Panchwi’n Fasl
Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Khalifatullah Alal-Itlaaq Honge
١. عن ثوبان رضي الله عنه يقتتل ثمکنزکم ثلاثة کلهم ابن خليفة ثم لا يصير الي واحد منهم ثم تطلع الرايات السود من قبل المشرق فيقاتلونکم قتالا لم يقاتله قوم ثم ذکر شيأ فقال اذارأيتموه فبايعوه ولو حبوا علي الثلج فانه خليفة اﷲ المهدي
قال ابوعبداﷲ هذا حديث صحيح علي شرط الشيخين و وافقه الذهبي
01. Hazrat Thawban RadiyAllahu ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya. Tumhaare Khazaana Ke Paas Teen Shakhs Jang Karenge. Yeh Teeno’n Khalifa Ladke Honge. Phir Bhi Yeh Khazaana Un Me Se Kisi Kee Taraf Muntaqil Nahin Hoga. Is Ke Ba’d Mashriq Kee Jaanib Se Siyaah Jhande Namoodaar Honge Aur Woh Tum Se Is Shiddat Ke Saath Jang Karenge Ki Is Se Pehle Kisi Qaum Ne Is Qadr Shadeed Jang Kee Na Kee Hogi (Raawi-e Hadith Ya’ni Hazrat Thawban RadiyAllahu ‘Anhu Kehte Hain) Ki Phir RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ko’i Baat Bayaan Farma’i (Jis Ko Yeh Samajh Na Sake) Ya’ni Phir Allah Ke Khalifa Mahdi Ka Zahoor Hoga. Phir Farmaya Ki Jab Tum Log Unhe’n Dekhna To Un Se Bay’at Kar Lena Agarche Us Bay’at Ke Li’e Barf Par Ghisat Kar Aana Pade, Bila Shub’ha Woh Alah Ke Khalifa Mahdi Honge. (01)
Zaroori Wazaahat
Hazfiz Ibn Hajar Rahmat Allahi ‘Alayh Fat’h Al-Bar Sharh Bukhari Me Jild 13 Safha 81 Par Is Hadith Ko Naql Karne Ke Ba’d Likhte Hain. Is Hadithe Mazkoor Me Khazaana Se Muraad Woh Khazaana Hai Jis Ka Zikr Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu ‘Anhu Kee Hadith Me In Alfaaz Ke Saath Kiya Gaya Hai. (يوشك الفرات ان يحسر عن كنز من ذهب” (02″ “Qarib Hai Ki Darya-e Furaat (Khushk Ho Kar) Sone Ka Khazana Zaahir Kar Dega” To Yeh Hadith Is Baat Par Dalaalat Karti Hai Ki Yeh Waaqe’aat Zahoore Mahdi Ke Waqt Roo-Numa Honge.
–
[(01) Ibn Majah, Al-Sunan, 02 : 1367, Raqm : 4084,
Ahmad Bin Hanbal, Al-Musnad, 05 : 277, Raqm : 22441,
Hakim, Al-Mustadrak, 04 : 510, Raqm : 8432,
Hakim, Al-Mustadrak, 04 : 547, Raqm : 8531,
Daylami, Al-Firdaws, 02 : 323, 3470,
Ruwayani, Al-Musnad, 01 : 417, Raqm : 637,
Nu’aym Bin Hammadm, Al-Fitan, 01 : 311, Raqm : 896,
(02) Bukhari, Al-Sahih, 06 : 2605, Raqm : 6702,
Muslim, Al-Sahih, 04 : 2219, Raqm : 2894,
Tirmidhi, Al-Jami’ Al-Sahih, 04 : 698, Raqm : 2569,
Aboo Dawud, Al-Sunan, 04 : 115, Raqm : 4313,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 35_36.]
٢. عن حذيفة رضي الله عنه : قال : قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم : ’’المهدي رجل من ولدي، لونه لون عربي، و جسمه جسم إسرائيلي، علي خده الأيمن خال کأنه کوکب دري، يملأ الأرض عدلا کما ملئت جوراً، يرضي في خلافته أهل الأرض و أهل السماء والطير في الجو.
02. Hazrat Hudhayfah RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwayat Hai Unhone Farmaya Ki Janab RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Irshaad Farmaya “Mahdi Meri Aulaad Me Se Honge. Un Ka Rang Arabi Aur Un Kee Jismaani Saakht Isra’ili Hongi. Un Ke Daa’e’n Rukhsaar Par Til Hoga Goya Woh Noor Afshaa’n Sitaara Honge. Woh(Mahdi) Zameen Ko Adal Se Bhar Denge Jis Tarh Woh Pehle Zulm Se Bhari Hu’i Thi Un Kee Khilaafat Par Ahle Zameen Aur Ahle Aasmaan Sab Raazi Honge Aur Faza Me Parinde Bhi Raazi (Khush) Honge.”
–
[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 66,
Daylami, Musnad Al-Firdaws, 04 : 221, Raqm : 6667,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 36_37.]
.٣. عن ابي سعيد رضي الله عنه عن النبي عليه الصلوة والسلام قال : يخرج في آخر الزمان خليفة يعطي الحق بغير عدد
03. Hazrat Aboo Sa’id Khudri RadiyAllahu ‘Anhu Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwaayat Karte Hain Ki Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya “Aakhiri Zamaane Me Ek Khalifa (Mahdi) Tashrif Laa’enge Jo Baghair Hisaab Ke (Logo’n Ko Un Ka) Haqq Ata Farmaa’enge.
–
[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 64,
Ibn Abi Shaybah, Al-Musannaf, 07 : 513, Raqm : 37640,
Daylami, Al-Firdaws, 05 : 501, Raqm : 8918,
Nu’aym Bin Hammad, Al-Fitan, 01 : 357, Raqm : 1032,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 37.]