Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-09 : ﴾Azamate Risaalat Aur Sharafe Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam﴿

Nubuwwate Muhammadi ﷺ Ke Sharaf Ka Bayan

Fasl-01 :

Nubuwwate Muhammadi Ke Sharaf Ka Bayan

01/549.    “Hazrat Zubair Bin Mut’im RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mere Paanch-05 Naam Hain. Mein Muhammad Aur Ahmad Hoo’n Aur Mein Maahee (Yaani Mitaane Waala) Hoo’n Ki Allah Ta’ala Mere Zari’e Se Kufr Ko Mita Dega Aur Mein Haashir Hoo’n. Sab Log Mere Pairo’n Me Hee (Roze Hashr) Jam’a Ki’e Jaa’enge Aur Aaqib (Yaani Sab Se Aakhir Me Aane Waala) Hoo’n.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1299, Raqm-3339,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1858, Raqm-4614,

Muslim Fi As-Sahih, 04/827, Raqm-2354,

Tirmidhi As-Sunan , 05/135, Raqm-28406,

وقال الترمذي :هذا حديث حسن صحيح،

Malik Fi Al-Muwatta’, 02/1004,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/80, 84,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/489, Raqm-1159,

Daraqutni Fi As-Sunan, 02/409, Raqm-2775.

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 14/219, Raqm-6313,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 13/388, Raqm-7395

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/44, Raqm-3580,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/120, Raqm-1520, 1529,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/140, Raqm-1397,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-493, Raqm-549.]

02/550.    “Hazrat Aboo Hurayrah Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Meri Misaal Aur Guzishta Ambiya-e Kiram Kee Misal Aisi Hai, Jaise Kisi Ne Ek Bohat Khoobsoorat Makaan Banaaya Aur Use Khoob Aaraasta Kiya, Lekin Ek Goshe Me Ek Int Kee Jagah Chhod Dee. Log Aa Aa Kar Is Makaan Ko Dekhne Lage Aur Is Par Taa’jjub Ka Iz’haar Karte Hu’e Kehne Lage : Int Kyon Nahin Rakkhi Ga’i? Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aur Mein Wahi Int Hoo’n Aur Mein Khaatimunnabiyyin Hoo’n (Ya’ni Mere Baa’d Baabe Nunuwwat Hamesha Ke Liye Band Ho Gaya Hai).”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1300, Raqm-33341, 33342.

Muslim Fi As-Sahih, 04/1791, Raqm-2286.

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/398, Raqm-9156.

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/436, Raqm-11422.

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 14/315, Raqm-6405,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-493, 494, Raqm-550.]

03/551.    “Hazrat Aboo Moosa Ash’ari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hame’n Apne Kai Asma-e Giraami Bayan Farmaayein. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Muhammad Hoo’n Aur Mein Ahmad Hoo’n Aur Muqaffee (Baa’d Me Aane Waala) Aur Haashir Hoo’n (Jiski Pairwi Me Roze Hashr Sab Jam’a Ki’e Jaa’enge) Aur Nabi-ut-Tawbah Aur Nabi-ur-Rahma Hoo’n.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1828, Raqm-2355.

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/395, 404, 408.

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/311, Raqm-31692, 31693.

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/659, Raqm-4185, 4186,

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد،

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/327, Raqm-4338, 4417.

Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/479, Raqm-3322,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-494, 495, Raqm-551.]

04/552.    “Hazrat Waasila Bin Al Asqa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Aulaade Ismail ‘Alayh-is-Salam Bani Kinaana Ko Aur Aulaade Kinaana Me Se Quraish Ko Aur Quraish Me Se Haashim Aur Bani Haashim Me Se Mujhe Sharafe Intekhaab Bakhsha Aur Pasandida Qaraar Diya.”

رواه مسلم والترمذي وأحمد وابن أبي شيبة

وقال الترمذي : هذا حديث حسن.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1782, Raqm-2276,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/583, Raqm-3605,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/108,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/317, Raqm-31731,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 14/135, Raqm-6242,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/66, Raqm-161,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 13/469, Raqm-7485,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, Volume-06, Page-365, Raqm-12852, 3542

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/139, Raqm-1391,

Lalaka’i Fi I’tiqad Ahl As-Sunnah, 04/751, Raqm-1400,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-495, Raqm-552.]

05/553.    “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam MAale Ghanimat Taqseem Farma Rahe The Ki ‘Abd Allah Bin Jilkhuvaisara Tameemee Aaya Aur Kehne Laga : Ya RasoolAllah ﷺ! Adal Se Taqseem Keeji’e. (Uske Is Taa’n Par) Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Mein Adal Nahin Karta To Aur Koun Adal Karega? Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Ijaazat ‘Ata Farmaye’n Ki Mein Is (Khaarijee Munaafiq) Kee Gardan Uda Doon (Ya ‘Arz Kiya :  Ya RasoolAllah ﷺ! Mujhe Ijaazat De Ki Mein Is Khabees Munaafiq Kee Gardan Uda Doon?) Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Rehne Do. Is Ke Kuchh Saathi Aise Hain (Yaa Honge) Ki Un Kee Namazo’n Ke Saamne Tum Apni Namazo’n Ko Aur Unke Rozo’n Ke Saamne Tum Apne Rozo’n Ko Haqeer Jaanoge. Lekin Woh Log Deen Se Is Tarah Khaarij Honge Jis Tarah Teer Shikaar Se Paar Nikal Jaata Hai. (Teer Phaikne Ke Baa’d) Teer Ke Par Ko Dekha Jaa’ega To Us Me Bhi Khoon Ka Ko’i Asar Na Hoga. Teer Ki Baad Ko Dekha Jaa’ega To Us Me Bhi Khoon Ka Ko’i Asar Na Hoga Aur Teer (Jaanwar Ke) Gobar Aur Khoon Se Paar Nikal Chuka Hoga. (Aisi Hee In Khabeeso’n Kee Misaal Hain Ki Deen Ke Saath Un Ka Sire Se Ko’i Taa’lluq Hee Na Hoga).”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2540, Raqm-6534, 6536,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1321, Raqm-3414,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1928, Raqm-4771,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2281, Raqm-5811,

Muslim Fi As-Sahih, 02/744, Raqm-1064,

Nasa’i Fi As-Sunan, 07/119, Raqm-4103,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/355, Raqm-11220,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/61, Raqm-172,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/56, Raqm-11554, 14861,

Ibn Jarood Fi Kitab Al-Muntaqa, 01/272, Raqm-1083,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/140, Raqm-6741,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/562, Raqm-37932,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 10/146,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/298, Raqm-1022,

Bazzar Fi Al-Musnad, 09/305, Raqm-3846,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/160, Raqm-2647,

وقال : هذا حديث صحيح،

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/35, Raqm-9060,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/171,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-495, 496, 497, Raqm-553.]

06/554.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ko’i Momin Aisa Nahin Ki Mein Dunya  Wa Aakhirat Me Jis Kee Jaan Se Bhi Ziyaada Qareeb Na Hoo’n. Agar Tum Chaaho To Yeh Aayat Padh Lo : “Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Momino’n Ke Liye Un Kee Un Kee Jaano’n Se Bhi Ziyaada Qareb Hain.”(Al-Ahzab, 06:33) Phir Jo Musalman Maal Chhod Kar Mare To Jo Bhi Us Ka Khaandaan Hoga Wahi Us Ka Waaris Hoga Lekin Agar Qarj Ya Bachche Chhod Kar Mare To Woh (Qarz Khwaah Ya Bachche) Mere Paas Aayein Mein Un Ka Sarparast Hoo’n. (Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Baa’d Islami Riyaashat Yeh Dono’n Zimmedaariyan Nibhayegi).”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1795, Raqm-4503,

Muslim Fi As-Sahih, 02/592, Raqm-(43)867,

Nasa’i Fi As-Sunan, 03/188, Raqm-1578,

Daraqutni Fi As-Sunan, 02/341, Raqm-2594,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/143, Raqm-1785,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 06/238, Raqm-12148,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-497, Raqm-554.]

07/555.    “Hazrat Muttalib Bin Aboo Wada’a RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki Ek Baar Hazrat Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu, Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat e Aqdas Me Haazir Hu’e Aur Woh Us Waqt (Kafiro’n Se Kuchh Naashaa’ista Kalimaat) Sun Kar (Gusse Kee Haalat Me The. Phir Waaqiye Par Muttala’ Ho Kar) Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mimbar Par Tashreef Farma Hu’e Aur Farmaya : Mein Koun Hoo’n? Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya :  (Ya RasoolAllah ﷺ!) Aap Par Salaamati Ho Aap Rasool Allah Hain. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Muhammad Bin ‘Abd Allah Bin ‘Abd-il-Muttalib Hoo’n. Khuda Ne Makhlooq Ko Paida Kiya To Mujhe Behtareen Khalq (Ya’ni Insaanon) Me Paida Kiya, Phir Makhlooq Ko Do² Hisso’n Me Taqseem Kar Diya (Ya’ni Arab Wa Ajam), To Mujhe Behtareen Tabqa (Yaani Arab) Me Daakhil Kiya. Phir Un Ke Mukhtalif Qabeele Banaaye To Mujhe Behtareen Qabeele (Ya’ni Quraish) Me Daakhil Farmaya. Phir Un Ke Gharaane Banaaye To Mujhe Behtareen Gharaane (Ya’ni Bani Haashim) Me Daakhil Kiya Aur Behtareen Nasab Waala Banaaya, (Ya’ni Mein Zaati Sharaf Aur Hasab Wa Nasab Har Ek Lihaaz Se Tamaam Makhlooq Se Afzal Hoo’n.)”

رواه الترمذي وأحمد.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/543, Raqm-3532,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/584, Raqm-3607, 3608.

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/210, Raqm-1788,

Bayhaqi Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 01/149,

Daylami Musnad-ul-Firdaws, 01/41, Raqm-95,

Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 01/178, Raqm-466,

Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 11/415, Raqm-3195,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-498, Raqm-555.]

08/556.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Farmaate Hain Ki Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Aap Ke Liye Nubuwwat Kab Waajib Hu’i? Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Mein Us Waqt Bhi Nabi Tha) Jab Ki Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Kee Takhleeq Abhi Rooh Aur Jism Ke Darmiyaani Marhale Me Thi (Yaani Rooh Aur Jism Ka Baahami Ta’alluq Bhi Abhi Qaa’em Naa Hua Tha).”

رواه الترمذي والحاكم.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.

وقال الهيثمي : رواه أهمد والطبراني ورجال الصحيح.

“Hazrat Maysarah-Fajr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmaate Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Poochha : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Aap Kab Nubuwwat Se Sarfaraaz Ki’e Ga’e? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Mein Us Waqt Bhi Nabi Tha) Jab Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Kee Takhleeq Rooh Aur Mittee Ke Marhale Me Thi.”

رواه الحاكم والطبراني والبخاري في الكبير.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

“Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Poochha : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Aap Ke Liye Nubuwwat Kab Farz Kee Ga’i? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Mein Us Waqt Bhi Nabi Tha Jab Ki) Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Kee Takhleeq Abhi Rooh Aur Mittee Ke Marhale Me Thi.”

رواه أحمد والطبراني واللفظ له وابن أبي عاصم.

إسناده صحيح ورجاله كلهم ثكات رجال الصحيح.

وقال الذهبي : هذا حديث صالح السند.

“Aur Ek Riwayat Me Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Woh Bayaan Karte Hai Ki Mein Ne ‘Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Aap Kab Nabi Banaye Ga’e? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Mein Us Waqt Bhi Nabi Tha) Jab Ki Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Kee Takhleeq Abhi Rooh Aur Jism Ke Darmiyani Marhale Me Thi.”

رواه الطبراني.

“Aur Ek Riwayat Me Hazrat ‘Abd Allah Bin Shaqeeq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Ek Sahaabi Se Riwayat Kiya, Woh Bayan Karte Hain Ki Mein Ne ‘Arz Kiya (Ya RasoolAllah ﷺ!) Aap Kab Nabi Banaaye Ga’e? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Mein Us Waqt Bhi Nabi Tha) Jab Ki Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Kee Takhleeq Abhi Rooh Aur Jism Ke Darmiyaani Marhale Me Thi.”

رواه أحمد ورجاله رجال الصحيح.

“Ek Aur Riwayat Me Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Unhone ‘Arz Kiya, Ya RasoolAllah ﷺ! Aap Kab Nabi Banaa ye Ga’e? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Mein Us Waqt Bhi Nabi Tha) Jab Ki Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam (Ka Jsim) Abhi Mittee Me Gundha Hua Tha.”

رواه أبو نعيم كما ذكر السيوطي وابن كثير.

“Ek Aur Riwayat Me Hazrat Aamir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Ek Shakhs Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me ‘Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Aap Kab Sharafe Nabi Se Sarfaraaz Ki’e Ga’e? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Mujh Se Meesaaqe Nubuwwat Liya Gaya Tha Us Waqt Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Rooh Aur Jism Ke Darmiyani Marhale Mein The.”

 رواه ابن سعد.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/585, Raqm-3609.

Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad , 04/66,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/59, 379, Raqm-23620.

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/665, 666, Raqm-4209, 4210.

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/369, Raqm-36553.

أبو سعد النيشابوري في شرف المصطفى ﷺ، ٢٨٦/١، الرقم : ٧٥،

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/272, Raqm-4175,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/92, 119, Raqm-12571, 12646,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/353, Raqm-833.

Abu Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 07/122,

Abu Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’,09/53,

Dala’il-un-Nubuwwah, 01/17.

Bukhari Fi Tarikh-ul-Kabir, 07/374, Raqm-1606,

Bukhari Fi Khallal Fi As-Sunnah, 01/188, Raqm-200.

 إسناده صحيح،

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 01/179, Raqm-411, إسناده صحيح،

Ibn Abi ‘Asim Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 05/347, Raqm-2918.

‘Abd Allah Bin Ahmad Fi As-Sunnah, 02/398, Raqm-864, إسناده صحيح،

Ibne Saa’d Fi At-Tabqaat-ul-Kubra, 01/148,

07/60,

Ibn Hibban Fi Kitab Al-Thiqat, 01/47,

Ibn Qani’ Fi Mu’jam Al-Sahabah, 02/127, Raqm-591,

03/129, 1103,

Ibn Khayyat Fi Tabaqat, 01/59, 125,

Lalaka’i Fi I’tiqad Ahl As-Sunnah,, 04/753, Raqm-1403,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah, 09/142,143, Raqm-123, 124,

Aboo Mahasin Fi Mu’tasar Al-Mukhtasar, 01/10,

Aboo Mahasin Fi Al-Ikmal, 01/468, Raqm-898.

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 03/284, Raqm-4845,

Ibn Asakir Fi Tarikh Madinah Dimishq, 26/382,

Ibn Asakir Fi Tarikh Madinah Dimishq, 45/488,489,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad,  03/70, Raqm-1032,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad,  05/82, Raqm-2472.

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad,  10/146, Raqm-5292,

Qazwini At-Tadwin Fi Akhbar Qazwin, 02/244.

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 05/147, Raqm-290,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah, 06/239,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Ta’jil-ul-Manfa’ah  Bi-Zawa’id Rijal Al-A’immah Al-Arba’ah, 01/542, Raqm-1518,

Ibn ‘Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab, 04/1488, Raqm-2582,

Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 07/386, 11/110,

وقال :هذا حديث صالح السند،

Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 02/307, 320, 321,

Jurjani Fi Tarikh Jurjan Aw Ma’rifah Ulama’ Ahli Jurjan, 01,/392, Raqm-653,

Suyooti Fi Khasa’is Al-Kubra Aw Kifayah At-Talib Al-Labib Fi Khasa’is Al-Habib, 01/07, 08, 18,

Suyooti Fi Al-Hawi Lil-Fatawa Fi Al-Fiqh Wa Uloom Al-Tafsir Wa Al-Hadith Wa Al-Usool Wa Al-Nahw Wa Al-I’Rabb Wa Sa’ir Al-Funun, 02/100,

Qastallani Fi Al-Mawahib-ul-Ladunniyyah, 01/60,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/223,

وقال : رواه الطبراني والبزار،

Albani Fi Silsilah Al-Ahadith-is-Sahihah, 04/471, Raqm-756,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-499, 500, 501, 502, Raqm-556.]

09/557.    “Umm-ul-Mu’minin Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Se Riwayat Karte Hain Ki Unhone ‘Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Mein Ne Tamaam Zameen Ke Ataraaf Wa Aknaaf Aur Goshe-Goshe Ko Chhaan Maara, Magar Na To Mein Ne Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Behtar Kisi Ko Paaya Aur Na Hee Mein Ne Bani Haashim Ke Ghar Se Badh Kar Behtar Koii Ghar Dekha.”

رواه الطبراني والﻻلكائي.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/237, Raqm-6285,

Lalaka’i Fi I’tiqad Ahl As-Sunnah, 04/756, Raqm-1402,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/217,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-502, Raqm-557.]

10/558.    “Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Nikaah Ke Saath Mutwallid Hua Na Ki Ghair Sharaee Tareeqe Par, Aur Mera (Ye Nisbatee Taqaddus) Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Se Shuroo Hokar Hazrat ‘Abd Allah Aur Hazrat Aamina RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ke Mujhe Jan’ne Tak Barqaraar Raha (Aur Zamaana-e Jaahiliyat Kee Badkirdaariyo’n Aur Aawaargiyo’n Kee Zarra Bhar Bhi Milaavat Mere Nasab Me Nahin Paa’i Ga’i).”

رواه الطبراني وابن أبي شيبة والبيهقي.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/80, Raqm-4768,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/303, Raqm-31641,

Bayhaqi An Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Abi Sbaybah As-Sunan-ul-Kubra, 07/190,

Daylami Al-Musnad-ul-Firdaws, 02/190, Raqm-2949,

Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 01/294, Raqm-784,

Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 11/402, Raqm-31870,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/214,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-502, 503, Raqm-558.]

11/559.    “Hazrat Jaabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Unhone Bayan Farmaya : Mein Ne Bargahe Risaalat Ma’aab SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Mere Maa Baap Aap Par Qurbaan! Mujhe Bataaye’n Ki Allah Ta’ala Ne Sab Se Pehle Kis Shai Ko Paida Farmaya? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Jaabir! Be Shak Allah Ta’ala Ne Tamaam Makhlooq (Ko Paida Karne) Se Pehle Tere Nabi Ka Noor Apne Noor (Ke Faiz) Se Paida Farmaya, Yeh Noor Allah Ta’ala Kee Mashiyyat Se Jaha’n Us Ne Chaaha Sair Karta Raha. Us Waqt Na Louh Thi Na Qalam, Na Jannat Thi Na Dozakh, Na (Koii) Firishta Tha, Na Aasmaan Tha Na Jameen, Na Sooraj Tha Na Chaand, Na Jin The Aur Na Insaan, Jab Allah Ta’ala Ne Iraada Farmaya Ki Makhlooq Ko Paida Kare To Us Ne Us Noor Ko Chhar⁴ Hisso’n Me Taqseem Kar Diya. Pehle Hisse Se Qalam Banaaya, Doosre Hisse Se Louh Aur Teesare Hisse Se Arsh Banaaya. Phir Chouthe Hisse Ko (Mazeed) Chhar⁴ Hisso’n Me Taqseem Kiya To Pehle Hisse Se Arsh Uthaane Waale Firishte Banaaye Aur Doosre Hisse Se Kursee Aur Teesare Hisse Se Baaqi Firishte Paida Ki’e. Phir Chouthe Hisse Ko Mazeed Chaar⁴ Hisso’n Me Taqseem Kiya To Pehle Hisse Se Aasmaan Banaaye, Doosre Hisse Se Zameen Aur Teesare Hisse Se Jannat Aur Dozakh Banaayi……”

رواه عبد الرزاق.

[Qastallani Fi Al-Mawahib-ul-Ladunniyyah, 01/71,

وقال : أخرجه عبد الرزاق بسنده،

Zarqani Fi Sharh Al-Mawahib-ul-Ladunniyyah, 01/89, 91.

Ajlooni Fi Kashf-ul-Khafa’, 01/311, Hadith-827.

وقال : رواه عبد الرزاق بسنده عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما،

‘Aydarus Fi Tarikh Al-Noor Al-Safir, 01/08,

Thanvi Fi Nashr-ut-Tibb,/13,

Halabi Fi As-Sirat-ul-Halabiyyah,01/50,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-503, 504, Raqm-559.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-09 : ﴾Azamate Risaalat Aur Sharafe Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam﴿

Huzoor Nabiyye Akram ﷺ Ke Manaaqib Ka Bayan

Fasl-02 :

Huzoor Nabiyye Akram Ke Manaaqib Ka Bayan

12/560.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Jaame’ Kalimaat Ke Saath Mab’oos Kiya Gaya Hoo’n Aur Ro’b Ke Saath Meri Madad Kee Ga’i Hai Aur Jab Mein Soya Hua Tha Us Waqt Meine Khud Ko Dekha Ki Zameen Ke Khazaano’n Kee Kunjiyan Mere Liye Laa’i Ga’i Aur Mere Haath Me Thama Dee Ga’i.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2654, Raqm-6845,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1087, Raqm-2815,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/6573, Raqm-6611,

Muslim Fi As-Sahih, 01/371, Raqm-523,

Nasa’i Fi As-Sunan, 06/403, Raqm- 3087, 3089,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra 03/03, Raqm-4295.

Ahmad Ibn Hanbal Al-Musnad, 02/264, 455, Raqm-7575, 9867.

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 14/277, Raqm-6363,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-505, Raqm-560.]

13/561.    “Hazrat Jaabir Bin Samura RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Makkah Mukarramah Ke Us Pat’thar Ko Bohat Achchhi Tarah Se Jaanta Hoo’n Jo Meri Be’asat (Risalat Ke Zamaane) Se Pehle Mujh Par Salam Bheja Karta Tha Yaqeenan Mein Use Ab Bhi (Usi Tarah) Pahchaanta Hoo’n.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1782, Raqm-2277.

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/592, Raqm-3624.

Daraqutni Fi As-Sunan, 01/24, Raqm-20.

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/89, 95, 105, Raqm-20860, 20931, 21043.

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 13/459, Raqm-7469.

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 14/405, Raqm-6482.

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/313, Raqm-31705,

Malik Fi Al-Mudawwanat-ul-Kubra, 01/144,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/291, Raqm-2012,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/115, Raqm-167,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/220,231, 238, Raqm-1907, 1961, 1995.

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/106, Raqm-781.

Daylami Al-Musnad-ul-Firdaws, 01/58, Raqm-161.

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,02/89,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-505, 506, Raqm-561.]

14/562,    “Hazrat Ali Bin Aboo Taalib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Marwi Hai Ki Mein Makkah Mukarramah Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Humraah Tha. Hum Makkah Mukarramah Kee Ek Jaanib Chale To Jo Pahaad Aur Darakht Bhi Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saamne Aata (Woh Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Youn Salam) ‘Arz Karta : اَلسَّلاَمُ عَلَيْكَ يَارَسُوْلَ اللهِ ﷺ  (Ya RasoolAllah ﷺ! Aap Par Salam Ho).”

رواه الترمذي والدارمي والحاكم.

وقال الترمذي : هذا حديث حسن.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

“Ek Riwayat Me Hazrat Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Suna,  Farmaya : Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Fula’n Waadee Ka Safar Kiya Aur Dekha Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jis Kisi Pat’thar Ya Darakht Ke Paas Se Gujarte To Woh Youn ‘Arz Karta : اَلسَّلاَمُ عَلَيْكَ يَارَسُوْلَ اللهِ ﷺ (Ya RasoolAllah ﷺ! Aap Par Salam Ho) Aur Mein Bhi Yeh Tamaam (Aawaajein) Sun Raha Tha.” (1)

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/593, Hadith-3626,

Daraqutni Fi As-Sunan, 01/31, Hadith-21,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/677, Hadith-4238.

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,02/134, Hadith-502,

Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib, 02/150, Hadith-1880,

Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 14/185, Hadith-3103,

Jurjani Fi Tarikh Jurjan Aw Ma’rifah Ulama’ Ahli Jurjan, 01/329, Hadith-600,

(1) Bayhaqi Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 02/154,

Ibn Kathir Fi Shama’il-ur-Rasool, 01/259, 260,

Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wan-Nihayah, 03/16,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-506, 507, Raqm-562.]

15/563.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Chand Sahaaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Intezaar Me Baithe Hu’e The. Itne Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Tashreef Le Aa’e Jab Unke Qareeb Pahonche To Unhe’n Kuchh Guftagoo Karte Suna, Un Me Se Kuchh Ne Kaha : Kyaa Khoob! Allah Ta’ala Ne Apni Makhlooq Me Se Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ko Apna Khaleel Banaya. Doosre Ne Kaha : Yeh Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Allah Ta’ala Se Hum Kalaam Hone Se Ziyaada Badi Baat To Nahin. Ek Ne Kaha : Hazrat Isaa ‘Alayh-is-Salam Kaleemullah  Aur Roohullah Hain. Kisi Ne Kaha : Allah Ta’ala Ne Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Ko Chun Liya. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Un Ke Paas Tashreef Laa’e Salam Kiya Aur Farmaya : Mein Ne Tumhaari Guftagoo Aur Tumhaara Iz’haare Taa’jjub Suna Ki Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Khaleelullah Hain. Be Shak Woh Aise Hee Hain. Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Najeeullah Hain, Be Shak Woh Isee Tarah Hain, Hazrat Isaa ‘Alayh-is-Salam Roohullah Aur Kaleemullah  Hain. Waaqe’iy  Woh Isee Tarah Hain Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Ko Allah Ta’ala Ne Chun Liya. Woh Bhi Yaqeenan Aise Hee (Sharaf Waale) Hain. Sun Lo! Mein Allah Ta’ala Ka Habib Hoo’n Aur Mujhe Is Par Ko’i Fakhr Nahin. Mein Qiyaamat Ke Din Hamd Ka Jhanda Uthaane Waala Hoo’n Aur Mujhe Us Par Ko’i Fakhr Nahin. Qiyaamat Ke Din Sabse Pehla Shafa’at Karne Waala Bhi Mein Hee Hoo’n Aur Sabse Pehle Meri Hee Shafa’at Qubool Kee Jaa’egi Aur Mujhe Is Par Ko’i Fakhr Nahin. Sabse Pehle Jannat Ka Kunda Khatkhataane Waala Bhi Mein Hee Hoo’n. Allah Ta’ala Mere Liye Use Kholega Aur Mujhe Us Me Daakhil Farma’ega. Mere Saath Faqeer Aur Ghareeb Momin Honge Aur Mujhe Is Baat Par Ko’i Fakhr Nahin. Mein Awwaleen Wa Aakhireen Me Sab Se Ziyaada ‘Izzat Waala Hoo’n Lekin Mujhe Is Baat Par Ko’i Fakhr Nahin.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/587, Raqm-3616.

Daraqutni Fi As-Sunan, 01/39, Raqm-47,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-507, 508, Raqm-563.]

16/564.    “Hazrat Abi Bin Kaa’b RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Qiyaamat Ke Din Mein Ambiya-e Kiram ‘Alayh-is-Salam Ka Imam Wa Khateeb Aur Shafee Hoonga. Aur Is Par (Mujhe) Fakhr Nahin.”

رواه الترمذي وابن ماجه وأحمد.

وقال الترمذي : هذا حديث حسن صحيح.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/586, Raqm-3613.

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1443, Raqm-4314.

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/137, 138, Raqm-21283, 21290.

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/ 143, Hadith-240, 6969.

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/90, Raqm-171.

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,03/385, Raqm-1179.

Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 03/118,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-508, 509, Raqm-564.]

17/565.    “Hazrat Aboo Moosa Ash’ari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Hazrat Aboo Taalib Rooasa-e Quraish (Qiraish Ke Ameer Log) Ke Humraah Shaam Ke Safar Par Rawaana Hu’e To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Bhi Aap Ke Humraah The. Jab Raahib Ke Paas Pahonche To Sawaariyo’n Se Utare Aur Unhone Apne Kajaawe Khol Di’e Raahib Unki Taraf Aa Nikala Haala’n Ki (Rooasa-e Quraish) Isse Pehle Bhi Uske Paas Se Gujara Karte The Lekin Woh Un Ke Paas Nahin Aata Tha Aur Na Hee Un Kee Taraf Ko’i Tawajjoh Karta Tha. Hazrat Aboo Moosa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmaate Hain Ki Log Abhi Kajaawe Khol Hee Rahe The Ki Woh Raahib Un Ke Darmiyaan Chalne Laga Yahaan Tak Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Qareeb Pahoncha Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Daste Aqdas Pakad Kar Kaha : Yeh Tamaam Jahaano’n Ke Sardaar Aur Rabb-ul-Aalameen Ke Rasool Hain. Allah Ta’ala Inhe’n Tamaam Jahaano’n Ke Liye Rahmat Bana Kar Mab’oos Farma’ega. Rooasa-e Quraish Ne Us se Poochha Ki Aap Yeh Sab Kaise Jaante Hain? Us Ne Kaha : Jab Tum Log Ghaatee Se Numoodaar Hu’e To Ko’i Pat’thar Aur Darakht Aisa Nahin Tha Jo Sajde Me Na Geer Pada Ho. Aur Woh Sirf Nabi Hee Ko Sajda Karte Hain Neez Mein Inhe’n Muhare Nubuwwat Se Bhi Pahchaanta Hoo’n Jo Inke Kandhe Kee Haddee Ke Neeche Seb Kee Misl Hai. Phir Woh Waapas Chala Gaya Aur Us Ne Un Logo’n Ke Liye Khaana Taiyaar Kiya. Jab Woh Khaana Le Aaya To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Unto’n Kee Charaagaah Me The. Raahib Ne Kaha Unhe’n Bula Lo. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Tashreef Laa’e To Aap Ke Sare Anwar Par Baadal Saaya Figan Tha Aur Jab Aap Logo’n Ke Qareeb Pahonche To Dekha Ki Tamaam Log (Pehle Se Hee) Darakht Ke Saaye Me Pahonch Chuke Hain Lekin Jaise Hee Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Tashreef Farma Hue To Saaya Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Taraf Jhuk Gaya. Raahib Ne Kaha : Darakht Ke Saaye Ko Dekho Woh Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Jhuk Gaya Hai. Phir Raahib Ne Kaha : Mein Tumhe’n Khuda Kee Qasam De Kar Poochhta Hoo’n Ki In Ke Sarparast Koun Hain? Unhone Kaha : Aboo Taalib! Chunaanche Woh Hazrat Aboo Taalib Ko Musalsal Waasta Deta Raha (Ki Unhe’n Waapas Bhej De) Yaha’n Tak Ki Hazrat Aboo Taalib Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Waapas (Makkah Mukarramah) Bhijawa Diya.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/590, Raqm-3620.

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/317, Raqm-31733, 36541.

Ibn Hibban Fi Kitab Al-Thiqat, 01/42.

Isbahani Dala’il-un-Nubuwwah, 01/45, Raqm-19

Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa’l-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 01/519,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-509, 510, 511, Raqm-565.]

18/566.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Farmaate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Shabe Me’raaj Burraaq Laaya Gaya Jis Par Zeen Kasee Hu’i Thi Aur Lagaam Daali Huwwi Thi. (Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Savaari Ban Ne Kee Khushi Me) Is Burraaq Ke Raqs Kee Wajah Se Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Us Par Savaar Hona Mushkil Ho Gaya To Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Ne Use Kaha! Too Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Kyaa Is Tarah Kar Raha Hain? Haala’n Ki Aaj Tak Tujh Par Ko’i Aisa Shakhs Savaar Nahin Hua Jo Allah Ta’ala Kee Bar’gah Me Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jaisa Muazzaz Wa Muhtaram Ho, Yeh Sun Kar Woh Burraaq Sharm Se Paseena-Paseena Ho Gaya.”

رواه الترمذي وأحمد وأبو يعلى وابن حبان.

وقال الترمذي : هذت حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/301, Raqm-3131.

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/164, Raqm-12694.

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/234.

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 05/459, Raqm-3184.

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/357, Raqm-1185.

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,07/23, Raqm-2404.

Tarikh Baghdad Al-Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 03/435, Raqm-1574.

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,07/206,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-511, Raqm-566.]

19/567.    “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Roze Qiyaamat (Tamaam) Aulaade Aadam Ka Qaa’id Hoonga. Aur Mujhe (Is Par) Fakhr Nahin, Hamd Ka Jhanda Mere Haath Me Hoga Aur Ko’i Fakhr Nahin. Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Aur Deegar Tamaam Ambiya-e Kiram Us Din Mere Jhande Ke Neeche Honge Aur Mujhe Is Par Fakhr Nahin, Aur Mein Pehla Shakhs Hoonga Jis Se Zameen Shaq Hogi (Fategee) Aur Ko’i Fakhr Nahin. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Log Teen³ Baar Khoufzada Honge Phir Woh Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Kee Khidmat Me Haazir Ho Kar Shafa’at Kee Darkhvaast Karenge. Phir Mukammal Hadith Bayaan Kee Yahaan Tak Ki Farmaya : Phir Log Mere Paas Aayeinge (Aur) Mein Un Ke Saath (Un Kee Shafa’at Ke Liye) Chaloonga. Ibne Jud’aan (Raawi) Kehte Hain Ki Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Goya Ki Mein Ab Bhi Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Dekh Raha Hoo’n. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Jannat Ke Darwaaze Kee Zanjeer Khatkhataaunga, Poochha Jaa’ega : Koun? Jawaab Diya Jaa’ega : Hazrat Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam. Chunaanche Woh Mere Liye Darwaaja Kholenge Aur Marhaba Kahenge. Mein (Baargaahe Ilahi Me) Sajda Rez Ho Jaaunga To Allah Ta’ala Mujh Par Apni Hamd Wa Sana Ka Kuchh Hissa Ilhaam Farma’ega. Mujhe Kaha Jaa’ega : Sar Uthaaiye, Maange ‘Ata Kiya Jaa’ega. Shafa’at Keeji’e, Qubool Kee Jaa’egi, Aur Kahein Aap Kee Baat Sunee Jaa’egi. (Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: ) Yahi Woh Maqaam Mahmood Hai Jis Ke Baare Me Allah Ta’ala Ne Farmaya : “Yaqeenan Aap Ka Rabb Aap Ko Maqaame Mahmood Par Faa’iz Farma’ega. “(Al-Isra, 17 : 79)

رواه الترمذي.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حصن صحيح.

Aur Imam Ibne Maajah Ne Bhi Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Kiya Unhone Bayaan Farmaya Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Aulaade Aadam Ka Sardaar Hoonga. Aur Is Par Bhi Fakhr Nahin, Qiyaamat Ke Roz Sab Se Pehle Meri Zameen Shaq Hogi (Fategee) Us Par Bhi Fakhr Nahin, Sab Se Pehle Mein Shafa’at Karunga Aur Us Par Pehle Meri Shafa’at Qubool Hogi Is Par Bhi Fakhr Nahin Aur Hamde Baari Ta’ala Ka Jhanda Qiyaamat Ke Din Mere  Hee Haath Me Hoga Aur Is Par Bhi Fakhr Nahin.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/308, Raqm-3148.

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02,/1440, Raqm-4308.

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/02, Raqm-11000.

Lalaka’i Fi I’tiqad Ahl As-Sunnah, 04/788, Raqm-1455,

Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib, 04/238, Raqm-5509,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-511, 512, 513, Raqm-567.]

20/568.    “Imam Aboo Umaama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Mujhe Tamaam Ambiya Se Ziyaada Fazeelat ‘Ata Farmaai Yaa Farmaya : Meri Ummat Ko Deegar Tamaam Ummato’n Par Fazeelat ‘Ata Kee Aur Mere Liye MAale Ghaneemat Ko Halaal Farma Diya.”

رواه الترمذي والطبراني والبيهقي.

وقال أبو عيسى : حديث أبي أمامة حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/123, Raqm-1553.

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/257, Raqm-8001.

Ruwayani Fi Al-Musnad, 02/308, Raqm-1260.

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 01/180, Raqm-254,

Bayhaqi Fi As-Sunan-us-Sughra, 01/180, Raqm-245,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/16,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-513, Raqm-568.]

21/569.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Sab Se Pehle Mein (Apni Qabre Anwar Se) Nikalunga Aur Jab Log Wafd Ban Kar Jaa’enge To Mein Hee Un Ka Qaa’id Hoonga. Aur Jab Woh Khaamosh Honge To Mein Hee Un Ka Khateeb Hoonga. Mein Hee Un Kee Shafa’at Karne Waala Hoo’n Jab Woh Rok Di’e Jaa’enge, Aur Mein Hee Unhe’n Khushkhabari Dene Waala Hoo’n. Jab Woh Maayoos Ho Jaa’enge. Buzurgi Aur Jannat Kee Chaabiyan Us Roz Mere Haath Me Hongi. Mein Apne Rabb Ke Yaha’n Aulaade Aadam Me Sab Se Ziyaada Mukarram Hoo’n Mere Ird-Geerd Us Roz Hazaar Khaadim Phireinge Goya Ki Woh Posheeda Husn Hain Ya Bikhare Hu’e Motee Hain.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/585, Raqm-3610.

Daraqutni Fi As-Sunan, 01/39, Raqm-48.

Khallal Fi As-Sunnah, 01/208, Raqm-235,

Daylami Al-Musnad-ul-Firdaws, 01/47,  Raqm-117.

Qazwini At-Tadwin Fi Akhbar Qazwin, 01/235.

Ibn Jawzi Fi Sifat-us-Safwah, 01/182.

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 03/40,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-514, Raqm-569.]

22/570.    “Hazrat Amr Bin Qais RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Hum Aakhir Me Aane Waale Aur Qiyaamat Ke Din Sab Se Sabqat Le Jaane Waale Hain. Mein Baghair Kisi Fakhr Ke Yeh Baat Kehta Hoo’n Ki Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Khaleelullah Hain Aur Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Safeeullah Hain Aur Mein Habib-ulAllah Hoo’n. Qiyaamat Ke Din Hamd Ka Jhanda Mere Haath Me Hoga. Allah Ta’ala Ne Mujh Se Meri Ummat Ke Mut’allik Waada Kar Rakkha Hai Aur Teen³ Baato’n Se Use (Ummat Ko) Bachaaya Hai. Aisa Qahat Un Par Nahin Aa’ega Jo Poori Ummat Ka Ahaata Kar Le Aur Ko’i Dushman Use Jad Se Nahin Ukhaad Sakega Aur (Allah Ta’ala) Unhe’n Kabhi Gumraahi Par Jam’a Nahin Farma’ega.”

[Daraqutni Fi As-Sunan, 01/46, Raqm-54.

Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 06/323,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-514, 515, Raqm-570.]

23/571.    “Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein (Tamaam) Rasoolo’n Ka Qaa’id Hoo’n Aur Yeh (Ki Mujhe Is Par) Fakhr Nahin Aur Mein Khaatim-un-Nabiyyeen Hoo’n Aur (Mujhe Is Par) Ko’i Fakhr Nahin Hain. Mein Pehla Shafa’at Karne Waala Hoo’n Aur Mein Hee Woh Pehla (Shakhs) Hoo’n Jis Kee Shafa’at Qubool Hogi Aur (Mujhe Is Par) Ko’i Fakhr Nahin Hai.”

[Daraqutni Fi As-Sunan, 01/40, Hadith-49.

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/61, Hadith-170.

Bayhaqi Fi Kitab-ul-I’tiqad, 01/192.

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/254.

Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 10/223.

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 03/43,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-515, Raqm-571.]

24/572.    “Hazrat Nabeeh Bin Wahab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Hazrat Kaa’b Ahbaar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ki Khidmat Me Haazir Hu’e Aur Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Zikr Kiya. Hazrat Kaa’b RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha : Jab Bhi Din Nikalta Hai Sattar-70 Hazaar Firishte Utarte Hain Aur Woh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Qabre Aqdas Ko Gher Lete Hain Aur Qabre Aqdas Par Apne Par Maarte Hain (Yaani Apne Paro’n Se Jhaadoo Dete Hain) Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood (Wa Salam) Bhejate Hain Aur Shaam Hote Hee Waapas Aasmaano’n Par Chale Jaate Hain Aur Itne Hee Mazeed Utarte Hain Aur Woh Bhi Din Waale Firishto’n Ki Tarah Ka ‘Amal Dohraate Hain. Hatta Ki Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Qabre Mubarak (Roze Qiyaamat) Shaq Hogi (Fategee) To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Sattar-70 Hazaar Firishto’n Ke Jhurmut Me (Maidane Hashr Me) Tashreef Laa’enge.”

[Daraqutni Fi As-Sunan, 01/57, Raqm-94.

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 05/390.

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/492, Raqm-4170.

Ibn Hayyan Fi Al-Azamah, 03/1018, Raqm-537.

Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 03/518,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-515, 516, Raqm-572.]

25/573.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuuma Se Riwayat Hai Ki Allah Tabarak Ta’ala Ne Hazrat Isaa ‘Alayh-is-Salam Par Wahyi Naazil Farmaa’i, Aye Isaa! Hazrat Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Imaan Le Aao Aur Apni Ummat Ko Bhi Hukm Do Ki Jo Bhi Un Ka Zamaana Paa’e To (Zaroor) Un Par Imaan Laa’e (Jaan Lo! ) Agar Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Na Hote To Mein Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Ko Bhi Paida Na Karta. Aur Agar Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Naa Hote To Mein Naa Jannat Paida Karta Aur Naa Dozakh, Jab Main Ne Paani Par Arsh Banaaya To Us Me Larzish Paida Ho Gayoi, Lehaaza Meine Us Par “ﻻَ إِلَهَ إِلَّا اللهُ مُحَمَّدُ رَسُوْلُ اللهِ“ La Ilaaha Illallahu Muhammadur Rasool Allah” Likh Diya To Woh Thahar Gaya.”

رواه الحاكم والخﻻل.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد و وافقه الذهبي.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/671, Raqm-4227.

Khallal Fi As-Sunnah, 01/261, Raqm-316,

Dhahabi Fi Mizan-ul-I’tidal Fi Naqd-ir-Rijal, 05/299, Raqm-6336.

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Lisan-ul-Mizan, 04/354, Raqm-1040.

Ibn Hayyan Fi Tabaqat-ul-Muhaddithin Bi-Asbahan, 03/287,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-516, 517, Raqm-573.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-09 : ﴾Azamate Risaalat Aur Sharafe Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam﴿

Huzoor ﷺ Ka Rawza-e Anwar Me Apni Rooh Mubarak Aur Jasade Aqdas Ke Saath Zinda Hone Ka Bayan

Fasl-03 :

Huzoor Ka Rawza-e Anwar Me Apni Rooh Mubarak Aur Jasade Aqdas Ke Saath Zinda Hone Ka Bayan

26/574.    “Hazrat Ows Bin Ows RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Tumhare Dino’n Me Se Juma’ Ka Din Sab Se Behtar Hai Is Din Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Paida Hu’e Aur Isi Din Unhone Wafaat Paa’i Aur Isi Din Soor Phunnka Jaaega Aur Isi Din Sakht Aawaaz Zaahir Hogi. Pas Is Din Mujh Par Kasrat Se Durood Bheja Karo Kyun Ki Tumhara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai. Sahaaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Hamaara Durood Aap Ke Wisaal Ke Baa’d Aap Ko Kaise Pesh Kiya Jaa’ega? Jab Ki Aap Ka Jasade Mubarak Khaaq Me Mil Chuka Hoga? To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Nahin Aisa Nahin Hai) Be Shak Allah Ta’ala Ne Zameen Par Ambiya-e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Ke Jismo’n Ko (Khaana Ya Kisi Bhi Qism Ka Nuqsaan Pahuchaana) Haraam Kar Diya Hai.”

“Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Allah Ta’ala Buzurgo’n Bartar Ne Zameen Par Haraam Kar Diya Hai Ki Woh Hamaare Jismo’n Ko Khaaye .”

رواه أبو داود والنسائي وابن ماجه والدارمي وأحمد وابن خزيمة.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح على سرط البخاري.

وقال الوادياشي : صححه ابن حبان.

وقال العسقﻻني : وصححه ابن خزيمة.

وقال العجلوني : رواه البيهقي بإسناد جيد.

وقال ابن كشير : تفرد به أبو داود وصححه النووي في الآذكار.

وقال الشوكاني : رواه الخمسة إﻻ الترمذي.

[Aboo Dawud As-Sunan, 01/275, Raqm-1047,

Aboo Dawud As-Sunan, 02/88, Raqm-1531.

Nasa’i Fi As-Sunan, 03/91, Raqm-1374,

Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 01/519, Raqm-1666.

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/345, Raqm-1085.

Darimii Fi As-Sunan, 01/445, Raqm-1572.

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/08, Raqm-16207.

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/253, Raqm-8697.

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/118, Raqm-1733,1734.

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/190, Raqm-910.

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/413, Raqm-1029.

Bazzar Fi Al-Musnad, 08/411, Raqm-3485.

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/97, Raqm-4780,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/261, Raqm-589.

Bayhaqi Fi As-Sunan-us-Sughra, 01/371, Raqm-634,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 03/248, Raqm-5789,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/109, Raqm-3029,

Bayhaqi Fi Fadail-ul-Awqat, 497, 275.

Jahdami Fi Fadl Al-Salah ‘Ala Al-Nabi  ﷺ, 01/37, Raqm-22,

Wadiyashi Fi Tuhfat-ul-Muhtaj, 01/524, Raqm-661,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,11/370.

Ajlooni Fi Kashf-ul-Khafa’, 01/190, Raqm-501,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-518, 519, Raqm-574.]

27/575.    “Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ko’i Bhi Shakhs Mujh Par Salam Bhejta Hai To Be Shak Allah Ta’ala Ne Mujh Par Meri Rooh Lauta Dee Hu’i Hai. (Aur Meri Tawajjoh Us Kee Taraf Mabzool Farmata Hai) Yaha’n Tak Ki Us Ke Salam Ka Jawab Deta Hoo’n.”

رواه أبو داود وأحمد والطبراني والبيهقي.

رواه أبو داود وروته ثقات.

وقال الهيثمي : وفيه عبد الله بن يزيد الإسكندراني ولم أعرفه ومهدي بن جعفر ثقة…..  بقية رجاله ثقات.

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/218, Raqm-2041.

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/527, Raqm-10767.

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/262, Raqm-3092, 9329.

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 05/245, Raqm-10050,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/217, Raqm-5181, 4161.

Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 01/453, Raqm-526.

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/326, Raqm-2573,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id,10/162,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-519, 520, Raqm-575.]

28/576.    “Hazrat Aboo Darda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Juma’ Ke Din Mujh Par Nihaayat Kasrat Se Durood Bheja Karo, Yeh Yawme Mas’hood (Yaani Meri Bargah Me Firishto’n Kee Khusoosi Haaziri Ka Din) Hai. Is Din Firishte (Khusoosi Taur Par Kasrat Se Meri Bargah Me) Haazir Hote Hain, Jab Ko’i Shakhs Mujh Par Durood Bhejta Hai To Us Ke Faarigh Hone Tak Us Ka Durood Mere Saamne Pesh Kar Diya Jaata Hai. Hazrat Aboo Darda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne ‘Arz Kiya (Ya RasoolAllah ﷺ!) Aur Aap Ke Wisaal Ke Baa’d (Kya Hoga)? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Haa (Meri Zaahiri) Wafaat Ke Baa’d Bhi (Mere Saamne Isi Tarah Pesh Kiya Jaa’ega Kyun Ki) Allah Ta’ala Ne Zameen Ke Liye Ambiya-e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Ke Jismo’n Ka Khaana Haraam Kar Diya Hai. Phir Allah Ta’ala Ka Nabi Zinda Hota Hai  Aur Use Rizq Bhi ‘Ata Kiya Jaata Hai.”

رواه ابن ماجه بإسناد صحيح.

وقال المنذري : رواه ابن ماجه بإسنادجيد.

وقال المناوي : قال الدارمي : رجاله ثقات.

وقال العجلوني : حسن.

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/524, Raqm-1637,

Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 10/23, Raqm-2582,

Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal,10/23, Raqm-2090,

Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 03/515,

Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 04/493,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 02/87.

Ajlooni Fi Kashf-ul-Khafa’, 01/190, Raqm-501.

Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 03/304,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-520, 521, Raqm-576.]

29/577.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Meri Wafaat Ke Baa’d Meri Qabr Kee Ziyarat Kee Goya Us Ne Meri Hayaat Me Meri Ziyarat Kee.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/406, Raqm-13496.

Daraqutni Fi As-Sunan, 02/278, Raqm-193.

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/489, Raqm-4154.

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 04/02,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-521, Raqm-577.]

30/578.    “Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Ne Khud Ko Hateeme Kaa’ba Me Paaya Aur Quraish Mujh Se Safare Me’raaj Ke Baare Me Sawaalaat Karte Rahe The. Unhone Mujh Se Baitul Muqaddas Kee Kuchh Cheeze’n Poochhi Jinhe’n Meine (Yaad’daast Me) Mab’oos Nahin Rakkha Tha Jis Kee Wajeh Se Mein Itna Pareshaan Hua Ki Us Se Pehle Kabhi Itna Pareshan Nahin Hua Tha, Tab Allah Ta’ala Ne Bait-ul-Muqaddas Ko Utha Kar Mere Saamne Rakh Diya. Woh Mujh Se Bait-ul-Muqaddas Ke Mut’allik Jo Bhi Cheez Poochhte Mein (Use Dekh-Dekh Kar) Unhe’n Bata Deta Aur Meine Khud Ko Girohe Ambiya-e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Me Paaya. Meine Dekha Ki Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Khade Masroofe Salaat The, Aur Woh Qabila-e Shanoah Ke Logo’n Kee Tarah Ghungharaale Baalo’n Waale The Aur Phir (Dekha Ki) Hazrat Isaa Bin Maryam ‘Alayh-is-Salam Khade Masroofe Salaat The Aur Urwah Bin Mas’ood Saqafee Un Se Bohat Mushaabeh Hain, Aur Phir Dekha Ki Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Khade Masroofe Salaat The Aur Tumhare Aaqa (Yaani Khud Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Un Ke Saath Sab Se Ziyaada Mushaabeh Hain Phir Namaz Ka Waqt Aaya, Aur Mein Ne Sab Ambiya-e Kiram ‘Alayh-is-Salam Kee Imaamat Karaayi. Jab Mein Namaz Se Faarig Hua To Mujhe Ek Kehne Waale Ne Kaha : Yeh Maalik Hai Jo Jahannam Ke Daaroga Hain, Inhe’n Salam Keeji’e. Pas Mein Un Kee Taraf Mutawajjoh Hua To Unhone (Mujh Se) Pehle Mujhe Salam Kiya.”

[Muslim Fi As-Sahih, 01/156, Raqm-176.

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/455, Raqm-11480.

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/116, Raqm-350.

Aboo Nu’aym Fi Al-Musnad Al-Mustakhraj, 01/239, Raqm-433.

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,06/487,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-521, 522, Raqm-578.]

31/579.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Me’raaj Kee Shab, Mein Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Paas Aaya (Aur Haddaab Kee Ek Riwayat Hai Ki Farmaya  Surkh Teele Ke Paas Se Mera Guzar Hua (To Meine Dekha Ki) Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Apni Qabr Me Khade Masroofe Salaat The.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1845, Raqm-2375.

Nasa’i Fi As-Sunan, 03/215, Raqm-161, 1632,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/419, Raqm-1328.

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/148, Raqm-12526, 13618.

Sahih Ibn Hibban, 01/242, Raqm-50.

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/13, Raqm-7806.

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/335, Raqm-36575.

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 06/71, Raqm-3325.

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/326, Raqm-1205.

Daylami Al-Musnad-ul-Firdaws, 04/170, Raqm-6529.

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/205.

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,06/444,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-523, Raqm-579.]

32/580.    “Hazrat Sa’iyd Bin ‘Abd-il-Azeez Se Riwayat Hai Ki Jab Ayyaame Harra (Jin Dino’n Yazeed Ne Madinah Munawwara Par Humla Karwaaya Tha) Ka Waaqe’a Pesh Aaya To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Masjid Me Teen³ Din Tak Azaan Aur Iqaamat Nahin Kahi Ga’i Aur Hazrat Sa’iyd Bin Musayyab RadiyAllahu Ta’ala Anhu (Jo Ki Jaleel-ul-Qadr Taaba’i Hain Unhone Masjide Nabawi Me Panaah Lee Hu’i Thi Aur) Unhone (Teen³ Din Tak) Masjid Nahin Chhodi Thi Aur Woh Namaz Ka Waqt Nahin Jaante They Magar Ek Dheemi See Aawaaz Ke Zaree’e JO Woh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Qabre Anwar Se Sunte The.”

[Daraqutni Fi As-Sunan, 01/56, Raqm-93.

Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 02/400, Raqm-5951.

Suyoot Sharah Sunan Ibn Maajah, 01/291, Raqm-4029,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-523, 524, Raqm-580.]

33/581.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ambiya-e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Apni-Apni Qabro’n Me Zinda Hain Aur Namaz Padhte Hain.”

“Imam Asqalani Fat’h-ul-Bari Me Bayan Karte Hain Ki Imam Bayhaqi Ne Ambiya-e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Ke Apni Qabro’n Me Zinda Hone Ke Baare Me (Sahih Ahadith Par Mushtamil) Ek Khoobsoorat Kitab Likhee Hai Jis Me Unhone Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Yeh Hadith Bhi Waarid Kee Hai Ki Ambiya-e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Apni Qabro’n Me (Hayaate Zaahiri Kee Tarah Hee) Zinda Hote Hain Aur Salaat Bhi Ada Karte Hain. Yeh Hadith Unhone Yahya Bin Aboo Kathir Ke Tareeq Se Riwayat Kee Hai Aur Woh Sahih Hadith Ke Raawiyo’n Me Se Hain. Unhone Mustalim Bin Sa’iyd Se Riwayat Kee Aur Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Bhi Unhe’n Siqa Qaraar Diya Hai. Imam Ibn Hibban Ne Yeh Hadith Hujjaaje Aswad Se Riwayat Kee Hai Aur Woh Ibn Abi Ziyaada Al-Basari Hain Aur Unhe’n Bhi Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Siqa Qaraar Diya Hai. Imam Ibne Mueen Ne Bhi Hazrat Saabit Se Yeh Hadith Riwayat Kee Hai. Imam Aboo Ya’ala Ne Bhi Apni Musnad Me Isi Tareeq Se Yeh Hadith Riwayat Kee Hai Aur Imam Bazzar Ne Bhi Is Kee Takhreej Kee Hai Aur Imam Bayhaqi Ne Ise Sahih Qaraar Diya Hai. “

[Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 06/147, Raqm-3425.

Ibn ‘Adi Fi Al-Kamil Fi Du’afa’-ir-Rijal, 02/327, Raqm-460.

وقال:هاذا أحاديث غرائب حسان وأرجو أنه لا بأس به،

Daylami Al-Musnad-ul-Firdaws, 01/119, Raqm-403.

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,06/487,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Lisan-ul-Mizan, 02/175, 246, Raqm-787, 1033.

وقال :رواه البيهقي، وقال ابن عدي:أرجو أنه لا بأس به،

Dhahabi Fi Mizan-ul-I’tidal Fi Naqd-ir-Rijal, 02/200, 270.

وقال :رواه البيهقي،

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/211.

وقال :رواه أبو يعلى والبزار، ورجال أبي يعلى ثقات،

Suyoot Sharah Sunan An-Nasa’i, 04/110.

Azim Abadi Fi ‘Awn-ul-Ma’boodi Sharh Sunan Abi Dawud, 06/19,

وقال :وألفت عن ذالك تأليفا سميته :انتباه الأذكياء بحياة الأنبياء،

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir,  03/184.

Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 05/178,

وقال :فقد صححه البيهقي وألف في ذالك جزءا،

Zarqani Fi Sharh-ul-Zarqani ‘Ala Muwatta’ Imam Malik, 04/357,

وقال:وجمع البيهقي كتاب لطيفا في حياة الأنبياء وروى فيه بإسناد صحيح عن أنس رضي الله عنه مرفوعا.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-524, 525, Raqm-581.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-09 : ﴾Azamate Risaalat Aur Sharafe Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam﴿

Huzoor Nabiyye Akram ﷺ Kee Wus’ate ‘Ilm Aur Kamaale Ma’refat Ka Bayan

Fasl-04 :

Huzoor Nabiyye Akram Kee Wus’ate ‘Ilm Aur Kamaale Ma’refat Ka Bayan

34/582.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Jab Aaftaab Dhala To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Tashreef Laa’e Aur Zuhar Kee Namaz Padha’i Phir Salam Pherne Ke Baa’d Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mimbar Par Jalwa Afroz Hu’e Aur Qiyaamat Ka Zikr Kiya Aur Phir Farmaya : Is Se Pehle Bade Bade Waaqiyaat Wa Haadisaat Hain, Phir Farmaya : Jo Shakhs Kisi Bhi Qism Kee Ko’i Baat Poochhna Chaahta Hai To Woh Poochhe, Khuda Kee Qasam! Mein Jab Tak Yahaan Khada Hoo’n Tum Jo Bhi Poochhoge Us Ka Jawab Doonga. Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Logo’n Ne Zaaroqataar Rona Shuroo Kar Diya. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jalaal Ke Sabab Baar Baar Yeh I’laan Farma Rahe The Ki Ko’i Sawaal Karo, Mujh Se (Jo Chaaho) Poochh Lo. Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kehte Hain Ki Phir Ek Shakhs Khada Hua Aur Kehne Laga : Ya RasoolAllah ﷺ! Mera Thikaana Kaha’n Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Dozakh Me (Kyun Ki Woh Munafiq Tha). Phir Hazrat ‘Abd Allah Bin Hudhaafah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Khade Hu’e Aur ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Mera Baap Koun Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tera Baap Huzafa Hai. Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Baar Baar Farmate Rahe Mujh Se Sawal Karo, Mujh Se Sawal Karo. Chunaanche Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Ghutno Ke Bal Baith Kar ‘Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Ham Allah Ta’ala Ke Rabb Hone Par Islam Ke Deen Hone Par Aur Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Rasool Hone Par Raazee Hain (Aur Hame’n Kuchh Nahin Poochhna). Raawi Kehte Hain Ki Jab Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Yeh Guzarish Kee To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Khaamosh Ho Ga’e Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Qasam Hai Us Zaat Kee Jis Ke Qabza-e Qudrat Me Meri Jaan Hai. Abhi Abhi Is Diwaar Ke Saamne Mujh Par Jannat Aur Dozakh Pesh Kee Ga’i Jab Ki Mein Namaz Padh Raha Tha To Aaj Kee Tarah Meine Khair Aur Sharr Ko Kabhi Nahin Dekha.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2660, Raqm-6864,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/200, Raqm-2001,2278,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/47, Raqm-93,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad/404, Raqm-1184.

Muslim Fi As-Sahih, 04/1836, Raqm-2359.

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/162, Raqm-12681.

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 06/286, Raqm-3201.

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/309, Raqm-106.

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/76, Raqm-9155,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-526, 527, Raqm-582.]

35/583.    “Hazrat Hudhayfah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hamaare Darmiyaan Ek Maqaam Par Khade Ho Kar Khutba Farmaya : Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apne Us Din Ke Qiyaam Farma Hone Se Le Kar Qiyaamat Tak Ki Ko’i Aisi Cheej Na Chhodi, Jis Ko Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Bayan Na Farma Diya Ho. Jis Ne Use Yaad Rakkha Yaad Rakkha Aur Jo Use Bhool Gaya Woh Bhool Gaya. Is Waaqiye Ko Mere Dost-o Ahbaab Jaante Hain, Ka’i Cheejo’n Ko Mein Bhool Gaya Tha Lekin Jab Meine Unhe’n Dekha To Woh Yaad Aa Ga’i. Jis Tarah Ko’i Shakhs Kisi Shakhs Ka Chehra Bhool Jaata Hai Aur Jab Woh Saamne Aata Hai To Use Pahchaan Leta Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2435, Raqm- 6230.

Muslim Fi As-Sahih, 04/2217, Raqm-2891.

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/483, Raqm-2191.

Aboo Dawud As-Sunan, 04/94, Raqm-464.

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/385, Raqm-23322.

Bazzar Fi Al-Musnad, 07/231, Raqm-8499,

وقال : هاذا حديث صحيح،

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyin, 02/247, Raqm-1278,

Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 02/278, Raqm-5379,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-527, 528, Raqm-583.]

36/584.    “Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hamaare Darmiyaan Qiyaam Farma Hu’e Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Makhlooqaat Kee Ibtida Se Le Kar Jannatiyo’n Ke Jannat Me Daakhil Ho Jaane Aur Dozakhiyo’n Ke Dozakh Me Daakhil Ho Jaane Tak Hame’n Sab Kuchh Bata Diya.  Jis Ne Use Yaad Rakkha, Yaad Rakkha Aur Jo Use Bhool Gaya To Woh Bhool Gaya.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1166, Raqm-3020,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-528, 529, Raqm-584.]

37/585.    “Hazrat Amr Bin Akhtab Ansaari Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaaze Fajr Me Hamaari Imaamat Farmaa’i Aur Mimbar Par Jalwa Afroz Hu’e Aur Hame’n Khitaab Farmaya Yahaan Tak Ki Zuhar Ka Waqt Ho Gaya. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Neeche Tashreef Le Aaaye Namaz Padha’i Is Ke Baa’d Phir Mimbar Par Tashreef Farma Hu’e Aur Hame’n Khitaab Farmaya Hatta Ki Asr Ka Waqt Ho Gaya Phir Mimbar Se Neeche Tashreef Laa’e Aur Namaz Padha’i Phir Mimbar Par Tashreef Farma Hu’e. Yahaan Tak Ki Sooraj Doob Gaya Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hame’n Har Us Baat Kee Khabar Dee Jo Jo Aaj Tak Wuqoo’a Pazeer Ho Chuki Thi Aur Jo Qiyaamat Tak Hone Waali Thi. Hazrat Amr Bin Akhtab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Hum Me Ziyaada Jaan’ne Waala Wahi Hai Jo Ham Sab Se Ziyaada Haafize Wala Tha.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2217, Raqm-2892.

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/483, Raqm-2191.

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/09, Raqm-6638.

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/533, Raqm-8498.

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 12/237, Raqm-2844.

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 17/28, Raqm-46.

Ibn Abi ‘Asim Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 04/199, Raqm-2183,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-529, Raqm-585.]

38/586.    “Hazrat Hudhayfah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Mujhe Qiyaamat Tak Roonuma Hone Waali Har Ek Baat Bata Dee Aur Ko’i Aisi Baat Na Rahi Jise Meine Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Na Poochha Ho Albatta Mein Ne Yeh Na Poochha Ki Ahle Madinah Ko Koun See Cheez Madinah Se Nikaalegi?”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2217, Raqm-2891.

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/386, Raqm-23329.

Bazzar Fi Al-Musnad,  07/222, Raqm-2795.

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/58, Raqm-433.

Ibn Mandah Fi Kitab-ul-Iman, 02/912, Raqm-996,

وإسناده صحيح ،

Hakim Fi Al-Mustadrak,  04/476, Raqm-8311.

Muqri Fi As-Sunan-ul-Waridah Fi Al-Fitan, 04/889, Raqm-458,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-529, 530, Raqm-586.]

39/587.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya  : (Me’raaj Kee Raat) Mera Rabb Mere Paas (Apni Shaan Ke Laa’iq) Nihaayat Haseen Soorat Me Aaya Aur Farmaya : Ya Muhammad! Meine ‘Arz Kiya : Mere Parwardigaar! Mein Haazir Hoo’n Baar-Baar Haazir Hoo’n. Farmaya : Aalame Baala Ke Firishte Kis Baat Me Jhagadte Hain? Meine ‘Arz Kiya : Aye Mere Parwardigaar! Mein Nahin Jaanta. Phir Allah Ta’ala Ne Apna Daste Qudrat Mere Dono’n Kandho’n Ke Darmiyaan Rakkha Aur Mein Ne Apne Seene Me Us Kee Thandak Mahsoos Kee. Aur Mein Woh Sab Kuchh Jaan Gaya Jo Kuchh Mashriq Wa Maghrib Ke Darmiyaan Hai.”

رواه الترمذي وأبو يعلى.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.

Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuuma Se Hee Marwi Ek Aur Riwayat Ke Alfaaz Kuchh Yun Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aur Mein Jaan Gaya Jo Kuchh Aasmaano’n Me Hai Aur Jo Kuchh Zameen Me Hai. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yeh Aayat Tilaawat Farmaa’i : ˝Aur Isi Tarah Ham Ibrahim (‘Alayh-is-Salam) Ko Aasmaano’n Aur Zameen Kee Tamaam Badshahate’n (Yaani Ajaaibaate Khalq) Dekha Rahe Hain Aur (Yeh) Is Liye Ki Woh Ain-ul-Yaqeen Waalo’n Me Se Ho Jaaye’n.’”[Al-Anam,  06/75]

“Aur Hazrat Mu’aadh Bin Jabal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aur Mujh Par Har Shai Kee Haqeeqat Zaahir Kar Dee Ga’i Jis Se Meine (Sab Kuchh) Jaan Liya.”

رواه الترمذي وأحمد والطبراني.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.

“Hazrat Aboo Umaama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Riwayat Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Phir Mujh Se Dunya Wa Aakhirat Ke Baare Me Ki’e Jaane Waale Sawaalaat Ke Jawaabaat Mei Ne Usi Maqaam Par Jaan Liye.”

“Aur Ek Riwayat Ke Alfaaz Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aur Meine Dunya Wa Aakhirat Kee Har Shai Kee Haqiqat Jaan Bhi Lee Aur Dekh Bhi Lee.”

“Hazrat Jaabir Bin Samurah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Alfaaz Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Phir Mujh Se Jab Bhi Kisi Cheez Ke Mut’allik Sawal Kiya Gaya To Meine Use Jaan Liya Phir Us Ke Baa’d Kabhi Aisa Nahin Hua Ki Mujh Se Kisi Shai Ke Mut’allik Sawal Kiya Gaya Ho Aur Mein Use Naa Jaanta Hoo’n.”

رواه ابن أبي شيبة وابن أبي عاصم.

إسناده حسن ورجاله ثقات.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/366,368, Raqm-3233,3235.

Daraqutni Fi As-Sunan, 02/170, Raqm-2149.

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/368, Raqm-3484,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/66,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/243, Raqm-22162, 23258.

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/290, Raqm-8117,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/109, 141, Raqm-216, 690.

Ruwayani Fi Al-Musnad, 01/429, Raqm-656,

Ruwayani Fi Al-Musnad, 02/299, Raqm-1241.

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 04/475, Raqm-2608.

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/313, Raqm-31706.

Ibn Abi ‘Asim Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 05/49, Raqm-2575,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 01/203, Raqm-465,

إسناده حسن، ورجاله ثقات،

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/228, Raqm-682.

‘Abd Allah Bin Ahmad Fi As-Sunnah, 02/489, Raqm-1121.

Hakim At-Tirmidhi Fi Nawadir-ul-Usool Fi Ma’rifati Ahadith-ir-Rasool ﷺ , 03/120.

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/159, Raqm-591.

Ibn ‘Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 24/323.

Ibn Najjad Fi Al-Radd ‘Ala Man Yaqoolu Al-Qur’an Makhlooq, 01/5856, Raqm-76, 78,

٥٨٥٦/١، الرقم :٧٨,٧٦،

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 07/176, 178,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-530, 531, 32, Raqm-587.]

40/588.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Farmate Hain Ki Jab Hame’n Aboo Sufyan Ke (Qaafile Kee Shaam Se Waapas) Aane Ki Khabar Pahonchi To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Sahaaba Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Se Mashvira Farmaya : Hazrat Saa’d Bin Ubaadah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Khade Ho Kar ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Aap Hamaari Raay Jaan’na Chaahte Hain To (‘Arz Hai Ki) Us Zaat Kee Qasam Jis Ke Qabza-e Qudrat Me Meri Jaan Hai! Agar Aap Hame’n Samundar Me Ghode Daalne Ka Hukm De To Ham Samundar Me Bhi Ghode Daal Denge, Agar Aap Hame’n Barkil Ghimaad Pahaad Se Ghodo’n Ke Seene Takraane Ka Hukm De To Ham Aisa Bhi Karenge. Tab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Logo’n Ko Bulaaya, Log Aa’e Aur Waadee-e Badr Me Utare. Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yeh Fula’n Kaafir Ke (Qatl Ho Kar) Girne Kee Jagah Hai, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Zameen Par Is Jagah Aur Kabhi Us Jagah Daste Aqdas Rakhte. Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kehte Hain Ki Phir (Doosre Din) Ko’i Kaafir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bataa’i Hu’i Jagah Se Zarra Baraabar Bhi Idhar-Udhar Nahin Mara.”

[Muslim Fi As-Sahih, 03/1403, Raqm-1779,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2202, Raqm-2873.

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/58, Raqm-2071.

Nasa’i Fi As-Sunan, 04/108, Raqm-2074,

As-Sunan-ul-Kubra, 01/658, Raqm-2201.

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/219, Raqm-13320.

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 11/24, Raqm-4766.

Bazzar Fi Al-Musnad, 01/340, Raqm-222.

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/362, Raqm-36708.

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/219, Raqm-8453,

Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/233, Raqm-1085.

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 06/69, Raqm-3322.

Ibn Jawzi Fi Sifat-us-Safwah, 01/102.

Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 02/381, Raqm-5871,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-532, 533, Raqm-588.]

41/589.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Farmate Hain Ki (Jange Mawta Ke Mouke Par) Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Zaid, Hazrat Ja’far Aur Hazrat ‘Abd Allah Bin Rawaaha Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ke Mut’allik Khabar Aane Se Pehle Hee Un Ke Shaheed Ho Jaane Ke Mut’allik Logo’n Ko Bata Diya Tha Chunaanche Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ab Jhanda Zaid Ne Sanbhaala Hua Hai Lekin Woh Shaheed Ho Ga’e. Ab Ja’far Ne Jhanda Sanbhaala Liya Hai Aur Woh Bhi Shaheed Ho Ga’e. Ab Ibn Rawaaha Ne Jhanda Sanbhaala Hai Aur Woh Bhi Jaame Shahadat Nosh Kar Ga’e. Yeh Farmate Hu’e Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Chashmaane Mubarak Ashk Baar Thi. (Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : ) Yaha’n Tak Ki Ab Allah Ta’ala Kee Talwaaro’n Me Se Ek Talwaar (Ya’ni Khaalid Bin Walid) Ne Jhanda Sanbhaal Liya Hai Us Ke Haatho’n Allah Ta’ala Ne Kafiro’n Par Fatah Farmaa’i Hai.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1554, Raqm-4014,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1030, Raqm-2645,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1115, Raqm-2898,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1328, Raqm-3431,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1372, Raqm-3547,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/180, Raqm-8604.

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/204, Raqm-1750,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/337, Raqm-5295,

وقال:هذا حديث صحيح الإسناد،

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/105, Raqm-1459, 1461,

Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 02/384, Raqm-5887,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-533, 534, Raqm-589.]

42/590.    ”Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Bayan Karte Hain Ki Ek Aadami Jo Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Liye Kitaabat Kiya Karta Tha Aur Us Aadami Ne Soorah Baqrah Aur Aal Imran Padh Rakhi Thi, Aur Jis Kisi Aadami Ne Soorah Baqrah Aur Aal Imran Padh Rakhi Hoti Thi To Woh Hum Me Nihaayat Muazzaj Maana Jaata Tha…. Woh Shakhs Islam Se Murtad Ho Gaya Aur Mushriko’n Se Jaa Mila Aur Un Se Kehne Laga Ki Mein Tum Me Sab Se Ziyaada Jaan’ne Waala Hoo’n Mein Muhammad Mustafa (SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Ke Liye Jo Chaahta Likh Deta Tha To Woh Shakhs Mar Gaya To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Us Ko Zameen Bhi Qubool Nahin Karegi. Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Unhe’n Hazrat Aboo Talha RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Bataaya Ki Woh Us Jagah Aa’e Jahaa Woh Shakhs Mara Tha To Dekha Us Kee Laash Zameen Par Baahar Padi Thi. Unhone Logo’n Se Poochha Ki Is Shakhs Ka Kya Maamla Hai? To Logo’n Ne Bataaya Ki Hamne Ise Ka’i Baar Dafan Kiya Hai Magar Zameen Ne Use Qubool Nahin Kiya (Aur Jab Bhi Use Dafan Kiya Gaya To Zameen Ne Har Baar Ise Baahar Nikaal Phainka).”

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1325, Raqm-3421,

Sahih Al-Muslim, 04/2145, Raqm-2781,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/120, 245, Raqm-12236, 13348,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/22, Raqm-3919,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/19, Raqm-744,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/381, Raqm-1278,

Bayhaqi Fi As-Sunan-us-Sughra, 01/568, Raqm-1054,

Bayhaqi Fi Ithbat ‘Adhab Al-Qabr, 01/56, Raqm-54,

Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 02/387, Raqm-5798,

Aboo Mahasin Fi Mu’tasar Al-Mukhtasar, 02/188,

‘Ayni Fi ‘Umdat-ul-Qari,16/150, Raqm-121,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-534, 535, Raqm-590.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-09 : ﴾Azamate Risaalat Aur Sharafe Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam﴿

Ummat Se Qabr Me Maqaame Mustafa ﷺ Se Muta’alliq Poochhe Jaane Ka Bayan

Fasl-05 :

Ummat Se Qabr Me Maqaame Mustafa Se Muta’alliq Poochhe Jaane Ka Bayan

43/591.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Bande Ko (Marne Ke Baa’d) Jab Us Kee Qabr Me Rakkha Jaata Hai Aur Us Ke Saathi (Dafanaane Ke Baa’d Waapas) Laut’te Hain To Woh Un Ke Jooto’n Kee Aawaaz Sun Raha Hota Hai To Us Waqt Us Ke Paas Do² Firishte Aate Hain Aur Use Baitha Kar Kehte Hain Ki Too Is Shakhs Ya’ni (Sayyadana Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Ke Muta’alliq (Dunya Me) Kya Kaha Karta Tha? Agar Woh Momin Ho To Kehta Hai : Mein Gawaahi Deta Hoo’n Ki Yeh Allah Ta’ala Ke (Kaamil) Bande Aur Us Ke (Sachche) Rasool Hain. Us Se Kaha Jaa’ega : (Agar Too Inhe’n Pahchaan Na Paata To Tera Jo Thikaana Hota) Jahannam Me Apne Us Thikaane Kee Taraf Dekh Ki Allah Ta’ala Ne Tujhe Us (Ma’refat Maqaame Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Ke Badle Me Jannat Me Thikaana De Diya Hai. Phir Woh Dono’n Ko Dekhega Aur Agar Munafiq Ya Kaafir Ho To Us Se Poochha Jaa’ega Too Is Shakhs (Ya’ni Sayyadana Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Ke Mut’allik (Dunya Me) Kyaa Kaha Karta Tha? Woh Kehta Hai Ki Mujhe To Ma’loom Nahin, Mein Wahi Kehta Tha Jo Log Kehte The. Us Se Kaha Jaa’ega Too Ne Na Jaana Aur Na Padha. Use Lohe Ke Gurz Se Maara Jaa’ega To Woh (Shiddat Takleef) Se Cheekhta Chillata Hai Jise Jannat Aur Insan Ke Sab Qareeb Waale Sunte Hain.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/462, Raqm-1308,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/448, Raqm-1673,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2200, Raqm-2870,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/238, Raqm-4756,

Nasa’i Fi As-Sunan, 04/97, Raqm-2051,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/126, Raqm-12293,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-536, 537, Raqm-591.]

44/592.    “Hazrat Asma Binte Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hain Ki Sooraj Grahan Ke Roz Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam (Namaaze Kusoof Se) Faarig Ho Ga’e To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Allah Ta’ala Kee Hamd-o Sana Bayan Kee Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ko’i Aisi Cheez Nahin Jise Meine Us Jagah Par Dekh Na Liya Ho Yaha’n Tak Ki Jannat Aur Dozakh Bhi Aur Mujh Par Wahyi Kee Ga’i Hai Ki Qabro’n Me Tumhara Imtihan Hoga. Dajjaal Ke Fitne Jaisi Aazma’is Ya Us Ke Qareeb’tar Ko’i Shai. (Raawi Kehte Hain Mujhe Nahin Ma’loom Ki Hazrat Asma Ne In Me Se Koun See Baat Farmaa’i) Tum Me Se Har Ai Shakhs Ke Paas Firishta Aa’ega Us Se Kaha Jaa’ega Ki Is Shakhs (Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Ke Mut’allik Too Kyaa Jaanta Hai? Jo Iman Waala Ya Yaqeen Waala Hoga Woh Kahega Ki Yeh Allah Ta’ala Ke Rasool Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hain Jo Hamaare Paas Nishaniya’n Aur Hidayat Ke Saath Tashreef Laa’e. Hamne In Kee Baat Maani, In Par Iman Laa’e Aur In Kee Pairwi Kee. Use Kaha Jaa’ega : Aaraam Se So Jaa, Hame’n Ma’loom Tha Ki Too Iman Waala Hai. Agar Vo Munafiq Ya Shak Karne Waala Hoga (Raawi Kehte Hain Mujhe Nahin Ma’loom Ki Hazrat Asma Ne In Me Se Koun See Baat Farmaa’i) To Kahega : Mujhe Nahin Ma’loom Mein Logo’n Ko Jo Kuchh Kehte Hue Sunta Tha Wahi Keh Deta Tha.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/79, Raqm-186,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/358, Raqm-1005,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2657, Raqm-6857.

Muslim Fi As-Sahih, 02/624, Raqm-905,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/189, Raqm-447,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/345, Raqm-2697,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-537, 538, Raqm-592.]

45/593.    “Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Mayyat Ko Ya Tum Me Se Kisi Ek Ko (Marne Ke Baa’d) Qabr Me Daakhil Kiya Jaata Hai To Us Ke Paas Siyaah Rang Ke Neelangoon Aankho’n Waale Do² Firishte Aate Hain. Ek Ka Naam Munkar Aur Doosre Ka Naam Nakeer Hai. Woh Dono’n Us Mayyat Se Poochhte Hain Too Is Azeem Hastee (Rasoole Mukarram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Ke Baare Me (Dunya Me) Kya Kehta Tha? Woh Shakhs Wahi Baat Kehta Hai Jo Dunya Me Kaha Karta Tha Ki Woh Allah Ta’ala Ke Bande Aur Rasool Hain. Mein Gawaahi Deta Hoo’n Ki Allah Ta’ala Ke Siwa Ko’i Ibadat Ke Laa’iq Nahin Aur Be Shak Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Ke (Khaas) Bande Aur (Sachche) Rasool Hain. Woh Kehte Hain Hame’n Ma’loom Tha Ki Too Yahi Kahega Phir Us Kee Qabr Ko Lamba’i Wa Chauda’i Me Sattar-Sattar Haath Kushaada Kar Diya Jaata Hai Aur Noor Se Bhar Diya Jaata Hai Phir Use Kaha Jaata Hai : (Sukoon Wa Itminan Se) So Jaa, Woh Kehta Hai Mein Waapas Jaa Kar Ghar Waalo’n Ko Bataaun. Woh Kehte Hain Nahin (Na’i Naweli) Dulhan Kee Tarah So Jaao. Jise Ghar Waalo’n Me Se Jo Use Mehboob Tareen Hota Hai Wahi Uthaata Hai. Yaha’n Tak Ki Allah Ta’ala (Roze Hashr) Use Us Kee Khwabgah Se (Usi Haal Me) Uthayega Aur Agar Woh Shakhs Munafiq Ho To (In Sawaalaat Ke Jawab Me) Kahega : Meine Aisa Hee Kaha Jaisa Meine Logo’n Se Kehte Hue Suna, Mein Nahin Jaanta (Woh Sahee Tha Ya Galat). Phir Woh Dono’n Firishte Kahenge Ki Hum Jaante The Ki Tum Aisa Hee Kahoge. Phir Zameen Se Kaha Jaaega Ki Us Par Mil Jaa Phir Woh Us Par Ikat’thee Ho Jaa’egi (Yaani Ise Dabayegi) Yaha’n Tak Ki Us Kee Pasliya’n Ek Doosre Me Daakhil Ho Jaaegi Woh Musalsal ‘Azaab Me Mubtala Rahega Yaha’n Tak Ki Allah Ta’ala Use Isi Haalate (‘Azaab) Me Us Jagah Se Uthayega. “

رواه الترمذي وحسنه وابن حبان.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/383, Raqm-1071,

Ibn Hibban Fi As-Sahih,  07/386, Raqm-3117,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf,  03/56, Raqm-12062,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/416, Raqm-864,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/199, Raqm-5399,

Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 04/156,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 02/331,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-538, 539, 540, Raqm-593.]

46/594.    “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Qabr Ka Imtihan Mere Hee Baare Me Hoga Aur (Qabr Me) Tum Se Mere Hee Mut’allik Poochha Jaa’ega Phir Agar Ko’i Nek Aadami Hoga  To Use Baghair Kisi Dar Aur Khauf Ke Us Kee Qabr Me Baithaaya Jaa’ega, Phir Use Kaha Jaa’ega Too Kis Millat Se Tha? To Woh Kahega Deene Islam Par, Phir Us Se Kaha Jaa’ega : Yeh Koun Shakhs Hain Jo Tum Me Maujood The? Phir Woh Kahega Yeh Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Allah Ke Rasool Hain, Yeh Allah Kee Taraf Se Hamaare Paas Waazeh Nishaniyan Le Kar Mab’oos Hu’e. Phir Hamne Un Kee Tasdeeq Kee Phir Us Se Kaha Jaa’ega Kya Toone Allah Ko Dekh Rakkha Hai? To Woh Kahega Ki Ko’i Shakhs Allah Ko Nahin Dekh Sakta Phir Jahannam Kee Taraf Se Us Kee Qabr Me Sooraakh Kar Diya Jaa’ega Phir Woh Us Kee Taraf Dekhega Ki Us Ka Baa’z Us Ke Baa’z Ko Tabaah Kar Raha Hai Phir Use Kaha Jaa’ega Us Kee Taraf Dekh Jis Se Allah ‘Azza Wa Jalla Ne Tumhe’n Bacha Liya Phir Jannat Kee Taraf Se Us Kee Qabr Me Ek Sooraakh Kar Diya Jaa’ega To Woh Us Kee Rounak Aur Jamaal Kee Taraf Dekhega Phir Use Kaha Jaa’ega Yeh Hai Tera Jannat Ka Thikaana, Aur Phir Use Kaha Jaa’ega Ki Too Yaqeen Par Zinda Raha Usi Par Mara Aur Usi Par Agar Allah Ta’ala Ne Chaaha To Tujhe Zinda Kiya Jaa’ega .”

رواه ابن ماجه وأحمد وإسناده صحيح.

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1426, Raqm-4268,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/139, Raqm-25133,

Ibn Mandah Fi Al-Iman, 02/967, Raqm-1067,

‘Abd Allah Bin Ahmad Fi As-Sunnah, 01/308, Raqm-602,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,03/240,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-540, 541, Raqm-594.]

47/595.    “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Ek Janaaze Me Shaamil Hua. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Logo’n! Is Ummat (Ke Logo’n) Kee Qabr Me Aazma’is Hogi. Phir Jab Insan Dafan Kar Diya Jaata Hai Aur Us Ke Saathi (Us Ke Paas Se) Muntashir Ho Jaate Hain To Us Ke Paas Firishta Jis Ke Haath Me Gurz Hota Hai, Use Woh Bithaata Hai Aur Kehta Hai : Is Hastee (Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Ke Baare Me Tum Kya Kehte Ho? Phir Agar Woh Momin Hoga To Kehta Hai : Mein Gawaahi Deta Hoo’n Ki Allah Ta’ala Ke Siwa Ko’i Ma’bood Nahin Aur Be Shak Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Ke (Khaas) Bande Aur (Afzal Tareen) Rasool Hain. Phir Woh (Firishta) Use Kehta Hai : Toone Sach Kaha Phir Us Ke Liye Dozakh Kee Taraf Ek Darwaaja Khola Jaata Hai Aur (Firishta) Kehta Hai Tera Yeh Thikaana Hota Agar Too Apne Rabb Ke Saath Kufr Karta Lekin Too Iman Laaya Phir Tera Yeh (Jannat) Thikaana Hai. Phir Us Ke Liye Jannat Kee Taraf Darwaaja Khola Jaata Hai. Woh Shakhs (Farhat Wa Khushee Ke Maare Be Ikhtiyaar Ho Kar) Us Darwaaze Kee Taraf Badhta Hai To Firishta Us Se Kehta Hai : Thahar Jaao Aur Us Ke Liye Us Kee Qabr Me Hee Wus’at Paida Kar Dee Jaati Hai.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/03, Raqm-11013, 14864,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/417, Raqm-565,

‘Abd Allah Bin Ahmad Fi As-Sunnah, 02/612, Raqm-1456,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-541, 542, Raqm-595.]

48/596.    “Hazrat Asma Binte Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ek Taweel Riwayat Me Bayan Karti Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Logo’n! Ko’i Bhi Cheez Aisi Nahin Jise Mein Ne Na Dekha Ho Lekin Yeh Ki Ab Mein Use Apni Us Jagah Se Dekh Raha Hoo’n Aur Tahqeek Mujhe Tumhe’n Apni Qabro’n Me Aazma’is Me Mubtala Hote Dikhaya Gaya Hai. Tum Me Se Har Kisi Se Sawal Kiya Jaa’ega : Too (Dunya Me) Is Hastee (Yaani Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke) Baare Me Kyaa Kaha Karta Tha? Aur Too (Dunya Me) Kis Kee ‘Ibadat Kiya Karta Tha? Phir Agar Us Ne Kaha Ki Mein Nahin Jaanta Meine Jis Tarah Logo’n Ko (In Ke Baare Me) Kehte Suna Meine Bhi Usi Tarah Kaha Diya Aur Jo Kuchh Unhe’n Karte Hue Dekha Usi Tarah Kar Diya To Us Se Kaha Jaa’ega Ki Yaha’n To Shak Par Zinda Raha Aur Usi Par Mara Phir Ab Yeh Tera Aag Ka Thikaana Aur Agar Us Ne Kaha Ki Mein Gawaahi Deta Hoo’n Ki Allah Ta’ala Ke Siwa Ko’i Ibadat Ke Laa’iq Nahin Hai Aur Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Allah Ta’ala Ke Rasool Hain To Us Se Kaha Jaa’ega Ki Too Yaqeen Par Zinda Raha Aur Usi Par Mara Lehaaza Tera Thikaana Yeh Jannat Hai.”

رواه أحمد وإسناده حسن.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/354,وسنده حسن.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-542, 543, Raqm-596.]

49/597.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Momin Ko Jab Us Kee Qabr Me Rakkha Jaata Hai To Us Ke Paas Ek Firishta Aata Hai Jo Poochhta Hai Too Kis Kee ‘Ibadat Kiya Karta Tha? Phir Allah Ta’ala Use Hidayat ‘Ata Farmata Hai Aur Woh Kehta Hai Mein Allah Ta’ala Kee Ibadat Kiya Karta Tha. Phir Us Se Poochha Jaata Hai Ki Too Is Azeem Hastee (Sayyadana Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Ke Mut’allik Kya Kaha Karta Tha? Woh Kehta Hai Ki Yeh Allah Ta’ala Ke Bande Aur Us Ke Rasool Hain. Phir Us Ke Siwa Us Se Kisi Aur Shai Ke Mut’allik Nahin Poochha Jaata Aur Isi Riwayat Me Hai Ki Woh Kehta Hai Ki Mujhe Chhod Do Taaki Mein Apne Ghar Waalo’n Ko Bashaarat Doon, Use Kaha Jaata Hai Ki Yahin (Aysho Isharat) Se Raho.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/238, Raqm-4851,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/233, Raqm-13472,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/194, Raqm-5394,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,03/237,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-543, Raqm-597.]

50/598.    “Hazrat Bara’ Bin Aazib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Farmaate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Ham Ek Ansaari Ke Janaaze Ke Liye Ga’e Aur Qabr Ke Qareeb Jaa Kar Rook Ga’e, Jab Tak Woh Dafan Nahin Kar Diya Gaya Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Wahin Tashreef Farma Rahe Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke I’rd-Geerd Hum Bhi Yu’n Khaamosh Ho Kar Baith Ga’e Goya Hamaare Saaro Par Parinde Baithe Ho. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Daste Aqdas Me Ek Lakadi Thi Jis Se Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Zameen Ko Kuraid Ne Lage Aur Sar Mubarak Ko Uthaaya Aur Do² Ya Teen³ Baar Farmaya : Azaabe Qabr Se Allah Kee Panaah Maango Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Murda Un Ke Jooto’n Kee Aawaaz Sunta Hai Jab Woh (Us Ke Saathi) Peeth Pher Kar Jaate Hain. Us Waqt Us Se Poochha Jaata Hai : Aye Insan! Tera Rabb Koun Hai? Tera Deen Kya Hai? Aur Tera Nabi Koun Hai?”

“Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Us Ke Paas Do² Firishte Aate Hai, Phir Use Baitha Kar Use Poochhte Hain Ki Tera Rabb Koun Hai? Woh Kehta Hai Ki Mera Rabb Allah Ta’ala Hai. Dono’n Firishte Us Se Poochhte Hain Ki Tera Deen Kyaa Hai? Woh Kehta Hai Ki Mera Deen Islam Hai. Dono’n Us Se Poochhte Hain Ki Yeh Hastee Koun Hai Jo Tumhaari Taraf Mab’oos Ki Ga’i Thi? Woh Kehta Hai Ki Yeh To Hamaare Aaqa MuhammadurRasool Allah Sallallahu Ta’ala Alayhi Wasallam Hai. Dono’n Poochhte Hain Tumhe’n Kaise Ma’loom Hua? Woh Kehta Hai Ki Meine Allah Ta’ala Kee Kitab Padhi Lehaaza Un Par Iman Laaya Aur In Kee Tasdeeq Kee.”

“Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Irshade Baari Ta’ala Hai : ˝Allah Ta’ala Iman Waalo’n Ko (Is) Mazboot Baat (Kee Barkat) Se Duniyawi Zindagi Me Bhi Saabit Qadam Rakhta Hai Aur Aakhirat Me (Bhi).˝[Ibrahim, 14 : 27] Ka Yahi Matlab Hai Phir Aasmaan Se Ek Pookaarne Waale Kee Aawaaz Aati Hai, Mere Bande Tune Sach Kaha, Lehaaza Jannat Me Is Ka Bistar Laga Do Aur Ise Jannati Libaas Pehna Do Aur Is Ke Liye Jannat Ka Ek Darwaaja Khol Do. Phir Is Ke Zari’e Ise Jannat Kee Hawa Aur Khushboo Aati Hai Aur Taa Hadde  Nazar Us Kee Qabr Faraakh Kar Dee Jaati Hai.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/238, Raqm-4751,

Ahmad Ibn Hanbal Al-Musnad, 03/233, Raqm-02,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-543, 544, 545, Raqm-598.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-09 : ﴾Azamate Risaalat Aur Sharafe Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam﴿

Roze Qiyaamat Shafa’at Ka Bayan

Fasl-06 :

Roze Qiyaamat Shafa’at Ka Bayan

51/599.    “Hazrat Aadam Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Meine Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Farmate Hu’e Suna : Roze Qiyaamat Sab Log Giroh Dar Giroh Ho Jaa’enge. Har Ummat Apne Apne Nabi Ke Peechhe Hogi Aur ‘Arz Karegi : Aye Fula’n! Shafa’at Farmayein, Aye Fula’n! Shafa’at Keeji’e. Yaha’n Tak Ki Shafa’at Kee Baat Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Aa Kar Khatm Hogi. Phir Us Roz Shafa’at Ke Liye Allah Ta’ala Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Maqaame Mahmood Par Faa’iz Farma’ega.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1748, Raqm-4441,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/381, Raqm-295,

Ibn Mandah Fi Al-Iman, 02/871, Raqm-927,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-546, Raqm-599.]

52/600.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Qiyaamat Ke Din Sooraj Logo’n Ke Bohat Qareeb Aa Jaa’ega Yaha’n Tak Ki (Us Kee Tapish Ke Baa’is Logo’n Ke) Nisf Kaano’n Tak Paseena Pahonch Jaa’ega Log Is Haalat Me (Pehle) Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Se Madad Maangne Jaa’enge, Phir Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Se, Phir Aakhir Me (Har Ek Ke Inkaar Par) Hazrat Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Madad Maangeinge.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/536, Raqm-1405,

Ibn Mandah Fi Kitab-ul-Iman, 02/854, Raqm-884,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/30, Raqm-8765,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/269, Raqm-3509,

Daylami Al-Musnad-ul-Firdaws, 02/377 Raqm-3677,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/371, ووثّقه.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-546, 547, Raqm-600.]

53/601.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Meri Shafa’at Meri Ummat Ke Un Afraad Ke Liye Hai Jinohne Kabeera Gunaah Ki’e.”

رواه الترمذي وأبوداود.

وقال الترمذي : هزا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/625, Raqm-2435,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/236, Raqm-4739,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1441, Raqm-4310,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/139, Raqm-228,

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح على شرط الشيخين،

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 06/40, Raqm-3284,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/272, Raqm-448,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/233, Raqm-1669,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-547, Raqm-601.]

54/602.    “Hazrat Aboo Moosa Ash’ari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mujhe Yeh Ikhtiyaar Diya Gaya Hai Khwaah Mein Qiyaamat Ke Din Shafa’at Ko Chun Loo’n Ya Meri Aadhi Ummat Ko (Bina Hisaab Kitab) Jannat Me Daakhil Kar Diya Jaa’e To Meine Us Me Se Shafa’at Ko Ikhtiyaar Kiya Hai Kyon Ki Aam Aur (Poori Ummat Ke Liye) Kaafi Hogi Aur Tum Shaayad Yeh Khayal Karo’n Ki Woh Parhezgaaro’n Ke Liye Hogi? Nahin Balki Woh (Meri Shafa’at) Bohat Ziyaada Gunahgaron, Khatakaro’n Aur Bura’iyo’n Me Mubtala Hone Waalo’n Ke Liye Hogi.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1441, Raqm-4311,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/75, Raqm-5452,

Bayhaqi Fi Al-I’tiqad,01/202,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/378,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-547, 548, Raqm-602.]

55/603.    “Hazrat Owf Bin Malik Ashja’i RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Jaante Ho Raat Mere Rabb Ne Mujhe Kya Ikhtiyaar Diya Hai? Hum Ne ‘Arz Kiya : Allah Ta’ala Aur Us Ka Rasool Sab Se Behtar Jaante Hain. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Us Ne Mujhe Yeh Ikhtiyaar Diya Hai Ki Agar Mein Chaahun To Meri Nisf Ummat Ko (Bila Hisab-o Kitab) Jannat Me Daakhil Kar Diya Jaa’e Yaa Yeh Ki Mein Shafa’at Karoo’n, Mein Ne Shafa’at Ko Pasand Kiya Sahaba Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Allah Ta’ala Se Hamaare Liye Du’aa Farmaye’n Ki Allah Ta’ala Hame’n (Bhi) Shafa’at Ke Haquedaro’n Me (Shaamil Kar De. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Woh Har Musalman Ke Liye Hai.”

رواه ابن ماجه والحاكم والطبراني.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح على شرط مسلم.

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1444, Raqm-4317,

Ibn Mandah Fi Al-Iman, 20/873, Raqm-932,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/135, Raqm-221,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 18/68, Raqm-126,

Musnad Al-Shamiyyin, 01/326, Raqm-575,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-548, 549, Raqm-603.]

56/604.   “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Meri Qabr Kee Ziyarat Kee (Roze Qiyaamat) Us Ke Haqq Me Meri Shafa’at Waajib Ho Ga’i.”

[Daraqutni Fi As-Sunan, 02/278, Raqm-194,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/490, Raqm-4159,

Hakim At-Tirmidhi Fi Nawadir-ul-Usool Fi Ma’rifati Ahadith-ir-Rasool ﷺ , 02/67,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 04/02,

وقال الهيثمي :رواه البزار .

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-549, Raqm-604.]

57/605.    “Imam Aboo Haazim Hazrat Sahal Bin Saa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Meri Ummat Ke Sattar Hazaar Yaa Saat Laakh Afraad Jannat Me Daakhil Honge (Aboo Haazim Ko Yaad Nahin Raha Ki Un Me Se Koun See Ta’daad Marwi Hai) Woh Ek Doosre Ko Mazbooti Se Thaame Hue Honge Un Me Se Pehla Shakhs Us Waqt Tak Jannat Me Daakhil Nahin Hoga Jab Tak Un Ka Aakhiri Fard Bhi Daakhil Na Ho Jaa’e (Ya’ni Woh Apne Hazaaro’n Laakho’n Afraad Kee Nigaraani Kar Raha Hoga) Un Ke Chehre Chaudahvin Raat Ke Chaand Kee Tarah Raushan Honge.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2399, Raqm-6187,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2396, Raqm-6177,

Muslim Fi As-Sahih, 01/198, Raqm-219,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-549, 550, Raqm-605.]

58/606.    “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tumhare Kisi Ek Shakhs Ka Bhi Dunya Me Kisi Haqq Baat Ke Liye Takraar Karna Is Qadr Sakht Nahin Hoga Jo Takraar Momineen Kaamileen Apne Parwardigaar Se Apne Us Bha’iyo’n Ke Liye Karenge Jo Jahannam Me Daakhil Ki’e Jaa Chuke Honge. Woh ‘Arz Karenge : Aye Hamaare Parwardigaar! Hamaare Yeh Bha’i Hamaare Saath Namazein Padhte The Aur Hamaare Saath Roze Rakhte The Aur Hamaare Hee Saath Haj Karte The Aur Too Ne Inhe’n Dozakh Me Daal Diya Hai. Is Par Allah Ta’ala Farma’ega : Achchha Tum Jinhe’n Pahchaante Ho Unhe’n Jaa Kar Khud Hee Dozakh Se Nikaal Lo. Kehte Hain : Woh Un Ke Paas Jaa’enge Aur Un Kee Shaklein Dekh Kar Unhe’n Pahchaan Lenge. Un Me Se Kuchh Ko To Aag Ne Aadhi Pindaliyo’n Tak Aur Kuchh Ko Takhano’n Tak Pakda Hoga. Woh Unhe’n Nikaalenge Aur Phir ‘Arz Karenge. Aye Hamaare Parwardigaar! Too Ne Hame’n Jin Ke Nikaal Ne Ka Hukm Farmaya Tha Unhe’n Hum Ne Nikaal Liya Hai, Phir Allah Ta’ala Farma’ega : Unhe’n Bhi Jaa Kar Nikaal Lo Jin Ke Dil Me Ek Dinar Ke Baraabar Bhi Iman Hai. (Phir) Yaha’n Tak Farma’ega : Use Bhi (Nikaal Laawo) Jis Ke Dil Me Zarra Baraabar Iman Hai. Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Ab Jis Shakhs Ko Yaqeen Na Aa’e To Woh Yeh Aayate Kareema Padh Le : Be Shak Allah Is Baat Ko Nahin Bakhshta Ki Us Ke Saath Shirk Kiya Jaa’e Aur Is Se Kamtar (Jo Gunaah Bhi Ho) Jis Ke Liye Chaahta Hai Bakhsh Deta Hai.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2707, Raqm-7001,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/112, Raqm-5010,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/23, Raqm-20,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/94, Raqm-117,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/626, Raqm-8736,

وقال :هاذا حديث صحيح الإسناد،

Ibn Rashid Fi Al-Jaame’, 11/410,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-550, 551, Raqm-606.]

59/607.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Qiyaamat Ke Din Log Safe’n Banayeinge (Ibn Nameer Ne Kaha Ya’ni Ki Ahle Jannat) To Dozakhiyo’n Me Se Ek Shakhs Jannatiyo’n Me Se Ek Shakhs Ke Paas Se Guzarega Aur Kahega : Aye Fula’n! Tujhe Yaad Hai Ki Ek Din Toone Paani Maanga Tha Aur Meine Tujhe Paani Pilaaya Tha? Raawi Farmate Hain : Phir Woh Jannati Us Dozakhi Ke Liye Shafa’at Karega. Ek Aur Aadami Doosre Aadami Ke Paas Se Gujarega To Kahega : Tujhe Yaad Hai Meine Tujhe Tahaarat Ke Liye Paani Diya Tha? Chunaanche Woh Us Ke Liye Shafa’at Karega. Ek Aur Aadami Kahega : Aye Fula’n : Tujhe Yaad Hai Ki Ek Din Toone Mujhe Is Kaam Ke Liye Bheja Tha Chunaanche Mein Teri Khaatir Chala Gaya Tha? Phir Woh Us Kee Shafa’at Karega.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1215, Hadith-3685,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/78, Hadith-4006,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/317, Hadith-6511,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/39, Raqm-1415,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/382,

Qurtubi Fi Al-Jaame’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 03/275,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-551, 552, Raqm-607.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-09 : ﴾Azamate Risaalat Aur Sharafe Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam﴿

Huzoor ﷺ Se Mahabbat Aur Sohbate Saaleheen Ke Ajr Ka Bayan

Fasl-07 :

Huzoor Se Mahabbat Aur Sohbate Saaleheen Ke Ajr Ka Bayan

60/608.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Kisi Aadami Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Qiyaamat Ke Mut’allik Sawal Kiya Ki (Ya RasoolAllah ﷺ!) Qiyaamat Kab Aayegi? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Too Ne Us Ke Liye Kya Taiyaari Kar Rakhi Hai? Us Ne ‘Arz Kiya : Mere Paas To Ko’i Taiyaari Nahin. (Imam Ahmad Kee Riwayat Me Hai Ki Us Ne ‘Arz Kiya : Meine To Is Ke Liye Bohat Se Aamaal Taiyaar Nahin Ki’e, Na Bohat See Namazein Aur Na Bohat Se Roze) Siwaaye Is Ke Ki Mein Allah Ta’ala Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Mahabbat Rakhta Hoo’n. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum (Qiyaamat Ke Roz) Usi Ke Saath Hoge Jis Se Tum Mahabbat Rakhte Ho. Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Hame’n (Ya’ni Tamaam Sahaba Ko) Kabhi Kisi Khabar Se Itni Khushee Nahin Hu’i Jitni Khushee Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Is Farmaane Aqdas Se Hu’i Ki Tum Us Ke Saath Hoge Jis Se Tum Mahabbat Karte Ho. Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Mahabbat Karta Hoo’n Aur Hazrat Aboo Bakr Wa Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Mahabbat Karta Hoo’n Lehaaza Ummeed Karta Hoo’n Ki Un Kee Mahabbat Ke Baa’is Mein Bhi In Hazraat Ke Saath Hee Rahoo’nga Agar Che Mere Aamaal To Un Ke Aamaal Jaise Nahin.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1349, Hadith-3485,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2285, Raqm-5815,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufdad/129, Raqm-352,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2032, Raqm-2639,

Tirmadhi As-Sunan, 04/595, Raqm-2385,

وقال أبو عيسى : هذا حديث صحيح،

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/333, Raqm-5127,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/104, 168, 178, Raqm-12032, 12738, 12846,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 10/308, Raqm-105,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 05/372, Raqm-3023,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/254, Raqm-8556,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-553, 554, Raqm-608.]

61/609.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Ek Dehaatee Shakhs Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Daryaaft Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Qiyaamat Kab Aayegi? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Toone Us Ke Liye Kya Taiyaari Kar Rakhi Hai? Us Ne ‘Arz Kiya : Allah ‘Azza Wa Jalla Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Mahabbat (Yahi Mera Sarmaaya-e Hayaat Hai). Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Too Usee Ke Saath Hoga Jis Se Tujhe Mahabbat Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 03, Page-1349, Raqm-3485,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2032, Raqm-2639,

Tirmadhi As-Sunan, 04/595, Raqm-2385,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-554, Raqm-609.]

62/610.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Mein Ek Martaba Masjid Se Nikal Rahe The Ki Masjid Ke Darwaaze Par Ek Aadami Mila Us Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ Qiyaamat Kab Aayegi? Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Toone Us Ke Liye Kya Taiyaari Kar Rakhi Hai? Woh Aadami Kuchh Der Khaamosh Raha Phir Us Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Meine Us Ke Liye (Fara’iz Se) Ziyaada Roza, Namaz Aur Sadqa Wagairah (‘Aamaal) To Nahin Ki’e Lekin (Itna Hai Ki) Mein Allah Ta’ala Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Mahabbat Rakhta Hoo’n. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : To Tum Usee Ke Saath Hoge Jis Se Tum Mahabbat Rakhte Ho.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2615, Raqm-6734,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2282, Raqm-5815,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2285, Raqm-5816, 5819,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1349, Raqm-3485,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2032, 2033, Raqm-2639,

Tirmadhi As-Sunan, 04/595, Raqm-2385, وصححه،

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/465, Raqm-12715,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/149, Raqm-1796,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/182, Raqm-08,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/267, Raqm-7465,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/284, Raqm-2131,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 05/372, Raqm-3023,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/387,  Raqm-498,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-555, Raqm-610.]

63/611.    “Hazrat Aboo Dhar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Unhone ‘Arz Kiya Ya RasoolAllah ﷺ! Ek Aadami Kuchh Logo’n Se Mahabbat Karta Hai Lekin Un Jaisa Amal Nahin Kar Sakta? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Aboo Dhar! Too Us Ke Saath Hoga Jis Se Tujhe Mahabbat Hai. Unhone ‘Arz Kiya : Mein To Allah Ta’ala Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Mahabbat Karta Hoo’n. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Do² Baara Farmaya : Aye Aboo Dhar! Too Yaqeenan Un Ke Saath Hoga Jin Se Tujhe Mahabbat Hai. Raawi Ka Bayan Hai Ki Hazrat Aboo Dhar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Apna Sawal Dohraaya To Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Bhi Use Dohra Kar Bayan Farmaya.”

رواه أبو داود وأحمد والبذار بإسناد جيد

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/333, Raqm-5126,

Bazzar Fi Al-Musnad, 09/373, Raqm-395,

Daraqutni Fi As-Sunan, 02/414, Raqm-2787,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/156, Raqm-61416, 21501,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/315, Raqm-556,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad,/128, Raqm-351,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/15, Raqm-4598,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-556, Raqm-611.]

64/612.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mugaffal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Ek Shakhs Ne Baargaahe Risalat Ma’aab SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Allah Kee Qasam! Mein Aap Se Mahabbat Karta Hoo’n. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Socho! Kya Keh Rahe Ho? Us Ne Phir ‘Arz Kiya : Allah Kee Qasam! Mein Aap Se Mahabbat Karta Hoo’n. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Phir Socho Kya Keh Rahe Ho? Us Ne Phir ‘Arz Kiya : Allah Kee Qasam! Mein Aap Se Mahabbat Karta Hoo’n. Us Ne Teen³ Baar Yeh Baat Dohraayi. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Too Mujh Se Mahabbat Karta Hai To Faqar Ke Liye Taiyaar Ho Jaa Kyon Ki Mujh Se Mahabbat Karne Waalo’n Kee Taraf Faqar Us Se Bhi Ziyaada Tezee Se Badhta Hai Jitni Tezee Se Sailaab Apni Manzil Kee Taraf Badhta Hai.”

رواه الترمذي وابن حبان.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/576, Raqm-2350,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 07/185, Raqm-2922,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/173, Raqm-1471,

Ruwayani Fi Al-Musnad, 02,/88, Raqm-872,

Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/620, Raqm-2505,

Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 01/292, Raqm-777,

Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 12/398,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-556, 557, Raqm-612.]

65/613.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Me Se Ko’i Momin Nahin Ho Sakta Jab Tak Ki Allah ‘Azza Wa Jalla Aur Us Ka Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Use Baaqi Har Ek Se Mehboob Tar Na Ho Ho Jaayein, Aur Us Waqt Tak Jab Tak Ki Woh Kufr Se Nijaat Paane Ke Baa’d Dobaara (Haalate) Kufr (Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Yahoodiyat Aur Nasraaniyat) Kee Taraf Laut’ne Ko Woh Is Tarah Na Pasand Karta Ho Ki Us Ke Badle Use Aag Me Phainka Jaana Pasand Ho. Aur Tum Me Se Ko’i Momin Nahin Ho Sakta Jab Tak Ki Mein Us Kee Aslaad Aur Us Ke Waalid (Ya’ni Waaledain) Aur Tamaam Logo’n Se Mahboob Tar Na Ho Jaaoon.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/207, Raqm-13174,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/278, Raqm-13991, 13992,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/230, Raqm-13431,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/394, Raqm-1328,

Ibn Mandah Fi Al-Iman, 01/433, Raqm-283,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/33,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-557, 558, Raqm-613.]

66/614.    “Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Hai Ki Ek Sahaabi Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Haazir Ho Kar ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah Aap Mujhe Meri Jaan Aur Mere Ahl-o Ayaal Aur Meri Aulaad Se Bhi Ziyaada Mahboob Hain. Jab Mein Apne Ghar Me Hota Hoo’n To Bhi Aap Ko Hee Yaad Karta Hoo’n Aur Us Waqt Tak Chain Nahin Aata Jab Tak Haazir Ho Kar Aap Kee Ziyaarat Na Kar Loo’n. Lekin Jab Mujhe Apni Maut Aur Aap Ke Wisaal Mubarak Ka Khayaal Aata Hai To Sochata Hoo’n Ki Aap To Jannat Me Ambiya-e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Ke Saath Buland Tareen Maqaam Par Jalwa Afroz Honge Aur Agar Mein Jannat Me Daakhil Hoo’nga To Khadsha Hai Ki Kahin Aap Kee Ziyaarat Se Mehroom Na Ho Jaaun. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Sahaabi Ke Jawab Me Khaamosh Rahe : Yaha’n Tak Ki Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Yeh Aayate Mubaraka Le Kar Utare : ˝Aur Jo Ko’i Allah Ta’ala Aur Rasool (SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Kee Ita’at Kare To Yahi Log (Roze Qiyaamat) In (Hastiyo’n) Ke Saath Honge Jin Par Allah Ta’ala Ne (Khaas) In’aam Farmaya Hai.˝[An-Nisa, 04/69] Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Shakhs Ko Bulaaya Aur Use Yeh Aayat Padh Kar Sunaayi.”

[ Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/152, Hadith-477,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/53, Hadith-56,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 04/240,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 08/125,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 07/07

Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 01/524,

Suyooti Fi Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bil-Ma’thoor, 02/182,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-558, 559, Raqm-614.]

67/615.    “Hazrat ‘Abd-ir-Rahman Bin Saa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Bayan Karte Hain Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ka Paanw Sunn Ho Gaya To Ek Aadami Ne Un Se Kaha Ki Logo’n Me Se Jo Aap Ko Sab Se Ziyaada Mahboob Ho Use Yaad Kare’n, To Unhone Ya Muhammad (SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Ka Naara Buland Kiya.”

رواه البخاري في الأدب.

[Bukhari Al-Adab-ul-Mufrad/335, Raqm-964,

Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/369, Raqm-2539,

Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 04/154,

Ibn Sunni Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa Al-Laylah/141, Raqm-168, 170, 172,

Qadi ‘Iyad Fi Ash-Shifa/498, Raqm-1218,

Yahya Bin Mu’iyn Fi Al-Tarikh, 04/24, Raqm-2953,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 01/399,

Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 17/142,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-559, Raqm-615.]

68/616.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Allah Ta’ala Kisi Bande Se Mahabbat Karta Hai To Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Ko Bulaata Hai (Aur Hukm Deta Hai) Ki Allah Ta’ala Fula’n Bande Se Mahabbat Rakhta Hai Lihaza Tum Bhi Us Se Mahabbat Karo To Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Us Se Mahabbat Karte Hain. Phir Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Aasmaani Makhlooq Me Nida Dete Hain Ki Allah Ta’ala Fula’n Shakhs Se Mahabbat Karta Hai Lihaza Tum Bhi Us Se Mahabbat Karo Phir Aasmaan Waale Bhi Us Se Mahabbat Karne Lagte Hain Phir Zameen Waalo’n (Ke Dilo’n) Me Bhi Us Kee Maqbooliyat Rakh Dee Jaati Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1175, Raqm-3037,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2246, Raqm-5693,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2721, Raqm-7047,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2030, Raqm-2637,

Malik Fi Al-Muwatta’, 02/953, Raqm-1710,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/86, Raqm-365,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/413, Raqm-9341, 10685,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/120, Raqm-2800,

Bayhaqi Fi Kitab-uz-Zuhd Al-Kabir, 02/301, Raqm-805,

Azdi Fi Musnad Al-Rabi’, 01/45, Raqm-67,

Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 01/366, Raqm-375,

Aboo Mahasin Fi Mu’tasar Al-Mukhtasar, 02/228,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-559, 560, Raqm-616.]

69/617.    “Hazrat Aboo Moosa (Ash’ari) RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Achchhe Aur Bure Saathi Kee Misaal Mushk Waale Aur Bhattee Dhaunkne Waale Jaisi Hai Kyon Ki Mushk Waala Yoo’n To Tohfatan Tumhe’n (Thodi Bohat Khushboo) De Dega Ya Tum Us Se Khareed Loge Warna Umda Khushboo To Tum Paa Hee Loge, Rahi Bhattee Waale (Lauhaar) Kee Baat To (Us Kee Bhattee Kee Aag) Ya Tumhare Kapade Jala Degi Warna Tumhe’n (Bhattee Kee) Badboo To Zaroor Pahonchegi.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2104, Raqm-5214,

Bukhari Fi As-Sahih,  02/741, Raqm-1995,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2026, Raqm-7270, 7307,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 07/54, Raqm-9435,

Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 02/288, Raqm-1380,

Ruwayani Fi Al-Musnad, 01/318, Raqm-974,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/24, Raqm-4638,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-560, 561, Raqm-617.]

70/618.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hamne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Hame’n Kya Ho Gaya Hai Ki Jab Ham Aap Kee Baargaahe Aqdas Me Hote Hain To Hamaare Dil Narm Hote Hain Hum Dunya Se BeRaghbat Aur Aakhirat Ke Baasee (Baashinde) Ho Jaate Hain Aur Jab Aap Kee Bargah Se Chale Jaate Hain Aur Apne Gharo’n Me Ghul-Mil Jaate Hain Aur Apni Aulaad Se Milte Julte Rehte Hain To Hamaare Dil Badal Jaate Hain, Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Tum Isi Haalat Me Raho Jis Tarah Mere Paas Se Uth Kar Jaate Ho To Firishte Tumhaare Gharo’n Me Tumhaari Ziyaarat Kare’n Aur Agar Tum Gunaah Na Karo To Allah Ta’ala Zaroor Ek Na’i Makhlooq Le Aa’ega Taaki Woh Gunaah Kare’n (Aur Phir Tawbah Kar Le) Aur Phir Allah Ta’ala Unhe’n Bakhs De.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/672, Raqm-2526,

Ibn Hibban Fi As-Sahih,16/396, Raqm-3787,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/337, Raqm-2583,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 05/409, Raqm-7101,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/415, Raqm-1420,

Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/380, Raqm-1075,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-561, 562, Raqm-618.]

71/619.    “Hazrat Aboo Moosa Ash’ari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Achchhe Saathi Kee Misaal Attaar (Itr Bechne Waale) Kee See Hai Aur Us Se Agar Tumhe’n Aur Kuchh Bhi Na Mile To Us Kee (Achchhi) Khushboo To Pahonch Hee Jaa’egi Aur Bure Saathi Kee Misaal Lauhaar Kee See Hai Agar Us Kee (Bhattee Ke) Shole Tujhe Na Bhi Jalayein To Us Kee (Bhattee Kee) Badboo To Tumhe’n Zaroor Pahonchegi.”

رواه ابن حبان وأحمد والبزار.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/341, Raqm-579,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/404, Raqm-19624,

Bazzar Fi Al-Musnad, 08/44, Raqm-3027, 3190,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/312, Raqm-7749,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/274, Raqm-4295,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,06/199, Raqm-2215, 2216,

وقال المقدسى : إسناده صحيح،

Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 02/287, Raqm-1377,

Khallad Fi Amthal Al-Hadith, 01/113, Raqm-77, 78,

Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-uz-Zuhd, 01/274,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/61,

وقال الهيثمى : إسناده حسن،

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-562, Raqm-619.]

72/620.    “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Sachche) Momin Kee Sohbat Hee Ikhtiyaar Karo Aur Tumhaara Khaana Sirf Parhezgaar (Dost) Hee Khaaye.”

رواه الترمذي وأبو داود.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/600, Raqm-2395,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/259, Raqm-4832,

Daraqutni Fi As-Sunan, 02/140, Raqm-2057,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/314, Raqm-554, 555, 560,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/143, Raqm-7169,

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد،

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/277, Raqm-3136,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/484, Raqm-1315,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 07/42, Raqm-9383,

Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/124, Raqm-364,

Daylami Musnad-ul-Firdaws, 05/351, Raqm-8403,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/15, Raqm-4599,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-562, 563, Raqm-620.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-09 : ﴾Azamate Risaalat Aur Sharafe Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam﴿

Huzoor ﷺ Kee Zaate Aqdas Aur Aap ﷺ Ke Aasaare Mubaaraka Se Husoole Barkat Ka Bayan

Fasl-08 :

Huzoor Kee Zaate Aqdas Aur Aap Ke Aasaare Mubaaraka Se Husoole Barkat Ka Bayan

73/621.    “Hazrat Saa’ib Bin RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Meri Khaala Jaan Mujhe Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Le Ja Kar ‘Arz Guzaar Huwee : Ya RasoolAllah ﷺ! Mera Bhaanja Beemaar Hai. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Mere Sar Par Apna Daste Aqdas Phera Aur Mere Liye Barkat Kee Du’aa Farmaa’i Phir Wuzoo Farmaya To Meine Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Wuzoo Ka Paani Piya Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Peechhe Khada Ho Gaya To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Dono’n Mubarak Shaano’n Ke Dauraan Muhare Nubuwwat Kee Ziyaarat Kee Jo Kabootar (Ya Us Kee Misl Kisi Parinde) Ke Ande Jaisi Thi.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/81, Raqm-187,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1301, Taqam-3347,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1301, Raqm-3348,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2146, Raqm-5346,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2337, Raqm-5991,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1823, Raqm-2345,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/361, Raqm-7518,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 07/157, Raqm-6682,

Ibn Abi ‘Asim Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 04/379, Raqm-2420, 3430,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-564, Raqm-621.]

74/622.    “Hazrat Aboo Juhaifa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Dopahar Ke Waqt Hamaare Paas Tashreef Laa’e, Paani Laaya Gaya To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Wuzoo Farmaya.  Log Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Wuzoo Ke Bache Hu’e Paani Ko Lene Lage Aur Use Apne Oopar Malne Lage.  Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Zuhar Ki Do² Rak’ate’n Aur ‘Asr Kee Do² Rak’ate’n Ada Farma’i Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saamne Neza (Barchhee) Tha.  Hazrat Aboo Moosa Ash’ari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Paani Ka Ek Pyaala Mangwaaya. Phir Apne Haatho’n Aur Chehre Aqdas Ko Us Me Dhoya Aur Usi Me Kullee Kee Phir Un Dono’n (Ya’ni Hazrat Aboo Moosa Ash’ari Aur Aboo Aamir Ash’ari) Se Farmaya : Is Me Se Pee Lo Aur Apne Chehro’n Aur Seeno’n Par Bhi Daal Lo.”

Muttafaque ‘Alayh

“Hazrat Aboo Juhaifa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Riwayat Hai Ki Meine Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Chamde Ke Ek Surkh Khaime Me Dekha Aur Hazrat Bilal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Iste’maal Shuda Paani Lete Dekha Aur Meine Logo’n Ko Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Iste’maal Shuda Paani Kee Taraf Lapakte Dekha Jise Kuchh Mil Gaya Us Ne Use Apne Oopar Mal Liya Aur Jise Is Me Se Zara Bhi Na Mila Us Ne Apne Saathi Ke Haath Se Taree Haasil Kee (Aur Apne Jism Par Mal Liya), Phir Meine Dekha Ki Hazrat Bilal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Neza Le Kar Gaad Diya To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Surkh Libaas Me Jode Ko Samet’te Hu’e Baahar Tashreef Laa’e Aur Neze Kee Taraf Munh Kar Ke Logo’n Ko Do² Rak’ate’n Padhaa’i Aur Meine Dekha Ki Neze Se Pare Aadami Aur Jaanwar Guzar Rahe Hain.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/80, Raqm-185,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/147, Raqm-369,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/187, Raqm-473,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/188, Raqm-477,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/188, Raqm-479,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/227, Raqm-607,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1304, Raqm-3373,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1573, Raqm-4073,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2186, Raqm-5449,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/83, Raqm-193,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1943, Raqm-2497,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 13/301, Raqm-301,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-565, 566, Raqm-622.]

75/623.    “Hazrat Mahmood Bin Rabee’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Yeh Wahi Buzurg Hain Jin Ke Chehre Par Jab Yeh Bachche The Un Ke Ku’e Ke Paani Se Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Kullee Farmaa’i Thi Aur Urwah Ne Hazrat Miswar Bin Makharama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Kee Jin Me Se Har Ek Apne Saathi Kee Tasdeeq Karta Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Wuzoo Farmaate To Qareeb Thaa Ki Log Wuzoo Ke Paani Par Aapas Me Lad Marte.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/81, Hadith-186,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/41, Hadith-77,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/329,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 11/221, Raqm-4876,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 05/336, Raqm-9720,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/12, Raqm-13,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 09/220,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 05/333, Raqm-6829,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 11/115, Raqm-5993,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-566, 567, Raqm-623.]

76/624.    “Hazrat Miswar Bin Makharama Aur Marwaan Se Riwayat Hai, Urwah Bin Mas’ood (Jab Baargaahe Risalat Ma’aab SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Kuffaar Ka Vakil Ban Kar Aaya To) Sahabah Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn (Ke Ma’moolate Ta’zeeme Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Ko Dekhta Raha Ki Jab Bhi Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Apna Luaabe Dahan Phainkte To Ko’i Na Ko’i Sahaabi Use Apne Haath Le Leta Thaa Jise Woh Apne Chehre Aur Badan Par Mal Leta. Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kisi Baat Ka Hukm Dete Hain To Us Kee Fauran Taameel Kee Jaati Thi. Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Wuzoo Farmaate Hain To Log Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Iste’maal Shuda Paani Ko Haasil Karne Ke Liye Ek Doosre Par Toot Padte The.  (Aur Ek Doosre Par Sabqat Le Jaane Kee Koshish Karte The Har Ek Kee Koshish Hoti Thi Ki Yeh Paani Mein Haasil Karoo’n) Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Guftagoo Farmaate Hain To Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Apni Aawaazo’n Ko Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saamne Past Rakhte The Aur Intihaa’i Ta’zeem Ke Baa’is Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Taraf Nazar Jam’a Kar Bhi Nahin Dekhte The. Us Ke Baa’d Urwah Apne Saathiyo’n Kee Taraf Laut Gaya Aur Un Se Kehne Laga : Aye Qaum!  Allah Rabbul Ijzat Kee Qasam! Mein (Bade-Bade ‘Azeemushshaan) Badshaho’n Ke Darbaaro’n Me Wafd (Numa’indo’n Kee Jam’a’at) Le Gaya Hoo’n, Mein Qaisar Wa Kisra Aur Najjaashi Jaise Badshaho’n Ke Darbaaro’n Me Haazir Huaa Hoo’n. Lekin Khuda Kee Qasam! Meine Ko’i Aisa Badshah Nahin Dekha Ki Us Ke Darbaari Us Kee Is Tarah Ta’zeem Karte Hoo’n Jaise Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ta’zeem Karte Hain.  Khuda Kee Qasam! Jab Woh Thookte Hain To Un Ka Luaabe Dahan Kisi Na Kisi Shakhs Kee Hatheli Par Hee Girta Hai, Jise Woh Apne Chehre Aur Badan Par Mal Leta Hai.  Jab Woh Ko’i Hukm Dete Hain To Fauran Un Ke Hukm Ki Ta’meel Hoti Hai, Jab Woh Wuzoo Farmaate Hain To Yoo’n Mehsoos Hone Lagta Hai Ki Log Wuzoo Ka Iste’maal Shuda Paani Haasil Karne Ke Liye Ek Doosre Ke Saath Ladne Marne Par Aamaada Ho Jaa’enge Woh Un Kee Bargah Me Apni Aawaazo’n Ko Past Rakhte Hain Aur Ta’zeeman Woh Un Kee Taraf Aankh Bhar Kar Dekh Nahin Sakte.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/974, Raqm-2581,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/329,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 11/216, Raqm-4876,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/09, Raqm-13,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 09/220,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-567, 568, Raqm-624.]

77/625.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Maqaame Jamrah Par Kankariya’n Maari’n Aur Apni Qurbaani Ka Fareeza Ada Farma Liya To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Sare Anwar Ka Daaya’n Hissa Hajjaam Ke Saamne Kar Diya, Us Ne Baal Mubarak Moonde Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Aboo Talha RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Bulaaya Aur Un Ko Woh Baal ‘Ata Farmayein, Is Ke Baa’d Hajjaam Ke Saamne (Sare Anwar Kee) Baayee’n Jaanib Kee Aur Farmaya : Yeh Bhi Moondo’n, Us Ne Udhar Ke Baal Mubarak Bhi Moond Di’e, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Woh Baal Bhi Hazrat Talha RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko ‘Ata Farma’ein Aur Farmaya : Yeh Baal Logo’n Me Taqseem Kar Do.”

رواه مسلم والترمذي وأبوداود وأحمد.

وقال الترمذي : هذا حديث حسن صحيح.

[Muslim Fi As-Sahih, 02/948, Raqm-1305,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/255, Raqm-912,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/203, Raqm-1981,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/449, Raqm-4114,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/111, Raqm-12113,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 09/191, Raqm-1743,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 04/299, Raqm-2928,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/647, Raqm-1743,

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح –

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-568, 569, Raqm-625.]

78/626.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Bayan Kiya Ki Mein Ne Dekha : Hajjaam Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sar Mubarak Kee Hajaamat Bana Raha Thaa Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke I’rd-Geerd Ghoom Rahe The Aur Un (Me Se Har Ek Kee) Yeh Koshish Thi Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Ko’i Ek Baal Mubarak Bhi Zameen Par Girne Na Paaye Balki Un Me Se Kisi Na Kisi Ke Haath Me Aa Jaaye’n.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1812, Raqm-2325,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/133, 137, Raqm-12423,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/380, Raqm-1273,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-569, 570, Raqm-626.]

79/627.    “Hazrat Ibn Seereen RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmaate Hain Ki Meine Hazrat Ubaida Se Kaha : Hamaare Paas Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Kuchh Moo-e Mubarak Hain Jinhe’n Hamne Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Ya Hazrat Anas Ke Ghar Waalo’n Se Haasil Kiya Hai. Hazrat Ubaida Ne Farmaya : Agar Un Me Se Ek Moo-e Mubarak Bhi Mere Paas Hota To Woh Mujhe Dunya Aur Jo Kuchh Is (Dunya) Me Hai Un Sab Se Kahin Ziyaada Mahboob Hota.”

[Bukhari Fi As-Sahih,  01/75, Raqm-168,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 07/67, Raqm-13188,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-570, Raqm-627.]

80/628.    “Hazrat Asma Binte Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Ghulaam Hazrat ‘Abd Allah Ek Taweel Riwayat Me Bayan Karte Hain Ki Mujhe Hazrate Asma RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Jubba Mubarak Ke Mut’allik Bataaya Aur Farmaya : Yeh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Jubba Mubarak Hai Aur Phir Unhone Ek Jubba Nikaal Kar Dikhaaya Jo Mota Dhaareedaar Kisarwaani (Kisra Ke Badshah Kee Taraf Mansoob Hai) Jubba Thaa Jis Ka Girebaan Deebaaz Ka Thaa Aur Us Ke Daamano’n Par Deebaaz Ke Sinjaaf The Hazrat Asma RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Farmaya : Yeh Mubarak Jubba Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Paas Un Kee Wafaat Tak Mahfooz Raha, Jab Un Kee Wafaat Huee To Yeh Meine Le Liya. Yahi Woh Mubarak Jubba Hai Jise Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Pahante The. To Ham Use Dho Kar Us Ka Paani Bimaaro’n Ko Pilaate Hain Aur Us Ke Zareeye Shifa Talab Kee Jaati Hai.”

[Muslim Fi As-Sahih, 03, Page-1641, Raqm-2069,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/49, Raqm-4054,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/423, Raqm-4010,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 05/141, Raqm-6108,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/230, Raqm-511,

Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 01/133, Raqm-30,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-570, 571, Raqm-628.]

81/629.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hazrat Ummi Sulaym RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Ghar Tashreef Le Jaate Aur Un Ke Bichhaune Par So Jaate Jab Ki Woh Ghar Me Nahin Hoti Thi. Ek Din Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Tashreef Laa’e Aur Un Ke Bichhaune Par So Ga’e, Woh Aa’i To Un Se Kaha Gaya : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Tumhare Ghar Me Tumhare Bichhaune Par Aaraam Farma Hain. Yeh Sun Kar Woh (Fauran) Ghar Aa’i Dekha To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Paseena Mubarak Aaya Hua Hai Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Paseena Mubarak Chamde Ke Bistar Par Jam’a Ho Gaya Hai. Hazrat Ummi Sulaym Ne Apni Botal Kholi Aur Paseena Mubarak Paunchh-Paunchh Kar Botal Me Jam’a Karne Lagee. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Achaanak Uth Baithe Aur Farmaya : Aye Ummi Sulaym! Kya Kar Rahi Ho?  Unhone ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Hum Is (Paseena Mubarak) Se Apne Bachcho’n Ke Liye Barkat Haasil Karenge (Aur Ise Bataure Khushboo Iste’maal Karenge).  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Toone Thik Kiya Hai.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1815, Raqm-2331,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/221, Raqm-1334, 1339,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-571, 572, Raqm-629.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-09 : ﴾Azamate Risaalat Aur Sharafe Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam﴿

Huzoor Nabiyye Akram ﷺ Aur Saaleheen Se Tawassul Ka Bayan

Fasl-09 :

Huzoor Nabiyye Akram Aur Saaleheen Se Tawassul Ka Bayan

82/630.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Jab Qahat Pad Jaata To ‘Umar Bin Khattaab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hazrat ‘Abbas Bin ‘Abd-il-Muttalib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Waseele Se Baarish Kee Du’aa Karte Aur ‘Arz Karte : Aye Allah! Hum Teri Bargah Me Apne Nabiyye Mukarram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Waseela Pakada Karte The To Too Hum Par Baarish Barsa Deta Thaa Aur Ab Hum Teri Bargah Me Apne Nabiyye Mukarram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Muazzaz Chahcha Jaan Ko Waseela Banaate Hain Ki Too Hum Par Baarish Barsa.  Farmaya : To Un Par Baarish Barsa Dee Jaati.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/342, Raqm-964,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1360, Raqm-3507,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 02/337, Raqm-1421,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 07/110, Raqm-2861,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/49, Raqm-2437,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 03/352, Raqm-6220,

Ibn Abi ‘Asim Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 01/270, Raqm-351,

Lalaka’i Fi Karamat Awliya’ Allah ‘‘Azza Wa Jalla, 01/135, Raqm-87,

Ibn Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab, 02/814,

Ibn Jarir At-Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa’l-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 04/433,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-573, Raqm-630.]

83/631.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Deenaar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmaate Hain Ki Meine Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Hazrat Aboo Taalib Ka Yeh She’r Padhte Suna :

وأبيض  يستسقى  الغمام   بوجهه

ثمال  اليتامى    عصمة    للأرامل

Woh Gore (Mukhade Waale SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Jin Ke Chehre Ke Tawassul Se Baarish Maangi Jaati Hai, Yateemo’n Ke Waali, Bewaao’n Ke Sahaara Hain.”

“Hazrat ‘Umar Bin Hamzah Kehte Hain Ki Hazrate Saalim (Bin ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu) Ne Apne Waalide Maajid Se Riwayat Kee Ki Kabhi Mein Shaa’ir Kee Is Baat Ko Yaad Karta Aur Kabhi Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Chehrae Aqdas Ko Takta Ki Is (Rookhe Zaiba) Ke Tawassul Se Baarish Maangi Jaati To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam (Mimbar Se) Utarne Bhi Na Paate Ke Saare Parnaale Bahne Lagte.

Madhkora Baala She’r Hazrat Aboo Taalib Ka Hai.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/342, Raqm-963,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/405, Raqm-1272,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/93, Raqm-5673, 26,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 03/352, Raqm-6218, 6219,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad,14/386, Raqm-7700,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Taghliq-ul-Ta’liq, 02/389, Raqm-1009,

Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 04/02, 471,

Mizzi Fi Tuhfat-il-Ashraf Bi-Mari’fat-il-Atraf, 05/359, Raqm-6775,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-574, Raqm-631.]

84/632.    “Hazrat ‘Uthman Bin Hunaif RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Ek Naabeena Shakhs Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Haazir Hua Aur ‘Arz Kiya ˝Ya RasoolAllah ﷺ Mere Liye Khair-o ‘Aafiyat (Ya’ni Beenaa’i Ke Laut Aane) Kee Du’aa Farma’iye Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Too Chaahe To Tere Liye Du’aa Du’aa Ko Mu’akhkhar Kar Doo’n Jo Tere Liye Behtar Hai Aur Agar Too Chaahe To Tere Liye Abhi Du’aa Kar Doo’n. Us Ne ‘Arz Kiya Aaqa ﷺ Du’aa Farma Deeji’e Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Use Achchhee Tarah Wuzoo Karne Aur Do Rak’at Namaz Padhne Ka Hukm Diya Aur Farmaya Ye Du’aa Karna  (اللهم إني أسألك وأتوجه إليك بمحمد نبي الرحمة. يا محمد، إني قد توجهت بك إلى ربي في حاجتي هذه لتقضى. اللهم فشفعه في) ˝Aye Allah Mein Tujh Se Sawaal Karta Hoo’n Aur Teri Taraf Tawajjo Karta Hoo’n Nabiyye Rahmat Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Waseele Se,  Aye Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Aap Ke Waseele Se Apne Rabb Kee Bargah Me Apni Haajat Pesh Karta Hoo’n Taaki Poori Ho, Aye Allah Mere Haqq Me Sarkare Do ‘Aalam SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Shafa’at Qubool Farma.”

رواه الترمذي والنساءي و ابن ماجه و اللفظ له.

وقال أبو عيسى :هذا حديث حسن صحيح،

وقال أبو إسحاق : هذا حديث صحيح،

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح على شرط الشيخين،

وقال الهيثمى؛  حديث صحيح،

وقال الألباني : صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/569, Raqm-3578,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/168, Raqm-10494, 10495,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/441, Raqm-1385,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 02/225, Raqm-1219,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/138, Raqm-17640, 17242,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/458, 700, 707, Raqm-1180, 1909, 1929,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/306, Raqm-508,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 09/30, Raqm-8311,

Bukhari Fi At-Tarikh-ul-Kabir, 06/209, Raqm-2192,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/147, Raqm-379,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/272, Raqm-1018,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 02/279,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-575, 576, Raqm-632.]

85/633.    “Hazrat Aboo Jauza Ows Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Ek Martaba Madinah Munawwara Ke Log Sakht Qahat Me Mubtala Ho Ga’e To Unhone Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Shikaayat Kee. Umm-ul-Mu’minin Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Farmaya : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Qabre Anwar (Ya’ni Rawzae Aqdas) Ke Paas Jaao Aur Waha’n Se Ek Khidki Aasmaan Kee Taraf Is Tarah Kholo Ki Qabre Anwar Aur Aasmaan Ke Darmiyaan Ko’i Parda Beech Me Na Rahe.  Riwayat Karne Waale Kehte Hain Ki Logo’n Ne Aisa Hee Kiya To Bohat Ziyaada Baarish Huwee Yaha’n Tak Ki Khoob Sabza Ugh Aaya Aur Oont Itne Mote Ho Ga’e Ki (Mahsoos Hota Thaa) Jaise Woh Charbee Se Phat Padenge.  Lehaaza Us Saal Ka Naam Hee ˝عام الفتق“ (Pet) Fatne Ka Saal Rakh Diya Gaya.”

[Darami Fi As-Sunan, 01/56, Raqm-92,

Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 04/400, Raqm-5950,

Ibn Jawzi Fi Al-Wafa Bi-Ahwal-il-Mustafa ﷺ ,  02/801,

Taqi-ud-Deen Subki Fi Shifa’ Al-Saqam Fi Ziyatah Khayr Al-Anam, Aw Shann Al-Gharah ‘Ala Man Ankra Al-Ziyarah, 01/128,

Qastallani Fi Al-Mawahib-ul-Ladunniyyah, 04/276,

Zarqani Fi Sharh, 11/150,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-576, Raqm-633.]

86/634.    “Hazrat Maalik Daar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Umar Bin Khattaab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Zamaane Me Log Qahat Me Mubtala Ho Ga’e Phir Ek Sahaabi Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Qabre At’har Par Haazir Hu’e Aur ‘Arz Kiya Ya RasoolAllah ﷺ Aap (Allah Ta’ala Se) Apni Ummat Ke Liye Sairaabee Maange Kyon Ki Woh (Qahat Saalee Ke Baa’is) Halaak Ho Ga’i Hai. Phir Khwaab Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Sahaabi Ke Paas Tashreef Laa’e Aur Farmaya ‘Umar Ke Paas Jaa Kar Use Mera Salam Kaho Aur Use Bataao Ke Tum Sairaab Ki’e Jaaoge Aur ‘Umar Se (Yeh Bhi) Keh Do (Deen Ke Dushman﹝Saamraajee﹞ Tumhaari Jaan Lene Ke Dar Par Hain) Aqlmandee Ikhtiyaar Karo, Aqlmandee Ikhtiyaar Karo.  Phir Woh Sahaabi Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Paas Aa’e Aur Unhe’n Khabar Dee To Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ro Pade Aur Farmaya Aye Allah Mein Kotaahi Nahin Karta Magar Yeh Ki Aajiz Ho Jaaoo’n.”

رواه ابن أبي شيبة بإسناد صحيح والبيحقي في الدﻻئل.

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/356, Raqm-32002,

Bayhaqi Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 07/47,

Ibn Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab, 03/1149,

Subki Fi Shifa’ Al-Saqam Fi Ziyatah Khayr Al-Anam, Aw Shann Al-Gharah ‘Ala Man Ankra Al-Ziyarah, 01/130,

Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 08/431, Raqm-23535,

Ibn Taymiyyah Iqtida Al-Sirat Al-Mustaqim /373

Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/167,

وقال : إسناده صحيح،

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 03/484,

وقال : رواه ابن أبى شيبة بإسناد صحيح.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-577, Raqm-634.]

87/635.    “Hazrate ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Hazrate ‘Umar Bin Khattaab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Aamarrimaada (Qahat Wa Halaakat Ke Saal) Me Hazrat Abbas Bin ‘Abd-il-Muttalib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Waseela Banaaya Aur Allah Ta’ala Se Baarish Kee Du’aa Maangi Aur ‘Arz Kiya Ki Aye Allah Yeh Tere Nabiyye Mukarram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Muazzaz Chahcha Hazrat ‘Abbas Hain Ham In Ke Waseele Se Teri Nazare Karam Ke Talabgaar Hain Hame’n Paani Se Seraab Kar De” Woh Du’aa Kar Hee Rahe The Ki Allah Ta’ala Ne Unhe’n Paani Se Seraab Kar Diya.  Riwayat Karne Waale Ne Bayan Kiya Ki Phir Hazrate ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Logo’n Se Khitaab Farmaya : Aye Logo’n! Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hazrat ‘Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Waisa Hee Samajhte The Jaise Beta Baap Ko Samajhta Hai (Ya’ni Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hazrate ‘Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bamanzile Waalid Samajhte The)  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Un Kee Taazeemo Tauqeer Karte Aur Un Kee Qasmo’n Ko Poora Karte The. Aye Logo’n Tum Bhi Hazrate ‘Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Baare Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Pairwi Karo Aur Inhe’n Allah Ta’ala Kee Bargah Me Waseela Banaao (Taaki Woh Tum Par Baarish Barsaaye)”

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/377, Raqm-5438,

Ibn Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab, 03/98,

Suyooti Fi Al-Jami-us-Saghiru Min Hadith-il-Bashir-in-Nadhir, 01/305, Raqm-559,

Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 02/92,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 02/497,

Qastallani Fi Al-Mawahib-ul-Ladunniyyah, 04/277,

Subki Fi Shifa’ Al-Saqam Fi Ziyatah Khayr Al-Anam, Aw Shann Al-Gharah ‘Ala Man Ankra Al-Ziyarah/128

Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 09/348,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 05/215,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-577, 578, Raqm-635.]

88/636.    “Hazrate Mus’ab Bin Saa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki (Ek Martaba) Hazrate Saa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Dil Me Khayaal Aaya Ki Inhe’n Un Logo’n Par Fazeelat Hai Jo Maali Lihaaz Se Kamzor Hain To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yaad Rakho Tumhare Kamzor Aur Za’if Logo’n Ke Waseele Se Hee Tumhe’n Nusrat ‘Ata Kee Jaati Hai Aur Un Ke Waseele Se Hee Tumhe’n Rizq Diya Jaata Hai.”

رواه البخاري والترمذي.

Aur Ek Riwayat Me Hazrate Aboo Darda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Meine Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna : Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mujhe Apne Kamzor Logo’n Me Talaash Karo Be Shak Tumhe’n Apne Kamzor Logo’n Kee Wajah Se Hee Rizq Diya Jaata Hai Aur Un Hee Kee Wajah Se Tumhaari Madad Kee Jaati Hai.”

رواه الترمذي وأبوداود والنسائى.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح.

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1061, Raqm-2739,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/206, Raqm-1702,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/32, Raqm-2594,

Nasa’i Fi As-Sunan, 06/45, Raqm-3179,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 03/30, Raqm-4388,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/198, Raqm-21779,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 11/85, Raqm-4767,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/116, 157, Raqm-2509, 2641,

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد،

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 03/345, Raqm-6181

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/331, Raqm-12684,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/71, Raqm-4842, 4843,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-578, 579, Raqm-636.]

89/637.    “Hazrat ‘Umar Bin Khattaab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Se Laghzish Sarzad Huwee To Unhone Apna Sar Aasmaan Kee Taraf Uthaaya Aur ‘Arz Guzaar Hu’e (Ya Allah) Agar Too Ne Mujhe Maaf Nahin Kiya Hai To Mein (Tere Mahboob) Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Waseele Se Tujh Se Sawaal Karta Hoo’n (Ki Mujhe Too Maaf Farma De) To Allah Ta’ala Ne Wahyi Naazil Farmaa’i Muhammad Mustafa Kaun Hai? Pas Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Ne ‘Arz Kiya (Aye Maula) Tera Naame Paak Hai Jab Toone Mujhe Paida Kiya To Meine Apna Sar Tere Arsh Kee Taraf Uthaaya Waha’n Mein Ne لا اله الا الله محمد رسول الله Likha Huwaa Dekha Lehaaza Mein Jaan Gaya Ki Yeh Zaroor Badi Hastee Hain Jis Ka Naam Toone Apne Naam Ke Saath Milaaya Hai Pas Allah Ta’ala Ne Wahyi Naazil Farmaa’i Aye Aadam! Woh (Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Teri Nasl Me Se Hee Aakhiree Nabi Hain Aur Un Kee Ummat Me Bhi Teri Nasl Kee Aakhiree Ummat Hogi Aur Agar Woh Na Hote To Mein Tujhe Bhi Paida Na Karta.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/182, Raqm-992,

Tabarani Fi Al-Muajam-ul-Awsat, 06/313, Raqm-6502,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/253,

Suyooti Fi Jaame’-ul-Ahadith, 11/94,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-579, 580, Raqm-637.]

90/638.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Tum Me Se Kisi Kee Sawaari Jungal Bayaabaan Me Chhoot Jaa’e To Us (Shakhs) Ko (Yeh) Pukaarna Chaahie ‘Aye Allah Ke Bando’n!  Meri Sawaari Pakada Do, Aye Allah Ke Bando’n! Meri Sawaari Pakada Do’  Kyon Ki Allah Ta’ala Ke Bohat Se (Aise) Bande Is Zameen Me Hote Hain Woh Tumhe’n (Tumhaari Sawaari) Pakada Denge.”

“Aur Ek Riwayat Me Hai Hazrate Ataba Bin Gazwaan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Tum Me Se Kisi Kee Ko’i Shai Gum Ho Jaa’e Ya Woh Ko’i Madad Chaahe Aur Woh Aisi Jagah Ho Ki Jaha’n Us Ka Ko’i Madadgaar Bhi Na Ho To Use Chaahie Ki Kahe : Aye Allah Ke Bando’n! Meri Madad Karo,  Aye Allah Ke Bando’n! Meri Madad Karo.  Yaqeenan Allah Ta’ala Ke Aise Bhi Bande Hain Jinhe’n Ham Dekh To Nahin Sakte (Lekin Woh Logo’n Kee Madad Karne Ke Liye Muqarrar Ki’e Ga’e Hain) Aur Yeh Tajreba Shuda Baat Hai.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/217, Raqm-10518,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 17/117, Raqm-290,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 09/177, Raqm-5269,

Daylami Musnad-ul-Firdaws, 01/330, Raqm-1311,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/132,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-580, 581, Raqm-638.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-09 : ﴾Azamate Risaalat Aur Sharafe Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam﴿

Ka’enaat Me Huzoor ﷺ Kee Misl Naa Hone Ka Bayan

Fasl-10 :

Ka’enaat Me Huzoor Kee Misl Naa Hone Ka Bayan

91/639.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Saume Wisaal (Ya’ni Sahree Wa Iftaari Ke Baghair Musalsal Roze Rakhne) Se Mana Farmaya.
Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ!  Aap To Wisaal Ke Roze Rakhte Hain Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Hargiz Tumhaari Misl Nahin Hoo’n Mujhe To (Apne Rabb Ke Haa’n) Khilaaya Aur Pilaaya Jaata Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/693, Raqm-1861,

Muslim Fi As-Sahih, 02/774, Raqm-1102,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/306, Raqm-2360,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/241, Raqm-3263,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/300, Raqm-667,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/102, Raqm-5795,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 08/341, Raqm-3575,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/330, Raqm-9587,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 04/268, Raqm-7755,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/282, Raqm-8157,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-582, Raqm-639.]

92/640.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ko Saume Wisaal Se Mana Farmaya To Baa’z Sahaba Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ!  Aap Khud To Saume Wisaal Rakhte Hain Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Me Se Kaun Meri Misl Ho Sakta Hai Mein To Is Haal Me Raat Basar Karta Hoo’n Ki Mera Rabb Mujhe Khilaata Bhi Hai Aur Pilaata Bhi Hai.”

Muttafaque

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2512, Raqm-6459,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2646, Raqm-6815,

Muslim Fi As-Sahih, 02/774, Raqm-1103,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/242, Raqm-3264,

Darami Fi As-Sunan, 02/15, Raqm-1706,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/68, Raqm-1274,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-582, 583, Raqm-640.]

93/641.    “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Logo’n Par Shafqat Ke Baa’is Unhe’n Wisaal Ke Roze Rakhne Se Mana Farmaya To Sahaba-e Kiram Ne ‘Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ ) Aap To Wisaal Ke Roze Rakhte Hain Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Tum Jaisa Nahin Hoo’n Mujhe To Mera Rabb Khilaata Bhi Hai Aur Pilaata Bhi Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/693, Raqm-1863,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2645, Raqm-6815,

Muslim Fi As-Sahih, 02/776, Raqm-1105,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/153, Raqm-6413,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/286, Raqm-8161,

Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 02/168, Raqm-669,

Aboo Mahasin Fi Mu’tasar Al-Mukhtasar, 01/150,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/437,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-583, Raqm-641.]

94/642.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Maheene Ke Aakhir Me Sahree, Iftaari Ke Baghair Musalsal Roze Rakhne Shuroo Kar Di’e To Baa’z Deegar Logo’n Ne Bhi Wisaal Ke Roze Rakkhe Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Tak Jab Yeh Baat Pahonchi To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Yeh Ramzan Ka Maheena Mere Liye Aur Lamba Ho Jaata To Mein Ziyaada Wisaal Ke Roze Rakhta Taaki Meri Baraabari Karne Waale Meri Baraabari Karna Chhod Dete, Mein Qat’an Tumhaari Misl Nahin Hoo’n Mujhe To Mera Rabb (Apne Haa’n) Khilaata Bhi Hai Aur Pilaata Bhi Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2645, Raqm-6814,

Muslim Fi As-Sahih, 02/776, Raqm-1104,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/124, Raqm-12270, 13035, 13092, 13681,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 14/325, Raqm-6414,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/330, Raqm-9585,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 06/36, Raqm-3282, 3501,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/282, Raqm-8160,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/400, Raqm-1353,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-584, Raqm-642.]

95/643.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Rukoo’ Aur Sujood Ko Achchhi Tarah Se Ada Kiya Karo Allah Kee Qasam Bila Shak-Wa-Shub’ha Me Mein Apni Pusht Ke Peechhe Se Bhi Tumhaare Rukoo’ Aur Sujood Ko Dekhta Hoo’n Aur Hazrat Sa’iyd Ke Alfaaz Me Hai Ki Mein Tumhe’n Rukoo’ Aur Sajde Kee Haalat Me Bhi Dekhta Hoo’n.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2449, Raqm-6268,

Muslim Fi As-Sahih, 01/320, Raqm-425,

Nasa’i Fi As-Sunan, 02/216, Raqm-1117,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/235, Raqm-704,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/115, Raqm-12169,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 05/341, Raqm-2971,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/354, Raqm-1170,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-584, 585, Raqm-643.]

96/644.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Tum Yahi Dekhte Ho Ki Mera Munh Udhar Hai Allah Kee Qasam Mujh Se Tumhaare (Dilo’n Kee Haalat Aur Un Ka) Khushooa-Wa-Khuzooa Pausheeda Hai Na Tumhaare (Zaahiree Haalat Ke) Rukoo’, Mein Tumhe’n Apni Pusht Peechhe Se Bhi (Usee Tarah) Dekhta Hoo’n (Jaise Apne Saamne Se Dekhta Hoo’n).”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/161, Raqm-408,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/259, Raqm-708,

Muslim Fi As-Sahih, 01/259, Raqm-424,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/303, 365, 375, Raqm-8011, 8756, 8864,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-585, Raqm-644.]

97/645.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ek Din Hame’n Jam’a’at Karaane Ke Baa’d Rookhe-Anwar Phera, Phir Ek Shakhs Kee Taraf Mutawajjah Ho Kar Farmaya : Aye Shakhs Tum Ne Namaz Achchhi Tarah Kyoo’n Nahin Ada Kee? Kya Namazi Namaz Ada Karte Waqt Yeh Gaur Nahin Karta Ki Woh Kis Tarah Namaz Padh Raha Hai. Woh Mahz Apne Liye Namaz Padhta Hai Khuda Kee Qasam Mein Tumhe’n Apni Pusht Peechhe Bhi Aise Hee Dekhta Hoo’n Jaisa Ki Saamne Se Dekhta Hoo’n.”

[Muslim Fi As-Sahih, 01/319, Raqm-423,

Nasa’i Fi As-Sunan, 02/118, Raqm-872,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/303, Raqm-944,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 02/105,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/290, Raqm-3398,

Bayhaqi Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/495, Raqm-878,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/134, Raqm-3113,

Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib, 01/202, Raqm-768,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-585, 586, Raqm-645.]

98/646.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Bayan Kiya Ki Ek Martaba Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hame’n Namaze Zuhar Padhaayi, Aakhiree Safo’n Me Ek Shakhs Thaa Jis Ne Apni Namaz Kharaab Kar Dee. Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Salam Phera To Use Pukaara Aye Fula’n Too Allah Se Nahin Darta? Kya Too Nahin Dekhta Ki Too Kis Tarah Namaz Padh Raha Hai? Tum Yeh Samajhte Ho Jo Tum Karte Ho Us Me Se Mujh Par Kuchh Pausheeda Rah Jaata Hai? Allah Kee Qasam Mein Apni Pusht Peechhe Se Bhi Isee Tarah Dekhta Hoo’n Jis Tarah Apne Saamne Dekhta Hoo’n.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/449, Raqm-9795,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 01/332, Raqm-664,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 02/226,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-586, 587 Raqm-646.]

99/647.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Sab Se Pehla Shakhs Hoo’n Jis Kee Zameen (Ya’ni Qabr) Shaq Hogi, Phir Mujhe Hee Jannat Ke Jodo’n Me Se Ek Joda Pehnaaya Jaa’ega Phir Mein Arsh Kee Daayi’n Taraf (Maqaame Mahmood Par) Khada Hoonga, Us Maqaam Par Makhlooq Me Mere Siwa Ko’i Nahin Khada Hoga.”

رواه الترمزي.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/585, Raqm-3611,

Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 07/922,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 03/41,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-587, Raqm-647.]