04. ‘Izzat Ma’ab Al-Shaykh As‘ad Muhammad Sa‘id Al-Sagharji
(Mufti-e A‘zam Hanafiyyah, Sham)
﷽
Hazrat Shaykh-ul-Islam Doctor Muhammad Tahir-ul-Qadri Hafizahu Allahi Ta’ala Kee Nazar
Tamam Ta’reefein Allah Ta’ala Ke Li’e Hain Jo Buladn-Tarin Martaba Ka Haamil Aur Tamaam Aibo’n Se Paak Hai. Usi Ne Apne Auliya’ Ke Sino’ Ko Apne Zikr, Shukr Aur Husne Ibaadat Ke Li’e Khola Aur Tamam Azamat-o Fazilat Faqat Usi Ko Zeba Hai. Wohi Hai Jis Ne Qiyaamat Tak Ke Li’e Apne Deen Kee Hifaazat Ka Wa’da In Alfaaz Me Farmaaya: “Be Shak Yeh Zikr (Ya’ni Qur’a Karm) Ham Ne Naazil Kiya Hai Aur Ham Hee Us Kee Hifaazat Farmaane Waale Hain.” Aur Usi Ke Li’e Thana Hai Jis Ne Hame’n Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Nisbat Ata Kee Aur Behtarin Ummat Ka Fard Banaya. Is Ummat Ke Ulama-e Aamilin Se Muzayyab Aur Auliya’-e Mukhlisin Se Muzayyan Kiya Ta ki Us Ke Makhlooq Par Us Ke Hujjate Istimraaran Poori Hoti Rahe. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Isi Li’e Farmaaya: “Meri Ummat Kee Misaal Baarish (Ke Qatro’n) Kee Maanind Hai Lehaaza Unhe’n Ma’loom Us Ka Pehla Hissa Behtar Hai Ya Aakhiri.”
Is Ke Ba’d Kaamil-Tarin Durood-o Salaam Ho Hamaare Aaqa-o Mawla Hazrat Muhammad Mustafa SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par, Jo Ma’arife Ilaahiyyah Ke Aaftaab, Anwaare Haqaa’iq Ka Noor, Zaate Haqq Ke Naa’ibe Awwal Aur Husne Akhlaaq Me Tamaam Makhlooqaat Par Fauqiyyat Rakhne Waale Hain. Unhone Na Sirf Nasle Insaani Ko Raushan-Tarin Raah Dikhaa’i Balki Apne Ba’d Do Aisi Chize’n Bhi Chhod Kar Ga’e Jin Ko Thaame Rakhne Se Insaaniyyat Kabhi Gumraah Nahin Ho Sakti Aur Woh Do Chizi’n Hain: Kitabullah Aur Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Itrat(Ahle Bayt), Jo Paakiza-Tarin Hain.
Allah Ta’ala ne Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Da’wate Haqq Ko Aage Badhaane Ke Li’e Aise A’imma-e Uzaam Ka Tasalsul Qaa’im Farmaaya Jo Tamaam Taalibaane Hidaayat Ke Li’e Raushan Charaagh They, Allah Ta’ala Hame’n Un Kee Mahabbat, Apne Nabi Karim SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Mahabbat Aur Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ahle Bayt Kee Mahabbat Par Zinda (Aur Qaa’im-o Daa’im) Rakhkhe. (Aameen).
Amma Ba’d! Be Shak Hadithe Nabawi Ka Ilm Qur’ani Usloom Se Ham Aahangi Ke Sabab Digar Tamaam Uloom Se Qadr-o Mazilat Me Afzal Hai Aur Aisa Kyun Na Hota Ki Yehi To Qur’ani Ijmaal Kee Tafsil Aur Qur’ani Ahkaam Kee Sharh Hai. Yeh Ek Musallama Amr Hai Ki Allah Ta’ala Ne Har Zamaane Me Is Ilm Kee Tarwij Ke Li’e Aise Rijaale Kaar Paida Ki’e Jinhone Mukhtalif Adwaar Me Is Ilm Ke Nazm-o Zabt Ke Hawaale Se Shaandaar Kaarnaame Sar-Anjaam Di’e, Jin Me Imaam Bukhaari Wa Digar A’imma Shaamil Hain. Un Tamaam A’imma-e Islam Ne Apne Ba’d Aane Waalo’n Ke Li’e Ahaadithe Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Jam’a-o Tartib Ke Li’e Ek Siraate Mustaqim Wad’a Kiya Aur Is Tarh Woh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Is Du’a Ke Mustahiq Thehre Jis Me Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaaya:
“Allah Ta’ala Us Shakhs Ko Tar-o Taaza Rakhkhe Jis Ne Mera Farmaan Suna Aur Use Achchi Tarh Samjha Aur Phir Usi Tarh Aage Pahonchaaya Jis Tarh Us Ne Suna. Pas Bohat Saare Log Jinhe’n Woh Farmaan Pahonchaaya Gaya (Baraahe Raast) Sun’ne Waale Se Ziyaada Samajhdaar Hote Hain.”
Mujhe Shaykh-ul-Islam, Allama Zamaa’n, Faride Dauraa’n, Naabigha-e Asr, Rehnuma-e Asraare Haal-o Qaal, Aalime Baa-Amal, Aarife Billah, Shaukate Silsila-e Qadriyya, Saahibe Tasaanife Kasira Doctor Muhammad Tahir-ul-Qadri Kee Buland Paaya Taalif “Al-Minhaj Al-Sawi Mina Al-Hadith Al-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam” Dekhne Ka Mauqa’ Mila, Yeh Kitaab Aisi Ahaadith Par Mushtamil Hai Jin Se Har Musalmaan Apne Nafs-o Rooh Kee Islaah, Ta’mire Shakhsiyyat-o Islaahe Mu’aashara Aur Apne Rabb Ke Saath Ta’alluqe Bandagi Qaa’im Karne Me Rehnumaa’i Le Sakta Hai.
Is Kitab Me Mu’allif Ne “Mukhtasaru Al-Jawahiri Al-Bahirah Fi Al-Asanidi Al-Tahirah” (A’imma-e Hadith-o Tasawwuf Ke Turuq Se Mu’allif Kee Muskhtasaran Asaanid) Aur “Al-Khutbatu Al-Sadidah Fi Usooli Al-Hadithi Wa-Furoo’i Al-‘Aqidah” (Muqaddama-e Usoole Hadith-o Furoo’aate Aqidah) Samet Sola(16) Abwaab Qaa’im Ki’e Hain (Jin Kee Tafsil Kitaab Me Mulaahaza Farmaa’e’n).
الباب الأول في علامات الإيمان والإسلام والإحسان وحقيقة الإيمان وعلامات المؤمن وأوصافه وعلامات المسلم وأوصافه وعلامات المحسن وأوصافه وعلامات النفاق والمنافق وغيرها.
الباب الثاني في حکم الخوارج والمرتدين والمتنقصين النبي صلي الله عليه وآله وسلم.
الباب الثالث في العبادات والمناسک وفي فضل الصلاة المکتوبة وفي السنن والنوافل والصيام وقيام رمضان وفضائل مکة والمدينة وفضل الصدقة علي الأقارب.
الباب الرابع في کيفية صلاة النبي صلي الله عليه وآله وسلم.
الباب الخامس في صلاة التراويح.
الباب السادس في الدعاء بعد الصلوات المکتوبة.
الباب السابع في الإخلاص والرقائق والزهد في الدنيا والصدق والإخلاص وثواب الحب في اﷲ تعالي وحسن الظن به والبکاء من خشية اﷲ تعالي والقناعة وترک الطمع والتوبة والاستغفار والأذکار والتسبيحات.
الباب الثامن في فضل العلم والأعمال الصالحة وفضل الدعاء وفضل العلم والعلماء وفضل الصلاة والسلام علي النبي صلي الله عليه وآله وسلم وزيارة القبور وفضل الذکر والذاکرين وفضل قيام الليل وفي المدائح النبوية و إنشادها وفضل إيصال الثواب إلي الأموات.
الباب التاسع في عظمة الرسالة وشرف المصطفيٰ صلي الله عليه وآله وسلم وأن الأنبياء أحياء في قبورهم بأجسادهم وأن الأمة تسأل عن مکانة النبي صلي الله عليه وآله وسلم في القبور وثواب حبّ النبي صلي الله عليه وآله وسلم والتبرّک بآثاره والتوسّل بالنبي صلي الله عليه وآله وسلم والصالحين وفي شرف النبوة المحمدية صلي الله عليه وآله وسلم.
الباب العاشر في مناقب النبي صلي الله عليه وآله وسلم وأهل البيت والخلفاء الراشدين والصحابة الأجلاء والإمام المهدي ومناقب الأئمة الفقهاء والأولياء والصالحين.
الباب الحادي عشر في معجزات النبي صلي الله عليه وآله وسلم وکرامات الأولياء والصالحين رضي الله عنه.
الباب الثاني عشر في فضل آخر الأئمة المحمدية وعدم اجتماعها علي ضلالة وبعث المجددين في هذه الأمة وشرف الأمة المحمدية.
الباب الثالث عشر في الاعتصام بالسنّة وتجنّب البدعة السيّئة.
الباب الرابع عشر في البِرّ والصلة والحقوق وبرّ الوالدين وصلة الأرحام.
الباب الخامس عشر في آداب اللقاء وحسن الکلام وحفظ اللسان وآداب المجالس والسفر والطعام والشراب.
الباب السادس عشر في الأحاديات والثنائيات والثلاثيات.
Mutazakkira-e Baala Tamaam Abwaab Ko Allah Ta’ala Ke Amr “Wa-Tu’azziroohu Wa-Tuwaqqiroohu” Kee Pairwi Karte Hu’e, Mid’hateRasool SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Taaj Pehnaaya Gaya Hai Ba’i’n Taur Yeh Kitaab Jaha’n Aashiqaane Rasool Aur Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Durood-o Salaam Padhne Waalo’n Ke Li’e Baa’ise Masarrat Hai Waha’n Ek Jaame’ Majmoo’a-e Ahaadith Bhi Hai. Imam-ul-A’imma Aboo Zakariyya Nawawi Quddisa Sirrohoo Kee “Riayad Al-Salihin” Ke Ilaawa Is Muraqqa’e Hadith Kee Ko’i Aur Nazir Mujhe Nahin Mili. Go Yeh Kitaab Bohat Saare Abwaab Me Riyad Al-Salihin Se Mushaabahat Rakhti Hai Balki Ba’z Ahaadith Ke Lehaaz Se Us Se Bhi Badh Kar Hai. Khaas Taur Par Is Ka Muqaddama Jo Ki “Al-Khatib Al-Sadidah Fi Usool Al-Hadith Wa-Furoo’ Al-Aqidah” Ke Naam Se Mausoom Hai. Yeh Kitaab Jis Tarh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Aqwaal, Af’aal-o Ahwaal Kee Jaame’ Hai Isi Tarh Us Ka Naam Bhi Is Me Maujood Tamaam Ahaadithe Rasool SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Jaame’ Hai Jis Se Mu’allif (Allah Ta’ala Un Kee Hifaazat Farmaa’e Aur Unhe’n Daraazi-e Umr Ata Farma’e) Ne Ise Mausoom Kiya Hai. Mein Allah Ta’aka Se Us Ke Nabiyye Mukarram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Wasila-e Jalila Se Du’a Karta Hoo’n Ki Woh Is Kitaab Ko Har Us Shakhs Ke Li’e Hidaayat Ka Charaagh Banaa’e Jo Us Kee Hidaayat Ka Taalib Hai. Be Shak Woh Tamaam Du’aa’o’n Ko Sun’ne Walaa Aur Qubool Karne Waala Hai.
Note: Mein Ne (Kitab Aur Saahibe Kitab Se Muta’alliq) Jo Dekha Hai Wohi Bayaan Kiya Hai, Aur Mein Allah Ta’ala Ke Muqaabala Me Kisi Kee Safaa’i Nahin Pesh Karta.
As’ad Muhammad Sa‘id Al-Sagharji
Khadim Al-Uloo Al-Sharif
Dimashq 24 Muharram Al-Haram 1428 Hijri
12 Farwari 2007 isvi
–
[Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-40_47.]