Aik Hadith Aam Hai Ki Taajdaare Kaa’inaat Huzoor Rahmate Aalam SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Ki Mein Ilm Ka Shahr Hoo’n Aur Ali Us Ka Darwaaza Hai. Mukammal Hadith Yoo’n Hai :
9.
عن ابن عباس رضى الله تعالى عنهما انه قال النبى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم انا مدينة العلم و على بابها فمن اراد العلم فليات الباب
“Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Mein Shahre Ilm Hoo’n Aur Ali Us Ka Darwaaza Hai Pas Jo Koi Ilm Ka Iraadah Kare Woh Darwaaze Ke Paas Aaye.”
–
[1_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/55,
2_Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/126, 127, Hadith-11061,
3_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/114.]
Hadithe Paak Ka Doosra Hissa Ki Pas Jo Koi Ilm Ka Iraadah Kare Darwaaze Ke Paas Aaye, Bohat Kam Bayaan Kiya Jaata Hai. Irshaad Ka Mudda’a Yeh Hai Ki Jis Ko Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Ilm Darkaar Hai Woh Ali Ke Darwaaze Par Aaye Yeh Dar Chhod Kar Koi Ilme Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Dehliz Ko Nahin Paa Sakta.
- Isi Tarah Aik Riwaayat Hai Ki :
عن على رضى الله تعالى عنه قال قال رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم انا دار الحكمة و على بابها
“Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Mein Hikmat Ka Ghar Hoo’n Aur Ali Us Ka Darwaaza Hain.”
–
[1_Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/637,
2_Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 13/147, Hadith-36462,
Dhib’he ‘Azeem (Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/42_43.]