Fasl : 32
غض أهل الجمع أبصارها عند مرور فاطمة الزهراء سلام الله عليها يوم القيامة إكراما لها
Roze Qiyaamat Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Kee Aamad Par Sab Ahle Mahshar Nigaahein Jhukla Lenge
83_ “Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Yeh Farmate Huwe Suna : Qiyamat Ke Din Aik Nida’ Dene Waala Parde Ke Peechhe Se Aawaaz Dega : Aye Ahle Mahshar! Apni Nigaahein Jhuka Lo Taa Ki Fatimah Bint Muhammad Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Guzar Jaaein.”
–
[1_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/166, Raqam-4728,
2_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/94,
3_Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 07/220,
4_Ajlooni Fi Kashf-ul-Khafa’ Wa Muzil Al-Ilbas ‘Ammah Istuhira Min Al-Ahadith ‘Ala Alsinat-in-Nas, 01/101, Raqam-263,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/97, Raqam-83.]
84_ “Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Riwaayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Jab Qiyaamat Ka Din Hoga To Kaha Jaa’ega : Aye Ahle Mahshar! Apni Nigaahein Jhuka Lo Taa Ki Allah Ke Rasool صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Beti Fatimat-uz-Zahra’ Guzar Jaaein. Pas Woh Do Sabz Chaadaro’n Me Lipti Huwi Guzar Jaaengi.”
“Aboo Muslim Ne Kaha : Mujhe Qilabah Ne Kaha, Aur Hamaare Saath Abd-ul-Hamid Bhi Tha, Ki Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaaya Tha : (Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا) Do Surkh Chaadaro’n (Mein Lipti Huwi Guzar Jaaengi).”
–
[1_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/175, Raqam-4757,
2_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/763, Raqam-1344,
3_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/108, Raqam-180,
4_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/400, Raqam-999,
5_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/35, Raqam-2386,
6_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/212,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/97, 98, Raqam-84.]
85_ “Hazrat Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Farmati Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Roze Qiyamat Aik Nida’ Dene Waala Aawaaz Dega : Apni Nigaahein Jhuka Lo Taa Ki Fatimah Bint Muhammad Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Guzar Jaaein.”
–
[1_Khatib Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 08/142,
2_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/94,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/98, 99, Raqam-85.]
86_ “Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marfoo’an Riwaayat Hai Ki Roze Qiyaamat Arsh Kee Gehraa’iyo’n Se Aik Nida’ Dene Waala Aawaaz Dega : Aye Mahshar Waalo! Apne Saro’n Ko Jhuka Lo Aur Apni Nigaahein Neechi Kar Lo Taa Ki Sayyidah Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Jannat Kee Taraf Guzar Jaaein.”
–
[1_Ajlooni Fi Kashf-ul-Khafa’ Wa Muzil Al-Ilbas ‘Ammah Istuhira Min Al-Ahadith ‘Ala Alsinat-in-Nas, 01/101, Raqam-263,
2_Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal Fi Sunan Al-Aqwal Wa-Al-Af’al, 12/106, Raqam-34211,
3_Hindi Ne ‘Kanz-ul-‘Ummal Fi Sunan Al-Aqwal Wa-Al-Af’al (12/106, Raqam-34210)’ Me Kaha Hai Ki Ise Aboo Bakr Ne ‘Al-Ghaylaniyat’ Me Hazrat Aboo Ayyoob Ansari رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Kiya Hai.
4_Khatib Baghdadi Ne ‘Tarikh Baghdad (08/141)’ Me Alfaaz Ke Ma’mooli Ikhtalaaf Ke Saath Yeh Hadith Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Riwaayat Kee Hai.
5_Haytami Ne ‘As-Sawa’iq Al-Muhriqah (02/557)’ Me Kaha Hai Ki Ise Aboo Bakr Ne ‘Al-Ghaylaniyat’ Me Riwaayat Kiya Hai.
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/99, Raqam-86.]