Fasl-01 :
Huzoor Nabiyye Akram ﷺ Kee Sunnate Mutahharah Ko Mazbooti Se Thaame Rakhne Ka Bayan
01/850. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Meri Ita’at Kee So Us Ne Allah Ta’ala Kee Ita’at Kee, Aur Jis Ne Meri Nafarmani Kee So Us Ne Allah Ta’ala Kee Nafarmani Kee.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2611,
Bukhari Fi As-Sahih, 03/1080, Raqm-2797,
Muslim Fi As-Sahih, 03/1466, Raqm-1835,
Nasa’i Fi As-Sunan, 07/154, Raqm-4193, 5510,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/04, Raqm-03,
Ibn Majah Fi As-Sunan, Raqm-2859, 2859,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/46, Raqm-1597,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 10/420, Raqm-4556,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/252, Raqm-7428,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-751, Raqm-850.]
02/851. “Hazrat Hudhayfah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hum Se Bayan Farmaya : (Wahyi-e Ilahi Kee) Amaanat Aasmaan Se Logo’n Ke Dilo’n Kee Tah Me Naazil Farmaa’i Ga’i Aur Qur’ane Kareem Naazil Hua. So Unhone Qur’ane Kareem Padha Aur Sunnat Seekhi.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2655, Raqm-6848,
Muslim Fi As-Sahih, 01/126, Raqm-143,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/474, Raqm-2179,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/383, Raqm-23303,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-751, 752, Raqm-851.]
03/852. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Meri Saari Ummat Jannat Me Daakhil Hogi Siwaye Us Ke Jis Ne Inkaar Kiya. Sahaba Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Kis Ne Inkaar Kiya? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Meri Ita’at Kee Woh Jannat Me Daakhil Hua Aur Jis Ne Meri Nafarmani Kee Us Ne Inkaar Kiya.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2655, Raqm-6851,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/196, Raqm-17,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/122, Raqm-182,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/275, Raqm-8626,
وقال : صحيح الإسناد ،
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/361, Raqm-8713,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-752, Raqm-852.]
04/853. “Hazrat Jaabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Kuchh Firishte Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Haakir Hu’e Jab Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Istiraahat Farma Rahe They To Un Me Se Ek Ne Kaha : Yeh To Soye Hu’e Hain. Doosre Ne Kaha (In Kee) Aankh Soti Hai Magar Dil Bedaar Rehta Hai. Phir Unhone Kaha : Haqeeqi Ghar Jannat Hee Hai Aur Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam (Haqq Kee Taraf) Bulaane Waale Hain. Jis Ne Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ita’at Kee (Dar Haqeeqat) Us Ne Allah Ta’ala Kee Ita’at Kee Aur Jis Ne Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Nafarmani Kee Us Ne Allah Ta’ala Kee Nafarmani Kee, Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Achchhe Aur Bure Logo’n Me Farq Karne Waale Hain.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2655, Raqm-6852,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-752, 753, Raqm-853.]
05/854. “Hazrat Ikam Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Tumhare Paas Do Cheeze Chhode Ja Raha Hoo’n Agar Tum Unhe’n Thaame Rakhoge To Kabhi Gumraah Na Hoge. Ya’ni Allah Ta’ala Kee Kitab Aur Us Ke Nabi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Sunnat.”
–
[Malik Fi Al-Muwatta’, 02/899, Raqm-1594,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/172, Raqm-319,
Ibn ‘Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 24/331, Raqm-128,
Wasiti Fi Tarikh Wasit, 01/50,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-753, Raqm-854.]
06/855. “Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hajjat-ul-Wida’a Ke Mauqe Par Logo’n Se Khitaab Farmaya : Aye Logo! Yaqeenan Mein Tumhare Darmiyan Aisee Shai Chhode Ja Raha Hoo’n Agar Tum Use Mazbooti Se Thaame Rakhoge To Kabhi Gumraah Nahin Hoge. Ya’ni. Allah Ta’ala Kee Kitab Aur Us Ke Nabi Kee Sunnat.”
وقال الحاكم : صحيح الإسناد.
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/171, Raqm-318,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/114,
Bayhaqi Fi Al-I’tiqad, 01/228,
Maruzi As-Sunnah, 01/26, Raqm-68,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/41, Raqm-66,
Suyooti Fi Miftah-ul-Jannah Fi Al-Ihtijaj Bi-‘i-Sunnah, 01/21,
Ibn Hazm Fi Al-Ihkamu Fi Usool-il-Ahkam, 06/243,
Tabarani Tarikh-ul-Umam Wal-Muluk, 02/206,
Ibn Hisham Fi As-Seerat-un-Nabawiyyah, 06/10,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-753, 754, Raqm-855.]
07/856. “Hazrat Irbaaz Bin Saariya RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Ek Din Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Fajr Kee Namaz Ke Baa’d Hame’n Nihayat Faseeho Baleegh Wa’z Farmaya, Jis Se Aankho’n Me Aansoo Jaari Ho Ga’e Aur Dil Kaanpne Lage. Ek Shakhs Ne Kaha : Yeh To Al Wid’a Hone Waale Shakhs Ke Wa’z Jaisa (Khitab) Hai. Ya RasoolAllah ﷺ! Aap Hame’n Kya Waseeyat Farmarte Hain? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Tumhe’n Parhezgaari Aur Sun’ne Aur Maan’ne Kee Waseeyat Karta Hoo’n, Khwaah Tumhara Haakim Habshee Ghulaam Hee Kyun Na Ho. Is Liye Ki Tum Me Se Jo Zinda Rahega Woh Bohat Se Ikhtilaaf Dekhega. Khabardaar (Shari’at Ke Khilaaf) Na’i Baato’n Se Bachana Kyun Ki Yeh Gumraahi Ka Raasta Hai Lehaaza Tum Me Se Jo Yeh Zamaana Paaye To Woh Meri Aur Mere Hidaayat Yaafta Khulafa-e Rashideen Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Kee Sunnat Ko Laazim Pakade, Tum Log (Meri Sunnat Ko) Daanto’n Se Mazbooti Se Pakad Lena (Ya’ni Is Par Sakhti Se Kaarband Rehna).”
رواه الترمزي وابن ماجه.
وقال الترمزي : هذا حديث حسن صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/44, Raqm-2676,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/200, Raqm-4607,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/15, Raqm-46,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/126,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/178, Raqm-05,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/174, Raqm-329,
وقال : هذا حديث صحيح ليس له علة،
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 18/246, Raqm-618,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-754, 755, Raqm-856.]
08/857. “Hazrat Ibn Awn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Qaul Hai Ki Teen Cheeze’n Mein Apne Liye Aur Apne Bhai Ke Liye Pasand Karta Hoo’n Ek Yeh Ki Woh Is Sunnat Ko Seekhe Aur Us Ke Muta’alliq Sawal Kare. Doosara Qur’an Kareem, Kee Use Samjhe Aur Us Ke Muta’alliq Poochhe’n, Teesara Yeh Ki Bhalaa’i Ke Siwa Logo’n Se Kinaara Kash Rahe.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 02/2654,
Bayhaqi, 02/96, Raqm-132,
Lalaka’i Fi I’tiqad Ahl As-Sunnah, ,01/61, Raqm-36,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-755, Raqm-857.]
09/858. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Meri Sunnat Ko Us Waqt Mazbooti Se Thaame Rakhne Waale Ke Liye Jab Ki Meri Ummat Fasaad Me Mubtala Ho Ga’i, Shaheed Ke Baraabar Sawaab Hai.
Aur Imam Aboo Na’im Kee Riwayat Hai Ki . “Hazrat Ibn Faris RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Is Tarah Riwayat Kee Aur Us Me Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : To Us Ke Liye Sau-100 Shaheedo’n Ke Baraabar Sawaab Hai.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/315, Raqm-5414,
Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 08/200,
Daylami An Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/198, Raqm-2208,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/41, Raqm-65,
وقال : رواه الطبراني بإسناد لا بأس به،
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/172,
وقال : رجاله ثقات ،
Ibn Adi An Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Fi Al-Kamil, 02/327, Raqm-460,
وقال : وأرجو أنه لا بأس به،
Dhahabi Fi Mizan-ul-I’tidal Fi Naqd-ir-Rijal, 02/270,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Lisan-ul-Mizan, 02/246, Raqm-1033,
Suyooti Fi Miftah-ul-Jannah Fi Al-Ihtijaj Bi-‘i-Sunnah, 01/13,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-755, 756, Raqm-858.]
10/859. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tumhare Paas Meri Taraf (Mansoob Shuda) Mukhtalif Ahadith Pahonchengi, So Jo Tumhare Paas Qur’ane Paak Aur Meri Sunnat Ke Muwafik Pahonche To (Jaan Lo Ki) Woh Meri Taraf Se (Hee) Hai Aur Jo Tumhare Paas Qur’ane Paak Aur Meri Aur Meri Sunnat Se Mutsaadim Qaul Pahonche To (Jaan Lo Ki) Woh Meri Taraf Se Nahin Hai.”
–
[Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/321, Raqm-3456,
Khatib Al-Baghdadi Fi Al-Kifayah Fi Ilm-ir-Riwayah, 01/430,
Dhahabi Fi Mizan-ul-I’tidal Fi Naqd-ir-Rijal, 03/315,
Suyooti Fi Miftah-ul-Jannah Fi Al-Ihtijaj Bi-‘i-Sunnah, 01/23,
Ibn ‘Adi Fi Al-Kamil Fi Du’afa’-ir-Rijal, 04/69,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-756, Raqm-859.]