Posted in 1 Pehla Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Khilaafate Raashidah Kee Muddat

PEHLA
KHITAAB

 

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ

Tarikhe Islam Me Be Shumaar Shahadatein Huwin Aur Har Shahadat Apni Jagah Aik Numaaya’n Ahmiyyat, Infiraadi Qadr-o-Manzilat Aur Maqaam Kee Haamil Hai. Har Shahadat Me Islam Kee Baqa’, Dawaam, Aaqa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Deen Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Sunnate Mubaraka Kee Hayaate Jaawida’n Ka Raaz Poshidah Hai. Yahi Wajah Hai Ki Tarikhe Islam Me Har Shahadat Apni Jagah Aham Shumaar Kee Jaati Hai Lekin Shahadate Imame Husayn ‘Alayh-is-Salam Ka Waqi’a Kai I’tibaar Se Deegar Tamaam Shahadato’n Se Mukhtalif Aur Munfarid Hai. Us Kee Infiraadiyyat Kee Aik Wajah Yeh Hai Ki Aap Khanwada-E-Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Chashm-o-Charagh They Aur Aise Chashm-o-Charagh Ke Jinhone Barahe Raast Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Goud Me Parwarish Paa’i Thi, Aap Ke Mubarak Kandho’n Par Sawaari Kee Thi, Aap Ke Lu’aabe Dahan Ko Apni Ghiza Banaaya Tha Aur Jinhein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Beta Hone ka Sharaf Haasil Tha. Is Liye Ghurbat, Pardeys Aur Mazloomiyyat Kee Haalat Me Yazeediyo’n Ke Haatho’n Shahadat Baaqi Shahadato’n Par Aik Numaaya Fauqiyyat Aur Bartari Rakhti Hai.

 

Khilaafate Raashidah Kee Muddat

                   Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apne Baa’d Qaa’im Hone Waale Daure Hukoomat Kee Pehli Hee Nishaan-Dihi Farma Dee Thi. Hazrat Safinah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :

الخلافة في أمتي ثلاثون سنة ثم ملك بعد ذلك.

Meri Ummat Me Khilafat Tees-30 Baras Tak Rahegi, Phir Us Ke Baa’d Mulookiyyat Hogi.

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 02/45,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/221,

Bayhaqui Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 06/342.]

 

 

Aik Aur Riwayat Me Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :

خلافة بعدي ثلاثون سنة ثم تكون ملكاً.

Mere Ba’d Khilafat Tees-30 Baras Tak Rahegi Phir Mulookiyyat Aa Jaaegi.

[Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih : 463,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 08/77,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 12/287,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 13/212.]

 

Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Farman Ke Mutabiq Khilafate Rashidah Aap Ke Baa’d Tees-30 Saal Hogi, Is Ke Baa’d Daure Mulookiyyat Ka Aaghaaz Hoga. Khayr Wa Falaah Par Mabni Tarze Hukoomat Badal Diya Jaaega Aur Ummate Muslimah Me Siyaasi Iqtedaar Kee Jo Shakl Riwaaj Paaegi Woh Mulookiyyat Kee Soorat Me Hogi. Chunanche Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Peyshangoyi Ke Mutabiq Hazrat Aboo Bakr Siddique RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu 02 Baras 03 Maah 10 Din Tak Takhte Khilafat Par Mutamakkin Rahe, Phir Khalifa-E-Thaani Hazrat Umar Farooque  RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne 10 Baras 06 Maah 04 Din Tak Us Mansab Ko Zeenat Bakhshi, Phir Khalifa-E-Thaalisth Hazrat Uthman Ghani Dhu-‘n-Noorayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Daur Aaya Aur Aap 11 Baras 11 Maah 28 Din Tak Khalifah Rahe. Aap Ke Baa’d Khalifa-E-Chaahroom Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim 04 Baras 09 Maah Tak Us Ohda-E-Jalilah Par Faa’iz Rahe Aur Tablighe Deen Ke Liye Jo Kuchh Kar Sakte They Badi Jaan-Fishaani, Jur’at Wa Himmat Aur Nihaayat Josh Wa Jazbe Ke Saath Woh Sab Kuchh Kiya. Aap Kee Shahadat Ke Baa’d Aap Ke Sahibzade Hazrat Imam Hasan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Yeh Uhdah Sambhaala Aur Taqriban Chhe-06 Maah Us Mansab Par Faa’iz Rahe, Sayyidina Imam Hasan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Daure Khilafat Ke 06 Maah Shumaar Kar Ke Tees-30 Baras Mushtamil Yeh Zamana Ahde Khilafate Rashidah Kahlaata Hai.

 

Hazrat Ali Shere Khuda KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke E’lane Khilafat Ke Saath Hee Mulke Shaam Me Hazrat Amir Mu’awiyah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Apni Aazaad Hukoomat Ka E’laan Kar Diya Aur Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Khalifah Taslim Na Kiya. Is Par Ummate Muslima Muttafique Rahi Hai Ki Khilafat Bahar Taur Sayyidina Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haque Tha Aap Hee Khalifa-E-Bar-Haque Aur Khalifa-E-Rashid They. Hazrat Amir Mu’awiyah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Yeh Faysala Aur Iqdaam Jami’ A’imma-E-Ahle Sunnat Ke Haa’n Ijtihaadi Khata Par Mahmool Kiya Jaata Hai.

 

Allamah Taftazaani Likhte Hain :

والذي أتفق عليه أهل الحق أن المصيب في جميع ذلك علي.

Ahle Haque Ka Is Baat Par Ittifaque Hai Ki Us Poore Mu’amale Me Hazrat Ali Durust They.

[Taftazani Fi Sharh Al-Maqasid, 02/305.]

 

Hazrat Amir Mu’awiyah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Judagaanah E’lane Hukoomat Ke Baa’d Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Un Kee Kashmakash Ka Aaghaaz Ho Gaya Jis Ke Nateeje Me Jange Jumal Aur Jange Siffin Jaise Chhote Bade Ma’rake Huwe.

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-09_11.]

Posted in 1 Pehla Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Markaze Khilafat Kee Koofah Me Muntaqili

                   Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Apne Daur Me Takhte Khilfat Madinah Tayyibah Se Muntaqil Kar Ke Koofah Me Qaa’im Kar Liya Tha. Is Kee Wajah Yeh Thi Ki Hazrat Amir Mu’awiyah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Daar-ul-Hukoomat Dimashq Tha Jo Ki Madinah Se Bahut Dur Aur Lambi Masaafat Par Tha. Is Qadar Dur Rah Kar Poori Khilafat Ke Intizam Wa Insiraam Me Dushwaari Hoti Thi Chunanche Is Dushwaari Aur Us Ilaaqe Me Bapa Hone Waali Musalsal Baghaawato’n Par Qaabu Paane Ke Peshe Nazar Aap Ne Daar-ul-Hukoomat Koofah Muntakhab Farmaya, Dar Hala’n Ki Hijaaz Aur Harmayn Ke Ilaaqe Par Amn They. Jab Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne  Apni Khilafat Ka Markaz Koofah Qaraar Diya To Woh Jo Khud Ko Shi’ane Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim (Hazrat Mawla Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Giroh) Kehlaane Waale They, Itraafe Aalam Se Simat-Simat Kar Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Qurb Ke Khayaal Se Koofah Me Jama’ Hone Lage Aur Kasrat Ke Saath Unhone Koofah Me Sakoonat Aur Riha’ish Ikhtiyaar Kee. Is Tarah Koofah Shi’ane Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Markaz Ban Gaya.

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-11_12.]

Posted in 1 Pehla Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Naye Mutahaarib Giroho’n Ka Zahoor

                   Us Daure Munaaqasha Me Chaar-04 Jama’atein  Wujood Me Aayi’n Jin Me Aik Jama’at Aisi Thi Jis Ne Khul Kar Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Kee Himaayat Aur Banu Umayya Wa Deegar Shakhsiyyaat Kee Mukhaalifat Ka Elaan Kar Diya. Is Jama’at Ne Khud Ko “Shi’an” Kee Jama’at Qaraar Diya Aur Isi Siyaasi Himaayat Kee Bina Par Aage Chal Kar Yeh Jama’at “Shiane Ali” Kee Jama’at Qaraar Paayi.

 

Yaad Rahe Ki Shiane Ali Ka Naam Jo Us Waqt Ma’roof Huwa Us Se Fiqhi Aur Mazhabi Nuqta-E-Nazar Se Woh Shia Maktabe Fikr Muraad Nahin Tha Jo Baa’d Me Baa-Qaaidah Fiqh Kee Tadween Wa Taalif Ke Baa’d Wujood Me Aaya Balki Is Se Hazrat Ali Alayh-is-Salam Aur Hazrat Amir Muawiya RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Darmiyan Ikhtilaaf Ke Waqt Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Khilafat Kee Siyaasi Himaayat Ke Taur Par Paida Hone Waala Giroh Hai.

 

Doosra Tabaqa Banu Umayya Kee Himayat Par Wujood Me Aaya. Pehle-Pehle Yahi Do Giroh Aapas Me Mutasaadim Huwe. Isi Daur Me Aik Tisra Tabqa Bhi Wujood Me Ayaa Jis Ne Hazrat Ali Alayh-is-Salam Aur Hazrat Amir Muawiya RadiyAllahu Ta’ala Anhu Dono’n Kee Mukhaalifat Kee. Is Tabqe Ne Un Dono’n Hastiyon Ke Khilaaf Aik Musallah Kashmakash Ka Aaghaaz Kiya Yeh Tabqa “Khawaarij” Kehlaata Hai. Yeh Khaarji Namaz, Roze Aur Zakaat Ke Paaband They, Nawaafil, Tahajjud, Kasrate Dhikr Aur Kasrate Tilawat Jaise Aamaal Bhi Baja Laate They, إِنِ الْحُكْمُ إِلَّا لِلَّهِ   Kee Hukmarani Ka Na’rah Buland Karte They Lekin (Ma’azAllah) Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aur Hazrat Amir Mu’awiya RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ko Waajib-ul-Qatl Aur Kaafir Gardaante They. Chawtha Tabqa Kathir Sahaba Aur Un Ke Mutabbi’iyn Ka Tha Jo Hazrat Mawla Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Khilaafat Ko Bar-Haque Jaante They Lekin Hazrat Mu’awiya RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Baare Me Bhi Khaamosh They.

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-12_13.]

Posted in 1 Pehla Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

60 Hijri Ke Ikhtitaam Se Panaah Maangne Ka Hukm

                   Hazrat Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Kee Shahadate Uzma Kee Yeh Aik Munfarad Khoobi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Kee Tafseelaat Bahut Pehle Bata Dee Thi’n Taa Ki Juz’iyyaat Tak Se Khawaas Ahle Bayt Waaqif Ho Chuke They Aur Unhein Bakhoobi Pata Chal Chuka Tha Ki Mustaqbil Me Kya Hone Waala Hai. Un Hairat Angez Qabl Az Waqt Tafsilaat Ko Mu’jizanah Pesheengoyi Ke Siwa Koi Naam Nahin Diya Jaa Sakta. Yahi Wajah Hai Ki Maydaane Siffin Kee Taraf Jaate Huwe Raaste Me Hazrat Ali Shere Khuda KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Karbala Ke Un Muqaamaat Tak Kee Nishaan-Dihi Kar Dee Thi Jaha’n Un Hazarat Ko Shaheed Hona Tha.

 

Un Waqe’at Ka Ba-Nazar Ghaa’ir Jaa’izah Lene Se Pata Chalta Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Deegar Tafseelaat Ke Saath Baa’z Khaas Logo’n Ke Mah-o-Saal Se Bhi Aagaah Kar Diya Tha Aur Woh Hatmi Taur Par Jaante They Ki Yeh Afsosnaak Saanihah Kab Wuqoo’ Pazeer Hone Waala Hai.

Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bhi Un Khaas Logo’n Aur Mahrame Raaz Dosto’n Me Se They Jinhein Achchhi Tarah Ilm Tha Ki Sinn 60 Hijri Ke Ikhtitaam Tak Siyaasi Wa Mulki Haalaat Mustehkam Nahin Raheinge Balki Un Me Numaaya Tabdeeli Aa Jaaegi. Hukoomat Kee Baag Daur Aisi Ghair Saalih Awbaash Aur Nau Umr Logo’n Ke Haath Me Aa Jaaegi Jin Ke Peshe Nazar Amaanate Ilahiyyah Nahin Balki Ta’ayyush Zindagi Hogi Aur Woh Itqtidaar Ko Aish Wa Ishrat, Sharaab Wa Kabaab, Badma’ashi, Aawaaragi, Badkaari Aur Awaam Par Zulm-o-Sitam Dhaane Ke Liye Be Daregh Isti’maal Karenge. Chunanche Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aksar Duaa Kiya Karte They :

أعوذ بالله من رأس الستين وإمارة الصبيان.

Mein Saath – 60 Hijri Ke Ikhtitaam Aur Nau Umr Logo’n Kee Amaarat Se Allah Ta’ala Kee Panaah Maangta Hoo’n.

[Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 01/216.]

 

Aik Doosri Riwayat Me Hai Ki Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Baazaar Se Guzarte Huwe Yeh Duaa Kiya Karte They :

اللهم لا تدركني سنة ستين ولا إمارة الصبيان.

Aye Allah ! Mein Saath-60 Hijri Aur Baccho’n Kee Amaarat Ke Zamaane Ko Na Paao’n.

[Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 12/10.]

 

Un Ka Muda’aa Yeh Tha Ki Aik Khaufnaak Daur Shuru’ Hone Waala Hai, Jis Me Awbaash Ladke Saltanat Wa Hukoomat Par Qaabid Honge. Jis Se Ummate Muslimah Ko Na-Qabile Talaafi Nuqshaan Hoga, Aise Awbaash Ladko’n Ke Baare Me Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Pehle Se Khabardaar Farma Diya Tha :

1

هلاك هذه أمتي على يدي أغيلمة من قريش.

Is Ummat Kee Halaaqat Quraysh Ke Awbaash Naujawaano’n Ke Haatho’n Hogi.

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/509,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/1046,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/526,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/335,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/327.]

 

2

هلاك أمتي على يدي غلمة من قريش.

Meri Ummat Kee Halaaqat Quraysh Ke Awbaash Naujawano’n Ke Haatho’n Hogi.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/527,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/346.]

 

3

إن فساد أمتي على يدي أغيلمة سفهاء.

BeShak Meri Ummat Me Jhagda Wa Fasaad Be-Waqoof Awbaash Naujawaano’n Ke Haatho’n Barpa Hoga.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/304,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/485,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/108,

Bukhari Fi At-Tarikh Al-Kabir, 07/309.]

 

4

إن هلاك أمتي أو فساد أمتي رؤوس أمراء أغيلمة سفهاء من قريش.

BeShak Meri Ummat Kee Halaaqat Ya (Us Ka) Fasaad Quraysh Ke Be-Waqoof Aur Awbaash Hukmarano’n Ke Haatho’n Hoga.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/299.]

 

Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Aik Riwayat Hain Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :

ويل للعرب من شر قد اقترب على رأس الستين تصير الأمانة غنيمة والصدقة غرامة والشهادة بالمعرفة والحكم بالهوى.

Ahle Arab Ke Liye Us Sharr Kee Wajah Se Tabaahi Wa Barbaadi Hai Jo Sinn 60 Hijri Ke Ikhtitam Par Qareeb Aa Chuki Hai, Amaanat Ko Maale Ghanimat Aur Sadqah (Wa Zakaat) Ko Taawaan (Jurmaana) Khayaal Kiya Jaaega Aur Gawaahi (Shakhsi) Jaan Pahchaan Kee Bina Par Hogi Aur Faisalah (Zaati) Khwaahish Kee Bina Par Hoga.

[Nu’aym Bin Hammad Fi Kitab-ul-Fitan, 02/703.]

 

Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Riwayat Karti Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :

يقتل حسين بن علي على رأس ستين من مهاجرتي.

(Mere Jigar Gosha) Husayn Bin Ali Ko Sinn 60 Hijri Ke Ikhtitaam Par Shaheed Kar Diya Jaaega.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/105,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 01/142,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/190.]

 

Yahi Riwayat Mundarijae Zayl Alfaaz Ke Saath Bhi Marwi Hain :

يقتل الحسين بن علي على رأس ستين من مهاجري حين يعلوه القتير، القتير الشيب.

(Mere Jigar Gosha) Husayn Bin Ali Ko Sinn 60 Hijri Ke Ikhtitaam Par Shaheed Kar Diya Jaaega Ki Jab Aik (Awbaash) Naujawaan Un Par Chadhaa’i Karega.

[Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/539.]

 

Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Is Pesheengoyi Ke Mutabiq Sinn 60 Hijri Me Qabila-E-Quraysh Kee Shaakh Bani Umayya Ka Awbaash Naujawan Yazeed Bin Mu’awiya Takht Nasheen Huwa, Aur 61 Hijri Ke Ibtidaayi Das-10 Dino’n Me Saaniha-E-Karbala Pesh Aaya Jis Ka Waazeh Matlab Yeh Huwa Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yazeed Kee Hukoomat Se Panaah Mangne Ka Hukm Farmaya Tha Aur Bata Diya Tha Ki Yahi Woh Shakhs Hoga Jo Ahl-E-Bayt Salam Allah ‘Alayhim Ke Khoon Se Haath Rangega, Chunanche Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Hukm Kee Pairwi Me Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Yazeed Kee No-Khaiz Aur La-Ubaali Hukoomat Aur Us Ke Zulm-o-Sitam Se Bharpoor Daur Se Panaah Maanga Karte They. Chunanche Aap Kee Duaa Qubool Huwi Aur Aap Aik Saal Pehle Hee Faut Ho Gaye.

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-13_17.]

Posted in 1 Pehla Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Governore Madinah Ke Naam Par Yazeed Ka Khat

                   Yazeed Kee Takht Nasheeni Ke Baa’d Is Ke Liye Sab Se Aham Aur Bada Mas’ala Hazrat Abd Allah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu, Hazrat Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aur Hazrat Abd Allah Bin Zubayr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Bay’at Ka Tha Kyun Ki In Hazaraat Ne Yazeed Kee Wali-E-Ahd Ko Qubool Nahin Kiya Tha. Mazeed Yeh Ki Ummate Muslimah Me Yeh Aisi Buland Paaya Shakhsiyatein Thi’n Ki Jin Se Yazeed Ko Andesha Tha Ki Kahin In Me Se Koi Khud Khilafat Ka Da’wa Na Kar De. Chunanche Yazeed Ke Liye Apni Hukoomat Kee Baqa’ Aur Mazbooti Ke Liye Zaroori Tha Ki Woh Un Hazarat Se Bay’at Le, Is Liye Takht Nasheen Hote Hee Yazeed Ne Madinah Ke Governor Walid Bin Uqbah Ko Hazrat Amir Mu’awiyah Kee Wafaat Kee Khabar Bheji Aur Saath Hee Yeh Hukm Naama Bhi Bheja Ki :

أما بعد فخذ حسينًا وعبد اللَّه بْن عُمَر وعبد اللَّه بْن الزبير بالبيعة أخذا شديدًا ليست فيه رُخْصَةٌ ولا هَوادة حتى يبايعوا.

Hazrat Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam, Hazrat Abd Allah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aur Hazrat Abd Allah Bin Zubayr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Mere Haque Me Bay’at Lo Aur Jab Tak Woh Meri Bay’at Na Karein Unhein Hargiz Mat Chhodo.

[Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa’l-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 06/24,

Ibn Athir Fi Al-Kamil Fi At-Tarikh, 04/14,

Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 08/146.]

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-17.]

Posted in 1 Pehla Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Kee Madinah Se Rawaangi

                   Madinah Ke Haalaat Hazrat Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Haque Me Na-Saazgaar Ho Gaye Aur Aap Ne Socha Ki Mumkin Hai Ki Mere Haamiyo’n Aur Hukoomat Ke Darmiyan Aik Musallah Jang Kee Fiza Paida Ho Jaaye  Aur Khoon Kharaabi Kee Naubat Aa Jaaye Aur Mere Nana Ka Madinah Jise Aap Ne Haram Qaraar Diya Tha Jis Haram Ke Liye Mere Chacha Uthman Ne Bhi Apna Khoon Qubool Kar Liya Tha, Apni Maut Ko Be Kasi Aur Be Basi Ke Aalam Ko Gawaara Kar Liya Tha Lekin Apne Difaa’ Me Talwaar Uthaane Kee Ijaazat Na Dee Thi Mein Nahin Chahta Ki Woh Muqaddas Sar Zameen Mere Khoon Se Rangin Ho Jaaye.

 

Isi Asna’ Me Hazrat Abd Allah Bin Zubayr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Chupke Se Madinah Chhod Kar Makkah Mukarammah Chale Gaye. Baaqi Do Sahabah Bhi Bay’at Ka Inkaar Kar Ke Aik Taraf Ho Gaye Aur Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Haamiyo’n Me Aur Aap Ke Ghulamo’n Me Chun Ki Josh Tha, Aap Rawda-E-Rasool Par Haazir Huwe Aur Gumbade Khadra’ Ko Mushtaaqaanah Hasrat Bhari Nigaaho’n Se Dekh Kar Thandi Saans Le Kar Arz Kee : Nana Jaan ! Ab Aap Ke Sahr Ke Log Aur Yaha’n Ke Hukmaraan Mujhe Aap Ke Qadmo’n Me Nahin Rahne Dete Phir Huzoore Aqdas SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Ijazat Le Kar Bojhal Dil Aur Purnam Aankho’n Ke Saath Ahl-o-Ayaal Aur A’izzah Wa Aqaarib Ko Sath Le Kar Madine Ke Hurmat Ke Tahaffuz Ke Khaatir Shahre Makkah Ko Hijrat Farma Gaye Aur Waha’n Panunche To Abd Allah Bin Zubayr Apne Kai Haamiyo’n Ko Tayyar Kar Chuke They. Yazeed Ko Jab Abd Allah Bin Zubayr Ke Makkah Pahunchne Kee Khabar Huwi To Us Ne Apna Lashkar Bheja Aur Sipah Saalaar Ko Hukm Diya Ki Makkah Ka Muhaasarah Kar Liya Jaaye, Abd Allah Bin Zubayr Ko Fat’h Huwi Lekin Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Is Ma’rake Me Harame Ka’ba Ke Peshe Nazar Phir Bhi Shareek Na Huwe, Alag Thalag Rahe.

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-18.]

Posted in 1 Pehla Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Ahle Koofah Kee Meeting Aur Da’wat

                   Koofah Shahr Ke Shi’ane Ali Aur Koofah Aur Basrah Ke Baasiyo’n Ko Yeh Ittila’ Ho Chuki Thi Ki Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Yazeed Kee Bay’at Se Inkaar Kar Diya Hai Aur Yeh Bhi Ma’loom Tha Ki Abd Allah Bin Zubayr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu, Abd-ur-Rahman Bin Abi Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu, Abd Allah Bin Umar Ne Bhi Inkaar Kar Dia Hai Unhein Yeh Ittila’ Bhi Ho Chuki Thi Ki Makkah Ka Pehla Ma’rakah Abd Allah Bin Zubayr Ne Sar Kar Liya Hai Air Yazeedi Lashkar Ko Nakami Ka Munh Dekhna Pada Hai Is Par Shi’ane Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Koofah Aur Basrah Me Hausle Buland Ho Gaye Unhone Fauran Aik Shakhs Ko Jo Ki Shi’ane Ali Ka Sardar Tha Use Apna Leader Taslim Kar Liya Aur Us Ke Ghar Aik Meeting Talab Kee.

 

Shi’a Maktaba-E-Fiqar Kee Aik Mu’atabar Tarikh Kee Kitab Jis Ka Nam “Jila’-ul-‘Uyoon” Hai Us Me Tafseel Se Yeh Waqe’at Darj Hain. Unhone Ijlaas Me Faisalah Kiya Ki Haalaat Saazgaar Hain Mu’awiyah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Intiqal Ho Chuka Hai Yazeed Takht Nasheen Huwa Hai Bade Bade Jalil-ul-Qadr Logo’n Ne Us Kee Bay’at Se Inkaar Kar Diya Hai Loha Garm Hai Is Mauqa’ Se Faa’idah Uthaaya Jaaye Sayyidana Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Ko Koofah Aane Kee Da’wat Dee Jaaye Aur Hum Un Ke Haath Par Bay’at Kar Le’n Aur Is Tarah Yazeed Jaise Faasiq Wa Faajir Aur Shaqi Badbakht Insaan Kee Hukoomat Ka Patta Apne Gale Se Utaar Phainkein.

 

Musalman Aur Ba’d Deegar Shi’a Leadero’n Ne Yeh Kaha Ki Dekh Lo Kahin Aisa Na Ho Hum Log Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Be-Wafa’i Kar Baithein Agar Saabit Qadami Aur Istiqamat Ke Saath Un Ka Saath De Sakte Ho To Phir Is Amr Kee Da’wat De Do, Aur Agar Tumehin Andeshah Ho Ki Jaabir Hukoomat Ke Saamne Nahin Thahr Sakoge Aur Un Se Jafa Karne Par Majboor Ho Jaaoge To Unhein Taklif Na Do, Lekin Shi’ane Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Yeh Faisalah Kar Liya Ki Har Qimat Par Un Ka Saath Denge Aur Saabit Qadam Rahenge, Pas Un Faislo’n Ke Nateeje Me Hazrat Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Ko Khutoot Likhe  Aur Wufood Bheje Un Khutoot Me Likha Ki Aye Ibn Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma ! Hum Aap Ke Aur Aap Ke Waalide Girami Ke Shi’a Hain Mu’wiyah Ka Intiqaal Ho Chuka Hai Aur Yazeed Takht Nasheen Huwa Hai Hum Koofah Aur Basrah Ke Saare Log Aap Kee Himaayat Me Fisq-o-Fujoor Aur Zulm Aur Irtidaad Ke Khilaaf Aawaaz Uthaane Ke Liye Tayyar Hain. Aap Tashrif Laaein Hum Aap Ke Daste Aqdas Par Bay’at Kar Ke Aap Kee Khilaafat Ka Iqraar Aur E’laan Karne Par Aamaadah Hain Hum Aap Ko Amr Bil-Ma’roof Kee Da’wat Dete Hain Agar Aap Is Da’wat Ke Ba-Wujood Na Aaye To Hum Qiyamat Ke Roz Aap Ke Girebaan Tak Apna Haath Le Jaaenge Aur Allah Kee Bargah Me Jawaab Talabi Karenge. Ki Hum Ne Zulm Ke Khilaaf Awaaz Buland Kee Aur Aap Ko Amr Bi’l-Ma’roof Wa An-Nahiy ‘Ani-‘l-Munkar Ke Da’wat Dee Thi. Lekin Aap Ne Hamari Da’wat Par Koi Iqdam Nahin Kiya Tha.

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-19_20.]

 

Posted in 1 Pehla Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Koofah Jaane Ke Liye Imame Paak Ka Faisalah

                   Jab Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Paas Yeh Khat Pahunche To Aap Kee Himmat Aur Ghairate Deeni Josh Me Aa Gayi Aur Aap Ne Amr Bi’l-Ma’roof Wa An-Nahiy ‘Ani-‘l-Munkar Ke Liye Alame Jihaad Buland Karna Apna Farz Samajh Liya Is Par Hazrat Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Aur Aap Ke Deegar A’izzah Wa Aqaarib Aur Kai Jalil-ul-Qadr Sahabah Aur Tabi’iyn Ne Aap Kee Khidmat Me Darkhaast Kee Ki Hazrat Aap Koofah Tashrif Na Le Jaaein Koofah Ke Log Be-Wafa Hain. Jafaakaar Hain Unhone Aap Ke Abba Huzoor Se Be-Wafa’i Kee Thi Unhein Ghurbat Pardes Aur Kasmapursi Kee Haalat Me Shahadat Ke Anjaam Tak Pahunchaya Tha. Aur Phir Yeh Log Woh Hain Ki Yeh Apne Zaalim Amir Ko Takht Se Hata Kar Da’wat Nahin De Rahe Us Kee Pairwi Ka Qilaadah Ba Dastoor Un Ke Gale Me Hai. Un Ke Saro’n Par Us Kee Ghulami Ka Saaya Hai Lekin Aap Ko Bula Rahe Hain Kahin Aisa To Na Ho Ki Aap Se Be-Wafa’i Kar Jaaein Aur Zulm-o-Sitam Ke Murtaqib Ho’n Hazrat Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Yeh Sab Kuchh Suna Lekin Farmaya Ki Ab Mujh Par Amr Bi’l-Ma’roof Wa An-Nahiy ‘Ani-‘l-Munkar Aur Da’wate Haque Kee Khaatir Alame Jihaad Karna Farz Ho Chuka Hai, Woh Log Jafakar Ho’n Ya Be-Wafa, Mujhe Un Kee Be-Wafa’i Se Koi Sarokaar Nahin, Qiyamat Ke Din Allah Kee Bargah Me Pesh Hone Se Darta Hoo’n Ki Kahin Aisa Na Ho Ki Mujh Se Sawaal Kiya Jaaye Ki Tujhe Da’wate Haque Dee Gayi Thi Us Waqt Zulm Wa Barbariyyat Ka Baazaar Garm Tha Aur Sunnate Nabawi Ke Khilaaf Sarkashi Ho Rahi Thi Aur Deene Islam Me Bid’aat Wa Khuraafaat Ko Riwaaj Diya Jaa Raha Tha Qaarooniyyat, Fir’awniyyat, Aur Yazeediyyat Dandana Rahi Thi Logo’n Ke Huqooq Salb Ho Rahe They Aazadiya’n Chhini Jaa Rahi Thi, Islami Shi’aar  Ka Mazaaq Udaaya Jaa Raha Tha, Islam Kee Hukoomat Aur Islam Ke Qanoon Kee Tad’hik Ho Rahi Thi Aur Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu ! Us Waqt Too Ne Us Baghaawat Ke Khilaaf Jihaad Ka Alam Kyun Buland Na Kiya ? Us Waqt Mein Kya Jawaab Dunga. Albatta Yeh Munaasib Hai Ki Jaane Se Pehle Apne Chachazaad Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Haalaat Ka Jaa’izah Lene Bhejta Hoo’n, Unhone Waha’n Se Jo Report Bheji Phir Us Ke Mutabiq Amal Karunga Chunanche Aap Ne Hazrat Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Koofah Sifaarat Ke Khayaal Se Bheja, Aur Farmaya, Ki Aye Mere Bhaai Muslim ! Koofah Jaa Kar Haalaat Ka Ja’izah Lo! Aur Waha’n Ke Haalaat Ka Jaa’izah Le Kar Mujhe Mashwarah Do Aur Mujhe Khat Likho Ki Aaya, In Haalaat Me Mera Waha’n Jaana Munaasib Hai Ya Nahin ? Log Yazeed Kee Bay’at Todne Aur Meri Bay’at Karne Ke Liye Tayyar Hai Ya Nahin ?

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-20_21.]

Posted in 1 Pehla Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Imam Muslim RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Koofah Me Waalihana Istiqbaal

                   Chunanche Hazrat Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Apne Kuchh Sathiyo’n Apne Do Beto’n Muhammad Aur Ibrahim Ko Saath Le Kar Koofah Rawana Ho Gaye Jab Koofah Pahunche To Shi’ane Ali Ne Aap Ka Shaandaar Istiqbal Kiya Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Numa’indah Samajh Kar Jauq Dar Jauq Aap Ke Haath Par Bay’at Karne Lage Aur Pehle Hee Din Das Hazar-10.000 Afraad Ne Hazrat Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ke Haath Par Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Kee Taraf Se Bay’at Kar Lee. Aap Ne Pehle Din Logo’n Ka Shawq, Aqidat Wa Muhabbat, Josh Aur Walwala Dekh Kar Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Khat Likh Diya Ki Bhai Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu ! Halaat Da’wate Haque Aur Amr Bi’l-Ma’roof Ke Liye Saazgaar Hain Baarah Hazar-12.000 Afraad Ne Pehle Din Mere Haath Par Bay’at Kar Lee Hai, Aik Laakh Afraad Mazeed Bay’at Karne Ke Liye Tayyar Hain, Aap Bila Taamil Aur Bila Jhijak Tashrif Le Aaein. Yeh Khat Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Mila Aur Aap Koofah Rawangi Kee Tayyari Me Masroof Ho Gaye. Idhar Yazeedi Hukoomat Ke Haamiyo’n Ko Hazrat Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Kee Sar Garmiyo’n Ka Ilm Ho Gaya.

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-21.]

Posted in 1 Pehla Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Koofah Ke Governor Kee Ma’zooli Aur Ibn Ziyaad Ka Taqarrur

                   Koofah Ka Governor Us Waqt Jo Shakhs Tha Us Ka Naam Nu’man Bin Bashir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tha, Yeh Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sahabah Aur Khanwada-E-Rasool Ke Ghulamo’n Me Se  Tha, Woh Agarche Hukoomat Ke Aik Zimmedar Uhde Par Faa’iz Tha, Lekin Us Ke Dil Me Us Uhde Kee Muhabbat Na Thi, Woh Us Par Ghulami-E-Rasool Aur Ishqe Husayn Ko Tarjeeh Deta Tha, Is Liye Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Kee Raah Me Koi Rukaawat Na Daali, Aur Khaamoshi Se Sab Kuchh Gawaara Kiya.

Yazeedi Hukoomat Ke Haamiyo’n Ne Dekha Ki Kaaya Palat Jaane Ka Imkaan Hai To Woh Hazrat Nu’man Bin Bashir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Paas Aaye Aur Aa Kar Kaha Ki Nu’man Bin Bashir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu ! Koofah Shahr Yazeed Kee Hukoomat Se Nikla Jaa Raha Hai Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Ke Haque Me Log Jauq Dar Jauq Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ke Haatho’n Par Bay’at Kar Rahe Hain Aur Too Khaamoshi Se Tamaasha Dekhe Jaa Raha Hai, Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Giriftaar Kar, Aur Qayl Kar Ke Un Ka Safaaya Kar De Taa Ki Fitna Wa Fasaad Ka Imkaan Na Rahe.

 

Nu’man RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kisi Qeemat Par Bhi Is Iqdaam Ke Liye Aamaadah Na They, Unhone Taalne Kee Koshish Kee, Farmaya Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Chun Ki Bay’ate Khufya Lee Hai To Yeh Munasib Nahin Ki Alal E’laan Unhein Giriftaar Karo’n, Mein Bhi Khufya Taur Par Kuchh Iqdaam Karunga. Log Samajh Gaye Ki Khanwada-E-Rasool Ke Khilaaf Isi Ghulami Aur Muhabbate Rasool Ke Rishte Se Koi Iqdaam Karne Par Tayyar Nahin Hai. Yazeed Kee Hukoomat Ke Haamiyo’n Ka Yeh Wafd Yazeed Ke Paas Pahuncha Aur Us Ko Soorate Haal Se Aagaah Kiya. Aur Kaha Ki Nu’man Bin Bashir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Qat’an Teri Hukoomat Ke Mafaadaat Ke Tahaffuz Par Aamaadah Nahin Hai. Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Aamad Aamad Hai Aur Log Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ke Haath Par Jauq Dar Jauq Bay’at Kar Rahe Hain Koofah Aur Basrah Bhi Tere Iqtedaar Se Nikal Jaane Ko Hai Too Fauran Is Ke Liye Koi Bandobast Kar !

 

Yazeed Ne Apne Aik Khandani Ghulam Ko Bulaya, Yeh Hazrat Amir Mu’awiyah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Mu’tamad Ghulam Tha, Yazeed Ne Us Kee Goud Me Parwarish Paayi Thi, Aur Yeh Isi Ke Khaandaan Ka Raazdaar Tha, Us Mahrame Raaz Se Puchha Ki Haalaat Yeh Hain To Bata Ki Mein Kya Karun ? Us Ne Kaha Yeh Durust Hai Ki Too Ziyad Bin Aboo Sufyan Ko Achchha Nahin Samajhta, Tere Baap Hazrat Amir Mu’awiyah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Ziyad Ko Tere Daada Aboo Sufyan Ka Beta Zaahir Kiya Tha Lekin Laundi Ke Batan Se Hone Kee Bina Par Tere Baap Ne Use Gawara Na Kiya Aur Hamesha Haqeer Nazro’n Se Dekha, Phir Jab Teri Takht Nasheeni Ka Waqt Aaya To Ziyad Bin Aboo Sufyan Ne Teri Takht Nasheeni Kee Bhi Mukhalifat Kee, Too Is Wajah Se Bhi Use Achchha Nahin Samajhta, Aur Us Ke Bete Ubaydullah Bin Ziyad Ko Bhi Usi Nisbat Se Bura Jaanta Hai Lekin Meri Raaye Yeh Hai Ki Is Aade Waqt Me Jis Tarah Ubaydullah Ibn Ziyad Tere Kaam Aa Sakta Hai Aur Is “Fitna Wa Saazish” Ko Jis Tarah Woh Kuchal Sakta Hai Koi Aur Is Muhim Ko Kamyaabi Se Sar Nahin Kar Sakta Too Fauran Koofah Aur Basrah Kee Hukoomat Ubaydullah Bin Ziyad Ke Supurd Kar De, Aur Nu’man Bin Bashir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Ma’zool Kar De, Yaa Ki Ibn Ziyad Apni Sakht Policy Kee Wajah Se Us Saazish Ko Kuchal De. Yazeed Ko Yeh Mashwarah Pasand Aaya Us Ne Fori Khat Ke Zari’e Nu’man Bin Bashir Ko Ma’zool Kar Diya Aur Ubaydullah Bin Ziyad Ko Governor Naamzad Kar Diya.

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-21_23.]