Posted in Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar

Muqaddimah

Muqaddimah

           Aaj 18 Dhu-‘l-Hijjah Hai, Jis Din Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hijjat-ul-Wada’ Se Madinah Tayyibah Waapasi Ke Dauraan Ghadire Khum Ke Maqaam Par Qayam Farmaya Aur Sahaba-e-Kiram Ridwanullahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ke Hujoom Me Sayyidina ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Utha Kar E’laan Farmaya :

مَنْ کُنْتُ مَوْلَاهُ فَعَلِيٌّ مَوْلَاهُ.

“Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai.”

           Yeh E’lane Wilayate ’Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Tha, Jis Ka Itlaaq Qayamat Tak Jumla Ahle Iman Par Hota Hai Aur Jis Se Yeh Amr Qat’i Taur Par Saabit Hata Hai Ki Jo Wilayate ’Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Munkar Hai Woh Wilayate Mohammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Munakr Hai. Is Aajiz Ne Mehsoos Kiya Ki Is

           Mas’ala Par Ba’z Log Ba-Waj’he Jahaalat Mutaraddid Rehte Hain Aur Ba’z Log Ba-Waj’he Inaad-o Ta’assub. So Yeh Taraddud Aur Inkaare Ummat Me Tafreqa Wa Intishaar Me Izaafa Ka Baa’is Ban Raha Hai. In Halaat Mein Ne Zaroori Samjha Ki Mas’ala-e-Wilayat Wa Imamat Par Do² Risaale Taalif Karoo’n : Ek Ba-Unwan السيف الجلى على منكر وﻻية على KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim ” Aur Doosra Ba-Unwan القول المعتبر فى الإمام المنتظر . Pehle Risaale Ke Zari’e Faatehe Wilayat Hazrat Imama ‘Ali ‘Alayh-is-Salam Ke Maqaam Ko Waazeh Karoo’n Aur Doosre Ke Zari’e Khatime Wilayat Hazrat Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Ka Bayan Karoo’n Taa  Ki Jumla Shub’haat Ka Ijaala Ho Aur Yeh Haqiqat Khawaas-o Awaam Sab Tak Pahonch Sake Ki Wilayate ’Ali ‘Alayh-is-Salam Aur Wliayate Mahdi ‘Alayh-is-Salam Ahle Sunnat Wa Jama’at Kee Mo’tabar Kutube Hadith Me Riwayate Mutwatirah Se Saabit Hai. Mein Ne Pehle Risale Me Hadithe Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ikyawan-51 Riwayat Poori Tehqiq-o Takhrij Ke Saath Darj Kee Hain. Is Adad Kee Waj’h Yeh Hai Ki  Mein Ne Imasaal Apni Umr Ke 51 Baras Mukammal Ki’e Hain, Is Li’e Husoole Barkat Aur Iktisaabe Khair Ke Li’e Aajizaan Taur Par Adadi Nisbat Ka Wasila Ikhtiyar Kiya Hai Taa Ki Bargahe ’Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Me Is Haqir Ka Nazaraana Sharafe Qubooliyyat Paa Sake. (Aameen)

           Ab Is Muqaddimah Me Yeh Nuktah Waazeh Karna Chaahta  Hoo’n Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Zaate Muqaddasa Se Teen³ Tarh Kee Wirashate’n Jaari Hu’i :

۞ Khilaafate Baatini Kee Roohaani Wiraashat

۞ Khilaafate Zaahiri Kee Siyaasi Wiraashat

۞ Khilaafate Deeni Kee Umoomi Wiraashat

۞ Khilafate Baatini Kee Roohani Wirashat Ahle Bayte At’har Ke Nufoose Tayyibah Ko Ata Hu’i.

۞Khilafate Zaahiri Kee Siyaasi Wirashat Khulfa-e-Rashideen Kee Zawaat Muqaddasa Ko Ata Hu’i.

۞ Khilafate Deeni Kee Umoomi Wirashat Baqiyyah Sahaba Wa Tabe’in Ko Ata Hu’i.

           Khilafate Baatini Niyaabate Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Woh Sar-Chasma Hai Jis Se Na Sirf Deene Islam Ke Roohani Kamalaat Aur Baatini Fuyoozaat Kee Hifazat Hu’i Balki Is Ummat Me Wilayat-o Qutbiyyat Aur Muslihiyyat-o Mujaddidiyyat Ke Chasme Phoote Aur Ummat Isi Waaste Se Roohaniyyate Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Faizyaab Hu’i. Khilafate Zaahiri Niyaabate Muhaamadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Woh Sar-Chasma Hai Jis Se Galbae Deene Haqq Aur Nafaaze Islam Kee Amali Surat Wujood Me Aa’i Aur Deene Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Tamakkun Aur Zameeni Iqtedaar Ka Silsila Qaayam Huwa. Isi Waaste Se Tarikhe Islam Me Mukhtalif Riyasate’n Aur Saltanate’n Qaayam Hu’e Aur Shari’ate Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Nizame Aalam Ke Taur Par Dunya Me Amalan Muta’arif Hu’i.

           Khilafate Umoomi Niyaabate Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Woh Sar-Chasma Hai Jis Se Ummat Me Taalimate Islam Ka Farog Aur Aamale Saaleha Ka Tahaqquq Wujood Me Aaya. Is Waaste Se Afrade Ummat Me Na Sirf Ilm-o Taqwa Kee Hifazat Hu’i Balki Akhlaaqe Islami Kee Umoomi Tarweej-o Ishaa’at Jaari Rahi Goya:

Pehli Qism : Khilafate Wilayat Qaraar Paa’i

Doosri Qism : Khilafate Saltanat Qaraar Paa’i

Teesri Qism : Khilafate Hidayat Qaraar Paa’i

           Is Taqseeme Wirasate Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Mazmoon Ko Shah Wali-Allah Muhaddith Dihlawi Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Ne In Alfaz Ke Sath Bayan Farmaya  Hai:

پس وراث آنحضرت هم بسه قسم منقسم اند فوراثه الذين أخذوا الحکمة والعصمة والقطبية الباطينة، هم أهل بيته و خاصته و وراثه الذين أخذوا الحفظ و التلقين و القطبية الظاهرة الإرشادية، هم أصحابه الکبار کالخلفاء الأربعة و سائر العشرة، و وراثه الذين أخذوا العنايات الجزئية و التقوي و العلم، هم أصحابه الذين لحقوا بإحسان کأنس و أبي هريرة و غيرهم من المتأخرين، فهذه ثلاثة مراتب متفرعة من کمال خاتم الرسل صلی الله عليه وآله وسلم.

           “Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Wirasat Ke Hamilin Teen Tarh Kee Hain : Ek Woh Jinhone Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Hikmat-o Ismat Aur Qutbiyyate Baatini Ka Faiz Haasil Kiya, Woh Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ahle Bayt Aur Khawaas Hain. Doosra Tabqa Woh Hai Jinhone Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Hifz-o Talqeen Aur Rushd-o-Hidayat Se Muttasaf Qutbiyyat-e-Zaahiri Ka Faiz Haasil Kiya, Woh Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Kibaar Sahaba-e-Kiram Ridwanullahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Jaise Khulfa Aur Ashrah Mubashharah Hain. Teesra Tabqa Woh Hai Jinhone Inferaadi Inaayaat Aur Ilm-o-Taqwa Ka Faiz Haasil Kiya, Yeh Woh As’hab Hain Jo Ehsaan Ke Wasf Se Muttasaf Ho Ga’e, Jaise Hazrat Anas RadiyAllahu ‘Anhu Aur Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu ‘Anhu Aur Un Ke Ilawah Deegar Muta’akkhirin. Yeh Teeno’n Madarij Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Kamaal Khatime Risaalat Se Jaari Hu’e.”


[Shah Wali Allah Muhaddith Dihlawi, Al-Tafhimat-ul-Ilahiyyah, 02 : 08.]

           Waajeh Rahe Ki Yeh Taqsim Galba-e-Haal Aur Khusoosi Imtiyaj Kee Nishandehi Ke Li’e Hai, Warna Har Seh Aqsam Me Se Ko’i Bhi Doosri Qism Ke Khawaas Wa Kamaalaat Se Kulliyatan Khaali Nahin Hain,  Un Me Se Har Ek Ko Doosri Qism Ke Ko’i Na Ko’i Nisbat Ya Ishteraaq Haasil Hai :

۞ Saltanat Me Sayyidina Siddiqe Akbar RadiyAllahu ‘Anhu Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Khalifa Bila-Fasl Ya’ni Baraahe Raast Naa’ib Hu’e.

۞ Wilaaayat Me Sayyidina ‘Ali Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Khalifa Bila-Fasl Ya’ni Baraahe Raast Naa’ib Hu’e.

۞ Hidayat Me Jumla Sahaba-e-Kiram RadiyAllahu ‘Anhum Ajma’iyn Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Khulafa’ Bila-Fasl Ya’ni Baraahe Raast Naa’ib Hu’e.

           Is Ka Matlab Yeh Huwa Ki Khatme Naubuwwat Ke Ba’d Faizaane Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Daa’imi Tasalsul Ke Li’e Musataqal Mutaale’ Qaa’im Ho Ga’e :

۞Ek Matla’ Siyaasi Wirasat Ke Li’e

۞ Doosra Matla’ Roohani Wirasat Ke Li’e

۞Teesra Matla’ Ilmi Wa Amali Wirasat Ke Li’e

۞ Huzoor SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Siyaasi Wiraasat, Khlfaate Raashidah Ke Naam Se Mawsoom Hu’i.

۞ Huzoor SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Roohaani Wiraasat, Wilayat Wa Imaamat Ke Naam Se Mawsoom Hu’i.

۞ Huzoor SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ilmi Wa Amali Wiraasat, Hidaayat Wa Diyaanat Ke Naam Se Mawsoom Hu’i.

           Lehaaza Siyaasi Wiraasat Ke Farde Awwal Hazrat Aboo Bakr Siddiqe RadiyAllahu ‘Anhu Hu’e, Roohani Wirasat Ke Farde Awwal Hazrat ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Hu’e Aur Ilmi Wa Amali Wirasat Ke Awwalin Haamilin Jumla Sahaba-e-Kiram Ridwanullahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Hu’e. So Yeh Sab Waarisin Wa Haamilin Apne-Apne Daa’era Me Bila Fasl Khulafa’ Hu’e, Ek Ka Doosre Ke Saath Ko’i Tazaad Yaa Ta’aaruz Nahin Hai.

           Doosri Aham Baat Yeh Hai Ki Un Manaasib Kee Haqiqat Bhi Ek Doosre Se Kai Umoor Me Mukhtalif Hain :

1.     Khilafate Zaahiri Deene Islam Ka Siyasi Mansab Hai.
Khilafate Baatini Khaalisatan Roohani Mansab Hai.

2.     Khilafate Zaahiri Intekhaabi Wa Shooraa’i Amr Hai.
Khilafate Baatini Mahaz Wa’hbi Wa Ijtebaa’i Amr Hai.

3.     Khalifa-e-Zaahiri Ka Taqarrur Awaam Ke Chunaaw Se Amal Me Aata Hai.
Khalifa-e-Baatini Ka Taqarrur Khuda Ke Chunaaw Se Amal Me Aata Hai.

4.     Khalifa-e-Zaahiri Muntakhab Hota Hai.
Khalifa-e-Baatini Muntajab Hota Hai.

5.     Yahi Waj’h Hai Ki Pehle Khalifa-e-Raaashid Sayyidina Siddiqe Akbar RadiyAllahu ‘Anhu Ka Intekhaab Hazrate ’Umar Farooqe RadiyAllahu ‘Anhu Kee Tajweez Aur Raa’e Aamma Kee Aksariyati Taa’id Se Amal Me Aaya, Magar Pehle Imaame Wilayat Sayyidina ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Intekhab Me Kisi Kee Tajweez Matloob Hu’i Na Kisi Kee Taa’id.

6.     Khilafat Me ‘Jamhooriyyat’ Matloob Thi, Is Li’e Huzzor SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Is Ka E’laan Nahin Farmaya. Wilayat Me ‘Maamoriyyat’ Maqsood Thi, Is Li’e Huzoor SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Waadi-e-Ghadire Khum Ke Maqam Par Is Ka E’laan Farma Diya.

7.     Huzoor SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ummat Ke Li’e Khalifa Ka Intekhaab Awaam Kee Marzi Par Chhod Diya, Magar Wali Ka Intekhaab Allah Kee Marzi Se Khud Farmaya.

8.     Khilafat Zameeni Nizam Ke Sanwaarne Ke Li’e Qaa’im Hoti Hai.
Wilaayat Use Aasmaani Nizaam Ke Husn Se Nikhaarne Ke Li’e Qaa’im Hoti Hai.

9.     Khilafat Afraad Ko Aadil Banati Hai.
Wilayat Afraad Ko Kaamil Banaati Hai.

10.   Khilafat Ka Daa’iarah Farsh Tak Hai.
Wilayat Ka Daa’irah Arsh Tak Hai.

11.   Khilafat Takht Nasheeni Ke Baghair Mo’assir Nahin Hoti.
Wilayat Takht-o Saltanat Ke Baghair Bhi Mo’assir Hai.

12.   Ghaaliban Yahi Waj’h Hai Ki Khilafat Ummat Ke Supurd Hu’i.
Wilayat Itrat Ke Supurd Hu’i.

           Lehaaza Khilafat Se Mafarr Hai Na Wilayat Se, Kyun Ki Hazrat Sayyidina Aboo Bakr Siddiqe RadiyAllahu ‘Anhu Kee Khilaafat Bila-Fasl Ijma’-e-Sahaba Se Mun’aqid Hu’i Aur Tarikh Kee Shahdate Qat’i Se Saabit Hu’i Aur Hazrat Mawla ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Wilayat Bila-Fasl Khud Farmaane Mustafa SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Mun’aqid Hu’i Aur Ahadithe Mutawaatirah Kee Shahadate Qat’i Se Saabit Hu’i. Khilafat Ka Suboot Ijma’-e-Sahaba Hain Aur Wilayat Ka Suboot Farmaane Mustafa SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam. Jo Khilafat Ka Inkaar Karta Hai Woh Taarikh Aur Ijtema’ Ka Inkaar Karta Hai Aur Jo Imamat Aur Wilayat Ka Inkaar Karta Hai Woh E’laane Mustafa SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Inkaar Karta Hai. Zaroorat Is Amr Kee Hai Ki Dono’n institutions Kee Haqiqat Ko Samajh Kar Un Me Tatbeeq Paida Kee Jaa’e Naa Ki Tafreeq.

           Jaan Lena Chaahi’e Ki Jis Tarh Khilafate Zaahiri, Khulafa-e-Rashideen Se Shuru’ Hu’i Aur Us Ka Faiz Hasbe Haal Ummat Ke Saaleh Hukkaam Aur Aadil Umara’ Ko Muntaqil Hota Chala Gaya, Usi Tarh Khilafate Baatini Bhi Sayyidina ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Shuru’ Hu’i Aur Us Ka Faiz Hasbe Haal A’imma-e-At’hare Ahle Bayt Aur Ummat Ke Awliya’-e-Kaamilin Ko Muntaqil Hota Chala Gaya. Huzoor Faateh-o Khaatim SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne….. من كنت مولاه فهذا علي مولاه (Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Yeh ‘Ali Mawla Hai)…. Aur…. علي وليكم من بعدي (Mere Ba’d Tumhaara Wali ‘Ali Hai)…. Ke E’laane Aam Ke Zari’e Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Ummat Me Wilayat Ka Faatehe Awwal Qaraar De Diya.

           Baabe Wilaayat Me Shah Wali Allah Muhaddith Dihlawi Rahmatullahi Ta’ala Alayh Ke Alfaz Mulaahaza Ho’n :

۔    1. و فاتحِ اوّل ازین اُمت مرحومہ حضرت علی مرتضی است کرم اﷲ تعالیٰ وجھہ۔

           “Is Ummate Marhooma Me (Faatehe Awwal) Wilayat Ka Darwaza Sab Se Pehle Kholne Waale Fard Hazrat ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Hain.”

[Shah Wali Allah Muhaddith Dihlawi, Al-Tafhimat-ul-Ilahiyyah, 01 : 103]

۔     2. و سرِ حضرت امیر کرم اﷲ وجھہ در اولادِ کرام ایشان رضی اللہ عنہم سرایت کرد۔

            “Hazrat Amir KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Raaze Wilayat Aap Kee  Aulaade Kiram RadiyAllahu ‘Anhu Me Saraayat Kar Gaya.”

[Shah Wali Allah Muhaddith Dihlawi, Al-Tafhimat-ul-Ilahiyyah, 01 : 103]

۔ 3. چنانکہ کسی از اولیاء امت نیست الا بخاندانِ حضرت مرتضیٰ رضی اللہ عنہ مرتبط است بوجہی از وجوہ۔

           “Chunaanche Awliya’-e-Ummat Me Se Ek Bhi Aisa Nahin Jo Kisi Na Kisi Tauur Par Hazrat ‘Ali KarramAllahu      Ta’ala       Waj’hah-ul-Karim         Ke Khaandaani Imamat Se (Iqtisaabe Wilaayat Ke Li’e) Wabasta Na Ho.”

[Shah Wali Allah Muhaddith Dihlawi, Al-Tafhimat-ul-Ilahiyyah, 01 : 104]

 ۔4.  و از اُمتِ آنحضرت صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم اوّل کسیکہ فاتحِ بابِ جذب شدہ است، و دراں جا قدم نہادہ است حضرت امیر المؤمنین علی کرم اﷲ وجھہ، و لہٰذا سلاسلِ طُرُق بداں جانب راجع میشوند۔

           “Huzoor SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ummat Me Pehla Fard Jo Wilaayat Ke (Sab Se A’la Wa Aqwa Tareeq) Baabe Jazb Ka Faateh Bana Aur Jis Ne Is Maqame Bulandi Par (Pehla) Qadam Rakkha Woh Amir-ul-Mu’minin Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Zaate Giraami Hai, Isi Waj’h Se Roohaaniyyat Wa Wilayat Ke Mukhtalif Tareeqo’n Ke Salaasil Aap Hee Kee Taraf Rujoo’ Karte Hain”

[Shah Wali Allah Muhaddith Dihlawi, Hama’at, Safha-60.]

5.     Yahi Waj’h Hai Ki Shah Wali Allah Muhaddith Dihlawi Likhte Hain :

           “Ab Ummat Me Jise Bhi Bargaahe Risaalat SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Faize Wilayat Nasib Hota Hai Woh Ya To Nisbate ’Ali Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se  Nasib  Hota  Hai   Ya  Nisbate  Ghawth-ul-A’azam Jeelani RadiyAllahu ‘Anhu Se, Is Ke Baghair Ko’i Bhi Shakhs Martaba-e-Wilaayat Par Faa’iz Nahin Ho Sakta.”

[Shah Wali Allah Muhaddith Dihlawi, Hama’at, Safha-62.]

           Wazeh Rahe Ki Nisbate Ghawth-ul-‘Azam Jilani RadiyAllahu ‘Anhu Bhi Nisbate ‘Aliyy-ul-Murtaza Hee Ka Ek Baab Aur Isi Sham’a Kee Ek Kiran Hai.

6.     Is Nuqte Ko Shah Ismail Dehlwi Ne Bhi Ba-Saraahat Yu’n Likha Hai :

           “Hazrat ‘Ali Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Li’e Shaykhayn Par Bhi Ek Guna Fazilat Saabit Hai Aur Woh Fazilat Aap Ke Farmabardaaro’n Ka Ziyadah Hona Aur Maqamaate Wilaayat Balki Qutbiyyat Aur Ghauthiyyat Aur Abdaaliyyat Aur Inhi Jaise Baaqi Khidmaat “Aap Ke Zamaane Se Le Kar Dunya Ke Khatm Hone Tak” Aap Hee Kee Wasaatat Se Hona Hai Aur Badshaho’n Kee Badshahat Aur Amiro’n Kee Imaarat Me Aap Ko Woh Dakhl Hai Jo Aalame Malakoot Kee Sair Karne Waalo’n Par Makhfi Nahin. …….. Ahle Wilayat Ke Aksar Silsile Bhi Janaabe Murtaza RadiyAllahu ‘Anhu Hee Kee Taraf Mansoob Hain, Pas Qiyaamat Ke Din Bohat Farmabardaro’n Kee Waj’h Se Jin Me Aksar Badi-Badi Shaano’n Waale Aur Umda Martabe Waale Honge, Hazrate Murtaza RadiyAllahu ‘Anhu Ka Lashkar Is Rounaq Aur Buzurgi Se Dikhaa’i Dega Ki Us Maqaam Ka Tamasha Dekhne Waalo’n Ke Li’e Yeh Amr Nihaayat Hee Ta’ajjub Ka Baa’is Hoga”

[Shah Isma’il Dehlwi, Sirati Mustaqim, 67.]

           Yeh Faize Wilaayat Ki Ummate Muhaamadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Jis Ke Manba’-o Sar-Chasma-e Sayyidina ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Muqarrar Hu’e Us Me Sayyida-e-Kaa’enat Hazrat Fatimat-uz-Zahra’ Salamu Allah  ‘Alayha Aur Hazrat Hasanayn Karimayn ‘Alayhim-us-Salam Bhi Aap RadiyAllahu ‘Anhu Ke Saath Shariq Ki’e Ga’e Hain, Aur Phir Un Kee Wasaatat Se Yeh Silsila-e-Wilayate Kubra Aur Ghauthiyyate Uzma Un Barah-12 A’imma-e-Ahle Bayt Me Tarteeb Se Chalaaya Gaya Jin Ke Aakhiri Fard Sayyidina Imaam Muhammad Mahdi ‘Alayh-is-Salam Hain. Jis Tarh Sayyidina Mawla ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ummate Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Faatehe Wilaayat Ke Darje Par Faa’iz Hu’e, Usi Tarh  Sayyidina  Imaam  Mahdi  ‘Alayh-is-Salam  Ummate Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Khaatime Wilaayat Ke Darje Par Faa’iz Honge.

7.     Is Mawzoo’ Par Hazrat Mujaddide Alfe Thani Shaykh Ahmad Sarhandi Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Kee Tehqiq Mulaahaza Farmaein :

و راہی است کہ بقربِ ولایت تعلق دارد : اقطاب و اوتاد و بدلا و نجباء و عامۂ اولیاء اﷲ، بہمین راہ واصل اندراہ سلوک عبارت ازین راہ است بلکہ جذبۂ متعارفہ، نیز داخل ہمین است و توسط و حیلولت درین راہ کائن است و پیشوای، و اصلان این راہ و سرگروہ اینھا و منبع فیض این بزرگواران : حضرت علی مرتضی است کرم اﷲ تعالے وجھہ الکریم، و این منصب عظیم الشان بایشان تعلق دارد درینمقام گوئیا ہر دو قدم مبارک آنسرور علیہ و علی آلہ الصلوۃ و السلام برفرق مبارک اوست کرم اﷲ تعالی وجھہ حضرت فاطمہ و حضرات حسنین رضی اللہ عنہم درینمقام با ایشان شریکند، انکارم کہ حضرت امیر قبل از نشاء ہ عنصرے نیز ملاذ این مقام بودہ اند، چنانچہ بعد از نشاءہ عنصرے و ہرکرا فیض و ہدایت ازین راہ میر سید بتوسط ایشان میر سید چہ ایشان نزد ن۔ قطہ منتھائے این راہ و مرکز این مقام بایشان تعلق دارد، و چون دورہ حضرت امیر تمام شُد این منصب عظیم القدر بحضرات حسنین ترتیبا مفوض و مسلم گشت، و بعد از ایشان بہریکے از ائمہ اثنا عشر علے الترتیب و التفصیل قرار گرفت و در اعصاراین بزرگواران و ہمچنیں بعد از ارتحال ایشان ہر کرا فیض و ہدایت میرسید بتوسط این بزرگواران بودہ و بحیلولۃ ایشانان ہرچند اقطاب و نجبای وقت بودہ باشند و ملاذ وملجاء ہمہ ایشان بودہ اند چہ اطراف را غیر از لحوق بمرکز چارہ نیست۔ 

           “Aur Ek Raah Woh Hai Jo Qurbe Wilaayat Se Ta’alluq Rakhti Hai : Aqtaab-o Awtaad Aur Badala Aur Nujaba’ Aur Aam Awliya’ Allah Isi Raah Se Waasil Hain, Aur Raahe Sulooq Isi Raah Se Ibaarat Hai, Balki Muta’arif Jazba Bhi Isi Me Daakhil Hai, Aur Is Raah Me Tawassut Saabit Hai Aur Is Raah Ke Waasileen Ke Peshwa Aur Un Ke Sardaar Aur Un Ke Buzurgo’n Ke Manba’-e-Faiz Hazrat ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Hain, Aur Yeh Azim-us-Shan Mansab Un Se Ta’alluq Rakhta Hai. Is Raah Me Goya RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Dono’n Qadame Mubarak Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Mubarak Sar Par Hain Aur Hazrat Fatiamh Salamu Allah  ‘Alayha Aur Hazrat Hasanayn Karimayn ‘Alayhim-us-Salam Is Maqaam Me Un Ke Saath Shariq Hain. Mein Yeh Samjhta Hoo’n Ki Hazrat Amir RadiyAllahu ‘Anhu Apni   Jasadi  Paida’ish  Se  Pehle  Bhi  Is  Maqam  Ke Malja-o Manba They, Jaisa Ki Aap RadiyAllahu ‘Anhu Jasadi Paida’ish Ke Ba’d Hain Aur Jise Bhi Faiz-o Hidaayat Is Raah Se Pahonchi Un Ke Zari’e Se Pahonchi, Kyun Ki Woh Is Raah Ke Aakhiri Nuqta Ke Nazdeek Hain Aur Is Maqaam Ka Markaz Un Se Ta’alluq Rakhta Hai, Aur Jab Hazrat Amir RadiyAllahu ‘Anhu Ka Daur Khatm Huwa To Yeh Azim-ul-Qadr Mansab Tarteebwaar Hazrat Hasanayn Karimayn RadiyAllahu ‘Anhuma Ko Supurd Huwa Aur Un Ke Ba’d Wohi Mansab A’imma-e-Ithna ‘Ashrah Me Se Har Ek Ko Tarteebwaar Aur Tafsil Se Tafweez Huwa, Aur Un Buzurgo’n Ke Zamane Me Aur Isi Tarh Un Ke Inteqaal Ke Ba’d Jis Kisi Ko Bhi Faiz-o-Hidayat Pahonchi Hai Unhi Buzurgo’n Ke Zari’e Pahonchi Hai, Agarche Aqtaab-o Nujba’-e-Waqt Hee Kyun Na Ho’n Aur Sab Ke Malja-o Maawa Yahi Buzurg Hain Kyun Ki Atraaf Ko Apne Markaz Ke Saath Ilhaaq Ki’e Baghair Chaarah Nahin Hai.”


[Imam Rabbani Mujaddide Alfe Thani, Maktoobat, 03 : 251, 252, Maktoob Number : 123.]

           Hazrat Mujaddide Alfe Thani Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Farmaate Hain Ki Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Bhi Kaare Wilayat Me Hazrat ‘Ali Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Shariq Honge.

[Imam Rabbani Mujaddide Alfe Thani, Maktoobat, 03 : 251, 252, Maktoob Number : 123.]

           Khulasae Kalam Yeh Huwa Ki Maqaame Ghadire Khum Par Wilaayate ’Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Mazmoon Par Mushtamil E’laane Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Is Haqiqat Ko Abad Al-Aabaad Tak Ke Li’e Saabit Wa Zaahir Kar Diya Ki Wilayate ’Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Dar Haqiqat Wilaayate Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hee Hai. Be’sate Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ba’d Nubuwwat-o Risaalat Ka Baab Hamesha-Hamesha Ke Li’e Band Kar Diya Gaya, Lehaaza Ta-Qiyamat Faize Nubuwwate Muhaamadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ijara’ Wa Tasalsul Ke Li’e Baari Ta’ala Ne Ummat Me Naye Darwaaze Aur Raaste Khol Di’e Jin Me Kuchh Ko Martaba-e-Zaahir Se Nawaza Gaya Aur Kuchh Ko Martaba-e-Baatin Se. Martaba-e-Baatin Ka Haamil Raasta ‘Wilayat’ Qarar Paaya, Aur Ummate Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Wilayate Uzma Ke Haamil Sab Se Pehle Imame Bar-Haqq Mawla ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Muqarrar Hu’e. Phir Wilayat Ka Silsila Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ki Ahle Bayt Aur Aale At’har Me A’imma-e-Ithna ‘Ashr(Barah Imamo’n) Me Jaari Kiya Gaya. Har-Chand In Ke Ilawaah Bhi Hazaaraha Nufoose Qudsiyya Har Zamaane Me Martaba-e-Wilayat Se Bahra-Yaab Hote Rahe, Qutbiyyat-o Ghauthiyyat Ke A’ala-o Arfa’ Maqamaat Par Faa’iz Hote Rahe, Ahle Jaha’n Ko Anwaare Wilaayat Se Munawwar Karte Rahe Aur Karodo’n Insano’n Ko Har Sadi Me Zulmat-o Dalaalat Se Nikaal Kar Noore Baatin Se Humkinaar Karte Rahe, Magar Un Sab Ka Faiz Sayyidina ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Baargaahe Wilayat Se Bil-Waasta Ya Bila-Waasta Maakhooz-o Mustafaad Tha. Wilaayate ’Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Ko’i Bhi Be-Niyaaz Aur Aazaad Na Tha. Yahi Silsila Qiyaamat Tak Jaari Rahega Taa’n Ki Ummate Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Aakhiri Imaame Bar-Haqq Aur Markaze Wilaayat Ka Zahoor Hoga. Yeh Sayyidina Imam Muhammad Mahdi ‘Alayh-is-Salam Honge Jo Barahwe’n Imam Bhi Honge Aur Aakhiri Khalifa Bhi. Un Kee Zaate Aqdas Me Zaahir-o Baatin Ke Dono’n Raaste Jo Pehle Juda They Mujtama’ Kar Di’e Jaa’enge. Yeh Haamile Wilaayat Bhi Honge Aur Waarise Khilaafat Bhi, Wilayat Aur Khilaafat Ke Dono’n Martabe Un Par Khatm Kar Di’e Jaa’enge. So Jo Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Ka Munkir Hoga Woh Deen Kee Zaahiri-o Baatini Dono’n Khilafato’n Ka Munkir Hoga.

           Yeh Mazhariyyate Muhammadi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Inteha Hogi, Is Li’e Un Ka Naam Bhi ‘Muhammad’ Hoga Aur Un Ka ‘Khalq’ Bhi Muhammadi (SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Hoga, Taa Ki Dunya Ko Ma’loom Ho Jaa’e Ki Yeh ‘Imaam’ Faizaane Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Zaahir-o Baatin Dono’n Wirasato’n Ka Ameen Hai. Is Li’e Huzoor SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jo Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Kee Takzeeb Karega Woh Kafir Ho Jaaega.”

           Us Waqt Rooe Zameen Ke Tamaam Awliya’ Ka Marje’ Aap ‘Alayh-is-Salam Honge Aur Ummate Muhammadi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Imaam Hone Ke Baa’is Sayyidina Isa ‘Alayh-is-Salam Bhi Aap ‘Alayh-is-Salam Kee Iqtida’ Me Namaaz Ada Farma’enge Aur Isi Tarh Ahle Jaha’n Me Aap ‘Alayh-is-Salam Kee Imamat Ka E’laan Farma’enge.

           So Ham Sab Ko Jaan Lena Chahi’e Ki Hazrat Mawla ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aur Hazrat Mahdi Alal Ard Wa’s-Sama’ ‘Alayh-is-Salam..…Baap Aur Beta Dono’n…..Allah Ke Wali Aur RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Wasi Hain. Inhe’n Taslim Karna Har Saahibe Imaan Par Waajib Hai.

           Baari Ta’ala Hame’n In Azeem Manaabe’-e Wilayat Se Iktisaabe Faiz Kee Taufiq Marhamat Farmaein. (Aameen Bijaahi Sayyid-il-Mursaleen SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam)

      Yake Az Gulamane Ahle Bayt

      Muhammad Tahir-ul-Qadri 

18 Dhu-‘l-Hijjah, 1422 Hijri

[Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 07_18.]

Posted in Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar

Hazrat Mahdi ‘Alayh-is-Salam Imame Bar-Haqq Aur Banu Fatimah Se Hain

Pehli Fasl

Hazrat Mahdi ‘Alayh-is-Salam Imame Bar-Haqq Aur Banu Fatimah Se Hain

١.       عن أم سلمة رضی اﷲ عنها زوج النبی صلی الله عليه وآله وسلم قالت : سمعتُ رسول اﷲ صلی الله عليه وآله وسلم يذکر المهدي، فقال : هو حق و هو من بني فاطمة رضي اﷲ عنها.

رواه الحاکم في المستدرک من طريق علي بن نفيل عن سعيد بن المسيب عن ام سلمة و سکت ايضا عنه الامام الذهبي و اورده النواب صديق حسن خان القنوجي في الاذاعة و قال صحيح

01.      Umm Al-Mu’minin Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu ‘Anha Riwayat Karti Hain Ki Mein Ne RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko (Imam) Mahdi Ka Zikr Karte Hu’e Suna Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Mahdi Haqq Hai. (Ya’ni Un Ka Zahoor Bar-Haqq Aur Saabit Hai) Aur Woh Sayyidah Fatimat-uz-Zahra’ RadiyAllahu ‘Anha Kee Aulaad Se Honge.

[Hakim, Al-Mustadrak, 04 : 600, Raqm : 8671,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 19.]

٢.      عن انس بن مالک رضي الله عنه قال سمعت رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم يقول نحن ولد عبدالمطلب سادة اهل الجنة انا و حمزة و علي و جعفر و الحسن و الحسين و المهدي.

02.      Hazrat Anas RadiyAllahu ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Khud Farmate Suna Hai Ki Ham Abd-ul-Muttalib Kee Aulaad Ahle Jannat Ke Sardaar Honge. Ya’ni Mein Hamzah, Ali, Ja’far, Hasan, Husayn Aur Mahdi RadiyAllahu ‘Anhum Ajm’in.

[Ibn Majah, Al-Sunan, 02 : 1368, Raqm : 4087,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 19.]

.٣.      عن ام سلمة رضي اﷲ عنها قالت ذکررسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم المهدي و هو من ولد فاطمة

03.      Umm Al-Mu’minin Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu ‘Anha Bayan Karti Hain Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Mahdi Ka Tazkira Farmaya (Aur Us Me Farmaya Ki) Woh Fatimah RadiyAllahu ‘Anha Kee Aulaad Se Honge.

[Hakim, Al-Mustadrak, 04 : 601, Raqm : 8672,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 20.]

٤.      عن عائشه رضي اﷲ عنها عن النبي صلي الله عليه وآله وسلم : قال هو رجل من عترتي، يقاتل علي سنتي کما قاتلت أنا علي الوحي.

04.      Umm Al-Mu’minin Hazrat A’ishah Siddiqah RadiyAllahu ‘Anha Huzoor SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Farmaati Hain Ki Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya “Mahdi Meri Itrat(Ahle Bayt) Se Honge, Jo Meri Sunnat (Ke Qiyaam) Ke Li’e Jang Karenge, Jis Tarh Mein Ne Wahyi-e Ilaahi (Kee Itteba’) Me Jang Kee.

[Nu’aym Bin Hammad, Al-Fitan, 01 : 371, Raqm : 1092,

Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 74,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 20.]

٥.      عن ابي امامة رضي الله عنه مرفوعا قال سيکون بينکم و بين الروم اربع هدن تقوم الرابعة علي يد رجل من آل هرقل يدوم سبع سنين قيل يا رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم من امام الناس يومئذ قال من ولدي ابن اربعين سنة کان وجهه کوکب دري في خده الا يمن خال اسود عليه عباء تان قطوانيتان کأنه من رجال بني اسرائيل يملک عشر سنين يستخرج الکنوز و يفتح مدائن الشرک.

05.      Aboo Umamah RadiyAllahu ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Ki Tumhaare Aur Rom Ke Darmiyaan Chaar Martaba Sulh Hogi. Chauthi Sulh Aise Shakhs Ke Haath Par Hogi Jo Aale Hiraql Se Hoga Aur Yeh Sulh Saat Saal Tak Baraabar Qaa’im Rahegi. RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Poochha Gaya Ki Us Waqt Musalmano’n Ka Imam Kaun Shakhs Hoga? Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Woh Shakhs Meri Aulad Me Se Hoga Jis Kee Umr Chaalis Saal Kee Hogi. Us Ka Chehra Sitaare Kee Tarh Chamakdaar, Us Ke Daa’e’n Rukhsaar Psr Siyaah Til Hoga, Aur Do Qatwaani Abaa’e’n Pehne Hoga, Bilkul Aisa Ma’loom Hoga Jaisa Bani Isra’il Ka Shakhs, Woh Das Saal Hukoomat Karega, Zameen Se Khazaano’n Ko Nikaalga Aur Mushrikin Ke Shehro’n Ko Fateh Karega.

[Tabarani, Al-Mu’jam Al-Kabir, 08 : 101, Raqm : 7495,

Haythami, Majma’ Al-Zawa’id, 07 : 319,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 20_21.]

.‘‘٦.      عن ابن مسعود رضي الله عنه عن النبي صلي الله عليه وآله وسلم قال : ’’اسم المهدي محمد

06.      Hazrat Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu ‘Anhu Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Farmate Hain Ki Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Irshaad Farmaya “(Imam) Mahdi Ka Naam Muhammad Hoga.”

[Tabarani, Al-Musnad Al-Shamiyyin, 02 : 410, Raqm : 1600,

Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 73,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 21.]

Posted in Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar

Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Ka Daure Khilafat Aa’e Baghair Qiyamat Bapa Nahin Hogi

Doosri Fasl

Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Ka Daure Khilafat Aa’e Baghair Qiyamat Bapa Nahin Hogi

١.       قال الامام الحافظ ابو عيسي محمد بن عيسي بن سورة الترمذي رحمة اﷲ تعالي في جامعه

حدثنا عبيد بن اسباط بن محمد ن القرشي نا ابي ناسفيان الثوري عن عاصم بن بهدلة عن زر عن عبداﷲ رضي الله عنه قال قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم لا تذهب الدنيا حتي يملک العرب رجل من اهل بيتي يواطي اسمه اسمي.

و في الباب عن علي و ابي سعيد و ام سلمة و ابي هريرة رضي الله عنه

01.      Imam Hafiz Aboo Isa Muhammad Bin Isa Bin Sawrah Tirmidhi Rahmatullahi ‘Alayh Apni Kitab “Jami’ Tirmidhi” Me Farmate Hain:

            Hazrat Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Dunya Us Waqt Tak Khatm Na Hogi Yaha’n Tak Ki Mere Ahle Bayt Me Se Ek Shakhs Arab Ka Baadshaah Ho Jaa’e Jis Ka Naam Mere Naam Ke Mutaabiq (Ya’ni Muhammad Hoga).

[Tirmidhi, Al-Jami Al-Sahih, 04 : 505, Raqm : 2230,

Bazzar, Al-Musnad, 05 : 204, Raqm : 1803,

Hakim, Al-Mustadrak, 04 : 488, Raqm : 8364,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 22.]

٢.      عن عبداﷲ رضي الله عنه عن النبي صلي الله عليه وآله وسلم قال يلي رجل من اهل بيتي يواطي اسمه اسمي قال عاصم و حدثنا ابو صالح عن ابي هريرة رضي الله عنه لو لم يبق من الدنيا الا يوما لطول اﷲ ذالک اليوم حتي يلي. هذا حديث حسن صحيح

02.      Hazrat Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Mere Ahle Bayt Se Ek Shakhs Khalifa Hoga Jis Ka Naam Mere Naam Ke Muwaafiq Hoga. Hazray Aboo Hurayrah RadiyAllahu ‘Anhu Se Marwi Hai Ek Riwaayat Me Hai Ki Agar Dunya Ka Ek Hee Din Baaqi Reh Jaa’ega To Bhi Allah Ta’ala Usi Ek Din Ko Itna Daraaz Farma Dega Yaha’n Tak Ki Woh Shakhs (Ya’ni Mahdi ‘Alayh-is-Salam) Khalifa Ho Jaa’ega.

[Tirmidhi, Al-Jami Al-Sahih, 04 : 505, Raqm : 2231,

Ahmad Bin Hanbal, Al-Musnad, 01 : 376, Raqm : 3571,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 22_23.]

.٣.      عن ام سلمة رضي اﷲ عنها قالت سمعت رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم يقول المهدي من عترتي من ولد فاطمة

03.      Ummi Al-Mu’minin Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu ‘Anha Farmati Hain, Mein Ne RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmaate Hu’e Suna ki Mahdi Meri Nasl Aur Fatimah (RadiyAllahu ‘Anha) Kee Aulad Se Hoga.

[Aboo Dawud, Al-Sunan, 04 : 107, Raqm : 4284,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 23.]

٤.      عن ابي نضرة قال کنا عند جابر بن عبداﷲ رضي اﷲ عنهما فقال يوشک اهل الشام ان لا يجبي اليهم دينار ولا مدي قلنا من اين ذالک قال من قبل الروم ثم أسکت هنية ثم قال قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم يکون في آخر امتي خليفة يحثي المال حثيا ولا يعده عدا قال قلت لابي نضرة و ابي العلاء أتريان انه عمر بن عبدالعزيز فقالا لا.

04.      Aboo Nadrah Taabe’i Bayan Karte Hain Ki Hazrat Jabir Bin Abd Allah RadiyAllahu ‘Anhuma Kee Khidmat They Ki Unhone Farmaya: Qarib Hai Ki Woh Waqt Jab Ahle Shaam Ke Paas Na Dinaar Laa’e Ja Sakenge Aur Na Hee Ghalla, Ham Ne Poochha Yeh Bandish Kin Logo’n Kee Jaanib Se Hogi? Hazrat Jabir RadiyAllahu ‘Anhu Ne Farmaya: Roomiyo’n Kee Taraf Se. Phir Thodi Der Khaamosh Reh Kar Farmaya: RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Irshaaad Hai: Meri Ummat Ke Aakhiri Daur Me Ek Khalifa Hoga (Ya’ni Khalifa Mahdi) Jo Maal Labaalab Bhar-Bhar Ke Dega, Aur Use Shumaar Nahin Karega.

                        Is Hadith Ke Raawi Al-Jurayri Kehte Hain Ki Mein Ne (Apne Shaykh) Aboo Nadrah Aur Aboo Al-‘Ala’ Se Daryaaft Kiya. Kya Aap Hazaraat Kee Raa’e Me Hadithe Paak Me Mazkoora Khalifa Hazrat Umar Bin Abd-ul-Aziz Hain? To Un Dono’n Hazaraat Ne Farmaaya: Nahin, Yeh Khalifa, Hazrat Umar Bin Abd-ul-Aziz Ke Ilaawah Honge.

[Muslim, Al-Sahih, 04 : 2234, Raqm : 2913,

Ahmad Bin Hanbal, Al-Musnad, 03 : 317, Raqm : 1446,

Ibn Hibban, Al-Sahih, 15 : 75, Raqm : 6682,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 23_24.]

٥.      عن ابي سعيد نالخدري رضي الله عنه قال قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم لا تقوم الساعة حتي تملأ الارض ظلما و جورا و عدوانا ثم يخرج من اهل بيتي من يملأها قسطا و عدلا.

قال ابو عبداﷲ رحمة اﷲ عليه صحيح علي شرطهما و وافقه الذهبي

05.      Hazrat Aboo Sa’id Khudri RadiyAllahu ‘Anhu Se Marwi Hai Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Qiyamay Qaa’im Nahin Hogi Yaha’n Tak Ki Zameen Zulm-o Jor Aur Sarkashi Se Bhar Jaa’egi, Ba’d Aza’n Mere Ahle Bayt Se Ek Shakhs (Mahdi) Paida Hoga Jo Zameen Ko Adal-o Insaaf Se Bhar Dega. (Matlab Yeh Hai Ki Khalifa-e Mahdi Ke Zahoor Se Pehle Qiyaamat Nahin Aa’egi).

[Hakim, Al-Mustadrak, 04 : 600, Raqm : 8669,

Haythami, Mawarid Al-Zam’an, 01 : 464, Raqm : 1880,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 24_25.]

٦.      عن ابي سعيد نالخدري رضي الله عنه قال قال رسولا المهدي منا اهل البيت اشم الأنف اقني اجلي يملأ الارض قسطا و عدلا کما ملئت جورا و ظلما يعيش هکذا و بسط يساره و اصبعين من يمينه المسبحة والابهام و عقد ثلاثة.

قال ابو عبداﷲ الحاکم صحيح علي شرط مسلم

06.      Hazrat Aboo Sa’id Khudri RadiyAllahu ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Mahdi Meri Nasl Se Honge. Un Kee Naak Sutwaa’n Wa Buland Aur Peshaani Raushan Aur Nooraani Hogi. Zameen Ko Adal-o Insaaf Se Bhar Denge Jis Tarh (Is Se Pehle Woh) Zulm-o Ziyaadati Se Bhar Ga’i Hogi Aur Ungliyo’n Par Shumaar Kar Ke Bataaya Ki (Woh Khilaafat Ke Ba’d) Saat Saal Tak Zinda Rahenge.

[Hakim, Al-Mustadrak, 04 : 600, Raqm : 8670,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 25.]

٧.      عن علي رضي الله عنه عن النبي صلي الله عليه وآله وسلم قال لو لم يبق من الدهر الا يوم لبعث اﷲ رجلا من اهل بيتي يملأ هاعدلا کما ملئت جورا.

رجال هذا السند کلهم رجال الصحاح الستة غير فطر فانه من رواة البخاري والأربعة خلا مسلم.

07.      Hazrat Ali RadiyAllahu ‘Anhu Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwaayat Karte Hain Ki Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Agar Dunya Ka Sirf Ek Din Baaqi Reh Jaa’ega (To Allah Ta’ala Usi Ko Daraaz Farma Dega Aur) Mere Ahle Bayt Me Se Ek Shakhs (Mahdi) Ko Paida Farma’ega. Jo Dunya Ko Adal-o Insaaf Se Bhar Denge Jis Tarh Woh (Un Se Pehle) Zulm Se Bhari Hogi.

[Aboo Dawud, Al-Sunan, 04 : 107, Raqm : 4283,

Ibn Abi Shaybah, Al-Musannaf, 07 : 513, Raqm : 37648,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 25_26.]

Posted in Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar

Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Zameen Par Mu’ashi Adal Ka Woh Nizam Naafiz Farma’enge Ki Ahle Arz-o Sama’ Sab Khush Honge

Teesri Fasl

Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Zameen Par Mu’ashi Adal Ka Woh Nizam Naafiz Farma’enge Ki Ahle Arz-o Sama’ Sab Khush Honge

١.       عن ابي سعيد نالخدري رضي الله عنه قال قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم المهدي مني اجلي الجبهة اقني الانف يملأ الارض قسطا و عدلا کما ملئت ظلما و جورا و يملک سبع سنين.

01.      Hazrat Aboo Sa’id Khudri RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Mahdi Mujh Se Honge (Ya’ni Meri Nasl Se Honge) Un Ka Chehra Khoob Nooraani, Chamakdaar Aur Naak Sutwaa’n Wa Buland Hogi. Zameen Ko Adal-o Insaaf Se Bhar Denge, Jis Tarh Pehle Woh Zulm-o Jor Se Bhari Hogi. (Matlab Yeh Hai Ki Mahdi Kee Khilaafat Se Pehle Dunya Me Zulm-o Ziyaadati Kee Hukmaraani Hogi Aur Adal-o Insaaf Ka Naam-o Nishaan Tak Na Hoga.)

[Aboo Dawud, Al-Sunan, 04 : 107, Raqm : 4285,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 27.]

٢.      عن ابي سعيد نالخدري رضي الله عنه ان رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم قال تملأ الارض جورا و ظلما فيخرج رجل من عترتي فيملک سبعا او تسعا فيملأ الأرض عدلا و قسطا کما ملئت جورا و ظلما.

قال ابو عبداﷲ هذا حديث صحيح علي شرط مسلم ولم يخرجاه

02.      Hazrat Aboo Sa’id Khudri RadiyAllahu ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya (Aakhiri Zamaana Me) Zameen Jor-o Zulm Se Bhar Jaa’egi To Meri Aulaad Se Ek Shakhs Paida Hoga Aur Saat Saal Ya Nau Saal Khilaafat Karega (Aur Apne Zamaana-e Khilaafat Me) Zameen Ko Adal-o Insaaf Se Bhar Dega Jis Tarh Us Se Pehle Woh Jor-o Zulm Se Bhar Ga’i Hogi.

[Ahmad Bin Hanbal, Al-Musnad, 03 : 70, Raqm : 11683,

Hakim, Al-Mustadrak, 04 : 601, Raqm : 8674,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 27_28.]

٣.      عن ابي سعيد رضي الله عنه قال ذکر رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم بلاء يصيب هذه الامة حتي لا يجد الرجل ملجأ يلجأ اليه من الظلم فيبعث اﷲ رجلا من عترتي و اهل بيتي فيملأ به الارض قسطا کما ملئت ظلما و جورا يرضي عنه ساکن السماء و ساکن الارض لاتدع السماء من قطرها شيئا الا صبته مدرارا ولا تدع الارض من ماء ها شيئا الا اخرجته حتي تتمني الاحياء الاموات يعيش في ذالک سبع سنين او ثمان سنين او تسع سنين.

03.      Hazrat Aboo Sa’id Khudri RadiyAllahu ‘Anhu Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ek Badi Aazma’ish Ka Zikr Farmaya Jo Is Ummat Ko Pesh Aane Waali Hai. Ek Zamaane Me Itna Shadeed Zulm Hoga Ki Kahi’n Panaah Kee Jagah Na Milegi. Us Waqt Allah Ta’ala Meri Aulaad Me Ek Shakhs Ko Paida Farma’ega Jo Zameen Ko Adal-o Insaaf Se Phir Waisa Hee Bhar Dega Jaisa Woh Pehle Julm-o Jor Se Bhar Chuki Hogi. Zameen Aur Aasmaan Ke Rehne Waale Sab Un Se Raazi Honge, Aasmaan Apni Tamaam Baarish Mooslaadhaar Barsaa’ega Aur Zameen Apni Sab Paidaawaar Nikaal Kar Rakh Degi Yaha’n Tak Ki Zinda Logo’n Ko Tamanna Hogi Ki Un Se Pehle Jo Log Tangi-o Zulm Kee Haalat Me Guzar Ga’e Hain Kaash Woh Is Samaa’n Ko Dekhte Isi Barkat Ke Haal Par Woh Saat Ya Aath Ya Nau Saal Tak Zinda Rahenge.

[Hakim, Al-Mustadrak, 04 : 512, Raqm : 8438,

Ma’mar Bin Rashid Al-Azdi, Al-Jami’, 11 : 371,

Nu’aym Bin Hammad, Al-Fitan, 01 : 258, Raqm : 1038,

Aboo Amr Al-Dani, Al-Sunan Al-Waridah Fi Al-Fitan, 05 : 1049, Raqm : 564,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 28.]

٤.      عن ابن مسعود رضي الله عنه قال : قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم : لو لم يبق من الدنيا إلا ليلة لطول اﷲ تلک ليلة حتي يملک رجل من أهل بيتي يواطي، اسمه اسمي وا سم أبيه اسم أبي، يملؤها قسطا وعدلا کما ملئت ظلماً و جوراً، ويقسم المال بالسوية، ويجعل اﷲ الغني في قلوب هذه الأمة، فيمکث سبعا أو تسعا، ثم لا خير في عيش الحياة بعد المهدي.

04.       Hazrat Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Irshaad Farmaaya “Agar Dunya (Ke Zamaana) Me Sirf Ek Raat Hee Baaqi Rah Ga’i To Bhi Allah Rabbul Izzat Us Raat Ko  Lamba Farma Dega Yahaa’n Tak Ki Meri Ahle Bayt Me Se Ek Shakhs Baadshaah Banega Jis Ka Naam Mere Naam Aur Jis Ke Waalid Ka Naam Mere Waalid Ke Naam Jaisa Hoga. Woh Zameen Ko Insaaf Aur Adal Se Labrez Kar Denge Jis Tarh Woh Zulm-o Ziyaadati Se Bhati Hu’i Thi Aur Woh Maal Ko Baraabar Taqsim Karenge Aur Allah Rabbul Izzat Is Ummat Ke Dilo’n Me Ghina Rakh(Paida Farma) Dega. Woh Saat Ya Nau Saal (Tashrif Farma) Rahenge. Phir Mahdi Ke (Zamaane Ke) Ba’d Zindagi Me Ko’i Khair (Bhalaa’i) Baaqi Nahin Rahegi.

[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 64,

Tabarani, Al-Mu’jam Al-Kabir, 10 : 133, Raqm : 10612,

Tabarani, Al-Mu’jam Al-Kabir, 10 : 135, 1034,

Aboo Amr Al-Dani, Al-Sunan Al-Waridah Fi Al-Fitan, 05 : 1055, Raqm : 572,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 29.]

Posted in Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar

Tamam Awliya’ Abdaal Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Ke Daste Aqdas Par Bay’at Karenge

Chauthi Fasl

Tamam Awliya’ Abdaal Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Ke Daste Aqdas Par Bay’at Karenge

١.       عن ام سلمة رضي اﷲ عنها قالت قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم يبايع رجل من امتي بين الرکن والمقام کعدة اهل بدر فياتيه عصب العراق و ابدال الشام.

01. Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu ‘Anha Riwayat Karti Hain Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya, Meri Ummat Ke Ek Shakhs (Mahdi) Se Rukne Hajre Aswad Aur Maqaame Ibrahim Ke Darmiyaan Ahle Badr Kee Ta’daad Ke Misl (Ya’ni 313) Afraad Bay’ate Khilafat Karenge. Ba’d Azaa’n Us Imam Ke Paas Iraq Ke Awliya’ Aur Sham Ke Abdaal (Bay’at Ke Li’e) Aa’enge.

[Hakim, Al-Mustadrak, 04 : 478, Raqm : 8328,

Ibn Abi Shaybah, Al-Musannaf, 07 : 460, Raqm : 37223,

Munawi, Fayd Al-Qadir, 06 : 277,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 30.]

٢.      عن ام سلمة رضي اﷲ عنها زوج النبي صلي الله عليه وآله وسلم قال يکون اختلاف عند موت خليفة فيخرج رجل من اهل المدينة هاربا الي مکة فياتيه ناس من اهل مکة فيخرجونه و هو کاره فيبايعونه بين الرکن والمقام و يبعث اليه بعث من الشام فيخسف بهم بالبيداء بين مکة والمدينة فاذا رأي الناس ذالک اتاه ابدال الشام و عصائب اهل العراق فيبايعونه ثم ينشؤ رجل من قريش اخواله کلب فيبعث اليهم بعثا فيظهرون عليهم و ذالک کلب والخيبة لمن لم يشهد غنيمة کلب فيقسم المال و يعمل في الناس بسنة نبيها و يلقي الاسلام بجرانه الي الارض فيلبث سبع سنين ثم يتوفي و يصلي عليه المسلمون.

.قال ابو داؤد و قال بعضهم عن هشام تسع سنين و قال بعضهم سبع سنين

02. Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu ‘Anha RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Irshaad Naql Karti Hain Ki Ek Khalifa Kee Wafaat Ke Waqt (Na’e Khalifa Ke Intekhaab Par Madinah Ke Musalmanon Me) Ikhtelaaf Hoga Ek Shakhs (Ya’ni Mahdi Is Khayaal Se Ki Kahi’n Log Mujhe Na Khalifa Bana De’n) Madinah Se Makkah Chale Jaa’enge. Makkah Ke Kuchh Log (Jo Unhe’n Ba-Haisiyyat Mahdi Pehchaan Lenge) Un Ke Paas Aa’enge Aur Unhe’n (Makaan) Se Baahar Nikaal Kar Hajre Aswad Wa Maqaame Ibrahim Ke Darmiyaan Un Se Bay’ate (Khilaafat) Kar Lenge (Jab Un Kee Khilaafat Kee Khabat Aam Hogi) To Mulke Shaam Se Ek Lashkar Un Se Jang Ke Li’e Rawana Hoga (Jo Aap Tak Pahonchne Se Pehle Hee) Makkah Wa Madinah Ke Darmiyaan Bayda’ (Chatyal Maidaan) Me Zameen Ke Andar Dhansa Diya Jaa’ega (Is Ibrat Khez Halaakat Ke Ba’d) Shaam Ke Abdaal Aur Iraq Ke Awliya’ Aa Kar Aap Se Bay’ate Khilaafat Karenge. Ba’d Azaa’n Ek Qurayshiyy-un-Nasl Shakhs (Ya’ni Sufyani) Jis Kee Nanihaal Qabila-e Kalb Me Se Hogi Khalifa-e Mahdi Aur Un Ke A’awaan Wa Ansaar Se Jang Ke Liye Ek Lashkar Bhejega. Yeh Log Is Hamla-Aawar Lashkar Par Ghaalib Honge Yehi (Jange) Kalb Hai Aur Khasaaara Hai Us Shakhs Ke Li’e Jo Kalb Se Haasil Shuda Ghanimat Me Sharik Na Ho (Is Fat’h-o Kaamraani Ke Ba’d) Khalifa Mahdi Khoob Maal Taqsim Karenge Aur Logo’n Ko Un Ke Nabi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Sunnat Par Chalaa’enge Aur Islam Mukammal Taur Par Zameen Me Mustehkam Ho Jaa’ega (Ya’ni Dunya Me Poore Taur Par (Islam Ka Riwaj-o Ghalaba Hoga) Ba-Haalate Khilaafat, (Imam) Mahdi Dunya Me Saat Saal Aur Doosri Riwaayat Ke E’tebaar Se Nau Saal Reh Kar Wafaat Paa Jaa’enge Aur Musalmaan Un Kee Namaaze Janaaza Ada Karenge.

[Aboo Dawud, Al-Sunan, 04 : 107, Raqm : 4286,

Ahmad Bin Hanbal, Al-Musnad, 06 : 316, Raqm : 26731,

Hakim, Al-Mustadrak, 04 : 478, Raqm : 8328,

Ibn Abi Shaybah, Al-Musannaf, 07 : 460, Raqm : 37223,

Aboo Ya’la, Al-Musnad, 12 : 369, Raqm : 6940,

Tabarani, Al-Mu’jam Al-Kabir, 23 : 295, Raqm : 656,

Tabarani, Al-Mu’jam Al-Kabir, 23 : 389, Raqm : 930,

Tabarani, Al-Mu’jam Al-Kabir, 23 : 390, Raqm : 931,

Ish’haq Bin Rahwayh, Al-Musnd, 01 : 170, Raqm : 141,

Aboo Amr Al-Dani, Al-Sunan Al-Waridah Fi Al-Fitan, 05 : 1084, Raqm : 595,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 30_31.]

٣.      و عن ام سلمة رضي اﷲ عنها قالت سمعت رسول اﷲ يقول يکون اختلاف عند موت خليفة فيخرج رجل من بني هاشم فياتي مکة فيستخرجه الناس من بيته و هو کاره فيبا يعوه بين الرکن والمقام فيتجهز اليه جيش من الشام حتي اذا کانوا بالبيداء خسف بهم فياتيه عصائب العراق وابدال الشام و ينشؤرجل بالشام و اخواله من کلب فيجهز اليه جيش فيهزمهم اﷲ فتکون الدائرة عليهم فذالک يوم کلب، الخائب من خاب من غنيمة کلب فيفتح الکنوز و يقسم الاموال و يلقي اللاسلام بجرانه الي الأرض فيعيشون بذالک سبع سنين او قال تسع.

03. Umm Al-Mu’minin Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu ‘Anha Farmaati Hain Ki Mein Ne RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmaate Hu’e Suna Ki Khalifa Kee Wafaat Par Ikhtelaaf Hoga. (Ya’ni Us Kee Jagah Doosre Khalifa Ke Intekhaab Par Yeh Soorate Haal Dekh Kar Khaandaane Bani Haashim Ka Ek Shakhs (Is Khayaal Se Kahi’n Log Un Par Baare Khilaafat Na Daal De’n) Madinah Se Makkah Chala Jaa’eaga. (Kuchh Log Une’n Pehchaan Kar Ki Yeh Mahdi Hain) Unhe’n Ghar Se Nikaal Kar Baahar Laa’enge Aur Hajsre Aswad Wa Maqaame Ibrahim Ke Darmiyaan Zabardasti Un Ke Haath Par Bay’ate Khilaafat Kar Lenge (Un Ke Bay’ate Khilaafat Kee Khabar Sun Kar Ek Lashkar Muqaabala Ke Li’e) Shaam Se Un Kee Samt Rawaana Hoga. Yaha’n Tak Ki Jab Maqaame Bayda’ (Makka-o Madinah Ke Darmiyaan Maidaan) Me Pahonchega To Zameen Me Dhansa Diya Jaa’ea. Us Ke Ba’d Un Ke Paas Iraq Ke Awliya’ Aur Sham Ke Abdaal Haazir Honge Aur Ek Shakhs Shaam Se (Sufyaani) Niklega Jis Kee Nanihaal Qabila-e Kalb Me Hogi Aur Woh Apna Lashkar Khalifa-e Mahdi Ke Muqaabala Ke Li’e Rawaana Karega. Allah Ta’ala Sufyaani Lashkar Ko Shikasht Se Do-Chaar Farma Dega. Yehi Kalb Kee Jang Hai. Pas Woh Shakhs Khasaara Me Rahega Jo Kalb Kee Ghanimat Se Mehroom Raha. Phir Khalifa Mahdi Khazaano’n Ko Khol Denge Aur Khoob Amwaal Taqsim Karenge Aur Islam Poore Taur Par Dunya Me Tamaam Ho Jaa’ega. Log Isi (Aish-o Raahat Ke Saath) Saat Ya Nau Saal Rahenge, (Ya’ni Jab Tak Khalifa-e Mahdi Hayaat Rahenge Logo’n Me Farigh Al-Bali Aur Chain-o Sukoon Rahega.)

[Tabarani, Al-Mu’jam Al-Awsat, 02 : 35, Raqm : 1153,

Tabarani, Al-Mu’jam Al-Awsat, 09 : 176,  Raqm : 9459,

Ibn Hibban, Al-Sahih, 15 : 159, Raqm : 7657,

Ma’mar Bin Rashid Al-Azdi, Al-Jami’, 11 : 371,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 32_33.]

٤.      عن علي رضي الله عنه عن النبي صلي الله عليه وآله وسلم قال قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم المهدي منا اهل البيت يصلحه اﷲ تعالٰي في ليلة.

04. Hazrat Ali RadiyAllahu ‘Anhu Se Marwi Hai Unhone Farmaaya Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya. (Imam)Mahdi Mere Ahle Bayt Se Hoga. Allah Ta’ala Use Ek Hee Raat Me Saaleh Bana Dega (Ya’ni Apni Taufiq-o Hidaayat Se Ek Hee Shab Me Wilaayat Ke Us Buland Maqaam Par Pahoncha Dega Jo Us Ke Li’e Matloob Hoga).

[Ibn Majah, Al-Sunan, 02 : 1367, Raqm : 4085,

Ahmad Bin Hanbal, Al-Musnad, 01 : 84, Raqm : 645,

Aboo Ya’la, Al-Musnad, 01 : 359, Raqm : 465,

Ibn Abi Shaybah, Al-Musannaf, 07 : 513, Raqm : 37644,

Bazzar, Al-Musnad, 02 : 243, Raqm : 644,

Daylami, Al-Firdwas, 04 : 222, Raqm : 6669,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 33_34.]

Posted in Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar

Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Khalifatullah Alal-Itlaaq Honge

Panchwi’n Fasl

Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Khalifatullah Alal-Itlaaq Honge

١.       عن ثوبان رضي الله عنه يقتتل ثمکنزکم ثلاثة کلهم ابن خليفة ثم لا يصير الي واحد منهم ثم تطلع الرايات السود من قبل المشرق فيقاتلونکم قتالا لم يقاتله قوم ثم ذکر شيأ فقال اذارأيتموه فبايعوه ولو حبوا علي الثلج فانه خليفة اﷲ المهدي

قال ابوعبداﷲ هذا حديث صحيح علي شرط الشيخين و وافقه الذهبي

01.        Hazrat Thawban RadiyAllahu ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya. Tumhaare Khazaana Ke Paas Teen Shakhs Jang Karenge. Yeh Teeno’n Khalifa Ladke Honge. Phir Bhi Yeh Khazaana Un Me Se Kisi Kee Taraf Muntaqil Nahin Hoga. Is Ke Ba’d Mashriq Kee Jaanib Se Siyaah Jhande Namoodaar Honge Aur Woh Tum Se Is Shiddat Ke Saath Jang Karenge Ki Is Se Pehle Kisi Qaum Ne Is Qadr Shadeed Jang Kee Na Kee Hogi (Raawi-e Hadith Ya’ni Hazrat Thawban RadiyAllahu ‘Anhu Kehte Hain) Ki Phir RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ko’i Baat Bayaan Farma’i (Jis Ko Yeh Samajh Na Sake) Ya’ni Phir Allah Ke Khalifa Mahdi Ka Zahoor Hoga. Phir Farmaya Ki Jab Tum Log Unhe’n Dekhna To Un Se Bay’at Kar Lena Agarche Us Bay’at Ke Li’e Barf Par Ghisat Kar Aana Pade, Bila Shub’ha Woh Alah Ke Khalifa Mahdi Honge. (01)

Zaroori Wazaahat

Hazfiz Ibn Hajar Rahmat Allahi ‘Alayh Fat’h Al-Bar Sharh Bukhari Me Jild 13 Safha 81 Par Is Hadith Ko Naql Karne Ke Ba’d Likhte Hain. Is Hadithe Mazkoor Me Khazaana Se Muraad Woh Khazaana Hai Jis Ka Zikr Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu ‘Anhu Kee Hadith Me In Alfaaz Ke Saath Kiya Gaya Hai. (يوشك الفرات ان يحسر عن كنز من ذهب” (02″ “Qarib Hai Ki Darya-e Furaat (Khushk Ho Kar) Sone Ka Khazana Zaahir Kar Dega” To Yeh Hadith Is Baat Par Dalaalat Karti Hai Ki Yeh Waaqe’aat Zahoore Mahdi Ke Waqt Roo-Numa Honge.

[(01) Ibn Majah, Al-Sunan, 02 : 1367, Raqm : 4084,

Ahmad Bin Hanbal, Al-Musnad, 05 : 277, Raqm : 22441,

Hakim, Al-Mustadrak, 04 : 510, Raqm : 8432,

Hakim, Al-Mustadrak, 04 : 547, Raqm : 8531,

Daylami, Al-Firdaws, 02 : 323, 3470,

Ruwayani, Al-Musnad, 01 : 417, Raqm : 637,

Nu’aym Bin Hammadm, Al-Fitan, 01 : 311, Raqm : 896,

(02) Bukhari, Al-Sahih, 06 : 2605, Raqm : 6702,

Muslim, Al-Sahih, 04 : 2219, Raqm : 2894,

Tirmidhi, Al-Jami’ Al-Sahih, 04 : 698, Raqm : 2569,

Aboo Dawud, Al-Sunan, 04 : 115, Raqm : 4313,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 35_36.]

٢.      عن حذيفة رضي الله عنه : قال : قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم : ’’المهدي رجل من ولدي، لونه لون عربي، و جسمه جسم إسرائيلي، علي خده الأيمن خال کأنه کوکب دري، يملأ الأرض عدلا کما ملئت جوراً، يرضي في خلافته أهل الأرض و أهل السماء والطير في الجو.

02.        Hazrat Hudhayfah RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwayat Hai Unhone Farmaya Ki Janab RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Irshaad Farmaya “Mahdi Meri Aulaad Me Se Honge. Un Ka Rang Arabi Aur Un Kee Jismaani Saakht Isra’ili  Hongi. Un Ke Daa’e’n Rukhsaar Par Til Hoga Goya Woh Noor Afshaa’n Sitaara Honge. Woh(Mahdi) Zameen Ko Adal Se Bhar Denge Jis Tarh Woh Pehle Zulm Se Bhari Hu’i Thi Un Kee Khilaafat Par Ahle Zameen Aur Ahle Aasmaan Sab Raazi Honge Aur Faza Me Parinde Bhi Raazi (Khush) Honge.”

[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 66,

Daylami, Musnad Al-Firdaws, 04 : 221, Raqm : 6667,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 36_37.]

.٣.      عن ابي سعيد رضي الله عنه عن النبي عليه الصلوة والسلام قال : يخرج في آخر الزمان خليفة يعطي الحق بغير عدد

03.        Hazrat Aboo Sa’id Khudri RadiyAllahu ‘Anhu Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwaayat Karte Hain Ki Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya “Aakhiri Zamaane Me Ek Khalifa (Mahdi) Tashrif Laa’enge Jo Baghair Hisaab Ke (Logo’n Ko Un Ka) Haqq Ata Farmaa’enge.

[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 64,

Ibn Abi Shaybah, Al-Musannaf, 07 : 513, Raqm : 37640,

Daylami, Al-Firdaws, 05 : 501, Raqm : 8918,

Nu’aym Bin Hammad, Al-Fitan, 01 : 357, Raqm : 1032,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 37.]

Posted in Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar

Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Ke Zari’e Deen Ko Phir Ghalaba Wa Istehkaam Nasib Hoga

Chhati Fasl

Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Ke Zari’e Deen Ko Phir Ghalaba Wa Istehkaam Nasib Hoga

١.       عن ابي الطفيل عن محمد نبن الحنفية قال : کنا عند علي رضي الله عنه فسأله رجل عن المهدي فقال علي رضي الله عنه : هيهات ثم عقد بيده سبعا فقال : ذاک يخرج في آخر الزمان اذا قال الرجل اﷲ اﷲ قتل فيجمع اﷲ تعالٰي له قوما قزع کقزع السحاب يؤلف اﷲ قلوبهم لا يستوحشون الي احد ولا يفرحون باحد يدخل فيهم علي عدة اصحاب بدر لم يسبقهم الاولون ولا يدرکهم الاخرون و علي عدد اصحاب طالوت الذين جاوزوا معه النهر قال ابن الحنفية : اتريده قلت : نعم قال : انه يخرج من بين هذين الخشبتين قلت لا جرم واﷲ لا اديمهما حتي اموت فمات بها يعني بمکة حرسها اﷲ تعالٰي.

قال ابو عبداﷲ الحاکم : هذا حديث صحيح علي شرط الشيخين ووافقه الذهبي

01.        Hazrat Aboo Al-Tufayl RadiyAllahu ‘Anhu Muhammad Bin Hanafiyyah Se Riwayat Karte Hain Ki Muhammad Bin Al-Hanafiyyah Ne Kaha Ki Woh Hazrat Ali RadiyAllahu ‘Anhu Kee Majlis Me Baithe They Ki Ek Shakhs Ne Un Se (Imam) Mahdi Ke Baare Me Poochha. To Hazrat Ali RadiyAllahu ‘Anhu Ne (Bar-Bina-e Lutf) Farmaya. Door Ho, Phir Haath Se Ishaara Karte Hu’e Irshaad Farmaya Ki Mahdi Ka Zahoor Aakhiri Zamaane Me Hoga (Aur Be-Deeni Ka Is Qadr Ghalaba Hoga Ki) Allah Ke Naam Lene Waale Ko Qatl Kar Diya Jaa’ega (Zahoore Mahdi Ke Waqt) Allah Ta’ala Ek Jama’at Ko Un Ke Paas Ikaththa Kar Dega, Jis Tarh Baadal Ke Mutafarriq Tukdo’n Ko Mujtama’ Kar Deta Hai Aur Un Me Yagaanagat-o Ulfat Paida Kar Dega. Yeh Na To Kisi Se Khauf-Zada Honge Aur Na Kisi Ke In’aam Ko Dekh Kar Khush Honge. (Matlab Yeh Hai Ki Un Ka Baahami Rabt-o Zabt Sab Ke Saath Yaksaa’n Hoga) Khalifa Mahdi Ke Paas Ikaththa Hone Waalo’n Kee Ta’daad As’haabe Badr(Ghazwa-e Badr Me Sharik Hone Waale Sahaba-e Kiram) Kee Ta’daad Ke Mutaabiq (Ya’ni 313) Hogi. Is Jama’at Ko Ek Aisi (Khaas) Fazeelat Haasil Hogi Jo Un Se Pehle Waalo’n Ko Haasil Hu’i Hai Na Ba’d Waalo’n Ko Haasil Hogi. Neez Is Jama’at Kee Ta’daad As’haabe Taaloot Kee Ta’daad Ke Baraabar Hogi. Jinhone Taaloot Ke Hamraah Nehre(Urdun) Ko Uboor Kiya Tha. Hazrat Aboo Al-Tufayl Kehte Hain Ki Muhammad Bin Al-Hanafiyyah Ne Majma’ Se Poochha Kya Tum Us Jama’at Me Sharik Hone Ka Iraada Aur Khaahish Rakhte Ho, Mein Ne Kaha Haa’n To Unhone (Ka’ba Sharif Ke) Do Sutoono’n Kee Jaanib Ishaara Karte Hu’e Farmaaya ki Khalifa Mahdi Kaa Zahoor Inhi’n Ke Darmiyaan Hoga. Is Par Hazrat Aboo Al-Tufayl Ne Farmaaya Ba-Khuda Mein Un Se Taa-Hayaat Juda Na Ho’unga. (Raawi-e Hadith Kehte Hain) Chunaanche Hazrat Aboo Al-Tufayl Kee Wafaat Makkah Mu’azzamah Hee Me Hu’i.

[Hakim, Al-Mustadrak, 04 : 596, Raqm : 8659,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 38_39.]

 

٢.      عن علي الهلالي رضي الله عنه أن رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم قال لفاطمة : ’’يا فاطمة والذي بعثني بالحق إن منهما. يعني من الحسن والحسين. مهدي هذه الأمة، إذا صارت الدنيا هرجا و مرجا و تظاهرت الفتن و تقطعت السبل و أغار بعضهم علي بعض فلا کبير يرحم صغيراً ولا صغير يوقر کبيراً بعث اﷲ عند ذلک منهما من يفتح حصون الضلالة و قلوبا غلفا، يقوم بالدين في آخر الزمان کما قمت في أول الزمان، و يملأ الأرض عدلا کما ملئت جوراً‘‘.

02.        Hazrat Ali Al-Hilali RadiyAllahu ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Sayyidah Fatimat-uz-Zahra’ RadiyAllahu ‘Anha Se Irshaad Farmaaya “Ae Fatimah Qasam Hai Us Zaate Paak Kee Jis Ne Mujhe Haqq Ke Saath Mab’oos Farmaya Be-Shak In Dono’n Ya’ni Hasan Wa Husayn RadiyAllahu ‘Anhuma (Kee Aulaad) Me Se Is Ummat Ke Mahdi Paida Honge. Jab Dunya Fitna-o Fasaad Ka Shikaar Ho Jaa’egi Aur Fitno’n Ka Zahoor Hoga, Aur Raaaste Kat Jaa’enge Aur Log Ek Doosre Par Hamla Aawar Honge. Ko’i Bada Chhote Par Rahm Nahin Karega Aur Ko’i Chhota Bade Kee Izzat Nahin Karega To AllahRabbul Izzat Us Waqt In Dono’n (Hasan Wa Husayn Kee Aulaad) Me Se Ek Aise Shakhs Ko Bhejega Jo Gumraahi Ke Qal’o’n Ko Fateh Karenge Aur Band Dilo’n Ko Kholenge Is Ummat Ke Aakhiri Zamaane Me Deen Qaa’im Karenge Jis Tarh Mein Ne (Is Ummat Ke) Ibtedaa’i Zamaane Me Qaa’im Farmaaya Hai Aur Woh Zameen Ko Adal Se Bhar Denge Jis Tarh Pehle Woh Zulm Se Bhari Hogi.

[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 66, 67,

Tabarani, Al-Mu’jam Al-Kabir, 03 : 57, Raqm : 2675,

Tabarani, Al-Mu’jam Al-Awsat, 06 : 328, Raqm : 6540,

Haythami, Majma’ Al-Zawa’id, 09 : 165,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 30_40.]

 

٣.      عن أبي سعيد الخدري رضی الله عنه : سمعت رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم يقول : ’’يخرج رجل من أهل بيتي يقول بسنتي، ينزل اﷲ له القطر من السماء، و تخرج له الأرض من برکتها، تملأ الأرض منه قسطا و عدلا کما ملئت جوراً و ظلماً، يعمل علي هذه الأمة سبع سنين، و ينزل بيت المقدس‘‘.

03.        Hazrat Aboo Sa’id Khudri RadiyAllahu ‘Anhu Se Marwi Hai Unhone Farmaya Mein Ne RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Irshaad Farmate Hu’e Suna “Meri Ahle Bayt Me Se Ek Shakhs Zaahir Honge Jo Meri Sunnat Kee Baat Karenge, Allah Rabbul Izzat Un Ke Li’e Aasmaan Se Baarish Barsaa’ega Aur Zameen Un Ke Li’e Apni Barkaat Nikaal Degi (Ya’ni Apne Khazaane Ugal Degi). Zameen Un Ke Zari’e Adal-o Insaaf Se Bhar Jaa’egi Jis Tarh Pehle Woh Zulm-o Sitam Se Bhari Hogi. Woh Is Ummat Par Saat Saal Tak Hukoomat Karenge Aur Bayt-il-Maqdis Me Nuzool Farma’enge.

[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 62,

Tabarani, Al-Mu’jam Al-Awsat, 02 : 15, Raqm : 1075,

Haythami, Majma’ Al-Zawa’id, 07 : 317,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 40_41.]

٤.      عن ابي هريرة رضي الله عنه قال : ’’حدثني خليلي أبو القاسما قال : لا يقوم الساعة حتي يخرج عليهم رجل من أهل بيتي، فيضربهم حتي يرجعوا إلي الحق، قلت : و کم يملک؟ قال : خمساً و اثنين‘‘.

04.        Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwayat Hai Unhone Farmaya Mujhe Mere Khalil Aboo Al-Qasim SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya “Qiyamat Us Waqt Tak Qaa’im Nahin Hogi Jab Tak Meri Ahle Bayt Me Se Ek Shakhs Zaahir Na Honge Jo Logo’n Ka Muqaabala Karenge Hatta Ki Woh Haqq Kee Taraf Rujoo’ Kar Lenge.” Mein Ne Arz Kee. Woh Kitna Arsa Baadshaah Rahenge? Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya. Paanch Aur Do (Ya’ni Saat Saal).”

[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 62,

Aboo Ya’la, Al-Musnad, 12 : 19, Raqm : 3335,

Haythami, Majma’ Al-Zawa’id, 07 : 315,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 41.]

٥.      عن جابر رضي الله عنه عن النبي صلي الله عليه وآله وسلم قال يکون في امتي خليفة يحثي المال في الناس حثيا لا يعده عدا ثم قال والذي نفسي بيده ليعودن.

رواه البزار و رجاله رجال الصحيح.

05.        Hazrat Jabir RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya. Meri Ummat Me Ek Khalifa Hoga Jo Logo’n Ko Maal Labaalab Bhar-Bhar Kar Taqsim Karega. Shumaar Nahin Karega. (Ya’ni Sakhaawat Aur Dariya-Dili Kee Bina’ Par Shumaar Ki’e Baghair Kasrat Se Logo’n Me Atiyyaat Taqasim Karege) Aur Qasam Hai Us Zaate Paak Kee Jis Kee Qudrat Me Meri Jaan Hai, Bit-Tehqiq (Galaba-e Islam Ka Daur) Zaroor Lautega (Ya’ni Amre Islam Muzmahil Ho Jaane Ke Ba’d Un Ke Zamaana Me Phir Se Farog Haasil Kar Lega).

[Hakim, Al-Mustadrak, 04 : 501, Raqm : 8400,

Haythami, Majma’ Al-Zawa’id, 07 : 316,

Nu’aym Bin Hammadm, Al-Fitan, 01 : 362, Raqm : 1055,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 41_42.]

Posted in Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar

Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Ka Daure Hukoomat Mu’aashi Khush’haali Aur Awaam Me Wasaa’il Kee Munsifaana Taqsim Ke E’tebaar Se Be-Misaal Hoga

Satwi’n Fasl

Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Ka Daure Hukoomat Mu’aashi Khush’haali Aur Awaam Me Wasaa’il Kee Munsifaana Taqsim Ke E’tebaar Se Be-Misaal Hoga

١.       عن ابی سعيد نالخدري رضي الله عنه قال قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم : يخرج في آخر امتي المهدي يسقيه اﷲ الغيث و يخرج الارض نباتها و يعطي المال صحاحا و تکثر الماشية و تعظم الامة يعيش سبعا او ثمانيا يعني حججا.

قال ابو عبداﷲ هذا حديث صحيح الاسناد ولم يخرجاه و وافقه الذهبي

01.        Hazrat Aboo Sa’id Khudri RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Meri Ummat Ke Aakhiri Daur Me Mahdi Paida Honge. Allah Ta’ala Un Par Khoob Baarish Barsaa’ega Aur Zameen Apni Paidaawaar Baahar Nikaal Degi Aur Woh Logo’n Ko Maal Yaksa’n Taur Par Denge. Un Ke Zamaana-e (Khilaafat) Me Maweshiyo’n Kee Kasrat Aur Ummat Kee Azamat Hogi (Woh Khilaafat Ke Ba’d) Saat Saal Ya Aath Saal Zinda Rahenge.

[Hakim, Al-Mustadrak, 04 : 601, Raqm : 8673,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 43.]

٢.      عن ابي سعيد نالخدري رضي الله عنه قال قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم ابشرکم بالمهدي يبعث في امتي علي اختلاف من الناس و زلزال فيملأ الارض قسطا و عدلا کما ملئت جورا و ظلما يرضي عنه ساکن السماء و ساکن الارض يقسم المال صحاحا، قال له رجل ما صحاحا؟ قال بالسوية بين الناس و يملأ اﷲ قلوب امة محمد صلي الله عليه وآله وسلم غني و يسعهم عدله حتي يأمر مناديا فينادي فيقول : من له في المال حاجة؟ فما يقوم من الناس الا رجل واحدفيقول له! ائت السدان يعني الخازن فقل له ان المهدي يامرک ان تعطيني مالا فيقول له احث فيحثي حتي اذا جعله في حجره و ائتزره ندم فيقول کنت اجشع امة محمد صلي الله عليه وآله وسلم نفسا او عجز عني ماوسعهم؟ قال فيرده فلا يقبل منه فيقال له انا لا نأخذ شيئا اعطيناه فيکون کذالک سبع سنين او ثمان سنين او تسع سنين ثم لا خير في العيش بعده اوقال ثم لا خير في الحياة بعده.

رواه الترمذي و غيره باختصار کثير و رواه احمد باسانيده و ابو يعلي باختصار کثير و رجالهما ثقات

02.        Hazrat Aboo Sa’id Khudri RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Mein Tumhe’n Mahdi Kee Bashaarat Deta Hoo’n Jo Meri Ummat Me Ikhtelaaf-o Izteraab Ke Zamaana Me Bheje Jaa’enge To Woh Zameen Ko Adal-o Insaaf Se Bhar Denge Jis Tarh Woh (Un Se Pehle) Zulm-o Jor Se Bhari Hogi. Zameen Aur Aasmaan Waale Un Se Khush Honge. Woh Logo’n Ko Maal Yaksaa’n Taur Par Denge (Ya’ni Apni Ata Me Woh Kisi Se Imtiyaaz Nahin Bartenge) Allah Ta’ala (Un Ke Daure Khilafat Me) Meri Ummat Ke Dilo’n Ko Istighna’ Wa Be-Niyaazi Se Bhar Dega. (Aur Baghair Imtiyaaz-o Tarjih Ke) Un Ka Insaaf Sab Ko Aam Hoga Woh Apne Munaadi Ko Hukm Denge Ki Aam E’laan Kar De Ki Jise Maal Kee Haajat Ho (Woh Mahdi Kee Paas Aa Jaa’e Us E’laan Par) Musalmano’n Kee Jama’at Me Se Bajuz Ek Shakhs Ke Ko’i Bhi Nahin Khada Hoga. Mahdi Us Se Farma’enge, Khaazin Ke Paas Jaa’o Aur Unhe’n Kaho Ki Mahdi Ne Mujhe Maal Dene Ka Tumhe’n Hukm Diya Hai (Yeh Shakhs Khaazin Ke Paas Pahonchega) To Khaazin Us Se Kahega Apne Daaman Me (Hasbe Tamanna) Bhar Le Chunaanche Woh (Hasbe Khaahish) Daaman Me Bhar Lega Aur Khazaane Se Baahar Laa’ega To Use (Apne Is Amal Par) Nadaamat Hogi Aur (Apne Dil Me Kahega Kya) Ummate Muhammadiyyah ‘Ala Sahibiha Al-Salatu Wa-Al-Salam Me Sab Se Badh Kar Laalchi Aur Haris Mein Hee Hoo’n Ya Yoo’n Kahega. Mere Hee Li’e Woh Cheez Naa-Kaafi Hai Jo Doosro’n Ke Waaste Kaafi-o Waafi Hai. (Is Nadaamat Par) Woh Maal Waapas Karna Chaahega. Magar Us Se Yeh Maal Qubool Nahin Kiya Jaa’ega Aur Keh Diya Jaa’ega Ki Ham Dene Ke Ba’d Waapas Nahin Lete. (Imam) Mahdi Adal-o Insaaf Aur Ehsaan-o Ata Ke Saath Aath Ya Nau Saal Zinda Rahenge. Un Kee Wafaat Ke Ba’d Zindagi Me Ko’i Khair (Ya’ni Lutfe Zindagi Baaqi) Nahin (Rahega).

[Ahmad Bin Hanbal, Al-Musnad, 03 : 37, Raqm : 11344,

Ahmad Bin Hanbal, Al-Musnad, 03 : 52, Raqm : 11502,

Haythami, Majma’ Al-Zawa’id, 07 : 314,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 43_45.]

٣.      عن ابي هريرة رضي الله عنه قال ذکر رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم المهدي قال ان قصر فسبع والاثمان والافتسع وليملأن الأرض قسطا کما ملئت ظلما و جورا.

رواه البزار و رجاله ثقات

03.        Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu ‘Anhu Se Marwi Hai Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Mahdi Ka Zikr Karte Hu’e Farmaya: Agar Un Kee Muddate Khilaafat Kam Hu’i To Saat Baras Hogi Warna Aath Ya Nau Saal Hogi Woh Zameen Ko Adal-o Insaaf Se Bhar Dege. Jis Tarh Is Se Pehle Zulm-o Jor Se Bhari Hogi.

[Bazzar, Al-Musnad, 08 : 256, Raqm : 3320,

Haythami, Majam’ Al-Zawa’id, 07 : 316,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 45.]

٤.      عن جابر رضي الله عنه عن النبي صلي الله عليه وآله وسلم قال يکون في امتي خليفة يحثي المال في الناس حثيا لا يعده عدا ثم قال والذي نفسي بيده ليعودن

رواه البزار و رجاله رجال الصحيح.

04.        Hazrat Jabir RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Meri Ummat Me Ek Khalifa Hoga Jo Logo’n Ko Maal Labaalab Bhar-Bhar Kar Taqsim Karega. Shumaar Nahin Karega. (Ya’ni Sakhaawat Aur Dariyadili Kee Bina’ Par Shumaar Ki’e Baghair Kasrat Se Logo’n Me Atiyyaat Taqasim Karenge) Aur Qasam Hai Us Zaate Paak Kee Jis Kee Qudrat Me Meri Jaan Hai, Bit-Tehqiq (Galaba-e Islam Ka Daur) Zaroor Lautega (Ya’ni Amre Isalm Muzmahil Ho Jaane Ke Ba’d Un Ke Zamaanah Me Phir Se Farog Haasil Kar Lega).

[Hakim, Al-Mustadrak, 04 : 501, Raqm : 8400,

Haythami, Majma’ Al-Zawa’id, 07 : 316,

Nu’aym Bin Hammadm, Al-Fitan, 01 : 362, Raqm : 1055,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 34_46.]

٥.      و عن ابي هريرة رضي الله عنه عن النبي صلي الله عليه وآله وسلم قال يکون في امتي المهدي ان قصر فسبع والاثمان والا فتسع تنعم امتي فيها نعمة لم ينعموا مثلها يرسل السماء عليهم مدرارا ولا يدخر الارض شيئا من النبات والمال کدوس يقوم الرجل يقول يامهدي اعطني فيقول خذه.

05.        Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Meri Ummat Me Ek Mahdi Hoga (Un Kee Muddate Khilafat) Agar Kam Hu’i To Saat Ya Aath Ya Nau Saal Hogi. Meri Ummat Un Ke Zamaana Me Is Qadr Khush’haal Hogi Ki Utni Khoosh’haali Use Kabhi Na Mili Hogi. Aasmaan Se (Hasbe Zaroorat) Mooslaadhaar Baarish Hogi Aur Zameen Apni Tamaam Paidaawaar Ko Ugaa Degi. Ek Shakhs Khada Ho Kar Maal Ka Sawaal Karega To Mahdi Kahenge (Apni Hasbe Khaahish Khazaana Me Jaa Kar) Khud Le Lo.

[Tabarani, Al-Mu’jam Al-Awsat, 05 : 311, Raqm : 5406,

Haythami, Majma’ Al-Zawa’id, 07 : 317,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 46.]

٦.      عن ابي سيعد نالخدري صعن النبي صلي الله عليه وآله وسلم قال يکون في امتي المهدي ان قصرفسبع والا فتسع تنعم امتي فيه نعمة لم ينعموا مثلها قط تؤتي الارض اکلها لاتدخرعنهم شيئا والمال يومئذ کدوس. يقوم الرجل يقول يا مهدي اعطني فيقول خذ.

06.        Hazrat Aboo Sa’id Khudri RadiyAllahu ‘Anhu RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Karte Hain Ki Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Meri Ummat Me Mahdi Hoga Jo Kam Se Kam Saat Saal Warna Nau Saal Tak Rahega. Un Ke Zamaane Me Meri Ummat Itni Khush’haal Hogi Ki Us Se Qabl Kabhi Aisi Khush’haal Na Hu’i Hogi. Zameen Apni Har Qism Ke Paidaawaar Un Ke Li’e Nikaal Kar Rakh Degi Aur Kuchh Bacha Kar Na Rakhhegi Aur Maal Us Zamaane Me Khalyaan Me Anaaj Ke Dher Kee Tarh Pada Hoga Hatta Ki Ek Shakhs Khada Ho Kar Kahega Ae Mahdi! Mujhe Kuhh Diji’e. Woh Farma’enge (Jitna Marzi Me Aa’e) Utha Le.

[Ibn Majah, Al-Sunan, 02 : 1366, Raqm : 4083,

Hakim, Al-Mustadrak. 04 : 601, Raqm : 8675,

Ibn Abi Shaybah, Al-Musannaf, 07 : 512, Raqm : 37638,

Aboo Amr Al-Dani, Al-Sunan Al-Waridah Fi Al-Fitan, 05 : 1035, Raqm : 550,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 46_47.]

٧.      عن ابي سعيد نالخدري رضي الله عنه قال خشينا ان يکون بعد نبينا حدث فسألنا نبي اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم قال ان في امتي المهدي يخرج يعيش خمسا او سبعا او تسعا زيدنالشاک، قال قلنا و ما ذالک قال سنين قال فيجيئ اليه الرجل فيقول يا مهدي اعطني اعطني قال فيحثي له في ثوبه ما استطاع ان يحمله.

هذا حديث حسن

07.        Aboo Sa’id Khudri RadiyAllahu ‘Anhu Bayan Farmate Hain Ki Ham Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ba’d Wuqoo’ Hawaadith Ke Khayaal Se Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Poochha Ki Aap Ke Ba’d Kya Hoga. Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Meri Ummat Me Mahdi Hoga Jo Paanch Saat Ya Nau Tak Hukoomat Karenga (Zayd Raawi-e Hadith Ko Thik Muddat Me Shak Hai) Mein Ne Poochha Ki Is Adad Se Kya Muraad Hai? Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: (Is Adad Se Muraad) Saal Hain. Un Ka Zamaana Aisi Khayr-o Barkat Ka Hoga Ki Ek Shakhs Un Se Aa Kar Sawaal Karega Aur Kahega Ki Ae Mahdi! Mujhe Kuchh Diji’e, Mujhe Kuchh Diji’e. Aap Ne Farmaya Ki Imam Mahdi Haath Bhar-Bhar Kar Us Ko Itna Maal De Denge Jitna Woh Utha Ne Kee Isteta’at Rakhta Hoga.

[Tirmidhi, Al-Jami’ Al-Sahih, 04 : 506, Raqm : 2232,

Ahmad Bin Hanbal, Al-Musnad, 03 : 21, Raqm : 11179,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 47_48.]

Posted in Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar

Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Kee Wilaayat Wa Saltanat In’aamaate Ilhaahiyya Kee Kasrat Ke Lehaaz Se Adim-ul-Mithal Hogi

Aathwi’n Fasl

Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Kee Wilaayat Wa Saltanat In’aamaate Ilhaahiyya Kee Kasrat Ke Lehaaz Se Adim-ul-Mithal Hogi

١.       حدثنا عبداﷲ بن نمير ثنا موسي الجهني ثني عمر بن قيس الماصر ثني مجاهد ثني فلان رجل من اصحاب النبي صلي الله عليه وآله وسلم ان المهدي لا يخرج حتي تقتل النفس الزکية فاذا قتلت النفس الزکية غضب عليهم من في السماء ومن في الارض فاتي الناس المهدي فزفوه کما تزف العروس الي زوجها ليلة عرسها و هو يملأ الارض قسطا و عدلا ويخرج الارض نباتها و تمطر السماء مطرها وتنعم امتي في ولايته نعمة لم تنعمها قط.

01.        Imam Mujahid (Mash’hoor Tabe’i) Ek Sahabi RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki Unhone Kaha “Nafs Zakiyyah” Ke Qatl Ke Ba’d Hee Khalifa Mahdi Ka Zahoor Hoga. Jis Waqt Nafs Zakiyyah Qatl Kar Di’e Jaa’enge To Zameen-o Aasmaan Waale Un Qaatilin Par Ghazab-Naak Honge. Ba’d Azaa’n Log (Imam) Mahdi Ke Paas Aa’enge Aur Unhe’n Dulhan Kee Tarh Aaraasta Wa Pairaasta Karenge Aur (Imam) Mahdi Zameen Ko Adal-o Insaaaf Se Bhar Denge. (Un Ke Zamana-e Khilafat Me) Zameen Apni Paidawaar Ko Uga Degi Aur Aasmaan Khoob Barsega Aur Meri Ummat Par Un Kee Wilaayat Wa Saltanat Me Us Qadr Ne’mate’n Naazil Hongi Ki Utni Ne’mato’n Se Use Pehle Kabhi Nahin Nawaaza Gaya Hoga.

Zaroori Wazaahat: Ek Nafs Zakiyyah Muhammad Bin Abd Allah Bin Husayn Bin Ali Bin Abi Talib RadiyAllahu ‘Anhum Hain Jinhone Khalifa Mansoor Abbasi Ke Khilaaf 245 Hijri Me Khurooj Kiya Tha Aur Shahid Hu’e They. Hadithe Baala Me Mash’hood “Nafs Zakiyyah” Se Muraad Yeh Nahin Hain Balki Is Naam Ke Ek Aur Buzurg Honge Jo Zahoore Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Ke Zamaana Se Qabl Honge.

[Ibn Abi Shaybah, Al-Musannaf, 07 : 514, Raqm : 37653,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 49_50.]

٢.      عن ابي هريرة رضي الله عنه ان رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم قال يکون في امتي المهدي ان قصر فسبع والافثمان والافتسع تنعم امتي فيه نعمة لم ينعموا مثلها يرسل اﷲ السماء عليهم مدرارا ولا تدخر الارض بشئ من النبات و المال کدوس يقوم الرجل فيقول يا مهدي اعطني فيقول خذه.

02.        Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Meri Ummat Me (Imam) Mahdi Honge Jin Ka Zamaana Agar Kam Hu’a To Saat Saal Warna Aath Ya Nau Saal Hoga. Mahdi Ke Zamaane Me Meri Ummat Is Qadr Khush’haal Hogi Ki Aisi Khush’haali Use Kabhi Na Mili Hogi. Allah Rabb-ul-Izzat Aasmaan Se (Hasbe Zaroorat) Baarish Naazil Farma’ega Aur Zameen Apni Tamaam Paidawaar Ugaa Degi. Aur Maal Khalyaan Kee Tarh Pada Hoga. Ek Aadami Uth Kar Arz Karega: Ae Mahdi Mujhe Ata Farma’e’n To Aap Irshaad Farma’enge (Apni Marzi Ke Mutaabiq) Le Lo.

[Tabarani, Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05 : 311, Raqm : 5406,

Haythami, Majma’ Al-Zawa’id, 07 : 317,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 50.]

٣.      عن علي رضي الله عنه قال : ’’قلت : يا رسول اﷲ أمنا آل محمد المهدي أم من غيرنا؟ فقال : لا، بل منا، يختم اﷲ به الدين کما فتح بنا، و بنا ينقذون من الفتنة کما أنقذوا من الشرک، وبنا يؤلف اﷲ بين قلوبهم بعد عداوة الفتنة کما ألف بين قلوبهم بعد عداوة الشرک، و بنا يصبحون بعد عداوة الفتنة إخوانا کما أصبحوا بعد عداوة الشرک إخواناً في دينهم‘‘

03.        Hazrat Ali RadiyAllahu ‘Anhu Se Marwi Hai Aap Ne Farmaya: Mein Ne (Huzoor SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me) Arz Kee: Ya RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam! Kya (Imam) Mahdi Ham Aale Muhammad Me Se Honge Ya Hamaare Ilaawa Kisi Aur Se? To Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Irshaad Farmaya: Nahin, Balki Woh Ham Hee Me Se Honge. Allah Rabb-ul-Izzat Un Par (Saltanate) Deen Usi Tarh Khatm Farma’ega Jaise Ham Se Aaghaaz Farmaya Hai Aur Hamaare Zari’e Hee Logo’n Ko Fitna Se Bachaaya Jaa’ega Jis Tarh Unhe’n Shirk Se Najaat Ata’ Farmaa’i Ga’i Hai Aur Hamaare Zari’e Hee Allah Un Ke Dilo’n Me Fitna Kee Adaawat Ke Ba’d Un Ke Dilo’n Me Mahabbat-o Ulfat Paida Farma’ega. Jis Tarh Allah Ne Shirk Kee Adaawat Ke Ba’d Un Ke Dilo’n Me (Hamaare Zari’e) Ulfat Paid Farmaa’i Aur Hamaare Zari’e Hee Fitna (Wa Fasaad) Kee Adawat Ke Ba’d Log Aapas Me Bhaa’i-Bhaa’i Ho Jaa’enge, Jis Tarh Woh Shirk Kee Adawat Ke Ba’d Is Deen Me Bhaa’i-Bhaa’i Ban Ga’e Hain.

[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 61,

Tabarani, Al-Mu’jam Al-Awsat, 01 : 56, Raqm : 157,

Nu’aym Bin Hammadm, Al-Fitan, 01 : 370, Raqm : 1089,

Nu’aym Bin Hammadm, Al-Fitan, 01 : 371, Raqm : 1090,

Haythami, Majma’ Al-Zawa’id, 07 : 371,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 50_51.]

Posted in Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar

Hazrat Isa ‘Alayh-is-Salam Bhi Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Kee Iqteda’ Me Namaaz Ada Farmaa’enge

Nawi’n Fasl

Hazrat Isa ‘Alayh-is-Salam Bhi Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Kee Iqteda’ Me Namaaz Ada Farmaa’enge

١.       عن ابي هريرة رضي الله عنه قال قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم : کيف انتم اذا نزل ابن مريم فيکم و امامکم منکم.

01.        Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Tum Logo’n Ka Us Waqt (Khushi Se) Kya Haal Hoga Jab Tum Me Isa Ibn Maryam ‘Alayhima Al-Salam (Aasmaan Se) Utarenge Aur Tumhaara Imaam Tum Hee Me Se Hoga.(01)

Tashrih: Matlab Yeh Hai Ki Isa ‘Alayh-is-Salam Nuzool Ke Waqt Jama’at Ke Saath Namaaz Ada Karenge Aur Imam Khud Isa ‘Alayh-is-Salam Nahin Honge, Balki Ummat Ka Ek Fard Ya’ni Khalida Mahdi Honge Chunanche Hafiz Ibn Hajar Ba-Hawala Manaqib Al-Shafi’i Az Imam Aboo Al-Husayn Aaburi Likhte Hain Ki Is Baare Me Ahaadithe Mutawaatir Hain Ki Hazrat Isa ‘Alayh-is-Salam Ek Namaaz Khalifa Mahdi Kee Iqteda’ Me Ada Karenge. (02)     

[(01) Bukhari, Al-Sahih, 03 : 1272, Raqm : 3265,

Muslim, Al-Sahih, 01 : 136, Raqm : 155,

Ibn Hibban, Al-Sahih, 15 : 213, Raqm : 6802,

(02) Ibn Hajar Asqalani, Fat’h Al-Bari, 06 : 493,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 52.]

٢.      عن جابر بن عبداﷲ الانصاري رضي الله عنه قال سمعت رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم يقول لا تزال طائفة من امتي يقاتلون علي الحق ظاهرين الي يوم القيمة قال و ينزل عيسي ابن مريم عليه السلام فيقول اميرهم تعال صل لنا فيقول لا، ان بعضکم علي بعض امراء تکرمة اﷲ هذه الامة.

02.        Hazrat Jabir Bin Abd Allah Ansari RadiyAllahu ‘Anhuma Bayan Karte Hain Ki Mein Ne RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna Ki Meri Ummat Me Se Ek Jama’at Qiyaame Haqq Ke Liye Kaamyaab Jang Qiyamat Tak Karti Rahegi Hazrat Jaabir RadiyAllahu ‘Anhu Kehte Hain In Mubarak Kalimaat Ke Ba’d Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: “Aakhir Me (Hazrat) Isa Ibn Maryam ‘Alayhima Al-Salam Aasmaan Se Utrenge To Musalmano’n Ka Ameer, Un Se Arz Karega Tashrif Laa’iye Hame’n Namaz Padhaa’iye Is Ke Jawaab Me Hazrat Isa ‘Alayh-is-Salam Farma’enge: (Is Waqt) Mein Imamat Nahin Karunga. Tumhaara Baaz, Baaz Par Ameer Hai (Ya’ni Hazrat Isa ‘Alayh-is-Salam Us Waqt Imamat Se Inkar Farma Denge Is Fazeelat-o Buzurgi Kee Bina Par Jo Allah Ta’ala Ne Is Ummat Ko Ata’ Kee Hai).

[Muslim, Al-Sahih, 01 : 137, Raqm : 156,

Ibn Hibban, Al-Sahih, 15 : 231, Raqm : 6819,

Ibn Mandah, Al-Iman, 01 : 517, Raqm : 418

Ibn Jarood, Al-Muntaqa, 01 : 257, Raqm : 1031,

Bayhaqi, Al-Sunan Al-Kubra, 09 : 180,

Aboo ‘Awanah, Al-Musnad, 01 : 99, Raqm : 317,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 52_53.]

٣.      عن جابر رضي الله عنه قال قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم يخرج الدجال في خفة من الدين و ذکر الدجال ثم قال ثم ينزل عيسي ابن مريم عليه السلام فينادي من السحر فيقول يا ايها الناس ما يمنعکم ان تخرجوا الي هذا الکذاب الخبيث فيقولون هذا رجل جني فينطلقون فاذا هم بعيسي ابن مريم عليه السلام فتقام الصلوة فيقال له تقدم يا روح اﷲ فيقول ليتقدم امامکم فليصل بکم فاذا صلوا صلوة الصبح خرجوا اليه قال فحين يراه الکذاب ينماث کما ينماث الملح في الماء.

(رواه الحاکم في المستدرک و قال هذا حديث صحيح الاسناد ولم يخرجاه وقال الشيخ الذهبي في تلخيصه هو علي شرط مسلم)

03.        Hazrat Jabir RadiyAllahu ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaaya Deen Ke Kamzor Ho Jaane Kee Haalat Me Dajjaal Niklega Aur Dajjaal Se Muta’alliq Tafsilaat Bayaan Karne Ke Ba’d Farmaaya Ba’d Azaa’n Isa Ibn Maryam ‘Alayhima Al-Salam (Aasmaan Se) Utrenge Aur Ba-Waqte Sahar (Ya’ni Sub’he Saadiq Se Pehle) Aawaaz Denge Ki Ae Musalmano’n! Tumhe’n Us Khoote Khabis (Dajjaal) Se Muqaabala Kar Ne Me Kya Cheez Maane’ Hai? To Log Kahenge Ki Yeh Ko’i Jinnaati Makhlooq Hai. Phir Aage Badh Kar Dekhenge To Unhe’n Isa ‘Alayh-is-Salam Nazar Aa’enge. Phir Namaze Fajr Ke Li’e Iqaamat Hogi To Un Ka Amir Kahega Ae Roohullah! Imaamat Ke Waaste Aage Tashrif Laa’e Hazrat Isa ‘Alayh-is-Salam Farmaa’enge “Tumhaara Imam Hee Tumhe’n Namaaz Padhaa’e” (Aur Us Waqt Ke Imam Sayyidina Mahdi Honge). Jab Log Namaz Se Faarigh Ho Jaa’enge To (Hazrat Isa ‘Alayh-is-Salam Kee Qiyaadat Me) Dajjaal Se Muqaabala Ke Li’e Niklenge. Dajjaal Jab Hazrat Isa ‘Alayh-is-Salam Ko Dekhega To (Khauf Ke Maare) Namak Ke Pighalne Kee Tarh Pighalne Lagega.

[Ahmad Bin Hanbal, Al-Musnad, 03 : 44, Raqm : 14997,

Haythami, Majma’ Al-Zawa’id, 07 : 444,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 53_54.]

٤.      عن ابي امامة الباهلي رضي الله عنه مرفوعا فقالت ام شريک بنت ابي العکر يا رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم فاين العرب يومئذ؟ قال هم يومئذ قليل و جلهم ببيت المقدس وامامهم رجل صالح قد تقدم يصلي بهم الصبح اذ نزل عليهم ابن مريم الصبح فرجع ذلک الامام ينکص يمشي القهقري ليتقدم عيسي ابن مريم يصلي بالناس فيضع عيسي يده بين کتفيه ثم يقول له تقدم فصل فانها لک اقيمت فيصلي بهم امامهم.

اسناده قوي و اما في الحديث و امامهم رجل صالح فالمراد به المهدي کما جاء التصريح به

04.        Hazrat Aboo Umamah RadiyAllahu ‘Anhu RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Ek Taweel Hadith Riwayat Karte Hain Jis Me Hai Ki Ek Sahabiyyah Ummu Sharik Bint Abi Akr RadiyAllahu ‘Anha Ne Arz Kiya: Ya RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam! Arab Us Waqt Kaha’n Honge. (Matlab Yeh Hai Ki Ahle Arab Deen Kee Himaayat Me Muqabale Ke Liye Kyoo’n Saamne Nahin Aa’enge) To RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Arab Us Waqt Kam Honge Aur Un Me Bhi Aksar Bayt-il-Maqdis (Ya’ni Shaam) Me Honge Aur Un Ka Imam-o Ameer Ek Rajul Saaleh (Mahdi) Hoga. Jis Waqt Un Ka Imam Namaze Fajr Ke Liye Aage Badhega Achaanak (Hazrat) Isa Ibn Maryam ‘Alayhima Al-Salam Usi Waqt (Aasmaan Se) Utarenge. Imam Pichhe Hatega Taa Ki (Hazrat) Isa ‘Alayh-is-Salam Namaz Padhaa’e’n. Hazrat Isa ‘Alayh-is-Salam Imam Ke Kandho’n Ke Darmiyaan Haath Rakkh Kar Farmaa’enge Aage Badho Aur Namaaz Padhaa’o Kyoo’n Ki Tumhaare Hee Liye Iqaamat Kahi Ga’i Hai To Un Ke Imam (Mahdi) Logo’n Ko Namaz Padhaa’enge.

[Ibn Majah, Al-Sunan, 02 : 1361, Raqm : 4077,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 54_55.]

٥.      عن عثمان بن ابي العاص رضي الله عنه مرفوعا و ينزل عيسي ابن مريم عليه السلام عند صلوة الفجر فيقول له الناس ياروح اﷲ تقدم فصل بنا فيقول انکم معاشر امة محمد امراء بعضکم علي بعض فتقدم انت فصل بنا فيتقدم الامير فيصلي بهم.

05.        Hazrat Uthman Bin Aboo Al-Aas RadiyAllahu ‘Anhu Marfoo’an Riwaayat Karte Hain Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya “(Hazrat) Isa Ibn Maryam ‘Alayhima Asl-Salam Namaaze Fajr Ke Waqt (Aasmaan Se) Utrenge To Log Un Se Arz Karenge. Ae Roohullah Aage Tashrif Laa’iye, Aur Hame’n Namaz Padha’iye, To Isa ‘Alayh-is-Salam Farma’enge “Tum Ummate Muhammadiyyah Ke Log Ho. Is Ummat Ka Ba’z Ba’z Par Amir Hai Pas Aap Hee Aage Badhe’n Aur Hame’n Namaaz Padhaa’e’n” To Musalmano’n Ka Amir Aage Badhefa Aur Namaaz Padhaa’ega.

[Hakim, Al-Mustadrak, 04 : 524, Raqm : 8473,

Tabarani, Al-Mu’jam Al-Kabir, 09 : 60, Raqm : 8392,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 55_56.]

٦.      عن عبد اﷲ بن عمرو رضي الله عنه قال المهدي الذي ينزل عليه عيسي ابن مريم و يصلي خلفه عيسي

06.        Hazrat Abd Allah Bin Amr RadiyAllahu ‘Anhu Kehte Hain Ki Hazrat Isa Ibn Maryam ‘Alayhima Al-Salam Imam Mahdi Ke Ba’d Naazil Honge Aur Un Ke Pichhe (Ek) Namaaz Ada Farma’enge.

[Nu’aym Bin Hammadm, Al-Fitan, 01 : 373, Raqm :  1103,

Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 78,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 56.]

.٧.      عن ابي سعيد نالخدري رضي الله عنه قال قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم منا الذي يصلي عيسي ابن مريم خلفه

07.        Hazrat Aboo Sa’id Khudri RadiyAllahu ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Isi Ummat Me Se Ek Shakhs Hoga Jis Ke Pichhe sa Ibn Maryam ‘Alayhima Al-Salam Namaaz Ada Farmaa’enge.

[Muhammad Bin Abi Bakr Al-Dimashqi, Al-Manar Al-Munif, 01 : 147, Raqm :  337,

Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 64,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 56.]

٨.      عن حذيفة رضی الله عنه قال قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم يلتفت المهدي و قد نزل عيسي ابن مريم کانما يقطر من شعره الماء فيقول المهدي تقدم صل بالناس فيقول عيسي عليه السلام انما اقيمت الصلوة لک فيصلی خلف رجل من ولدي.       

08.        Hazrat Hudhayfah RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Hazrat Isa ‘Alayh-is-Salatu Wa-Al-Salam Utar Chuke Honge Un Ke Dekh Kar Yoo’n Ma’loom Hoga Goya Un Ke Baalo’n Se Paani Tapak Raha Hai Us Waqt Imam Mahdi Un Kee Taraf Mukhaatib Ho Kar Arz Karenge: Tashrif Laa’iye Aur Logo’n Ko Namaaz Padha Diji’e. Woh Farma’enge Is Namaaz Kee Iqaamat To Aap Ke Li’e Ho Chuki Hai Is Li’e Namaaz To Aap Hee Padhaa’enge Chunanche Woh (Hazrat Isa ‘Alayh-is-Salam) Yeh Namaaz Meri Aulaad Me Se Ek Shakhs Ke Pichhe Ada Farma’enge.

[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 03 : 81,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 56_57.]

.٩.      عن ابن سيرين قال المهدي من هذه الامة و هو الذي يؤم عيسي ابن مريم عليهما السلام

09.        Ibn Sirin Se Riwayat Hai Ki (Imam) Mahdi Isi Ummat Me Se Honge Aur Isa Ibn Maryam ‘Alayhima Al-Salam Kee Imamat Sar-Anjaam Denge.

[Ibn Abi Shaybah, Al-Musannaf, 07 : 513, Raqm : 37649,

Nu’aym Bin Hammadm, Al-Fitan, 01 : 373, Raqm :  1107,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 57.]