Posted in Pamphlets of Minhaj-ul-Qur'an

Maʻmūlāt wa waẓā’ife Ramaḍān

Maʻmūlāt wa waẓā’ife Ramaḍān

Az: Shayḳh al-Islām doctor Muḥammad Ṭāhir al-Qādrī

1.     Namāze panjgānā bā-jamāʻat adā kareṅ.

2.     Namāze Tarāwīḥ pūrī bā-jamāʻat adā karen.

3.     Sa ḥrī ḳhāne se qabl namāze Taḥajjud adā kareṅ. Is kī kam az kam do² aur ziyādā se ziyādā bārāh¹² rakʻāt haiṅ.

4.     Ḥattá al-imkān faz̤ā’il-o barkāt wālī digar naflī namāzeṅ adā kareṅ. Mas̱alan:

•      Namāze Ishrāq: is kā waqt ṭulūʻe āftāb se bīs²⁰ minute baʻd shurūʻ hotā hai. Is kī kam az kam do² aur ziyādā se ziyādā c̥he⁶ rakʻāt haiṅ.

•      Namāze Chāsht: is ka waqt āftāb ke ḳhūb ṭulūʻ ho jāne par hotā hai. Jab ṭulūʻe āftāb aur āġhāze ẓŏhr ke darmiyān kul waqt kā ādhā ḥiṣṣā guzar jā’e to yeh Chāsht ke li’e afz̤al waqt hai. Is kī kam az kam do² aur ziyādā se ziyādā bārāh¹² rakʻāt haiṅ.

•      Namāze Awwābīn: yeh maġhrib aur ʻishā’ ke darmiyān kī namāz hai, jo kam az kam do² ṭawīl rakʻāt yā c̥he⁶ rakʻāt se le kar ziyādā se ziyādā bīs²⁰ rakʻāt par mushtamil hai.

5.     Rozānā ḳhushūʻ-o ḳhuz̤ūʻ aur tafakkur-o tadabbur ke sāth Qur’ān Ḥakīm maʻ tarjamā “ʻIrfān al-Qur’ān” kī tilāwat kareṅ.

6.     Darje ẕail waẓā’if rozānā ek-ek hazār¹⁰⁰⁰ martābā pad̥heṅ:

•      Durūd sharīf:

اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى سَیِّدِنَا وَمَوْلَانَا مُحَمَّدٍ وَّعَلَى آلِهِ وَأَصْحَابِهِ وبَارِكْ وَسَلِّمْ

Allāhumma ṣalli ʻalá sayyidinā wa-mawlānā muḥammdinw wa-ʻalá ālihi wa-aṣḥābihi wa-bārik wa-sallim.

•      Istaġhfār:

     أسْتَغْفِرُ اللهَ الْعَظِيمَ الَّذِي لاَ إلَهَ إلاَّ هُوَ الحَيُّ القَيُّومُ وَأتُوبُ إلَيهِ

Astaġhfiru Allāha al-ʻaẓīma al-laḏẖī lā-ilāha illā huwa al-ḥayyu al-qayyūmu wa-atūbu ilayh.

•      Kalimā-e ṭayyibāh:

       لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ مُحَمَّدٌ رَسُولُ اللہِ

lā-ilāha illallāhu muḥammadur rasūlu Allāh.

7.     Pĕhle ʻashre meṅ har namāz ke baʻd رَبِّ اغْفِرْ وَارْحَمْ وَأَنتَ خَيْرُ الرَّاحِمِينَ (Rabbiġhfir warḥam wa-anta ḳhayru al-rāḥimīna) kā wird ek sau¹⁰⁰ martābā kareṅ.

8.     Dūsre ʻashre meṅ har namāz ke baʻd أسْتَغْفِرُ اللهَ رَبِّى مِنْ كُلِّ ذَنْبٍ وَّأتُوبُ إلَيهِ (Astaġhfiru Allāha rabbi min kulli ḏẖanbinw wa-atūbu ilayh) kā wird ek sau¹⁰⁰ martabā kareṅ.

9.     Tīsre ʻashre meṅ har namāz ke baʻd اَللَّهُمَّ أَجِرْنَا مِنَ النَّارِ يَا مُجِيرُ يَا مُجِيرُ يَا مُجِيرُ (Allāhumma ajirnā mina al-nāri yā mujīru yā mujīru yā mujīr) kā wird ek sau¹⁰⁰ martabā kareṅ.

10.     Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu Ta‘ālá ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne shabe Qadr meṅ darje ẕail duʻā par̥hne kī talqīn farmā’ī hai:

اَللَّهُمَّ إِنَّكَ عُفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي

Allāhuma innaka ʻafuwwun tuḥibbu al-ʻafwa faʻfu ʻannī

Lehāzā āḳhirī ʻashre kī har ṭāq rāt meṅ kas̱rat ke sāth is kā wird kareṅ.

11.     Ilāwā azīṅ hamārī kitāb “al-Fuyūḍāt al-Muḥammadīyah” meṅ darj farz̤ namāzoṅ ke baʻd ki’e jāne wāle baqīyā waẓā’if ko apnā maʻmūl banā’eṅ, aur har farz̤ namāz ke baʻd سُبْحَانَ اللَّهِ، اَلْحَمْدُ لِلَّهِ، اَللَّهُ أَكْبَرُ Subḥāna Allāh, al-Ḥamdu li-Allāh, Allāhu Akbar kī ek tasbīḥ kareṅ. Āyat al-kursī aur maẕkūrā bālā isteġhfār par̥heṅ.

12.     Raḥmatoṅ aur saʻādatoṅ bhare is mahīne meṅ kas̱rat ke sāth ṣadaqāt wa ḳhairāt ko apnā maʻmūl banā’eṅ, aur mŏḥtājoṅ wa z̤arūrat-mandoṅ kī madad kareṅ.

Download this book in PDF format    > > Click Here