaya Jaa’e, Teesra³ Woh Nek Aulaad Jo Us Ke Liye Du’aa Kare.”

[Muslim Fi As-Sahih, 03/1255, Raqm-1631,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/28, Raqm-38,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/117, Raqm-2880,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/88, Raqm-239,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 04/122, Raqm-2494,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 07/286, Raqm-3016,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 11/266, Raqm-4902,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/372, Raaam-8831,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 06/278, Raqm-12415,

Bayhaqi Fi As-Shu’ab-ul-Iman, 03/247, Raqm-3447,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/08, Raqm-3472,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/242, Raqm-395,

Aboo Ya’al Al-Musnad, 11/343, Raqm-6457,

Ibn Jarood Fi Kitab Al-Muntaqa, 01/101, Raqm-370,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 03/394, 395, Raqm-5824,

Aboo Mahasin Fi Mu’tasar Al-Mukhtasar, 02/306,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/283, Raqm-1109,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/55, Raqm-124, 125, 156, 1888,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-486, 487, Raqm-547.]

88/548.    “Hazrat Sufyan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Hazrat Ta’oos RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Be Shak Saat-07 Din Tak Murdo’n Ko Qabro’n Me Aazmaya Jaata Hai Is Liye Log In Dino’n Me Un Kee Taraf Se Khaana Khilaane Ko Mustahab Samajhte They.”

رواه أبو نعيم وأحمد.

وقال السيوطي : إسناده صحيح وله حكم الرفع.

[Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 04/11,

Suyoot Fi Al-Dibaj Ala Sahih Muslim, 02/491, Raqm-905,

Suyoot Fi Sharh As-Sunan-un-Nasa’i, 04/104,

Noor Al-Din Al-Sanadi Hashiyah As-Sanadi Ala An-Nasa’i, 04/103, Raqm-2060,

Ibn Jawzi Fi Sifat-us-Safwah, 02/289,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-487, 488, Raqm-548.]