Fasl-01 :
Mulaqat Aur Salam Ke Aadab Ka Bayan
01/935. “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Bayan Karti Hain Ki Mujhe Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Aaishah! Yeh jibra’il Tumhein Salam Kehte Hain. Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Farmati Hai Ki Mein Ne Arz Kiya : Aur Tum Par Bhi Salam Ho Aur Allah Ta’ala Kee Rahmat Aur Barkatein Naazil Ho’n.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1177, Raqm-3045,
Bukhari Fi As-Sahih, 03/1373, Raqm-3557,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2291, Raqm-5948,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2306, Raqm-5895,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2307, Raqm-5898,
Muslim Fi As-Sahih, 04/1895, Raqm-2447,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/705, Raqm-3882,
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/359, Raqm-5232,
Nasa’i Fi As-Sunan, 07/69, Raqm-3953,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 16/11, Raqm-7098,
Darami Fi As-Sunan, 02/359, Raqm-2638,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-811, 812, Raqm-935.]
02/936. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Ek Aadami Ne Sawaal Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Sab Se behtar Islam (Me Amal) Kya Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Behtar Islam Yeh Hai Ki) Tum (Doosro’n Ko) Khaana Khilaawo Aur (Har Ek Ko) Salam Karo, Khwaah Tum Use Jaante Ho Ya Nahin Jaante.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/13, Raqm-12,
Bukhari Fi As-Sahih, 01/19, Raqm-28,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2302, Raqm-5882,
Muslim Fi As-Sahih, 01/65, Raqm-39,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/350, Raqm-5194,
Nasa’i Fi As-Sunan, 08/107, Raqm-5000,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1083, Raqm-3253,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-812, Raqm-936.]
03/937. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Sawaar Paydal Chalne Waale Ko Salaam Kare, Paydal Chalne Waala Baythey Hu’e Ko Salam Kare, Aur Thode Aadami Ziyaada Ta’dad Waalo’n Ko Salam Kare.”
Aur Imam Bukhari Ki Ek Aur Riwayat Me Yeh Alfaz Bhi Hain, “Chhota Bade Ko Salam Kare.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2301, Raqm-5877, 5878,
Bukhari Fi As-Sahih, 15/2302, Raqm-5879, 5880,
Muslim Fi As-Sahih, 04/1703, Raqm-2160,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/61, 62, Raqm-2703, 2705,
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح.
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/351, Raqm-5198, 5199,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/251, Raqm-498,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/325, Raqm-8295,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-812, 813, Raqm-937.]
04/938. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Jannat Me Us Waqt Tak Daakhil Nahin Honge Jab Tak tum Imaan Na Laawo Aur Tum Us Waqt Tak Momin Nahin Ho Sakte Jab Tak Tum Ek Doosre Se Mahabbat Na Karo. Kya Mein Tumhein Ek Aisi Chiz Na Bataaun? Jis Par Tum Amal Karo To Ek Doosre Se Mahabbat Karne Lago? (Aur Woh Amal Yeh Hai Ki) Apne Darmiyan Salam Ko Phailaya Karo (Ya’ni Kasrat Se Ek Doosre Ko Salam Kiya Karo).”
رواه مسلم والترمذي.
وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.
–
[Muslim Fi As-Sahih, 01/74, Raqm-54,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/52, Raqm-2688, Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/350, Raqm-5193,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/26, Raqm-68,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1217, Raqm-3692,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/47, Raqm-236,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/512, Raqm-10658,
Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/38, Raqm-83,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/248, Raqm-25742,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/423, Raqm-8745,
Ibn Munadah Al-Iman, 01/463, Raqm-330,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-813, 814, Raqm-938.]
05/939. “Hazrat Jaabir Bin Sulaym RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Haazir Hua Aur Arz Kiya : Alayka As-Salam Ya RasoolAllah ﷺ! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Alayka As-Salam Na Kaho, Yeh Murdo’n Ka Salam Hai (Balki As-Salamu Alaikum Kaha Karo).”
رواه الترمذي وابود واللفظ له.
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/71, Raqm-2721,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/353, Raqm-5209,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/87, Raqm-10149,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/206, Raqm-7382,
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح.
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/482,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/166, Raqm-24822,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-814, Raqm-939.]
06/940. “Hazrat Aboo Umama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Logo’n Me Se Allah Ta’ala Ke Ziyaada Qareeb Woh Shakhs Hai Jo Logo’n Ko Salam Karne Me Pahel Kare.”
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/351, Raqm-5197,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/433, Raqm-8787,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif,03/286, Raqm-4094,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-814, 815, Raqm-940.]
07/941. “Hazrat Oosama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ek Aysi Majlis Ke Paas Se Guzre Jis Me Musalman, Mushrik, But Parast Aur Yahoodi Sabhi Jam’a They To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Unhe’n Salam Kiya.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2307, Raqm-5899,
Bukhari Fi As-Sahih, 04/1663, Raqm-4290,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2143, Raqm-5339,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2292, Raqm-5854,
Muslim Fi As-Sahih, 03/1422, Raqm-1798,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/61, Raqm-2702,
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح،
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/356, Raqm-7502,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/203, Raqm-21815,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-814, Raqm-941.]
08/942. “Hazrat Kalaada Bin Hambal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Haazir Hua. Mein Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Paas Andar Daakhil Hua Aur Salam Na Kiya To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jaao Aur Kaho : (السَّلَامُ عَلَيْكُمْ) As-Salamu Alaykum, Kya Mein Daakhil Ho Sakta Hoo’n?”
رواه الترمذي وأبوداود. وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/64, Raqm-2710,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/344, Raqm-5176,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/169, Raqm-6735 : 06/87, Raqm-10147,
Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/371, Raqm-1081,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/414,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/339,
Shaybani Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 02/96, Raqm-794,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-815, 816, Raqm-942.]
09/943. “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Bete! Jab Ghar Me Daakhil Howo To Ghar Waalo’n Ko Salam Kiya Karo, Yeh Tumhaare Liye Aur Tumhare Ahle Khana Ke Liye Ba’ise Barkat Hoga.”
رواه الترمذي. وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/59, Raqm-2698,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/123, Raqm-5991,
Tabarani FiAl-Mu’jam-us-Saghir, 02/102, Raqm-856,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif,02/305, Raqm-2409,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-816, Raqm-943.]
10/944. “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Ahle Kitab Me Se Koi Tumhein Salam Kahe To Tum Yoo’n Kaho : (وَ عَلَيْكُمْ) Aur Tum Par Bhi.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2309, Raqm-5903,
Muslim Fi As-Sahih, 04/1705, Raqm-2163,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/99, Raqm-11944,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 05/295, Raqm-2916,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/512, Raqm-9102,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/292, Raqm-4127,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-816, Raqm-944.]
11/945. “Hazrat Jarir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kuchh Aurto’n Ke Paas Se Guzre To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Unhe’n Salam Kiya.”
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/358, Raqm-19367 : 03/363, Raqm-19426,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/118, Raqm-3759,
Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 02/164, Raqm-4647,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-816, 817, Raqm-945.]
12/946. “Hazrat Qatada RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Unhone Hazra Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘AnhuSe Arz Kiya : Kya Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sahaba Me Musaafah Murawwij Tha? Unhone Farmaya Ha’n,”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2311, Raqm-5908,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/245, Raqm-492,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 05/252, Raqm-2871,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 07/99, Raqm-13346,
Bayhaqi Fi As-Shu’ab-ul-Iman, 06/471, Raqm-8942,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/291, Raqm-4121,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-817, Raqm-946.]
13/947. “Hazrat Bara’ Bin Aazib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Bhi Do² Musalman Aapas Me Milte Hai Aur Musafah Karte Hai To Alayheda Hone Se Pehle Hee Un Ke Gunaah Bakhsh Di’e Jaate Hain.”
رواه الترمذي وأبوداود.
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/74, Raqm-2727,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/354, Raqm-5211, 5212,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1220, Raqm-3703,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/289, 303,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/246, Raqm-25717,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 07/99, Raqm-13349,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/289, Raqm-4110,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-817, Raqm-947.]
14/948. “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Riwayat Karti Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Kabhi Is Tarah Khul Kar (Ya’ni Qahqaha Laga Kar) Hanste Nahin Dekha Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Halaq Mubarak Bhi Dekh Leti, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Sirf Muskuraaya Karte They.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2261, Raqm-5741,
Bukhari Fi As-Sahih, 04/1827, Raqm-4551,
Muslim Fi As-Sahih, 02/616, Raqm-899,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/326, Raqm-5098,
Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/97, Raqm-251,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/66, Raqm-24414, Hakim Al-
Mustadrak, 02/495, Raqm-3700,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-818, Raqm-948.]
15/949. “Hazrat Jarir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Jab Se Me Daayra-e Islam Me Daakhil Hua Us Waqt Se Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mujh Se Jab Bhi Parde Me Hu’e Ya Mujhe Dekha, Mere Saamne Zaroor Muskuraaye. (Ya’ni Kisi Qisam Ka Koi Hijaab Nahin Rakkha, Jab Bhi Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mujhe Dekhte To Chehra-e Anwar Tabassum Rej Ho Jaata).”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1104, Raqm-2871,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2260, Raqm-5739,
Muslim Fi As-Sahih, 04/1925, Raqm-2475,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 06/679, Raqm-3821,
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.
Ibn Majah Fi As-Sunan,01/56, Raqm-159, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/293, Raqm-2219,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-818, 819, Raqm-949.]
16/950. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Haaris Bin Jaz’a RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Ziyaada (Khubsurat) Muskuraane Waala Koi Nahin Dekha.”
رواه الترمذي وأحمد . وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/601, Raqm-3641,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/191,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/251, Raqm-8047,
Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah, 09/205, Raqm-189,
Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/47, Raqm-145,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-819, Raqm-950.]