As’haabe Rasool Ukhuwwat-o-Mahabbat Ke Laa-Zawaal Rishte Me Bandhe Huwe They, Yeh Azeem Insaan Huzoor Ke Baraahe Raast Tarbiyat Yafta They Ki Shakhsiyyat Ta’meer Aur Kirdaari Kee Tashkeel Khud Mu’allime A’zam Huzoor Sarware Kawnayn SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaayi Thi, Hikmat Aur Daanaayi Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Sahabah-E-Kiram Ke Ghar Kee Baandi Thi, Ithaar-o-Qurbaani Ka Jzaba Un Ke Rag-o-Pey Mein Maujzan Tha. Mu’akhaate Madinah Kee Faza Se As’haabe Rasool Kabhi Baahar Na Aa Sake Yeh Faza Ukhoowat-o-Mahabbat Kee Faza Thi, Bhaai Chaare Kee Faza Thi. Mahabbat Kee Khushboo Har Taraf Abre Karam Kee Tarah Baras Rahi Thi, Sahaba-E-Kiram Aur Ahl-E-Bayt-E-At’har Me Koi Farq Na Tha. I’timaad-o-Ihtiraam Ke Sar Chashme Sab Kee Rooho’n Ko Seraab Kar Rahe They Aur Amalan Saabit Ho Raha Tha Ki Fikri Aur Nazaryaati Rishte Khoon Ke Rishto’n Se Ziyaada Mustahakam Aur Paaedaar Hote Hain. Ghalat Fehmiyo’n Par Mabni Tafriq-o-Duri Kee Khud Saakhta Kahaaniya’n Baa’d Me Takhliq Ke Gayi. Jange Jumal Ke Talkh Waaqe’ Ko Zehn Me Rakhte Huwe Aam Taur Par Baa’z Kotah Andesh Yeh Samajhte Hain Ki Umm-il-Mu’minin Sayyidah Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Aur Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Darmiyaan Bughz-o-Adaawat Kee Buland-o-Baala Deewaar Qaa’im Rahein, Haala’n Ki Haqweeqat Is Ke Bar Aks Hai, Jange Jumal Ke Asbaab Kuchh Aur They Jo Is Waqt Hamaare Mauzoo Se Khaairj Hain Lekin In Dono’n Azeem Hastiyo’n Me Mukhaasamat Afsaane Taraashne Waalo’n Ko Is Riwaayat Par Ghaur Karna Chaahiye.
11.
عن عائشه انه قال ذكر على عبادة
“Hazrat Aaishah Siddiqa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Hazrat Ali Ka Zikr Ibaadat Hai.”
–
[1_Shirwayh Daylami Fi Al-Firdaws Bi-Mathoor Al-Khitab,02/367, Hadith-2974,
2_Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 11/601, Hadith-32894.]
Ghar Me Taajdaare Kaa’inaat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Aur Hazrat Aaishah Siddiqa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Siwa Koi Teesra Shakhs Maujood Na Tha, Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Tanha Farmaane Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Sun Rahi Thi’n Agar Chaahti To Baahar Kisi Se Bayaan Na Karti. Dil Me (Khuda Na Khaasta) Khot Ya Mayl Hota To Chup Saadh Leti’n Aur Yeh Hadith Chhupa Leti’n Ki Is Me Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Fazilat Ka Bayaan Hai. Lekin Bila Kam-o-Kaast Farmaane Rasool Naqal Kar Diya Kyun Ki Haqiqat Chhupa Rakhna Munafiqat Kee Alaamat Hai Aur Allah Ta’ala Ne Sahaba-E-Kiram Aur Ahl-E-Bayt-E-At’har Ko Bughz-o-Munaafiqat Jaisi Roohaani Bimaariyo’n Se Kulliyatan Saaf Farmaya Tha.
Allah Kee Izzat Kee Qasam Agar Kisi Kee Saari Raat Hubbe Ali Me Ali Ali Karte Guzar Gayi To Khuda Ke Huzoor Yeh Wirde Ibaadat Me Shumaar Hoga Kyun Ki Rahmate Aalam SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Bayaan Ke Mutaabiq Ali Ka Zikr Ibaadat Hai.
–
[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/43_44.]