Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-11 : ﴾Mo’jizaat Aur Karaamaat﴿

Huzoor Nabiyye Akram ﷺ Ke Mo’jizaat Ka Bayan

Fasl-01 :

Huzoor Nabiyye Akram Ke Mo’jizaat Ka Bayan

01/745.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki Chaand Ke Do² Tukade Hone Ka Waaqe’a Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Zamana-e Mubarak Me Pesh Aaya. Ek Tukada Pahaad Me Chhup Gaya Aur Ek Tukada Upar Tha To Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Allah Too Gawaah Rehna.”

Muttafaque ‘Alayh

“Aur Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Ahle Makkah Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Mo’jiza Dikhaane Ka Mutaalba Kiya To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Unhe’n Do² Martaba Chaand Ke Do² Tukade Kar Ke Dikhaye.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1330, Raqm-3437, 3439,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1843, Raqm-4583, 4587,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2158, 2159, Raqm-2800, 2801,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/398, Raqm-3285, 3289,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/476, Raqm-1552, 1553,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/377, Raqm-3583, 3924, 4360,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 04/420, Raqm-6495,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/513, Raqm-3758, 3761,

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح،

Bazzar Fi Al-Musnad, 05/202, Raqm-1801, 1802,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad,  05/306, Raqm-2929,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/132, Raqm-1559, 1561,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/37, Raqm-280,

Shashi Fi Musnad-ush-Shashi Al-Musamma Bi-‘l-Musnad Al-Kabir, 01/402, Raqm-404,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-663, 664, Raqm-745.]

02/746.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki Ek Shakhs Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Haazir Hua. Aap SallAllahu SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Madinah Munawwara Me Jum’a Ke Khutba Irshad Farma Rahe They. Us Ne ‘Arz Kiya (Ya RasoolAllah ﷺ!) Baarish Na Hone Ke Ba’is Qahat Par Gaya Hai, Lehaaza Apne Rabb Se Baarish Maangi’e, To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Aasmaan Kee Taraf Nigaah Uthaa’i Aur Hame’n Koi Baadal Nazar Nahin Aa Raha Tha. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Baarish Maangi To Fauran Baadalo’n Ke Tukde Aa Kar Aapas Me Milne Lage Phir Baarish Hone Lagi Yaha’n Tak Ki Madinah Munawwara Kee Galiya’n Beh Nikali Aur Baarish Baraabar Agle Jum’a Tak Hoti Rahi. Phir Wahi Ya Dusara Shakhs Khada Hua Aur ‘Arz Kiya Jab Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Khutba Irshad Farma Rahe They (Ya RasoolAllah ﷺ!) Hum To Gharq Hone Lage Apne Rabb Se Du’aa Keeji’e Ke Is Baarish Ko Hum Se Rok De. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Muskuraaye Aur Du’aa Kee : Aye Allah! Hamaare Ird Gird Barsa Aur Hamaare Upar Na Barsa Aisa Do² Ya Teen³ Martaba Farmaya, So Baadal Chhatne Lage, Madinah Munawwara Ke Daae’n-Baae’n Jaanib Jaane Lage Chunaanche Hamaare Ird-Gird (Kheto’n Aur Faslo’n Par) Baarish Hone Lagi. Hamaare Upar Band Ho Ga’i Yoo’n Hee Allah Ta’ala Apne Nabi Kee Barkat Aur Un Kee Qubooliyate Du’aa Dikhaata Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2261, Raqm-5742,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2335, Raqm-5982,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/315, Raqm-891,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/343, Raqm-967,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/344, Raqm-968,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/346, Raqm-974,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/349, Raqm-986,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1313, Raqm-3389,

Muslim Fi As-Sahih, 02/612, 614, Raqm-897,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/304, Raqm-1174,

Nasa’i Fi As-Sunan, 03/159, 166, Raqm-1515, 1517, 1527, 1528,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/404, Raqm-1269,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/558, Raqm-1818,

Ibn Jarood Fi Kitab Al-Muntaqa, 01/75, Raqm-256,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 02/338, Raqm-1423,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/272, Raqm-992,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 03/92, Raqm-4911,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/104, Raqm-12038,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 03/221, Raqm-5630,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/28, Raqm-29225,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/321,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/187, Raqm-592,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/285, Raqm-10673,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 06/82, Raqm-3334,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-664, 665, Raqm-746.]

03/747.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Farmate Hai Ki (Ek Martaba) Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Zamana-e Mubarak Me Sooraj Grahan Hua Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaze Kusoof Padhayi. Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam! Hum Ne Dekha Ki Aap Ne Apni Jagah Par Khade-Khade Koi Cheez Pakari Phir Hum Ne Dekha Ki Aap Kisi Qadr Peechhe Hat Ga’e Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mujhe Jannat Nazar Aa’i Thi Mein Ne Us Se Ek Khoosha (Guchchha) Pakad Liya Agar Use Tod Leta To Tum Rehti Dunya Tak Us Se Khaate Rehte (Aur Woh Khatm Na Hota).”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih,  01/261, Raqm-715,

Bukhari Fi As-Sahih,  01/357, Raqm-1004,

Bukhari Fi As-Sahih,  05/1994, Raqm-4901,

Muslim Fi As-Sahih, 02/627, Raqm-904,

Nasa’i Fi As-Sunan, 03/147, Raqm-1493,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/578, Raqm-1878,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/186, Raqm-445,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/298, Raqm-2711, 3374,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 07/73, Raqm-2832, 2853,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 03/98, Raqm-4925,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 03/321, Raqm-6096,

Shafi’iy Fi Al-Sunan Al-Ma’thoorah, 01/140, Raqm-47,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-665, 666, Raqm-747.]

04/748.    “Hazrat Jaabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Farmate Hai Ki Hudaybiya Ke Din Logo’n Ko Pyaas Lagi Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saamne Paani Kee Ek Chhaagal (Mitti Ka Bartan Jis Me Musafir Paani Bharte Hain) Rakhi Hu’i Thi Aap SallAllahu SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Se Wuzoo Farmaya.  Log Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Taraf Jhaptey To Aa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tumhe’n Kya Hua Hai, Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Hamaare Paas Na Wuzoo Ke Liye Paani Hai Na Peene Liye. Sirf Yahi Paani Hai Jo Aap Ke Saamne Rakkha Hai. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne (Yeh Sun Kar) Mubarak Haath Chhaagal Ke Andar Rakkha To Fauran Chasmo’n Kee Paani Ungaliyo’n Ke Darmiyan Se Joshe Maar Kar Nikalne Laga Chunaanche Hum Sab Ne (Khoob Paani) Piya Aur Wuzoo Bhi Kar Liya (Saalim Raawi Kehte Hain) Mein Ne Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Poochha : Us Waqt Aap Kitne Aadami They? Unhone Kaha : Agar Hum Ek Laakh Bhi Hote Tab Bhi Woh Paani Hum Sab Ke Liye Kaafi Ho Jaata Jab Ki Hum To Pandarah Sau They.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1310, Raqm-3383,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1526, Raqm-3921, 3923,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2135, Raqm-5316,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1831, Raqm-4560,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/329, Raqm-14562,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 01/65, Raqm-125,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 14/480, Raqm-6542,

Darami Fi As-Sunan, 01/21, Raqm-27,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 04/82, Raqm-2107,

Bayhaqi Fi Al-I’tiqad,01/272,

Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/29, Raqm-82,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-666, 667, Raqm-748.]

05/749.    “Hazrat Jaabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Farmate Hai Ki Ek Ansari Aurat Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ!  Kya Mein Aap Ke Tashreef Farma Hone Ke Liye Koi Cheez Na Banwa Doo’n,  Kyun Ke Mera Ghulam Badha’i Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Tum Chaao To (Banwa Do) Us Aurat Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Liye Ek Mimbar Banwa Diya Jum’a Ka Din Aaya To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Usee Mimbar Par Tashreef Farma Hu’e Jo Taiyaar Kiya Gaya Tha Lekin (Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Mimbar Par Tashreef Rakhne Kee Wajah Se) Khajoor Ka Woh Tana Jis Se Teyk Laga Kar Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Khutba Irshad Farmate They (Hijro Firaaqe Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me) Chilla (Kar Ro) Pada Yaha’n Tak Ki Phatne Ke Qareeb Hogaya Yeh Dekh Kar Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mimbar Se Utar Aa’e Aur Khajoor Ke Sutoon Ko Gale Se Laga Liya. Sutoon Us Bachche Kee Tarah Rone Laga,  Jise Thapki De Kar Chup Karaya Jaata Hai Yaha’n Tak Ki Use Sukoon Aa Gaya.”

رواه البخاري والترمذي والنساءي وابن ماجه،.

وقال الترمذي : هذا حديث حسن صحيح.

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/378, Raqm-1989,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1314, Raqm-3391, 3392,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/172, Raqm-438,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/594, Raqm-3627,

Nasa’i Fi As-Sunan, 03/102, Raqm-1396,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/454, Raqm-1414, 1417,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/226,

Darami Fi As-Sunan, 01/23, Raqm-42,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/139, Raqm-1776, 1777,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 03/186, Raqm-5253,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 14/48, 43, Raqm-6506,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 06/114, Raqm-3384,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-667, 668, Raqm-749.]

06/750.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Farmate Hai Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Kuchh Khajoore’n Le Kar Haazir Hua Aur ‘Arz Kiya Ya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam! In Me Allah Ta’ala Se Barkat Kee Du’aa Farmaa’e. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Unhe’n Ikat’tha Kiya Aur Mere Liye Un Me Dua-e Barkat Farmaa’i. Phir Mujhe Farmaya : Inhe’n Le Lo Aur Apne Us Toshaadaan Me Rakh Do Aur Jab Inhein Lena Chaaho To Apna Haath Us Me Daal Kar Le Liya Karo Use Jhaadna Nahin, So Mein Un Mein Ne Un Me Se Itne-Itne (Ya’ni Kai) Wasak (Ek Wasak Do Sau Chaalis-240 Kilo Gram Ke Baraabar Hota Hai) Khajoore’n Allah Ta’ala Ke Raaste Me Kharch Kee Hum Khud Us Me Se Khaate Aur Doosro’n Ko Bhi Khilaate Kabhi Woh Toshaadaan Meri Kamar Se Juda Na Hua (Ya’ni Khajoore’n Khatm Na Hu’i) Yaha’n Tak Ki Jis Din Hazrat ‘Uthman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Shaheed Hu’e To Woh Mujh Se Kahi’n Gir Gaya.”

رواه الترمذي وأحمد وابن حبان.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/685, Raqm-3839,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/352, Raqm-8613,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 14/467, Raqm-6532,

Ibn Rahuyah Al-Musnad, 01/75, Raqm-03,

Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/527, Raqm-215,

Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 06/117,

Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 02/231,

Suyooti Fi Khasa’is Al-Kubra Aw Kifayah At-Talib Al-Labib Fi Khasa’is Al-Habib, 02/85,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-668, 669, Raqm-750.]

07/751.    “Hazrat ‘Abd Allah (Bin Mas’ood) RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Hum To Mo’jizat Ko Barkat Shumaar Karte They Tum Unhe’n Khauf Dilaane Shumaar Karte Ho. Hum Ek Safar Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Humrah They Ki Paani Kee Kami Ho Ga’i. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kuchh Bacha Hua Paani Le Aao. Logo’n Ne Ek Bartan Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Pesh Kiya, Jis Me Thoda Sa Paani Tha. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apna Daste Aqdas Us Bartan Me Daala Aur Farmaya : Paak Barkat Waale Paani Kee Taraf Aao Aur Barkat Allah Ta’ala Kee Taraf Se Hai. Mein Ne Dekha Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Mubarak Ungaliyo’n Se (Chashme Kee Tarah) Paani Ubal Raha Tha.  Is Ke Ilaawah Hum Khaana Khaate Waqt Khaane Se Tasbeeh Kee Aawaaz Suna Karte They.”

رواه البخاري والترمذي.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1312, Raqm-3386,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/597, Raqm-3633,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/460, Raqm-4393,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 01/102, Raqm-204,

Darami Fi As-Sunan, 01/28, Raqm-29,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/316, Raqm-31722,

Bazzar Fi Al-Musnad, 04/301, Raqm-1978,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/384, Raqm-4501,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 09/253, Raqm-5372,

Shashi Fi Musnad-ush-Shashi Al-Musamma Bi-‘l-Musnad Al-Kabir, 01/358, Raqm-346,

Lalaka’i Fi I’tiqad Ahl As-Sunnah,, 04/803, Raqm-1479,

Aboo Mahasin Fi Mu’tasar Al-Mukhtasar, 01/08,

Bayhaqi Fi Al-I’tiqad,01/272,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-669, 670, Raqm-751.]

08/752.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Paani Ka Ek Bartan Pesh Kiya Gaya Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jawra’ Ke Maqaam Par They.  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Bartan Ke Andar Apna Mubarak Haath Rakh Diya To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Mubarak Ungaliyo’n Ke Darmiyan Se Paani Ke Chashme Phoot Nikale Aur Tamam Logo’n Ne Wuzoo Kar Liya. Hazrat Qataada Kehte Hai Ki Mein Ne Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Poochha Aap Kitne (log) They? Unhone Jawaab Diya Teen Sau Ya Teen Sau-300 Ke Lagbhag.”

Muttafaque ‘Alayh,

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1309, 1310, Raqm-3379, 3380, 5316,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1783, Raqm-2279,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/596, Raqm-3631,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/32, Raqm-62,

Shafi’iy Fi Al-Musnad, 01/15, Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/132, Raqm-12370,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 01/193, Raqm-878,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/316, Raqm-31724,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-670, 671, Raqm-752.]

09/753.    “Hazrat Bara’ Bin ‘Aazib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hai Ki Waqe’a-e Hudaybiya Ke Din Hamari Ta’daad Chawdah Sau Thi Hum Hudaybiya Ke Kuwe’n Se Paani Nikaalte Rahe Yaha’n Tak Ki Hum Ne Us Me Paani Ka Ek Qatra Bhi Na Chhoda (Sahaba-e Kiram Paani Khatm Hone Se Pareshaan Ho Kar Baargaahe Risalat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Haazir Hu’e) So Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Sallam Kuwe’n Ke Munder Par Aa Baythey Aur Paani Talab Farmaya, Us Se Kulli Farmaa’i Aur Woh Paani Kuwe’n Me Daal Diya Thodi Hee Der Baa’d (Paani Is Qadr Oopar Aa Gaya Ki) Hum Us Se Paani Peene Lage Yaha’n Tak Ki Khoob Sairaab Hu’e Aur Hamari Sawariyo’n Ke Jaanwar Bhi Sairaab Ho Ga’e.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1311, Raqm-3384,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-671, 672, Raqm-753.]

10/754.    “Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Mere Waalide Muhtaram (Hazrat ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu) Wafaat Paa Ga’e Aur Un Ke Oopar Qarz Tha So Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Haazir Hua Aur ‘Arz Kiya Mere Waalid Ne (Wafaat Ke Baa’d) Peechhe Qarza Chhoda Hai Aur Mere Paas (Us Kee Adaaygi Ke Liye) Kuchh Bhi Nahin, Siwaye Khajooro’n Ke (Chand) Darakhto’n Se Paidawaar Haasil Hoti Hai Aur Un Se Kai Saal Bhi Qarz Ada Nahin Hoga. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mere Saath Tashreef Le Chale’n Taa Ki Qarz Khwah Mujh Par Sakhti Na Kare, So Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam (Un Ke Saath Tashreef Le Ga’e Aur Un Ke) Khajooro’n Ke Dhero’n Me Se Ek Dher Ke Gird Phire Aur Du’aa Kee Phir Doosre Dher (Ke Saath Bhi Aisa Hee Kiya) Us Ke Baa’d Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ek Dher Par Bayth Ga’e Aur Farmaya Qarz Maangne Waalo’n Ko Mu’aaf Kar Dete Jaao So Sab Qarz Maangne Waalo’n Ka Poora Qarz Ada Kar Diya Gaya Aur Utni Hee Khajoore’n Bach Bhi Ga’i Jitni Ke Qarz Me Dee Thi.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1312, Raqm-3387,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/748, Raqm-2020,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/365, Raqm-14977,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-672, 673, Raqm-754.]

11/755.    “Hazrat Asma Binte Umaysh RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Wahyi Naazil Ho Rahi Thi Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Sare Aqdas Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee God Me Thaa. Woh Asr Kee Namaz Nahin Padh Sake Yaha’n Tak Sooraj Ghuroob  Ho Gaya. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Du’aa Kee ‘Aye Allah ‘Ali Teri Aur Tere Rasool Kee Ita’at Me Thaa Us Par Sooraj Waapas Lauta De’ Hazrat Asma Farmati Hai : Meine Use Ghuroob Hote Hu’e Bhi Dekha Aur Yeh Bhi Dekha Ki Woh Ghuroob Hone Ke Baa’d Dobaara Tuloo’ Huaa.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 24/147, Raqm-390,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/297,

Dhahabi Fi Mizan-ul-I’tidal Fi Naqd-ir-Rijal, 05/205,

Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 06/73,

Qadi ‘Iyad Fi Ash-Shifa, 01/400,

Suyooti Fi Khasa’is Al-Kubra Aw Kifayah At-Talib Al-Labib Fi Khasa’is Al-Habib, 02/137,

Halabi Fi As-Sirat-ul-Halabiyyah, 02/103,

Qurtubi Fi Al-Jaame’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 15/197,

رواه الطبراني بأسانيد،  ورجال أحدهما رجال الصحيح غير إبراهيم بن حسن،

وهو ثقة،  ابن حبان، ورواه الطحاوى في مشكل الآثار( ٩/2، ٣٨٨/٤، ٣٨٩)

وللحديث طرق أخرى عن أسماء،  وعن أبي هريرة، وعليّ ابن أبي طالب، وأبي سعيد الخدري رضي الله تعالى عنه.

وقد جمع طرقه أبو الحسن الفضلي، وعبيد الله الحسكا المتو فى سنة( ٤٧٠) في ( مسألة في تصحيح حديث ردّ الشمس)،

والسيوطي في ( كشف اللبس عن حديث الشمس)-

وقال السيوطي فى الخصائص الكبرى( ١٣٧/٢):

أخرجه ابن منده، و ابن شاهين، و الطبرانى بأسانيد بعضها على شرط الصحيح –

وقال الشيباني في حدائق الأنوار( ١٩٣/١):

أخرجه الطحاوي في مشكل الحديث_الآثار_بإسنادين صحيحين-

وقال الإمام النووي فى شرح مسلم( ٥٢/١٢):

ذكر القاضى رضي الله تعالى عنه : أن نبينا صلى الله تعالى عليه وسلم حبست له الشمس مرّتين….. ذكر ذلك ألطحاوي وقال :رواته ثقات –

وحسّنه الحافظ أبوزدعة العراقى في تكملة الكتاب والده “طرح التثريب “( ٢٧٤/٧)_

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-673, 674, Raqm-755.]

12/756.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Ek Ansaari Gharaaane Me Ek Oont Tha Jis Par (Woh Kheti Baadi Ke Liye) Paani Bhara Karte They Aur Woh Un Ke Qaabu Me Na Raha Aur Unhe’n Apni Pusht (Paani Laane Ke Liye) Istemaal Karne Se Rok Diya. Ansaar Sahaba Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Haazir Hu’e Aur ‘Arz Kiya Hamara Ek Oont Tha Hum Use Kheti Baadi Ke Liye Paani Laane Ka Kaam Lete They Aur Woh Hamare Qaabu Me Nahin Raha Aur Ab Woh Khud Se Koi Kaam Nahin Lene Deta Hamare Khet, Khalihaan Aur Baagh Paani Kee Qillat Ke Ba’is Sookh Ga’e Hain. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Se Farmaya : Utho, Pas Saare Uth Khade Hu’e (Aur Us Ansaari Ke Ghar Tashreef Le Ga’e) Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ahaate Me Daakhil Hu’e To Oont Jo Ek Kone Me Khada Tha Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Oont Kee Taraf Chal Pade To Ansaar Kehne Lage (Ya RasoolAllah ﷺ!) Yeh Oont Kutte Kee Tarah Baawla Ho Chuka Hai Aur Hame’n Is Kee Taraf Se Aap Par Hamle Ka Khatara Hai. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mujhe Is Se Koi Nuqsaan Na Hoga. Oont Ne Jaise Hee Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Dekha To Aap Kee Taraf Badha Yaha’n Tak (Qareeb Aa Kar) Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Samne Sajde Me Gir Pada. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Use Peshaani Se Pakada Aur Pehle Kee Tarah Dubaara Kaam Par Laga Diya. Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne Yeh Dekh Kar Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me ‘Arz Kiya Ya RasoolAllah ﷺ! Yeh To Be-Aql Jaanwar Hote Hu’e Bhi Aap Ko Sajda Kar Raha Hai Aur Hum To ‘Aqlmand Hain. Is Se Ziyaada Haqq Daar Hain Ki Aap Ko Sajda Kare Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Jaanwaro’n Se Ziyaada Hum Aap Ko Sajda Karne Ke Haqq Daar Hain, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kisi Bashar Ke Liye Jaa’iz Nahin Ki Woh Kisi Bashar Ko Sajda Kare Aur Agar Kisi Bashar Ko Sajda Karna Jaa’iz Hota To Mein Beewi Ko Hukm Deta Ki Woh Apne Shauhar Ko Us Kee Qadro Manzilat Kee Wajeh Se Sajda Kare Jo Ki Use Beewi Par Haasil Hai.”

رواه أحمد ونحوه الدارمي والطبراني وإسناده حس.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/158, Raqm-12635,

Darami Fi As-Sunan, 01/22, Raqm-17,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/81, Raqm-9189,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/320, Raqm-1053,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah, 05/265, Raqm-1895,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif,  03/35, Raqm-2977,

Husayni Al-Bayan Wat-Ta’rif, 02/171,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id,  09/04, 09,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 05/329,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-674, 675, Raqm-756.]

13/757.    “Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Hazrat Umma Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Ek Chamade Ke Bartan Me Ghee Bheja Karti Thi’n, Un Ke Bete Aa Kar Un Se Saalan Maangte, Un Ke Paas Ko’i Cheez Nahin Hoti Thi To Jis Chamade Ke Bartan Me Woh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Liye Ghee Bheja Karti’n, Us Ka Rookh Karti’n, Us Me Unhe’n Ghee Mil Jaata Un Ke Ghar Me Saalan Ka Mas’ala Isi Tarah Hal Hota Raha Yaha’n Tak Ki Unhone Ek Din Us Chamade Ke Bartan Ko Nichaud Liya Phir Woh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Haazir Hu’in Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Ne Chamade Ke Bartan Ko Nichaud Liya, Unhone ‘Arz Kiya : Ha’n Ya RasoolAllah ﷺ! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Tum Use Usi Tarah Rehne Deti To Us Se Hamesha (Ghee) Milta Rehta.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1784, Raqm-2280,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/340, 347, Raqm-14705, 14782,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 12/505, Raqm-2984,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari, 11/281,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah, 08/298, Raqm-12239,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-675, 676, Raqm-757.]

14/758.    “Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Ek Shakhs Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Haazir Ho Kar Kuchh Khaana Talab Kiya Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Use Aadha Wasak (Ek Sau Bees Kilograms ) Jow De Di’e. Woh Shakhs Us Kee Beewi Aur Un Dono’n Ke (Ha’n Aane Waale) Mehmaan Bhi (Ek Zamaane Tak) Wahi Jow Khaate Rahe Yaha’n Tak Ki Ek Din Us Ne Woh Jow Maap Liye Phir Woh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Aaya To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Tum Us Ko Na Maap Te To Tum Woh Jow Khaate Rehte Aur Woh Yoo’n Hee (Hamesha) Baaqi Rehte.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1784, Raqm-2281,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/337, 347, Raqm-14661, 14783,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-676, 677, Raqm-758.]

15/759.    “Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Junge Uhad Ke Din Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Paas Do² Aise Hazaraat Ko Dekha Jo Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Jaanib Se Lad Rahe They Unhone Safed Kapade Pehne Hu’e They Badi Bahaaduri Se Lad Rahe They Mein Ne Unhe’n Us Se Pehle Na Dekha Tha Na Baa’d Me Ya’ni Woh Jibra’il Wa Mika’il ‘Alayhima As-Salam They.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1489, Raqm-3828,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2192, Raqm-5488,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1802, Raqm-2306,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/171, Raqm-1468,

Shashi Fi Musnad-ush-Shashi Al-Musamma Bi-‘l-Musnad Al-Kabir, 01/185, Raqm-133,

Aboo Nu’aym Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 01/51, Raqm-34,

Khatib Tabarizi Mishkat-ul-Masabih, 02/382, Raqm-7575,

Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 01/107,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-677, Raqm-759.]

16/760.    “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Jab Hame’n Aboo Sufyan (Ke Qaafile Kee Shaam Se) Aane Kee Khabar Pahonchi To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Se Mashwara Farmaya. Hazaar Sa’d Bin ‘Ubaada RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Khade Ho Kar ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Us Zaat Kee Qasam Jis Ke Qabza-e Qudrat Me Meri Jaan Hai Agar Aap Hame’n Samundar Me Ghode Daalne Ka Hukm De’n To Hum Samumdar Me Ghode Daal Denge Aur Agar Aap Hame’n Barkil Ghimaad Pahaad Se Ghodo’n Ke Seene Takaraane Ka Hukm De’n To Hum Aisa Bhi Karenge. Tab Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Logo’n Ko Bulaaya,  Log Aa’e Aur Waadi-e Badr Me Utre Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yen Fula’n Kafir Ke Girne Ki Jagah Hai, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Zameen Par Us Jagah Aur Is Jagah Apna Mubarak Haath Rakhte. Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Phir Doosre Din Dauraane Jung Ko’i Kafir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bataa’i Hu’i Jagah Se Zarra Baraabar Bhi Idhar-Udhar Nahin Mara.”

[Muslim Fi As-Sahih, 03/1403, Raqm-1779,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2202, Raqm-2873,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/58, Raqm-2071,

Nasa’i Fi As-Sunan, 04/108, Raqm-2074,

Nasa’i Fi As-SAs-Sunan-ul-Kubra, 01/665, Raqm-2201,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 11/24, Raqm-4722,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/219, Raqm-13320,

Bazzar Fi Al-Musnad, 01/340, Raqm-222,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/362, Raqm-36708,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/219, Raqm-8453,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/233, Raqm-1085,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 06/69, Raqm-3322,

Ibn Jawzi Fi Sifat-us-Safwah, 01/102,

Khatib Tabarizi Mishkat-ul-Masabih, 02/381, Raqm-5871,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-677, 678, Raqm-760.]

17/761.    “Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hum Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath (Ek Ghajwah) Ke Safar Par Rawaana Hu’e Yaha’n Tak Hum Ek Kushaada Waadi Me Pahonche. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Raf’a Haajat Ke Liye Tashreef Le Ga’e. Mein Paani Wagairah Le Kar Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Peechhe Gaya. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne (Ird-Gird) Dekha Lekin Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Parda Ke Liye Ko’i Cheez Nazar Na Aayi, Waadi Ke Kinaare Do² Darakht They, Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Un Me Se Ek Darakht Ke Paas Ga’e. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Kee Shaakho’n Me Se Ek Shaakh Pakdi Aur Farmaya : Allah Ta’ala Ke Hukm Se Meri Ita’at Kar. Woh Darakht Us Oont Kee Tarah Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Farmabardaar Ho Gaya Jis Kee Naak Me Nakel Ho Aur Woh Apne Haankne Waale Ke Taabe Hota Hai, Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Doosre Darakht Ke Paas Ga’e Aur Us Kee Shaakho’n Me Se Ek Shaakh Pakad Kar Farmaya : Allah Ke Izn Se Meri Ita’at Kar, Woh Darakht Bhi Pehle Darakht Kee Tarah Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Taabe Ho Gaya Yaha’n Tak Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Dono’n Darakhto’n Ke Darmiyan Pahonche To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Dono’n Darakhto’n Ko Mila Diya Aur Farmaya : Allah Ke Izn Se Jud Jaao, So Woh Dono’n Darakht Jud Ga’e, Mein Waha’n Baitha Apne Aap Se Baate’n Kar Raha Tha, Mein Ne Achaanak Dekha Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Tashreef La Rahe Hain Aur Woh Dono’n Darakht Apne-Apne Saabiqa Asl Muqaam Par Khade They. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Jaabir! Tum Ne Woh Muqaam Dekha Tha Jaha’n Mein Khada Tha. Mein Ne ‘Arz Kiya : Ji! Ya RasoolAllah ﷺ! Farmaya : Un Dono’n Darakhto’n Ke Paas Jaao Un Me Se Har Ek Kee Ek-Ek  Shaakh Kaat Kar Laawo Aur Jab Us Jagah Pahoncho Jaha’n Mein Khada To Ek Shaakh Apni Daae’n Jaanib Aur Ek Shaakh Baae’n Jaanib Daal Dena. Hazrat Jaabir Kehte Hain Ki Mein Ne Khade Ho Kar Ek Pat’thar Toda Aur Tez Kiya, Phir Mein Un Darakhto’n Ke Paas Gaya Aur Har Ek Se Ek Shaakh Todi, Phir Mein Unhe’n Ghaseet Kar Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Khade Hone Ki Jagah Laaya Us Jagah Ek Shaakh Daayi’n Jaanib Aur Ek Shaakh Baayi’n Jaanib Daal Di Aur Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Haazir Ho Kar ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Mein Ne Aap Ke Hukm Par ‘Amal Kar Diya Hai. Magar Is Amal Ka Sabab Kya Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Us Jagah Do² Qabro’n Ke Paas Se Guzara Jin Me Qabr Waalo’n Ko ‘Azaab Ho Raha Tha, Mein Ne Chaaha Ki Meri Shafa’at Ke Sabab Jab Tak Woh Shaakhe’n Sarsabz Wa Taaza Rahe’n Un Ke ‘Azaab Me Kami Rahe.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2306, Raqm-3012,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 14/455, 456, Raqm-6524,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 01/94, Raqm-452,

Aboo Nu’aym Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 01/53, 55, Raqm-37,

Ibn ‘Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 01/222,

Khatib Tabarizi Mishkat-ul-Masabih, 02/383, Raqm-5885,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-679, 680, 681, Raqm-761.]

18/762.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Zayd , Hazrat Ja’far Aur Hazrat Ibn Rawaaha Ke Muta’alliq Khabar Aane Se Pehle Hee Un Ke Shaheed Ho Jaane Ke Muta’alliq Logo’n Ko Bata Diya Tha Chunanche Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ab Jhanda Zayd Ne Sanbhaala Hua Hai Lekin Woh Shaheed Ho Ga’e. Ab Ja’far Ne Jhanda Sanbhaal Liya Hai Aur Woh Bhi Shaheed Ho Ga’e. Ab Ibn Rawaah Ne Jhanda Sanbhaala Hai Aur Woh Bhi Jaame Shahaadat Nosh Kar Ga’e. Yeh Farmate Hu’e Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Chashmaane Mubarak Ashk Baar Thi. (Farmaya) Yaha’n Tak Ki Ab Allah Kee Talwaro’n Me Se Ek Talwaar (Hazrat Khaalid Bin Walid) Ne Jhanda Sanbhaal Liya Hai Aur Us Ke Haatho’n Allah Ta’ala Ne Kafiro’n Par Fat’h ‘Ata Farmaa’i.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1554, Raqm-4014,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/420, Raqm-1189,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1030, Raqm-2645,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/115, Raqm-2898,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1328, Raqm-3431,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1372, Raqm-3547,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra,  05/180, Raqm-8604,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/204, Raqm-1750,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/337, Raqm-5295,

وقال : هذا حديث صحيح الإسناد.

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/105, Raqm-1459, 1461,

Khatib Tabarizi Mishkat-ul-Masabih, 02/384, Raqm-5887,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-681, 682, Raqm-762.]

19/763.    “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ek Taweel Riwayat Me Bayan Karte Hain Ki Ek Aadami Jo Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Liye Kitaabat Kiya Karta Tha Woh Islam Se Murtad Ho Gaya Aur Mushriko’n Se Jaa Kar Mil Gaya Aur Kehne Laga : Mein Tum Me Sab Se Ziyaada Muhammad Mustafa Ko Jaan‘ne Waala Hoo’n Mein Un Ke Liye Jo Chaahta Tha Likhta Tha So Woh Shakhs Jab Mar Gaya To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Use Zameen Qubool Nahin Karegi. Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Unhe’n Hazrat Aboo Talha RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Bataaya Woh Us Jagah Aa’e To Woh Mara Tha To Dekha Us Kee Laash Qabr Se Baahar Padi Thi. Poochha Is (Laash) Ka Kya Mu’amla Hai? Logo’n Ne Kaha : Hum Ne Ise Ka’i Baar Dafan Kiya Magar Zameen Ne Ise Qubool Nahin Kiya.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2145, Raqm-2781,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/120, Raqm-12236, 13348,

Bayhaqi Fi As-Sunan-us-Sughra, 01/568, Raqm-1054,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/381, Raqm l-1278,

Aboo Mahasin Fi Mu’tasar Al-Mukhtasar, 02/188,

Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 02/387, Raqm-5798,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-682, Raqm-763.]

20/764.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai. Woh Bayan Karte Hain Ki Ek A’raabi Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Haazir Hua Aur ‘Arz Kiya : Mujhe Kaise Ilm Hoga Ki Aap Allah Ta’ala Ke Nabi Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Mein Khajooor Ke Us Darakht Par Lage Hu’e Us Ke Guchchhe Ko Bulaaoo’n To Kya Too Gawaahi Dega Ki Mein Allah Ta’ala Ka Rasool Hoo’n? Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Use Bulaaya To Woh Darakht Se Utarne Laga Yaha’n Tak Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Qadamo Me Aa Gira. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Use Farmaya : Waapas Chale Jaao. To Woh Waapas Chala Gaya.Us A’raabi Ne (Nabaataat Kee Muhabbato Ita’ate Rasool Ka Yeh Manzar) Dekh Kar Islam Qubool Kar Liya.”

رواه الترمزي والحاكم والطبراني.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/594, Raqm-3628,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/676, Raqm-4237,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/110, Raqm-12622,

Bukhari Fi At-Tarikh-ul-Kabir, 03/03, Raqm-06,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,09/538, 539, Raqm-527,

Bayhaqi Fi Al-I’tiqad,01/48,

Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih,  02/394, Raqm-5924,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-682, 683, Raqm-764.]

21/765.    “Hazrat Aboo Zayd Akhtab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apna Daste Aqdas Mere Chehre Par Phera Aur Mere Liye Du’aa Farmaa’i,  Azrah (Raawi) Kehte Hain Ki Aboo Zayd Ek Sau Bees Saal Baa’d Zinda Rahe Aur Un Ke Sar Me Sirf Chand Baal Safed They.”

رواه الترمزي والطبراني.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/594, Raqm-3629,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 17/27, Raqm-45,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 18/21, Raqm-35,

Shaybani Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 04/199, Raqm-2182,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/412,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-683, Raqm-765.]

22/766.    “Hazrat Qataada Bin Nu’man RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Ghazwa Badr Ke Din (Teer Lagne Se) Un Kee Aankh Zaaya Ho Ga’i Aur Dhela Nikal Kar Chehre Par Beh Gaya. Deegar Sahaba Ne Use Kaat Dena Chaaha. To RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Daryaaft Kiya Gaya To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Mana’ Farma Diya. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Du’aa Farmaa’i Aur Aankh Ko Dobaara Us Ke Muqaam Par Rakh Diya. So Hazrat Qataada RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Aankh Is Tarah Thik Ho Ga’i Ki Maaloom Bhi Nahin Hota Tha Ki Kaunsee Aankh Kharaab Hai.”

[Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 03/120, Raqm-1549,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 04/348, Raqm-6929,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/297,

Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 01/187,

Dhahabi Fi Siyar A’lam An-Nubala’, 02/333,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 07/430, Raqm-814,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Isabah, 04/208, Raqm-4888,

Ibn Qani’ Fi Mu’jam Al-Sahabah, 02/361,

Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 03/291,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-684, Raqm-766.]

23/767.    “Hazrat Bara’a Bin ‘Aazib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Aboo Raafi’ Yahoodi Kee (Sarkobi Ke Liye Us) Taraf Chand Ansaari Mardo’n Ko Bheja Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Ateek RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Un Par Ameen Muqarrar Kiya. Aboo Raafi’ Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Takleef Pahonchaata Tha Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke (Deen Ke) Khilaaf (Kuffaar Kee) Madad Karta Tha Aur Sar Zameene Hijaaz Me Apne Kile Me Rehta Tha….(Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Ateek RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Aboo Raafi’ Yahoodi Ke Qatl Kee Kaarrwaa’i Bayan Karte Hu’e Farmaya) Mujhe Yaqeen Ho Gaya Ki Mein Ne Qatl Kar Diya Hai. Phir Mein Ne Ek-Ek Kar Ke Tamam Darwaaze Khol Di’e Yaha’n Tak Ki Zameen Par Aa Raha. Chaandni Raat Thi Mein Gir Gaya Aur Meri Pindali Toot Ga’i To Mein Use Amaame Se Baandh Diya….. Phir Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Haazir Hua Aur Saara Waaqe’a ‘Arz Kar Diya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Paanw Aage Karo. Mein Ne Paanw Phaila Diya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Par Daste Karam Phera To (Tooti Hu’i Pindali Jud Ga’i Aur) Phir Kabhi Dard Tak Na Hua.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1482, Raqm-3813,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 09/80,

Aboo Nu’aym Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 01/125,

Ibn ‘Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab, 03/946,

Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa’l-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 02/56,

Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 04/139,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-684, 685, Raqm-767.]

24/768.    “Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Bayan Karti Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Aal (Ya’ni Ahle Bayt) Ke Li’e Ek Bail Rakkha Gaya. Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Baahar Tashreef Laate To Woh Khelta Koodta Aur (Khushi Se) Josh Me Aa Jaata Aur (Haalate Wajd Me) Kabhi Aage Badhta Aur Kabhi Peechhe Aata Aur Jab Woh Yeh Mehsoos Karta Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Andar Tashreef Le Ga’e Hain To Phir Saakit Khada Ho Jaata Aur Koi Harkat Na Karta Jab Tak Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ghar Me Maujood Rehte Is Dar Se Ki Kahin Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Takleef Na Ho.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/112, 150, Raqm-24862, 2521,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 08/121, Raqm-4660,

Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 03/617, Raqm-1192,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 04/195,

Bayhaqi Fi Dala’il-un-Nubuwwah,  06/31,

Ibn ‘Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 06/314,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/03,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-685, 686, Raqm-768.]

25/769.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne ‘Arz Kiya Ya RasoolAllah ﷺ! Mein Aap Se Bohat Kuchh Sunta Hoo’n Magar Bhool Jaata Hoo’n To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Apni Chaadar Phailaao. Mein Ne Apni Chaadar Phaila Dee. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne (Fiza Me) Chulloo Bhar-Bhar Kar Us Me Daal Di’e Aur Farmaya : Ise Seene Se Laga Lo Mein Ne Aisa Hee Kiya Bas Us Ke Baa’d Mein Kabhi Kuchh Nahin Bhoola.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari As-Sahih 01/56, Raqm-119,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1939, Raqm-2491,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/684, Raqm-3834, 3835,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/247, Raqm-881,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad,  11/121, Raqm-6248,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-686, Raqm-769.]

26/770.    “Hazrat Jaabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Ahle Khaibar Me Se Ek Yahoodi Aurat Ne Bakri Ke Bhoo’ne Hu’e Gosht Me Zahar Milaaya Phir Woh (Zahar Aalood Gosht) Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Bataur Tohfa Pesh Kar Diya. So Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Kee Dastee (Raan) Lee Aur Use Khaane Lage Aur Chand Deegar Sahaba Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Bhi Khaane Lage. (Usee Waqt) Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Un Se Farmaya : Apne Haath (Khaane Se) Rok Lo Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Aurat Kee Taraf Ek Aadami Bheja Jo Use Bula Kar Laaya.  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Poochha : Kya Tum Ne Is Gosht Me Zahar Milaaya Hai? Yahoodi Aurat Ne Kaha : Aap Ko Kis Ne Bataaya? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mujhe Is Dastee (Ya’ni Bakri Kee Raan) Ne Bataaya Hai Jo Mere Haath Me Hai. Aurat Ne Kaha : ‘Ha’n’. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tumhara Is Fe’l  Se Kya Iraada Tha? Us Ne Kaha : (Mein Ne Socha) Agar Aap Nabi Hain To Zahar Hargiz Aap Ko Koi Nuqsaan Nahin Dega Aur Agar Nabi Nahin Hain To Hame’n Aap Se Najaat Mil Jaa’egi. Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Use Mu’aaf Farma Diya Aur Koi Saza Nahin Dee.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/17, Raqm-4510,

Darami Fi As-Sunan, 01/46, Raqm-68,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/46,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-686, 687, Raqm-770.]

27/771.    “Hazrat Aboo Zayd Ansaari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Mujhe Farmaya : Mere Qareeb Ho Jaao. Phir Mere Sar Aur Daadhi Par Apna Daste Mubarak Phera Aur Du’aa Farmaa’i : Ilahi! Ise Zeenat Bakhsh Aur Is Ke Husn-o Jamaal Ko Dawaam ‘Ata Farma. (Raawi Kehte Hain Ki) Unhone Sau Saal Se Ziyaada ‘Umr Paa’i Lekin Un Ke Sar Aur Daadhi Ke Chand Hee Baal Safed Hu’e The. Un Ka Chehra Saaf Aur Raushan Raha Aur Aakhiri Dam Tak Ek Zarra Bhar Shikan Bhi Chehre Par Namoodaar Na Hu’i.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/77, Raqm-21013,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 04/599, Raqm-5763,

Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 21/542, Raqm-4326,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-687, 688, Raqm-771.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-11 : ﴾Mo’jizaat Aur Karaamaat﴿

Awliya’ Aur Saaleheen Kee Karaamaat Ka Bayaan

Fasl-02 :

Awliya’ Aur Saaleheen Kee Karaamaat Ka Bayaan

 28/772.   “Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Zawja Mubaraka Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Bayan Karti Hain Ki Hazrat Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Gaaba (Naami Waadi) Me Unhe’n Khajooor Ke Chand Darakht Hiba Ki’e Jin Me Se Bees Wasaq Khajoore’n Aati Thi. Jab Hazrat Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Wafaat Ka Waqt Qareeb Aaya To Unhone Farmaya :
Aye Meri Pyari Beti! Aisa Doosara Koi Nahin Jis Ka Apne Baa’d Ghani Hona Mujhe Tum Se Ziyaada Pasand Ho Aur Apne Baa’d Mujhe Kisi Muflisi Ziyaada Gara’n Nahin. Mein Ne Tumhe’n Kuchh Darakht Di’e They Jin Se Bees Wasak Khajoore’n Aati Thi Agar Tumne Un Par Qabza Kiya Hota To Woh Tumhare Ho Jaate. Ab Woh Miraas Ka Maal Hai Aur Tumhare Do² Bhai Aur Do² Behne’n Hain. So Saare Maal Ko Allah Kee Kitaab (Ke Hukm) Ke Mutabik Taqseem Kar Lena. Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Farmati Hain : Mein Ne ‘Arz Kiya : Abba Jaan! Maal Khwaah Kitna Hee Ziyaada Hota Mein Chhod Deti Lekin Meri Bahan To Sirf Hazrat Asma Hain Doosri Kaun Hai? Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya Woh Binte Khaarija Ke Pet Me Hai Aur Mere Khayaal Me Woh Ladaki Hai Phir Unhone Ummi Kulsoom (Naami) Beti Ko Janm Diya.”

[Malik Fi Al-Muwatta’, 02/752, Raqm-1438,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 06/169, Raqm-11728, 12268,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 04/88,

Lalaka’i Fi Karamat Awliya’ Allah ‘‘Azza Wa Jalla, 01/177, Raqm-62,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 07/575, Raqm-11023,

Nawawi Fi Tahdhib-ul-Asma’ Wa Al-Lughat, 02/574, Raqm-1030, 1239,

Zayla’iy Fi Nasb-ur-Rayah Takhrij Ahadith Al-Hidayah, 04/122,

Aboo Ja’far At-Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 02/123, 257,

Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 03/194,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-689, 690, Raqm-772.]

29/773.    “Hazrat ‘Abd-ir-Rahman Bin Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Ek Taweel Waaqiye Me Marwi Hai Ki Ek Martaba Hazrat Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Sahaba-e Kiram (Ashabe Suffa) Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Kee Daawat Kee (Aur Un Ke Saath) Aap Ne Khud Bhi Khaana Khaaya Aur Doosro’n Ne Bhi. Har Luqma Uthaane Ke Baa’d Khaana Pehle Se Bhi Ziyaada Badh Jaata. Sayyadana Siddiq Akbar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Apni Beewi Se (Jo Bani Faraas Ke Qabeele Se Thi) Farmaya : Aye Hamsheera Bani Faaras! Yeh Kya Mu’amala Hai? Unhone ‘Arz Kiya : Aye Meri Aankho’n Kee Thandak (Mere Sartaaj) Is Waqt To Yeh Khaana Pehle Se Teen Guna Ziyaada Hai Chunanche Un Sab Sahaba Ne Bhi Khoob Khaaya Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Bhi Rawaana Kiya,  Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Bhi Tanaawul Farmaya.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/216, Raqm-577,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1312, Raqm-3388,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2274, Raqm-5789,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2274, 5790,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1627, Raqm-2057,

Bazzar Fi Al-Musnad, 06/228, Raqm-2263,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/197, Raqm-1702, 1712,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-690, 691, Raqm-773.]

30/774.    “Hazrat ‘Abd Allah Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Se Marwi Hai Ki Mein Ne Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Koi Aisee Baat Nahin Suni Jis Ke Muta’alliq Unhone Farmaya Ho Ki Mere Khayaal Me Yeh Is Tarah Hai Aur Woh Un Ke Khayaal Ke Mutaabik Na Nikli Ho.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1403, Raqm-3653,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/94, Raqm-4503,

Lalaka’i Fi Karamat Awliya’ Allah ‘‘Azza Wa Jalla, 01/119, Raqm-65,

Nawawi Fi Riyad-us-Salihin Min Kalami Sayyid Al-Mursalin, 01/568, Raqm-1510,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-691, Raqm-774.]

31/775.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Pehli Ummato’n Me Aise Log They Jin Ke Dil Me Allah Ta’ala Kee Taraf Se Baate’n Ilqa Kee Jaati Thi’n (Ya’ni Unhe’n Ilhaam Hota Tha) Aur Meri Ummat Me Agar Koi Aisa Shakhs Hai To Woh ‘Umar Hai.”

“Aur Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Riwayat Me Bayan Kiya Ki Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne Poochha (Ya RasoolAllah ﷺ!) Is Ilhaam Kee Kaifiyat Kya Hoti Hai? Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Us Kee Zubaan Par Farishe Bolte Hain.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1349, Raqm-3486,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1279, Raqm-3282,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1864, Raqm-2398,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/622, Raqm-3693,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/317, Raqm-6894,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/92, Raqm-4499,

وقال : هذا حديث صحيح الإسناد ،

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/55, Raqm-24330,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman,  05/48, Raqm-5734,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/18, Raqm-6726,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 03/278, Raqm-4839,

Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 02/479, Raqm-1058,

Hakim At-Tirmidhi Fi Nawadir-ul-Usool Fi Ma’rifati Ahadith-ir-Rasool ﷺ , 03/138,

Nawawi Fi Riyad-us-Salihin Min Kalami Sayyid Al-Mursalin, 01/564, Raqm-1504,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/69,

Bayhaqi Fi Al-I’tiqad,01/315,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 06/50,

Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 10/125,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-691, 692, Raqm-775.]

32/776.    “Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Jinnaat Wa Insaano’n Ke Shayaateen Ko Dekhta Hoo’n Ki Woh ‘Umar Ke Khauf Se Bhaag Ga’e Hain Aur Ek Riwayat Me Farmaya : Aye ‘Umar! Tum Se Shaitaan Darta Hai.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/621, Raqm-3690, 3691,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/309, Raqm-5957,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/353, Raqm-23039,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/333, Raqm-480,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 10/231, Raqm-4386,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/77,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-692, 693, Raqm-776.]

33/777.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Ek Lashkar Rawana Farmaya Aur Us Ka Saalaar Ek Shakhs Ko Muqarrar Kiya Jis Ka Naam Saaroya Tha. Ek Din Aap Khutba De Rahe The Ki Achaanak Dauraane Khutba Pukaara : Aye Saariya Pahaad Kee Ot Lo. (Jung Ke Baa’d) Lashkar Se Ek Qaasid Aaya Aur Kehne Laga : Aye Ameer-ul-Momineen Hum Dushman Se Lad Rahe They Aur Qareeb Tha Ki Woh Hame’n Shikast De De Phir Achanak Kisi Pukaarne Waale Ne Pukaara : Aye Saariya Pahaad Kee Ot Lo Hum Ne Apni Peethey Pahaad Kee Taraf Kar Lee To Allah Ta’ala Ne Unhe’n Shikast Aur Hame’n Fat’h ‘Ata Kee.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/219, Raqm-355,

Bayhaqi Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 06/370,

Bayhaqi Fi Al-I’tiqad,  01/314,

Aboo Nu’aym Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 03/210, 211,

Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 02/410, Raqm-5954,

Razi Fi At-Tafsir-ul-Kabir Aw Mafatih-ul-Ghayb, 21/87,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-693, Raqm-777.]

34/778.    “Hazrat Qais Bin Hajjaj Riwayat Karte Hain Us Se Jis Ne Unhe’n Bataaya Ki Misr Fat’h Hone Ke Baa’d Ahle Misr (Governor Misr) Hazrat Amr Bin Aas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Khidmat Me Haazir Hu’e Jab Ajamee Mahina Boona Shuru Hua. Aur ‘Arz Kiya : Aye Ameer! Hamare Is Darya-e Neel Ka Ek Ma’mool Hai Jis Kee Taameel Ke Baghair Us Me Rawaani Nahin Aati. Hazrat Amr Bin Aas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Bataao Woh Kya Ma’mool Hai. Un Logo’n Ne Jawaab Diya : Jab Us Mahine Baarah Taarikh Aati Hai To Hum Ek Kunwaari Ladaki Us Ke Waaledain Kee Razamandi Se Haasil Karte Hain Aur Phir Use Umda Se Umda Zewraat Aur Kapade Pehna Kar Darya-e Neel Kee Nazar Kar Dete Hain Hazrat Amr Bin Aas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Yeh Sab Islam Me Nahin Hoga. Islam Zamana-e Jahiliyat Kee Tamam (Behuda) Rusoom Ko Khatm Karta Hai. (Raawi Ne) Kaha : Ahle Misr Boona, Aur Misri Teen Maah Tak Is Hukm Par Qaa’em Rahe Neel Kee Rawaani Rooki Rahi Paani Ka Qatra Na Raha. Darya-e Neel Kee Rawaani Ko Band Dekh Kar Logo’n Ne Tarke Watan Ka Iraada Kiya. Hazrat Amr Bin Aas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Tamaam Haalaat Kee Ameer-ul-Momineen Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Ittila Dee. Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Jawab Me Likha Ki Aye Amr Bin Aas Tum Ne Jo Kuchh Kiya Durast Kiya Islam Ne Saabiqa (Behuda) Rusoom Ko Jad Se Ukhaad Phainka Hai. Mein Apne Is Khat Ke Andar Ek Ruq’aa Bhej Raha Hoo’n Use Darya-e Neel Me Daal Dena. Bas Jab Hazrat ‘Umar Faruq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Khat Hazrat Amr Bin Aas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak Pahoncha To Unhone Us Khat Ko Khola To Us Me Darj Zel Ibaarat Thi : ˝Allah Ta’ala Ke Bande Ameer-ul-Momineen Umar Kee Taraf Se Misr Ke Darya-e Neel Ke Naam. Hamdo Salaat Ke Baa’d (Aye Darya) Agar Too Apni Marzi Se Behta Hai To Beh. Aur Agar Allah Waahid Wa Qahhaar Hee Tujhe Rawa’n Karta Hai To Hum Khudawande Waahid Wa Qahhaar Se Sawaal Karte Hain Ki Woh Tujhe Jaari Kar De. Chunanche Amr Bin Aas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Woh Ruq’aa Darya-e Neel Me Daal Diya. Jab Ruq’aa Daala Hafte Ke Deen Sub’h Logo’n Ne Dekha Ki Ek Raat Me Allah Ta’ala Ne Solah Haath (Pehle Se Bhi) Ooncha Paani Darya-e Neel Me Jaari Farma Kar Ahle Misr Se Usee Din Se Aaj Tak Is Qadeem Zaalimaana Rasm Ko Hamesha Ke Liye Khatm Farma Diya.”

 رواه اللالكائ والقرطبي وابن كثير وأبو الشيخ في كتاب العظمة.

[Lalaka’i Fi Karamat Awliya’ Allah ‘‘Azza Wa Jalla, 01/119, Raqm-66,

Qurtubi Fi Al-Jaame’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 13/103,

Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim,03/465,

Razi Fi At-Tafsir-ul-Kabir Aw Mafatih-ul-Ghayb, 21/88,

Hamawi Mu’jam-ul-Buldan, 05/335,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-693, 694, 695, Raqm-778.]

35/779.    “Hazrat Imam Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Ek Taweel Riwayat Me Marwi Hai Farmate Hain Ki Hazrat ‘Uthman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Shaheed Kiya Gaya Aur Darwaje Par Hee Un Ka Sare Mubarak Pukaar Raha Tha : Mujhe Dafan Karo. Chunanche Un Ke Saathi Un Kee Na’sh Mubarak (Janaaze) Ko Baaghe Kawkab Me Le Ga’e Jaha’n Unhone Aap Kee Tadfeen Kee.”

[Tabarani Mu’jam-ul-Kabir, 01/78, Raqm-109,

Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 39/532,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/95,

Ibn ‘Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab, 03/1047,

Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 03/77,

Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 19/457,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Talkhis-ul-Habir, 02/145,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-695, Raqm-779.]

36/780.    “Hazrat Imam Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Hazrat ‘Uthman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Baaghe Kawkab Ke Paas Se Guzarte To Farmate Ki Yaha’n Ek Nek Insan Dafan Kiya Jaa’ega (Chunanche Woh Khud Usee Jagah Dafan Kie Ga’e).”

[Tabarani Mu’jam-ul-Kabir, 01/78, Raqm-109,

Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 39/532,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/95,

Ibn ‘Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab, 03/1047,

Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 03/77,

Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 19/457,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-696, Raqm-780.]

37/781.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Uthman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne (Apni Shahadat Ke Din) Sub’h Hu’i To Farmaya : Mein Ne Raat Ko Dekha Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye ‘Uthman! Aaj Ka Roza Tum Hamare Paas Iftaar Karo. So Us Din Hazrat ‘Uthman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Roza Rakkha Aur Usee Din Unhe’n Shaheed Kar Diya Gaya.”

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/110, Raqm-4554,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf,  06/181, Raqm-30510, 30511,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf,  07/442, Raqm-37085,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 07/232,

Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 03/74,

Ibn Hayyan Fi Tabaqat-ul-Muhaddithin Bi-Asbahan, 02/98, Raqm-182,

Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 39, 384,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-696, 697, Raqm-781.]

38/782.    “Ek Riwayat Me Hazrat ‘Uthman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ki Zawja Mohtaram Se Marwi Hai Ki Hazrat ‘Uthman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Hazrat Aboo Bakr Aur ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Dekha Woh Sab Mujhe Keh Rahe They (Aye ‘Uthman!) Aaj Raat Tumhari Iftari Hamare Saath Hai.”

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/110, Raqm-4554,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf,  06/181, Raqm-30510, 30511,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf,  07/442, Raqm-37085,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 07/232,

Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 03/74,

Ibn Hayyan Fi Tabaqat-ul-Muhaddithin Bi-Asbahan, 02/98, Raqm-182,

Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 39, 384,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-696, 697, Raqm-782.]

39/783.    “Hazrat Sulaiman Bin Yasar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Jahjaah Al Ghafaari Ne Hazrat ‘Uthman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Asa Jis Par Tek Lagaate They Apne Ghutane Par Rakh Kar (Gustakhi Ke Saath) Tod Diya To Us Ke Ghutane Par Foda Nikal Aaya.”

[Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 39/329,

Lalaka’i Fi Karamat Awliya’ Allah ‘‘Azza Wa Jalla, 01/124, Raqm-70,

Ibn ‘Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab, 01/269,

Razi Fi At-Tafsir-ul-Kabir Aw Mafatih-ul-Ghayb, 21/88,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-697, Raqm-783.]

40/784.    “Hazrat Aboo Rafe’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Jo Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Aazaad Karda Ghulaam They Riwayat Farmate Hain Ki Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrate ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Apna Jhanda De Kar Khaibar Kee Taraf Rawaana Kiya To Hum Bhi Un Ke Saath They Jab Hum Qil’a-e Khaibar Ke Paas Pahonche Jo Madinah Munawwarah Ke Qareeb Hai To Khaibar Waale Achaanak Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Par Toot Pade Aap Bemisaal Bahaaduri Ka Mujaahira Kar Rahe They Ki Achaanak Un Par Ek Yahoodi Ne Chot Kar Ke Un Ke Haath Se Dhaal Gira Dee. Us Par Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Qil’e Ka Ek Darwaaza Ukhed Kar Apni Dhaal Bana Liya Aur Use Dhaal Kee Haisiyat Se Apne Haath Me Liye Jung Me Shareek Rahe. Bil Aakhir Dushmano’n Par Fat’h Haasil Ho Jaane Ke Baa’d Us Dhaal Numa Darwaaze Ko Apne Haath Se Phaink Diya Us Safar Me Mere Saath Saat Aadami Aur Bhi They Aur Hum Aath Ke Aath Mil Kar Us Darwaaze Ko Ulatne Kee Koshish Karte Rahe Lekin Hum Woh Darwaza (Jise Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Tanha Ukheda Tha) Na Ulat Sake.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/08, Raqm-23909,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 06/152,

Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa’l-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 02137,

Ibn Hisham Fi As-Seerat-un-Nabawiyyah, 04/306,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-697, 698, Raqm-784.]

41/785.    “Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Bayqn Kiya Hai Ki Ghzawa-e Khaibar Ke Roz Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Qil’a-e Khaibar Ka Darwaza Utha Liya Yaha’n Tak Ki Musalman Qil’e Par Chadh Ga’e Aur Use Fat’h Kar Liya Aur Yeh Tajreba Shuda Baat Hai Ki Us Darwaaze Ko Chaalis Aadami Mil Kar Hee Utha Sakte They.”

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/374, Raqm-32139,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,07/478,

Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa’l-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 02/137,

Ibn Hisham Fi As-Seerat-un-Nabawiyyah, 04/306,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-698, Raqm-785.]

42/786.    “Hazrat Zaadaan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Guftagoo Farmaa’i To Ek Shalhs Ne Unhe’n Jhuthlaaya Us Par Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Farmaya : Agar Too Ne Jhooth Bola Ho To Mein Tujhe Badduaa Doo’n? Us Ne Kaha Ha’n Badduaa Kare’n. Chunanche Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Us Ke Liye Badduaa Kee To Woh Shakhs Abhi Us Majlis Se Uthne Bhi Na Paaya Tha Ki Andha Ho Gaya.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/219, Raqm-1791,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id,  09/116,

Lalaka’i Fi Karamat Awliya’ Allah ‘‘Azza Wa Jalla, 01/126, Raqm-73,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-698, 699, Raqm-786.]

43/787.    “Hazrat Aasim Bin Zmara RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Jab Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Shaheed Kar Diya Gaya To Hazrat Imame Hasan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Ek Khutbe Me Irshad Farmaya : Aye Ahle Koofa (Ya Farmaya)  Aye Ahle Iraq Aaj Tumhare Darmiyan Woh Shakhs Shaheed Kar Diya Gaya Jis Se Ilm Me (Ummat Ke) Awwalin Bhi Sabqat Nahin Kar Sake Aur Aakhireen Me Se Bhi Koi Un Ke Muqaam (Martabe) Ko Na Pahonch Sakega. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Kisi Jihaad Kee Muhim Par Rawaana Farmate To Un Kee Daa’i Taraf Hazrat Jibra’il Aur Baayi’n Taraf Hazrat Mika’il ‘Alayhima As-Salam Raha Karte They Aur Woh Kabhi Bhi Fat’h Haasil Ki’e Baghair Nahin Laut’te They.”

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/369, Raqm-32094,

Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 06/412,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-699, Raqm-787.]

44/788.    “Hazrat Ummi Salmah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Riwayat Karti Hain Ki Jab Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Apne Marze Wisaal Me Mubtala Hu’in To Mein Un Kee Teemardari Karti Thi. Beemaari Ke Us Poore Arse Ke Dauraan Jaha’n Tak Mera Khayaal Hai Ek Sub’h Un Kee Haalat Qadre Behtar Thi (Kuchh Thik Thi) Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kisi Kaam Se Baahar Ga’e Sayyida-e Kaa’enaat Ne Kaha : Aye Amma Mere Ghusl Ke Liye Paani Laa’en, Mein Paani Laa’i Jaha’n Tak Mera Khayaal Hai (Us Din) Unhone Behtareen Ghusl Kiya. Phir Boli’n : Amma Jee Mujhe Naya Libaas De’n. Mein Ne Aisa Hee Kiya. Phir Woh Qibla Rookh Ho Kar Let Ga’in Haath Rukhsaar Mubarak Ke Neeche Kar Liya Phir Farmaya : Amma Jee Ab Meri Wafaat Ho Jaa’egi Mein (Ghusl Kar Ke) Paak Ho Chuki Hoo’n Lehaaza Mujhe Koi Na Khole Pas Usee Jagah Un Kee Wafaat Ho Ga’i. Hazrat Ummi Salmah Farmati Hain Ki Phir Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Tashreef Laa’e To Mein Ne Unhe’n Saari Baat Sunaayi.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/461, Raqm-27656, 27657,

01/113,

Zayla’iy Fi Nasb-ur-Rayah Takhrij Ahadith Al-Hidayah, 02/250,

01/103,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/210,

Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’refat-is-Sahabah, 07/221,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-699, 700, Raqm-788.]

45/789.    “Hazrat Ammara Bin Umair RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Jab (Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Qatil) ‘Ubayd Allah Bin Ziyaad Aur Us Ke Saathiyo’n Ke Sar La Kar Masjid Ke Baraamade Me Rakkhe Ga’e Aur Mein Us Waqt Un Logo’n Ke Paas Pahoncha Jab Woh Log Keh Rahe They Woh Aa Gaya, Woh Aa Gaya. Itni Der Me Ek Saanp Kahin Se Aaya Aur Un Ke Saro’n Par Ghusna Shuroo Kiya Aur ‘Ubayd Allah Bin Ziyaad Ke Nathane Me Ghusa Aur Us Me Thodi Der Thahar Kar Phir Baahar Aa Gaya Aur Kahin Chala Gaya Yaha’n Tak Ki Woh Kahin Ghaayab Ho Gaya. Phir Achaanak Woh Kehne Lage Woh Aa Gaya, Woh Aa Gaya. Woh Saanp Phir Aaya Aur Yahin Amal Us Ne Do² Ya Teen³ Baar Dohraaya.”

رواه الترمزي والطبراني.

وقال : أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/660, Raqm-3780,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/112, Raqm-2832,

Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi,

10/193,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-700 701, Raqm-789.]

46/790.    “Hazrat Qurra Bin Khalid Farmate Hain Ki Mein Ne Suna Hai Ki Hazrat Aboo Riza Ataaridee Farma Rahe They : Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aur Us Khanwada-e (Nubuwwat) Ko Gaaliya’n Mat Do Hamara Ek Padosee Jo Ki Bil Hajeem Se Tha Kehne Laga : Kya Tum Yeh Nahin Dekhte (Ma’azAllah) Ki Us Faasik Husayn Ibn Ali Ko Allah Ta’ala Ne Qatl Kar Diya (Us Ka Yeh Kehna Hee Tha Ki) Usee Waqt Allah Ta’ala Ne (Aasmaan Se) Us Kee Dono’n Aankho’n Me Do² Sitaare Maare Aur Woh Andha Ho Gaya.”

رواه الطبراني.

إسناده حسن ورجاله رجال الصحيح.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/112, Raqm-2830,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/192,

وقال : ورجاله رجال الصحيح.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-701, 702, Raqm-790.]

47/791.    “Hazrat Khaisama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Hazrat Khalid Bin Walid RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Paas Ek Aadami Laaya Gaya Us Ke Paas Sharaab Kee Suraahi Thi, Aapne Farmaya : Aye Allah Ise Shahad Bana De. To Woh Sharaab Fauran Shahad Me Tabdeel Ho Ga’i.”

“Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Jab Hazrat Khalid Bin Walid RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hurra Ke Maqaam Par Aa’e To Un Ke Paas Zahre Qaatil Laaya Gaya, Unhone Use Hatheli Par Daala Aur Bismillah Kar Ke Pee Ga’e (Magar Us Zahar Ne Un Par Koi Asar Nahin Kiya).”

رواه اللالكاءي والذهبي والعسقلاني.

وقال : رواه أبو يعلى وابن سعد وابن أبي الدنيا بإسناد صحيح .

[Lalaka’i Fi Karamat Awliya’ Allah ‘‘Azza Wa Jalla, 02/254, Raqm-94, 97,

Dhahabi Fi Siyar A’lam An-Nubala’, 01/375, 376,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 02/254,

Razi Fi At-Tafsir-ul-Kabir Aw Mafatih-ul-Ghayb, 21/89,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-702, Raqm-791.]

48/792.    “Hazrat Aboo Khalda Taba’i Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Hazrat Aboo Aaliya Se Poochha : Kya Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Haditho’n Kee Sama’at Kee Hain? Aboo Aaliya Ne Farmaya : Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Das-10 Saal Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Kee Aur Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Un Ke Liye Du’aa Farmaa’i Jis Kee Wajeh Se Hazrat Anas Ka Baagh Saal Me Do² Martaba Fal Deta Tha Aur Un Ke Baagh Me Ek Khushboodar Pauda Tha Jis Se Unhe’n Kastoori Kee Khushaboo Aati Thi.”

رواه الترمزي. وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/683, Raqm-3833,

Dhahabi Fi Siyar A’lam An-Nubala’, 03/400,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 01/127,

Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 02/401, Raqm-5952,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-702, 703, Raqm-792.]

49/793.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Ek Taweel Riwayat Me Hai Ki Hazrat Khubaib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Ghazawa-e Badr Me (Sardare Quraish) Haaris Ko Qatl Kiya Tha (Baa’d Ke Ek Waaqiye Me) Hazrat Khubaib (Giraftaar Ho Kar) Un Ke Qaidee Ban Ga’e. Haaris (Jise Hazrat Khubayb RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Qatl Kiya Tha) Kee Ek Beti Kaha Karti Thi Ki Mein Ne Hazrat Khubaib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Ziyaada Achchha Aur Nek Koi Qaidee Nahin Dekha Aur Be Shak Mein Ne Hazrat Khubaib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko (Dauraane Qaid) Angoor Ka Khoosa (Guchchha) Khaate Hu’e Dekha Halan Ki Un Dino Makkah Me Koi Phal Nahin Milta Tha (Ya’ni Phalo’n Ka Mausam Bhi Nahin Tha) Aur Waise Bhi Woh Zanjeero’n Me Jakade Hu’e They. So Yeh Woh Rozee Thi Jo Allah Ta’ala Unhe’n (Ghaib Se) ‘Ata Farmata Tha.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1499, Raqm-3858,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1108, Raqm-2880,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/310, Raqm-8082,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 05/353, Raqm-9730,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/221, Raqm-4191,

Lalaka’i Fi Karamat Awliya’ Allah ‘‘Azza Wa Jalla, 01/101, Raqm-53,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,07/384,

Ibn ‘Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab, 02/779, Raqm-1305,

Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa’l-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 02/78,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-703, 704, Raqm-793.]

50/794.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Ek Lambi Riwayat Me Marwi Hai Ki Kuffare Quraish Ne (Dhokhe Se Shaheed Karne Ke Baa’d) Ek Daste Ko Shinaakht Ke Liye Hazrat Aasim RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Laash Me Se Tukada Kaat Kar Laane Ke Liye Bheja. Hazrat Aasim RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Ghazawa-e Badr Me Un Ke Bade Sardaaro’n Me Se Ek Ko Qatl Kiya Tha So (Us Daste Ke Pahonchte Hee) Allah Ta’ala Ne Un Kee Laash Ke Paas Bhido’n Kee Misl Koi Jaanwar Bhej Di’e Jinhone Kisi Ko Un Ke Laaah Ke Paas Bhi Aane Nahin Diya Aur Woh Un Ke Jism Ka Koi Hissa Le Jaane Me Kamyab Na Ho Sake.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1499, Raqm-3858,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1108, Raqm-2880,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/310, Raqm-8082,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 05/353, Raqm-9730,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/221, Raqm-4191,

Lalaka’i Fi Karamat Awliya’ Allah ‘‘Azza Wa Jalla, 01/101, Raqm-53,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-704, Raqm-794.]

51/795.    “Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Jab Ghazawa-e Uhad Ka Waqt Aa Gaya To Mere Waalid (Hazrat ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu) Ne Mujhe Raat Ke Waqt Bulaaya Aur Farmaya : Mein Yahin Dekhta Hoo’n Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ashaab Me Sab Se Pehle Mein Shaheed Kiya Jaoonga Aur Mein Apne Baa’d Kisi Ko Nahin Chhod Raha Hoo’n Jo Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ilaawah Mujhe Tum Se Ziyaada Azeez Ho Mujh Par Qarz Hain Ise Ada Kar Dena Aur Apni Bahno’n Ke Saath Achchha Sulook Karna. Sub’h Hu’i To Sab Se Pehle Wahi Shaheed Ki’e Ga’e. Aur Ek Doosre (Shaheed) Ke Saath Dafan Ki’e Ga’e. Phir Mera Dil Us Par Razaamand Na Hua Ki Unhe’n Doosro’n Ke Saath Chhode Rakhoo’n Lehaaza (Tadfeen Ke Baa’d) Chhe-06 : Mahino’n Ke Baa’d Mein Ne Unhe’n Nikaala To Woh Usee Tarah (Tarotaaaza) They Jaise Dafan Karne Ke Din They,  Siwaye Ek Kaan Ke Jo Ki Jung Ke Dauran Shaheed Ho Gaya Tha.”

رواه البخاري.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح على شرط مسلم.

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/453, Raqm-1286,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/224, Raqm-4913,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 06/285, Raqm-12459,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Muqaddimah Fat’h-ul-Bari, 01/270,

Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 02/399, Raqm-5945,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-704, 705, Raqm-795.]

52/796.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Farmate Hain Ki Do² Aadami Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Se (Majlis Barkhaast Hone Ke Baa’d) Andheri Raat Me (Ghar Jaane Ke Liye) Nikale To (Us Andheri Raat Me) Achaanak Ek Noor Un Ke Samne Aa Gaya (Aur Woh Un Ke Saath-Saath Raushni Ke Liye Raha) Aur Jab Woh Dono’n Aadami (Apne-Apne Ghar Jaane Kee Wajah Se) Alag-Alag Raah Par Chal Pade To Woh Noor Bhi Un Dono’n Ke Saath (Do² Hisso Me Bat Kar) Alag-Alag Ho Gaya. Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Se (Andheri Raat Me Ghar Jaane Waale Woh Dono’n Aadami Hazrat Usayd Bin Huzayr Aur Abbaad Bin Bishr They) .”

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1384, Raqm-3594,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/177, Raqm-453,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1331, Raqm-3440,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 05/361, Raqm-3007,

Bayhaqi Fi Al-I’tiqad,01/310,

Nawawi Fi Riyad-us-Salihin Min Kalami Sayyid Al-Mursalin, 01/566, Raqm-1506,

Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 02/399, Raqm-5944,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-705, 706, Raqm-796.]

53/797.    “Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Riwayat Farmati Hain Ki Jab Hazrat Najjashi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu (Shaahe Habsha) Faut Ho Ga’e To Hum Bayan Karte They Ki Un Kee Qabr Par Hamesha Noor (Barasta) Dekha Jaata Hai.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/16, Raqm-2523,

Dhahabi Fi Siyar A’lam An-Nubala’, 01/430,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 01/206, Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 02/400, Raqm-5947,

Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 01/444,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-706, Raqm-797.]

54/798.    “Hazrat Safeena RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Mein Samandar Me Kashtee Par Sawaar Hua. Woh Kashtee Toot Ga’i To Mein Us Ke Ek Takhte Par Sawaar Ho Gaya Us Ne Mujhe Ek Aisee Jagah Phaink Diya Jo Sher Kee Kachchh’haar Thi. Wahi Hua Jis Ka Dar Tha (Achaanak) Woh Sher Saamne Tha, Mein Ne Kaha Aye Abool Haaris (Sher) Mein Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Ghulaam Hoo’n To Us Ne Fauran Apna Sar Kham Kar Diya Aur Apne Kandhe Se Mujhe Ishaara Kiya Aur Woh Us Waqt Tak Mujhe Ishaara Aur Rehnuma’i Karta Raha Jab Tak Ki Us Ne Mujhe Sahee Raah Par Na Daal Diya. Phir Jab Us Ne Mujhe Sahee Raah Par Daal Diya To Woh Dheemi Aawaaz Me Gur Guraaya. So Mein Samajh Gaya Ki Woh Mujhe Alwida Keh Raha Hai.”

رواه الحاكم والبخاري فى الكبير والطبراني والبغوي في شرح السنة.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/675, Raqm-4235,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/702, Raqm-6550,

Bukhari Tarikh-ul-Kabir, 03/195, Raqm-663,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 07/80, Raqm-6432,

Ibn Rashid Fi Al-Jaame’, 11/281,

Lalaka’i Fi Karamat Awliya’ Allah ‘‘Azza Wa Jalla, 01/158, Raqm-114,

Baghawi Fi Sharh-us-Sunnah, 13,313, Raqm-3732,

Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 02/400, Raqm-5949,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-706, 707, Raqm-798.]

55/799.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne (Hazrat Sa’d Bin Mu’aadh Ansaari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Muta’alliq) Farmaya : Yeh Woh Hastee Hai Jis Kee Wafaat Se Arsh Bhi Hil Gaya, Aasmaan Ke Darwaaze Khol Di’e Ga’e Aur Sattar Hajaar Firishte Us Ke Janaze Me Shareek Hu’e. Ek Dafa Qabr Ne Use Dabaaya Phir Kushaada Kar Dee Ga’i.”

“Aur Ek Riwayat Me Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tamam Tareefe’n Allah Ke Liye Hee Hai Agar Koi Qabr Ke Dabaane Se Bach Sakta To Sa’d Bin Mu’aadh Bhi Zaroor Us Ke Dabaane Se Bach Jaate. (Momineen Aur Saaleheen Ke Liye Qabr Ka Dabaana Ba’ise Raahat Hota Hai Jaise Maa Bachche Ko God Me Le Kar Mahabbat Se Dabaati Hai.”

وقال العسقلاني : ورجاله ثقات محتج بهم في الصحيح.

[Nasa’i Fi As-Sunan, 04/100, Raqm-2055,

Tabarani Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/660, Raqm-8182,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/199, Raqm-1707,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/10, Raqm-5333,

Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 02/552, Raqm-1127,

Zayla’iy Fi Nasb-ur-Rayah Takhrij Ahadith Al-Hidayah, 02/286,

Suyooti Fi Sharh ‘Ala Sunan Nasa’i, 04/101, Raqm-2055,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Qawl Al-Musaddad Fi Al-Dhabbi ‘An Al-Musnad Lil-Imam Ahmad, 01/81,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-707, 708, Raqm-799.]

56/800.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Kisi Sahabi Ne Ek Qabr Par Khaima Lagaaya Unhe’n Maaloom Na Tha Ki Yeh Qabr Hai Achaanak Pata Chala Ki Yeh Qabr Hai Aur Us Ke Andar Koi Aadami Soorah Mulk Padh Raha Hai Yaha’n Tak (Us Sahaabi Ne Suna Ki) Us Padhane Waale Ne (Qabr Ke Andar) Mukammal Soorah Mulk Padhi (Yeh Sun Kar) Woh Sahabi Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Haazir Hu’e Aur ‘Arz Kiya Ya RasoolAllah ﷺ! Mein Ne (Bhool Kar) Ek Qabr Par Khaima Lagaaya Aur Mujhe Yeh Khayaal Nahin Tha Ki Yeh Qabr Hai Achaanak Suna Ki Ek Aadami Qabr Me Soorah Mulk Padh Raha Hai Yaha’n Tak Ki Mein Ne Suna Us Ne Mukammal Soorah Mulk Padhi. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yeh (Soorah Mulk Azaabe Qabr Ko) Rokne Waali Hai Aur Azaabe Qabr Se Nizaat Dene Waali Hai.”

رواه الترمزي والبيهقي.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/164, Raqm-2790,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/495, Raqm-2510,

Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 01/405, Raqm-2153,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/247, Raqm-2266,

Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 04/396,

Qurtubi Fi Al-Jaame’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 18/205,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-708, 709, Raqm-800.]