Posted in Baab-02 : Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam, Dhibhe 'Azeem

Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam

Baab 02

Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam

Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ne Du’aaein Maangi Thi Aik Yeh Ki Baari Ta’ala Meri Dhurriyyat Se Khaatim-ul-Ambiya’ Paida Fama. Dusre Meri Dhurriyyat Ko Mansabe Imaamat Ata Kar Chunaanche Hazrat Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Shakl Me Nabi Aakhir-uz-Zama’n Tashrif Le Aaye, Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Par Nubuwwat Khatm Ho Jaane Ke Baa’d Ab Yeh Laazmi Taqaaza Tha Ki Huzoor Rahmate Kawnayn SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Nubuwwat Ka Faiz Ab Imaamat Wa Wilaayat Kee Shakl Me Aage Chale, Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Kee Dhurriyyat Me Wilaayat Bhi Aa Gayi, Huzor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Apna Sulbi Beta Na Tha. So Aab Nubuwwate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Faiz Aur Imamat-o-Wilaayate Mustafawi Ka Mazhar Tha Is Liye Zaroori Tha Ki Yeh Kisi Muqaddas Aur Muhtaram Khaandaan Se Chale. Aise Afraad Se Chale Jo Huzoor Rahmate Aalam SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Sulbi Beta To Na Ho Magar Jigar Gosha-E-Rasool, Chunaanche Is Mansabe Azeem Ke Liye Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aur Huzoor Kee Laadli Beti Khatoone Jannat Sayyidah Fatimat-uz-Zahra RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Par Qudrat Kee Nigaahe Intekhaab Padi.

 

 

Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aur Hazrat Sayyidah Fatimah Salamu Allah ‘Alayha Kee Shaadi Ka Aasmaani Faisla

Allah Ta’ala Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Khushnoodi Raza Aur Mashiyyat Se Yeh Muqaddas Hastiya’n Rishta-E-Izdiwaaj Me Munsalik Ho Gayin. Hadithe Paak Me Hain :

عن عبد الله بن مسعود عن رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم قال ان الله امرنى ان ازوج فاطمة من على رضى الله عنهما

“Hazrat Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuna Se Marwi Hai Ki Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Ki Be Shak Allah Ta’ala Ne Mujhe Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ka Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Nikaah Karne Ka Hukm Diya.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/156, Hadith-10305.]

 

Taajdaare Kaa’enaat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Ki Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aur Fatimah Salamu Allah ‘Alayha Kee Shaadi Ka Faisla Aasmaano’n Par Ho Chuka Tha. Yeh Shaadi Amre Ilaahi Se Anjaam Paayi Is Liye Ki Hazrat Ali Se Wilaayate Mustafa Ke Silsile Ko Qaa’im Hona Tha Aur Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Takmeele Du’a-E-Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ka Zari’a Ban’na Tha Isi Maqsad Ke Liye Taajdaare Ka’enaat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Un Kee Hazrat Fatimah Ke Zari’e Aik Aur Mazboot Paakizah Nisbat Bhi Qaa’im Huwi. Aa’indah Safhaat Me Hum Do Alag Alag Faslo’n Me In Dono’n Muqaddas Hastiyo’n Ke Faza’il-o-Manaqib Jo Sahih Riwaayaat Se Saabit Hain Aur Ahl-E-Sunnat Wa’l-Jama’at Ke Haa’n Un Kee Kitabo’n Me Darj Hain Jis Ko Bayaan Karenge Taa Ki Ma’loom Ho Jaaye Ki Mawla-E-Ka’enat Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aur Khatoone Jannat Sayyidah Fatimat-uz-Zahra Salamu Allah ‘Alayha Aur Un Kee Aulaade At’har Jamhoor Ahle Islam Ke Haa’n Muhtaram-o-Mukarram Au Qaabile Izzat-o-Takreem Hain Yeh Na To Kisi Khaas Firqe Ka Mashrab-o-Maslak Hai Aur Na Kisi Kee Khaas Alaamat Hai Aur Aisa Ho Bhi Kyun Yeh Khanwada-E-Nubuwwat Hai Aur Jumla Musalmano’n Ke Haa’n Me’yaare Haque Aur Markaz-o-Mehware Imaan-o-Amal Hai.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/29 Ta 31.]

Posted in Baab-02 : Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam, Dhibhe 'Azeem

Faza’ile Mawla-E-Ka’enat RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu

Fasl Awwal

Faza’ile Mawla-E-Ka’enat RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu

Khalifa-E-Chahaarum Hazrat Aliy-ul-Murtaza Shere Khuda KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Tehrike Islami Ke Azeem Qaa’id, Nabi Akhir-uz-Zama’n Hazrat Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Intihaayi Mu’tabar Saathi, Jaa’n Nisaare Mustafa Aur Damaade Rasool They. Aap Kee Fazilat Ke Baab Me An Ginat Ahaadith Manqool Hain Jin Me Se Baa’z Ka Tazkirah Zayl Me Kiya Jaa Raha Hai.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/32.]

Posted in Baab-02 : Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam, Dhibhe 'Azeem

Hazrat Ali Kee Sulb Se Nabi Kee Dhurriyyat

1.

عن جابر رضى الله عنه قال قال رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم ان الله عز و جل جعل ذرية كل نبى کل نبی فی صلبه و ان الله جعل ذریتی فی صلب علی بن ابی طالب رضی الله

“Hazrat Jabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Allah Tabarak Wa Ta’ala Ne Har Nabi Kee Dhurriyyat Us Kee Sulb Se Jaari Farmaayi Meri Dhurriyyat Hazrat Ali Ibn Abi Talib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Kee Sulb Se Chalegi.”

[1_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/44, Hadith-2630,

2_ Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/172,

3_Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad,/317,

4_Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 11/400, Hadith-32892,

5_Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Lisan-ul-Mizan,03/429, Hadith-1683,

6_Dhahabi Fi Mizan-ul-I’tidal Fi Naqd-ir-Rijal,02/586, Hadith-4954,

7_Ibn Jawzi Fi Al-‘Ilal Al-Mutanahiyah Fi Al-Ahadith Al-Wahiyah,01/210,

Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/33.]

Posted in Baab-02 : Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam, Dhibhe 'Azeem

Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Nabi Ke Qaa’im Maqaam

2.

عن سعد بن ابی وقاص قال خلف رسول الله علی بن ابی طالب فی غزوه تبوک فقال یا رسول الله تخلفنی فی النساء والصبیان فقال اما ترضی ان تکون منی بمنزلة هارون من موسى غیر انه لا نبی بعدی

“Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Ghazwa-E-Tabook Me Apna Khalifa Banaaya To Unhone Arz Kiya : Aye Allah Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Aap Ne Mujhe Aurto’n Aur Baccho’n Me Khalifa Banaaya Hai. Is Par Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Ki Aap Is Cheez Par Raazi Nahin Ki Aap Mere Liye Is Tarah Ban Jaaein Jis Tarah Ki Haroon ‘Alayh-is-Salam Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Qaa’im Maqaam They Magar Yeh Ki Mere Baa’d Koi Nabi Na Hoga.”

[1_Muslim Fi As-Sahih, 04/1870, 1871, Kitab Al-Fada’il Al-Sahabah, Bab : 04 Man Fada’ili Ali  Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim, Hadith-1870,

2_Bukhari Fi As-Sahih, 03/1358, Kitab Al-Manaqib, Bab : 09 Fadl-us-Sahabah, Hadith-3503,

3_Bukhari Fi As-Sahih, 04/1602, Kita Al-Maghazi, Bab : 74 Ghazwatu Tabook. Hadith-1454,

4_Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/640, 641, Kitab Al-Manaqib, Bab : 30 Manaqibi Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,Hadith-3724, 3730, 3731,

5_Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/142, Al-Muqaddiamh, Bab Fadlu Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim, Hadith-115,

6_Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/109,

7_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/146, Hadith-328,

8_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/148, Hadith-333, 334,

9_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/247, Hadith-2036,

10_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/203, Hadith-5094, 5095,

11_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/61, Hadith-11087,

12_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/32,

13_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/438,

14_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/338,

15_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/286, Hadith-345,

16_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/57, Hadith-698,

17_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/66, Hadith-709,

18_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/73, Hadith-718,

19_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/86, Hadith-738, 739,

20_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/99, Hadith-755,

21_Abd-ur-Razzaque Fi Al-Musannaf, 11/226, Hadith-2039, Babu Ash’hab-in-Nabi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam,

22_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/109,

23_Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/42, 43, Al-Muqaddimah, Bab 11 Fadlu Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim, Hadith-115,

Imam Tirmidhi Ne Is Hadithe Pak Ko Hazrat Jabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Kiya Hai Aur Is Ke Rijaal Aur Sanad Ko Thiqah Kaha Hai.

1_Imam Aboo Ya’la Ne Aur Imam Tabarani Ne Jo Hadith Umme Salamah Se Riwayat Kee Hai Us Kee Isnaad Thiah Hai.

2_Imam Bazzar Aur Imam Tabarani Ne Jo Hadith Ibn Abbas Se Riwayat Kee Hai Us Kee Isnaad Bhi Thiqah Hai.

3_Imam Tabarani Ne Hazrat Zubayr Se Jo Riwayat Kee Hai Us Ke Insnaad Bhi Thiqah Hai.

 

3.

عن زید بن ارقم قال کانت فلنفر من اصحاب رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم ابواب شارعة فى المسجد فقال يوما سدوا هذه الابواب الاباب على قال فتكلم فى ذالك ناس فقام رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم فحمد الله و اثنى عليه تم قال اما بعد فانى امرت بسد هذه الابواب غیر باب علی فقال فیه قائلکم والله ماسددت شيئا ولا فتحته ولكن امرت شى فاتبعته

“Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki As’habe Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Me Se Baa’z Ke Gharo’n Ke Darwaaze Masjide Nabawi (Ke Sahn) Kee Taraf Khulte They Aik Din Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya In Tamam Darwaazo’n Ko Band Kar Do Siwaaye Ali Ke, Raawi Kehte Hain Ki Baa’z Logo’n Ne Chi-Migo’iya’n Kee Is Par Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Khutba Irshaad Farmaya : Hamd-o-Thana  Ke Baa’d Farmaya Mujhe Baabe Ali Ke Siwa Un Tamam Darwaazo’n Ko Band Karne Ka Hukm Diya Gaya Hai Pas Tum Me Se Kisi Ne Is Baat Par I’riraaz Kiya Hai Khuda Kee Qasam Na Mein Kisi Cheez Ko Kholta Aur Na Band Karta Hoo’n Magar Yeh Ki Mujhe Us Cheez Ke Karne Ka Hukm Diya Jaata Hai Pas Mein Us (Hukme Khudawandi) Kee Ittiba’ Karta Hoo’n”

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/125.]

 

Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Ki Mein Wahi Faisle Karta Hoo’n Jin Ka Mujhe Hukm Diya Jaata Hai. Hikmat Isi Me Yeh Thi Ki Jab Kisi Par Ghusl Waajib Hoga Aur Ghusl Ke Liye Ghar Se Niklega To Aisi Haalat Me Masjid Me Qadam Rakkhega Aur Masjid Ka Taqaddus Majrooh Hoga, Ghusl Waajib Ho To Sirf Do Afraaf Masjid Me Qadam Rakh Sakte Hain Aik Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Aur Ali Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim. Hadithe Paak Me Aata Hai :

 

4.

عن ابی سعید قال قال رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم لعلی یا علی لا یحل لاحد ان یجنب فی هذا المسجد غیری و غیرک

“Hazrat Aboo Sa’iyd RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Farmaya Aye Ali Mere Aur Tumhaare Siwa Kisi Ke Liye Jaaiz Nahin Ki Is Masjid(e Nabawi) Haalate Janaabat Me Rahe.”
Yeh Is Liye Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Huzoor Nabiyy-E-Rahmat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Jisme At’hat Aur Roohe Aqdas Se Zaahiri Bhi Aur Baatini Bhi Aik Khaas Ta’alluq Qaa’im Ho Chuka Tha.

Is Hadith Ko Jin Ajilla A’imma-E-Kiram Ne Apni Kutub Me Riwayat Kiya Hai Woh Mundarijae Zail Hain :

[1_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad,02/311, Hadith-1042,

2_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/115,

3_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/264, Hadith-2031,

4_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/175,

5_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/331,

6_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/26,

7_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/369,

8_Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 11/598, Fada’il Ali, Hadith-32877,

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/33 Ta 38.]

Posted in Baab-02 : Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam, Dhibhe 'Azeem

Munafiq Kee Nishaani

Hadith Me Aata Hai :

5.

عن زر قال قال علی والذی فلق الحبة و بر النسمة انه لعهد النبى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم الی ان لا یحبنی الا مؤمن ولا يبغضني المنافق

“Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Bayan Karte Hain Ki Qasam Hai Us Zaat Kee Jis Ne Daana Cheera Aur Jis Ne Jaandaaro’n Ko Paida Kiya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Mujh Se Wa’dah Farmaya Tha Ki Mujh Se Sirf Momin Hee Mahabbat Karega Aur Sirf Munaafiq Mujh Se Bugz Rakkhega.”

[Muslim Fi As-Sahih, 01/60.]

 

Hazrat Ali Shere Khuda Ne Farmaya Ki Huzoor Rahmate Aalam SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Irshade Giraami Hai Ki Ali! Mujhe Us Rabb Kee Qasam Hai Jis Ne Makhlooq Ko Paida Kiya Ki Siwaae Momin Ke Tujh Se Koi Mahabbat Nahin Kar Sakta Aur Siwaaye Munaafiq Ke Koi Tujh Se Bughz Nahin Rakh Sakta.

 

  1. Umm-il-Mu’minin Hazrat Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Farmati Hain Ki :

کان رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم یقول لا یحب علیھا ولا يبغضه مؤمن

Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Yeh Irshaad Farmaya Karte They Ki Koi Munaafiq Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Mahabbat Nahin Kar Sakta Aur Koi Momin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Bughz Nahin Rakh Sakta.”

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 02/213.]

 

Hum Ne In Faraamine Rasool Ko Bhula Diya Hai, Hum Ne Khud Ko Shi’a Sunni Ke Khaano’n Me Taqseem Kar Rakkha Hai, Hum Apne Aangano’n Me Nafrat Kee Diwaarein Ta’meer Kar Rahe Hain Haala’n Ki Shi’a Sunni Jang Ka Koi Jawaaz Hee Nahin. Ilmi Ilhtilaaf Ko Ilmi Daa’ire Me Hee Rehna Chaahiye. Unhein Nafrat Kee Bunyaad Nahin Banaana Chaahiye, Masjidein Aur Imam Bargaahein Maqtoolo’n Me Tabdeel Ho Rahi Hain Maslak Ke Naam Par Qatl-o-Ghaaratgiri Ka Baazaar Garm Hai, Bhaai Bhaai Ka Khoon Baha Raha Hai Ab Nafrat Aur Kadoorat Kee Diwaaro’n Ko Gir Jaana Chaahiye, Har Taraf Ukhuwwat Aur Mahabbat Ke Charaagh Jalne Chaahiye, Haqiqate Imaan Ko Samajhna Har Musalmaan Par Farz Hai. Taajdaare Kaa’inaat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Zawjah Muhtarma Umm-il-Mu’minin Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Kee Zubaani Rasoole Khuda SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Is Farman Se Badh Kar Badi Shahaadat Aur Kya Hoti. Chunaanche Haq-o-Baatil Ke Darmiyaan Yahi Kaifiyyat Sahaba-E-Kiram Ka Me’yaar Thi.

 

Yaha’n Is Amr Kee Wazaahat Zaroori Hai Ki Jinti Ahaadith Riwaayat Kee Gayi Hain Paaki Jaaengi Sab Sihah Sittah Aur Ahl-E-Sunnat Kee Digar Kutube Ahaadith Se Lee Gayi Hain Yeh Is Liye Taa Ki Ma’loom Ho Ki Shi’a Aur Sunni Bhaaiyo’n Ke Darmiyaan Ikhtilaafaat Kee Jo Khaleej Haa’il Kar Dee Gayi Hai Woh Saraasar Be Bunyaad Hai Fikri Mughaalto’n Aur Ghalat Fehmiyo’n Ke Siwa In Me Kuchh Bhi Nahin. Hadithe Paak Me Aata Hai :

 

7.

عن أبى سعيد الخدرى قال ان كنا لنعروف المنافقين نحن معشر الانصار يبغضهم على ابن أبى  طالب

“Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Woh Kehte Hain Ki Hum Log Ansaar Me Se Hain. Hum Munaafiqo’n Ko Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Bughz-o-Adaawat Kee Wajah Se Pehchaante Hain.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/635, Raqam-3717.]

 

Farmaya Ki Apne Daur Me Hamein Agar Kisi Munaafiq Kee Pehchaan Karni Hoti To Yeh Pehchan Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Bughz Se Kar Lete Jis Ke Dil Me Hazrat Ali Shere Khuda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Bughz Hota Sahabah Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Pehchaan Lete Ki Woh Munaafiq Hai Is Liye Ki Sahabah Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Bhi Jaante They Ki Wilaayate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Silsila Ali Shere Khuda KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Chalega. Is Mafhoom Kee Deegar Riwaayaat Mundarijae Zail Kutub Me Bhi Manqool Hain :

[1_Nasa’i Fi As-Sunan, 08/116, Kitab-ul-Iman, Babu Alamat-ul-Iman,

2_Nasa’i Fi As-Sunan, 08/117, Kitab-ul-Iman, Babu Alamat-ul-Munafiq,

3_Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/42, Al-Muqaddimah, Fadlu Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim, Hadith-131,

4_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/84, 95, 128,

5_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/251, Hadith-291,

6_Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/31, Hadith-58,

7_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/89, Hadith-2177,

8_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 03/179, Hadith-1602,

9_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/132,

10_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/292,

Dhib’he ‘Azeem (Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/38 Ta 40.]

Posted in Baab-02 : Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam, Dhibhe 'Azeem

Ali Mujh Se Hain Aur Mein Ali Se Hoo’n

  1. Bukhari Sharif Me Hazrat Bara’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Aik Riwayat Hai Woh Farmaate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Farmaya :

انت منى و انا منك

“Aye Ali Too Mujh Se Hai Aur Mein Tujh Se Hoo’n.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/610.]

 

Farmaya Tajdare Ka’enat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Ki Ali! I’laan Kar Do Ki Dunya Waale Jaan Le’n Ki Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Mujh Se Hai Aur Mein Ali Se Hoo’n, Hazrat Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Ke Baare Me Yeh Riwayat Aam Hai :

عن يعلى بن مرة قال قال رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم حسين منى و انا من حسين، احب الله من احب حسينا حسين سبط من الاسباط

“Hazrat Ya’la Bin Murrah Se Marwi Hai Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Husayn Mujh Se Hai Aur Mein Husayn Se Hoo’n. Allah Us Shakhs Se Mahabbat Karta Hai Jis Ne Husayn Se Mahabbat Kee Husayn Nawaaso’n Me Aik Nawaasa Hai.”

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 02/29.]

 

Jab Ki Mazkoorah Baala Riwaayat Me Yahi Baat Hazrat Ali Ke Baare Me Irshaad Farmaayi Mein Ali Se Hoo’n Aur Ali Mujh Se Hai. Ab To Ghalat Fehmiyo’n Ka Gard-o-Ghubaar Chhat Jaana Chaahiye, Mahabbat Kee Aik Nayi Sub’h Ka Sooraj Tuloo’ Hona Chaahiye, Masaalik Ko Khatm Karna Chaahiye, Hadith Mazkoorah Ka Matlab Hai Ki Ali! Too Mera Mazhar Hai Aur Mein Tera Mazhar Hoo’n, Tera Sudoor Mujh Se Aur Mera Zuhoor Tujh Se Hai. Deegar Bohat Se A’imma-E-Hadith Ne Bhi Is Mafhoom Kee Riwaayaat Bayaan Kee Hain Masalan :

[1_Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/635, Kitab-ul-Manaqib, Bab 21, Hadith-3716,

2_Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/110, 111, 120,

3_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/318, Hadith-941,

4_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/15, Hadith-12, 13, 3511,

5_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/438,

Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/41_42.]

Posted in Baab-02 : Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam, Dhibhe 'Azeem

Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Shahre Ilm-o-Hikmat Ka Darwaaza

Aik Hadith Aam Hai Ki Taajdaare Kaa’inaat Huzoor Rahmate Aalam SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Ki Mein Ilm Ka Shahr Hoo’n Aur Ali Us Ka Darwaaza Hai. Mukammal Hadith Yoo’n Hai :

 

9.

عن ابن عباس رضى الله تعالى عنهما انه قال النبى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم انا مدينة العلم و على بابها فمن اراد العلم فليات الباب

“Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Mein Shahre Ilm Hoo’n Aur Ali Us Ka Darwaaza Hai Pas Jo Koi Ilm Ka Iraadah Kare Woh Darwaaze Ke Paas Aaye.”

[1_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/55,

2_Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/126, 127, Hadith-11061,

3_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/114.]

 

Hadithe Paak Ka Doosra Hissa Ki Pas Jo Koi Ilm Ka Iraadah Kare Darwaaze Ke Paas Aaye, Bohat Kam Bayaan Kiya Jaata Hai. Irshaad Ka Mudda’a Yeh Hai Ki Jis Ko Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Ilm Darkaar Hai Woh Ali Ke Darwaaze Par Aaye Yeh Dar Chhod Kar Koi Ilme Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Dehliz Ko Nahin Paa Sakta.

 

  1. Isi Tarah Aik Riwaayat Hai Ki :

عن على رضى الله تعالى عنه قال قال رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم انا دار الحكمة و على بابها

“Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Mein Hikmat Ka Ghar Hoo’n Aur Ali Us Ka Darwaaza Hain.”

[1_Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/637,

2_Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 13/147, Hadith-36462,

Dhib’he ‘Azeem (Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/42_43.]

Posted in Baab-02 : Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam, Dhibhe 'Azeem

Ali Ka Zikr Ibaadat Hai

As’haabe Rasool Ukhuwwat-o-Mahabbat Ke Laa-Zawaal Rishte Me Bandhe Huwe They, Yeh Azeem Insaan Huzoor Ke Baraahe Raast Tarbiyat Yafta They Ki Shakhsiyyat Ta’meer Aur Kirdaari Kee Tashkeel Khud Mu’allime A’zam Huzoor Sarware Kawnayn SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaayi Thi, Hikmat Aur Daanaayi Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Sahabah-E-Kiram Ke Ghar Kee Baandi Thi, Ithaar-o-Qurbaani Ka Jzaba Un Ke Rag-o-Pey Mein Maujzan Tha. Mu’akhaate Madinah Kee Faza Se As’haabe Rasool Kabhi Baahar Na Aa Sake Yeh Faza Ukhoowat-o-Mahabbat Kee Faza Thi, Bhaai Chaare Kee Faza Thi. Mahabbat Kee Khushboo Har Taraf Abre Karam Kee Tarah Baras Rahi Thi, Sahaba-E-Kiram Aur Ahl-E-Bayt-E-At’har Me Koi Farq Na Tha. I’timaad-o-Ihtiraam Ke Sar Chashme Sab Kee Rooho’n Ko Seraab Kar Rahe They Aur Amalan Saabit Ho Raha Tha Ki Fikri Aur Nazaryaati Rishte Khoon Ke Rishto’n Se Ziyaada Mustahakam Aur Paaedaar Hote Hain. Ghalat Fehmiyo’n Par Mabni Tafriq-o-Duri Kee Khud Saakhta Kahaaniya’n Baa’d Me Takhliq Ke Gayi. Jange Jumal Ke Talkh Waaqe’ Ko Zehn Me Rakhte Huwe Aam Taur Par Baa’z Kotah Andesh Yeh Samajhte Hain Ki Umm-il-Mu’minin Sayyidah Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Aur Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Darmiyaan Bughz-o-Adaawat Kee Buland-o-Baala Deewaar Qaa’im Rahein, Haala’n Ki Haqweeqat Is Ke Bar Aks Hai, Jange Jumal Ke Asbaab Kuchh Aur They Jo Is Waqt Hamaare Mauzoo Se Khaairj Hain Lekin In Dono’n Azeem Hastiyo’n Me Mukhaasamat Afsaane Taraashne Waalo’n Ko Is Riwaayat Par Ghaur Karna Chaahiye.

 

11.

عن عائشه انه قال ذكر على عبادة

“Hazrat Aaishah Siddiqa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Hazrat Ali Ka Zikr Ibaadat Hai.”

[1_Shirwayh Daylami Fi Al-Firdaws Bi-Mathoor Al-Khitab,02/367, Hadith-2974,

2_Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 11/601, Hadith-32894.]

 

Ghar Me Taajdaare Kaa’inaat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Aur Hazrat Aaishah Siddiqa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Siwa Koi Teesra Shakhs Maujood Na Tha, Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Tanha Farmaane Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Sun Rahi Thi’n Agar Chaahti To Baahar Kisi Se Bayaan Na Karti. Dil Me (Khuda Na Khaasta) Khot Ya Mayl Hota To Chup Saadh Leti’n Aur Yeh Hadith Chhupa Leti’n Ki Is Me Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Fazilat Ka Bayaan Hai. Lekin Bila Kam-o-Kaast Farmaane Rasool Naqal Kar Diya Kyun Ki Haqiqat Chhupa Rakhna Munafiqat Kee Alaamat Hai Aur Allah Ta’ala Ne Sahaba-E-Kiram Aur Ahl-E-Bayt-E-At’har Ko Bughz-o-Munaafiqat Jaisi Roohaani Bimaariyo’n Se Kulliyatan Saaf Farmaya Tha.

 

Allah Kee Izzat Kee Qasam Agar Kisi Kee Saari Raat Hubbe Ali Me Ali Ali Karte Guzar Gayi To Khuda Ke Huzoor Yeh Wirde Ibaadat Me Shumaar Hoga Kyun Ki Rahmate Aalam SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Bayaan Ke Mutaabiq Ali Ka Zikr Ibaadat Hai.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/43_44.]

Posted in Baab-02 : Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam, Dhibhe 'Azeem

Chehra-E-Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Dekhna Bhi Ibaadat

  1. Isi Tarah Umm-il-Mu’minin Sayyidah Aaishah Siddiqa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Hee Riwaayat Karti Hain :

كان أبو بكر يكثر النظر الى وجه على فساله عايشه فقال سمعت رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم النظر الى وجه على عبادة

“Hazrat Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Badi Kasrat Ke Saath Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Chehre Ko Dekhte Rehte They. Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Un Se Is Baare Me Puchha To Aap Ne Farmaya Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Suna Hai Ki Hazrat Ali Ke Chehre Ko Dekhna Ibaadat Hai.”

[Ibn Hajar Makki Fi As-Sawa’iq Al-Muhriqah ‘Ala Ahl Al-Rafd Wa Al-Dalal Wa Al-Zandaqah, 177.]

 

 

  1. Isi Tarah Aik Aur Riwaayat Hai :

عن عبد الله عن النبى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم قال النظر الى وجه على عبادة

“Hazrat Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Ki Hazrat Ali Ke Chehre Kee Taraf Dekhna Bhi Ibaadat Hai.”

[1_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/141, 142,

2_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/77, Hadith-32895,

3_Shirwayh Daylami Fi Al-Firdaws Bi-Mathoor Al-Khitab, 05/42, Hadith-1717,

4_Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 11/60, Hadith-32859,

5_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/119.]

 

Yaare Ghaar Hazrat Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Ali Ke Chhere Ko Dekhan Ibaadat Hai. Umm-il-Mu’minin Hazrat Aaishah Siddiqa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ka Bayaan Hai Ki Hazrat Ali Shere Khuda Ka Zikre Zameel Bhi Ibaadat Hai Phir Aboo Bakr Ke Maan Ne Waalo’n Aur Hazrat Ali Ke Pairokaaro’n Me Yeh Duriya’n Kyun ? Yeh Faasle Kyun? Ali Ko Maan Ne Waalo! Tum Aboo Bakr Ko Maan Ne Waalo’n Se Dur Kyun Ho Gaye Ho?

In Muqaddas Hastiyo’n Me Koi Mughaa’irat Aur Duri Nahin Thi To Woh To Aik Hee Mash’al Kee Nooraani Kirnein Thi Magar Aaj Musalmano’n Ne Khud Saakhta Tarjeehaat Nikaal Kar Kai Giroh Tashkeel De Rakkhe Hain Aur Aae Roz Un Ke Darmiyaan Khoon Rezi Ka Baazaar Garm Rehta Hai.

Aye Giraftaare Aboo Bakr-o-Ali Hoshiyaar Baash

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/45_46.]

Posted in Baab-02 : Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam, Dhibhe 'Azeem

Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Mawla-E-Ka’enat

Chunki Wilayate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Faiz Hazrat Ali Se Chalna Tha Aur “Dhib’he ‘Azeem” Husayn Ko Hona Tha Is Liye Zaroori Tha Ki Wilaayate Mustafa Ali Shere Khuda Ban Jaaye Aur Wilaayate Ali Shere Khuda Wilayate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Tasawwur Kee Jaaye. Riwaayat Ke Aaina Khaane Me Aik Aur Aks Ubharta Hai Ghubaare Nifaaq Chhat Jaata Hai Aur Haqa’iq Ka Chehra Mazeed Ujla Ho Jaata Hai :

 

14.

عن رياح بن الحرث قال جاء رهط الى على بالرحبط فقالوا السلام عليك يا مولانا قال كيف اكون مولا كم وانتم قوم عرب قالوا سمعنا رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم يوم غدير خم يقول من كنت مولاه فان هذا مولاه.

“Hazrat Riyaah Bin Harth Riwayat Karte Hain Ki Aik Giroh Hazrat Ali Ke Paas Riht Ke Maqaam Par Aaya Aur Unhone Kaha Aye Hamaare Mawla Tujh Par Salaam Ho Aap Ne Farmaya Mein Kaise Tumhaara Mawla Hoo’n Jab Ki Tum Arab Qaum Ho Unhone Kaha Ki Hum Ne “Ghadeer Khum” Ke Maqaam Par Huzoor Nabiyye Karim SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Suna Hai Ki Jis Ka Mein Wali Hoo’n Us Ka Yeh (Ali) Mawla Hai.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/419.]

Huzoor Nabiyye Karim SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali Ka Haath Pakad Kar Buland Kiya Aur Farmaya Ki Jis Ka Mein Wali Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai.

 

  1. Aik Dusre Maqaam Par Aata Hai :

عن زيد بن أرقم عن النبى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم قال من كنت مولاه فعلى مولاه

“Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Nabiyye Karimm SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Mein Jis Ka Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai.”

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 02/213.]

 

Pehle Taajdaare Arab-o-Ajam Ne Farmaya Ki Jis Ka Mein Wali Hoo’n Ali Us Ka Mawla Hai Phir Farmaya Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai. Nabi Hone Aur Nabi Ka Ummati Hone Ka Farq Rehta Hai Lekin Doo’iy Ka Har Tasawwur Mit Jaata Hai Is Liye Ki Baatil Doo’iy Pasand Aur Haque Laa Sharik Hai. Phir Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Bargahe Khudawandi Me Du’a Ke Liye Haath Utha Diye Aur Farmaya Mere Allah Jo Ali Ko Wali Jaane Too Us Ka Wali Ban Jaa Ya’ni Jo Ali Se Dosti Kare Too Bhi Us Ka Dost Ban Jaa Aur Jo Ali Se Dushmani Kare Too Bhi Us Ka Dushman Ho Jaa, Jo Ali Kee Madad Kare Too Bhi Us Kee Madad Kar Aur Jo Ali Ke Saath Hai Too Bhi Us Ke Saath Ho Jaa, Zayl Me Muta’lliqa Hadithe Paak Darj Kee Jaa Rahi Hai :

 

16.

عن عمرو بن ذى مر زيد بن أرقم قالا خطب رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم يوم غدير خم فقال من كنت مولاه فعلى مولاه اللهم وال من والاه و عاد من عاده وانصر من نصره و اعن من اعانه

“Hazrat Amar Bin Dhi Murr Aur Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Woh Kehte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Yawme Ghadir Ke Mauqe Par Khutba Irshaad Farmaya Ki Jis Ka Mein Wali Hoo’n Us Ka Ali Wali Hain. Aye Allah Too Us Se Ulfat Rakh Jo Ali Se Ulfat Rakhta Hai Aur Too Us Se Adaawat Rakh Jo Is Se Adaawat Rakhta Hai Aur Too Us Kee Madad Kar Jo Is Kee Madad Karta Hai Aur Us Kee I’aanat Kar Jo Ali Kee I’aanat Karta Hai.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/17, Hadith-3514.]

 

Goya Hazrat Ali Ke Chehra-E-Anwar Ko Dekhte Rehna Bhi Ibaadat, Un Ka Zikr Bhi Ibaadat, Huzoor Farmate Hain Ki Ali Too Mujh Se Hai Aur Mein Tujh Se Hoo’n Aur Irshaad Huwa Ki Jis Ka Wali Mein Hoo’n Ali Us Ka Mawla Hai Phir Irshaad Huwa Ki Jis Ka Mein Mawla Ali Bhi Us Ka Mawla Aur Yeh Ki Mein Shahre Ilm Hoo’n Aur Ali Us Ka Darwaaza, Ilm Ka Husool Agar Chaahte Ho To Ali Ke Darwaaze Par Jaao Aur Dosti Aur Dushmani Ka Me’yaar Bhi Ali Thehre.

 

 

17.

عن أبى توفيل قال جمع على رضى الله تعالى عنه الناس فى الرحبة ثم قال لهم انشد الله كل امرئى مسلم سمع رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم يقول يوم غدير خم مسامع لما قام فقام تلاثون من الناس و قال أبو نعيم فقام ناس كثير فشهدوا حين اخد بيده فقال للناس اتعلمون انى اولى بالمؤمنين من انفسهم قالوا نعم يا رسول الله قال مب كنت مولاه فهذا على مولاه اللهم وال من والاه و عاد من عاداه

“Hazrat Abi Tufayl RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Paas RahbahKe Maqaam Par Bohat Saare Log Jam’a They Un Me Se Har Aik Ne Qasam Khaa Kar Kaha Ki Hum Me Se Har Shakhs Ne Huzoor Nabiyye Karim SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Suna Hai Ki Aap Ne Ghadeer Khum Ke Mauqa’ Par Khitaab Farmaya Jis Ko Waha’n Khade Howe Tees Aadamiyo’n Ne Suna. Aboo Nu’aym Ne Kaha Ki Bohat Saare Log Jam’a They Unhone Gawaahi Dee Ki Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali Ka Haath Pakad Kaar Logo’n Se Farmaya Ki Kya Tum Jaante Nahin Ki Mein Momin Kee Jaano’n Se Bhi Ziyaada Qareeb Hoo’n Unhone Kaha Haa’n Ya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Jis Ka Mein Wali Hoo’n Us Ka Ali Wali Hai Aye Allah Too Bhi Ulfat Rakh Jo Is Se Ulfat Rakhta Hai Aur Too Us Se Adaawat Rakh Jo Is Ke Saath Adaawat Rakhta Hai.”

[1_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/370,

Dhib’he ‘Azeem (Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/46 Ta 49.]