Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-10 : ﴾Jaame’ Manaqib Ka Bayaan﴿

Huzoor ﷺ Ke Ahle Bayt Aur Qarabatdaro’n Ke Manaqib Ka Bayan

Fasl-01 :

Huzoor Ke Ahle Bayt Aur Qarabatdaron Ke Manaqib Ka Bayan

01/663.    “Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Ek Din Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hame’n Khutba Dene Ke Liye Makkah Aur Madinah Munawwara Ke Darmiyan Us Taalaab Par Khade Hu’e Jise Khum Kehte Hain.  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Allah Ta’ala Kee Hamd-o Thana Aur Waa’zo Naseehat Ke Baa’d Farmaya : Aye Logo! Mein To Bas Ek Aadami Hoo’n, ‘Anqareeb Mere Rabb Ka Paighaam Laane Waala Firishta (Ya’ni Firishta-e Azal) Mere Paas Aa’ega Aur Mein Use Labbaik Karunga. Mein Tum Me Do² ‘Azeem Cheeze’n Chhode Ja Raha Hoo’n Un Me Se Pehli Allah Ta’ala Kee Kitab Hai Jis  Me Hidaayat Aur Noor Hai. Allah Ta’ala Kee Kitab Par ‘Amal Karo Aur Use Mazbooti Se Thaam Lo. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Kitabullah (Kee Taalimaat Par ‘Amal Karne) Kee Targheeb Dee Aur Us Kee Taraf Raaghib Kiya Phir Farmaya : Aur (Doosre) Mere Ahle Bayt Hain. Mein Tumhe’n Apne Ahle Bayt Ke Muta’alliq Allah Kee Yaad Dilaata Hoo’n.  Mein Tumhe’n Apne Ahle Bayt Ke Muta’alliq Allah Kee Yaad Dilaata Hoo’n. Mein Tumhe’n Apne Ahle Bayt Ke Muta’alliq Allah Kee Yaad Dilaata Hoo’n.”

[Muslim Fi As-Sahih, 03/1873, Raqm-2408,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/366, Raqm-19265,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/145, Raqm-123,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 04/62, Raqm-2357,

Lalaka’i Fi I’tiqad Ahl As-Sunnah,, 01/79, Raqm-88,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/148, Raqm-2679,

Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 03/487,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-605, 606, Raqm-663.]

02/664.    “Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Tum Me Aisee Do² Cheeze’n Chhode Ja Raha Hoo’n Ki Agar Tum Ne Unhe’n Mazbooti Se Thaame Rakkha To Mere Baa’d Hargiz Gumraah Na Honge Un Me Se Ek Doosri Se Badi Hai Allah Ta’ala Kee Kitab Aasmaan Se Zameen Tak Latki Hu’i Rassi Hai Aur Aur Meri Itarat Ya’ni Ahle Bayt Aur Yeh  Dono’n Hargiz Juda Na Ho’n Gee, Yaha’n Tak Ki Dono’n Mere Paas (Ikat’the) Hawze Kawsar Par Aayegi. Pas Dekho Ke Tum Mere Baa’d Un Se Kya Sulook Karte Ho?”

رواه الترمزي وحسنه والنساءى وأحمد.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/663, Raqm-3788, 3786,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/45, Raqm-8148, 8464,Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/14, 26,59, Raqm-11119, 11227, 11578,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/118, Raqm-4546,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/303, Raqm-10267, 1140,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/374, Raqm-3439,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/226, Raqm-323,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/65, Raqm-2678,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/133, Raqm-30081,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/644, Raqm-1553,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-606, Raqm-664.]

03/665.    “Hazrat Jaabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Farmate Hai Ki Mein Ne Suna Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farma Rahe They : Aye Logo’n! Mein Tumhaare Darmiyan Aisee Cheeze’n Chhod Raha Hoo’n Ki Agar Tum Inhe’n Pakde Rakkhoge To Hargiz Gumraah Na Honge (Un Me Se Ek) Allah Kee Kitab Aur (Doosri) Mere Ahle Bayt Hain.”

رواه الترمذي وحسنه والطبراني.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/662, Raqm-3786,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/89, Raqm-4757,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/66, Raqm-2680,

Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 04/114,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-606, 607, Raqm-665.]

04/666.    “Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Bayan Karti Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Sub’h Ke Waqt Ek Ooni Munaqqash Chaadar Odhe Hu’e Baahar Tashreef Laa’e To Aap Ke Paas Hazrat Hasan Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aa’e To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Unhe’n Us Chaadar Me Daakhil Kar Liya Phir Hazrat Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aa’e Aur Woh Bhi Un Ke Humraah Chaadar Me Daakhil Ho Ga’e Phir Sayyidah Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Aa’i’n Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Unhe’n Bhi Us Chaadar Me Daakhil Kar Liya. Phir Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aa’e To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Unhe’n Bhi Chaadar Me Le Liya Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yeh Aayate Mubaraka Padhi : ˝Ahle Bayt!  Tum Se Har Qism Ke Gunaaah Ka Mail (Aur Shako-Nuqs Kee Gard Tak) Door Kar De Aur Tumhe’n (Kaamil) Tahaarat Se Nawaaz Kar Bilkul Paak Saaf Kar De. ˝[Al-Ahzab, 33 : 33]”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1883, 2424,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/370, Raqm-32102,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/159, Raqm-4707, 4709,

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح،

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/149, Raqm-2680,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-607, 608, Raqm-666.]

05/667.    “Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Parwarda Hazrat ‘Umar Bin Aboo Salma RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hai Ki Jab Umm-ul-Mu’minin Ummi Salmah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Ghar Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Yeh Aayat ˝Pas Allah Yahi Chaahta Hai Ki (Rasool Allah ﷺ Ke) Ahle Bayt Tum Se Har Qism Ke Gunaaah Ka Mail (Aur Shako-Nuqs Kee Gard Tak) Door Kar De Aur Tumhe’n (Kaamil) Tahaarat Se Nawaaz Kar Bilkul Paak Saaf Kar De˝[Al-Ahzab, 33 : 33]  Naazil Hu’i To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Sayyidah Fatimah Aur Hasnain Kareemain سﻻم الله عليهم Ko Bulaaya Aur Unhe’n Ek Kamlee Me Dhaanp Liya Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Peechhe They.  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Unhe’n Bhi Kamlee Me Dhaanp Liya Phir Farmaya : ˝Aye Allah!  Yeh Mere Ahle Bayt Hain Pas In Se Har Qism Kee Aaloodagee Door Farma Aur Inhe’n Khoob Paak-o Saaf Kar De.  Sayyidah Umme Salama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne ‘Arz Kiya : Aye Allah Ke Nabi ﷺ!  Mein (Bhi) In Ke Saath Hoo’n. Farmaya Tum Apni Jagah Raho Aur Tum To Behtar Maqam Par Fa’iz Ho.”

رواه الترمذي والطبراني.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/351, Raqm-3205,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/699, Raqm-3871,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/134, Raqm-3799,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-608, Raqm-667.]

06/668.    “Hazrat Sa’iyd Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Jab Aayate Mubaahila Naazil Hu’i : ˝Aap Farma De’n Ki Aa Jaao Hum (Mil Kar) Apne Beto’n Ko Aur Tumhaare Beto’n Ko Aur Apni Aurto’n Ko Aur Tumhari Aurto’n Ko Aur Apne Aap Ko Bhi Aur Tumhe’n Bhi (Ek Jagah Par) Bula Lete Hain.˝[Al-Imran, 03 : 61] To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Husayn عليهم السلام  Ko Bulaaya Phir Farmaya : Ya Allah!  Yeh Mere Ahle Bayt Hain.”

رواه مسلم والترمذي وأحمد والنساءى.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1871, Raqm-2404,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/225, Raqm-2999,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/638, Raqm-3764,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/185, Raqm-1608,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/107, Raqm-8399,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/163, Raqm-4719,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 07/63, Raqm-13169, 13170,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-609, Raqm-668.]

07/669.    “Hazrat ‘Abbas Bin ‘Abd-il-Muttalib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Mein Ne Bargahe Risalat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Quraish Jab Aapas Me Milte Hain To Haseen Muskuraate Chehro’n Se Milte Hain Aur Jab Hum Se Milte Hai To (Jazbaat Se Aari) Aise Aise Chehro’n Ke Saath Milte Hai Jinhe’n Hum Nahin Jaante.  Hazrat ‘Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Yeh Sun Kar Shadeed Jalaal Me Aa Ga’e Aur Farmaya : Us Zaat Kee Qasam Jis Ke Qabza-e Qudrat Me Meri Jaan Hai Kisi Bhi Shakhs Ke Dil Me Us Waqt Tak Imaan Daakhil Nahin Ho Sakta, Jab Tak Allah Ta’ala Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Meri Qaraabat Kee Khaatir Tum Se Mahabbat Na Kare.”

Ek Aur Riwayat Me Hai Ki Farmaya : Khuda Ki Qasam Kisi Shakhs Ke Dil Me Us Waqt Tak Imaan Daakhil Na Hoga Jab Tak Allah Ta’ala, Us Ke Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Meri Qaraabat Kee Wajah Se Tum Se Mahabbat Na Kare.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/207, Raqm-1772, 1777, 17656, 17657, 17658,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/376, Raqm-5433, 2960,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/51, Raqm-8176,

Bazzar Fi Al-Musnad, 06/131, Raqm-2175,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/188, Raqm-1501,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/361, Raqm-7037,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-609, 610, Raqm-669.]

08/670.    “Hazrat ‘Abbas Bin ‘Abd-il-Muttalib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Anhuma Bayan Karte Hai Ki Hum Jab Quraish Kee Jam’a’at Se Milte Aur Woh Baaham Guftagoo Kar Rahe Hote To Guftagoo Rok Dete. Hum Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Is Baat Kee Shikaayat Kee To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Logo’n Ko Kya Ho Gaya Hai Jab Mere Ahle Bayt Se Kisi Ko Dete Hain To Guftagoo Rok Dete Hai? Allah Rabb-ul-Izzat Ki Qasam!  Kisi Shakhs Ke Dil Me Us Waqt Tak Iman Daakhil Nahin Hoga Jab Tak In (Ya’ni Mere Ahle Bayt) Se Allah Ta’ala Ke Liye Aur Meri Qaraabat Kee Wajah Se Mahabbat Na Kare.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/50, Raqm-140,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/85, Raqm-6960,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,08/382, Raqm-472,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/113, Raqm-6350,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-610, 611, Raqm-670.]

09/671.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mere Ahle Bayt Kee Misaal Hazrat Nooh ‘Alayh-is-Salam Kee Kashtee Kee Tarah Hai Jo Us Me Sawaar Ho Gaya Woh Nijaat Paas Gaya Aur Jo Us Se Peechhe Rah Gaya Woh Gark Ho Gaya.”

“Aur Ek Riwayat Me Hazrat ‘Abd Allah Bin Zubair RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Farmaya : Jo Us Me Sawaar Hua Woh Salaamati Pa Gaya Aur Jis Ne Use Chhod Diya Woh Gark Ho Gaya.”

[Tabarani Al-Mu’jam-ul-Kabir 12/34, Raqm-2388, 2638, 2638, 2636,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/10, Raqm-3478,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/355, Raqm-5536,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/85, Raqm-5870,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/240, Raqm-391,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/84, Raqm-825,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/163, Raqm-4720,

Bazzar Fi Al-Musnad, 09/343, Raqm-3900,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/238, Raqm-912,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-611, Raqm-671.]

10/672.    “Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmate : Qiyaamat Ke Din Mere Hasubo Nasab Ke Siwaye Har Silsila-e Nasab Munqata’ Ho Jaa’ega.”

رواه عبد الرازق والحاكم واللفظ له والطبراني وإسناده حسن.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/153, Raqm-4684,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/44, Raqm-2633, 2634,  2635,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/376, Raqm-5606,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 06/163, Raqm-10354,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 07/63, Raqm-13171,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,01/197, Raqm-101,

وقال : إسناده حسن،

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 03/255, Raqm-4755,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/173,

وقال : إسناده حسن.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-612, Raqm-672.]

11/673.    “Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Har Maa Ke Beto’n Ka Aabaa’i Khaandaan Hota Hai Jis Kee Taraf Woh Mansoob Hote Hain Siwaaye Fatimah Ke Beto’n Ke, Pas Mein Hee Un Ka Waali Hoo’n Aur Mein Hee Un Ka Nasab Hoo’n.”

رواه الحاكم وأبو يعلى.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/179, Raqm-4770,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/109, Raqm-6741,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/44, Raqm-2631, 2632,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-612, Raqm-673.]

12/674.    “Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Yeh Suna : ˝Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmate : Har Aurat Kee Aulaad Ka Nasab Apni Baap Kee Taraf Hota Hai Siwaaye Awlaade Fatimah Ke, Kyun Ke Mein Hee Un Ka Nasab Aur Mein Hee Un Ka Baap Hoo’n.”

[Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 03/234, Raqm-4787,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 04/224,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-612, 613, Raqm-674.]

13/675.    “Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yaqeenan Allah Ta’ala Ne Har Nabi Kee Aulaad Us Kee Sulb  Me Rakhi Aur Be Shak Allah Ta’ala Ne Meri Aulaad ‘Ali Ibn Abi Talib Ke Sulb Me Rakhi Hai.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/43, Raqm-2630,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/172, Raqm-643,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/172,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 02/223,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-613, Raqm-675.]

14/676.    “Hazrat Aboo Mas’ood Ansari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Namaz Padhi Aur Mujh Par Aur Mere Ahle Bayt Par Durood Na Padha Us Kee Namaz Qubool Na Hogi.  Hazrat Aboo Mas’ood Ansari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain : Agar Mein Namaz Padhoo’n Aur Us Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood Na Padhoo’n To Mein Nahin Samajhta Ki Meri Namaz Kaamil Hogi.”

[Daraqutni Fi As-Sunan, 01/355, Raqm-06,07,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/530, Raqm-3929,

Ibn Jawzi Fi At-Tahqiq Fi Ahadith Al-Khilaf,  01/402, Raqm-544,

Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 02/322,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-613, 614, Raqm-676.]

15/677.    “Hazrat Huzayfa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ek Firishta Jo Is Raat Se Pehle Kabhi Zameen Par Na Utara Tha Us Ne Apne Parwardigar Se Ijaazat Maangi Ke Mujhe Salam Kare Aur Mujhe Yeh Khushkhabri De’n Ki Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ahle Jannat Kee Tamam Aurto’n Kee Sardar Hain Aur Hasan Wa Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Jannat Ke Tamam Jawaano’n Ke Sardar Hain.”

رواه الترمذي والنساءي وأحمد.

وقال الترمذي : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/660, Raqm-3781,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 80,95, Raqm-8298, 8365,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/58, 76, Raqm-193, 260,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/391, Raqm-23329,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/788, Raqm-1406,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/388, Raqm-32271,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/164, Raqm-4721, 4722,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/402, Raqm-1005,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 04/190,

Bayhaqi Fi Al-I’tiqad : 328,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-614, Raqm-677.]

16/678.    “Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Bayan Karte Hai Ki Woh Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargahe Aqdas Me Haazir Hu’e Us Waqt Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Chaadar Bichhaa’i Hu’i Thi Pas Us Par Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam (Ba Nafse Nafees) Hazrat ‘Ali,  Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Husayn عليهم السلام  Bayth Ga’e Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Chaadar Ke Kinaare Pakde Aur Un Par Daal Kar Us Me Girah Laga Dee Phir Farmaya : Aye Allah!  Too Bhi In Se Raazi Ho Ja.  Jis Tarah Mein In Se Raazi Hoo’n.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/348, Raqm-5514,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/169,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-614, 615, Raqm-678.]

17/679.    “Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hai Ki Woh RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Sahabzadi Sayyidah Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Yaha’n Ga’e Aur Kaha : Aye Fatimah! Khuda Kee Qasam Mein Ne Aap Ke Siwaaye Kisi Shakhs Ko Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Najdeek Mehboob Tar Nahin Dekha Aur Khuda Kee Qasam! Logo’n Me Se Mujhe Bhi Aap Ke Waalid Mohtaram Ke Baa’d Aap Se Ziyaada Mahboob Nahin.”

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/167, Raqm-4736,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/432, Raqm-37045,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad,  01/364,

Ibn Abi ‘Asim Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 05/360, Raqm-2952,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 04/401,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-615, Raqm-679.]

18/680.    “Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Farmate Hai Ki Hazrat Hasan ‘Alayh-is-Salam Seene Se Sar Tak Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Misl Hain Aur Hazrat Husayn ‘Alayh-is-Salam Seene Se Neeche Tak Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Misl Hain.”

رواه الترمذي وأحمد وابن حبان.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/660, Raqm-3779,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/99, Raqm-774, 754,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/430, Raqm-6974,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/91, Raqm-130,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,02/394, Raqm-780,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-615, 616, Raqm-680.]

19/681.    “Hazrat Shu’bah Bin Kuhayl Se Riwayat Karte Hai Ki Mein Ne Aboo Tufail Se Suna Ki Aboo Sareeha….. Ya Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma…. (Hazrat Shu’bah Ko Raawi Ke Muta’alliq Shak Hai) Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai. Hazrat Shu’bah Ne Is Hadith Ko Maymoon Aboo ‘Abd Allah Se, Unhone Zayd Bin Arqam Se Aur Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Kiya.”

رواه الترمذي.

وقال هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/633,Raqm-3713,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/195, 204, Raqm-5071, 5096.

روي هذا الحديث عن حبشى بن جنادة في الكتب الآتية:

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/134, Raqm-3652,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/78, Raqm-12593,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 12/343,

Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 45/77, 144,

Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/451,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/108.

روي هذا الحديث عن جابر بن عبد الله رضي الله عنها في الكتب الآتية:

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah : 602, Raqm-1355,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/366, Raqm-32072.

وقد روي هذا الحديث عن أيوب الأنصاري في الكتب الآتية:

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah : 602, Raqm-1354,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir,. 04/173, Raqm-4052,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/229, Raqm-348.

روي هذا الحديث عن بريدة في الكتب الآتية:

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 11/225, Raqm-20388,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/71,

Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 45/143.

روي هذا الحديث عن بريدة في الكتب الآتية:

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah : 601, Raqm-1353,

Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 45/146,

Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/457,

Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 11/602, Raqm-32904.

روي هذا الحديث عن مالك بن حويرث في الكتب الآتية:

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 19/252, Raqm-646,

Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 45/177,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/106,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-616, 617, Raqm-681.]

20/682.    “Hazrat Jumay’a Bin ‘Umar Taymi Bayan Karte Hai Ki Mein Apni Phoophi Ke Humraah Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ki Khidmat Me Haazir Hua. Sayyidah Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Poochha Gaya Ki Logo’n Me Se Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Haa’n Kaun Ziyaada Nazdeek Tha?  Umm-ul-Mu’minin RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Farmaya : Fatimah (سﻻم الله عليها), ‘Arz Kiya Gaya : Mardo’n Me Se (Kaun Ziyaada Mehboob Tha) Farmaya : Un Ke Shauhar Aur Jaha’n Tak Mein Jaanti Hoo’n Woh Bohat Ziyaada Roze Rakhne Waale Aur Raato’n Ko ‘Ibadat Ke Liye Bohat Qiyam Kar Ne Waale They.”

رواه الترمزي وأبو يعلى والحاكم.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/701, Raqm-3874,

Aboo Ya’la Fi Al-Mu’jam, 01/128, Raqm-235,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/171, Raqm-4744,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/403,  404, Raqm-1008, 1009,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-617, Raqm-682.]

21/683 .   “Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Se Farmaya : Tum Jis Se Ladoge Mein Us Ke Saath Haalate Jung Me Hoo’n Aur Jis Se Tum Sulh Karne Waale Ho Mein Bhi Us Se Sulh Karne Waala Hoo’n.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/699, Raqm-3870,

Ibn Majah As-Sunan 01/52, Raqm-145,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/161, Raqm-4714,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/182, Raqm-5015,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/40, Raqm-2620,

Saydawi Fi Mu’jam Al-Shuyookh, 01/133, Raqm-85,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-618, Raqm-683.]

22/684.    “Hazrat ‘Abd-ir-Rahman Bin Aboo Layla RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Apne Waalid Se Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ko’i Banda Us Waqt Tak Momin Nahin Ho Sakta Jab Tak Ki Mein Us Ke Nazdeek Us Kee Jaan Se Bhi Mehboob Tar Na Ho Jaaoo’n Aur Mere Ahle Bayt Use Us Ke Ahle Khaana Se Mehboob Tar Na Ho Jaa’e’n Aur Meri Aulaad Use Apni Aulaad Se Badhkar Mehboob Na Ho Jaa’e Aur Meri Zaat Use Apne Jaat Se Mahboob Tar Na Ho Jaa’e.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 07/75, Raqm-6416,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/59, Raqm-5790,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/189, Raqm-1505,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/154, Raqm-7795,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/88,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-618, Raqm-684.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-10 : ﴾Jaame’ Manaqib Ka Bayaan﴿

Khulafa-e Rashideen Aur Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ke Manaqib Ka Bayan

Fasl-02 :

Khulafa-e Rashideen Aur Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ke Manaqib Ka Bayan

23/685.    “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mere Sahaba Ko Bura Mat Kaho, Agar Tum Me Se Ko’i Uhad Pahaad Ke Baraabar Bhi Sona Kharch Kar De To Phir Bhi Woh Un Ke Ser Bhar Ya Us Se Aadhe Ke Baraabar Bhi Nahin Pahonch Sakta.”

Ise Bukhari Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imame Muslim Ne Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se In Alfaz Ke Izaafe Ke Saath Riwayat Kiya Hai : “Mere Sahaba Ko Bura Mat Kaho, Mere Sahaba Ko Bura Mat Kaho (Do² Martaba Farmaya) Qasam Hai Us Zaat Kee Jis Ke Qabza-e Qudrat Me Meri Jaan Hai Phir Usee Tarah Poori Hadith Bayan Kee.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1343, Raqm-3470,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1967, Raqm-2540,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/695, Raqm-3861,

وقال : هذا حديث حسن صحيح،

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/214, Raqm-4658,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/57, Raqm-161,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/84, Raqm-8308,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/11, Raqm-11094, 11534, 11535, 11626,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 16/238, Raqm-7253,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/342, Raqm-1087,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/404, Raqm-32404,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/212, Raqm-687,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-619, 620, Raqm-685.]

24/686.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mughaffal Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : ˝Mere Sahaba Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ke Baare Me Allah Ta’ala Se Daro, Allah Se Daro Aur Mere Baa’d Inhe’n Tanqeed Ka Nishaana Na Banaana, Kyun Ke Jis Ne In Se Mahabbat Kee Us Ne Meri Wajah Se Un Se Mahabbat Kee Aur Jis Ne Un Se Bughz Rakkha Us Ne Mere Bughz Kee Wajah Se Un Se Bughz Rakkha Aur Jis Ne Unhe’n Takleef Pahonchaa’i Us Ne Mujhe Takleef Pahonchaa’i Aur Jis Ne Mujhe Takleef Pahonchaa’i Us Ne Allah Ta’ala Ko Takleef Pahonchaa’i Aur Jis Ne Allah Ta’ala Ko Takleef Pahonchaa’i Anqareeb Allah Ta’ala Use Pakdega.”

رواه الترمذي وأحمد وابن أبي عاصم.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/696, Raqm-3862,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/54, 57, Raqm-20549, 20578,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/479, Raqm-992,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/191, Raqm-1511,

Ruwayani Fi Al-Musnad, 02/92, Raqm-882,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/146, Raqm-525,

Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/568, Raqm-2284,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-620, Raqm-686.]

25/687.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Tum Un Logo’n Ko Dekho Jo Mere Sahaba Ko Bura Bhala Kehte Hain To Tum (Unhe’n) Kaho Tumhaare Sharr Par Allah Ta’ala Kee La’nat Ho.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/697, Raqm-3869,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/191, Raqm-8366,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/263, Raqm-1022,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-620, 621, Raqm-687.]

26/688.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Mere Sahaba Ko Gaali Dee To Us Par Allah Ta’ala Kee, Tamam Firishto’n Kee Aur Tamam Insaano’n Kee La’nat Hai.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/142, Raqm-12709,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/94, Raqm-4771,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/405, Raqm-32419,

Khalaal As-Sunnah, 03/515, Raqm-833,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/483, Raqm-1001,

Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/296, Raqm-201,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/14, Raqm-7302,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/21,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 05/274,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-621, Raqm-688.]

27/689.    “Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Meri Behtareen Ummat Mere Zamaane Kee Hai Phir Un Ke Zamaane Ke Baa’d Ke Log, Phir Un Ke Zamaane Ke Baa’d Ke Log (Hazrat Imran RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hai Ki Mujhe Yaad Nahin Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apne Zamaane Ke Baa’d Do² Zamano’n Ka Zikr Farmaya Ya Teen³ Zamano’n Ka) Phir Tumhaare Baa’d Aisee Qaum Aayegi Ki Woh Gawaahi Denge Haala’n Ki Un Se Gawaahi Talab Nahin Kee Jaa’egi Woh Khayaanat Karenge Aur Un Par Yaqeen Nahin Kiya Jaa’ega, Woh Nazare’n Maanenge Mager Un Ko Poora Nahin Karenge Aur Un Me Motaapa Zaahir Hoga.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1335, Raqm-3450,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2362, Raqm-6064,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2463, Raqm-6317,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1964, Raqm-5235,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/500, Raqm-2302, 2303,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/695, Raqm-3859,

Nasa’i Fi As-Sunan, 07/17, Raqm-3809,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/791, Raqm-2362,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/74,

Bazzar Fi Al-Musnad, 09/18, Raqm-3521,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/427, Raqm-19835,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 18/233, Raqm-581,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/113, Raqm-841,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 04/151,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/05, Raqm-4546,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-621, 622, Raqm-689.]

28/690.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Meri Ummat Ke Behtareen Log Woh Hain Jo Mere Qareeb Hain, Phir Woh Log Hain Jo Un Ke Qareeb Hain, Phir Woh Log Hain Jo Un Ke Qareeb Hain.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/938, Raqm-2509,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1335, Raqm-3451,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2362, Raqm-6065,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2452, Raqm-2682,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1962, Raqm-2533,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/404, Raqm-3240,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 09/40, Raqm-5103,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-622, 623, Raqm-690.]

29/691.    “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Hai Ki Ek Shakhs Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Sawaal Kiya Ki (Ya RasoolAllah ﷺ) Kaun Se Log Behtar Hain?  Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Sab Se Behtar Log Us Zamaane Ke Hain Jis Zamaane Me, Mein Maujood Hoo’n Us Ke Baa’d Doosre Zamaane Ke Log, Us Ke Baa’d Teesre Zamaane Ke Log.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1965, Raqm-2536,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/156, Raqm-25282,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/404, Raqm-32409,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/629, Raqm-1475,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-623, Raqm-691.]

30/692.    “Hazrat Jaabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hudaybiya Ke Din Hame’n Farmaya : Tum Zameen Par Basne Waalo’n Me Sab Se Behtar Ho Aur Hum Chawdah Sau Afraad They Aur Agar Aaj Me Dekh Sakta To Tumhe’n Us Darakht Kee Jagah Dikha Deta (Us Waqt Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Naabina Ho Chuke They)”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1526, Raqm-3923,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1484, Raqm-1856,

Shafai Al-Musnad/217,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/308, Raqm-14352,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 04/301, Raqm-6818,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 05/235, Raqm-9981,

Khurasani As-Sunan, 02/367, Raqm-2885,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/385, Raqm-36849,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-623, 624, Raqm-692.]

31/693.    “Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne As’habe Badr Ke Liye Farmaya : Allah Ta’ala Ne Ahle Badr Kee Tawajjoh Farmaa’i Aur Farmaya : Tum Jo ‘Amal Karna Chaahte Ho Karo, Be Shak Tumhaare Liye Jannat Laazim Ho Ga’i Hai Ya Farmaya : Mein Ne Tumhe’n Maaf Kar Diya.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1463, Raqm-3762,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1095, Raqm-2845,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1557, Raqm-4025,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1941, Raqm-2494,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/409, Raqm-3305,

Darami Fi As-Sunan, 02/404, Raqm-2761,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-624, Raqm-693.]

32/694.    “Hazrat Jaabir Bin Samurah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Unhone Bayan Kiya Ki Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Jaabiya Ke Maqaam Par Hame’n Khutba Diya, Phir Farmaya : Hamaare Darmiyan Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Yoo’n Qiyam Farmate They Jaise Me Tumhaare Darmiyan Khada Hoo’n Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mere Sahaba Ke Baare Me Meri Hifaazat Karo (Ya’ni Un Kee Izzato Ihteraam Karo.) (Aur Un Logo’n Kee Izzato Ihteraam Karo) Jo In Ke Baa’d Aane Waale Hain.  Phir (Un Logo’n Kee) Jo In Ke Baa’d Aane Waale Hain.  Aur Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Ek Riwayat Me Farmaya : Mere Sahaba Se Achchha Sulook Karna.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/791, Raqm-2363,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/18, Raqm-144,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/198, 199, Raqm-388, 390,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/306, Raqm-6483,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 07/91, Raqm-13299,

Lalaka’i Fi I’tiqad Ahl As-Sunnah,, 01/106, Raqm-155,

Husayni Al-Bayan Wat-Ta’rif, 02/219, Raqm-1546,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-624, 625, Raqm-694.]

33/695.    “Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Us Musalman Ko Jahannam Kee Aag Hargiz Nahin Chhuyegi Jis Ne Mujhe Dekha Ya Mujhe Dekhne Waale (Ya’ni Mere Sahabi) Ko Dekha.”

رواه الترمذي والطبراني.

وقال الترمذي : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/694,  Raqm-3858,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 17/357, Raqm-983,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/308, Raqm-1036,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/630, Raqm-1484,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/116, Raqm-7659,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/21,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-625, Raqm-695.]

34/696.    “Hazrate Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Har Nabi Ke Liye Do² Wazeer Aasmaan Waalo’n Me Se Aur Do² Wazeer Zameen Waalo’n Me Se Hote Hain To Aasmaan Waalo’n Me Se Mere Do² Wazeer Jibra’il Aur Mika’il ‘Alayhima As-Salam Hain Aur Zameen Waalo’n Me Se Mere Do² Wazeer Aboo Bakr Aur Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Hain.”

رواه الترمذي.  وقال الترمذي : هذا حديث حسن.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/616, Raqm-3680,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/290, Raqm-3047,

Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/298, Raqm-2026,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/382, Raqm-7111,

Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 10/114,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-625, 626, Raqm-696.]

35/697.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Hantab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Aboo Bakr Aur Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Dekha To Farmaya : Yeh Dono’n (Mere Liye) Kaan Aur Aankh Kee Haysiyat Rakhte Hain.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/613, Raqm-3671,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-626, Raqm-697.]

36/698.    “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Uhad Pahaad Par Tashreef Le Ga’e Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Humraah Hazrat Aboo Bakr, Hazrat ‘Umar Aur Hazrat ‘Uthman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Bhi They Achaanak Pahaad Un Ke (Aane Kee Khushi) Ke Ba’is (Joshe Musarrat Se) Jhoomne Laga To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Uhad!  Thahar Ja,  Tujh Par Ek Nabi, Ek Siddiq Aur Do² Shaheed Hain.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1344, Raqm-3472,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1344, Raqm-3496,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1346, Raqm-3483,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/624, Raqm-3697,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/212, Raqm-4651,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/43, Raqm-8135,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/112, Raqm-12127, 22862,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/338, Raqm-6566,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 14/415, Raqm-6492,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 05/289, Raqm-2910,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-626, 627, Raqm-698.]

37/699.    “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Aur Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Baare Me Farmaya Yeh Dono’n Ambiya-o Mursaleen ‘Alayhim-us-Salam Ke Ilaawah Awwaleeno Aakhireen Me Se Tamam ‘Umr Raseeda Jannatiyo’n Ke Sardar Hain.”

رواه الترمذي وحسنه وأحمد وابن حبان.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/610, Raqm-3664, 3665,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/36, Raqm-95, 100,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/80, Raqm-602,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/330, Raqm-6904,

Bazzar Fi Al-Musnad, 02/132, Raqm-490,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/405, Raqm-533,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/617, Raqm-1419,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/91, Raqm-1348,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/68, Raqm-6873,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/173, Raqm-976,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-627, Raqm-699.]

38/700.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hira Pahaad Par Tashreef Farma They Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Hazrat Aboo Bakr, Hazrat ‘Umar, Hazrat ‘Uthman, Hazrat ‘Ali, Hazrat Talha Aur Hazrat Zubair RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn They Itne Me Pahaad Ne Harkat Kee,  To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Thahar Ja Kyun Ke Tere Oopar Nabi, Siddiq Aur Shaheed Ke Siwa Ko’i Nahin.”

رواه مسلم والترمذي والنساءي وأحمد.

وقال الترمذي : هذا حديث صحيح.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1880, Raqm-2417,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/624, Raqm-3696,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/59, Raqm-8207,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/419, Raqm-9420,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/441, Raqm-6983,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/621, Raqm-1441,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-628, Raqm-700.]

39/701.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Unhone Farmaya : Allah Ta’ala Ne Tamam Bando’n Ke Dilo’n Kee Taraf Nazar Kee To Qalbe  Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Tamam Logo’n Ke Dilo’n Se Behtar Qalb Paaya To Use Apne Liye Chun Liya (Aur Khaas Kar Liya) Aur Unhe’n Apni Risalat Ke Saath Mab’oos Farmaya. Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Dil Ko (Sirf Apne Liye) Muntakhab Karne Ke Baa’d Dubaara Quloobe Insaani Ko Dekha To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ke Dilo’n Ko Sab Bando’n Ke Dilo’n Se Behtar Paaya.  Unhe’n Apne Nabiyye Mukarram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Wazeer Bana Diya. Woh Un Ke Deen Ke Liye Jihaad Karte Hain [Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Unhe’n Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Deen Ka Madadgaar Bana Diya] Pas Jis Shay Ko Musalman Achchha Jaane To Woh Allah Ta’ala Ke Nazdeek (Bhi) Achchhi Aur Jise Bura Samjhe Woh Allah Ta’ala Ke Nazdeek Buree Hai.”

رواه أحمد والبزار والطبراني.

وقال الهيثمي : ورجاله موثقون.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/379, Raqm-3600,

Bazzar Fi Al-Musnad, 05/212, Raqm-1816, 1702,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/58, Raqm-3602,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 09/112, 115, Raqm-8582, 8593,

Bayhaqi Fi Al-I’tiqad,01/322,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/177,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/212,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-628, 629, Raqm-701.]

40/702.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Bhi Tumhe’n Kitab-ul-Alllah Ka Hukm Diya Jaa’e To Us Par ‘Amal Laazim Hai.  Us Par Amal Na Karne Par Kisi Ka Uzr Qaabile Qubool Nahin. Agar Woh (Mas’ala) Kitabullah Me Na Ho To Meri Sunnat Me Use Talaash Karo Jo Tum Me Maujood Ho Aur Agar Meri Sunnat Se Bhi Na Ho To (Us Mas’ale Ka Hal) Mere Sahaba Ke Aqwaal Ke Mutaabiq (Talaash) Karo.  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mere Sahaba Kee Misaal Yoo’n Hai Jaise Aasmaan Par Sitaare (Jo Ke Yaksa’n Raushni Dete Hain) Un Me Se Jis Ka Daaman Pakad Loge Hidaayat Pa Jaaoge Aur Mere Sahaba Ka Ikhtilaf (Bhi) Tumhaare Liye Rahmat Hai.”

رواه البيهقي وابن حميد والقضاعي.

[Bayhaqi Fi Al-Madkhal Ila As-Sunan-ul-Kubra,, 01/162, Raqm-152,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/250, Raqm-783,

Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 02/275, Raqm-1346,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/160, Raqm-6497,

Dhahabi Fi Mizan-ul-I’tidal Fi Naqd-ir-Rijal, 02/142,

Dhahabi Fi Mizan-ul-I’tidal Fi Naqd-ir-Rijal, 08/73,

Lisan-ul-Mizan, 02/118, 137, Raqm-594,

Khatib Al-Baghdadi Fi Al-Kifayah Fi Ilm-ir-Riwayah, 01/48,

Suyooti Fi Miftah-ul-Jannah Fi Al-Ihtijaj Bi-‘i-Sunnah, 01/45,

Ibn Kathir Fi Tuhfat-ut-Talib, 01/451, Raqm-341,

Ibn Mulaqqin Fi Khulasat-ul-Badr-ul-Munir Fi Takhrij-il-Ahadith Wa Al-Athar Al-Waqi’ah Fi Ash-Sharh Al-Kabir, 02/431, Raqm-2868,

Zarqani Fi Sharh, 02/302,

Ibn ‘Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 04/263,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,04/57,

Ibn Qudamah Fi Al-Mughni, 03/2109,

Amidi Fi Al-Ihkamu Fi Usool-il-Ahkam, 01/290,

Ibn Hazm Fi Al-Ihkamu Fi Usool-il-Ahkam, 05/61,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-629, 630, Raqm-702.]

41/703.    “Hazrat Nusair Bin Zu’look RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Farmaya Karte They Ke Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sahaba-e Kiram Ko Bura Mat Kaho Kyun Ke Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Sohbat Me Guzara Hua Un Ka Ek Lamha Tumhaare Zindagi Bhar Ke Aa’maal Se Behtar Hai.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/57, Raqm-162,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/405, Raqm-32415,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/484, Raqm-1006,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-630, Raqm-703.]

42/704.    “Hazrat Irbaaz Bin Saariya RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Ek Din Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Fajr Kee Namaz Ke Baa’d Hame’n Nihayat Faseeho Baleegh Waa’z Farmaya : Jis Se Aankho’n Me Aansoo Jaari Ho Ga’e Aur Dil (Khashiyyate Ilahi Se) Kaanpne Lage.  Ek Shakhs Ne Kaha Yeh To Alwida Kehne Waale Shakhs Ke Waa’z Jaisa (Khitaab) Hai. Ya RasoolAllah ﷺ!  Aap Hame’n Kya Waseeyat Farmate Hain?  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Tumhe’n Parhezgaari Aur Sunne Aur Maan Ne Kee Waseeyat Karta Hoo’n, Chaahe Tumhaara Haakim Habashi Ghulam Hee Kyun Na Ho.  Is Liye Ke Tum Me Se Jo Zinda Rahega Woh Bohat Se Ikhtilaf Dekhega Khabardaar (Shari’at Ke Khilaaf) Baato’n Se Bachana Kyun Ke Yeh Gumraahi Ka Raasta Hai. Lehaaza Tum Me Se Jo Shakhs Ye Zamaana Paaye Use Chaahiye Ke Meri Aur Mere Hidaayat Yaafta Khulafa Kee Sunnat Ikhtiyar Kare Tum Log Use (Sunnat Ko) Daanto’n Se Mazbooti Se Pakad Lena.”

رواه الترمذي وأبو داود وابن ماجه وأحمد.

وقال الترمذي : هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi As-Sunan 05/44, Raqm-2676,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/200, Raqm-4607,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/15, Raqm-42,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad,  04/126,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/178, Raqm-05

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/174, Raqm-329,

وقال : هذا حديث حسن صحيح ليس له عدة،

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 18/246, Raqm-618,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-630, 631, Raqm-704.]

43/705.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Haqq Ko ‘Umar Kee Zabaan Aur Dil Par Jaari Kar Diya Hai. Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Farmate Hain : Jab Kabhi Logo’n Ko Ko’i Mas’ala Darpeysh Hua Aur Logo’n Ne Us Me Baat Kee Aur Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Bhi Us Mas’ale Par Kuchh Kaha To Qur’ane Hakeem Hazrat ‘Umar Farooq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Qaul Ke Muwaafik Naazil Hua.”

رواه الترمذي وأبو داود وابن ماجه وأحمد.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.

وقال الحاكم : هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/617, Raqm-3682,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/138, Raqm-2961, 2962,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/40, Raqm-108,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/53, Raqm-5145,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/312, Raqm-6889,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/93, Raqm-4501,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 06/295, Raqm-12503,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-631, 632, Raqm-705.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-10 : ﴾Jaame’ Manaqib Ka Bayaan﴿

Manaqibe Imam Mahdi Al-Muntazar ‘Alayh-is-Salam Ka Bayan

Fasl-03 :

Manaqibe Imam Mahdi Al-Muntazar ‘Alayh-is-Salam Ka Bayan

44/706.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Logo’n Ka Us Waqt (Khushi Se) Kya Haal Hoga Jab Tum Me Se Isaa Ibn Mariyam ‘Alayhima As-Salam (Phir Aasmaan Se) Utarenge Aur Tumhara Imam Tumhi Me Se Hoga.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1272, Raqm-3265,

Muslim Fi As-Sahih, 01/136, Raqm-155,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/213, Raqm-6802,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,06/493,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-633, Raqm-706.]

45/707.    “Hazrat Jaabir Bin ‘Abd Allah Ansari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna : Meri Ummat Me Se Ek Jam’a’at Qiyame Haqq (Haqq Qaa’em Karne) Ke Liye Kaamyaab Jung Qiyaamat Tak Karti Rahegi. Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hai Ki In Mubarak Kalimaat Ke Baa’d Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aakhir Me Hazrat Isaa Ibn Mariyam ‘Alayhima As-Salam Aasmaan Se Utarenge  To Musalmano’n Ka Ameer Un Se ‘Arz Karega : Tashreef Laa’e, Hame’n Namaz Padhaaye Us Ke Jawaab Me Hazrat Isaa ‘Alayh-is-Salam Farmaaenge : (Is Waqt) Mein Imamat Nahin Karaoonga Tum Ek Doosre Par Ameer Ho (Ya’ni Hazrat Isaa ‘Alayh-is-Salam Us Waqt Imamat Se Inkar Farma Denge) Us Fazeelato Buzurgi Kee Bina Par Jo Allah Ta’ala Ne Is Ummat Ko ‘Ata Kee Hai.”

[Muslim Fi As-Sahih, 01/137, Raqm-156,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/345, Raqm-14762, 15167,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/231, Raqm-6819,

Ibn Jarood Fi Kitab Al-Muntaqa, 01/257, Raqm-1031,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/99, Raqm-317,

Ibn Mandah Fi Al-Iman, 01/517, Raqm-518,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 09/180,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-633, 634, Raqm-707.]

46/708.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mere Ahle Bayt Se Ek Shakhs Khalifa Hoga,  Jis Ka Naam Mere Muwaafiq Hoga. Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Ek Riwayat Me Hai Ki Agar Dunya Ka Ek Hee Deen Baaqi Rah Jaa’e To Allah Ta’ala Usee Ek Din Ko Itna Daraaz (Lamba) Farma Dega Ki Woh Shakhs (Ya’ni Mehdee ‘Alayh-is-Salam ) Khalifa Ho Jaa’e.”

 رواه الترمذي وأبو داود وأحمد.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/505, Raqm-2231,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/236, Raqm-4282,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/376, Raqm-3571,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/133, Raqm-10215,

Muqri Fi As-Sunan-ul-Waridah Fi Al-Fitan Wa Ghawa’iliha Wa As-Sa’ati Wa Ashratiha, 05/104, Raqm-562,

Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/464, Raqm-1877,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-46, Raqm-708.]

47/709.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Dunya Us Waqt Tak Khatm Na Hogi, Jab Tak Ki Mere Ahle Bayt Me Se Ek Shakhs ‘Arab Ka Badshah Na Ho Jaa’e, Jis Ka Naam Mere Naam Ke Mutaabiq (Ya’ni Muhammad) Hoga.”

رواه الترمذي وأبو داود وأحمد.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/505, Raqm-2230,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/106, Raqm-4282,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/448, Raqm-4279,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/488, Raqm-8364,

Bazzar Fi Al-Musnad, 05/204, Raqm-1804,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/435, Raqm-10223,

Shashi Fi Musnad-ush-Shashi Al-Musamma Bi-‘l-Musnad Al-Kabir, 02/110, Raqm-235,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-634, 635, Raqm-709.]

48/710.    “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mahdi Mujh Se (Ya’ni Meri Nasal Se) Honge.  Un Ka Chehra Khoob Nooraani, Chamakdaar Aur Naazuk Naak Buland Hogi.  Zameen Ko Adalo Insaaf Se Bhar Denge. Jis Tarah Pehle Woh Zulm Aur Zor Se Bhari Hogi (Matlab Yeh Hai Ki Imame Mehdi Kee Khilaafat Se Pehle Dunya Me Zulmo Ziyadahti Kee Hukmaraani Hogi Aur Adalo Insaaf Ka Naamo Nishaan Tak Na Hoga) Aur Woh Saat-07 Saal Tak Badshahat (Khilaafat) Karenge.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/107, Raqm-428,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/512, Raqm-8438,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/176, Raqm-9460,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-635, Raqm-710.]

49/711.    “Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Imam) Mahdi Mere Ahle Bayt Se Honge, Allah Ta’ala Unhe’n Ek Raat Me Muttaqi Aur Parhezagaar Bana Dega (Ya’ni Apni Taufiqo Hidayat Se Ek Hee Raat Me Wilayat Ke Us Buland Maqaam Par Pahoncha Dega Jo Un Ke Liye Mataloob Hoga).”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1367, Raqm-4085,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/84, Raqm-645,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/359, Raqm-465,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/513, Raqm-37644,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-635, 637, Raqm-711.]

50/712.    “Umm-ul-Mu’minin Hazrat Ummi Salmah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Farmati Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : Mahdi Meri Nasal Aur Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Kee Aulaad Me Se Hoga.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/107, Raqm-4284,

Muqri Fi As-Sunan-ul-Waridah Fi Al-Fitan Wa Ghawa’iliha Wa As-Sa’ati Wa Ashratiha, 05/1057, Raqm-575,

Azim Abadi Fi ‘Awn-ul-Ma’boodi Sharh Sunan Abi Dawud, 11/251,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 06/277,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-636, Raqm-712.]

51/713.    “Hazrat Aboo Is’haq Riwayat Karte Hai Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Apne Bete Imame Hasan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Dekh Kar Farmaya : Be Shak Mera Yeh Beta Sardaar Hoga Jaisa Kee Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Ka Naam Rakkha Hai Aur Anqareeb Is Kee Nasal Se Ek Aisa Shakhs Paida Hoga Us Ka Naam Tumhaare Nabi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Naam Par Hoga. Woh Akhlaaq Me Tumhaare Nabi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Mushaabehat Rakhta Hoga Aur Soorat Me Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Mushaabeh Na Hoga. Phir Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Qissa Bayan Farmaya Ki Woh Zameen Ko Adalo Insaaf Se Bhar Dega.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/108, Raqm-4290,

Azim Abadi Fi ‘Awn-ul-Ma’boodi Sharh Sunan Abi Dawud, 11/257,

Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 06/403,

Suyooti Fi Sharh Sunan Ibn Majah, 01/300, Raqm-4085,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-636, 637, Raqm-713.]

52/714.    “Hazrat Jaabir Bin Samurah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : 12 Khalifa Hone Tak Islam Ghaalib Rahega. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ek Baat Farmaa’i Jise Mein Nahin Samajh Saka, Mein Ne Apne Waalid Se Poochha Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Kya Farmaya? Unhone Kaha Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Woh (Tamam Khulafa) Quraish Se Honge.”

[Muslim Fi As-Sahih, 03/1453, Raqm-1821,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/106, Raqm-21058,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/44, Raqm-6662,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 04/370, Raqm-6982,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/195, Raqm-1792,

Ibn Abi ‘Asim Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 03/126, Raqm-1448,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,13/211,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-637, Raqm-714.]

53/715.    “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Qiyaamat Qaa’em Nahin Hogi Jab Tak Ki Zameen Zulmo Jaur Aur Sarkashi Se Bhar Na Jaa’e. Is Ke Baa’d Mere Ahle Bayt Se Ek Shakhs (Mahdi) Paida Hoga Jo Zameen Ko Adalo Insaaf Se Bhar Dega (Ya’ni Khalifa Mahdi Ke Zahoor Se Pehle Qiyaamat Nahi Aayegi).”

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/600, Raqm-8669,

Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/464, Raqm-1880,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-637, 738, Raqm-715.]

54/716.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hai Ki Mein Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Khud Farmate Hu’e Suna Hai : Hum ‘Abd-il-Muttalib Kee Aulaad Ahle Jannat Ke Sardar Honge Ya’ni Mein, Hamzah, Ali, Ja’far, Hasan, Husayn Aur Mahdi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1368, Raqm-4087,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-638, Raqm-716.]

55/717.    “Hazrat Ummi Salmah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Riwayat Karti Hai Ki Rasool Allah SallAllahsau Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Meri Ummat Ke Ek Shakhs (Mahdi) Kee Rookn Aur Maqaame Ibrahim Ke Darmiyan Ahle Badr Kee Tadad (313 Afraad) Kee Misl Bayt Kee Jaa’egi. Is Ke Baa’d Us Imam Ke Paas ‘Iraq Ke Awliya’ Aur Shaam Ke Abdaal (Bayt Ke Liye) Aaenge.”

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/478, Raqm-8328,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/460, Raqm-37223,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-638, Raqm-717.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-10 : ﴾Jaame’ Manaqib Ka Bayaan﴿

A’imma-e Fuqaha-e Mujtahideen RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Ke Manaqib Ka Bayan

Fasl-04 :

A’imma-e Fuqaha-e Mujtahideen RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Ke Manaqib Ka Bayan

56/718.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hai Ki Hum Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Baithey Hu’e They Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Soorah Jum’a (Kee Yeh Aayat) Naazil Hu’i Aur In Me Se Doosre Logo’n Me Se Bhi (Is Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Tazkiya Wa Taalim Ke Liye Bheja Hai) Jo Abhi Un Logo’n Se Nahin Mile. Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hai Ki Ya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam! Woh Kaun Hazraat Hain? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Jawaab Irshad Na Farmaya To Mein Ne Teen³  Martaba Poochha Aur Hazrat Salman Faarsi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bhi Hamaare Darmiyan Maujood They. Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apna Daste Aqdas Hazrat Salman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu (Ke Kandho’n) Par Rakh Kar Farmaya : Agar Iman Suraiya (Ya’ni Aasmaane Dunya Ke Sab Se Oonche Maqaam) Ke Qareeb Bhi Hua To In (Faarasiyo’n) Me Se Kuchh Log Ya Ek Aadami (Raawi Ko Shak Hai) Use Waha’n Se Bhi Haasil Kar Lega.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 16/298,

Bukhari Fi As-Sahih, 3,4/1858, Raqm-4615,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1972, Raqm-2546,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/725, Raqm-3942,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/384, Raqm-3260, 3261,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/413, Raqm-3310,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 16/298, Raqm-7308.

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 06/64,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/367, Raqm-7060,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,08/642, Raqm-4615,

Husayni Al-Bayan Wat-Ta’rif, 02/170, Raqm-1399,

Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 04/364, Raqm-4797,

Tabari Fi Jaame’-ul-Bayani ‘An Ta’wili Aayi-‘l-Qur’an Tafsir-ut-Tabari,28/96,

Qurtubi Fi Al-Jaame’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 18/93,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-639, 640, Raqm-718.]

57/719.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Deen Suraiya Par Bhi Hota Tab Bhi Faaras Ka Ek Shakhs Use Haasil Kar Leta Ya Farmaya : Faaras Waalo’n Kee Aulaad Me Se Ek Shakhs Use Haasil Kar Leta.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1972, Raqm-2546,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/64,

Muqri Fi As-Sunan-ul-Waridah Fi Al-Fitan Wa Ghawa’iliha Wa As-Sa’ati Wa Ashratiha,  03/744, Raqm-366,

Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 23/218,

Husayni Al-Bayan Wat-Ta’rif, 02/170, Raqm-1399,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 05/322,

Qurtubi Fi Al-Jaame’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 18/93,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-640, Raqm-719.]

58/720.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Deen Suraiya Par Bhi Hota, Tab Bhi Faaras Ka Ek Shakhs Use Haasil Kar Leta Ya Faaras (Waalo’n) Kee Aulaad Me Se Ek Shakhs Use Haasil Kar Leta.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/308, Raqm-8067,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-640, Raqm-720.]

59/721.    “Hazrat ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Deen Suraiya Ke Saath Bhi Muallak Hua To Ahle Faaras Me Se Ek Shakhs Use Zaroor Paa Lega.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/204, Raqm-10470,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/415, Raqm-32515, 32516,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 03/360, Raqm-5084,

Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 23/218,

Wasiti Fi Tarikh Wasit, 01/220,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 10/312, Raqm-5460,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tali Talkhis Al-Mutashabih, 01/209, Raqm-108,

Ibn Qani’ Fi Mu’jam Al-Sahabah, 03/129, Raqm-1102,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 06/213, Raqm-8217,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/65,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-640, 641, Raqm-721.]

60/722.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Agar ‘Ilm Suraiya Ke Saath Bhi Muallak Hua To Ahle Faaras Me Se Kuchh Log Use Zaroor Paa Lenge.”

رواه أحمد وابن حبان.

وقال الهيثمي : رواه أبو يعلى والبزار والطبراني ورجالهم رجال الصحيح.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/420, Raqm-9430, 7937, 9454, 10059,

Bazzar Fi Al-Musnad, 09/195, Raqm-3741,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 16/299, Raqm-7309,

Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/574, Raqm-2309,

Haythami Fi Majma-uz-Zawa’id, 10/64,

Harith Fi Al-Musnad (Zawa’id Al-Haythami), 02/943,

Ibn Qaysarani Fi Tadhkirat-ul-Huffaz, 03/972, Raqm-912,

Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 10/210,

Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 51/140,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-641, Raqm-722.]

61/723.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Barbaadi Hai ‘Arabo’n Ke Liye Us Sharr Se Jo Anqareeb Aane Waala Hai. Woh Falaah Paa Gaya Jis Ne Us Se Apna Haath Rok Liya. Aye Bani Farrookh Allah Ta’ala Ka Qurb Haasil Karo. Yaqeenan ‘Arabo’n Ne Us Se Tarke Ta’alluq Kar Liya Aur Allah Kee Qasam Yaqeenan Tum Me Se Zaroor Aise Log Bhi Honge, Agar ‘Ilm Suraiya Par Bhi Hua To Woh Use Zaroor Paa Lenge.”

[Tahawi Fi Sharh Mushkil-il-Athar, 03/94,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-641, 642, Raqm-723.]

62/724.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Bani Farrookh (Allah Ta’ala Ke) Zikr Ke Qareeb  Ho Jaao. Allah Rabb-ul-Izjat Kee Qasam! Yaqeenan Tum Me Se Aise Log Honge Jo ‘Ilm Suraiya Ke Saath Bhi Muallak Hua To Woh Zaroor Use Paa Lenge.”

[Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 04/342, Raqm-5330,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-642, 643, Raqm-724.]

63/725.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Girohe Mawaali (Ya’ni Ajam) Zikr Ke Qareeb Ho Jaao Yaqeenan ‘Arabo’n Ne Is Se Munh Mod Liya Aur Yaqeenan Agar Iman Arsh Ke Saath Bhi Muallak Hua Tab Bhi Tum Me Se Ek Shakhs Use Zaroor Paa Lega.”

[Aboo Nu’aym Fi Tarikh Asbahan, 01/06,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-642, Raqm-725.]

64/726.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Anqareeb Log Talabe ‘Ilm Me Oonto’n Ko Seena Kobee Karenge (Ya’ni Nihaayat Tezee Se Safar Karenge) Aur Ek Riwayat Me Hai Mashriq-o Maghrib Se Log ‘Ilm Kee Talaash Me Nikal Khade Honge Lekin Woh Aalime Madinah Se Ziyaada Saahibe ‘Ilm Kisi Ko Nahin Paaenge.”

رواه الترمذي والنسائي والحاكم.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.

وقال الحاكم : هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/57, Raqm-2680,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/489, Raqm-4291,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/168, Raqm-2308,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 01/385, Raqm-1681,

Aboo Mahasin Fi Mu’tasar Al-Mukhtasar, 02/339,

Humaydi Fi Al-Musnad, 02/485, Raqm-1147,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 05/306, Raqm- 01/195, Raqm-90,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/134,

Ibn ‘Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 01/84,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-643, Raqm-726.]

65/727.    “Hazrat ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Quraish Ko Gaali Mat Do Ahle Quraish Ka ‘Aalim Tamam Dunya Ko ‘Ilm (Kee Raushni) Se Bhar Dega.”

[Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/39, Raqm-309,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/637, Raqam1523,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 06/295,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 09/65,

Shashi Fi Musnad-ush-Shashi Al-Musamma Bi-‘l-Musnad Al-Kabir, 02/169, Raqm-728,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 02/61,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/12, Raqm-7295,

Bayhaqi Bayan Min Akhta Ali Ash-Shafi’i, 01/94,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 09/24,

Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 24/364,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-643, Raqm-727.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-10 : ﴾Jaame’ Manaqib Ka Bayaan﴿

Awliya’ Aur Saaleheen Rahmatullahi Ta’ala Alayhim Ajma’iyn Ke Manaqib Ka Bayan

Fasl-05 :

Awliya’ Aur Saaleheen Rahmatullahi Ta’ala Alayhim Ajma’iyn Ke Manaqib Ka Bayan

66/728.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Allah Ta’ala Kisi Bande Se Mahabbat Karta Hai To Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Ko Aawaaz Deta Hai Ki Allah Ta’ala Fula’n Bande Se Mahabbat Rakhta Hai, Lehaaza Tum Bhi Us Se Mahabbat Karo Phir Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Us Se Mahabbat Karta Hain. Phir Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Aasmaani Makhlooq Me Nida Dete Hai Ki Allah Ta’ala Fula’n Bande Se Mahabbat Karta Hai. Lehaaza Tum Bhi Us Se Mahabbat Karo.  Pas Aasmaan Waale Bhi Us Se Mahabbat Karne Lagte Hai. Phir Zameen Waalo’n (Ke Dilo’n) Me Us Kee Maqbooliyat Rakh Dee Jaati Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1175, Raqm-3037,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2246, Raqm-5693,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2721, Raqm-7047,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2030, Raqm-2637,

Malik Fi Al-Muwatta’, 02/953, Raqm-1710,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-644, Raqm-728.]

67/729.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Farmata Hai : Jo Mere Kisi Wali Se Dushmani Rakkhe Me Us Se E’laane Jang Karta Hoo’n Aur Mera Banda Aisee Kisi Cheez Ke Zari’e Mera Qurb Nahin Paata Jo Mujhe Fara’iz Se Ziyaada Mehboob Ho Aur Mera Banda Nafli Ibadat Ke Zari’e Baraabar Mera Qurb Haasil Karta Rehta Hai. Yaha’n Tak Ki Mein Us Se Mahabbat Karne Lagta Hoo’n Aur Jab Mein Us Se Mahabbat Karta Hoo’n To Mein Us Ka Kaan Ban Jaata Hoo’n Jis Se Woh Sunta Hai Aur Us Kee Aankh Ban Jaata Hoo’n Jis Se Woh Dekhta Hai Aur Us Ka Haath Ban Jaata Hoo’n Jis Se Woh Pakadta Hai Aur Us Ka Paanw Ban Jaata Hoo’n Jis Se Woh Chalta Hai. Agar Woh Mujh Se Sawaal Karta Hai To Mein Use Zaroor ‘Ata Karta Hoo’n Aur Agar Woh Meri Panaah Maangta Hai To Mein Zaroor Use Panaah Deta Hoo’n.  Mein Ne Jo Kaam Karna Hota Hai Us Me Kabhi Is Tarah Mutardid  Nahin Hota Jaise Banda-e Momin Ke Jaan Lene Me Hota Hoo’n, Use Mowt Pasand Nahin Aur Mujhe Us Kee Takleef Pasand Nahin.”

رواه البخاري.

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2384, Raqm-6137,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/58, Raqm-347,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/219, Baab(60),Kitab-uz-Zuhd Al-Kabir, 02/269, Raqm-696,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-644, 645, Raqm-729.]

68/730.    “Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Allah Ta’ala Ke Kuchh Aise Barguzeeda Bande Hain Jo Na Ambiya Kiram Hain Na Shohada, Qiyaamat Ke Din Ambiya Kiram ‘Alayhim-us-Salam Aur Shohada Unhe’n Allah Ta’ala Kee Taraf Se ‘Ata Karda Maqaam Dekh Kar Un Par Rashk Karenge. Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Aap Hame’n Un Ke Baare Me Bataaye Ki Woh Kaun Hain? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Woh Aise Log Hain Jin Kee Ek Doosre Se Mahabbat Sirf Allah Ta’ala Kee Khaatir Hoti Hai Na Ke Rishtedaari Aur Maali Len-Den Kee Wajah Se. Allah Ta’ala Kee Qasam!  Un Ke Chehre Noor Honge Aur Woh Noor (Ke Mimbaro’n) Par Honge, Unhe’n Ko’i Khauf Nahin Hoga, Jab Log Khauf Zada Honge Unhe’n Ko’i Gham Nahin Hoga, Jab Log Ghamzada Honge. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yeh Aayat Tilaawat Farmaa’i, ˝Khabardaar Awliya’ Allah Par Na Ko’i Khauf Hai Na Woh Ranjeeda-o Ghamgeen Honge.[Yunus, 10 : 62]”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/288, Raqm-3527,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/362, Raqm-11236,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/486, Raqm-8998,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-645, 646, Raqm-730.]

69/731.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ke Kuchh Bande Aise Hain Jo Ambiya Nahin Lekin Ambiya-e Kiram Aur Shohada Bhi Us  Par Rashk Karenge. ‘Arz Kiya Gaya : (Ya RasoolAllah ﷺ) Woh Kaun Log Hain? (Hame’n Un Kee Sifaat Bata’e’n) Taaki Hum Bhi Un Se Mahabbat Kare’n. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Woh Aise Bande Hain Jo Aapas Me Baghair Kisi Qaraabatdari Aur Waasta Ke Mahz Allah Ta’ala Kee Khaatir Mahabbat Karte Hain Un Ke Chehre Poor Noor Honge Aur Woh Noor Ke Mimbaro’n Par Jalwa Afroz Honge. Unhe’n Ko’i Khauf Nahin Hoga, Jab Log Khauf Zada Honge Aur Unhe’n Ko’i Gham Na Hoga Jab Log Ghamzada Honge. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yeh Aayat Tilaawat Farmaa’i, “Khabardaar Be Shak Awliya Allah Par Na Ko’i Khauf Hai Aur Na Woh Ranjeeda-o Ghamgeen Honge.[Yunus, 10 : 62]”

[Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/332, Raqm-573,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 10/495, Raqm-6110,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/485, Raqm-8997, 8999,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/12, Raqm-4580,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-646, 647, Raqm-731.]

70/732.    “Hazrat Asma Binte Yajeed RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Suna Ki Kya Mein Tumhe’n Tum Me Se Sab Se Behtar Logo’n Ke Baare Me Khabar Na Doo’n, Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Kyun Nahin? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Me Se Behtar Log Woh Hain Jab Unhe’n Dekha Jaa’e To Allah Yaad Aa Jaa’e.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1379, Raqm-4119,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/459, Raqm-27640,

Bukhari Al-Adab-ul-Mufrad/119, Raqm-323,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 24/167, Raqm-423,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-647, Raqm-732.]

71/733.    “Hazrat ‘Abd Allah Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Awliya Allah Ke Baare Me Poochha Gaya To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Woh Log (Awliya’ Allah Hain) Jinhe’n Dekhne Se Allah ‘Azza Wa Jalla Yaad Aa Jaa’e.”

[Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/362, Raqm-11235,

Ibn Mubarak Fi Kitab-uz-Zuhd, 01/72, Raqm-217,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,10/108, Raqm-105,

Hakim At-Tirmidhi Fi Nawadir-ul-Usool Fi Ma’rifati Ahadith-ir-Rasool ﷺ , 02/39,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/78,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-647, Raqm-733.]

72/734.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yaqeenan Baa’z log Allah Ta’ala Ke Zikr Kee Kunjiya’n Hote Hain, Unhe’n Dekh Kar Allah Ta’ala Yaad Aa Jaata Hai.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/205, Raqm-10476,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/455, Raqm-499,

Ibn Abi Ad-Dunya’ Fi Kitab-ul-Awliya’/17, Raqm-26,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/78, وصححه.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-648, Raqm-734.]

73/735.    “Hazrat ‘Amr Bin Hamiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Banda Us Waqt Tak Iman Kee Haqeeqat Ko Nahin Paa Sakta Jab Tak Ki Woh Allah Ta’ala Ke Liye Hee (Kisi Se) Naaraaz Aur Allah Ta’ala Ke Liye Hee (Kisi Se) Raazi Na Ho (Ya’ni Us Kee Raza Ka Markazo Mehwar Faqat Zaate Ilahi Ho) Aur Jab Us Ne Yeh Kaam Kar Liya To Us Ne Iman Kee Haqeeqat Ko Paa Liya Aur Be Shak Mere Ahbaab Aur Awliya’ Woh Log Hai Ki Mere Zikr Se Un Kee Yaad Aa Jaati Hai Aur Un Ke Zikr Se Meri Yaad Aa Jaati Hai (Ya’ni Mera Zikr Un Ka Zikr Hai Aur Un Ka Zikr Mera Zikr Hai).”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/203, Raqm-651,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/430, Raqm-15634,

Ibn Abi Dunya Kitab-ul-Awliya/15, Raqm-19,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/365,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/152, Raqm-7789,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/14, Raqm-4589,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/58,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-648, 649, Raqm-735.]

 74/736.   “Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hazrat Mu’aadh Bin Jabal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Karte Hai Ki Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : Be Shak Ma’mooli Dikhaawa Bhi Shirk Hai Aur Jis Ne Awliya’ Allah Se Dushmani Kee To Us Ne Allah Ta’ala Se E’laane Jung Kiya Be Shak Allah Ta’ala Un Nek Muttaqi Logo’n Ko Mehboob Rakhta Hai Jo Chhupe Rehte Hain. Agar Woh Gaayab Ho Jaa’e’n To Unhe’n Talaash Nahin Kiya Jaata, Agar Woh Maujood Ho’n To  Unhe’n (Kisi Bhi Majlis Me Ya Kaam Ke Liye) Bulaaya Nahin Jaata Aur Na Hee Unhe’n Pehchaana Jaata Hai. Un Ke Dil Hidayat Ke Charaag Hain, Aise Log Har Tarah Kee Aazma’ish Aur Taareek Fitane Se (Bakhairo ‘Aafiyat) Nikal Jaate Hain.”

رواه ابن ماجه والحاكم والطبراني.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1320, Raqm-3989,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/44, Raqm-04,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/364, Raqm-7933,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/122, Raqm-892,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/548, Raqm-9049,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/34, Raqm-49,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-649, Raqm-736.]

75/737.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki ‘Arz Kiya Gaya : Ya RasoolAllah ﷺ! Hamaare Behtareen Humnasheen Kaun Log Hain? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aisa Humnasheen Jis Ka Dekhna Tumhe’n Allah Ta’ala Kee Yaad Dilaaye Aur Jis Kee Guftagoo Tumhaare ‘Ilm Me Izaafa Kare Aur Jis Ka ‘Amal Tumhe’n Aakhirat Kee Yaad Dilaaye.”

[Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 04/326, Raqm-2437,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/213, Raqm-631,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 07/46,

Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/121, Raqm-355,

Ibn Abi Dunya Kitab-ul-Awliya/17, Raqm-25,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/63, Raqm-163,

Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 09/28, 37, Raqm-24764, 24820,

Husayni Al-Bayan Wat-Ta’rif, 02/39, Raqm-994,

Zarqani Fi Sharh, 04/553,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 03/467,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-649, 650, Raqm-737.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-10 : ﴾Jaame’ Manaqib Ka Bayaan﴿

Saaleheen Ke Liye Allah Ta’ala Kee Taraf Se Tayyar Karda Taskeene Chashm-o Ja’n Ka Bayan

Fasl-06 :

Saaleheen Ke Liye Allah Ta’ala Kee Taraf Se Tayyar Karda Taskeene Chashm-o Ja’n Ka Bayan

76/738.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala Ta’ala Anhu Bayan Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah ‘Azza Wa Jalla Ka Farman Hai : Mein Ne Apne Nek Bando’n Ke Liye Aisee Ne’mate’n Taiyaar Kee Hain Jinhe’n Na Kisi Aankh Ne Dekha Hai Na Kisi Kaan Ne Suna Hai Aur Na Kisi Farde Bashar Ke Dil Me Un Ka Khayaal Aaya Hai. Chaahte Ho To Padho So Kisi Ko Ma’loom Nahin Jo Aankho’n Kee Thandak Un Ke Liye Poshida Rakhi Ga’i Hai. Yeh Un (Aamaale Saaleha) Ka Badala Hoga Jo Woh Karte Rahe They.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1185, Raqm 3072,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1794, Raqm-4501, 4502,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1274, 2175, Raqm-2824,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/346, Raqm-3197,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/400, Raqm-3292,

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح،

Ibn Majah As-Sunan 02/1447, Raqm-4328,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/317, Raqm-11085,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/438, Raqm-10428, 9647, 22877,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/91, Raqm-369,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/448, Raqm-3549, 3550,

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-651, 652, Raqm-738.]

77/739.    “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah ‘Azza Wa Jalla Jannatiyo’n Se Farma’ega : Aye Jannatiyo’n!  Woh Kahenge, Aye Hamaare Parwardigar!  Hum Tere Hukm Ke Saamne Baar-Baar Sare Tasleem Kham Kar Ke Dohri Sa’adat Chaahte Hain Aur Har Qism Kee Bhalaa’i Tere Ikhtiyar Me Hai To Allah Ta’ala Farma’ega ‘Kya Tum Khush Ho?’ Woh  Kahenge Aye Rabb! Hum Khush Kyun Na Ho Too Ne Hame’n Woh Kuchh ‘Ata Kiya Hai Jo Makhlooq Me Se Kisi Ko Nahin  Diya. Allah Ta’ala Farma’ega : Kya Mein Tumhe’n Is Se Behtar Na ‘Ata Karoo’n, Woh Kahenge, Is Se Behtar Kya Ho Sakta Hai.  Allah Ta’ala Farma’ega : Mein Ne Apni Raza Wa Khushnoodi Tumhe’n De Dee, Aaj Ke Baa’d Mein Tum Par Kabhi Naaraaz Nahin Howunga.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2398, Raqm-6183,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2732, Raqm-7080,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2176, Raqm-2829,

Tirmidhi Fi As-Sunan,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/416,Raqm-7749,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/88, Raqm-11853,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 16/470, Raqm-7440,

Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/129, Raqm-430,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/313, Raqm-5750,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-652, Raqm-739.]

78/740.    “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jannat Me Ek Aisa Baazaar  Hai Jis Me Log Har Jum’a Ke Roz Aa’ege. Shimaali Jaanib Se Hawa Chalegi Aur Un Ke Kapdo’n Aur Chehro’n Par Lagegi Jis Se Husn-o Jamaal Badh Jaa’ega. Jab Woh Apne Ghar Waalo’n Ke Paas Waapas Jaaenge To Un Ka Husn-o Jamaal Badha Hua Dekh Kar Woh Kahenge : Allah Kee Qasam!  Hum Se Door Jaa Kar Tumhara Husn-o Jamaal Badh Gaya Hai Aur Yeh Un Se Kahenge Ke Allah Ta’ala Kee Qasam Hamaare Baa’d Tumhaara Bhi Husn-o Jamaal Badh Gaya Hai.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2178, Raqm-2833,

Darami Fi As-Sunan, 02/436, Raqm-2841,

Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/524, Raqm-1491,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/301, Raqm-5727,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-653, Raqm-740.]

79/741.    “Hazrat Suhaib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Jannati Jannat Me Daakhil Ho Jaaenge Allah ‘Azza Wa Jalla Farma’ega : Tum Kuchh Aur Chaahte Ho To Mein Tumhe’n Doo’n, Woh ‘Arz Karenge (Aye Hamaare Rabb) Kya Too Ne Hamaare Chehre Munawwar Nahin Kar Di’e? Kya Too Ne Hame’n Jannat Me Daakhil Nahin Kar Diya Aur Hame’n Dozakh Se Nazaat Nahin Dee? Farmaya : Us Ke Baa’d Allah Ta’ala Parda Utha Dega Unhe’n Apne Parwardigar Se Behtar Ko’i Cheez Nahin Mili Hogi. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yeh Aayat Tilaawat Farmaa’i : ˝Aise Logo’n Ke Liye Jo Nek Kaam Karte Hain Nek Jaza Hai (Balki) Is Par Bhi Izaafa Hai.˝


[Muslim Fi As-Sahih, 01/163, Raqm-181,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/286, Raqm-3105,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/332,

‘Abd Allah Bin Ahmad Fi As-Sunnah, 01/245, Raqm-449,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/309, Raqm-5744,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-653, 654, Raqm-741.]

80/742.    “Hazrat Sa’iyd Bin Musayyib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Un Kee Mulaqat Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Hu’i To Unhone Farmaya : Mein Allah Ta’ala Se Du’aa Karta Hoo’n Ki Allah Ta’ala Mujhe Aur Aap Ko Jannat Ke Baazaar Me Ikat’tha Kar De. Sa’iyd Kehne Lage : Kya Jannat Me Ko’i Baazaar Bhi Hain? Unhone Kaha : Haa’n. Mujhe Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Bataaya Hai Ki Jab Jannati Jannat Me Daakhil Ho Jaaenge To Woh Apne Aa’maal Kee Bartari Ke Lihaaz Se Martabe Haasil Karenge. Dunya Ke Jum’a Ke Din Ke Baraabar Unhe’n Ijaazat Dee Jaa’egi Ki Woh Allah Ta’ala Ka Deedaar Karenge Aur Woh Un Ke Liye Apna ‘Arsh Zaahir Karega….. “

“Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha Ki Mein Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ!  Kya Hum Apne Parwardigar Ka Deedaar Karenge?  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Haa’n Kya Tum Sooraj Aur Chaudhawi’n Ke Chaand Ko Dekh Ne Me Ko’i  Shak Karte Ho?  Hum Ne ‘Arz Kiya : Nahin. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Isee Tarah Tum Apne Parwardigar Ke Deedaar Me Ko’i Shak Nahin Karoge. Us Mehfil Me Ko’i Aisa Shakhs Nahin Hoga Jis Se Allah Ta’ala Baraahe Raast Guftagoo Na Farmaa’e… “

“Unhone Kaha Ki Phir Hum Apne Gharo’n Me Aa Jaaenge Hamari Beewiya’n Hamara Istaqbaal Karegi Aur Kahegi : Khush Aamadeed, Khush Aamadeed, Tum Waapas Aa’e Ho, To Tumhara Husn-o Jamaal Hum Se Juda Hote Waqt Se Badh Gaya Hai.  Woh Kahega Aaj Hamari Majlis Hamaare Rabbe Jabbar Se Hu’i Hai.  Hum Isee (Khoob Soorat) Shaklo Soorat Me Tabdeel Hone Ke Haqdaar They.”

[Tirmidhi, 04/685, Raqm-2549,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1450, Raqm-4336,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 16/464, 467, Raqm-7437,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 01/258, Raqm-585, 586,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/301, Raqm-5728,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-654, 657, Raqm-742.]

81/743.    “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah ‘Azza Wa Jalla Ne Jannat Kee Bairooni Deewaar Is Tarah Banaa’i Hai Ki Us Kee Ek Eent Sone Kee Hai Aur Ek Eent Chaandi Kee. Phir Us Me Nahre’n Chalaa’i Aur Darakht Lagaaye.  Jab Firishto’n Ne Us Kee Khoobsoorti Ko Dekha To Unhone Kaha : ˝Aye (Roohaniyat Aur Wilayat Ke) Badshaho’n Kee Jaa’e Qaraar!  Tujhe Mubarak Ho.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/362,

Tabarani  Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/74, Raqm-2532,

Humaydi Fi Al-Musnad, 02/486, Raqm-1150,

Bazzar Fi Al-Musnad, 04/189,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/397,

وقال : رواه البزار مرفوعا و موقوفا،

الطبراني في الأوسط ورجال الموقوف رجال الصحيح،

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/178, Raqm-664,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/115, Raqm-2605,

Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/512, Raqm-1457,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/282, Raqm-5650,

وقال : أخرجه البيهقي.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-655, 656, Raqm-743.]

82/744.    “Hazrat Aboo Hudhayfah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Ek Taweel Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Kee Taraf Se Jo Sab Se Pehli Baat Sunenge Woh Yeh Hogi Ke Allah Ta’ala Farma’ega : Mere Woh Bande Kaha’n Hai Jinhone Mujhe Dekhe Baghair Meri Ita’at Kee Aur Mere Rasoolo’n Kee Tasdeeq Kee Aur Mera Hukm Maana?  Tum Mujh Se Maango Yeh Yawmul Mazeed (Ya’ni Mere Lutfo Karam Kee Be Baha Baarisho’n Ka Din) Hai.Woh Tamam Log Ek Baat Par Ittefaaq Karenge Ke Aye Rabb! Hum Tujh Se Khush Hain, Too Hum Se Khush Ho Ja. Allah Ta’ala Un Se Dubaara Farma’ega : Aye Jannatiyo’n! Agar Mein Tum Se Raazi Na Hota To Mein Tumhe’n Jannat Me Na Thehraata, Tum Mujh Se Maango Yeh Yawmul Mazeed Hai Woh Ek Aawaaz Ho Kar Kahenge : Aye Rabb Hame’n Apna Chehra-e Anwar Dikha, Hum Tera Deedaar Kar Le’n. Allah Ta’ala Woh Parde Utha Dega Aur Un Ke Saamne Ek Cheez Jalwa Afroz Hogi Agar Allah Ta’ala Ne Un Ke Muta’alliq Yeh Faisla Na Kiya Hota Ki Woh Jalenge Nahin To Woh Us Ke Noor Kee Wazah Se Jal Bhi Jaa’e’n, Us Ke Baa’d Us Ka Noor Un Par Saaya Figan Ho Jaa’ega.”

“Woh Apne Thikaano’n Kee Taraf Aa Jaaenge Allah Tabaarak Wa Ta’ala Kee Wazah Se Haasil Hone Waale Noor Se Un Kee Beewiya’n Un Ke Muta’alliq La Ilm Hogi Aur Woh Un Ke Muta’alliq La Ilm Honge. Jab Woh Ghar Pahonchenge To Noor Badhta Jaa’ega Aur Pukhta Hota Jaa’ega.  Yaha’n Tak Ki Woh Apni Un Shaklo’n Kee Taraf Laut Aa’ege Jin Me Woh Pehle They, Un Kee Beewiya’n Un Se Kahegi Tum Jis Shaklo’n Soorat Me Hamaare Yaha’n Se Ga’e They Us Ke Ilaawah Shaklo’n Soorat Me Waapas Hu’e. Woh Kahenge Us Kee Wajah Yeh Hai Ki Allah Tabaarak Wa Ta’ala Hamaare Saamne Jalwa Afroz Hua Aur Hum Ne Us Ka Deedaar Kiya To Hamari Shakle’n Tum Se Makhfee (Posheeda) Rah Ga’i. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Sallam Ne Farmaya : Har Saat-07  Din Me Unhe’n Is Se Doguna (Deedaar) Naseeb Hoga Aur Yahi Baat Allah Ta’ala Ke Farman Me Hai : So Kisi Ko Ma’loom Nahin Jo Aankho’n Kee Thandak Un Ke Liye Poshida Rakhi Ga’i Hai, Yeh Un (Aamaale Saaleha) Ka Badala Hoga Jo Woh Karte Rahe They.”

[Bazzar Fi Al-Musnad, 07/288, Raqm-2881,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/311, Raqm-5748,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/422,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-657, 658, Raqm-744.]