Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-12 : ﴾Ummate Muhammadiyah Ka Izz-o Sharaf﴿

Ummate Muhammadiyah Ke Sharaf Ka Bayan

Fasl-01 :

Ummate Muhammadiyah Ke Sharaf Ka Bayan

01/801.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mujh Par (Tamaam) Ummate’n Pesh Kee Ga’i Pas Ek Nabi Guzarne Laga Aur Us Ke Saath Us Kee Ummat Thi. Ek Nabi Aisa Bhi Guzra Ki Us Ke Saath Chand Afraad They, Ek Nabi Ke Saath Das-10 Aadami, Ek Nabi Ke Saath Paanch-05 Aadami, Ek Nabi Sirf Tanha, Mein Ne Nazar Daudaa’i To Ek Badi Jam’a’at Nazar Aayi. Mein Ne Poochha : Aye Jibra’il! Kya Yeh Meri Ummat Hai? Arz Kiya : Nahin, Balki (Ya RasoolAllah ﷺ!) Aap Ufaq Kee Jaanib Tawajjoh Farmaa’e’n, Mein Ne Dekha To Woh Bohat Hee Badi Jam’a’at Thi. Arz Kiya : Yeh Aap Kee Ummat Hai Aur Yeh Jo Sattar Hazaar Un Ke Aage Hain Un Ke Liye Na Hisaab Hai Na ‘Azaab. Mein Ne Poochha : Kis Wajah Se, Unhone Kaha : Yeh Log Daagh Nahin Lagwate They, Ghair Shara’i Jhaad-Phoonk Nahin Karte They, Shagun Nahin Lete They Aur Apne Rabb Par (Kaamil) Bharosa Rakhte They. Hazrat Ukkaasha Bin Mohseen RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Khade Ho Kar Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Allah Ta’ala Se Du’aa Keeji’e Ki Woh Mujhe Bhi Un Logo’n Me Shaamil Farma Le. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Du’aa Farmaa’i : Aye Allah, Ise Un Logo’n Me Shaamil Farma. Phir Doosara Aadami Khada Ho Kar Arz Guzaar Hua : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Allah Ta’ala Se Du’aa Keeji’e Ki Mujhe Bhi Un Me Shaamil Farma Le. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ukkaasha Tum Se Sabqat Le Gaya.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2396, Raqm-6175,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2157, Raqm-5378,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2170, Raqm-5420,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1251, Raqm-3229,

Muslim Fi As-Sahih, 01/179, 199, Raqm-216, 220,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/631, Raqm-2446,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/378, Raqm-7604,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 13/447, 448, Raqm-6084, 6430,

Darami Fi As-Sunan, 02/422, Raqm-2807,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/271, Raqm-2448,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 09/233, Raqm-5340,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 18/241, Raqm-605,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-715, 716, Raqm-801.]

02/802.    “Hazrat ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Hamraah Hum Ek Qubba (Ya’ni Makaan) Me They Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Tum Is Baat Par Raazi Ho Ki Ahle Jannat Ka Tihaa’i Hissa Tum (Me Se) Ho, Hum Ne Arz Kiya : Ha’n. Farmaya : Us Zaat Kee Qasam Jis Ke Qabza-e Qudara Me Muhammad Mustafa ﷺ Kee Jaan Hai! Mujhe Ummid Hai Ki Tum (Taadaad Me) Ahle Jannat Me Se Aise Nisf Honge Aur Woh Yoo’n Ki Jannat Me Musalman Ke Siwa Koi Daakhil Nahin Hoga Aur Mushriko’n Ke Muqable Me Tum Yoo’n Ho Jaise Kaale Bayl Kee Jild Par Ek Safed Baal Ya Surkh Bayl Kee Jild Par Ek Kaala Baal.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2392, Raqm-6163,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2448, Raqm-6266,

Muslim Fi As-Sahih, 01/200, Raqm-221,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/684, Raqm-2547,

وقال : هذا حديث حسن صحيح ،

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1432, Raqm-4283,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/409, Raqm-11339,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/386, Raqm-3661,

Bazzar Fi Al-Musnad, 05/237, Raqm-1850,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-716/717, Raqm-802.]

03/803.    “Hazrat Sulaiman Bin Burayda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Apne Waalid Se Riwayat Kiya Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jannatiyo’n Kee Ek Sau Bees-120 Safe’n Hongi. Jin Me Se Assi-80 Safe’n Meri Ummat Kee Hongi Aur Baaqi Tamam Ummato’n Kee Sirf Chaalis-40 Safe’n Hogi.”

رواه الترمذي وابن ماجاه.

وقال أبو عيسى : هذا هديث حسن.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/683, Raqm-2546,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1434, Raqm-4289,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/347, Raqm-22990, 23052, 23111,

Darami Fi As-Sunan, 02/434, Raqm-2835,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 16/498, Raqm-7459,

Bazzar Fi Al-Musnad, 05/368, Raqm-1999,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/315, Raqm-31713,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/155, Raqm-273, Raqm-273,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/67, Raqm-82,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/77, Raqm-1310,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/184, Raqm-10398,

Aboo Ya’la Fi Al-Mu’jam, 01/183, Raqm-211,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-717, 718, Raqm-803.]

04/804.    “Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jannat Tamam Ambiya-e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Par Us Waqt Haraam Kar Dee Ga’i Hai Jab Tak Mein Us Me Daakhil Na Ho Jaawun Aur Tamam Ummaton Par Us Waqt Tak Haraam Hai Jab Tak Ki Meri Ummat Us Me Daakhil Na Ho Jaa’e’n.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/289, Raqm-942,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/69,

Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 11/416, Raqm-31953,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-718, Raqm-804.]

05/805.    “Hazrat Aboo Dhar Ghifari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Meri Ummat Se Khata, Nisyaan Aur Jabro Ikaraah Maaf Farma Diya Hai.”

رواه ابن ماجاه وابن حبان والبيهقي والطبراني في الثﻻثة.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/659, Raqm-2043,

Ibn Hibban An Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Fi As-Sahih, 16/202, Raqm-7219,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/216, Raqm-2801,

Daraqutni Fi As-Sunan, 04/170, Raqm-33,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 04/172, Raqm-204,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 06/410, Raqm-11417,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 03/95,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 07/356, Raqm-14871,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/52, Raqm-766,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/161, Raqm-8273,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/97, Raqm-1430,

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/152, Raqm-1090,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-718, 719, Raqm-805.]

06/806.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Meri Ummat Se Un Ke Dil Kee Baato’n (Ya’ni Wasaawiso Khayalat) Ko Maaf Farma Diya Hai, Jab Tak Woh Us Par Amal Na Kare Ya Zabaan Se Na Kahe.”

[Muslim Fi As-Sahih, 01/116, Raqm-127,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/658, Raqm-2040,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 03/360, Raqm-5628,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/255, Raqm-7464,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 02/52, Raqm-898,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 10/179, Raqm-4335,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 04/75,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 11/276, Raqm-6389,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/299, Raqm-332,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-719, Raqm-806.]

07/807.    “Hazrat Mihjan Bin Ad’ra’a Sulami RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Is Ummat (Muhammadiya) Ke Liye Aasaani Ko Pasand Farmaya Hai Aur Is Ke Liye Tangi Ko Na Pasand Farmaya Hai. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yeh Jumla Teen³ Martaba Bayan Farmaya.”

رواه الطبراني برجال الصحيح.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/298, Raqm-707,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 04/15,

Harith Fi Al-Musnad (Zawa’id Al-Haythami), 01/343, Raqm-237,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-719 Raqm-807.]

08/808.    “Hazrat Huzayfa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Itna Taweel Sajda Farmaya Ki Hum Ne Gumaan Kiya Shaayad Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Wisale Aqdas Ho Gaya Hai. Phir Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Sajde Se Faarigh Hu’e To Farmaya : Mere Rabb Ne Mujh Se Meri Ummat Ke Baare Me Mashwarah Talab Kiya Us Me Bayan Farmaya : Aur Hamare Liye Woh Bohat See Cheeze’n Halaal Kar Dee Jo Hum Se Qabl (Ummato’n Par) Mamnu’ Thi Aur Hum Par Is Dunya Me Koi Tangi (Rawa) Nahin Rakhi.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/393, Raqm-23384,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/68,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-720, Raqm-808.]

09/809.    “Hazrat Aboo Darda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya  : Mein Hee Sab Se Pehla Shakhs Hoo’nga Jise Qiyamat Ke Din (Baargaahe Ilahi Me) Sajda Karne Kee Ijazat Dee Jaa’egi Aur Mein Hee Hoo’nga Jise Sab Se Pehle Sar Uthaane Kee Ijazat Hogi. So Mein Apne Saamne Dekhoo’nga Aur Apni Ummat Ko Doosri Ummato’n Ke Darmiyan Pahchaan Loonga Isee Tarah Apne Peechhe Aur Apni Daahini Taraf Bhi Unhe’n Dekh Kar Pahchaan Loonga. Ek Shakhs Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Aap Apni Ummat Ko Doosri Ummato’n Ke Darmiyan Kaise Pahchanenge Jab Ki Un Me Hazrat Nooh ‘Alayh-is-Salam Kee Ummat Se Le Kar Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ummat Tak Ke Log Shaamil Honge? …. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Un Ke Jism Ke Hisse Wuzoo Ke Asar Se Chamak Rahe Honge Aur Un Ke Siwa Kisi Aur (Ummat)  Ke Saath Aisa Nahin Hoga Aur Mein Unhe’n Pahchan Loonga Ki Un Ka Nama-e Aamal Un Ke Daaye’n Haath Me Diya Jaa’ega Aur Unhe’n Pahchaan Loonga Ki Un Ke Aage Un Kee Aulaad Daudati Hogi.”

رواه أحمد والحاكم والبيحقي.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/199, Raqm-21785,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/520, Raqm-3784,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/324, Raqm-1049,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/17, Raqm-2745,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/48, Raqm-361,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/91, Raqm-286,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/225,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 02/250,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/344,

وقال رواه الطبراني.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-720, 721, Raqm-809.]

10/810.    “Hazrat Aboo Dhar Aur Hazrat Aboo Darda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Ek Riwayat Me Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Qiyamat Ke Roz Zaroor Apni Ummat Ko Doosri Ummato’n Ke Darmiyan Pahchaan Loonga. Sahaba Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Aap Apni Ummat Ko Kaise Pahchanege, Farmaya : Mein Unhe’n Pahchaan Loonga Ki Un Ko Nama-e Aamal Daaye’n Haath Me Diya Jaa’ega Aur Un Kee Peshaaniyo’n Par Sajdo’n Ka Asar Hoga Aur Mein Unhe’n Un Ke Noor Se Pahchaan Loonga Jo Un Ke Aage-Aage Daud Raha Hoga.”

رواه أحمد بإسناد جيد.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/199, Raqm-21788,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-721, Raqm-810.]

11/811.    “Hazrat Aboo Umaama Baahili RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Farmate Hain Ki Qiyamat Ke Roz Raushan Peshaniyo’n Aur Chamakte Haath-Paanw Waale Logo’n Kee Ek Jam’a’at Namoodar Hogi Jo Ufaq Par Chha Jaa’egi . Un Ka Noor Sooraj Kee Tarah Hoga So Ek Nida Dene Waala Nida Dega “نبى اُمّى” Pas Is Nida Par Har Ummi-e Nabi Mutawajje Hoga Lekin Kaha Jaa’ega (Ki Is Se Muraad) Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Un Kee Ummat Hai So Woh Jannat Me Daakhil Honge Un Par Koi Hisaab Aur ‘Azaab Nahin Hoga Phir Is Tarah Kee Ek Aur Jam’a’at Namoodar Hogi Jin Kee Peshaniya’n Aur Haath-Paaanw Chamak Rahe Honge. Un Ka Noor Chaudahwi Ke Chaand Ki Tarah Ka Hoga Aur Un Ka Noor Ufaq Par Chha Jaa’ega So Phir Nida Dene Waala Nida Dega Aur Kahega “نبى اُمّى” Pas Is Nida Par Har Ummi Nabi Mutawajje Ho Jaa’ega Lekin Kaha Jaa’ega : Is Nida Se Muraad Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Un Kee Ummat Hai Pas Woh Baghair Hisaabo ‘Azaab Ke Jannat Me Daakhil Ho Jaa’enge Phir Isee Tarah Kee Ek Aur Jam’a’at Namoodar Hogi Un Kee (Bhi) Peshaniya’n Aur Haath-Paanw Chamakte Honge Un Ka Noor Aasman Me Bade Sitaare Kee Tarah Hoga Un Ka Noor Ufaq Par Chha Jaa’ega Pas Nida Dene Waala Aawaz Dega “نبى اُمّى” Pas Is Par Har Nabi Mutawajje Ho Jaa’ega, Kaha Jaa’ega : (Is Se Muraad Bhi) Muhammad ﷺ Aur Un Kee Ummat Hai. Pas Woh Baghair Hisaabo ‘Azaab Ke Jannat Me Daakhil Ho Jaa’enge. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Rabb (Apni Shaan Ke Laa’iq) Tashreef Laa’ega Phir Meezaano Hisaab Qaa’em Kiya Jaa’ega.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/173, Raqm-7723,

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/201, Raqm-1185,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/409,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-722, 723, Raqm-811.]

12/812.    “Hazrat Bahaz Bin Hakim Ba-Wasta Apne Waalid Apne Daada Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaane Ilahi : Tum Behtareen Ummat Ho Jo Sab Logo’n (Kee Rehnuma’i) Ke Liye Zaahir Kee Ga’i Hai. Ke Baare Me Farmaya : Tum Sattar-70 Ummato’n Ko Mukammal Kar Ne Waale Ho Aur Allah Ta’ala Ke Nazdeek  Un Sab Se Behtar Aur Mu’azziz Ho.”

رواه الترمذي وابن ماجاه وأحمد.

وقال الترمذي : هذا حديث حثن. وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/226, Raqm-3001,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1433, Raqm-4287, 4288,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/61, Raqm-11604,

 Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/447,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad,  05/03,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/94, Raqm-6987,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,09/05,

Tabarani  Mu’jam-ul-Kabir, 19/419, Raqm-1012, 1023,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/156, Raqm-411,

Ruwayani Fi Al-Musnad, 02/115, Raqm-924, Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/114, Raqm-382,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-723, Raqm-812.]

13/813.    “Hazrat Bahaz Bin Hakim Ba-Wasta Apne Waalid Apne Daada Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Hum Qiyaamat Ke Din Sattar-70 Ummato’n Kee Takmil Karenge Aur  Hum Sab Se Aakhiri Aur Sab Se Behtar Honge.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1433, Raqm-4287,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-724, Raqm-813.]

14/814.    “Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mujhe Woh Kuchh ‘Ata Kiya Gaya Jo (Saabiqa) Ambiya-e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Me Se Kisi Ko Bhi Nahin ‘Ata Kiya Gaya. Hum Ne Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Woh Kya Hai?  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Meri  Roabo  Dabdabe Se Madad Kee Ga’i Aur Mujhe Zameen (Ke Tamam Khazaano’n) Ki Kunziya’n ‘Ata Kee Ga’i Aur Mera Naam Ahmad Rakkha Gaya Aur Mitti Ko Bhi Mere Liye Paakiza Qaraar Kiya Gaya Aur Meri Ummat Ko Behtareen Ummat Banaya Gaya.”

رواه ابن أبي شيبة وأحمد بإسناد جيد.

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/304, Raqm-31647,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/98, Raqm-763, 1361,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/213, Raqm-965,

Lalaka’i Fi I’tiqad Ahl As-Sunnah,, 04/783, Raqm-1443, 1447,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah, 02/348, Raqm-728, 729,

Haythami  Majma’-uz-Zawa’id, 01/260,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id,  08/269,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-724, Raqm-814.]

15/815.    “Hazrat Saubaan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Allah Ta’ala Ne Zameen Ko Mere Liye Lapet Diya Aur Mein Ne Us Ke Mashaariqo Magaarib Ko Dekha .  Anqarib Meri  Ummat Kee Hukoomat Waha’n Tak Pahonchegi  Jaha’n Tak Mere Liye Zameen Lapeti Ga’i. Mujhe (Qaysaro Kisara Ke) Do Khazaane Surkh Aur Safed Di’e Ga’e . Mein Ne Apne Rabb Se Apni Ummat Ke Baare Me Sawaal Kiya Ki Unhe’n Qahat Saali Se Halaak Na Kiya Jaa’e Aur Na Un Par Un Ke Ghayr Se Dushman Musallat Kare Jo Unhe’n Mukammal Taur Par Nesto Nabood Kar De Aur Be Shak Mere Rabb Ne Mujhe Farmaya : Aye Muhammad Mustafa ﷺ! Mein Jab Ek Faisla Kar Leta Hoo’n To Us Ko Waapas Nahin Lautaaya Ja Sakta Aur Be Shak Mein Ne Aap Ko Aap Kee Ummat Ke Liye Ye Cheez ‘Ata Farma Dee Hai Ki Mein Unhe’n Qahat Saali Se Nahin Maarunga Aur Na Hee Un Ke Ilaawah Kisi Aur Ko Un Par Dushman Musallat Karoo’nga Jo Unhe’n Mukammal  Taur Par Nesto Nabood Kar De Agarche (Woh Dushman Un Ke Khilaaf Har Taraf Se Ikat’the ) Ho Jaa’e’n Yaha Tak Ki Un Me Se Khud Ba’z Ba’z Ko Halaak Na Kare Aur Ba’z Ba’z Ko Qaydi Na Banaaye.”

رواه مسلم والترمذي وأبو داود.

وقال الترمذي : هذا حديث حسن صحيح.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2215, Raqm-2889,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/472, Raqm-2176,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/97, Raqm-4252,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/278, Raqm-22448, 22505,

Bazzar Fi Al-Musnad, 08/413, Raqm-3487,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/496, Raqm-8390,

Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf , 06/311, Raqm-31694,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/109,Raqm-6714,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 09/181,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/296, Raqm-3347,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-725, 726, Raqm-815.]

16/816.    “Hazrat ‘Umar Bin Qays RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Meri Ummat Ko Marhoom Qaraar Diya Aur Us Kee ‘Umr Mukhtasar Rakhi. So Hum Hee Aakhiri Hain Aur Hum Hee Qiyaamat Ke Din Awwal  Honge. Aur Mein Baghayr Kisi Fakhr Ke Ye Baat Keh Raha Hoo’n Ki Hazrat Ibrahim Khalilulllah Hain Aur Hazrat Moosa Safiullah Hain Aur Mein Hee Habibulllah Hoo’n Aur Roze Qiyaamat Mere Paas Hee Hamd Ka Jhanda Hoga Aur Allah Ta’ala Ne Meri Ummat Ke Baare Me Mujh Se Teen³ Waade Farmaa’e Aur Teen³ Chizo’n Se Unhe’n Nijaat ‘Ata Kee. Un Par Aam Qahat Saali Musallat Nahin Karega Aur Koi Dushman Unhe’n Khatam Nahin Kar Sakega Aur Unhe’n Gumrahi Par Kabhi Jam’a Nahin Karega.”

[Darami Fi As-Sunan, 01/42, Raqm-54,

Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 06/323,

 Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-726, Raqm-816.]

17/817.    “Hazrat Aboo Maalik Ash’ari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Be Shak Allah Ta’ala Ne Tumhein Teen³ Aafato’n Se Bacha Liya : Ek Ye Ki Tumhara Nabi Tumhare Liye Aisi Bad Du’aa Na Karega Ki Tum Saare Halaak Ho Jaao, Doosara Ye Ki (Majmoo’i Taur Par) Ahle Baatil Ahle Haqq Par Ghaalib Na Ho. Tisra Ye Ki Tum (Majmoo’I Taur Par Kabhi) Gumrahi Par Jam’a Nahin Hoge.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/98, Raqm-4253,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/292, Raqm-3440,

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/442, Raqm-1663,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-727, Raqm-817.]

18/818.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Ummate Muslima) Woh (Khush Nasib) Ummat Hai Jis Par (Allah Ta’ala Kee Khususi) Rahmat Naazil Kee Ga’i Hai. Us Ka ‘Azaab Us Ke Haath Me Hai Jab Qiyaamat Ka Din Hoga To Har Ek Musalman Ko Ek Kafir De Kar Kaha Jaa’ega Ye Tumhara Dozakh Ka Fidiyah Hai.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1434, Raqm-4292,

Aboo Hanifah Al-Musnad, 01/155,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/190, Raqm-537,

Marwazi Fi Al-Fitan, 02/618,  Raqm-1722,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-727, Raqm-818.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-12 : ﴾Ummate Muhammadiyah Ka Izz-o Sharaf﴿

Aakhiri Zamane Me Ummate Muhammadiyah Kee Fazeelat Ka Bayan

Fasl-02 :

Aakhiri Zamane Me Ummate Muhammadiyah Kee Fazeelat Ka Bayan

19/819.    “Hazrat Mu’awiya RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmate Hain : Meri Ummat Me Se Ek Jam’a’at Hamesha Allah Ta’ala Ke Hukm Par Qaa’em Rahegi Jo Un Kee Madad Nahin Karega Ya Un Kee Mukhalifat Karega Woh Unhe’n Kuchh Nuqsaan Nahin Pahoncha Sakega Yaha’n Tak Ki Allah Ta’ala Ka Amr (Ya’ni Roze Qiyaamat) Aa’ega Woh Isee Haalat Me Honge.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1331, Raqm-3442,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2714, Raqm-7022,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1524, Raqm-1037,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/101,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 13/375, Raqm-7383,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 19/380, Raqm-893,

Lalaka’i Fi I’tiqad Ahl As-Sunnah,, 01/110, Raqm-144,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-728, Raqm-819.]

20/820.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Us Zaat Kee Qasam Jis Ke Qabza-e Qudrat Me Muhammad Mustafa ﷺ Kee Jaan Hai! Tum Logo’n Par Ek Din Aisa Zaroor Aa’ega Ki Tum Mujhe Dekh Nahin Sakoge, Lekin Meri Ziyaarat Karna (Us Waqt) Har Momin Ke Nazdeek Us Ke Ahal Aur Maal Se Ziyaada Mahboob Hoga.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/315, Raqm-3394,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1836, Raqm-2364,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/167, Raqm-6765,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/313, Raqm-8126,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,06/607,

Nawawi Fi Sharh Sahih Muslim, 15/118,

Suyooti Fi Al-Dibaj ‘Ala Sahih Muslim Ibn Al-Hajjaj, 06/348, Raqm-2364,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-728, 729, Raqm-820.]

21/821.    “Hazrat Bahaz Bin Hakeem RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ba-Wasta Apne Waalid, Apne Daada Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Allah Ta’ala Ke Is Farman : ˝Tum Behtareen Ummat Ho Jo Sab Logo’n (Kee Rahnumayi) Ke Liye Zaahir Kee Ga’i Hai.” Ke Baare Me Farmaya Tum Sattar-70 Ummaton Ko Mukammal Karne Waale Ho Aur Allah Ta’ala Ke Nazdeek Un Sab Se Behtar Aur Mu’azziz Ho.”

رواه الترمزي وابن ماجاه وأحمد والحاكم.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/226, Raqm-3001,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1433, Raqm-4288,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/03,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/94, Raqm-6987,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 19/422, Raqm-1023,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 09/05,

Ruwayani Fi Al-Musnad, 02/115, Raqm-924,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/156, Raqm-411,

Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/114, Raqm-382,

Hakim At-Tirmidhi Fi Nawadir-ul-Usool Fi Ma’rifati Ahadith-ir-Rasool ﷺ , 01/153,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-729, Raqm-821.]

22/822.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Meri Ummat Me Se Mere Saath Shadeed Mahabbat Karne Waale Woh Log Hain Jo Mere Baa’d Aa’enge Aur Un Me Se Har Ek Kee Tamanna Yeh Hogi Ki Kaash Woh Apne Sab Ahlo Ayaal Aur Maalo Asbaab Ke Badle Me Mujhe (Ek Martaba) Dekh Le’n.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2178, Raqm-2832,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/417, Raqm-9388,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 16/214, Raqm-7231,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-730, Raqm-822.]

23/823.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Meri Ummat Kee Misaal Baarish Kee Maanind Hai Maaloom Nahin Us Ka Awwal Behtar Hai Ya Aakhir.”

رواه الترمذي وحسنه وأحمد والبزار.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/152, Raqm-2869,

Bazzar Fi Al-Musnad, 09/23, Raqm-3527,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/130, 143, Raqm-12349, 12483,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/90, Raqm-647,

Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 02/277, Raqm-1352,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 06/380, Raqm-3717,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-730, Raqm-823.]

24/824.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yaqeenan Meri Ummat Me Mere Baa’d Aise Log Bhi Aa’enge Jin Me Se Har Ek Kee Khwaahish Yeh Hogi Ki Woh Apne Ahlo Maal Ke Badle (Agar) Mera Deedaar (Mile To Woh) Khareed Le (Ya’ni Apne Ahlo Maal Kee Qurbani De Kar Ek Martaba Mujhe Dekh Le).”

رواه الحاكم.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/95, Raqm-6991,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-730, 731, Raqm-824.]

25/825.    “Hazrat ‘Umar Bin Shuaib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ba-Wasta Apne Waalid, Apne Daada Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Se Farmaya : Koun See Makhlooq Tumhare Nazdeek Iman Ke Lihaz Se Sab Se Ajeebtar Hai? Sahaba Ne Arz Kiya : Firishte. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Firishte Kyoo’n Iman Na Laa’e Jab Ki Woh Har Waqt Apne Rabb Kee Huzoori Me Rehte Hain. Unhone Arz Kiya : Phir Ambiya-e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aur Ambiya-e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Kyoo’n Iman Na Laa’e Jab Ki Un Par To Wahyi Naazil Hoti Hai. Unhone Arz Kiya : To Phir Hum (Hee Honge). Farmaya : Tum Iman Kyoo’n Nahin Laaoge Jab Ki Banafse Nafees Mein Khud Tum Me Jalwa Afroz Hoo’n. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Makhlooq Me Mere Nazdeek Pasandeeda Aur Ajeebtar Iman Un Logo’n Ka Hai Jo Mere Baa’d Paida Honge. Kai Kitabo’n Ko Paa’enge Magar (Sirf Meri) Kitab Me Jo Kuchh Likha Hoga (Bin Dekhe) Us Par Iman Laa’enge.”

رواه الطبراني وأبويعلى والحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/87, Raqm-12560,

Aboo Ya’la An Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi Al-Musnad, 01/147, Raqm-160,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/96, Raqm-6993,

Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 03/403, Raqm-6288,

Husayni Al-Bayan Wat-Ta’rif, 01/130, Raqm-346,

Haythami An Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi Majma’-uz-Zawa’id, 08/330,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 06/65,

وقال : رواه البزار وأحمد.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-731, 732, Raqm-825.]

26/826.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Ne Yeh Khwahish Kee Ki Mein Apne Bhaiyo’n Se Miloo’n. Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Kya Hum Aap Ke Bha’i Nahin Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Mere Sahaba Ho Lekin Mere Bha’i Woh Honge Jo Mujh Par Iman Laa’enge Hala’n Ki Unhone Mujhe Dekha Bhi Nahin Hoga.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/155, Raqm-12601,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/212, Raqm-576,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/67,

Husayni Al-Bayan Wat-Ta’rif, 01/32, Raqm-60,

Husayni Al-Bayan Wat-Ta’rif,02/94, Raqm-1161,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-732, Raqm-826.]

27/827.    “Hazrat ‘Abd-ir-Rahman Bin Abi Umar Ansari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki Unhone Baargaahe Risalat Ma’ab SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Aap Un Logo’n Ke Baare Me Kya Farmate Hain Jo Aap Par Iman Laa’e Hala’n Ki Unhone Aap Ko Dekha Tak Nahin Aap Kee Tasdeeq Kee Hala’n Ki Aap Ko Dekha Tak Nahin. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Un Ke Liye Khushkhabri Hai Un Ke Liye Khushkhabri Hai Woh Hum Me Se Hee Hain.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/276, Raqm-8624,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-732, 733, Raqm-827.]

28/828.    “Hazrat Aboo Umaama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Khushkhabri Aur Mubarakbaad Ho Us Ke Liye Jis Ne Mujhe Dekha Aur Mujh Par Iman Laaya Aur Saat-07 Baar Khushkhabri Aur Mubarakbad Ho Us Ke Liye Jis Ne Mujhe Dekha Bhi Nahin Aur Mujh Par Iman Laaya.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/257, Raqm-22268, 22192, 22331,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 16/216, Raqm-7233,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/96, Raqm-6994,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/259, Raqm-8009,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/104, Raqm-858,

Aboo Ya’la An Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi Al-Musnad, 06/119, Raqm-3391,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,09/99, Raqm-87,

Ruwayani Fi Al-Musnad, 02/311, Raqm-1266,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-733, Raqm-828.]

29/829.    “Hazrat Aboo Jum’a RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Hum Ne Ek Martaba Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Din Ka Khaana Khaaya, Hamaare Saath Hazrat Aboo Ubaida Bin Jarrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bhi They. Unhone Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Hum Se Bhi Koi Behtar Hoga? Hum Aap Ke Saath Iman Laa’e Aur Aap Ke Saath Mil Kar Hum Ne Jihaad Kiya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ha’n Woh Log Jo Tumhare Baa’d Aa’enge Woh Mujh Par Iman La’enge Hala’n Ki Unhone Mujhe Dekha Bhi Nahin Hoga (Woh Is Jihat Se Tum Se Bhi Behtar Honge).”

رواه أحمد والدارمي والطبراني.

وقال الهيثمي : رجاله ثقات.

[Darami Fi As-Sunan, 02/398, Raqm-2844,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/106, Raqm-17017,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/22, Raqm-3537,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 03/128, Raqm-1559,

Ibn Mandah Fi Al-Iman, 01/372, Raqm-210,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/66,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-733, 734, Raqm-829.]

30/830.    “Hazrat ‘Abd-ir-Rahman Bin Ula Hazrami RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mujhe Us (Sahabi) Ne Bataaya Jis Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmate Hain : Be Shak Is Ummat Ke Aakhir (Daur) Me Aise Log Honge Jin Ke Liye Ajr Is Ummat Ke Awwalin (Daur Ke Logo’n) Ke Barabar Hoga, Woh Neki Ka Hukm Denge Aur Buraa’i Se Rokenge Aur Fitna Parwar Logo’n Se Jihaad Karenge.”

[Bayhaqi Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 06/513,

Suyooti Fi Miftah-ul-Jannah Fi Al-Ihtijaj Bi-‘i-Sunnah, 01/68,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-734, Raqm-830.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-12 : ﴾Ummate Muhammadiyah Ka Izz-o Sharaf﴿

Is Ummat Ke Kabhi Bhi Gumrahi Par Jam’a Na Hone Ka Bayan

Fasl-03 :

Is Ummat Ke Kabhi Bhi Gumrahi Par Jam’a Na Hone Ka Bayan

31/831.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Meri Ummat Ko Gumrahi Par Jam’a Nahin Karega (Ya Farmaya : Ummate Muhammadiya Ko Gumrahi Par Jam’a Nahin Karega) Aur Jam’a’at Par Allah Ta’ala (Kee Hifaazat) Ka Haath Hai Aur Jo Shakhs Jam’a’at Se Juda Ho Woh Aag Kee Taraf Juda Ho.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/466, Raqm-2167,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/201, Raqm-397,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 02/271,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-735, Raqm-831.]

32/832.    “Hazrat Haaris Ash’aree RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Mujhe Paanch-05 Baato’n Ka Hukm Diya Hai (Aur Woh Paanch-05 Baate’n Yeh Hain)

Jam’a’at Ke Saath Hone, Naseehat Sun’ne, Farma’nbardari Ikhtiyar Karne, Hijrat Karne Aur Allah Ta’ala Kee Raah Me Jihaad Karne Ka. Pas Jo Jam’a’at Se Ek Baalisht Barabar Bhi Alag Hua Pas Us Ne Islam Ka Qalaada (Ya’ni Patta) Apne Gale Se Utaar Diya Jab Tak Ki Woh (Jam’a’at Kee Taraf) Lout Nahin Aata.”

رواه الحاكم وابن خزيمة.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/204, 582, Raqm-404, 1534,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/195, Raqm-1895,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/157,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/286, 287, 289, Raqm-3427, 3430, 3431,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 03/140, Raqm-1571,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-735, 736, Raqm-832.]

33/833.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Jaabiya Ke Maqaam Par Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Hame’n Khitaab Farmaya Ki Mein Tumhare Darmiyan Is Jagah Par Khada Hoo’n Jaha’n Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hamare Darmiyan Qiyam Farmaya Phir Unhone Farmaya : Jam’a’at Ko Laazim Pakado Aur Alahidagi Se Bacho Kyon Ki  Shaitan Ek¹ Ke Saath Hota Hai Aur Do² Aadmiyo’n Se Door Rehta Hai. Jo Shakhs Jannat Ka Wast Chaahta Hai Us Ke Liye Jam’a’at Se Waabastagi Laazami Hai Jis Shakhs Ko Us Kee Neki Khush Kare Aur Buraa’i Pareshaan Kare Pas Wahi Momin Hai.”

رواه الترمزي واننساءي وأحمد.

وقال الترمذي : هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/465, Raqm-2165,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/388, Raqm-9225,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/370, Raqm-23194,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 01/42, Raqm-88,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,13/316,

Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 06/320,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-736, Raqm-833.]

34/834.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Is Ummat Ko Kabhi Bhi Gumrahi Par Ikat’tha Nahin Farma’ega Aur Farmaya : Allah Ta’ala Ka Daste Qudrat Jam’a’at Par Hota Hai. Pas Sab Se Badi Jam’a’at Kee Ittiba’ Karo Aur Jo Is Jam’a’at Se Alag Hua Hai Woh Aag Me Daal Diya Gaya.”

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/199, 201, Raqm-391, 397,

Ibn Abi A’sim Kitab-us-Sunnah, 01/39, Raqm-80,

Lalaka’i Fi I’tiqad Ahl As-Sunnah,, 01/106, Raqm-154,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 03/37,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/258, Raqm-8116,

Hakim At-Tirmidhi Fi Nawadir-ul-Usool Fi Ma’rifati Ahadith-ir-Rasool ﷺ , 01/4222,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 02/271,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-737, Raqm-834.]

35/835.    “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Meri Ummat (Majmooi’i Taur Par) Kabhi Gumraahi Par Jam’a Nahin Hogi Pas Agar Tum In Me Ikhtilaaf Dekho To Tum Par Laazim Hai Ki Sab Se Badi Jam’a’at (Ka Saath) Ikhtiyaar Karo.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 04/367, Raqm-3950,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12, 447, Raqm-13623,

Kinani Fi Misbah Al-Zujajah Fi Zawa’id Ibn Majah, 04/169, Raqm-1395,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-737, Raqm-835.]

36/836.    “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yaqeenan Bani Isara’il Ik’hattar-71 Firqon Me Taqseem Ho Ga’e They Aur Meri Ummat Yaqeenan Bahattar-72 Firqon Me Taqseem Ho Jaa’egi Woh Sab Ke Sab Dozakh Me Jaa’ege. Siwaaye Ek Ke Aur Woh Jam’a’at Hai.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1322, Raqm-3991, 3993,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/145, Raqm-12501,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/36, Raqm-3944,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,07/90, Raqm-2499,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 01/32, Raqm-64,

Maruzi As-Sunnah, 01/21, Raqm-53,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-737, 738, Raqm-836.]

37/837.    “Hazrat Aboo Dhar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Do² (Shakhs) Ek Se Behtar Hain Aur Teen³ (Shakhs) Do² Se Behtar Hain, Aur Chaar⁴ (Shakhs) Teen³ Se Behtar Hain, Pas Tum Par Laazim Hai Ki Jam’a’at Ke Saath Raho, Yaqeenan Allah Ta’ala Meri Ummat Ko Kabhi Hidaayat Ke Siwa Kisee Shai Par Ikat’tha Nahin Karega.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/145, Raqm-21331,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/177,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 05/218,

Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 06/323,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-738, Raqm-837.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-12 : ﴾Ummate Muhammadiyah Ka Izz-o Sharaf﴿

Huzoor ﷺ Ko Apne Ba’d Ummat Ke Shirk Me Mubtala Hone Ka Andesha Na Tha

Fasl-04 :

Huzoor Ko Apne Ba’d Ummat Ke Shirk Me Mubtala Hone Ka Andesha Na Tha

38/838.    “Hazrat Uqbah Bin Aamir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Shuhada-e Uhad Par (Dobaara) Aath-08 Saal Baa’d Is Tarah Namaz Padhi Goya Zindo’n Aur Murdo’n Ko Alwida’ Keh Rahe Ho’n. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mimbar Par Jalwa Afroz Hu’e Aur Farmaya : Mein Tumhara Peshraw Hoo’n, Mein Tumhare Oopar Gawaah Hoo’n, Hamaari Mulaqat Kee Jagah Hawze Kawsar Hai Aur Mein Is Jagah Se Hawze Kawsar Ko Dekh Raha Hoo’n Aur Mujhe Tumhare Muta’alliq Is Baat Ka Dar Nahin Ki Tum (Mere Baa’d) Shirk Me Mubtala Ho Jaa’oge Balki Tumhare Muta’alliq Mujhe Duniyadaari Kee Mahabbat Me Mubtala Ho Jaane Ka Andesha Hai. Hazrat Uqbah Farmate Hain Ki Yeh Mera Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Aakhiri Deedaar Tha (Ya’ni Us Ke Baa’d Jald Hee Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Wisaal Ho Gaya.)”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1486, Raqm-3816,

Mulism As-Sahih, 04/1796, Raqm-2296,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/216, Raqm-3224,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/154,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 17/279, Raqm-768,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/14, Raqm-6601,

Shaybani Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 05/45, Raqm-2583,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-739, 740, Raqm-838.]

39/839.    “Hazrat Uqbah Bin Aamir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Mein Tumhara Peshraw Aur Tum Par Gawaah Hoo’n. Be Shak Khuda Kee Qasam! Mein Apne Hawz (Kawsar) Ko Is Waqt Bhi Dekh Raha Hoo’n Aur Be Shak Mujhe Zameen Ke Khazaano’n Kee Kunjiya’n (Ya Farmaya:) Zameen Kee Kunjiya’n Ata Kar Dee Ga’i Hain Aur Khuda Kee Qasam! Mujhe Dar Nahin Ki Mere Baa’d Tum Shirk Karne Lagoge Balki Mujhe Dar Is Baat Ka Hai Ki Tum Dunya Kee Mahabbat Me Mubtala Ho Jaaoge.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1317, Raqm-3401,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2361, Raqm-6061,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1795, Raqm-2296,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/153,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-740, Raqm-839.]

40/840.    “Hazrat Uqbah Bin Aamir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mujhe Tumhare Muta’alliq Is Baat Ka To Dar Hee Nahin Hai Ki Tum Mere Baa’d Shirk Karoge Balki Mujhe Dar Hai Ki Tum Dunya Kee Mahabbat Me Giraftar Ho Jaa’oge Aur Ladoge Aur Halaak Hoge Jaisa Ki Tum Se Pehle Log Hu’e. Hazrat Uqbah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Yeh Aakhiri Baar Thi Jab Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Mimbar Par Jalwa Afroz Dekha (Ya’ni Us Ke Baa’d Jald Hee Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Wisaal Ho Gaya).”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1796, Raqm-2296,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 17/279, Raqm-769,

Shaybani Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 05/45, Raqm-2583,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-740, 741, Raqm-840.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-12 : ﴾Ummate Muhammadiyah Ka Izz-o Sharaf﴿

Is Ummat Me A’imma-e Mujaddideen Ke Bheje Jaane Ka Bayan

Fasl-05 :

Is Ummat Me A’imma-e Mujaddideen Ke Bheje Jaane Ka Bayan

41/841.    “Hzarat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Us (Ilm) Me Se Jo Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Sikha Riwayat Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Is Ummat Ke Liye Har Sadee Ke Aakhir Me Kisi Ayse Shakhs (Ya Ashakhaas) Ko Payda Farma’ega Jo Is (Ummat) Ke Liye Is Ke Deen Kee Tajdeed Karega.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/109, Raqm-4291,

Hakeem Al-Mustadrak , 04/567, 568, Raqm-8592, 8593,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/223, Raqm-6527,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/148, Raqm-532,

Muqri Fi As-Sunan-ul-Waridah Fi Al-Fitan Wa Ghawa’iliha Wa As-Sa’ati Wa Ashratiha, 03/742, Raqm-364,

Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 51/388, 341,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 02/61,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-742, Raqm-841.]

42/842.    “Hazrat Mu’az Bin Jabal RadiuyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Ma’mooli Sa Dikhaawa Bhi Shirk Hai Aur Bando’n Me Se Mahboob Tareen Bande Allah Ta’ala Ke Nazdeek Muttaqi Aur Khashiyyate Ilahi Rakhne Waale Woh Log Hain Jo Maujood Na Ho To Talaash Na Ki’e Jaa’e Aur Maujood Ho To Pahchaane Na Jaa’e’n, Wahi Log Hidayat Ke Imaam Aur Ilm Ke Chiraagh Hain.”

رواه الحاكم والتبراني.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

[Hakim Fi Al-Mustadrak,03/303, Raqm-5182,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/36, Raqm-53,

Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 02/252, Raqm-1298,

Bayhaqi Fi Kitab-uz-Zuhd Al-Kabir, 02/112,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-742, 743, Raqm-842.]

43/843.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Us Waqt Meri Sunnat Ko Mazbooti Se Thaama Jab Meri Ummat Fasaad Me Mubtala Ho Chuki Hogi To Us Ke Liye Sau-100 Shaheedo’n Ke Baraabar Sawaab Hai.”

[Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 08/200,

Bayhaqi Fi Kitab-uz-Zuhd Al-Kabir, 02/118, Raqm-207,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/198, Raqm-6608,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/41, Raqm-65,

Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 24/364,

Dhahabi Fi Mizan-ul-I’tidal Fi Naqd-ir-Rijal, 02/270,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-743, Raqm-843.]

44/844.    “Hazrat Hasan Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Daurane Husoole Ilm Agar Kisi Shakhs Ko Maut Aa Jaa’e Aur Woh Is Liye Ilm Haasil Kar Raha Ho Ki Us Ke Zareeye Se Islam Ko Zinda Karega To Us Ke Aur Ambiya-e Kiram Ke Darmiyan Jannat Me Sirf Ek Darje Ka Farq Hoga.”

[Darami Fi As-Sunan, 01/112, Raqm-354,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/174, Raqm-9454,

Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 51/61,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 01/123,

Ibn Abd-il-Barr Fi Jaame’ Bayan Al-‘Ilmi Wa Fadlih, 01/46,

Zubaydi Fi It’haf Al-Sadah Al-Muttaqin, 01/100,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/53, Raqm-110,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-743, 744, Raqm-844.]

45/845.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu  Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  (Jaan Lo!) Mere Baa’d Koi Nabi Nahin Hoga.  Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne Arz Kiya :  To Ya RasoolAllah ﷺ! Koun Hoga? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Mere) Khulafa’ Honge Aur Phir Un Ke Khulafa’a Honge . So Jise Tum Seedhe Raaste Par Paao Us Ke Saath Bay’at (Ahade Wafa) Nibhaao, Aur Jo Seedhi Raah Par Na Rahe’n Unhe’n Un Ka Haqq De Do Aur Apna Haqq Allah Ta’ala Se Maango.”

[Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 01/257, Raqm-223,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-744, Raqm-845.]

46/846.    “Hazrat Kaseer Bin ‘Abd Allah Muzni Ba-Wasta Waalid Apne Daada Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Be Shak Deen (Ya Farmaya : Islam) Kee Ibtada Ajnabiyyat Se Hu’i (Ya’ni Deen Kee Ibttiba Karne Waale Ma’ashre Me Ajnabi Lagte They Ya Us Ka Doosara Mafhoom Yeh Hai Ki Deen Ke Phailne Kee Ibtida Safar Aur Hijrat Se Hu’i) Aur (Ek Zamana Phir Aisa Ayega Ki) Ye Deen (Mu’ashre Me) Dobaara Ajnabi Lagega. Jis Tarah Kee Shuru’ Me Lagta Tha.  Aur (Deen Phailaane Kee Khaatir) Alag Thalag Hone Waale (Ghuraba Ya’ni Ajnabi Logo’n) Ke Liye Khushkhabri Hai. Arz Kiya Gaya : Ya RasoolAllah ﷺ!  Ghuraba’ (Ajnabi) Kaun Hain?  Farmaya : Woh Log Jo Meri Sunnato’n Ko Zinda Karte Aur Allah Ke Bando’n Ko In Kee Ta’leem Dete Hain.”

[Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 02/138, Raqm-1052, 1053,

Bayhaqi Fi Kitab-uz-Zuhd Al-Kabir, 02/117, Raqm-205,

Suyooti Fi Miftah-ul-Jannah Fi Al-Ihtijaj Bi-‘i-Sunnah, 01/67,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-744, 745, Raqm-846.]

47/847.    “Hazrat Sa’iyd Bin Musayyab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Jis Ne Ilm Haasil Kiya Taa Ki Us Se Islam Ko Zinda Kar Sake To Us Ke Aur Ambiya-e Kiram Ke Darmiyan Siwaaye Ek Darje Ke Koi Farq Nahin Hoga.”

[Ibn ‘Abd-il-Barr Fi Jaame’ Bayan Al-‘Ilmi Wa Fadlih, 01/46,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-745, Raqm-847.]

48/848.    “Hazrat Hasan Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Teen³ Martaba Ye Farmaya :  Mere Khulafa’ Par Allah Ta’ala Kee Rahmat Ho. Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne Arz Kiya :  Ya RasoolAllah ﷺ!  Aap Ke Khulafa’ Kaun Log Hain? Aap Ne Farmaya :  Woh (Log) Jo Meri Sunnato’n Ko Zinda Karte Hain Aur (Doosare) Logo’n Ko Bhi In Kee Ta’leem Dete Hain (Mere Khulafa’ Hain).”

[Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 51/61,

Ibn ‘Abd-il-Barr Fi Jaame’ Bayan Al-‘Ilmi Wa Fadlih, 01/46,

Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 10/229, Raqm-29209,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safh-745, 746, Raqm-848.]

49/849.    “Hazrat Aboo Sa’iyd Faryaabi Riwayat Karte Hain Ki Imam Ahmad Bin Hanbal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Allah Ta’ala Har Sadee Ke Aakhir Par Logo’n Ke Liye Ek Aysi Shakhsiyat Ko Bhejata Hai Jo Logo’n Ko Sunnat Kee Ta’leem Deti Hai Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Taraf Mansub Jhoot Kee Nafi Karti Hai.”

[Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 24/365, Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 09/25,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 02/62,

Azim Abadi Fi ‘Awn-ul-Ma’boodi Sharh Sunan Abi Dawud, 11/261,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-746, Raqm-849.]