Posted in Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām

Ḥarfe āġhāz

Ḥarfe āġhāz

          Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam kī z̲āte aqdas ummate muslimā ke īmān kā markaz-o-mĕḥwar hai. Ummat ke is taʻalluq aur nisbat ko kamzor karne ke li’e waqtan fa-waqtan muḳhtalif fitne sar ut̥hāte rahe ḥaiṅ jin meṅ se ek nihāyat ḳhaṭarnāk fitnā-e Ḳhārjīyat hai. Ḳhawārij ne Ahle Sunnat ke ʻaqā’id ko parāgandā karne aur un ke diloṅ se ḥubbe Rasūl ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam aur ḥubbe Ahle Bayte aṭhār ʻalayhim al-salām nikālne ke li’e ko’ī kasar nahīṅ ut̥hā rakhkhī. Ek sāzish ke tĕḥt z̲ikre Ahle Bayt aur z̲ikre Ḥasanayn Karīmayn ʻalayhimā al-salām ko ṣirf Ahle Tashayyuʻ ke khāte meṅ d̥āl diyā gayā. Dar-ḥaqīqat Ahle Sunnat wa-jamāʻat kā tashaḳḳhuṣ aur shewā-e īmān hī ḥubbe Ahle Bayte aṭhār ʻalayhim al-salām aur ḥubbe Ṣaḥābā-e kirām riḍwānu Allāhi ‘alayhim ajma‘īn ko ek jagah jamʻa karnā thā. Jaise Imām‎ Ḥusayn bin ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhumā se marwī hai: har shai kī ek bunyād hotī hai aur islām kī bunyād Rasūl Allāh ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ke ṣaḥābā-e kirām riḍwānu Allāhi ‘alayhim ajma‘īn kī maḥabbat aur āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ke Ahle Bayte aṭhār ʻalayhim al-salām kī maḥabbat hai. (Kanz al-ʻummāl)

          Isī ṭarḥ Ḥasanayn Karīmayn ʻalayhimā al-salām ke li’e Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne farmāyā: jis ne Ḥasan aur Ḥusayn se maḥabbat kī, us ne dar-ḥaqīqat mujh se maḥabbat kī aur jis ne in donoṅ se buġhz̤ rakhkhā us ne mujh se buġhz̤ rakhkhā. (Musnad Aḥmad, Sunan Ibn‎ Mājah‎)

          Isī ṭarḥ kas̲īr riwāyāt meṅ Ahle Bayte aṭhār ʻalayhim al-salām se bil-ʻumūm aur Ḥasanayn Karīmayn ʻalayhimā al-salām se bil-ḳhuṣūṣ maḥabbat kā z̲ikr miltā hai. Yehī aṣl ʻaqīdā-e Ahle Sunnat wa-jamāʻat aur woh shaḳhṣ Ahle Sunnat wa-jamāʻat nahīṅ hai jis kā dil in nufūse Qudsīyah kī maḥabbat-o-mawaddat se ḳhālī hai balki woh jān le ki us ke andar Ḳhārjīyat ne d̥erā d̥āl rakhkhā hai.

          Safīre amn-o-maḥabbat Shaykh al-islam Doctor Muḥammad Ṭāhir al-Qādrī madda ẓillūhu al-ʻĀlī aur tĕḥrīke Minhāj al-Qur’ān‎ kā maqṣad inhī maḥabbatoṅ ko faroġh dunyā aur ummat ko gumrāh karne wāle shaitānī fitnoṅ kā qilʻa qamaʻ karnā hai. Zere naẓar Kitāb bhī Sayyidinā Imām‎ Ḥasan ʻalayh al-salām aur Sayyidinā Imām‎ Ḥusayn ʻalayh al-salām se maḥabbat ke bayān par mushtamil chālis aḥādīs̲ kā majmūʻā hai.

          Allāh Taʻālá se duʻā hai ki dunyā wa āḳhirat meṅ hameṅ apnī maḥabbat, apne Rasūl ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam kī maḥabbat, Ahle Bayte aṭhār, Ṣaḥābā-e kirām aur auliyā’-e ṣāleḥīn riḍwānu Allāhi ‘alayhim ajma‘īn kī maḥabbat par jamʻa rakhkhe. (āmīb bijāhi Sayyid al-mursalīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam)

(Ḥāfiẓ Ẓahīr Aḥmad al-Isnādī)

Research Scholar

Farīde Millat Research Institute

Posted in Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām

al-Qur’ān‎

al-Qur’ān

Bismi Allāh al-Raḥmān al-Raḥīm

o١.          اِنَّمَا يُرِيْدُ اﷲُ لِيُذْهِبَ عَنْکُمُ الرِّجْسَ اَهْلَ الْبَيْتِ وَيُطَهِرَکُمْ تَطْهِيْرًا
(الأحزاب، 33/ 33)

.٢.          قُلْ لَّآ اَسْئَلُکُمْ عَلَيْهِ اَجْرًا اِلَّا الْمَوَدَّةَ فِی الْقُرْبٰی
(الشوری، 42/ 23)

(1)          Bas Allāh yehī chāhtā hai ki (ae Rasūl ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ke) Ahle Bayt! Tum se har qism ke gunāh ka mail (aur shak-o-naqṣ kī gard tak) dūr kar de aur tumheṅ (kāmil) ṭahārat se nawāz kar bilkul pāk ṣāf kar de.

[al-Aḥzāb, 33/33]

(2)          Farmā dījī’e: maiṅ is (tablīġhe risālat) par tum se ko’ī ujrat nahīn māngtā magar (merī) qarābat (aur Allāh kī qurbat) se maḥabbat (chāhtā hūṅ).

[al-Shūrá, 42/23.]

Posted in Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām

Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām: 01

al-Ḥadīs̲

١.          عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ الدَّوْسِيِّ رضی الله عنه، قَالَ: خَرَجَ النَّبِيُّ صلی الله عليه وآله وسلم فِي طَائِفَةِ النَّهَارِ، لَا يُکَلِّمُنِي وَلَا أُکَلِّمُهُ، حَتّٰی أَتٰی سُوْقَ بَنِي قَيْنُقَاعَ، فَجَلَسَ بِفِنَاءِ بَيْتِ فَاطِمَةَ، … فَجَائَ يَشْتَدُّ حَتّٰی عَانَقَهُ وَقَبَّلَهُ، وَقَالَ: اَللّٰهُمَّ أَحِبَّهُ وَأَحِبَّ مَنْ يُحِبُّهُ.
مُتَّفَقٌ عَلَيْهِ.

01.          Ḥaz̤rat Abū Hurayrah‎‎ al-Dawsī raḍiya Allāhu ‘anhu se marwī hai, unhone farmāyā: din ke kisī ḥiṣṣe meṅ Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam bāhar tashrīf lā’e, na āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne mujhe se ko’ī bāt kī aur na maiṅ ne āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam se, yahāṅ tak ki āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam Qaynuqāʻa bāzār meṅ jā pahonche aur Ḥaz̤rat Fāṭimah ʻalayhā al-salām ke ghar ke ṣĕḥn meṅ bait̥h ga’e (aur shĕhzāde Ḥaz̤rat Ḥasan raḍiya Allāhu ‘anhu yā Ḥusayn raḍiya Allāhu ‘anhu ko bulāne lage) ……… Itne meṅ shĕhzāde daur̥te hū’e ā ga’e, to āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne shĕhzāde ko sīne se lagā liyā aur bosā diyā nīz farmāyā: ae Allāh! Tū is se maḥabbat farmā aur jo is se maḥabbat kare us se bhī maḥabbat farmā.

          Yeh ḥadīs̲ muttafaqun ʻalayh hai.

[Aḳhrajahu al-Buḳharī fī al-Ṣaḥīḥ, Kitāb al-buyūʻ, bāb mā d̲h̲ukira fī al-aswāq, 02/747, al-raqm/2016,

Muslim Fi al- Ṣaḥīḥ, Kitāb faḍā’il al-ṣaḥābah raḍiya Allāhu ‘anhum, bāb faḍā’il al-Ḥasan wa-al-Ḥusayn raḍiya Allāhu ‘anhumā, 04/1882, al-raqm/2421,

Ṭahir al-Qādrī fī Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām/07-08, al-raqm/01.]

 

Posted in Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām

Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām: 02

٢.          عَنِ الْبَرَاءِ رضی الله عنه، قَالَ: رَأَيْتُ النَّبِيَّ صلی الله عليه وآله وسلم، وَالْحَسَنُ بْنُ عَلِيٍّ عَلٰی عَاتِقِهِ، يَقُوْلُ: اَللّٰهُمَّ إِنِّي أُحِبُّهُ فَأَحِبَّهُ.

مُتَّفَقٌ عَلَيْهِ.

02.          Ḥaz̤rat Barā’ bin ʻĀzib raḍiya Allāhu ‘anhu se marwī hai: unhone farmāyā: maiṅ ne Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ko dekhā jab ki Ḥaz̤rat Ḥasan bin ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhumā āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ke doshe mubārak par the aur āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam farmā rahe the: ae Allāh! Maiṅ is se maḥabbat rakhtā hūṅ, tū bhī is se maḥabbat farmā.

          Yeh ḥadīs̲ muttafaqun ʻalayh hai.

[Aḳhrajahu al-Buḳhārī fī al-Ṣaḥīḥ, Kitāb al-manāqib, bāb al-Ḥasan wa-al-Ḥusayn raḍiya Allāhu ‘anhumā, 03/1370, al-raqm-3539,

Muslim Fi al- Ṣaḥīḥ, Kitāb faḍā’il al-ṣaḥābah raḍiya Allāhu ‘anhum, bāb faḍā’il al-Ḥasan wa-al-Ḥusayn raḍiya Allāhu ‘anhumā, 04/1883, al-raqm/2422,

Tirmid̲h̲ī fī al-Sunan, Kitāb al-manāqib, bāb al-Ḥasan wa-al-Ḥusayn ʻalayhimā al-salām, 05/661, al-raqm/3783,

Aḥmad bin Ḥanbal fī al-Musnad, 04/292, al-raqm/18600,

Aḥmad bin Ḥanbal fī Faḍā’il al-ṣaḥabah, 02/768, al-raqm/1353,

Ṭahir al-Qādrī fī Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām/08-09, al-raqm/02.]

Posted in Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām

Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām: 03

٣.          عَنْ نَافِعِ بْنِ جُبَيْرٍ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رضی الله عنه قَالَ: کُنْتُ مَعَ رَسُوْلِ اﷲِ صلی الله عليه وآله وسلم فِي سُوْقٍ مِنْ أَسْوَاقِ الْمَدِيْنَةِ، فَانْصَرَفَ فَانْصَرَفْتُ، فَقَالَ: أَيْنَ لُکَعُ – ثَـلَاثًا – ادْعُ الْحَسَنَ بْنَ عَلِيٍّ. فَقَامَ الْحَسَنُ بْنُ عَلِيٍّ يَمْشِي وَفِي عُنُقِهِ السِّخَابُ، فَقَالَ النَّبِيُّ صلی الله عليه وآله وسلم بِيَدِهِ هٰکَذَا، فَقَالَ الْحَسَنُ بِيَدِهِ هٰکَذَا، فَالْتَزَمَهُ فَقَالَ: اللّٰهُمَّ، إِنِّي أُحِبُّهُ فَأَحِبَّهُ وَأَحِبَّ مَنْ يُحِبُّهُ.

وَقَالَ أَبُوْ هُرَيْرَةَ رضی الله عنه: فَمَا کَانَ أَحَدٌ أَحَبَّ إِلَيَّ مِنَ الْحَسَنِ بْنِ عَلِيٍّ عليهما السلام، بَعْدَ مَا قَالَ رَسُوْلُ اﷲِ صلی الله عليه وآله وسلم مَا قَالَ. رَوَاهُ الْبُخَارِيُّ.

03.          Ḥaz̤rat Nāfiʻ bin Jubayr se marwī hai, Ḥaz̤rat Abū Hurayrah‎‎ raḍiya Allāhu ‘anhu ne farmāyā: maiṅ Madīnah munawwarah ke bāzāroṅ meṅ se ek bāzār meṅ Rasūl Allāh ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ke sāth thā. Jab āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam wāpas laut̥e aur maiṅ bhī (āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ke sāth) wāpas laut̥ā to āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne farmāyā: nannhā munnā kahāṅ hai? yeh kalimāt tīn martabā dŏhrā’e ki Ḥasan bin ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhumā ko bulā’o chunānche Ḥasan bin ʻAlī khar̥e hū’e aur chal par̥e aur un kī gardan meṅ Siḳhāb (ek qism kā hār) thā. (unheṅ dekh kar) Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne apne bāzū mubārak is ṭarḥ phailā dī’e to āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne unheṅ apne sīnā-e mubārak se lagā kar farmāyā: ae Allāh! Maiṅ is se maḥabbat kartā hūṅ, tū bhī is se maḥabbat farmā aur us se bhī maḥabbat farmā jo is se maḥabbat kartā hai.

          Ḥaz̤rat Abū Hurayrah‎‎ raḍiya Allāhu ‘anhu farmāte haiṅ ki us waqt se Ḥasan bin ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhumā se bar̥h kar ko’ī aur mujhe pyārā nahīṅ hai jab se Rasūl Allāh ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne un ke mutaʻalliq yeh irshād farmāyā tha.

          Ise Imām‎ Buḳhārī ne riwāyat kiyā haī.

[Aḳhrajahu al-Buḳhārī fī al-Ṣaḥīḥ, Kitāb al-libās, bāb al-siḳhāb lil-ṣibyān, 05/2207, al-raqm/5545,

Ṭahir al-Qādrī fī Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām/09_11, al-raqm/03.]

Posted in Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām

Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām: 04

٤.          عَنْ أُسَامَةَ بْنِ زَيْدٍ عليهما السلام، عَنِ النَّبِيِّ صلی الله عليه وآله وسلم، أَنَّهُ کَانَ يَأْخُذُهُ وَالْحَسَنَ وَيَقُوْلُ: اَللّٰهُمَّ إِنِّي أُحِبُّهُمَا فَأَحِبَّهُمَا، أَوْ کَمَا قَالَ.

رَوَاهُ الْبُخَارِيُّ وَأَحْمَدُ وَابْنُ أَبِي عَاصِمٍ.

04.          Haz̤rat Usāmah bin Zayd raḍiya Allāhu ‘anhumā, Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ke bāre meṅ riwāyat karte haiṅ ki āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne unheṅ aur Imām‎ Ḥasan ko ut̥hāyā hūā thā aur farmā rahe the: ae Allāh! Maiṅ in donoṅ se maḥabbat rakhtā hūṅ, tū bhī in donoṅ se maḥabbat rakhkh yā is ṭarḥ ke alfāẓ irshād farmā’e.

          Ise Imām‎ Buḳharī, Aḥmad aur Ibn‎ Abī ʻĀṣim ne riwāyat kiyā hai.

[Aḳhrajahu al-Buḳhārī fī al-Ṣaḥīḥ, Kitāb al-manāqib, bāb manāqib al-Ḥasan wa-al-Ḥusayn raḍiya Allāhu ‘anhumā, 03/1369, al-raqm/3537,

Buḳhārī fī al-Ṣaḥīḥ, bāb d̲h̲ikri Usāmah bin Zayd raḍiya Allāhu ‘anhumā, 03/1366, al-raqm/3528,

Aḥmad bin Ḥanbal fī al-Musnad, 05/210, al-raqm/21877,

Ibn‎ Abī Āṣim fī al-Āḥād wa-al-mat̲h̲ānī, 01/326, al-raqm/449,

Ibn‎ Futūḥ fī al-Jamʻ bayna al-Ṣaḥīḥayn, 03/344, al-raqm/2808,

Ṭahir al-Qādrī fī Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām/11, al-raqm/04.]

Posted in Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām

Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām: 05

٥.          عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رضي الله عنه، عَنِ النَّبِيِّ صلی الله عليه وآله وسلم، أَنَّهُ قَالَ لِحَسَنٍ: اَللّٰهُمَّ إِنِّي أُحِبُّهُ، فَأَحِبَّهُ وَأَحْبِبْ مَنْ يُحِبُّهُ.

رَوَاهُ مُسْلِمٌ وَأَحْمَدُ وَابْنُ مَاجَه وَلَفْظُهُ: قَالَ النَّبِيُّ صلی الله عليه وآله وسلم لِلْحَسَنِ: اَللّٰهُمَّ إِنِّي أُحِبُّهُ فَأَحِبَّهُ وَأَحِبَّ مَنْ يُحِبُّهُ، قَالَ: وَضَمَّهُ إِلٰی صَدْرِهِ.

05.          Ḥaz̤rat Abū Hurayrah‎‎ raḍiya Allāhu ‘anhu, Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam se riwāyat karte haiṅ: be shak āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne Ḥaz̤rat Ḥasan raḍiya Allāhu ‘anhu ke bāre meṅ farmāyā: ae Allāh! Maiṅ is se maḥabbat kartā hūṅ, tū bhī is se maḥabbat farmā aur jo is se maḥabbat rakhkhe us se bhī maḥabbat farmā.

Ise Imām‎ Muslim, Aḥmad aur Ibn‎ Mājah‎ ne riwāyat kiyā hai. IbnMājahke alfāẓ yeh haiṅ: Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne Ḥaz̤rat Ḥasan ke li’e (Allāh Taʻālá kī bārgāh meṅ) ʻarz̤ kiyā: ae Allāh! Maiṅ is se maḥabbat rakhtā hūṅ tū bhī is se maḥabbat rakhkh aur jo is se maḥabbat rakhkhe us se bhī maḥabbat farmā. Rāwī kĕhte haīṅ ki āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne Ḥaz̤rat Ḥasan raḍiya Allāhu ‘anhu ko apne sīne se laġā liyā.

[Aḳhrajahu al-Muslim Fi al- Ṣaḥīḥ, Kitāb faḍā’il al-ṣaḥābah raḍiya Allāhu ‘anhum, bāb faḍā’il al-Ḥasan wa-al-Ḥusayn raḍiya Allāhu ‘anhumā, 04/1882, al-raqm/2421,

Aḥmad bin Ḥanbal fī al-Musnad, 02/249, al-raqm/7392,

Ibn‎ Mājah‎ fī al-Sunan, al-muqaddimah, bāb faḍl al-Ḥasan wa-al-Ḥusayn abanī ʻAlī bin abī ṭālib raḍiya Allāhu ‘anhu, 01/51, al-raqm/142,

Bayhaqī fī al-Sunan al-kubrá, 10/223, al-raqm/20862,

Ibn‎ ʻAsākir fī Tārīḳh madīnaṫ Dimashq, 13/189,

Ṭahir al-Qādrī fī Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām/11-12, al-raqm/05.]

Posted in Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām

Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām: 06

٦.          عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رضي الله عنه، قَالَ: خَرَجَ رَسُوْلُ اﷲِ صلی الله عليه وآله وسلم إِلٰی سُوْقِ بَنِي قَيْنُقَاعَ مُتَّکِئًا عَلٰی يَدِي، فَطَافَ فِيْهَا ثُمَّ رَجَعَ فَاحْتَبٰی فِي الْمَسْجِدِ، وَقَالَ: أَيْنَ لَکَاعٌ؟ ادْعُوْا لِي لَکَاعًا. فَجَاءَ الْحَسَنُ عليه السلام فَاشْتَدَّ حَتّٰی وَثَبَ فِي حَبْوَتِهِ فَأَدْخَلَ فَمَهُ فِي فَمِهِ، ثُمَّ قَالَ: اللّٰهُمَّ إِنِّي أُحِبُّهُ فَأَحِبَّهُ وَأَحِبَّ مَنْ يُحِبُّهُ… ثَـلَاثًا…قَالَ أَبُوْ هُرَيْرَةَ رضي الله عنه: مَا رَأَيْتُ الْحَسَنَ إِلَّا فَاضَتْ عَيْنِي أَوْ دَمَعَتْ عَيْنِي أَوْ بَکَتْ، شَکَّ الْخَيَاطُ.

رَوَاهُ أَحْمَدُ وَأَبُوْ نُعَيْمٍ وَابْنُ عَسَاکِرَ.

06.          Ḥaz̤rat Abū Hurayrah‎‎ raḍiya Allāhu ‘anhu bayā karte haiṅ ki Rasūl Allāh ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam banū Qaynuqāʻa ke bāz̤ār kī ṭaraf mere hāth kā sahārā lete hū’e tashrīf le ga’e, wahāṅ kā chakkar lagā kar āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam wāpas ghar tashrīf le ā’e aur masjid meṅ tashrīf farmā ho ga’e aur farmāyā: merā shĕhz̤ādā kahāṅ hai? Mere shĕhzāde ko mere li’e bulā’o to Ḥaz̤rat Ḥasan ‘alayhi al-salām ā’e to āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ko apne shĕhzāde par bohat ziyādā pyār āyā yahāṅ tak ki bait̥he bait̥he jhapat̥ kar un ko pakar̥ liyā aur dĕhĕn mubārak un ke munh meṅ rakh diyā phir farmāyā: ae Allāh! Maiṅ is se pyār kartā hūṅ tū bhī is se pyār kar aur us se bhī pyār kar jo is se pyār kartā hai, āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne tīn martabā yūṅ farmāyā. Ḥaz̤rat Abū Hurayrah‎‎ raḍiya Allāhu ‘anhu ne bayān kiyā hai: maiṅ jab bhī Ḥaz̤rat Ḥasan raḍiya Allāhu ‘anhu ko dekhtā to merī ānkh bĕh par̥tī yā ānsū bahātī yā ro par̥tī (rāwī) Ḳhayyāṭ ko in alfāẓ meṅ shak guzrā hai.

          Ise Imām‎ Aḥmad, Abū nuʻaym aur Ibn‎ ʻAsākir ne riwāyat kiyā hai.

[Aḳhrajahu al-Aḥmad bin Ḥanbal fī al-Musnad, 02/532, al-raqm/10904,

Abū Nuʻaym fī Ḥilyaṫ al-awliyā’ wa-ṭabaqāt al-aṣfiyā’, 02/35,

Ibn‎ ʻAsākir fī Tārīḳh madīnaṫ Dimashq, 13/192-193,

Ibn‎ Ḥajar Haytamī fī al-Ṣawāʻiq al-muḥriqah, 02/406,

Hindī fī Kanz al-ʻummāl, 13/279, al-raqm/37645,

Muḥibb al-Ṭabarī fī D̲h̲aḳhā’ir al-ʻuqbá fī manāqib d̲h̲awī al-qurbá,/122,

Ṭahir al-Qādrī fī Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām/12-14, al-raqm/06.]

Posted in Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām

Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām: 07

٧.          عَنْ زُهَيْرِ بْنِ الْأَقْمَرِ قَالَ: بَيْنَمَا الْحَسَنُ بْنُ عَلِيٍّ عليهما السلام يَخْطُبُ بَعْدَمَا قُتِلَ عَلِيٌّ رضي الله عنه إِذْ قَامَ رَجُلٌ مِنَ الْأَزْدِ آدَمُ طُوَالٌ، فَقَالَ: لَقَدْ رَأَيْتُ رَسُوْلَ اﷲِ صلی الله عليه وآله وسلم وَاضِعَهُ فِي حَبْوَتِهِ يَقُوْلُ: مَنْ أَحَبَّنِي فَلْيُحِبَّهُ، فَلْيُبَلِّغْ الشَّاهِدُ الْغَائِبَ وَلَوْلَا عَزْمَهُ رَسُوْلِ اﷲِ صلی الله عليه وآله وسلم مَا حَدَّثْتُکُمْ.

رَوَاهُ أَحْمَدُ وَابْنُ أَبِي شَيْبَةَ وَابْنُ عَسَاکِرَ.

07.          Zuhayr bin Aqmar bayān karte haiṅ ki jab Ḥaz̤rat Ḥasan bin ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhumā Ḥaz̤rat ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhu kī shahādat ke baʻd ḳhiṭāb farmā rahe the to qabilā-e Azd kā ek gandumī rang kā ṭawīl al-iqāmat shaḳhṣ khar̥ā hūā aur kĕhne lagā: maiṅ ne Rasūl Allāh ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ko dekhā hai ki āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne Ḥaz̤rat Ḥasan raḍiya Allāhu ‘anhu ko apnī god meṅ rakhkhā hūā thā aur farmā rahe the: jo mujh se maḥabbat kartā hai us ko chāhi’e ki woh is se bhī maḥabbat kare aur jo yahāṅ maujūd hai woh ġha’ib ko batā de, aur agar Rasūl allah ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam kā ḥaqq wājib na hotā to maiṅ tumheṅ kabhī yeh bāt na batātā.

          Ise Imām‎ Aḥmad, Ibn‎ Abī Shaybah aur Ibn‎ ʻAsākir ne riwāyat kiyā hai.

وَفِي رِوَيَةٍ عَنْهُ: قَالَ: سَمِعْتُ رَسُوْلَ اﷲِ صلی الله عليه وآله وسلم يَقُوْلُ: مَنْ أَحَبَّنِي فَلْيُحِبَّ هٰذَا الَّذِي عَلَی الْمِنْبَرِ، فَلْيُبَلِّغِ الشَّاهِدُ الْغَائِبَ وَلَوْلَا دَعْوَهُ رَسُوْلِ اﷲِ صلی الله عليه وآله وسلم مَا حَدَّثْتُ أَحَدًا.

رَوَاهُ ابْنُ عَسَاکِرَ.

          Aur Zuhayr bin Aqmar hī bayān karte haiṅ ki maiṅ ne Rasūl Allāh ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ko farmāte hū’e sunā: jo mujh se maḥabbat kartā hai use chāhi’e ki woh is se bhī maḥabbat kare jo is minbar par hai (yaʻnī Ḥaz̤rat Ḥasan ‘alayhi al-salām jo us waqt minbar par ḳhiṭāb farmā rahe the), pas jo ḥāz̤ir hai woh ġhā’ib ko batā de aur agar yeh Rasūl Allāh ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam kā farmān na hotā to maiṅ kisī ko yeh ḥadīs̲ bayān na kartā.(1)

          Ise Imām‎ Ibn‎ ʻAsākir ne riwāyat kiyā hai.

[Aḳhrajahu al-Aḥmad bin Ḥanbal fī al-Musnad, 05/366, al-raqm/23155,

Aḥmad bin Ḥanbal fī Faḍā’il al-ṣaḥabah, 02/780, al-raqm/1387,

Ibn‎ Abī Shaybah fī al-Muṣannaf, 06/379, al-raqm/32188,

Ibn‎ ʻAsākir fī Tārīḳh madīnaṫ Dimashq, 13/197,

Hayt̲h̲amī fī Majmaʻ al-zawā’id wa-manbaʻ aʻ-fawā’id, 09/176,

Mizzī fī Tad̲h̲īb al-kamāl fī asmā’ al-rijāl, 06/228,

Ibn‎ Ḥajar ʻAsqalānī fī al-Iṣābah fī tamyīz al-ṣaḥābah, 02/71.

(1) Aḳhrajahu Ibn‎ ʻAsākir fī Tārīḳh madīnaṫ Dimashq, 13/197,

Ṭahir al-Qādrī fī Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām/14_16, al-raqm/07.]

Posted in Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām

Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām: 08

٨.          عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رضي الله عنه قَالَ: مَا رَأَيْتُ حَسَنًا رضي الله عنه قَطُّ إِلَّا دَمَعَتْ عَيْنِي، جَلَسَ النَّبِيُّ صلی الله عليه وآله وسلم فِي الْمَسْجِدِ وَأَنَا مَعَهُ، فَقَالَ: ادْعُوْا لِي لُکَع أَوْ أَيْنَ لُکَعٌ؟ فَجَاءَ الْحَسَنُ يَشْتَدُّ حَتّٰی أَدْخَلَ يَدَيْهِ فِي لِحْيَةِ النَّبِيِّ صلی الله عليه وآله وسلم ۔ فَوَضَعَ النَّبِيُّ صلی الله عليه وآله وسلم فَمَهُ عَلٰی فَمِهِ أَوْ فَمَهُ عَلٰی فِيْهِ، ثُمَّ قَالَ: اَللّٰهُمَّ إِنِّي أُحِبُّهُ فَأَحِبَّ مَنْ يُحِبُّهُ.

رَوَاهُ أَحْمَدُ وَابْنُ عَسَاکِرَ.

08.          Ḥaz̤rat Abū Hurayrah‎‎ raḍiya Allāhu ‘anhu bayān karte haiṅ ki maiṅ jab bhī Ḥaz̤rat Ḥasan raḍiya Allāhu ‘anhu ko dekhtā to merī ānkhh ashk bār ho jātī, Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam masjid meṅ tashrīf farmā the aur maiṅ āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ke sāth thā, āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne farmāyā: mere li’e mere shĕhzāde ko pukāro yā merā shĕhzādā kahāṅ hai? To Ḥaz̤rat Ḥasan ‘alayhi al-salām bar̥ī mushkil se lar̥khar̥āte hū’e ā’e ḥattá ki ā kar apne (nannhe nannhe) hāth Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam kī rīsh mubārak meṅ dāḳhil kar dī’e to āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne apnā munh mubārak un ke munh par yā munh meṅ rakh diyā aur farmāyā: ae Allāh maiṅ is se maḥabbat kartā hūṅ tū bhī is se maḥabbat farmā jo is se maḥabbat kartā hai.

           Ise Imām‎ Aḥmad aur Ibn‎ ʻAsākir ne riwāyat kiyā hai.

[Aḳhrajahu al-Aḥmad bin Ḥanbal fī Faḍā’il al-ṣaḥabah, 02/788, al-raqm/1407,

Ibn‎ ʻAsākir fī Tārīḳh madīnaṫ Dimashq, 13/192,

Wa-d̲h̲akarahu al-Hindī fī Kanz al-ʻummāl, 13/279, al-raqm/37645,

Ṭahir al-Qādrī fī Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām/16-17, al-raqm/08.]