Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-16 : ﴾Uhaadiyyaat, Sunaaiyyaat Aur Thulaasiyyaat﴿

Imam Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Ek¹ Waasta Kee Riwayat Ka Bayan

Fasl-01 :

Imam Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Ek¹ Waasta Kee Riwayat Ka Bayan

01/1041.            “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Suna Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : Ilm Haasil Karna Har Musalman Par Farz Hai.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/83,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/81, Raqm-224,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 05/223, Raqm-2837,

Aboo Ya’la Fi Al-Mu’jam, 01/257, Raqm-320,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/289, Raqm-2008,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/195, Raqm-10439,

Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 01/136, Raqm-178,

Saydawi Mu’jam-ush-Shuyukh, 01/177,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-873, Raqm-1041.]

02/1042.            “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Suna Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Suna Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Neki Kee Taraf Rahnumaa’i Karne Waala (Ajr-o Sawab Ke Husool Me) Us Neki Karne Waale Kee Tarah Hee Hai.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/85,

 وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Aboo Nu’aym Fi Musnad Abi Hanifah, 01/150, 151,

Ruwayani Fi Al-Musnad, 01/63, Raqm-06,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/41, Raqm-2670,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/357,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/275, Raqm-4296,

Bazzar Fi Al-Musnad, 05/150, Raqm-1742,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/34, Raqm-2384,

Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 01/85, Raqm-86,

Aboo Bakr Al-Isma’il Fi Mu’jam-ush-Shuyukh Abi Bakr, 01/466,

Saydawi Mu’jam-ush-Shuyukh, 01/184,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-873, 874, Raqm-1042.]

03/1043.            “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Suna Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam  Suna Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Allah Ta’ala Musibat Zada Kee Madad Karne Waale Ko Pasand Farmata Hai.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/85,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/275, Raqm-4296,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/254, Raqm-1664,

Saydawi Mu’jam-ush-Shuyukh, 01/184,

Aboo Nu’aym Fi Musnad Al-Imam Abi Hanifah, 01/151,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 03/42,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/70, Raqm-195,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-874, Raqm-1043.]

04/1044.            “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Suna Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Jo Shakhs Allah Ta’ala Ke Deen Me Tafaqqoh (Samajhboojh Haasil) Karta Hai Allah Ta’ala Us Ke Ghamo’n Ko Kaafi Ho Jaata Hai Aur Use Waha’n Se Rizq Deta Hai Jaha’n Se Woh Soch Bhi Nahin Sakta.”

[Qazwini Fi At-Tadwin Fi Akhbar Qazwin, 03/261,

Aboo Nu’aym Fi Musnad Al-Imam Abi Hanifah, 01/25,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-874, Raqm-1044.]

05/1045.            “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Suna Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam  Suna Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Khuloose Dil Ke Saath (ﻻَ إلَهَ إلَّااللهُ) Kehta Hai Woh Jannat Me Daakhil Hoga Aur Agar Tum Ne Allah Ta’ala Par Is Tarah Tawakkul (Bharosa) Kiya Jis Tarah Tawaqqul Karne Ka Haqq Hai To Tumhein Is Tarah Rizq Diya Jaa’ega Jis Tarah Parindo’n Ko Rizq Diya Jaata Hai Woh Khaali Pet Subah Karte Hai Aur Shaam Ko Ser Ho Kar (Waapas Apne Gharo’n Ko) Loutate Hain.”

[Mawafiq Fi Manaqib Al-Imam-ul-Azam Abi Hanifah, 01/36,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/573, Raqm-2344,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1394, Raqm-4164,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/30, 52, : 05/229,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/11, Raqm-51,

Humaydi Fi Al-Musnad, 01/181, Raqm-369,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/212, Raqm-247,

Shaybani Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 04/229, Raqm-2213,

Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab,  02/319, Raqm-1444,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-875, Raqm-1045.]

06/1046.            “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat ‘Abd Allah Bin Oonays RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Suna : Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tumhari Kisi Chiz Se Mahabbat Tumhein Andha Aur Bahera Kar Deti Hai (Ya’ni Insan Apne Mahboob Ke Khilaaf Kuchh Dekhna Sun’na Gawaara Nahin Karta).”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/78,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/334, Raqm-5130,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/194,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/334, Raqm-4359,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/99, Raqm-205,

Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 01/157, Raqm-219,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/368, Raqm-411,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-875, 876, Raqm-1046.]

07/1047.            “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat ‘Abd Allah Bin Oonays RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Suna Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam  Suna Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Ne Jannat Ke Oofaq Me Surkh Sone (Ya’ni Khaalis Sone) Ke Saath Na Ki Sone Ke Paani Ke Saath Teen³ Satare (Lakeere) Likhi Hu’i Dekhi : Pahali Satar (Lakeer) Mein Likha Huwa Tha (ﻻَ إِلَهَ إِلَّا اللهُ مُحَمَّدُ رَسُوْلُ اللهِ) “Allah Ta’ala Ke Siwa Koi Ma’bood Nahin, Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Allah Ta’ala Ke Rasool Hain” Aur Dusari Satat Mein Likha Huwa Tha Ki Imaam Zaamin Hain Aur Muazzin Amaanatdaar, Pas Allah Ta’ala A’immah Ko Hidayat De Aur Muazzin Kee Maghfirat Farmaa’e Aur Tisari Satar Me Likha Huwa Tha Ki Hum Ne Jo Amal Kiya (Us Ka Sila) Hum Ne Paa Liya, Hum Ne Jo Kuchh Aage Bheja Us Ka Nafa’ Paa Liya Aur Jo Pichhe Chhod Aa’e Us Ko Hum Ne Kho Diya Aur Hum Rabbe Ghafoor Kee Taraf Aa Ga’e Hain.”

[Mawafiq Fi Manaqib Al-Imam-ul-Azam Abi Hanifah, 01/35, 36,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 03/521,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-876, Raqm-1047.]

08/1048.            “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Mein 80 Hijri Me Paida Huwa Aur Mein Ne Apne Waalid Ke Saath 92 Hijri Me 16 Saal Kee Umr Me Hajj  Kiya Pas Jab Me Masjide Haram Me Daakhil Huwa Mein Ne Ek Bohat Bada Halqa Dekha To Mein Ne Apne Waalide Mohtaram Se Puccha : Yeh Kis Ka Halqa Hai? To Unhone Farmaya : Yeh RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sahaabi Hazrat ‘Abd Allah Bin Jaz’ Zubaydi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Halqa(-e Dars) Hai Pas Mein Aage Badha Aur Unhein Farmate Hu’e Suna Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna :  Jo Allah Ta’ala Ke Deen Kee Samajhboojh Ko Haasil Karta Hai Allah Ta’ala Us Ke Ghamo’n Ko Kaafi Ho Jaata Hai Aur Use Waha’n-Waha’n Se Rizq Deta Hai Jaha’n Se Woh Soch Bhi Nahin Sakta.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/80,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 03/32, Raqm-956,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-877, Raqm-1048.]

09/1049.            “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Mein Hazrat ‘Abd Allah Bin Haaris Jaz’ Zubaydi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Sahabi-e Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Mila Aur To Mein Ne Arz Kiya : Mein Chahta Hoo’n Ki Un Se Sunoo’n To Mere Waalide Giraami Ne Mujhe Apne Kandhe Par Utha Liya Aur Mujhe Un Ke Paas Le Ga’e To Unhone Mujh Se Poochha : Aap Kya Chaahte Hain? Mein Ne Un Se Arz Kiya : Mein Chaahta Hoo’n Ki Aap Mujhe Woh Hadith Sunaaye Jo Aap Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suni Ho To Unhone Farmaya : Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : Musibat Zada Kee Madad Karna Har Musalman Par Farz Hai Aur Jo Shakhs Deen Me Samajh Boojh Paida Karta Hai Allah Ta’ala Us Ke Ghamo’n Ko Kaafi Ho Jaata Hai Aur Use Waha’n-Waha’n Se Rizq Deta Hai Jaha’n Se Woh Tasawwur Bhi Nahin Kar Sakta.”

[Mawafiq Fi Manaqib Al-Imam-ul-Azam Abi Hanifah, 01/35,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-877, 878, Raqm-1049.]

10/1050.            “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Mein Hazrat Aboo Mu’awiyah ‘Abd Allah Bin Abi Owfa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu  Ko Farmate Hu’e Suna Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna :  Jo Shakhs Masjid Banaata Hai Chaahe Woh Teetar Ke Ande Dene Kee Jagah Ke Baraabar Hee Kyun Na Ho Allah Ta’ala Us Ke Liye Jannat Me Ghar Bana Deta Hai.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/82,

Qazwini Fi At-Tadwin Akhbar Qazwin, 01/438,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/244, Raqm-738,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/241,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 04/490, Raqm-1610,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 02/269, Raqm-1292,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/62, Raqm-461,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/85, Raaam-4018,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/240, Raqm-1857,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/81, Raqm-2942,

Bukhari Fi At-Tarikh-ul-Kabir, 01/331, Raqm-1046,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-878, Raqm-1050.]

11/1051.            “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Mein Hazrat  ’Abd Allah Bin Owfa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Farmate Hu’e Suna Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tumhari Kisi Cheez Se Mahabbat (Tumhein Us Ke Baare Me) Andha Aur Bahera Kar Deti Hai Aur Neki Kee Taraf Raahnumaa’i Karne Waala Neki Karne Waale Kee Tarah Hota Hai Aur Buraa’i Kee Taraf Rahnumaa’i Karne Waala Buraa’i Karne Waale Kee Tarah Hota Hai Aur Be Shak Allah Ta’ala Musibat Zada Kee Madad Karne Ko Pasand Farmata Hai.”

[Mawafiq Fi Manaqib Al-Imam-ul-Azam Abi Hanifah, 01/36,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-878, 879, Raqm-1051.]

12/1052.            “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Aaishah Bine Aj’rad RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ko Farmate Suna Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna Hai : Zameen Me Allah Ta’ala Ka Ziyaada Ta’daad Me Lashkar Tiddi Dal Hai, Na To Mein Use Khaata Hoo’n Aur Na Use Haraam Thahraata Hoo’n.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/79,

Qazwini Fi At-Tadwin Akhbar Qazwin, 01/438,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/357, Raqm-3813,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1073, Raqm-3219,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 09/257,

‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 04/531, Raqm-8757,

Bazzar Fi Al-Musnad, 06/477, Raqm-2509,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/256, Raqm-6149,

Ibn Qani’ Fi Mu’jam Al-Sahabah, 01/285,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-879, Raqm-1052.]

13/1053.            “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Waasila Bin Asqa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Farmate Hu’e Suna Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : Tum Apne Bhaai Kee Musibat Par Khushi Ka Izhaar Na Karo, Agar Tum Aisa Karoge To Allah Ta’ala Use Musibat Se Najaat De Dega Aur Tumhein Us Musibat Me Daal Dega.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/86,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/662, Raqm-2506,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/111, Raqm-3739,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/53, Raqm-127,

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 01/214, Raqm-384,

Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 02/77, Raqm-917,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 05/315, Raqm-6777,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/212, Raqm-3726,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 09/95, Raqm-4679,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-880, Raqm-1053.]

14/1054.            “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya Ki Mein Ne Waasela Bin Asqa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu  Ko Farmate Hu’e Suna Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Too Us Cheez Ko Chhod De Jo Tujhe Shak Me Daale, Us Cheez Ke Le Jo Tujhe Shak Me Na Daale.”

[Suyooti Fi Tabyid Al-Sahifah Bi-Manaqib Al-Imam Abi Hanifah,36,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/668, Raqm-2518,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/327, Raqm-5711,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/153,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/498, Raqm-722,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/16 : 04/110, Raqm-2170, 7046,

Darami Fi As-Sunan, 02/319, Raqm-2532,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 05/335, Raqm-10601,

Abd-ur-Razzaq Al-Musanaf, 03/117, Raqm-4984,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 12/132, Raqm-6762,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/76, Raqm-2711,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-880, 881, Raqm-1054.]

15/1055.            “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya Ki Mein Ne Hazrat Waasela Bin Asqa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Farmate Hu’e Suna Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Me Se Koi Yeh Gumaan Na Kar Le Ki Woh Un Rak’at Ya’ni Paanch-05 Waqt Kee  Farz Namazo’n Se Badh Kar (Deen Ke Ilaawah) Kisi Aur Shai Se Allah Ta’ala Ka Qurb Haasil Kar Sakta Hai.”

[Mawafiq Fi Manaqib Al-Imam-ul-Azam Abi Hanifah, 01/36,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-881, Raqm-1055.]

16/1056.            “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Sahabi-e RasoolAllah ﷺ Hazrat ‘Abd Allah Bin Abi Habiba RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Tha So Aap  SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Aboo Darda’! Jo Shakhs Ikhlaas Ke Saath Yeh Gawaahi Deta Hai Ki “Allah Ta’ala Ke Siwa Koi Ma’bood Nahin Aur Yeh Ki Mein Allah Ta’ala Ka Rasool Hoo’n.” To Us Ke Liye Jannat Waajib Ho Jaati Hai. Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Agarche Woh Zina Aur Chori Bhi Kar Le? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Thodi Der Khaamosh Rahe Phir Apne Kalaam Kee Taraf Loute To Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ!  Agarche Woh Zina Aur Chori Bhi Kar Le? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Thodi Der Khaamosh Rahe Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agarche Woh Zina Aur Chori Hee Kyo’n Na Kare Aur Agarche Aboo Darda’ Kee Naak Khaak Aalood Hee Kyo’n Na Ho. Hazrat Aboo Darda’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Har Juma’t-ul-Mubarak Ko Yeh Hadith Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Mimbar Ke Qareeb Bayan Farmate They Aur Apni Ungli Apne Naak Par Rakh Kar Kehte They Agarche Woh Zina Aur Chori Hee Kyo’n Na Kare Aur Agarche Aboo Darda’ Kee Naak Khaak Aalood Hee Kyo’n Na Ho.”

[Aboo Yusuf Kitab-ul-Aathar, 01/197, Raqm-891,

Aboo Nu’aym Fi Musnad Al-Imam Abi Hanifah, 01/175,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2193, Raqm-5489,

Muslim Fi As-Sahih, 01/95, Raqm-94,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/392, Raqm-169,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/166,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/28, Raqm-36,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/276, Raqm-10964,

Bazzar Fi Al-Musnad, 09/354, Raqm-3920,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-881, 882, Raqm-1056.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-16 : ﴾Uhaadiyyaat, Sunaaiyyaat Aur Thulaasiyyaat﴿

Imam Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Do² Waasto’n Kee Riwayat Ka Bayan

Fasl-02 :

Imam Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Do² Waasto’n Kee Riwayat Ka Bayan

17/1057.            “Hazrat Jabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hu’e Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aayate Mubaraka Tilawat Farmaa’i : “Aur Us Ne Achchha’i Kee Tasdiq Kee.” Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Is Se Muraad) ﻻَ إِلَهَ إِلَّا اللهُ Kee Tasdiq Karna Hai.  “Aur Us Ne Achchha’i Ko Jhutlaaya.”  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Is Se Muraad) ﻻَ إِلَهَ إِلَّا اللهُ Ko Jhutlaana Hai.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/95,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-883, Raqm-1057.]

18/1058.            “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Jis Se Ilm Ke Baare Me Sawaal Kiya Gaya Aur Us Ne (Jaante Hu’e Bhi Use) Chhupaaya To Qiyaamat Ke Din Use Aag Kee Lagaam Dee Jaa’egi.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/96,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/29, Raqm-2649,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/321, Raqm-3658,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/97, Raqm-264,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-883, Raqm-1058.]

19/1059.            “Hazrat Jabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Har Neki Jise Tum Khwaah Ameer Ke Saath Karo Ya Gharib Ke Saath Woh Sadqa Hai.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/98,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1420, Raqm-4252,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/376,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/377, Raqm-612,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-884, Raqm-1059.]

20/1060.            “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Riwayat Karte Hu’e Farmaya : Neki Ka Hukm Dena Aur Buraa’i Se Mana Karna Farz Hai. (Raawi Kehte Hain Ki) Mein Ne Poochha : Kya Us Ko Tark Karna Kufr Hai? Unhone Farmaya : Nahin.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/96,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Muslim Fi As-Sahih, 01/498, Raqm-720,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/339, Raqm-1956,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/26, Raqm-1285,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-884, Raqm-1060.]

21/1061.            “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Be Shak Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Gunaah Par) Naadim (Sharminda) Hona Hee Tawbah Hai.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/98,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1420, Raqm-4252,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/376,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/377, Raqm-612,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-884, 885, Raqm-1061.]

22/1062.            “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Neki Kabhi Pooraani Nahin Hoti (Ki Us Ka Ajr Mil Kar Rehta Hai) Aur Gunaah Kabhi Bhulaaya Nahin Jaata (Us Kee Giraft Hoti Hai).”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/99,

 وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Bayhaqi Fi Kitab-uz-Zuhd Al-Kabir, 02/277, Raqm-710,

Ibn Rashid Fi Al-Jaame’, 11/178,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/33, Raqm-2203,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-885, Raqm-1062.]

23/1063,  24/1064.            “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Mujh Par Jaanboojh Kar Jhoot Baandha Woh Apna Thikaana Dozakh Me Bana Le.”

Ek Dusari Riwayat Me Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Bhi Isi Tarah Marwi Hai.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/99, 103,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Bukhari Fi As-Sahih, 01/434, Raqm-1229,

Muslim Fi As-Sahih, 01/10, Raqm-03,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/35, Raqm-2659,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-885, 886, Raqm-1063, 1064.]

25/1065.            “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Hamesha Humsaaye (Ke Huqooq) Ke Baare Me Mujhe Wasiyat Karte Rahe Yaha’n Tak Ki Mein Ne Ghumaan Kiya Ki Woh Anqareeb Use Waaris Bana Denge,  Aur Jibra’il Mujhe Raat Kee Ibaadat Kee Wasiyat Karte Rahe Hatta Kee Mein Ne Gumaan Kiya Ki Mere (Nek-o Saaleh) Behtareen Ummati Raat Ko Kam Hee Soyege.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/100,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2239, Raqm-5668,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2025, Raqm-2625,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/332, Raqm-1942,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-886, Raqm-1065.]

26/1066.            “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Logo’n Ka Shukriya Ada Nahin Karta Woh Allah Ta’ala Ka Bhi Shukr Ada Nahin Karta.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/109,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/339, Raqm-1954,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/255, Raqm-4811,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 08/198, Raqm-3407,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-886, 887, Raqm-1066.]

27/1067.            “Hazrat Aboo Dhar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Shakhs Ne Padha : (اَسْتَغْفِرُ اللهَ الْعظِيْمَ الَّذِي ﻻَ إِلَهَ إِلَّا هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ) “Mein, Allah Buland-o Bartar Se Maghfirat Talab Karta Hoo’n  Woh Zaat Jis Ke Siwa Koi Ma’bood Nahin Woh Hamesha Zinda Rehne Wala, Sab Ko Apni Tadbir Se Qayam Rakhne Waala Hai?” Agar Us Ne Ikhlaas (Se Yeh Padha To) Allah Ta’ala Us Ke Saabiqa (Pichhle) Gunaah Bakhsh Dega.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/111,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-887, Raqm-1067.]

28/1068.            “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abi Owfa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Ek Shakhs Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Haazir Ho Kar Arz Kiya : Mein Qur’an Sikhne Kee Istita’at Nahin Rakhta Lehaaza Aap Mujhe Woh (Kalimaat) Sikhaaye Jo Mere Liye Us Ke Qaa’em Muqam Ho Jaa’e. Pas Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Use Farmaya :  To Kaha Kar :  (شُبْحَانَ اللهِ وَٱلْحَمْدُ لِلَّهِ وَﻻَ إِلَهَ إِلَّا اللهُ وَاَللهُ أَكْبَرُ وَﻻَ حَوْلَ وَﻻَ قُوَّةَ إِﻻَّ بِاللهِ عَلِيِّ الْعَظِيْمِ) “Allah Paak Hai, Allah Ke Liye Tamaam Taareefein Hain Aur Allah Ke Siwa Koi Ma’bood Nahin Aur Allah Sab se Bada Hai Aur Qudrat-o Taaqat Sirf Allah Azeem-o Bartar Kee Mashiyyat Se Hee Hai.”  Us Ne Arz Kiya : Yeh (Kalimate Hamd  To) Mere Rabb Ke Liye Hogi To Mere Liye Kya Hai?  Pas Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  To Kaha Kar : (اللهُمَّ ارْحَمْنِي واغْفِرْلِي وَاهْدِنِي وَارْزُقْنِي وَعَافِنِي) “Aye Allah!  Too Mujh Par Raham Farma Aur Mujhe Bakhsh De Aur Mujhe Hidayat Ata Kar, Mujhe Rizq Se Nawaaz Aur Aafiyat Ata Farma.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/117,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Daraqutni Fi As-Sunan, 01/314, Raqm-02,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/381,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/100, Raqm-29797,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-887, 888, Raqm-1068.]

29/1069.            “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Allah Ta’ala Ke Farman Ke Baare Me Riwayat Karte Hain : “Yaqinan Aap Ka Rabb Aap Ko Maqaame Mahmood Par Faa’iz Farma’ega (Ya’ni Woh Maqaame Shafa’ate Oozama  Jaha’n Jumla Awwalin Wa Aakhirin Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Taraf Rujooa Aur Aap Kee Hamd Karenge).” Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Maqaame Mahmood Se Muraad Shafa’at Hai, Allah Ta’ala Ahle Iman Me Se Ek Qum Ko Un Ke Gunaaho’n Ke Sabab Azaab Dega, Phir Unhein Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Shafa’at Ke Waaste Se (Jahannam Se) Nikaalega To Unhein Nahre Hatyaat Par Laaya Jaa’ega. Pas Woh Us Me Gusl Kar Ke Jannat Me Daakhil Honge To (Waha’n) Unhein Jahannami Ke Naam Se Pukaara Jaa’ega, Phir Woh Allah Ta’ala Se (Us Naam Ke Khaatme Kee) Guzarish Karenge To Woh Un Se Us Naam Ko Bhi Khatam Kar Dega.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/147, 148,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2401, Raqm-6198,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/236, Raqm-4740,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/434,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-888, 889, Raqm-1069.]

30/1070.            “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Har Paida Hone Wala Bachcha (Asl) Fitarat Par Paida Hota Hai Phir Us Ke Waaledain Use Yahoodi, Isaa’i Aur Majoosi Bana Dete Hain. Arz Kiya Gaya : Ya RasoolAllah ﷺ! Jo Bachpan Me Hee Fout Ho Jaa’e (Us Ka Maamla Kya Hoga)? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Sab Se Ziyaada Jaan’ne Waala Hai Jo Woh (Dunya Me Rah Kar) Karne Waale They.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/188,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Bukhari Fi As-Sahih, 01/465, Raqm-1319,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2047, Raqm-2658,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/447, Raqm-2138,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-889, Raqm-1070.]

31/1071.            “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Momin Kee Firaasat Se Daro Kyo’n Ki Woh Allah Ta’ala Ke Noor Se Dekhta Hai Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Aayate Mubaraka Tilawat Kee : “Be Shak Us Me Ahle Firasat Ke Liye Nishaniya’n Hain.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/19,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/298, Raqm-3127,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/23, Raqm-7843,

Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 01/387, Raqm-663,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-889, 890, Raqm-1071.]

32/1072.            “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Be Shak Allah Ta’ala Ne Chhar⁴ Cheezo’n Me Shifa’ Rakhi Hai : Siyaah Daana (Ya’ni Kalonji), Pachhane Lagawaana (Ya’ni Surgery), Shahad Aur Barish Ka Paani.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/189,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-890, Raqm-1072.]

33/1073.            “Hazrat Aboo Moosa Amir Bin ‘Abd Allah  Bin Qays RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Meri Ummat Rahmat Se Nawaazi Jaane Waali Ummat Hai, Us Ka Azaabe Dunya Apne Haatho’n Se Hoga.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/195,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/294, Raqm-974,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/190, Raqm-537,

Bukhari Fi At-Tarikh-ul-Kabir, 01/38, Raqm-60,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-890, 891, Raqm-1073.]

34/1074.            “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kafir Saat-07 Aanton Me (Khaana) Bharta Hai Aur Momin Ek Aant Me.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/195,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2061, Raqm-5078, 5079,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/266, Raqm-1818,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1631, Raqm-2060,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-891, Raqm-1074.]

35/1075.            “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hu’e Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Khaadim-o Ghulam Kee Daawat Bhi Qabool Farmate They, Mareez Kee Iyaadat Kiya Karte Aur Daraaz Gosh (Ya’ni Gadhe) Kee Sawaari Kiya Karte They.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/77,

 وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/337, Raqm-1017,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1398, Raqm-4178,

Aboo Ya’la Anl-Musnad, 07/238, Raqm-4243,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-891, Raqm-1075.]

36/1076.            “Hazrat Jaabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Riwayat Karte Hu’e Farmaya : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Raat Ko Tashreef Laate To (Fiza Me) Khusboo’n Ke Phailne Se Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Pahchaan Hoti.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/98,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/304, Raqm-2632,

Darami Fi As-Sunan, 01/45, Raqm-65,

Ibn Sa’d Fi At-Tabqat-ul-Kubra, 01/399,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-892, Raqm-1076.]

37/1077.            “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Safed Shaami Topi Thi.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/198,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-892, Raqm-1077.]

38/1078.            “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Kiya Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Sachcha (Imandaar)  Taajir Qiyaamat Ke Din Ambiya-e Kiram, Siddiqin, Suhada’ Aur Saalehin Ke Saath (Un Kee Rafaaqat-o Sohbat Me) Hoga.”

 أخرجه في مسنده.

وقال ابو عيسى : هذا حديث حسن.

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 02/02,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/515, Raqm-1209,

Darami Fi As-Sunan, 02/322, Raqm-2539,

Daraqutni Fi As-Sunan, 03/07, Raqm-17, 18,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 04/555, Raqm-23088, 23089,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/07, Raqm-2142,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/299, Raqm-966,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 05/266, Raqm-10196,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/86, Raqm-1230,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 04/221, Raqm-4855,

Tabarani An Ibn Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/243, Raqm-7394,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-892, 893, Raqm-1078.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-16 : ﴾Uhaadiyyaat, Sunaaiyyaat Aur Thulaasiyyaat﴿

Imam Bukhari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Teen³ Waasto’n Kee Riwayat Ka Bayan

Fasl-03 :

Imam Bukhari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Teen³  Waasto’n Kee Riwayat Ka Bayan

39/1079.            “Hazrat Salma Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Jo Mere Muta’alliq Aisi Baat Kahe Jo Mein Ne Na Kahi Ho To Woh Jahannum Ke Andar Apna Thikana Tayyar Rakkhe.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/52, Raqm-109,

Ibn Majah An Abi Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi As-Sunan, 01/13, Raqm-34,

Ibn Hibban An Abi Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi As-Sahih, 01/210, Raqm-28,

Hakim An Abi Qatada RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu  Fi Al-Mustadrak, 01/194, Raqm-379,

وقال الحاكم : هذا هديث على شرط مسلم،

Ahmad Bin Hanbal An Uthman Bin Affan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi Al-Musnad, 01/65, Raqm-469,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/112,

Shafi’iy Fi Al-Musnad, 01/239,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/296, Raqm-26249,

Bazzar Fi Al-Musnad, 06/31, Raqm-2100,

Shashi Fi Musnad-ush-Shashi Al-Musamma Bi-‘l-Musnad Al-Kabir, 01/249, Raqm-215,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/14, Raqm-80,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 10/506, Raqm-6123,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir,  01/171, Raqm-426,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-894, Raqm-1079.]

40/1080.            “Hazrat Yazeed Bin Abi Ubayd Se Riwayat Hai Ki Hazrat Salma Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Masjid Kee Diwaar Mimbar Ke Itna Qareeb Thi Ki Jis Me Se Bakri Na Guzar Sake.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/188, Raqm-475,

Muslim Fi As-Sahih, 01/364, Raqm-508, 509,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/54,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/394, Raqm-1436, : 02/56,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/58, Raqm-1762,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/272, Raqm-3287,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-894, 895, Raqm-1080.]

41/1081.            “Hazrat Yazeed Bin Abi Ubayd Se Riwayat Hai Ki Mein Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Saath Aa Kar Sutoon Ke Paas Namaz Padhta Jo Mus’haf  Ke Paas Hai. Mein Ne Arz Kiya : Aye Aboo Muslim! Mein Dekhta Hoo’n Ki Aap Us Sutoon Ke Paas Namaz Padhne Kee Koshish Karte Hain? Unhone Farmaya : Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Us Ke Paas Khaas Taur Par Namaz Padhte Hu’e Dekha Hai.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/189,Raqm-480,

Muslim Fi As-Sahih, 01/364, Raqm-509,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/459, Raqm-1430,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/48,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/271, Raqm-3284,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-895, Raqm-1081.]

42/1082.            “Hazrat Yazeed Bin Abi Ubayd Se Riwayat Hai Ki Hazrat Salma Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Hum Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Namaaze Maghrib Padha Karte They Jab Ki Sooraj Parde Me Ho Jaata.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/205, Raqm-536,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 01/304, Raqm-164,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/113, Raqm-417,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/225, Raqm-688,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/54,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 01/369, Raqm-1603,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/154, Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/301, Raqm-1063,

Baghawi Fi Sharh As-Sunnah, Raqm-372,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-895, 886, Raqm-1082.]

43/1083.            “Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Qabila-e Aslam Ke Ek Shakhs Ko Logo’n Me Yeh I’laan Karne Ka Hukm Diya Ki Jis Ne Jo Kuchh Khaa Liya To Woh Baaqi Din Ka Roza Rakkhe (Ya’ni Baqiya Din Ke Rozedaar Kee Tarah Guzaare) Aur Jis Ne Kuchh Nahin Khaaya Woh (Aaj) Roza Rakkhe Kyo’n Ki Aaj ‘Aashura Ka Din Hai.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/705, Raqm-1903,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/679, Raqm-1824,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2651, Raqm-6837,

Muslim Fi As-Sahih, 02/798, Raqm-1135,

Nasa’i Fi As-Sunan, 04/192, Raqm-2321,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 08/384, Raqm-3619,

Darami Fi As-Sunan, 02/36, Raqm-1761,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/608, Raqm-6253,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/47,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/220, Raqm-7824,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/312, Raqm-9327,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-896, 897, Raqm-1083.]

44/1084.            “Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu  Se Riwayat Hai Ki Hum Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Baargaahe Aqdas Me Baithe Hu’e They Ki Ek Janaza Laaya Gaya Aur Arz Kee Ga’i Ki Is Par Namaaze Janaza  Padhiye. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Is Par Qarz Hai? Logo’n Ne Arz Kiya : Nahin, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmaya :  Kya Is Ne Kuchh (Tarkah) Chhoda Hai?  Arz Kiya : Nahin. So Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Is Par Namaze (Janaza) Padhi Phir Dusara Janaza Aaya Aur Sahaba Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Is Par Namaze (Janaza) Padhiye. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Is Par Qarz Hai? Arz Kiya : Ha’n. Farmaya : Kya Is Ne Kucch Chhoda Hai? Sahaba Ne Arz Kiya : Teen³ Dinar (Chhode Hai) So Is Par Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaz Padhi. Phir Tisra Janaza Laaya Gaya Aur Arz Kiya Gaya : Is Par Namaze (Janaza) Padhiye. Farmaya : Kya Is Ne Kuchh (Tarkah) Chhoda Hai? Sahaba Ne Arz Kiya : Nahin. Farmaaya : Kya Is Par Qarz Hai? Sahaba Ne Arz Kiya : Teen³ Dinar (Qarz) Hai. Farmaya : Tum Apne Saathi Par Namaze (Janaza) Padh Lo.  Hazrat Aboo Qatadah Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Is Par Namaz Padhiye Aur Is Ka Qarz Mein Ada Karunga. So Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Par Bhi Namaaze Janaza Padhi.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/799, Raqm-2168,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/803,Raqm-2173,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2054, Raqm-5056,

Muslim Fi As-Sahih,03/1237, Raqm-1619,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/388, Raqm-1070,

وقال أبو عيسى : هذا هديث حسن صحيح،

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/637, Raqm-2089,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/380, Raqm-8937,

Baghawi Fi Sharh As-Sunnah, Raqm-2153,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 07/329, Raqm-3059,

Ibn Jarood Fi Kitab Al-Muntaqa, 01/280, Raqm-1111,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 03/443, Raqm-5624,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 06/72, Raqm-11177,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-897, 898, Raqm-1084.]

45/1085.            “Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Bay’at Kar Lee Phir Mein Ek Darakht Ke Saaye Me Chala Gaya. Jab Bhid Kam Hu’i To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Ibn Akwa’!  Kya Tum Bay’at Nahin Karte? Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Mein To Bay’at Kar Chuka Hoo’n. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Achchha Dobaara Hee Sahi, So Mein Ne Dusari Dafa Bhi Bay’at Kar Lee. To Mein Ne Un Se Puccha :  Aye Aboo Muslim! Aap Hazaraat Ne Us Roz Kis Baat Par Bay’at Kee Thi? Unhone Farmaya : (Ghulami-e Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me) Maut Par.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1081, Raqm-2800,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1529, Raqm-3936,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2634, Raqm-2780,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2635, Raqm-6782,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1483, Raqm-1860,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1434, Raqm-1807,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/150, Raqm-1592,

وقال أبو عيسى : هذا هديث حسن صحيح،

Nasa’i Fi As-Sunan, 07/141, Raqm-4159,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/47, 49,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-898, 899, Raqm-1085.]

46/1086.            “Hazrat Yazeed Bin Abi Ubayd Farmate Hain Ki Mein Ne Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Pindali Par Zakhm Ka Nishaan Dekha To Poochha :  Aye Aboo Muslim! Yeh Nishaan Kya Hai?  Unhone Farmaya :  Yeh Zakhm Mujhe Ghazwa-e Khaybar Me Aaya Tha.  Log To Yeh Kehne Lage They Salamah Ka Aakhir Waqt Aa Pahoncha Hai Lekin Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Haazir Ho Gaya. So Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us (Zakhm) Par Teen³ Martaba Dam Kiya To Mujhe Ab Tak Koi Taklif Mahsoos Nahin Hoti.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1541, Raqm-3969,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/12, Raqm-3894,

Baghawi Fi Sharh As-Sunnah, Raqm-3806,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-899, Raqm-1086.]

47/1087.            “Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Farmate Hain Ki Hum Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Humraah Ghazwa-e Khaybar Ke Liye Nikle To Logo’n Me Se Ek Ne Kaha : Aye Aamir! Kya Aap Hamein Apne Ash’aar Nahin Sunaayenge? Chunanche Unhone Apne Ash’aar Sunaaye To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yeh Haankne Waala Koun Hai? Sahaba Ne Arz Kiya : Aamir Bin Akwa’ Hai. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Is Par Raham Farmaa’e. Sahaba Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Aap Hamein Un Se Aur Faayda Utha Lene Dete. So Usi Raat Kee Sub’h Ko Woh Maut Kee Aagosh Me Chale Ga’e. To Logo’n Ne Kaha : Us Ke ‘Amal Zaaye Ho Ga’e Kyo’n Ki Us Ne Apne Aap Ko Khud Qatl Kiya Hai. Jab Mein Waapas Lauta To Log Yahi Baatein Kar Rahe They Ki Aamir Ke ‘Amal Zaaye Ho Ga’e Hain. So Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Haazir Ho Kar Arz Kiya : Ya Nabi Allah! Mere Maa Baap Aap Par Qurban, Logo’n Ka Yeh Khayaal Hai Ki Aamir Ke Aamaal Zaaye Ho Ga’e Hain. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmaya: Jis Kisi Ne Yeh Kaha Ghalat Kaha Hai. Us Ke Liye To Dugna Ajr Hai Woh To Mashaqqat Uthaane Waala Mujaahid Hai. Us Ke Qatl Se Behtar Kis Kee Maut Hai.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2525, Raqm-6496,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1537, Raqm-3960,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2277, Raqm-5796,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1427, 1428, Raqm-1802,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/47,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 04/314, Raqm-6831,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-899, 900, Raqm-1087.]

48/1088.            “Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Madinah Munawwarah Se Jungal Kee Taraf Chala, Pahaadi Par Pahoncha To Hazrat ‘Abd-ir-Rahman Bin ‘Awf RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Ek Ghulaam Mila Mein Ne Kaha: Too Halaak Ho Too Yaha’n Kaise Aaya?  Us Ne Jawaab Diya : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Doodh Dene Waali Oontani Pakdi Ga’i Hai. Mein Ne Poochha :  Kis Ne Pakdi Hai? Us Ne Jawaab Diya : Qabila-e Ghatfan Aufazara Ke Aadami Le Ga’e Hain. Phir Mein Teen³ Martaba “Ya Sabaaha” Ke Alfaaz Ke Saath Is Zor Se Chillaya Ki Madinah Munawwarah Ke Har Goshe Me Rehne Waale Sun Le’n. Phir Mein Ne Daud Lagaa’i Yaha’n Tak Ki Un Logo’n Ko Ja Pahoncha. So Mein Un Kee Jaanib Teer Phainkne Laga Aur Saath Yeh Kehne Laga: “Mein Akwa’ Ka Beta Hoo’n Aur Aaj Kamino’n Kee Halaakat Ka Din Hai.” To Mein Ne Un Ke Paani Peene Se Pehle Hee Un Se Oontani Chheen Lee. Mein Use Le Kar Waapas Lauta To RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Meri Mulaqaat Ho Ga’i. Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Woh Log Pyaase They Aur Mein Un Ke Paani Peene Se Pehle Hee Jaldi Se Un Se Oontani Chheen Laaya. Un Ke Peechhe Kisi Ko Rawaana Kar De’n, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Ibn Akwa’! Tum Maalik Ho Ga’e Ho Ab Narami Karo. Un Kee Mehmaani Apni Qaum Me Ho Rahi Hogi.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1106, Raqm-2876,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1536, Raqm-3958,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1432, 1438, Raqm-1806,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 16/133, Raqm-7173,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/243, Raqm-10814,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/48,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 04/302,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 09/88,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf,  07/420, Raqm-37002,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-900, 901, 902, Raqm-1088.]

49/1089.            “Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Farmate Hain Ki Jis Roz Khaibar Fatah Hua Us Shaam Logo’n Ne Aag Jalaayi. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Ne Yeh Aag Kya Cheez Pakaane Ke Liye Jalaa’i Hai? Mujaahidin Ne Arz Kiya : Paaltu Gadho’n Ka Gosht Pakaane Ke Liye : Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Haandiyo’n Me Hai Use Oolat Do Aur Haandiyo’n Ko Tod Do. Ek Shakhs Ne Khade Ho Kar Arz Kiya : Hum Gosht Ko Oolat De’n Aur Haandiyo’n Ko Dho Na Le’n? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Chalo Yoo’n Hee Kar Lo.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2094, Raqm-5178,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1563, Raqm-1974,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1605, Raqm-1395,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/50,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 06/102, Raqm-11333,

Hazimi Fi Al-Nasikh Wa Al-Mansookh, 01/156,

بمعناه من عدة طرق

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-902, Raqm-1089.]

50/1090.            “Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ek Shakhs Ko Aashoora Ke Roz Logo’n Me Munaadi Kar Ne Ke Liye Bheja Ki Jis Ne Khaana Kha Liya Woh Roza Poora Kare Ya Use Chahiye Ki Roza Rakkhe Aur Jis Ne Nahin Khaaya Woh Na Khaaye.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/679, Raqm-1824,

Muslim Fi As-Sahih, 02/792, Raqm-1125,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/48,

Baghawi Fi Sharh As-Sunnah,Raqm-1784,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-902, 903, Raqm-1090.]

51/1091.            “Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Ek Janaza Laaya Gaya Taa Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Par Namaze (Janaza) Padhe’n.  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Us Par Koi Qarz Hai? Sahaba Ne Arz Kiya : Nahin, To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Par Namaaze Janaza Padhi. Phir Dusara Janaza Laaya Gaya To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Us Par Kuchh Qarz Hai? Sahaba Ne Arz Kiya : Ha’n, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Apne Saathi Par Namaz Padho. Hazrat Aboo Qatadah Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Is Ka Qarz Mein Ada Karunga, Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Par Namaaze Janaza Padhi.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/803, Raqm-2173,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/799, Raqm-2168,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/803, Raqm-2173,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2054, Raqm-5056,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1237, Raqm-1619,

Tirmidhi Fi As-Sunan,03/388, Raqm-1070,

 وقال أبو عيسى : هذا هديث حسن صحيح،

Nasa’i Fi As-Sunan, 04/65, Raqm-1960, 1961,

Baghawi Fi Sharh As-Sunnah, Raqm-2153,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 07/329, Raqm-3059,

Ibn Jarood Fi Kitab Al-Muntaqa, 01/280, Raqm-1111,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 03/443, Raqm-5624,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/380, Raqm-8937,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-903, 904, Raqm-1091.]

52/1092.            “Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Khaibar Ke Roz Aag Jalti Hu’i Dekh Kar Farmaya :  Yeh Kyoo’n Jalaa’i Hai? Sahaba Ne Arz Kiya : Paaltoo Gadho’n Ka Gosht (Pakaane Ke Liye). Is Par Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Haandiya’n Tod Do Aur Use Baha Do. Sahaba Ne Arz Kiya : Kya Hum Aisa Na Kare’n Ki Ise Oolat De’n Aur Haandiya’n Dho Le’n, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Unhe’n Dho Lo.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/876, Raqm-2345,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2094, Raqm-5178,

Muslim Fi As-Sahih, Raqm-1974,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1605, Raqm-395,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/50,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-904, Raqm-1092.]

53/1093.            “Hazrat Yazeed Bin Aboo Ubayd Se Riwayat Hai Ki Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Mein Ne Saat-07 Ghazwaat Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Shareek Hone Ka Sharf Haasil Kiya Hai Aur Us Ghazwah Me Bhi Shareek Tha Jis Me Hazrat Zayd Bin Haaris RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hamaara Ameer Banaaya Tha.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1556, Raqm-4023,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1447, Raqm-1815,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 16/139, Raqm-7174,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/241, Raqm-3961, 6383,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 04/355, Raqm-6954,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/54,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-905, Raqm-1093.]

54/1094.            “Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Jo Tum Me Se Qurbaani Kare To Teesre Roz Kee Sub’h Us Ke Ghar Me Qurbaani Ka Gosht Nahin Hona Chaahiye. Jab Agla Saal Aaya To Sahaba Ne Arz Kiya :  Ya RasoolAllah!  Kya Ab Bhi Hum Usi Tarah Kare Jaise Pichhle Saal Kiya Tha?  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Khaa’o, Khilaa’o Aur Jam’a Bhi Kar Lo Kyo’n Ki Woh Saal Tangi Ka Tha To Mera Iraada Hua Ki Tum Us (Tangi) Me Ek Doosre Kee Madad Karo.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2115, Raqm-5249,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1563, Raqm-1974,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-905, 906, Raqm-1094.]

55/1095.            “Hazrat Yazeed Bin Aboo Ubayd Ka Bayan Hai Ki Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Hum Ne Darakht Ke Neeche Bay’at Kee. Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Aye Salmah! Kya Tum Bay’at Nahin Karte, Mein Ne Arz Kiya :  Ya RasoolAllah! Mein To Pehle Hee Bay’at Kar Chuka Hoo’n.  Farmaya Do Baara Kar Lo.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2635, Raqm-6782,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1081, Raqm-2800,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1529, Raqm-3936,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2634, Raqm-67800,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2635, Raqm-6782,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1483, Raqm-1860,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1432, Raqm-1807, 1802,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/150, Raqm-1592,

وقال أبو عيسى : هذا هديث حسن صحيح،

Nasa’i Fi As-Sunan, 07/141, Raqm-4159,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/47, 49,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-906, Raqm-1095.]

56/1096.            “Hazrat Humayd Ka Bayan Hai Ki Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Unhe’n Riwayat Bayan Farmaa’i Ki Hazrat Rubayya’ Bint Nazr Ne Ek Ladki Ke Saamne Waale Do² Daant Tod Di’e To Unhone Diyat (Jurmaane) Ka Mutaalaba Kiya Yeh Mu’aafi Ke Khwaastagaar Hu’e. To Unhone Inkaar Kar Diya. So Woh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Haazir Hu’e To Aap Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Qisaas Ka Hukm Farmaya. Hazrat Anas Bin Nazr Ne Arz Kiya :  Ya RasoolAllah! Kya Rubayya’ Ke Saamne Ke Daant Tode Jaa’enge? Nahin, Qasam Us Zaat Kee Jis Ne Aap Ko Haqq Ke Saath Mab’oos Farmaya Hai, Us Ke Daant Nahin Tode Jaa’enge. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Anas!  Allah Kee Kitab Qisaas Ka Kehti Hai (Is Par Hazrat Anas Khaamosh Ho Ga’e) So (Baa’d Me) Woh Log (Jinhone Qisaas Ka Taqaaza Kiya Tha) Raazi Ho Ga’e Aur Unhe’n Mu’aaf Kar Diya To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ke Bando’n Me Se Woh Bhi Hain Ki Agar Woh Allah Ke Bharose Par Qasam Khaa Le’n To Allah Ta’ala Use Sachcha Kar Deta Hai. Fazaari Kee Riwayat Me Itna Hee Izaafa Hai Ki Woh Log Deyat (Jurmana) Lene Par Razamand Ho Ga’e.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/961, Raqm-2556,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1032, Raqm-2651,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1636, 1337, Raqm-4239, 4230,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1685, Rsaqam-4335,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2526, Raqm-6499,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1302, Raqm-1675,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/197, Raqm-4595,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/27, Raqm-4756, 4757,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/884, Raqm-2649,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra,  04/223, Raqm-6959,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/128, Raqm-12324, 12727,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/264, Raqm-768, :

24/262, Raqm-664,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 03/177,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/25, 64,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-906, 907, 908, Raqm-1096.]

57/1097.            “Hazrat Muhammad Bin ‘Abd Allah Ansari Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yeh Bhi Farmaya Tha :  “Allah Kee Kitab Qisaas Ka Hukm Deti Hai.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1636, 1337, Raqm-4239, 4230, Raqm-4229,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/961, Raqm-2556,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1032, Raqm-2651,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1685, Raqm-4335,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2526, Raqm-6499,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1302, Raqm-1675,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/197, Raqm-4595,

Nasa’i Fi As-Sunan, Raqm-4756, 4757,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/223, Raqm-6959,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/884, Raqm-2649,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/128, Raqm-12324, 12727,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/264, Raqm-768, :

24/262, Raqm-664,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 03/177,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/25, 64,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-908, 909, Raqm-1097.]

58/1098.            “Hazrat Humayd Ne Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Kee Hai Ki Nazr Kee Beti Ne Ek Ladki Ko Tamaancha Maara Jis Ke Baa’is Us Ke Agle Do² Daant Toot Ga’e, Woh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Haazir Hu’e To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Qisaas Ka Hukm Farmaya.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2526, Raqm-6499,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/961, Raqm-2556,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1032, Raqm-2651,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1236, 1337, Raqm-4239, 4230,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 04/1685, Raqm-4335,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1302, Raqm-1675,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/197, Raqm-4595,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/27, Raqm-4756, 4757,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/223, Raqm-12324, 12727,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/884, Raqm-2649,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/264, Raqm-6959,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/128, Raqm-768 : 24/262, Raqm-664,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 03/177,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/25, 64,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-909, 910, Raqm-1098.]

59/1099.            “Hazrat Hareez Bin ‘Uthman Se Riwayat Hai Ki Unhone RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sahabi Hazrat ‘Abd Allah Bin Bus’r RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Poochha :  Kya Aap Kee Nazar Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Boodhe Ho Ga’e They?  Unhone Farmaya :  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Thodi Mubaarak Ke Sirf Chand Baal Safed Hu’e They.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1302, Raqm-3353,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad,04/187, 188, 190,

وإسناد أهمد صحيح على شرط البخاري،

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/663, Raqm-4200,

وقال : هذا هديث صحيح الإسناد،

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/187, Raqm-25063,

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/129, Raqm-1045,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/181, Raqm-506,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-910, Raqm-1099.]

60/1100.            “Hazrat Isa Bin Tahmaan Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Suna : Parde Kee Aayat Hazrat Zaynab Binte Jahas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Haqq Me Naazil Hu’i Aur Un Ke Walima Me Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Roti Aur Gosht Khilaya Tha Aur Yeh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Baaqi Azwaje Mutahharaat Par Fakhr Kiya Karte Thi’n Ki Mera Nikaah Aasman Par Hua Hai.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2700, Raqm-6984, 6985,

Nasa’i Fi As-Sunan, 06/79, Raqm-3252, As-Sunan-ul-Kubra, 05/291, Raqm-8918, 11411,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/226, Raqm-13385,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 24/39, Raqm-107,

Haythami Majma’-uz-Zwa’id, 07/91,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-910, 911, Raqm-1100.]

  ۞   ۞   ۞