Posted in 3 Teesra Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Hazrat Hurr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Tawbah

TEESRA
KHITAAB

 

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ

إِنَّ الَّذِينَ يُؤْذُونَ اللَّهَ وَرَسُولَهُ لَعَنَهُمُ اللَّهُ فِي الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ وَأَعَدَّ لَهُمْ عَذَابًا مُهِينًا ۝

                    Hazaraate Giraami! Guzishta Jumu’at-ul-Mubarak Ke Khitaab Me Hum Ne Waaqe’a-E-Karbala Sayyidina Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Shahadat Tak Bayaan Kiya Tha Yeh Baat Dhihn Nasheen Rahe Ki Jin Bar Guzeedah Hastiyo’n Ka Zikr Guzishta Khitaab Me Huwa Hai Saaf Zaahir Hai Sirf Wohi Shuhda-E-Karbala Nahin Balki Un Ke Ilaawah Bhi Bahut Hee Bar Guzeedah Aur Naamwar Shakhsiyyaat Islaam Kee Hifaazat Wa Nigahdaasht Ke Us Ma’rake Me Shaheed Huwi Hain. Jin Me Fardan Fardan Har Kisi Ka Zikr Karna Waqt Kee Kami Ke Peshe Nazar Mumkin Nahin Hai.

 

Hazrat Hurr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Tawbah

                   Un Me Se Hazrat Hurr Bhi Hain Aur Yeh Woh Khushnaseeb Hain, Jinhone Ma’reka-E-Karbala Ke Dauraan Allah Ke Fadl-o-Karam Se Apna Muqaddar Badalne Kee Sa’aadat Haasil Kee, Yeh Yazeedi Lashkar Ke Aik Sipah Saalaar They Aur Sayyidina Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Madde Muaqaabil Logo’n Me Se They, Lekin Ware Athna Woh Apni Sawaari Le Kar Dauraane Jang Imam Ali Maqam Ke Saamne Aaye Aur Puchha Ki Aye Imame Aali Maqam ! Mein Aap Ko Is Jagah Laane Ka Qusoorwaar Aur Gunahgaar Hoo’n, Lekin Ab Taa’ib Ho Kar Aap Ke Qadmo’n Par Apni Jaan Nichhaawar Karna Chaahta Hoo’n To Kya Itna Bada Gunaah Karne Ke Baa’d Bhi Mere Liye Bakhshish Ka Koi Imkaan Hai ? Imame Aali Maqaam Ne Farmaya : Tawbah Ka Darwazah Khula Hai, Ab Bhi Agar Too Baatil Parasti Aur Zulm-o-Sitam Ka Saath Dene Se Baaz Aa Jaae Aur Raahe Haque Ikhtiyaar Kar Le To Aatishe Dozakh Se Najaat Haasil Kar Sakta Hai, Aur Daa’imi ‘Azaab Se Aazaad Ho Sakta Hai. Hazrat Hurr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Jab Yeh Suna To Yazeedi Lashkar Ka Saath Chhod Kar Imam Paak Ke Saathiyo’n Me Shaamil Ho Gaye.

Nikal Kar Lashkare A’adaa’ Se Maara Hurr Ne Yeh Na’rah
Ki Dekho’n Yu’n  Nikalte  Hain  Jahannam Se Khuda Waale

Ahl-E-Bayte Kiram Salam Allah ‘Alayhim Ke Saath Apni Wafadari Ka Suboot Faraaham Karte Huwe Maidaane Karbala Me Jaame Shahadat Nosh Kiya.
Is Qism Kee Naamwar Shaksiyaat Kee Shahadat Kee Tafseelaat Bahut Ziyaada Hain Hum Un Se Gurez Karte Huwe Nafse Mazmoon Kee Taraf Aa Rahe Hain Aur Jo Aayate Karimah Tilawat Kee Hai Us Kee Raushni Me Maidane Karbala Me Pesh Aane Waale Waaqe’at Ka Tajziyah Karte Hain Taa Ki Jaan Sakein Ki Yeh Kitna Bada Saanihah Tha Aur Us Me Mulawwath Afraad Kis Qism Ke Ibrat Naak Anjaam Se Do Chaar Huwe, Mazkoorah Baala Aayate Karimah Ka Mafhoom Yeh Hai :

“BeShak Jo Log Khuda Ta’ala Aur Us Ke Rasool Ki Aziyyat Dete Hain. Khuda Ta’ala Dunya Aur Aakhirat Me Un Par La’nat Farmata Hai Aur Aise Logo’n Ke Liye Us Ne Zillat Aamez ‘Azaab Tayyar Kar Rakkha Hai.”

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-49_50.]

Posted in 3 Teesra Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Hazrat Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Aziyyat Se Sadmah

                   Hazrat Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sage Chacha They Chun Ki Jange Badr Me, Musalmano’n Ke Khilaaf Jang Me Shareek They Aur Ahle Makkah Kee Taraf Se Ladne Ke Liye Aaye They. Is Liye Ahle Makkah Kee Shikast Aur Musalmano’n Kee Numaaya Fat’h Ke Baa’d Jangi Qaidi Kee Haishiyyat Se Madinah Tayyibah Laaye Gaye Aur Doosre Qaidiyo’n Kee Tarah Unhein Bhi Rassiyo’n Se Jakad Diya Gaya. Woh Rassiyo’n Kee Aziyyat Se Saari Raat Karaahte Rahe, Naaz Wa Na’m Me Pale Huwe They, Naamwar Insaan They, Is Liye Qaid-o-Band Kee Su’oobatein Un Ke Liye Intihaayi Aziyyat Ka Sabab Ban Gayi’n, Sub’h Ka Waqt Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Masjid Me Tashrif Laaye Aur Farmaya :

Chacha Abbas Kee Takleef Aur Aziyyat Ke Khayaal Hamein Raat Bhar Neend Nahin Aayi, Jab Woh Karaahte They To Hamein Behad Sadmah Pahunchta Tha.

 

Sochne Kee Baat Yeh Hai Ki Us Waqt Hazrat Abbas Kaafir They, Abhi Tak Unhone Islam Kee Raushni Se Kaashaana-E-Dil Ko Munawwar Nahin Kiya Tha, Kufr Kee Taa’id Wa Himayat Me Islam Ke Khilaf Jang Karne Ke Liye Aaye They, Phir Jangi Qaidi Kee Haisiyyat Se Giriftaar Huwe Is Ke Baawajood Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Un Kee Aziyyat Ke Khayaal Se Takleef Mahsoos Farmaayi Aur Saari Raat Aankho’n Me Kaat Dee, Sirf Is Liye Ki Woh Nasabi Lihaaz Se Rishtedaar, Sage Chacha, Aur Apne Khandan Ke Aadami They. Sahaba-E-Kiram Se Farmaya : Munaasib Samjho To Fidyah Le Kar Unhein Aazaad Kar Do.

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-50_51.]

Posted in 3 Teesra Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Hazrat Hamzah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Qaatil Ko Tambeeh

                   Isi Tarah Jange Uhad Me Jab Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Chacha Hazrat Hamzah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Shaheed Ho Gaye Aur Un Ka Qatil Wahshi, Jo Ghair Muslim Tha, Woh Fat’h Makkah Ke Baa’d Islaam Le Aaya, Aur Kalimah Padh Kar Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sharafe Sahabiyyat Se Bahrah War Ho Gaya, Islaam Kehta Hai Ki Islaam Laane Se Pehle Kee Jitni Khataaein Ho’n, Jitne Gunaah Ho’n, Jitni Bhi Laghzishein Ho’n Woh Saari Kee Saari Mu’aaf Kar Dee Jaati Hain Lekin Chun Ki Yeh Wahshi Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Chacha Ka Qaatil Tha, Aur Us Ne Bedardi Ke Saath Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Chacha Ko Qatl Kiya Tha, Musalman Ho Gaya Us Kee Khataaein Bargahe Mustafawi Kee Taraf Se Mu’aaf Kar Dee Gayi, Us Kee Laghzisho’n Par Qalam Afw Pher Diya Gaya, Haalate Kufr Ke Saare Mazalim Tauba Ke Paani Se Dho Diye Gaye, Lekin Is Ke Baawajood Us Wahshi Se Farmaate, Ki Teri Saari Khataaein Mu’aaf Ho Chuki Hain, Aur Too Sahaabi Ban Gaya Hai, Lekin Too Mere Saamne Aane Se Gurez Kiya Kar, Mere Saamne Se Na Guzra Kar, Ke Jab Too Meri Nigaaho’n Ke Saamne Aata Hai To Mujhe Apne Pyaare Chacha Kee Shahadat Ka Manzar Yaad Aa Jaata Hai, Woh Dukh Dard Ke Zakhm Hare Ho Jaate Hain Is Liye Mere Saamne Kam Aaya Kar.

 

Un Ke Dukh Ko Dukh Jaana Un Ke Dard Me Shareek Huwe Aur Un Kee Aziyyat Par Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Bhi Takleef Huwi Aur Taweel Waqt Guzar Jaane Ke Baawajood Jab Kabhi Woh Khayaal Aa Jaata To Dukh Dard Phir Taazah Ho Jaata. So! Huzoore Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Narm Dili Aur Aap Ke Qalbe Anwar Ke Gosha-E-Rahmat Ko Jaan Lene Ke Baa’d Ab Jab Hum Nawasa-E-Rasool Kee Us Be Dardi Ke Saath Shaheed Hone Ke Waaqi’e Ko Chashme Tasawwur Me Apne Saamne Laate Hain To Ma’an Yeh Khayaal Aata Hai Ki Woh Rasool Jo Haalate Kufr Me Apne Chacha Abbas Ke Karaahne Kee Takleef Gawaara Na Kar Sake, Woh Rasool Jo Apne Chacha Hamzah Ke Be Dardi Kee Haalat Me Shahadat Ke Dard Naak Manzar Ko Kabhi Na Bhula Sake, Us Rasoole Paak SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Takleef Aur Aziyyat Ka Aalam Kya Ho Gaya Jab Diyaare Ghair Me Be Basi Aur Be Kasi Ke Aalam Me, Imam Aali Maqaam, Jigar Gosha-E-Rasool Jinhein Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apne Kandho’n Ka Sawaar Banaaya, Jinhein Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apni Goud Me Khelaaya Tha, Jin Ko Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apni Zubaane Aqdas Choosaa’i Thi Aur Jin Ko Apne Dil Ka Tukda Qaraar Diya Tha Aur Kabhi Bhi Apni Aankho’n Se Juda Na Hone Diya Tha, Aap Kee Roohe Paak Ko Karbala Ke Tapte Huwe Sahra Me Dhaaye Gaye, Zulm-o-Sitam Se Kitna Sadmah Pahuncha Hoga?

 

Aur Nabi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Sadmah Aur Aziyyat Pahunchaana Koi Ma’mooli Jurm Nahin Jo Shakhs Yeh Harkat Karta Hai Khuda Ta’ala Us Ke Liye Dunya Wa Aakhirat Me Dardnaak ‘Azaab Aur Zillat Ko Muqaddar Kar Deta Hai. To Phir Kya Aalam Hoga Un Badbakhto’n Ke Anjaam Ka, Un Kee Aaqibat Aur Aakhirat Ka Jinhone Nawasa-E-Rasool Ko Aziyyat Pahunchaayi, Khanwada-E-Rasool Kee Tauheen Kee, Aur Regzaare Karbala Me Unhein Dhab’h Kiya. Un Ke Jismo’n Par Ghode Daudaaye, Un Ke Saro’n Ko Un Ke Mubarak Jismo’n Se Juda Kiya Andazah Keejiye Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Roohe Anwar Par Gumbade Khadra’ Ke Andar Kiya Qiyaamat Beeti Hogi?

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-51_52.]

Posted in 3 Teesra Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Kee Riwayat

          Muta’addad Kutube Hadith Me Yeh Waqi’a Darj Hai. Jis Ke Raawi Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Hain Farmate Hain :

رأيت النبي صلى الله تعالى عليه و على آله وسلم فيما يرى النائم ذات يوم بنصف النهار أشعث أغبر بيده قارورة فيها دم فقلت : بأبي أنت وأمي! ما هذا؟ قال : هذا دم الحسين وأصحابه ولم أزل ألتقطه منذ اليوم.


[
Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih,/572,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 02/355.]

 

Mein Ne Neend Kee Haalat Me Dekha Ki Rasoole Paak SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Khwaab Me Mere Paas Tashrif Le Aaye, Aap Ke Sare Anwar Par Gard Hai Aur Aap Pareshaan Nazar Aate Hain Aur Aap Ke Daste Aqdas Me Aik Sheeshi Hai Aur Us Sheeshi Me Khoon Hai, Mein Hairaan Ho Gaya Aur Hairat Ke Aalam Me Pukaar Uttha, Mere Maa’n Baap Aap Par Qurbaan Ho’n Ya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam! Aap Itne Pareshaan Kyun Hain? Aur Daste Aqdas Me Yeh Sheeshi Kaisi Hai Jis Me Khoon Hai? Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ibn Abbas ! Too Dekh Ki Kalimah Padhne Waale Baa’z Badbakhto’n Ne Mere Baa’d Mere Bete Ka Kya Hashr Kiya Hai? Mein Sub’h Se Shaam Tak Saara Din Aaj Karbala Mein Guzaara Hai Aur Apne Bete Husayn Aur Us Ke Saathiyo’n, Jaan Nishaaro’n Aur Wafadaro’n Ka Khoon Is Sheeshi Me Jam’a Kiya Hai Aur Ab Yeh Khoon Le Kar Mein Apne Allah Kee Baargaah Me Jaa Raha Hoo’n Yeh Dikhaane Ki Liye Ki Un Badbakhto’n Ne Tere Rasool Ke Nawaase Ke Saath Karbala Ke Regzaaro’n Me Yeh Hashr Kiya Hai.

Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Khwaab Se Bedaar Huwe Kutube Ahadith Me Darj Hai Ki Aap Uthey Aur Aap Kee Zubaan Par Inna Lillahi Wa Inna Ilayhi Raji’oon Ke Alfaaz Jaari They. Logo’n Ne Puchha Hazrat Kya Ho Gaya Hai ? Farmane Lage :

Husayn Ibn Ali ‘Alayhima-‘s-Salam Shaheed Kar Diye Gaye Hain. Logo’n Ne Puchha :

Hazrat Yeh Kaise Pata Chala ? Farmane Lage Abhi Rasoole Paak Aik Ta’ziyati Kaifiyyat Me Mere Saamne Tashreef Laaye Aur Aap Ne Khwaab Me Mujhe Shahadate Husayn Ka Waqi’a Bayan Farmaya Hai. Chunanche Bees-20 Baa’is-22 Din Ke Baa’d Phir Jab Baa Zaabitah Shahadate Husayn Kee Ittilaa’ Hazrat Ibn Abbas Aur Ahle Makkah Ko Pahunchi. Baa’is-22 Din Pehle Jo Khabar Aap Ko Dee Gayi Thi Us Kee Tasdeeq Ho Gayi.

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-52_53.]

Posted in 3 Teesra Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Kee Riwayat

                   Doosri Taraf Wohi Do Pahar Hai Hazrat Ummi-‘l-Mu’minin Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Madinah Tayyibah Me Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ghar Me Aaraam Farma Hain Hazrat Salma Farmati Hain Ki Mein Aap Ke Paas Ya’ni Umm-il-Mu’minin Ummi Salamah Ke Paas Gayi, Yeh Woh Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Zawja-E-Mutahharah Hai Jin Ko Aaqa-E-Do Jaha’n Ne Woh Mitti Ata Kee Thi Jo Hazrat Jibra’il Ameen Regzaare Karbala Se Uthaa Kar Hazrat Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Bachpan Ke Zamaane Me De Gaye They, Aur Yeh Arz Kar Gaye They Ki Huzoor Yeh Us Maidaane Karb-o-Bala Kee Mitti Hai Jis Me Kuchh Badbakht Husayn Ibn Ali Ko Aap Ke Baa’d Shaheed Kar Denge, Aap Ne Woh Mitti Ummi Salamah Ko De De Thi Yeh Farmate Huwe Ki :

إذا تحولت هذه التربة دما فاعلمي ان ابني قد قتل


[Suyooti Fi Khasa’is Al-Kubra, 02/125,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 02/347.]

Aye Ummi Salamah Jab Yeh Mitti Surkh Ho Jaaye Ya’ni Khoon Me Badal Jaaye To Samajh Lena Ki Mera Beta Husayn Shaheed Kar Diya Gaya Hai.
Hazrat Ummi Salma Farmati Hain Ki Mein Aap Se Milne Ke Liye Gayi, Mein Ne Dekha Ki Aap Zaar-o-Qataar Ro Rahi Hain Chashmane Muqaddas Se Aansoo Rawa’n Hain. Aik Dukh Aur Dard-o-Alam Kee Kaifiyyat Taari Hai Mein Ne Puchha Umm-il-Mu’minin! Rone Ka Kya Sabab Hai? Woh Farmane Lagi’n Abhi Khwaab Me Rasoole Paak SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Tashreef Laaye They Aur Mein Ne Un Ko Dekha Hai Khuda Kee Qasam Un Kee Chashmane Muqaddas Se Bhi Aansoo Bah Rahe They.

على رأسه ولحيته التراب ، فقلت : مالك يا رسول الله ؟ قال : شهدت قتل الحسين آنفا.


[Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 04/19,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 02/356,

Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 08/200.]

Aap Ke Sare Anwar Aur Daadhi Mubarak Par Mitti Thi. Mein Ne Puchha : Aaqa! Yeh Gard Kaisi? Farmane Lage : Ummi Salamah! Abhi Apne Husayn Ke Qatl Ka Manzar Dekh Kar Aa Raha Hoo’n. Mein Maidaane Karbala Se Aaya Hoo’n. Hazrat Ummi Salamah Ne Bedaar Hote Hee Us Sheeshi Ko Uthaaya, Jis Me Mitti Bhari Padi Thi Dekha To Woh Khoon Ho Chuki Thi, Farmaane Lagi’n Ab Husayn Ibn Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Shaheed Kar Deeye Gaye Hain.

 

To Dosto’n ! Woh Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jo Us Rishte Kee Munaasibat Se Adna See Bhi Takleef Gawaara Na Farmate They Us Rasool Ko Kis Qadar Aziyyat Pahunchi Hogi? Is Liye Woh Sub’h Se Shaam Tak Apni Roohe Tayyibah Ke Mithaali Jism Ke Saath Maidaane Karbala Me They? Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Apne Nawase Husayn Kee Shahadat Ka Manzar Dekh Rahe They. Jo Nabi Khooni Rishte Kee Badaulat Apne A’izzah Wa Aqaaqrib Ke Zara See Takleef Bhi Gawaara Nahin Farmaate They Aur Un Kee Aziyyat Se Be Chain Ho Jaate They Us Saanihah Ke Wauqoo’ Ke Waqt Un Ke Dard-o-Alam Ka Andaazah Lagaya Jaa Sakta Hai! Aur Jo Bad Kirdaar, Saffaak Log, Us Qatl Me Mulawwasth They, Un Ke Khilaaf Aap Ke Nafrat Bhare Jazbaat Kaise Honge Woh Bakhoobi Ma’loom Kiye Jaa Sakta Hain. Isi Haadithe Kee Taraf Ishaarah Farmaate Huwe Aap Ne Aik Baar Farmaya Tha Ki :

“Mein Dekhta Hoo’n Aik Dhabbe Daar Kutte Ko Woh Mere Ahl-E-Bayt Ke Khoon Se Haath Rang Raha Hai.”

Jab Imam Husayn Maidane Karbala Me Pahunche Aur Shimr Dhi-‘l-Jawshan Talwaar Lehraata Huwa Us Shaahsawaar Ke Saamne Aaya To Us Kee Shakal Dekhte Hee Pukaar Uthe Ki Mere Naana Ne Sach Farmaya Tha Ki Mein Aik Dhabbe Daar Bars Waale Kutte Ko Dekhta Hoo’n Ki Mere Bete Ke Khoon Se Haath Rang Raha Hai. Aye Badbakht Shimr! Too Hee Woh Kutta Hai Jis Kee Nisbat Mere Naana Ne Khabar Dee Thi Aur Mein Tere Bars Ko Dekh Raha Hoo’n, Aur Dekh Raha Hoo’n Tere Anjaam Ko Ki Anqareeb Too Hamaare Khoon Se Apne Haath Rangega. Ibn Asaakir Ne Is Riwayat Ko Bayan Farmaya Hai.

Chunanche Jis Tarah Mein Ne Pehle Arz Kiya Ki Un Ka Sare Anwar Aur Deegar Shuhda-E-Karbala Ke Saro’n Ko Tano’n Se Juda Kar Diya Gaya.

 

Ab Shaam Ho Chuki Thi Un Zaalimo’n Ne Raat Usi Maidaan Me Basar Kee Andaazah Keejiye Ki Woh Raat Kaisi Qayamat Kee Raat Hogi Khanwadae Rasool Kee Muqaddas Bibiya’n Khaimo’n Me Hain Aur Raat Chhaa Gayi Hai, Aur Tan Sar Se Juda Hain! Aur Is Tarah Bahattar-72 Shuhada’ Ke Tan Aik Taraf Aur Sar Aik Taraf Regazaare Karbala Me Darya-E-Furaat Ke Kinaare Par Hain. Saari Raat Is Qayamat Kee Kaifiyyat Me Basar Ho Gayi.

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-53_55.]

Posted in 3 Teesra Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Shahadat Ke Baa’d Taareeki Aur Khoon Kee Baarish

                   Hazrat Allama Ibn Hajar Makki, Hazrat Imam Suyooti, Ibn Athir, Allama Ibn Jarir Tabari, Allama Ibn Kathir Wa Deegar Aa’imma-E-Hadith Ne Bhi Apni Apni Kutub Me Bayan Farmaya Hai Ki :

Ahl-E-Bayte At’har Salam Allah ‘Alayhim Kee Shahadat Ke Maaba’d Nataa’ij Wa Alaamaat Se Pehle Hee Aagaah Kar Diya Gaya Tha Ki Jab Unhein Be Dardi Aur Zulm Ke Saath Shaheed Kar Diya Jaaega To Zameen Wa Aasmaan Khoon Ke Aansoo Roenge. Chunanche Shahadate Imame Husayn ‘Alayh-is-Salam Ke Baa’d Pesheengoyi Minn-o-An Poori Huwi.

لما قتل الحسين اسودت السماء وظهرت الكواكب نهاراً


[Haytami Fi As-Sawa’iq-ul-Muhriqah,/92,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 02/354.]

 

Jab Imam Husayn Shaheed Huwe To Aasmaan Siyaah Ho Gaya Aur Taareeki Ke Baa’ith Din Ko Taare Nazar Aane Lage.

Baa’z Kutub Me Hai Ki Teen Din Tak Aasmaan Kee Rangat Surkh Rahi Jis Par Andhere Ka Gumaan Hota Tha. Baa’z Mu’arrikheen Ne Yeh Muddat Saat Din Bayaan Kee Hai. Har Taraf Khoon Kee Baarish Hone Lagi Bayt-ul-Maqaddas Tak Jaha’n Kahin Bhi Koi Shakhs Apne Matke Se Us Ka Dhakkan Uthaata To Us Me Paani Kee Jagah Khoon Nazar Aata Zameen Ke Jis Maqam Se Patthar Ka Tukda Uthaaya Jaata Us Tukde Ke Neeche Se Khoon Ka Fawwarah Rawa’n Ho Jaata, Al-Gharaz Har Soo Zameen Bhi Qatle Husayn Par Ro Rahi Thi Aur Aasmaan Bhi Shahadate Husayn Par Ro Raha Tha. Umm-il-Mu’minin Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Farmati Hain Rabbe Dhi-‘l-Jalaal Kee Izzat Kee Qasam! Husayn Kee Shahadat Ke Din Mein Ne Jinnat Ko Bhi Rote Huwe Dekha, Un Ko Bhi Yeh Kehte Huwe Suna Ki Badbakht Aur Badnaseeb Hain Woh Log Jinhone Rasool Ke Bete Ko Shaheed Kar Ke Apne Oopar Rasool Kee Shafa’at Ka Darwazah Band Kar Liya Hai.

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-55_56.]

Posted in 3 Teesra Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Sare Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Safar

                    Raat Guzar Gayi Sub’h Un Muqaddas Saro’n Ko Nezo’n Par Uthaaya Gaya, Oonto’n Kee Sawaariyo’n Par Muqaddas Biwiyo’n Ko Bithaya Gaya Aur Yeh Luta Pita Saara Qaafila Sooe Koofah Rawanah Ho Gaya, Zaalim Yazeedi Us Qaafile Ko Le Kar Koofah Kee Taraf Rawana Ho Gaye. Raat Ko Ibn Sa’d Ke Lashkar Me Se Kisi Ne Chaaha Ki Hazrat Zayn-ul-Aabidin Ko Bhi Shaheed Kar De Lekin Ibn Sa’d Ne Kaha Bimaar Baccha Hai, Ise Rahne Do!

 

Mashiyyate Iyzidi Yahi Thi Ki Koi Mard Un Me Zaroor Rahe Jis Ne Sab Kuchh Apni Aankho’n Se Dekha Ho Aur Woh Haalaat Ka Ayni Shaahid Ho.

Doosre Roz Lashkare Yazeed Ne Apni Tamam Laasho’n Ko Jam’a Kiya Aur Unhein Dafn Kar Ke Rawangi Ka E’laan Kar Diya, Magar Ahl-E-Bayte Kiram ‘Alayhim-us-Salatu Wa’s-Salam Kee Laasho’n Ko Dafn Karne Kee Koi Zaroorat Mahsoos Na Kee, Be Ghairat Kameene Logo’n Ne Imame Paak Ke Khandan Aur Saathiyo’n Ke Jismo’n Aur Laasho’n Ko Usi Jagah Be Goro Kafan Chhod Diya.

 

Furaat Ke Kinaare Aik Qabeela-E-Banu Sa’d Aabaad Tha Jab Unhein Yeh Pata Chala Ki Yazeedi Log Ahl-E-Bayte At’har ‘Alayhim-us-Salam Kee Laasho’n Ko Khule Aasmaan Tale Chhod Kar Chale Gaye Hain Woh Fauran Waha’n Pahunche Aur Shuhda’ Ke Mubarak Jismo’n Ke Kafan Dafan Ka Intizaam Kiya.

 

Yazeediyo’n Ka Qaafila Ahl-E-Bayte Kiram Salam Allah ‘Alayhim Ke Hamrah Koofah Daakhil Huwa Shuhada’ Ke Sar Un Ke Paas They. Woh Sab Ibn Ziyad Ke Saamne Pesh Kar Deeye Gaye. Hazrat Imam Paak Ka Sar Mubarak Khooli Ke Paas Tha Woh Kisi Wajah Se Barwaqt Darbaar Me Nahin Pahunch Saka  Aur Sar Mubarak Apne Hamraah Apne Ghar Le Gaya. Apni Biwi Se Kehne Laga : Aaj Mein Tere Liye Dunya Wa Jahaan Kee Daulat Le Kar Aaya Hoo’n Is Ka Matlab Yeh Tha Ki Jab Yeh Sar Ibn Ziyad Ke Saamne Pesh Hoga To Bahutsa In’aam Milega.
Sang Dil Khooli Lambi Taan Kar So Gaya Magar Us Kee Biwi Sar Mubarak Ke Saamne Baith Gayi Aur Saari Raat Ro Ro Kar Guzaar Dee. Us Ne Dekha Ki Zameen Se Asmaan Tak Noor Hee Noor Phaila Huwa Hai Aur Sar Mubarak Ke Ird Gird Ajeeb Shakl Ke Noorani  Paikar Tawaaf Kar Rahe Hain Kuchh Nahin Kaha Jaa Sakta Ki Woh Hoor Wa Firishte Hain, Is Jaha’n Kee Makhlooq Hain Ya Aalame Baala Se Aaye Huwe Mala’ikah Hain Woh Saari Raat Yahi Nazaare Karti Rahi.
Sub’h Badbakht Khooli Utha Aur Imam Paak Ka Sare Anwar Ibn Ziyad Ke Paas Le Gaya Imam Aali Maqaam Ka Sare Anwar Baaqi Saro’n Ke Saath Aur Khanwada-E-Rasool Ke Baaqi Qaidiyo’n Ke Saath Us Badbakht Ibn Ziyaad Ke Takht Ke Saamne Pesh Kiya Gaya Woh Badbakht Us Waqt Takht Par Baitha Tha Us Ke Haath Me Chhadi Thi Us Ne Chhadi Le Kar Sayyidina Imam Husayn Ke Dandan Mubarak Par Maari Aur Kaha Dekho! Sar Akda Kar Chalne Waale! Aaj Too Apne Anjaam Ko Pahunch Gaya. Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Aik Naabina Sahabi Jo Ki Bilkul Naabina Na They Nazar Kuchh Kamzor Thi Woh Bahut Budhe Ho Chuke They Un Ka Naam Zayd Bin Arqam Tha Woh Majlis Me Mawjood They. Ibn Zayd Ne Chhadi Ko Jab Imame Aali Maqam Ke Mubarak Labo’n Par Dekha To Woh Cheekh Uthe Aur Kaha Ki Kuchh To Haya Kar! Mein Ne Apni Aankho’n Se Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Labo’n Ko In Ke Labo’n Par Dekha Hai Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam In Labo’n Ko Chooma Karte They, Us Ne Kaha Ki Aye Zayd Bin Arqam! Agar Aap Rasool Ke Sahaabi Aur Budhe Na Hote To Mein Aap Ka Sar Qalam Kar Deta.

 

Zaalim! Tujhe Kya Haya Hai Huzoor Ke Sahabi Ka, Jis Rasool Ke Lakhte Jigar Se Tum Yeh Sulooq Kar Rahe Ho Us Rasool Ke Sahabi Se Haya Karne Ka Tumhein Kya Haque Pahunchta Hai? Ibn Ziyad Ne Yeh Sab Kuchh Karne Ke Baa’d Yazeed Kee Khushnudi Ke Liye Imam Aali Maqam Ka Sare Anwar Deegar Saro’n Ke Juloos Ke Saath Aur Unhein Khanwada-E-Rasool Kee Barguzidah Qaidiyo’n Ke Saath Yazeed Kee Taraf Dimashq Rawana Kar Diya.

 

Jab Yeh Qaafila Dimashq Kee Taraf Rawana Huwa To Raaste Me Aik Girje Ke Qareeb Padaao Kiya Waha’n Unhone Jali Huroof Me Aik Pahaadi Par Surkh Rang Ke Saath Yeh She’r Likha Huwa Dekha :

أترجو أمّةٌ قتَلَـت حسينـاً       شفاعةَ جَدِّهِ يومَ الحسابِ ؟!

“Jis Qaum Ne Husayn Ko Qatl Kar Diya Hai Kya Woh Qiyaamat Ke Din In Ke Naana Jaan Kee Shafa’at Kee Ummid Rakhte Hain?”
Ahle Qaafila Ne Jab Yeh Ajeeb-o-Gharib She’r Padha To Un Ke Raungte Khade Ho Gaye Kuchh Samajh Na Sake Ki Yeh She’r Is Pahaadi Par Is Qadar Numaaya Soorat Me Kaise Mastoor Ho Gaya. Abhi In Par Hairat Aur Dahshat Ka Aalam Taari Tha Ki Us Girje Me Se Aik Isaa’i Paadri Un Ke Qareeb Aaya Ahle Qafile Ne Us Kee Aamada Ko Ghaneemat Jaana Aur Puchha Ki Yeh She’r Yaha’n Kab Se Likha Huwa Hai? Us Ne Kaha Mujhe Ma’loom Nahin, Hum To Apni Paida’ish Ke Waqt Se Dekhte Aa Rahe Hain Aur Hamaare Bade Buddhe Bataate Hain Ki Nabiyye Karim SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bi’that Se Bhi Sadiyo’n Pehle Yeh She’r Yahin Likha Huwa Tha Aur Yeh Arse Se Chala Aa Raha Hai. Yeh Bataane Ke Liye Ki Zaalimo’n! Woh Badbakht Giroh Tum Me Se Hoga Jo Tumhein Kalimah Padhaane Waale Nabi Ke Nawaase Ko Shaheed Kar Dega. Us Raahib Ne Jab Yeh Kaifiyyat Dekhi To Puchha Yeh Sar Kis Ka Hai? Yeh Qaafila Kaisa Hai? Yeh Maajra Kya Hai? Us Raahib Ko Bataaya Gaya Ki Yeh Sar Husayn Ibn Ali Ka Hai, Nabi Ke Lakhte Jigar Ka Sar Hai, Yeh Un Ke Khandan Kee Muqaddas Bibiyo’n Ka Qaafila Hai, Yeh Un Kee Awlaad Ke Muqaddas Sar Hain.
Woh Raahib Kaanp Utha, Us Ka Jism Laraz Gaya Woh Kehne Laga Zaalimo’n Mein Tumhein Das Hazar-10.000 Dinaar Deta Hoo’n, Das Hazar Ke Badle Aik Raat In Saro’n Kee Mehmaani Mujhe Ata Kar Do! Mein Isaa’i Hoo’n, Mein Tumhaare Deen Par Imaan Nahin Rakhta, Mein Tumhaara Kalimah Nahin Padhta Lekin Musaafir Samajh Kar Mein Chaahta Hoo’n Ki Aik Raat Khidmat Kar Loo’n.

 

Woh Zaalim Seem-o-Zar Ke Ghulaam They, Un Logo’n Ne Das Hazaar Dinaaro’n Kee Khaatir Aik Raat Raahib Ke Paas Padaao Qubool Kar Liya. Raahib Ne Apne Ghar Ko Khaali Kar Liya Parda Daar Muqaddas Bibiyo’n Ko Ghar Ke Chaar Diwaari Me Mahfooz Rakkha Apni Khawaateen Se Kaha Ki Raat Bhar Un Kee Khidmat Karo Yeh Musalmano’n Ke Nabi Kee Betiya’n Hain. Aur Khud Imam Aali Maqam Ke Sare Anwar Ko Aik Dhoye Huwe Saaf Ujle Tasht Me Rakh Liya, Raat Ko Aik Pyaala Paani Le Kar Us Sare Anwar Ko Dhoya Us Kee Gard Saaf Kee, Rishe Mubaarak Par Khooshbu Lagaayi Phir Saari Raat Sare Anwar Ke Saamne Haath Baandh Kar Khada Raha Zaar-o-Qataar Rota Raha Aur Yeh Kehta Raha : Aye Husayn! Mein Musalman Nahin Hoo’n, Aap Ke Naana Jaan Ka Kalimah Nahin Padha Phir Bhi Yeh Khaufnaak Manzar Dekhne Se Qaasir Hoo’n, Yeh Harees-o-Dhaleel Aur Zaalim Log Kis Be Dardi Se Aap Ke Khandan Ko Dhib’h Kar Ke Badi Be Parwaahi Se Safar Kar Rahe Hain Unhein Ihsaas Hee Nahin Ki Unhone Kitna Bada Jurm Kiya Hai.

Saari Raat Us Khidmat Ke Iwaz Khanwada-E-Rasool Kee Muqaddas Bibiya’n Us Raahib Ko Du’aaein Deti Rahin, Sare Husayn Bhi Zubaane Haal Se Use Du’aaein Deta Raha, Yaakayak Us Kee Qismat Ka Sitaarah Chamka, Us Kee Aankho’n Ke Aage Se Hijaabaat Uth Gaye, Aur Woh Noor Jo Khooli Kee Biwi Ne Dekha Tha Woh Arsh Se Zameen Tak Us Kee Aankho’n Par Bhi Munkashif Ho Gaya Us Ne Dekha Ki Aik Noor Utara Hai Aur Husayn Ke Sar Ke Ird Gird Tawaaf Kar Raha Hai. Jab Us Ne Yeh Hairat Angez Manzar Dekha, Aur Sare Aqdas Ke Ru’b-o-Jalaal Ka Mushaahidah Kiya, To Us Ke Dil Kee Kaifiyyat Hee Badal Gayi, Us Kee Muhabbat Aur Husne Aqidat Ka Silah Milne Ke Intizaamaat Ho Gaye Us Waqt Us Ka Baatin Jagmaga Utha, Seena Raushan Ho Gaya Aur Us Ne Fauran Kalimah Padh Liya, Ab Us Ke Liye Ahle Bayte Kiram ‘Alayhim-us-Salam Se Doorr Rahna Naa Mumkin Ho Gaya. Chunanche Jab Yeh Qaafila Rawaana Huwa To Woh Bhi Un Ke Saath Ho Liya, Apni Manzilein Tay Karta Huwa Jab Yeh Qaafila Yazeed Ke Darbar Me Pahuncha To Woh Pehle Hee Se Us Ka Muntazar Tha Aur Badi Ra’oonat Ke Saath Apne Takht Par Baitha Huwa Tha Aik Chhadi Us Ke Haath Me Thi.
Jab Sare Husayn Us Ke Saamne Rakkha Gaya To Us Ke Tan Badan Me Aag Lag Gayi Chhadi Aap Ke Dandaan Mubaarak Par Maari Aur Daant Pees Kar Bola : Tum Apne Anjaam Ko Pahunch Gaye Ho.

Waha’n Bhi Darbaar Me Huzoor Nabiyye Karim SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Aik Buzurg Sahabi Hazrat Aboo Barzah Aslami RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bhi Mawjood They, Woh Yeh Be Adabi Bardaasht Na Kar Sake Aur Yazeed Ko Daant Kar Farmaane Lage Zaalim! Is Behoodah Harkat Aur Gustaakhi Se Baaz Aaja Mein Ne Baaraha Dekha Ki Huzoor Nabiyye Karim SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam In Honto’n Ko Chooma Karte They Aur Husayn In Honto’n Ke Saath Zubaane Nubuwwat Choosa Karte They.

Yazeed Paleed Ko Sahabi Kee Yeh Tanqeed Pasand Na Aayi Aur Un Kee Yeh Baat Sakht Naa Gawaar Guzri Chunanche Unhein Darbaar Se Nikaal Diya.

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-56_60.]

Posted in 3 Teesra Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Safeere Rome Kee Hairat Aur Tanqeed

                   Majlis Me Rome Ka Aik Isaa’i Safeer Bhi Maujood Tha Woh Yeh Sab Kuchh Dekh Kar Hairaan Rah Gaya Aur Mu’aamale Kee Tah Tak Na Pahunch Saka, Aakhir Us Se Na Raha Gaya Aur Bola Bataao To Sahi Yeh Kis Ka Sar Hai Jis Ke Labo’n Par Yazeed Chhadi Maar Raha Hai Aur Nafrat Ke Saath Labo’n Par Chhadi Maar Kar Bade Tafaakhur Se Aur Badi Tamkanat Ke Saath Fir’awniyyat Ke Roop Me Yeh Keh Raha Hai Ki Kaash! Aaj Ghazwa-E-Badr Me Marne Waale Mere Bade Zinda Hote To Mein Unhein Bataata Ki Dekho Hum Ne Tumhaare Marne Ka Badla Nabi Ke Khaandaan Se Le Liya Hai.

 

Yazeed Ke Is Khule E’laan Ke Baa’d Kya Ab Bhi Us Ke Imaan Daar Hone Ka Koi Imkaan Baaqi Rahta Hai? Kya Ab Bhi Islaam Ke Saath Aur Jannat Ke Saath Aur Aakhirat Ke Saath Yazeed Ke Kisi Ta’alluq Ka Koi Tasawwur Kiya Ja Sakta Hai, Jo Barmala Us Nawasa-E-Rasool Ke Labaane Aqdas Par Chhadi Maar Kar Yeh Keh Raha Hai Ki Agar Aaj Mere Buzurg Zinda Hote, Jo Sahaba-E-Kiram Ke Haatho’n Maidane Badr Me Maare Gaye They To Mein Unhein Bataata Ki Tumhaare Qatl Ka Badla Mein Ne Husayn Kee Soorat Me Nabi Ke Khaandaan Se Le Liya Hai.

 

Be Ta’alluq Tha Is Badbakht Ka Allah Ke Nabi Aur Us Ke Khandan Aur Us Ke Deen Ke Saath, Woh Isaa’i Puchhne Laga Bataao To Sahi Yeh Koun Hai? Logo’n Ne Bataaya : Yeh Hamaare Rasool Ka Beta Hai, Woh Isaa’i Kaanp Utha Aur Uth Kar Khada Ho Gaya Aur Majlis Me Kehne Laga Zaalimo’n! Mujhe Koi Shub’ha Nahin Raha Ki Tum Qadre Naashanaas, Zaalim Aur Dunya Parast Ho Is Liye Ki Hamaare Pasas Aik Girje Me Hazrat Isaa ‘Alayh-is-Salam Kee Sawaari Ke Paaun Ka Aik Nishaan Mahfooz Hai Hum Saari Kee Saari Ummat Saalha Saal Se Us Nishaan Kee Takreem Karte Aa Rahe Hain Aur Tumhaare Ka’be Kee Tarah Chal Kar Us Kee Ziyaarat Ko Jaate Hain. Hum Apne Nabi Kee Sawaari Ke Paaun Ke Nishaan Ko Hirze Jaan Banaaye Huwe Hain Aur Tum Apne Nabi Ke Bete Ke Saath Yeh Sulook Kar Rahe Ho?

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-60_61.]

Posted in 3 Teesra Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Aik Yahoodi Kee La’nat Malaamat

                   Waha’n Us Majlis Me Aik Yahoodi Bhi Maujood Tha Us Ne Bataaya Ki Mein Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Kee Nasl Se Hoo’n Aur Ab Tak Sattar-70 Pushtein Guzar Chuki Hain Lekin Is Ke Baawajood Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Ummati Meri Be Had Ta’zeem Karte Hain Aur Aik Tum Ho Ki Apne Nabi Ke Nawaase Ko Be Dardi Se Qatl Kar Diya Hai Aur Ab Us Par Fakhr Bhi Kar Rahe Ho Tumhaare Liye Doob Marne Ka Maqaam Hai Apni Badbakhti Par Jitna Bhi Maatam Karo Kam Hai.

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-61.]

Posted in 3 Teesra Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Yazeed Kee Manafiqanah Siyaasat

                   Al-Gharaz Is Qism Kee Guftagu Aur Waqe’at Darbare Yazeed Me Pesh Aaye Is Ke Baa’d Us Badbakht Ne Khushi Manaayi Aur Fakhr Kiya. Ibn Ziyad Ko In’aam-o-Ikraam Diya Lekin Baa’d Me Jab Us Ne Dekha Ki Logo’n Ke Tewar Badal Rahe Hain Aur Jis Iktidaar Kee Khaatir Us Ne Yeh Saare Mazaalim Dhaaye Hain Woh Khatre Me Hai Aur Log Us Se Sakht Nafrat Karne Lag Gaye Hain To Us Ne Fauran Paintara Badla Aur Bhola Miskeen Ban Kar Kehne Laga :

“Bura Ho Ibn Ziyad Ka Jis Ne Maidane Karbala Me Ahl-E-Bayt Kee Tauheen Kee Aur Un Ke Chidah Chidah Afraad Ko Qatl Kiya Aur Nihaayat Saffaaki Aur Be Rahmi Ka Suboot Diya, Mein Us Ke Is Fi’l Par Khush Nahin Hoo’n, Agar Woh Husayn Ko Zinda Le Aata To Mujhe Ziyaada Khushi Hoti Magar Is Sitamgar Ne Bahut Jabar Kiya Hai Aur Zulm-o-Sitam Kee Intiha Kar Dee Hai Khuda Is Par La’nat Kare, Woh Bahut Badi La’nat Wa Malaamat Ka Mustahiq Hai.”

 

Yazeed Kee In Munafiqana Baato’n Kee Bunyaad Par Baa’z Kotaah Andesh Is Ghalat Fahmi Ka Shikaar Ho Gaye Hain Ki Woh Qatle Husayn Se Khush Na Tha Aur Us Ne Us Waqi’a Se Be Had Sadmah Pahuncha Tha.

Aisi Soch Rakhne Waale Se Hum Puchhte Hain Ki Agar Woh Ibn Ziyad Kee Is Kaarwaa’i Se Naakhush Tha To Phir Un Se Aur Ibn Sa’d Se Qisaas Kyun Na Liya? Chalo Qatl Ka Qisaaas Lena Doorr Kee Baat Hai, Un Dono’n Ko Ma’zool Kyun Na Kiya? Ya Un Ke Uhdo’n Me Kami Kyun Na Kee? In Sab Soorto’n Ke Bar Aks Hum Dekhte Hain Ki Us Ne Un Se Baazpurs Tak Na Kee Na Koi Saza Dee.

Yeh Soorate Haal Is Baat Kee Daleel Hai Ki Woh Andar Se Khush Tha Un Kee Kaarwaa’i Ko Haque-E-Bi-Jaanib Jaanta Tha, Baa’d Me Us Ne Jo Magarmachh Ke Aansu Bahaaye Aur Chikni Chupdi Baatein Kee’n Woh Sab Apne Siyaasi Anjaam Se Bachne Aur Iqtedaar Ko Dawaam Bakhshne Ke Liye Thi’n. Kyun Ki Qatle Husayn Ne Us Ke Takhte Iqtedaar Ko Hila Kar Rakh Diya Tha.

Baa’d Azaa’n Us Zaalim Ne Imam Aali Maqam Ke Sar Aur Baaqi Saro’n Ke Baare Me Kaha Ki Inhein Dimashq Ke Baazaro’n Me Phiraaya Jaaye. Kya Yahi Yazeed Jo Qatle Husayn Par Khush Nahin Hai Agar Khush Nahin To Phir Kya Qatle Husayn Ke Baa’d Koi Gunjaa’ish Rah Gayi Thi Jo Us Ne Saro’n Kee Numaa’ish Ka Bhi Ihtimaam Kiya.

Yazeed Paleed Ibn Ziyad Aur Ibn Sa’d Kee Saffakaana Kaarkardagi Se Badal-o-Jaa’n Khush Tha Aur Mahz Oopar Se Lipa Poti Kar Raha Tha Ki Log Badzan Na Ho Jaaein Us Kee Aik Daleel Yeh Bhi Hai Ki Ahl-E-Bayt ‘Alayhim-us-Salam Ke Qaafile Ko Dimashq Ke Baazaaro’n Me Phiraaya Gaya, Shuhada’ Ke Saro’n Kee Numa’ish Kee Gayi Aur Nezo’n Par Latke Huwe Un Saro’n Ka Juloos Bhi Nikaala Gaya.

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-61_63.]