Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-14 : ﴾Neki, Sila Rehmi Aur Huqooq﴿

Husne Akhlaaq Ka Bayan

Fasl-01 :

Husne Akhlaaq Ka Bayan

01/875 .   “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Riwayat Karti Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Momino’n Me Se Kamil Tareen Momin Woh Hai Jo Behtareen Akhlaaq Ka Maalik Hai. Aur Apne Ahl-o Ayal Ke Saath Nihayat Narm Hai.”

 رواه الترمذي. وقال الترمذي : هذا حديث صحيح، وقال الحاكم : صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/09, Raqm-2612,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/119, Raqm-173,

 وقال الحاكم : رواه هذا الحديث أن آخرهم ثقات على شرط الشيخين ،

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/47, Raqm-2450, 2421,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/210, Raqm-25319,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/415, Raqm-8719,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-773, Raqm-875.]

02/876.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Momino’n Me Se Kaamil Tareen Imaan Us Ka Hai Jo Un Me Se Behtareen Akhlaaq Ka Maalik Hai Aur Tum Me Se Behtareen Ashkhaas Woh Hain Jo Apni Biwiyon Ke Sath Husne Sulook Karne Waale Hain.”

 رواه الترميز وابن حبان. وقال الترمذي: هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/466, Raqm-1162,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/227, Raqm-479,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/43, Raqm-02,

 وقال : هذا حديث صحيح،

Darami Fi As-Sunan, 02/415, Raqm-2792,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/472, Raqm-10110,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/237, Raqm-4240,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-773, 774, Raqm-876.]

03/877.    “Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Tum Me Sab Se Ziyaada Mahboob Aur Qiyaamat Ke Din Mere Nazdik Tareen Baythne Waale Woh Log Hain Jo Tum Me Se Akhlaaq Me Achchhe Hain.”

 رواه الترمذي وابن حبان وأحمد. وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/370, Raqm-2018,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/235, Raqm-485,

Ahmad Bin Hanbal An ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Fi Al-Musnad, 02/185, 217, Raqm-6735, 7035,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/234, Raqm-799,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-774, Raqm-877.]

04/878.    “Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Farmati Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : Yaqinan Momin Husne Akhlaaq Ke Zari’e Din Ko Roza Rakhne Waale Aur Raato’n Ko Qiyaam Karne Waale Ka Darja Haasil Kar Leta Hai.”

 رواه أبو داود وابن حبان واحمد. وقال الحكيم: هذا حديث صحيح.

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/252, Raqm-4798,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/228, Raqm-480,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/90, Raqm-24639,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/128, Raqm-199,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/236, Raqm-7997,

Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/475, Raqm-1927,

Aboo Mahasin Fi Mu’tasar Al-Mukhtasar, 02/209,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/271, Raqm-4004, 4006,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/182,

Ibn ‘Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 24/85,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/194, Raqm-731,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-774, 775, Raqm-878.]

05/879.    “Hazrat Aboo Darda’ RadiyAllahu Ta’ala ‘AnhuSe Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Husne Akhlaq Se Badh Kar Mizaan Me Bhaari Cheez Koi Nahin Hogi.”

رواه الترمذي وابو داود ولفظ له. وقال ترميذي : هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/362, Raqm-2002,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/253, Raqm-4799,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/448, 451, Raqm-27572, 27593,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/230, Raqm-481,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/238, 239, Raqm-8003, 8004,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/363, Raqm-783,

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/103, Raqm-993,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/99, Raqm-204,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/211, Raqm-2523,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/270, Raqm-4003,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-775, Raqm-879.]

06/880.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Be Shak Woh Shakhs Aag Par Haraam Kar Diya Gaya Hai Jo Narm Khoo (Nek Mizaaj), Khush Akhlaaq Aur (Nek Majaalis Me) Logo’n Ke Qareeb Hai.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/415, Raqm-3938,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/215, Raqm-469,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/231, Raqm-10562,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 08/467, Raqm-5053,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 07/353, Raqm-2697,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-775, 776, Raqm-880.]

07/881.    “Hazrat Aboo Dhar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Tumhaara Apne Musalman Bhai Ke Liye Muskuraana Bhi Sadqah Hai.”

 رواه الترمذي مطولا وحسنه، وابن حبان والطبراني والبزار.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/339, Raqm-1956,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/221, Raqm-474,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/183, Raqm-8342,

Bazzar Fi Al-Musnad, 09/452, Raqm-4070,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/70, Raqm-2396,

Ibn ‘Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 22/12,

Maruzi Ta’zim Qadr-us-Salah, 02/817, Raqm-813,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/272, Raqm-4073,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-776, Raqm-881.]

08/882.    “Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Yaqinan Allah Ta’ala Har Ek Muamle Me Narmi Baratne Ko Pasand Karta Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2242, Raqm-5678,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2308, Raqm-5901,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2349, Raqm-6032,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1706, Raqm-2165,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/60, Raqm-2701,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/102, Raqm-10213,

‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 06/11, Raqm-9893,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/37, Raqm-24136,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/164, Raqm-462,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif,03/278, Raqm-4047,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-776, Raqm-882.]

09/883.    “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Aye Aaishah! Be Shak Allah Ta’ala Narmi Se Sulook Karne Wala Hai Aur Har Ek Muamle Me Narmi Ko Pasand Karta Hai. Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Farmaya : Allah Ta’ala Narmi Karne Wala Hai Aur Narmi Ko Pasand Karta Hai Aur Narmi Par Itna Ata Farmata Hai Ki Utna Sakhti Par Bhi Ata Nahin Karta.”

Muttafaque Alyah

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2539, Raqm-6528,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2003, Raqm-2593,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/254, Raqm-4807,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1216, Raqm-3688,

Malik Fi Al-Muwatta’, 02/979, Raqm-1767,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/112, Raqm-902,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-777, Raqm-883.]

10/884.    “Hazrat Jarir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Narmi Se Mehroom Hua Woh Khayr Se Mehroom Ho Gaya.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2003, Raqm-2592,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/255, Raqm-4809,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 21/1216, Raqm-3687,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/362,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/308, Raqm-598,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-777, Raqm-884.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-14 : ﴾Neki, Sila Rehmi Aur Huqooq﴿

Mushkilaat Me Logo’n Ke Kaam Aane Ka Bayan

Fasl-02 :

Mushkilaat Me Logo’n Ke Kaam Aane Ka Bayan

11/885.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Ek Musalman Doosre Musalman Ka Bhai Hai Na Woh Us Par Zulm Karta Hai Aur Na Use Be-Yaaron Madadgaar Chhodta Hai. Jo Shakhs Apne Kisi (Musalman) Bhai Kee Haajat Rawaa’i Karta Hai Allah Ta’ala Us Kee Haajat Rawaa’i Farmaata Hai Aur Jo Shakhs Kisi Musalman Kee Dunyaawi Mushkil Hal Karta Hai Allah Ta’ala Us Kee Qiyaamat Kee Mushkilaat Me Se Koi Mushkil Hal Farma’ega Aur Jo Shakhs Kisi Musalman Kee Parda Poshi Karta Hai Allah Ta’ala Qiyaamat Ke Din Us Kee Satar Poshi Karega.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/862, Raqm-2310,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1996, Raqm-2580,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/34, Raqm-1426, Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/273, Raqm-4893,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/308, Raqm-7286,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/91, Raqm-5646,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/291, Raqm-533,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 06/94, Raqm-11292,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-778, Raqm-885.]

12/886 .   “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Kisi Musalman Kee Koi Duniyaawi Taklif Door Karega Allah Ta’ala Us Kee Qiyaamat Ke Din Kee Mushkilaat Me Se Koi Mushkil Hal Kar Dega. Jo Shakhs Dunya Me Kisi Tang Dast Ke Liye Aasaani Paida Karega Allah Ta’ala Dunya Aur Aakhirat Me Us Ke Liye Aasaani Paida Farma’ega Aur Jo Shakhs Dunya Me Kisi Musalman Kee Parda Poshi Karega Allah Ta’ala Dunya Aur Aakhirat Me Us Kee Parda Poshi Farma’ega. Allah Ta’ala (Us Waqt Tak) Apne Bande Kee Madad Karta Rehta Hai, Jab Tak Banda Apne Bhaai Kee Mada Me Laga Rehta Hai.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2074, Raqm-2699,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/34, Raqm-1425, 1930, 2945,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/287, Raqm-4946,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/308, Raqm-7283, 7286,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/82, Raqm-225,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/425, Raqm-8159,

 وقال الحاكم : صحيح الإسناد.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-778, 779, Raqm-886.]

13/887.    “Hazrat Zayd Bin Saabit RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Allah Ta’ala Us Waqt Tak Apne Bande Ke Kaam Me ( Madad Karta) Rehta Hai Jab Tak Banda Apne (Musalman) Bhaai Ke Kaam Me (Madad Karta) Rehta Hai.”

رواه الطبراني بإسناد جيد.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/118, Raqm-4801, 4802,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/264, Raqm-3974,

وقال المنذري : رواته ثقات،

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/91, Raqm-7560,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/193,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-779, Raqm-887.]

14/888.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Kee Ek Aisi Makhlooq Hai Jinhein Us Ne Logo’n Kee Haajat Rawaa’i Ke Liye Paida Farmaaya Hai Log Apni Haajat (Ke Silsile) Me Daude-Daude Un Ke Paas Aate Hain Yeh (Woh Log Hain Jo) Allah Ta’ala Ke Azaab Se Mehfooz Rahenge.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/358, Raqm-13334,

Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 02/117, Raqm-1007, 1008,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/262, Raqm-3966,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/192,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-780, Raqm-888.]

15/889.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar Aur Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhma Dono’n Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Apne (Kisi Musalman) Bhai Ke Kaam Ke Silsile Me Chal Pada Yaha’n Tak Ki Use Poora Kar De Allah ‘Azza Wa Jalla Us Par Panch-05 Hazaar, Aur Ek Riwayat Me Hain Ki Pach’hattar-75 Hazaar Firishto’n Ka Saaya Farma Deta Hai Woh Us Ke Liye Agar Din Ho To Raat Hone Tak Aur Raat Ho To Din Hone Tak Dua’e’n Karte Rehte Hain Aur Us Par Rahmat Bhejte Rehte Hain Aur Us Ke Uthne Waale Har Qadam Ke Badle Us Ke Liye Neki Likh Dee Jaati Hai Aur Us Ke (Apne Musalman Bhai Kee Mushkil Ko Hal Karne Ke Liye) Uthne Waale Har Qadam Ke Badle Allah Ta’ala Us Ka Ek Gunaah Mita Deta Hai.”

[Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/119, Raqm-7669,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/347, Raqm-4396,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/165, Raqm-5274,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif,03/263, Raqm-3973,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 02/299,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-780, 781, Raqm-889.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-14 : ﴾Neki, Sila Rehmi Aur Huqooq﴿

Waaledain Ke Saath Nek Sulook Aur Sila Rehmi Ka Bayan

Fasl-03 :

Waaledain Ke Saath Nek Sulook Aur Sila Rehmi Ka Bayan

16/890.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Daryaaft Kiya : Allah Ta’ala Ko Kounsa Amal Sab Se Ziyaada Pasand Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Waqt Par Namaz Padhna.  Mein Ne Arz Kiya : Phir Kounsa? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Waaledain Se Husne Sulook Karna. Mein Ne Arz Kiya :  Phir Kounsa? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Kee Raah Me Jihaad Karna.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/227, Raqm-5625,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/197, Raqm-504,

Muslim Fi As-Sahih, 01/89, Raqm-85,

Nasa’i Fi As-Sunan, 01/292, Raqm-610,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/409, Raqm-3890,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/215, Raqm-2984,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 10/19, Raqm-9805,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-782, Raqm-890.]

17/891.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Ek Aadami Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Baargaahe Aqdas Me Hazir Hua Aur Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Logo’n Me Se Mere Husne Sulook Ka Sab Se Ziyadahh Haqudar Koun Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tumhaari Waalida. Unhone Arz Kiya :  Phir Koun Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tumhari Waalida Hai. Unhone Arz Kiya : Phir Koun Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Phir Tumhari Waalida Hai. Unhone Arz Kiya :  Phir Koun?  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Phir Tumhaare Waalid Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2227, Raqm-5626,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1974, Raqm-2548,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1207, Raqm-6094,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/05,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/175, Raqm-433,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 10/482, Raqm-6094,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-782, 783, Raqm-891.]

18/892.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Us Kee Naak Khaak Aalood Ho, Phir Us Kee Naak Khak Aalood Ho, Phir Us Kee Naak Khaak Aalood Ho. Poochha Gaya : Ya RasoolAllah ﷺ! Woh Koun Shakhs Hai? Farmaya : Jis Ne Apne Maa Baap Me Se Kisi Ek Ko Ya Dono’n Ko Budhaape Kee Haalat Me Paaya Aur Phir (Un Kee Khidmat Kar Ke) Jannat Me Daakhil Nahin Hua.”

[Muslim Fi As-Sahih,04/1978, Raqm-2551,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/276, Raqm-3280,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman,06/195, Raqm-7884,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-783, Raqm-892.]

19/893.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Ek Shakhs Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Haazir Ho Kar Arz Kiya (Ya RasoolAllah!) Mein Ajr-o Sawab Ke Liye Aap Se Jihaad Aur Hijrat Kee Bay’at Karna Chaahta Hoo’n. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Tumhare Waaledain Me Se Koi Zinda Hai?Us Ne Arz Kiya : Ha’n  Balki Dono’n Zinda Dono’n Zinda Hain.Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Too (Waaqa’i) Allah Ta’ala Se Ajr-o Sawab Chaahta Hai? Us Ne Arz Kiya : Ji Ha’n, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Apne Waaledain Ke Paas Jaa Aur Un Se Achchha Sulook Kar.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2227, Raqm-5627,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1975, Raqm-2549,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/17, Raqm-2528, 2529,

Nasa’i Fi As-Sunan, 07/143, Raqm-4163,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-783, 784, Raqm-893.]

20/894.    “Aur Bukhaari Wa Muslim Kee Riwayat Me Hai Ki Ek Shakhs Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Haazir Ho Kar Jihaad Par Jaane Kee Ijaazat Chaahi. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tere Maa Baap Zinda Hain? Us Ne Arz Kiya : Ji Ha’n. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : To Un Kee Khidmat Me Hee Jihaad Kar.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2227, Raqm-5627,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1975, Raqm-2549,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/17, Raqm-2528, 2529,

Nasa’i Fi As-Sunan, 07/143, Raqm-4163,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-784, Raqm-894.]

21/895.    “Hazrat Aboo Umama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Ek Aadami Aaya Aur Us Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Waaledain Ka Apni Aulaad Par Kitna Haqq Hai? Aaap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Woh Dono’n Teri Jannat (Bhi) Hain Aur Dozakh (Bhi). (Ya’ni Un Kee Khidmat Kar Ke Jannat Haasil Kar Lo Ya Na-Farmaani Kar Ke Dozakh Ke Mustahiq Ho Jaao).”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1208, Raqm-3662,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif,03/216, Raqm-3749,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-784, 785, Raqm-895.]

22/896.       “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Raham Arsh Se Muallaq (Wabasta) Hai Aur Yeh Keh Raha Hai Ki Jis Ne Mujhe Mila Ya Allah Ta’ala Use Milaaye, Aur Jis Ne Mujhe Kaata Allah Ta’ala Use Kaate.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1981, Raqm-2555,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/217, Raqm-25388,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/423, Raqm-4446,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/286,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/286, Raqm-3322,

 Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-785, Raqm-896.]

23/897 .   “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Sab Se Badi Neki Yeh Hai Ki Koi Shakhs Apne Waalid Ke Dosto’n Se Neki Kare.”

“Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Badi Neki Yeh Hai Ki Koi Shakhs Apne Baap Kee Wafaat Paa Jaane Ke Baa’d Us Ke Dosto’n Se Neki Kare.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1979, Raqm-2552,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/72, Raqm-7997,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/180, Raqm-7557,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-785, 786, Raqm-897.]

24/898.    “Hazrat Jaahima RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Jihaad Ka Mashwara Lene Ke Liye Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Haazir Hua. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Tumhare Maa-Baap Zinda Hain?  Mein Ne Arz Kiya : Ji Ha’n (Zinda Hain). Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Unhi Ke Saath Raho Ki Jannat Un Ke Paaw Tale Hai.”

[Nasa’i Fi As-Sunan, 06/11, Raqm-3104,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/289, Raqm-2202,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif,03/216, Raqm-3750,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/138, وقال : ورجاله الثقات

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-786, Raqm-898.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-14 : ﴾Neki, Sila Rehmi Aur Huqooq﴿

Bado’n Aur Chhoto’n Ke Huqooq Ka Bayan

Fasl-04 :

Bado’n Aur Chhoto’n Ke Huqooq Ka Bayan

25/899.    “Umm-ul-Mu’minin Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Farmati Hain Ki Mein Ne Chaal Dhaal, Shaklo Shabaahat Aur Baatcheet Me Sayyida Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Badh Kar Kisi Ko Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Mushaabeh Nahin Dekha Aur Jab Sayyida Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Haazir Hoti To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Un Ke Istiqbaal Ke Liye Khade Ho Jaate, Un Ka Haath Pakad Kar Bosa Dete Aur Unhe’n Apni Jageh Par Baithaate Aur Jab Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Un Ke Paas Tashreef Le Jaate To Woh Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Liye Khadi Ho Jaati, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Daste Aqdas Ko Pakad Kar Bosa Deti Aur Apni Jageh Bithaati.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/355, Raqm-5217,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/337, Raqm-971,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/96, Raqm-8369,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-786, Raqm-899.]

26/900.    “Hazrat Sha’abi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hazrat Ja’far Bin Aboo Taalib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se (Hijrat Ke Baa’d) Mile To Un Se Mu’anqa Farmaya Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Un Kee Dono’n Aankho’n Ke Darmiyan Bosa Diya.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan,04/356, Raqm-5220,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/541, Raqm-33682,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/351, Raqm-36643,

Maqri Fi Taqbil-ul-Yad, 01/81, Raqm-21,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-787, 788, Raqm-900.]

27/901.    “Hazrat ‘Abd-ir-Rahman Bin Razeen RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Ek Baar Hum Rabza (Jageh Ka Naam) Ga’e To Hamein Bataya Gaya Ki Yaha’n (Sahabi-e Rasool) Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Rehte Hain. Hum Un Kee Khidmat Me (Ziyaarat Ke Liye) Ga’e Aur Unhe’n Salam Kiya. Unhone Apne Dono’n Haath Kapdo’n Se Baahar Ki’e Aur Farmaya : Mein Ne In Haatho’n Se Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bay’at Kee Hai Un Ka Haath Bada Aur Zakheem Tha Jaise Oont Ke Haath Ho’n, Hum Log Un Ke Ehtiram Me Khade Ho Ga’e Aur Hum Ne Un Ke Haatho’n Ka Bosa Liya.”

[Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/338, Raqm-973,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-788, Raqm-901.]

28/902.    “Hazrat Ibn Jud’an RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Hazrat Saabit Ne Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Arz Kiya : Kya Aapne Apne In Haatho’n Se Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Mas Kiya Tha? Unhone Farmaya : Ha’n, To Is Par Unhone Un (Ya’ni Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu) Ke Haatho’n Ko Chum Liya.”

[Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/338, Raqm-974,

Maqri Fi Taqbil-ul-Yad, 01/79, Raqm-19,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-788, 789, Raqm-902.]

29/903.    “Hazrat Suhaib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Jo Ki Hazrat Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Ghulam They, Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Hazrat Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Haath Aur Paanw Choomte Hu’e Dekha Aur Saath-Saath Kehte Jaate They : Aye Chacha! Mujh Se Raazi Ho Jaa’e.”

[Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad,01/339, Raqm-976,

Dhahabi Fi Siyar A’lam An-Nubala’, 02/94,

Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 13/240, Raqm-2905,

Maqri Fi Taqbil-ul-Yad, 01/76, Raqm-15,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-789, Raqm-903.]

30/904.    “Hazrat Iyas Bin Daghfal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Aboo Nazra Ko Dekha Ki Unhone Hazrat Hasan Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ke Rukhsar Mubarak Par Bosa Diya.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/356, Raqm-5221,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/247, Raqm-25733,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-789, Raqm-904.]

31/905.    “Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Woh Jab Bhi Shaam Aate To Hazrat Aboo Ubaida Bin Jarrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Un Ka Istiqbaal Karte Aur Un Kee Dast Bosee Karte.”

[Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/476, Raqm-8965,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 07/101, Raqm-13361,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-789, Raqm-905.]

32/906.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Hasan Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Chuma To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Paas Us Waqt Aqara Bin Haabis Tameemi Bhi Baitha Tha Woh Bola : Mere Das-10 Bete Hain Mein Ne To Unhe’n Kabhi Nahin Chuma. Is Par Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Kee Taraf Dekh Farmaya : Jo Raham Nahin Karta Us Par Raham Nahin Kiya Jaata.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2235, Raqm-5651,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1808, Raqm-2315,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/202, Raqm-457,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/241, Raqm-7287,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/46, Raqm-91, 99,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 07/100, Raqm-13354,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhib, 03/142, Raqm-3419,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-789, 790, Raqm-906.]

33/907.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Aqara Bin Haabis Tameemi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Hazrat Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Bosa Dete Hu’e Dekha, To Arz Kiya : Mere Das-10 Bete Hai Lekin Mein Ne Aaj Tak Un Me Kisi Ke Saath Bhi Aisa (Pyar Bhara Bartaaw) Nahin Kiya. Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Raham Nahin Karta Us Par Raham Nahin Kiya Jaata.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2235, Raqm-5651,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/355, Raqm-5218,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/202, Raqm-457,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/241, Raqm-7287,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 07/100, Raqm-13354,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/46, Raqm-91,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-790, 791, Raqm-907.]

34/908.    “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Jab Hazrat Sa’d Bin Mu’az RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Hukm Par Quraija (Qil’e Se) Neeche Utar Aa’e To Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Unhe’n Bulaane Ke Liye Ek Aadami Bheja Aur Woh Qareeb Hee They. So Woh Gadhe Par Sawaar Ho Kar Aa’e, Nazdeek Pahonche To Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Logo’n Se Farmaya : Apne Sardar Ke Liye (Taazeeman) Khade Ho Jaao.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1107, Raqm-2878,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1511, Raqm-3895,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/231, Raqm-5907,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1388, Raqm-1768,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/355, Raqm-5215,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/62, Raqm-8222,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/498, 500, Raqm-7028,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/22, Raqm-11181,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 06/57, Raqm-11096,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/06, Raqm-5323,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-791, Raqm-908.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-14 : ﴾Neki, Sila Rehmi Aur Huqooq﴿

Khaandaan Aur Aulaad Ke Huqooq Ka Bayan

Fasl-05 :

Khandan Aur Aulaad Ke Huqooq Ka Bayan

35/909.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kabira Gunaaho’n Me Se Ek Yeh Bhi Hai Ki Aadami Apne Waaledain Par La’nat Kare.  Arz Kiya Gaya :  Ya RasoolAllah ﷺ!  Koi Aadami Apne Waaledain Par Kis Tarah La’nat Karta Hai?  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Ek Aadami Dusre Aadami Ke Waalid Ko Gaali Deta Hai To Woh (Jawaaban) Us Ke Waalid Ko Gaali Deta Hai Aur Jab Koi Kisi Kee Maa Ko Gaali Deta Hai To Woh (Jawaaban) Us Kee Maa Ko Gaali Deta Hai (Yeh Khud Apne Maa-Baap Ko Gaali Dena Hai).”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2228, Raqm-5628,

Muslim Fi As-Sahih, 01/92, Raqm-90,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/312, Raqm-1902,

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح،

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/164, Raqm-6529, 6840,

Bazzar Fi Al-Musnad, 06/445, Raqm-2483,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-792, Raqm-909.]

36/910 .   “Hazrat Sa’iyd Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Tum Jo Kuchh Kharch Karte Ho Ki Jis Se Tumhaara Maqsood Raza-e Ilahi Ho To Tumhein Us Par Ajr Diya Jaata Hain.  Yaha’n Tak Ki Tum Apni Biwi Ke Moo’nh Me Jo Luqma Daalte Ho (Us Par Bhi Ajr Diya Jaata Hai).”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/30, Raqm-56,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/435, Raqm-1233,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1006, Raqm-2591, 2593,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1431, Raqm-3721,

Raqm-4147, 5039, 5335, 5344, 6012, 6352,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1250, Raqm-1628,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/383, Raqm, 9206,

Malik Fi Al-Muwatta’, 02/763, Raqm-1456,

‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 09/64,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 07/292, Raqm-7171,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-792, 793, Raqm-910.]

37/911.    “Hazrat Bahaz Bin Hakim Ba Waasta Apne Waalid Apne Daada Se Riwayat Karte Hain, Woh Farmate Hain Ki Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Hum Apne Satar Me Se Kya Chhupaaye Aur Kya Na Chhupaaye? Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Apni Biwi Aur Loundi Ke Siwa Sab Se Apni Sarmgah Mahfooz Rakho, Unhone Arz Kiya :  Agar Mard, Mard Ke Saath Ho To? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Satar Chhupaana Mumkin Ho To Aysa Hee Karo (Ya’ni Na Dikhaawo). Mein Ne Arz Kiya : Insaan Tanha Bhi Hota Hai.  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ka Haqq Sab Se Ziyaada Hai Ki Us Se Haya Kee Jaa’e”

رواه الترمذي وأبوداود وابن ماجه وذكره البخاري في الترجمة مختصرا .

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن. وقال الحاكم: هذا حديث صحيح الإسناد.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/97, Raqm-2769,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/40, Raqm-4017,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/618, Raqm-1920,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/313, Raqm-8972,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/03,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 01/199, Raqm-910,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-793, 794, Raqm-911.]

38/912.    “Hazrat ‘Amr Bin Shu’ayb Ba Waasta Apne Waalid Apne Daada Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Tumhaari Aulaad Saat-07 Saal Kee Ho Jaa’e To Unhe’n Namaz Ka Hukm Do Aur Jab Woh Das-10 Saal Kee Ho Jaa’e To Unhe’n Us (Namaz Na Padhne) Par Maaro Aur (Is Umr Me) Unhe’n Alag-Alag Sulaaya Karo.”

 رواه أبوداوود بإسناد جيد والحاكم والدارقطني  وأحمد.

[Aboo Dawud Fi As-Sunan,  01/133, Raqm-495,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/311, Raqm-708,

Daraqutni Fi As-Sunan, 01/230, 03, 06,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/187, Raqm-6756,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/228, Raqm-3050,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-794, Raqm-912.]

39/913.    “Hazrat Muawiyah Bin Haydah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Hum Me Se Kisi Par Us Kee Biwi Ka Kya Haqq Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Tum Khao To Use Bhi Khilaao, Jab Tum Pahno Ya Kamaao To Use Bhi Pehnaao, Us Ke Moo’nh Par Na Maaro, Use Bure Lafz Na Kaho Aur Use Khud Se Alag Na Karo Magar Ghar Ke Andar Hee.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/244, Raqm-2142,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/373, Raqm-9171, 11104,

‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 07/148, Raqm-12583,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/447,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/03,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 07/305, Raqm-14556,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 19/427, Raqm-1038,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/32, Raqm-2968,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-794, 795, Raqm-913.]

40/914.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tauhfon Kee Taqsim Me Apni Aulaad Me Baraabari Rakho Aur Agar Mein Kisi Ko Kisi Par Fazilat Deta To Aurto’n Ko (Ya’ni Betiyon Ko Beton Par) Fazilat Deta.”

رواه الطبراني والبيهقي ذكره البخاري في الترجمة مختصرا.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/354, Raqm-11997,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 06/177, Raqm-11780,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 04/86,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 04/153,

Harith Al-Musnd (Zawa’id Al-Haythami), 01/512, Raqm-454,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/913,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-795, Raqm-914.]

41/915.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Shakhs Kee Do² Betiya’n Ho Aur Jab Tak Us Ke Paas Rahein Ya Woh Un Ke Saath Raha Aur (Us Dauraan) Woh Un Ke Saath Husne Sulook Karta Raha To Woh Dono’n Use Jannat Me Le Jaayengi.”

رواه ابن ماجه وابن حبان. وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1210, Raqm-3670,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 07/207, Raqm-2945,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/196, Raqm-7351,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/363, Raqm-3424,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 04/445, Raqm-2571,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/337, Raqm-10836,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-795, 796, Raqm-915.]

42/916.    “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Teen³ Betiyon Kee Parwarish Kee, Unhe’n Achchha Adab Sikhaaya, Un Kee Shaadi Kee Aur Un Ke Saath Achchha Sulook Karta Raha To Us Ke Liye Jannat Hai Aur Ek Aur Riwayat Me Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Teen³ Bahne Ya Teen³ Betiya’n, Ya Do² Betiya’n Ya Do² Bahne.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/338, Raqm-5147,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/97, Raqm-11943,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 04/342, Raqm-2457,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/216, Raqm-11542,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/221, Raqm-25434,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/162,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-796, Raqm-916.]

43/917.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Rabb Kee Raza Waalid Kee Raza Me Hai Aur Rabb Kee Narazgi Waalid Kee Naraazgi Me Hai.”

رواه الترمذي والحاكم. وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/310, Raqm-1899,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/168, Raqm-7249,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-796, 997, Raqm-917.]

44/918.    “Hazrat Aboo Darda’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Qiyaamat Ke Roz Apne Namon Aur Apne Baapon Ke Naamon Se Pukaare Jaa’oge, Lehaaza Apne (Aur Apne Bachcho’n Ke) Naam Khubsurat Rakkha Karo.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/287, Raqm-4948,

Darami Fi As-Sunan, 02/380, Raqm-2694,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/194, Raqm-22035,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 09/306,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/393, Raqm-8633,

Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/360, Raqm-2492,

Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/479, Raqm-1944,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-797, Raqm-918.]

45/919.    “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Riwayat Karti Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam (Jab Kisi Shakhs Ya Bachche Ka Bura Naam Dekhte To Us Ka Woh) Bura Naam Tabdil Farma Diya Karte They.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan,05/135, Raqm-2839,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/261, Raqm-25896,

Suyooti Fi Al-Jami-us-Saghiru Min Hadith-il-Bashir-in-Nadhir, 01/344, Raqm-650,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/49, Raqm-3033,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-797, Raqm-919.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-14 : ﴾Neki, Sila Rehmi Aur Huqooq﴿

Jaame’ Huqooq Ka Bayan

Fasl-06 :

Jaame’ Huqooq Ka Bayan

46/920.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Shakhs Ne Hum (Ya’ni Musalmano’n) Par Hathyaar Uthaaya Woh Hum Me Se Nahin.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2520, Raqm-6480,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2591, Raqm-6659,

Muslim Fi As-Sahih, 01/98, Raqm-98,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/59, Raqm-1459,

وقال أبوعيسى : حديث أبي موسى حديث حسن،

Nasa’i Fi As-Sunan,07/117, Raqm-4100,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/860, Raqm-2575,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad,02/03, Raqm-4467,

Ibrahim  At-Turtoosi Fi Musnad ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu, 01/38, Raqm-63,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-798, Raqm-920.]

47/921.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmate : Sun Lo! Tum Se Har Ek Nigara’n Hai Aur Har Ek Se Us Kee Raeeyyat Ke Muta’alliq Sawaal Kiya Jaa’ega. Hukmara’n Nigara’n Hai Aur Us Se Us Kee Riaaya Ke Muta’alliq Sawaal Kiya Jaa’ega. Aadami Apne Ghar-Baar Ka Nigara’n Hai Aur Us Se Us Kee Riaaya (Ya’ni Ghar Waalo’n) Ke Muta’alliq Sawaal Kiya Jaa’ega. Aurat Apne Shauhar Ke Ghar Kee Nigara’n Hai Aur Us Se Us Kee Riaaya (Shauhar Ke Ghar) Ke Muta’alliq Sawaal Kiya Jaa’ega. Naukar Apne Maalik Ke Maal Ka Nigara’n Hai Us Se Us Kee Riaaya Ke Muta’alliq Sawaal Kiya Jaa’ega. (Raawi Kehte Hai Mere Khayaal Me Yeh Bhi Farmaya Ki ) Aadami Apne Baap Ke Maal Ka Nigara’n Hai Aur Us Se Us Kee Riaaya Ke Muta’alliq Sawaal Kiya Jaa’ega Aur Tum Se Har Ek Nigara’n Hai Aur Har Ek Se Us Kee Riaaya Ke Muta’alliq Sawaal Kiya Jaa’ega.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih,01/304, Raqm-853,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/848, Raqm-2278,

Bukhari Fi As-Sahih,  02/901, Raqm-2416,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/906, Raqm-2419,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/1988, Raqm-4892,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/1996, Raqm-4904,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2611, Raqm-6719,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1459, Raqm-1829,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/208, Raqm-1705,

وقال أبوعيسى : حديث ابن عمر حديث حسن صحيح،

Aboo Dawud Fi As-Sunan,03/130, Raqm-2928,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/374, Raqm-9173,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/81, 84, Raqm-206, 212, 214,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-798, 799, Raqm-921.]

48/922.    “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Riwayat Karti Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Hamesha Mujh Hamsaaye Ke Huqooq Ke Baare Me Us Qadar Taakid Karte Rahe Yaha’n Tak Ki Mujhe Khayaal Aane Laga Ki Yeh Use (Ya’ni Padosi Ko) MAale Wirasat  Me Hissadar Bana Denge.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2239, Raqm-5668, 5669,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2025, Raqm-2624, 2625,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/333, Raqm-1942, 1943,

وحسنه،

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/338, Raqm-5151, 5152,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1211, Raqm-3673, 3673,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/85, Raqm-5577,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-799, 800, Raqm-922.]

49/923.    “Hazrat ‘Amr Bin Shu’ayb RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ba Waasta Apne Waalid Apne Daada Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Woh Shakhs Hum Me Se Nahin Hai Jo Hamaare Chhoton Par Raham Na Kare Aur Hamare Badon Kee Qadar Wa Manzilat Na Pahchaane.”

رواه الترمذي وأبوداود.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/322, Raqm-1920,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/286, Raqm-4941,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad,02/222, Raqm-7073,

وسنده حسن، وافي الباب : أن ابن عباس رضي الله تعالى عنهما   عند أحمد، ١/٢٥٧، وان أنس رضي الله تعالى عنه عند الترمذي (١٩٢٠)، وان عبادة بن الصامت رضي الله عنه أحمد، ٥/٣٢٣، وزاد فيه : (ويعرف العالمنا) وسنده حسن،

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/131, Raqm-209,

Bukhari An Abi Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/129, Raqm-353,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-800, Raqm-923.]

50/924.    “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Tum Janaza Dekhon To Khade Ho Jaao Jo Janaza Ke Saath Jaa’e To Us Waqt Tak Na Baythe Jab Tak Ki Janaza Rakh Na Diya Jaa’e.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih,01/441, Raqm-1248, Muslim Fi As-Sahih, 02/660, Raqm-959,

Nasa’i Fi As-Sunan, 04/43, Raqm-1914,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/51, Raqm-11494,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 20/386, Raqm-1157,

Daylami Munad-ul-Firdaws, 01/262, Raqm-1018,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-801, Raqm-924.]

51/925.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Kitne Ayse Log Hote Hain Jo (Zaahiran) Paraaganda Haal Hote Hain Jinhein Darwazon (Ke Baahar Hee) Se Dhutkaar Diya Jaata Hai (Lekin Allah Ta’ala Ke Ha’n Un Ka Yeh Maqaam Hota Hai Ki) Agar Woh Kisi Muaamle Me Allah Ta’ala Kee Qasam Khaa Le To Woh Use Zaroor Poora Farma Deta Hai.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2024, Raqm-2622,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2191, Raqm-2854,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 07,331, Raqm-10482,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 10/105,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/73, Raqm-4849,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-801, Raqm-925.]

52/926.    “Hazrat Sahal Bin Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Mawi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  “Mein Aur Yatim Kee Kafaalat Karne Waala Jannat Me Is Tarah Honge. Aur Apni Shahadat Aur Darmiyani Ungali Se Ishaara Kiya Aur Dono’n Ke Darmiyan Kuchh Faaslah Rakkha.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2032, Raqm-4998,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2237, Raqm-5659,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2287, Raqm-2983,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/321, Raqm-1918,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/338, Raqm-5150,

Malik Fi Al-Muwatta’, 02/948, Raqm-1700,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/333, Raqm-22871,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-801, 802, Raqm-926.]

53/927.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Bewa Aurat Aur Miskin Ke Liye Koshish Karne Waala Khuda Ke Raaste Me Jihaad Karne Waale Kee Tarah Hai (Rawi Kehte Hain) Mera Khayal Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Woh Us Qiyaam Karne Waale Kee Tarah Hain Jo Thakta Nahin Aur Us Rozadar Kee Tarah Hai Jo Iftaar Nahin Karta.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2047, Raqm-5038,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2237, Raqm-5660,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2286, Rqam-2982,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/346, Raqm-1969, Nasa’i Fi As-Sunan, 05/86, Raqm-2577,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/724,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/361, Raqm-8717,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-802, 803, Raqm-927.]

54/928.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Shakhs Ne Do² Betiyon Kee Parwarish Kee Yaha’n Tak Kie Woh Baaligh Ho Ga’i Qiyaamat Ka Din Aa’ega To Woh (Shakhs) Aur Me Us Tarah Honge Aur Apni Ungaliyo’n Ko Mila Diya.”

رواه مسلم والترمذي. وقال الترمذي : هذا جديس حسن.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2027, Raqm-2631,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/319, Raqm-1914,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/308, Raqm-894,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/196, Raqm-7350,

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد،

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/176, Raqm-557,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/404, Raqm-8674,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-803, Raqm-928.]

55/929.    “Hazrat Aboo Darda’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmate : Mujhe Kamzor Logo’n Me Talaash Karo, Kyoo’n Ki Tumhein Kamzor Logo’n Kee Badaulat Hee Madad Dee Jaati Hai Aur Unhi’n Kee Badaulat Tumhein Rizq Ata Kiya Jaata Hai.”

رواه الترمذي وأبوداود والنسائي. وقال الترمذي : هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/206, Raqm-1702,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/32, Raqm-2594,

Nasa’i Fi As-Sunan, 06/45, Raqm-3179,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 03/345, Raqm-590,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/157, Raqm-2641,

 وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد،

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 11/85, Raqm-4767,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/198, Raqm-21779,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/71, Raqm-4843,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-803, 804, Raqm-929.]

56/930.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Amr Bin Aas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Dunya Saazo Saamaan Kee Jagah Hai Aur Is Dunya Ka Behtareen Sarmaaya (Wa Daulat) Nek Aurat Hai.”

[Muslim Fi As-Sahih, 02/1090, Raqm-1467,

Nasa’i Fi As-Sunan, 06/69, Raqm-3232,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 09/340, Raqm-4031,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/168, Raqm-6567,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat,  08/281, Raqm-8639,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-804, Raqm-930.]

57/931.    “Hazrat Ummi Salmah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Aurat Is Halat Me Faut Ho Ga’i Kee Us Ka Khaawind Us Se Raazi Tha, Woh Jannat Me Daakhil Ho Ga’i.”

رواه الترمذي ابن ماجه. وقال الترمذي : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/466, Raqm-1161,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/595, Raqm-1854,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/191, Raqm-7328,

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد،

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 12/331, Raqm-6903,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 23/421, Raqm-8744,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/445, Raqm-1541,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/33, Raqm-2969,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-804, 805, Raqm-931.]

58/932.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Momin Me Se Kaamil Momin Woh Hai Jo Un Me Se Behtareen Akhlaaq Ka Maalik Hai Aur Tum Me Se Behtareen Shakhs Woh  Hai Jo Apni Biwi Ke Liye Behtareen Hai.”

رواه الترمذي وأحمد وابن حبان. وقال الترمذي : هذا حديث حسن صحيح، وقال حاكم : هذا حديث صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/466, Raqm-1162,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/472, Raqm-10110,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/227, Raqm-479,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/43, Raqm-02,

Darami Fi As-Sunan, 02/415, Raqm-2792,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/237, Raqm-4240,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-805, Raqm-932.]

59/933.    “Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Farmati Hain Ki Hamein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hukm Diya Hai Ki Hum Logo’n Ko Un Ke Maqqam-o Martaba Ke Mutaabiq Jagah De.”

[Muslim Fi As-Sahih, 01/06,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 08/246, Raqm-4826,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 07/462, Raqm-10999,

Ahmad Bin Hanbal Fi Az-Zuhd, 01/50, Raqm-91,

Hakim At-Tirmidhi Fi Nawadir-ul-Usool Fi Ma’rifati Ahadith-ir-Rasool ﷺ , 01/409,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-805, 806, Raqm-933.]

60/934.    “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu  Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Raaston Me Baythne Se Bachte Rehna. Sahaba Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Hamein Aysee Jag’hon Par Baythne Ke Siwa Chaaraekaar Nahin Kyon Ki Hum Baat-Cheet Karte Hain. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Tumhara (Raaston Kee) Majaalis Me Baythna Zaroori Hai To Raaste Ka Haqq Ada Kar Diya Karo.  Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ!  Raaste Ka Haqq Kya Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Nazre Nichi Rakhna, Taklif Deni Waali Chhiz Ka Raaste Se Hata Dena, Salaam Ka Jawaab Dena, Achchhi Baaton Ka Hukm Karna Aur Buri Baaton Se Mana’ Karna (Raaste Ka Haqq Hai).”

Mutaafaque Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2300, Raqm-5875,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/870, Raqm-2333,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1704, Raqm-2121,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/256, Raqm-04/256, Raqm-4815,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/47, Raqm-11454,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 07/89, Raqm-13291,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 04/364, Raqm-5423, 9086,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-806, Raqm-934.]