Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-‘l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

مَرَجَ الْبَحْرَيْن
فِىْ
مَنَاقِبِ الْحَسَنَيْن
عَلَيْهِمَا السَلَام

حسنین کریمین علیھما السلام کے فضائل و مناقب﴿

مؤلف 
 شیخ الاسلام ڈاکٹر محمّد طاہر القادری

 

 

 

مَـوْﻻَىَ   صَـلِّ   وَ   سَـلِّـمْ   دَآئـِمـًا   اَبَدًا
عَلـىٰ    حَبِيْبِكَ    خَيْـرِ    الْخَلْقِ    كُلِّهـِمٖ

وَ الْآلِ   وَ  الصَّحْبِ   ثُمَّ   التَّابِعِيْنَ  لَهُمْ
أَهْلِ  التُّقٰى  وَ  الْنُّقٰى  وَ  الْحِلْمِ  وَ الْكَرَمٖ

﴾صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَعَلىٰ آلِهِ وَأَصَحابِهِ وَبَارِكَ وَسَلَّمَ﴿

 

Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ka Apne Shahzado’n Ka Naam Hasan Wa Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Rakhna

Fasl : 01

Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ka Apne Shahzado’n Ka Naam Hasan Wa Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Rakhna

 

01              “Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Bayan Farmate Hain Ki Jab Hazrat Hasan Paida Hu’e To Unhone Un Ka Naam Hamzah Rakkha Aur Jab Hazrat Husain Paida Hu’e To Un Ka Naam Un Ke Chacha Ke Naam Par Ja’far Rakkha. (Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Farmate Hain) Mujhe Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Bula Kar Farmaya : Mujhe Un Ke Yeh Naam Tabdeel Karne Ka Hukm Diya Gaya Hai. (Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Farmate Hain) Mein Ne Arz Kiya : Allah Aur Us Ka Rasool Behtar Jaante Hain. Pas Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Un Ke Naam Hasan Wa Husayn Rakkhe.”

[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/159,

2-Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/384, Raqam-498,

3-Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/308, Raqam-7734,

4-Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 02/352, Raqam-734,

5-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/52,

6-Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 07/116,

7-Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 03/399, Raqam-247,

8-Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 06/399, Raqam-1323,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/13, Raqam-01.]

 

 

02              “Hazrat Salman Farsi رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Irshad Farmaya : Mein Ne In Dono’n Ya’ni Hasan Aur Husayn Ke Naam Haroon (عَلَيْهِ السَّلَام) Ke Beto’n Shabbar Shabbir Ke Naam Par Rakkhe Hain.”

[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/263, Raqam-6168,

2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/52,

3-Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/339, Raqam-3533,

4-Ibn Hajar Makki Fi As-Sawa’iq Al-Muhriqah ‘Ala Ahl Al-Rafd Wa Al-Dalal Wa Al-Zandaqah, 02/563,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/14, Raqam-02.]

 

 

03              “Hazrat Saalim رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Irshaad Farmaya : Mein Ne Apne In Dono’n Beto’n Hasan Aur Husayn Ke Naam Haroon (عَلَيْهِ السَّلَام) Ke Beto’n Shabbar Aur Shabbir Ke Naam Par Rakkhe Hain.”

[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/774, Raqam-1367,

2-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/379, Raqam-32185,

3-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/97, Raqam-2777,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/14, Raqam-03.]

 

 

04              “Hazrat Akramah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Jab Sayyidah Fatimah سَلاَمُ الله عَلَيْهَا Ke Haa’n Hasan Bin Ali عَلَيْهِمَا السَلَام  Kee Wilaadat Huwi To Woh Unhein Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Khidmat Me Laai’n, Lihaaza Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Un Ka Naam Hasan Rakkha Aur Jab Husayn   عَلَيْهِ السَّلَام Kee Wilaadat Huwi To Unhein Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Bargha Me Laa Kar Arz Kiya : Ya RasoolAllah صَلَّى اللهُ عَلَيْكَ وَسَلَّمَ! Yeh (Husayn) Is (Hasan) Se Ziyadah Khoobsoorat Hai Lihaaza Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Is Ke Naam Se Akhaz Kar Ke Us Ka Naam Husayn Rakkha”

[1-Abd-ur-Razzaque Fi Al-Musannaf, 04/335, Raqam-7981,

2-Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 14/119,

3-Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 03/48,

4-Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 06/224,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/14, 15, Raqam-04.]

 

 

05              “Hazrat Ja’far Bin Muhammad Apne Waalid Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Husayn Ka Naam Hasan Se Akhaz Kiya Aur Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Dono’n Ke Naam Hasan Aur Husayn  عَلَيْهِمَا السَلَام Kee Paidaa’is Ke Saatwe’n Din Rakkhe.”

[1-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, 01/119,

2-Doolabi Fi Adh-Dhurriyat-ut-Tahirah, 01/85, Raqam-146,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/15, Raqam-05.]

 

 

06              “Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Riwayat Karte Hain Ki Jab Fatimah Ke Haa’n Hazrat Hasan Kee Wilaadat Huwi To Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Tashrif Laa’e Aur Farmaya : Mujhe Mera Beta Dikhaao, Us Ka Naam Kya Rakkha Hai ? Mein Ne Arz Kiya : Mein Ne Us Ka Nam Harb Rakkha Hai. Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Nahin Balki Woh Hasan Hai Phir Jab Husayn Kee Wilaadat Huwi To Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Tashrif Laa’e Aur Farmaya : Mujhe Mera Beta Dikhaao Tum Ne Us Ka Naam Kya Rakkha Hai ? Mein Ne Arz Kiya : Mein Ne Usa Ka Naam Harb Rakkha Hai. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Nahin Balki Woh Husayn Hai Phir Jab Teesra Beta Paida Huwa To Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Tashrif Laa’e Aur Farmaya : Mujhe Mera Beta Dikhaao, Tum Ne Us Ka Naam Kya Rakkha Hai ? Mein Ne Arz Kiya : Mein Ne Us Ka Naam Harb Rakkha Hai. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya Hai : Nahin Balki Us Ka Naam Muhsin Hai.
Phir Farmaya : Mein Ne Un Ke Naam Haro

on (عَلَيْهِ السَّلَام) Ke Beto’n Ke Shabbar, Shabbir Aur Mushabbir Ke Naam Par Rakkhe Hain.”

[1-Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/180, Raqam-4773,

2-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/118, Raqam-935,

3-Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/410, Raqam-6985,

4-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/96, Raqam-2773, 2774,

5-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/52,

6-Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 06/243, Raqam-8296,

Asqalani Ne Is Kee Isnaad Ko Sahih Qaraar Diya Hai.

7-Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/286, Raqam-823,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/15,16, 17, Raqam-06.]

Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Hasan Wa Husayn Jannat Ke Naamo’n Me Se Do Naam Hain Jin Ko Allah Ta’ala Ne Hijaab Me Rakkha

Fasl : 02

Hasan Wa Husayn Jannat Ke Naamo’n Me Se Do Naam Hain Jin Ko Allah Ta’ala Ne Hijaab Me Rakkha

 

07              “Hazrat Mufaddal رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Allah Tabarak Wa Ta’ala Ne Hasan Aur Husayn Ke Naamo’n Ko Hijaab Me Rakkha Yaha’n Tak Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Apne Beto’n Ka Naam Hasan Aur Husayn Rakkha.”

[1-Nab’hani Fi Al-Sharaf Al-Mu’bbad Li-Al-Muhammad,/424,

2-Nawawi Fi Tahdhib-ul-Asma’ Wa Al-Lughat, 01/126, Raqam-118,

3-Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 02/13,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/17, Raqam-07.]

 

 

08              “Hazrat Imran Bin Sulayman Se Riwayat Hai Ki Hasan Aur Husayn Ahle Jannat Ke Naamo’n Me Se Do Naam Hain Jo Ki Daure Jaahiliyyat Me Pahle Kabhi Nahin Rakkhe Ga’e They.”

[1-Doolabi Fi Adh-Dhurriyat-ut-Tahirah, 01/68, Raqam-99,

2-Ibn Hajar Makki Fi As-Sawa’iq Al-Muhriqah ‘Ala Ahl Al-Rafd Wa Al-Dalal Wa Al-Zandaqah,/192,

3-Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 02/25,

4-Manawi Fi Fayd-ul-Qadir Sharh Al-Jami’ As-Saghir, 01/105,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/17, 18, Raqam-08.]

Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Mere Bete Hain

Fasl : 03

Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Mere Bete Hain

 

09              “Hazrat Abd Allah Bin Mas’ood رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Riwayat Karte Hu’e Farmate Hain : Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ko Dekha Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Hasan Wa Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ka Haath Pakad Kar Farmaya : Yeh Mere Bete Hain.”

[1-Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 03/284,

2-Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/336, Raqam-6973,

3-Ibn Jawzi Fi Sifat-us-Safwah, 01/763,

4-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, 01/124,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/18, Raqam-09.]

 

 

10              “Sayyidah Fatimah سَلاَمُ الله عَلَيْهَا Farmati Hain Ki Aik Roz Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Mere Haa’n Tashrif Laa’e Aur Farmaya : Mere Bete Kaha’n Hain ? Mein Ne Arz Kiya : Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Un Ko Saath Le Ga’e Hain. Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Un Kee Talaash Me Mutawajjeh Hu’e To Unhein Paani Peene Kee Jagah Par Khelte Hu’e Paaya Aur Un Ke Saamne Kuchh Khajoorein Bachi Huwi Thi’n. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Aye Ali ! Khayaal Rakhna Mere Beto’n Ko Garmi Shuru’ Hone Se Pehle Waapas Le Aana.”

[1-Hakim Fi Al-Mustadrak , 03/180, Raqam-4774,

2-Doolabi Fi Adh-Dhurriyat-ut-Tahirah, 01/104, Raqam-193,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/18, 19, Raqam-10.]

 

 

11              “Hazrat Musayyab Bin Nujbah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Har Nabi Ko Saat-07 Najib Ya Naqib Ata’ Kiye Ga’e Jab Ki Mujhe Chawdah-14 Naqib Ata’ Kiye Ga’e. Raawi Kehte Hain Ki Hum Ne Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Se Puchha Ki Woh Koun Hain ? To Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Ne Bataaya : Mein, Mere Dono’n Bete, Ja’far, Hamzah, Aboo Bakr, Umar, Mus’ab Bin Umayr, Bilaal, Salman, Miqdad, Hudhayfah, Ammar Aur Abd Allah Bin Mas’ood رَضِيَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمْ أجْمَعِيْنَ.”

[1-Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahi, 06/123, Raqam-3785,

2-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/142, Raqam-1205,

3-Shaybani Fi Al-Ahd Wa’l-Mathani, 01/189, Raqam-244,

4-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/215, Raqam-6047,

5-Ibn Moosa Fi Mu’tasar Al-Mukhtasar, 02/314,

6-Muhibb-ud-Deen Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 01/225, Raqam-07, 08,

7-Ibn Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab Fi Ma’rifat Al-As’hab, 03/140,

8-Halabi Fi As-Sirat-ul-Halabiyyah, 03/390,

9-Ibn Ahmad Khatib Fi Wasilat-ul-Islam, 01/77,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/19, 20, Raqam-11.]

 

 

12              “Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Riwayat Karte Hu’e Farmate Hain : Allah Ta’ala Har Nabi Ke Saat-07 Nujaba’ Banaaye Jab Ki Hamaare Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ko Chawdah-14 Naqib Ata’ Kiye. Un Me Aboo Bakr, Umar, Ali, Hasan, Husayn, Hamzah, Ja’far, Aboo Dhar, Abd Allah Bin Mas’ood, Miqdad, Ammar, Salman, Hudhayfah Aur Bilal رَضِيَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمْ أجْمَعِيْنَ Shaamil Hain.”

[1-Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 12/484, Raqam-6957,

2-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 01/228, Raqam-2765,

3-Daraqutni Fi Al-‘Ilal Al-Waridah Fi Al-Ahadith Al-Nabawiyah, 03/262, Raqam-395,

4-Ibn Jawzi Fi Al-‘Ilal Al-Mutanahiyah Fi Al-Ahadith Al-Wahiyah, 01/282, Raqam-455,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/20, Raqam-12.]

Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ahl-E-Bayt Hain

Fasl : 04

Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ahl-E-Bayt Hain

 

13              “Ummi Salamah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Fatimah سَلاَمُ الله عَلَيْهَا Aur Hasan Wa Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ko Jam’a Farma Kar Un Ko Apni Chaadar Me Le Liya Aur Farmaya : Aye Allah ! Yeh Mere Ahl-E-Bayt Hain.”

[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/53, Raqam-2663,

2-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 23/308, Raqam-696,

3-Ibn Moosa Fi Mu’tasar Al-Mukhtasar, 02/266,

4-Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/158, Raqam-4705,

5-Tabari Fi Jami’-ul-Bayan Fi Tafsir Al-Qur’an, 22/08,

6-Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 03/486,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/21, Raqam-13.]

 

 

14              “Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayan Karte Hain Ki Jab Aayate Mubaahalah  “Aap Farma De’n Aawo Hum Apne Beto’n Ko Bulaate Hain Aur Tum Apne Beto’n Ko Bulaao” Naazil Huwi To Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Hazrat Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Husayn عَلَيْهِمُ السَلَام  Ko Bulaaya, Phir Farmaya : Ya Allah ! Yeh Mere Ahl(-E-Bayt) Hain.”


[1-Muslim Fi As-Sahih, 04/1871, Raqam-2404,

2-Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/225, Raqam-2999,

3-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/185, Raqam-1208,

4-Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/163, Raqam-4719,

5-Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra,  07/63, Raqam-13170,

6-Dawrqi Fi Al-Musnad Sa’d, 01/51, Raqam-19,

7-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, 01/25,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/21, 22,, Raqam-14.]

 

 

15              “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Allah Ta’ala Ke Is Farman “Aye Nabi Ke Ghar Waalo’n! Allah Chaahta Hai Ki Tum Se (Har Tarah Kee) Aaloodagi Door Kar De Aur Tum Ko Khoob Paak-o-Saaf Kar De” Ke Baare Me Farmate Hain : Yeh Aayate Mubaraka In Paanch-05 Hastiyo’n Ke Baare Me Naazil Huwi : Huzoor Nabiyye Akram, Ali, Fatimah, Hasan Aur Husayn عَلَيْهِمُ الصَّلوٰةُ وَالسَّﻻَم.”
Faa’idah : Inhin Paanch-05 Hastiyo’n Kee Mutadhakkarah Takhsis Ke Baa’ith Aammat-ul-Muslimin Me “Panjtan” Kee Istilaah Mash’hoor Hai. Jo Shar’an Durust Hai Is Me Koi Mubaalaghah Ya I’tiqaadi Ghuloo Hargiz Nahin.

[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/80, Raqam-3456,

2-Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/23, Raqam-325,

3-Ibn Hayyan Fi Tabaqat-ul-Muhaddithin Bi-Asbahan, 03/384,

4-Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 10/278,

5-Tabari Fi Jami’-ul-Bayan Fi Tafsir Al-Qur’an, 22/06,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/22, 23, Raqam-15.]

Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Hee Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ka Nasab, Wali Aur Baap Hain

Fasl : 05

Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Hee Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ka Nasab, Wali Aur Baap Hain

 

16              “Hazrat Umar Bin Khattab رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Farmate Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ko Farmate Hu’e Suna : Har Aurat Ke Beto’n Kee Nisbat Un Ke Baap Kee Taraf Hoti Hai Maasiwaae Fatimah Kee Awlaad Ke, Ki Mein Hee Un Ka Nasab Hoo’n Aur Mein Hee un Ka Baap Hoo’n.”

[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/44, Raqam-2631,

2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 04/224,

3-Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 06/139,

4-San’ani Fi Subul Al-Salam, 04/99,

Is Riwayat Me Bishr Bin Mihran Ko Ibn Hibban Ne ‘(Al-Thikqat, 08/140)’ Me Thiqah Sumaar Kiya Hai.

5-Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 02/144, Raqam-1314,

6-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, 01/121,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/23, 24, Raqam-16.]

 

 

17              “Hazrat Umar Bin Khattab رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Farmate Hain : Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ko Farmate Hu’e Suna : Qayamat Ke Din Mere Hasab-o-Nasab Ke Siwa’ Har Silsila-E-Nasab Munqata’ Ho Jaaega. Har Bete Kee Baap Kee Taraf Nisbat Hoti Hai Maasiwaae Awlade Fatimah Ke Ki Un Ka Baap Bhi Mein Hee Hoo’n Aur Un Ka Nasab Bhi Mein Hee Hoo’n.”

[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/626, Raqam-1070,

2-Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 02/145, Raqam-1316,

3-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, 01/169,

Mukhtasaran Riwaayat Darj Zail Muhaddithin Ne Riwayat Kiya Hai :

4-Abd-ur-Razzaque Fi Al-Musannaf, 06/164, Raqam-10354,

5-Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 07/64, Raqam-13172,

6-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/357, Raqam-6609,

7-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/44, Raqam-2633,

8-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 04/272,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/24, Raqam-17.]

 

 

18              “Hazrat Jabir Bin Abd Allah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Har Maa’n Ke Beto’n Ka Aabaa’i Khaandaan Hota Hai Jis Kee Taraf Woh Mansoob Hote Hain Siwaae Fatimah Ke Beto’n Ke, Pas Mein Hee Una Ka Wali Hoo’n Aur Mein Hee Un Ka Nasab Hoo’n.”

[1-Hakim Fi Al-Mustadrak , 03/179, Raqam-4770,

2-Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/109, Raqam-6741,

3-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/44, Raqam-2632,

4-Sakhawi Fi Istijlabu Irtiqa’-il-Ghurafi Bi-Hubbi Aqriba’ Ar-Rasooli ﷺ Wa Dhaw-ish-Sharaf,/130,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/25, Raqam-18.]

 

 

19              “Sayyidah Fatimah Al-Zahra’ سَلاَمُ الله عَلَيْهَا Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Har Aurat Ke Beto’n Ka Khaandaan Hota Hai Jis Kee Taraf Woh Mansoob Hote Hain Maasiwaae Fatimah Kee Aulaaad Ke, Pas Mein Hee Un Ka Wali Hoo’n Aur Mein Hee Un Ka Nasab Hoo’n.”

[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/423, Raqam-1042,

2-Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 12/109, Raqam-6741,

3-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 04/224,

4-Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 11/285,

5-Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 03/264, Raqam-4787,

6-Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 19/483,

7-Ajlooni Fi Kashf-ul-Khafa’ Wa Muzil Al-Ilbas ‘Ammah Istuhira Min Al-Ahadith ‘Ala Alsinat-in-Nas, 02/157, Raqam-1968,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/25, Raqam-19.]

Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Logo’n Me Se Sab Se Behtar Nasab Waale Hain

Fasl : 06

Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Logo’n Me Se Sab Se Behtar Nasab Waale Hain

 

20              “Hzrat Abd Allah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Aye Logo’n! Kya Mein Tumhein Un Ke Baare Me Khabar Na Doo’n Jo (Apne) Naana-Naani Ke I’tibaar Se Sab Logo’n Se Behtar Hain ? Kya Mein Tumhein Un Ke Baare Me Na Bataaun Jo (Apne) Chacha Aur Phuphi Ke Lihaaz Se Sab Logo’n Se Behtar Hain? Kya Mein Tumhein Un Ke Baare Me Na Bataau’n Jo (Apne) Maamoo’n Aur Khaala Ke I’tibaar Se Sab Logo’n Se Behtar Hain? Kya Mein Tumhein Un Ke Baare Me Khabar Na Doo’n Jo (Apne) Maa Baap Ke Lihaaz Se Sab Logo’n Se Behtar Hain? Woh Hasan Aur Husayn Hain, Un Ke Naana Allah Ke Rasool, Un Kee Naani Khudayjah Bint Khuwayld, Un Kee Waalidah Fatimah Bint RasoolAllah , Un Ke Waalid Ali Bin Abi Talib, Un Ke Chacha Ja’far Bin Abi Talib, Un Kee Phuphi Ummi Haani Bint Abi Talib, Un Ke Maamoo’n Qaasim Bin RasoolAllah Aur Un Kee Khaala RasoolAllah Kee Betiya’n Zaynab, Ruqayyah Aur Ummi Kulthum Hain. Un Ke Naana, Waalid, Waalidah, Chacha, Phuphi, Maamoo’n Aur Khaala (Sab) Jannat Me Honge Aur Woh Dono’n (Hasanayn Karimayn) Bhi Jannat Me Honge.”

[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/66, Raqam-2682,

2-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/298, Raqam-6462,

3-Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 13/229,

4-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/184,

5-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 12/118, Raqam-34278,

6-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, 01/130,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/26, 27, Raqam-20.]

Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Hee Mere Gulshane Dunya Ke Phool Hain

Fasl : 07

Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Hee Mere Gulshane Dunya Ke Phool Hain

 

21              “Hazrat Ibn Aboo Na’m رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Farmate Hain Ki Kisi Ne Hazrat Abd Allah Bin Umar رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Haalate Ehraam Ke Muta’alliq Daryaaft Kiya.
Shu’bah Farmate Hain Ki Mere Khayaal Me Ihraam Baandhne Waale Ka Makkhi Maarne Ke Baare Me Puchha Tha. Hazrat Abd Allah Bin Umar رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Ne Farmaya :
Ahle Iraq Makkhi Maarne Ka Hukm Puchhte Hain Haala’n Ki Unhone Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Nawaase (Imam Husayn رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ) Ko Shahid Kar Diya Tha Aur Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Woh Dono’n (Hasan Wa Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام) Hee To Mere Gulshane Dunya Ke Do Phool Hain.”

[1-Bukhari Fi As-Sahih, 03/1371, Raqam-3543,

2-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/85, Raqam-5568,

3-Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/425, Raqam-6969,

4-Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/260, Raqam-1927,

5- Aboo Nu’aym Asbahani Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 05/70,

6-Aboo Nu’aym Asbahani Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 07/168,

7-Bayhaqui Fi Al-Madkhal, 01/54, Raqam-129,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/28, 29, Raqam-21.]

 

 

22              “Hazrat Abd-ur-Rehman Bin Abi Na’m رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Aik Iraqi Ne Hazrat Abd Allah Bin Umar رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Puchha Ki Kapde Par Machchhar Ka Khoon Lag Jaaye To Kya Hukm Hai ? Hazrat Abd Allah Bin Umar رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Ne Farmaya : Us Kee Taraf Dekho, Machchhar Ke Khoon Ka Mas’alah Puchhata Hai Haala’n Ki Unhone Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Bete (Husayn) Ko Shahid Kiya Hai Aur Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ko Farmate Hu’e Suna : Hasan Aur Husayn Hee Mere Gulshane Dunya Ke Do-02 Phool Hain.”

[1-Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/657, Raqam-3770,

2-Bukhari Fi As-Sahih, 05/2223, Raqam-5648,

3-Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/50, Raqam-8530,

4-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/93, Raqam-5675,

5-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad,02/114, Raqam-5840,

6-Aboo Ya’la Fi Al-Musnad,10/106, Raqam-5739,

7-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/127, Raqam-2884,

8-Hakami Fi Ma’arij-ul-Qabool Bi-Sharh Sullam Al-Wusool Ila ‘Ilm Al-Usool Fi At-Tawhid, 03/127, Raqam-2884,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/29, Raqam-22.]

 

 

23              “Hazrat Aboo Ayyub Ansari رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayan Karte Hain Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Bargahe Aqdas Me Haazir Huwa To (Dekha Ki) Hasan Wa Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Saamne Ya Goud Me Khel Rahe They. Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah صَلَّى اللهُ عَلَيْكَ وَسَلَّمَ! Kya Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ In Se Muhabbat Karte Hain ? Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Mein In Se Muhabbat Kyun Na Karun. Haala’n Ki Mere Gulshane Dunya Ke Yahi To Do-02 Phool Hain Jin Kee Mahak Soonghta Rehta Hoo’n (Aur Inhin Phoolon Kee Khushbu Se Kaif Wa Saroor Paata Hoo’n).”

[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/155, Raqam-3990,

2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/181,

3-Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 07/99,

4-Mubarakfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jami’ At-Tirmidhi, 06/32,

5-Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 03/282,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/30, Raqam-23.]

Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ka Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ke Kaano’n Me Adhaan Kehna

Fasl : 08

Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ka Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ke Kaano’n Me Adhaan Kehna

 

24              “Hazrat Aboo Rafi’ رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Jab Hasan Aur Husayn Paida Hu’e To Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Khud Un Ke Kaano’n Me Adhaan Dee.”

[1-Ru’yani Fi Al-Musnad, 01/429, Raqam-708,

2-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/313, Raqam-926,

3-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/31, Raqam-2579,

4-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 04/60,

5-Ibn Mulaqqin Fi Khulasat-ul-Badr-ul-Munir Fi Takhrij-il-Ahadith Wa Al-Athar Al-Waqi’ah Fi Ash-Sharh Al-Kabir, 02/392, Raqam-2713,

6-Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 05/230,

7-San’ani Fi Subul Al-Salam, 04/100,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/31, 32, Raqam-24.]

 

 

25              “Hazrat Aboo Rafi’ رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ko Dekha Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Sayyidah Fatimah Ke Haa’n Hasan Bin Ali Kee Wilaadat Hone Par Un Ke Kaano’n Me Namaz Waali Adhaan Dee.”


[1-Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 04/97, Raqam-1514,

2-Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/328, Raqam-5105,

3-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/391,

4-Ru’yani Fi Al-Musnad, 01/455, Raqam-682,

5-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/315, Raqam-931,

6-Abd-ur-Razzaque Fi Al-Musannaf, 04/336, Raqam-7986,

7-Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 09/305,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/32, Raqam-25.]

 

 

26              “Hazrat Aboo Rafi’ رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ko Dekha Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Fatimah Ke Haa’n Husayn Kee Wilaadat Hone Par Un Ke Kaano’n Me  Adhaan Dee.”


[1-Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/197, Raqam-4827,

Hakim Ne Is Riwayat Kee Isnad Ko Sahih Qaraar Diya Hai Jab Ki Bukhari Wa Muslim Ne Is Kee Takhrij Nahin Kee.

2-Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Talkhis-ul-Habir Fi Takhrij Ahadith Al-Rafi’iy Al-Kabir, 04/149, Raqam-1985,

3-Ibn Mulaqqin Fi Khulasat-ul-Badr-ul-Munir Fi Takhrij-il-Ahadith Wa Al-Athar Al-Waqi’ah Fi Ash-Sharh Al-Kabir, 02/391, Raqam-2713,

4-Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 05/229,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/32, Raqam-26.]

Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ka Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Kee Taraf Se Aqiqah Karna

Fasl : 09

Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ka Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Kee Taraf Se Aqiqah Karna

 

27              “Hazrat Abd Allah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا  Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Hasanayn Karimayn Kee Taraf Se Aqiqe Me Aik-Aik Dumba Dhab’h Kiya.”

[1-Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/107, Raqam-2841,

2-Ibn Jarood Fi Al-Muntaqa, 01/229, Raqam-12, 911,

3-Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 09/302,

4-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/316, Raqam-11856,

5-Ibn Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 04/314,

6-Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 10/151, Raqam-5302,

7-San’ani Fi Subul Al-Salam, 04/97,

8-Ibn Rushd Fi Bidayat-il-Mujtahid Wa Nihayat-il-Muqtasid, 01/339,

9-Ibn Moosa Fi Mu’tasar Al-Mukhtasar, 01/276,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/33, Raqam-27.]

 

 

28              “Hazrat Anasa Bin Malik رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Hasanayn Karimayn Kee Taraf Se Do-02 Dumbe Aqiqah Ke Liye Dhab’h Kiye.”

[1-Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 05/323, Raqam-2945,

2-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/246, Raqam-1878,

3-Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 07/85, Raqam-2490,

4-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 04/57,

5-Wadiyashi Fi Tuhfat-ul-Muhtaj, 02/538, Raqam-1701,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/33, 34, Raqam-28.]

 

 

29              “Hazrat Abd Allah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا  Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Hasanayn Karimayn Kee Taraf Se Aqiqe Me Do-Do Dumbe Dhab’h Kiye.”

Is Hadith Ko Imam Nasa’i Ne Riwayat Kiya Hai.

[1-Nasa’i Fi As-Sunan, 07/165, Raqam-4219,

2-Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 03/76, Raqam-4545,

3-Suyooti Fi Tanwir-ul-Hawalik Sharh’Ala Muawatta’ Malik, 01/335, Raqam-1071,

4-Zarqani Fi Sharh-ul-Zarqani ‘Ala Muwatta’, 03/130,

5-Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 05/227,

6-Mubarakfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jami’ At-Tirmidhi, 05/87,

7-San’ani Fi Subul Al-Salam, 04/98,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/34, Raqam-29.]

 

 

30              “Hazrat Amr Bin Shu’ayb رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Apne Waalid Se, Woh Apne Daada Se  Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Hasan Wa Husayn Me Se Har Aik Kee Taraf Se Aik Hee Jaise Do Do Dumbe Aqiqah Me Dhab’h Kiye.”

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/265, Raqam-7590,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/34, 35, Raqam-30.]

 

 

31              “Umm-il-Mu’minin Hazrat Aaishah Siddiqua Bayan Karti Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Hasan Wa Husayn Kee Paida’ish Ke Saatwe’n Din Un Kee Taraf Se Do Do Bakriya’n Aqiqah Me Dhab’h Kee’n.”

[1-Abd-ur-Razzaque Fi Al-Musannaf, 04/330, Raqam-7963,

2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 04/58,

3-Ibn Hibban Fi As-Sahih, 12/127, Raqam-5311,

4-Wadiyashi Fi Tuhfat-ul-Muhtaj, 02/537, Raqam-1700,

5-Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/260, Raqam-1056,

6-Doolabi Fi Adh-Dhurriyat-ut-Tahirah, 01/85, Raqam-148,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/35, Raqam-31.]

 

 

32              “Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Hasanayn Karimayn Kee Taraf Se Aqiqah Kiya.”

[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/29, Raqam-2572,

2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 04/58,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/35, Raqam-32.]