Posted in Al-Ṣalāṫ ʻind al-Ḥanafīyah fī ḍaw’i al-Sunnaṫ al-Nabawīyah

Buland Aawaaz Se Aameen Na Kehne Ka Bayaan

Fasl-04:

Buland Aawaaz Se Aameen Na Kehne Ka Bayaan

53.              “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Jab Imam ﴾غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّيْنَ﴿ ‘Ghay-Ril Magh-Doobi A’Lay-Him Wa-Lad-Daallin’ Kahe To Tum Kaho: ﴾آمِيْنَ﴿ ‘Aameen’, Jis Ka Kehna Firishto’n Kee Tarah Hoga To Us Ke Saabiqa Gunaah Bakhsh Diye Jaate Hain.”

Muttafaque Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/271, Raqm-749,

Muslim Fi As-Sahih, 01/307, Raqm-410,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/354, Raqm-935,

Nasa’i Fi As-Sunan, 02/105, Raqm-927, 929,

Ibn Hibban Fi As-sahih, 05/106, Raqm-1804,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/340, Raqm-797,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/41, Raqm-53.]

 

 

54.              “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hamen Ta’leem Dete They Ki Imam Par Sabqat Na Karo, Jab Imam Takbeer Kahe To Tum Bhi Takbeer Kaho, Aur Jab Woh ﴾وَلَا الضَّالِّيْنَ﴿ ‘Wa-Lad-Daallin’ Kahe To Tum ‘Aameen’ Kaho, Aur Jab Woh Rukoo’ Kare To Tum Rukoo’ Karo Aur Jab Woh ﴾سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ﴿ ‘SamiAllahu-Le-Man-Hamidah’ Kahe To Tum ﴾اللَّهُمَّ رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ﴿ ‘Allah-Humma Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kaho.”

Is Hadith Ko Imam Muslim Ne Riwayat Kiya Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 01/310, Raqm-315,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/34, Raqm-1576,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/92, Raqm-2424,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/41, 42, Raqm-54.]

 

 

55.              “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Ki Jab Imam ﴾غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّيْن﴿ ‘Ghay-Ril Magh-Doobi A’Lay-Him Wa-Lad-Daallin’ Kahe Aur Us Ke Pichhe Muqtadi Aameen Kahe Aur Aameen Padhne Walo’n Ka Qaul Firishto’n Ke Qaul Ke Muwaafiq Ho Jaa’e To Namazi Ke Pichhle Tamam Gunaah Maaf Kar Diye Jaate Hain.”

Is Hadith Ko Imam Muslim Ne Riwayat Kiya Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 01/307, Raqm-410,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/449, Raqm-9803,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 02/456, Raqm-1689,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/42, Raqm-55.]

 

 

56.              “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Jab Imam ﴾غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّيْن﴿ ‘Ghay-Ril Magh-Doobi A’Lay-Him Wa-Lad-Daallin’ Kahe To Tum  ﴾آمِيْن﴿ ‘Aameen’ Kaho. Be Shak Firishte Bhi Aameen Kehte Hain Aur Imam Bhi Aameen Kehta Hai. To Jis Kee Aameen Firishto’n Ke Saath Mil Jaa’egi Us Ke Saabiqah Gunaah Bakhsh Diye Jaa’enge.”

Is Hadith Ko Imam Nasa’i Ne Riwayat Kiya Hai.

[Nasa’i Fi As-Sunan, 01/144, Raqm-927,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/42, 43, Raqm-56.]

 

 

57.              “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Jab Imam ﴾غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّيْن﴿ ‘Ghay-Ril Magh-Doobi A’Lay-Him Wa-Lad-Daallin’ Keh Chuke To Tum ﴾آمِيْن﴿ ‘Aameen’ Kaho Kyun Ki Jis Shakhs Ka Aameen Kehna Firishto’n Ke Aameen Kehne Kee Muwaafiq Ho Jaayega Us Ke Saabiqah Gunaah Muaaf Farma Diye Jaa’enge.”

Is Hadith Ko Imam Nasa’i Ne Riwayat Kiya Hai.

[Nasa’i Fi As-Sunan, 02/144, Raqm-929,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/43, Raqm-57.]

 

 

58.              “Hazrat Wa’il Bin Hujr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne ﴾غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّيْن﴿ ‘Ghay-Ril Magh-Doobi A’Lay-Him Wa-Lad-Daallin’ Padha To Kaha: ﴾آمِيْن﴿ ‘Aameen’ Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Aameen Kee Aawaaz Ko Past Kiya.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Aur Imam Tirmidhi Ne Farmaya Ki Ye Hadith Sahih Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 01/289, Raqm-248,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/316,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/253, Raqm-2913,

Tayalisi Fi Al-Musnad: 138, Raqm-1024,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/43, 44, Raqm-58.]

 

 

59.              “Hazrat Aboo Wa’il RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Ali Aur Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Tasmiyah ﴾بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم﴿ ‘Bismillah Hirrahma Nirrahim’ Aur Ta’awwuz  ﴾أَعُوْذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيْم﴿ A’uzu Billahi Minash-Shayta Nirrajim’ Aur Taameen  ﴾آمِيْن﴿ ‘Aameen’ Buland Aawaaz Se Nahin Kehte They.”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 09/263, Raqm-9304,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id,02/108,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/44, Raqm-59.]

 

 

60.              “Hazrat Ibrahim Nakh’iy RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain, Paanch-05 Cheezo’n Me Ikhfa’ Kiya Jaayega: Thana’ ﴾سُبْحَانَكَ اللهُمَّ وَبِحَمْدِك﴿, Ta’awwuz ﴾أَعُوْذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيْم﴿ A’uzu Billahi Minash-Shayta Nirrajim’, Tasmiyah ﴿بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم﴿ ‘Bismillah Hirrahma Nirrahim’, Taameen ﴾آمِيْن﴿ ‘Aameen’, Aur Tahmeed  ﴾اللَّهُمَّ رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْد﴿ ‘Allah-Humma Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’.”

Is Hadith Ko Imam Abd-ur-Razzaq Ne Riwayat Kiya Hai.

[Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/87, Raqm-2597,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/44, 45, Raqm-60.]

 

 

61.              “Hazrat Aboo Wa’il RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Umar Aur Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Tasmiyah ﴾بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم﴿ Bismillah Hirrahma Nirrahim’, Ta’awwuz ﴾أَعُوْذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيْم﴿ A’uzu Billahi Minash-Shayta Nirrajim’ Aur Taameen ﴾آمِيْن﴿ ‘Aameen’ Buland Aawaaz Se Nahin Kehte They.”

Is Hadith Ko Imam Tahawi Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Aathar, 01/263, Raqm-1173,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/45, Raqm-61.]

 

62.              “Imam Ibrahim Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya: Chaar⁴ Cheezo’n Ko Imam Se Aahista Kaha Jaayega: Ta’awwuz  ﴾أَعُوْذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيْم﴿ A’uzu Billahi Minash-Shayta Nirrajim’, Tasmiyah  ﴾بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم﴿ ‘Bismillah Hirrahma Nirrahim’, Taameen ﴾آمِيْن﴿ ‘Aameen’, Tahmeed ﴾اللَّهُمِّ رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ﴿ ‘Allah-Humma Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’.

Is Hadith Ko Imam Muttaqi Hindi Ne Riwayat Kiya Hai.

[Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 08/274, Raqm-22894,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/45, Raqm-62.]

۞ ۞ ۞