Posted in 1 Pehla Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Governore Madinah Ke Naam Par Yazeed Ka Khat

                   Yazeed Kee Takht Nasheeni Ke Baa’d Is Ke Liye Sab Se Aham Aur Bada Mas’ala Hazrat Abd Allah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu, Hazrat Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aur Hazrat Abd Allah Bin Zubayr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Bay’at Ka Tha Kyun Ki In Hazaraat Ne Yazeed Kee Wali-E-Ahd Ko Qubool Nahin Kiya Tha. Mazeed Yeh Ki Ummate Muslimah Me Yeh Aisi Buland Paaya Shakhsiyatein Thi’n Ki Jin Se Yazeed Ko Andesha Tha Ki Kahin In Me Se Koi Khud Khilafat Ka Da’wa Na Kar De. Chunanche Yazeed Ke Liye Apni Hukoomat Kee Baqa’ Aur Mazbooti Ke Liye Zaroori Tha Ki Woh Un Hazarat Se Bay’at Le, Is Liye Takht Nasheen Hote Hee Yazeed Ne Madinah Ke Governor Walid Bin Uqbah Ko Hazrat Amir Mu’awiyah Kee Wafaat Kee Khabar Bheji Aur Saath Hee Yeh Hukm Naama Bhi Bheja Ki :

أما بعد فخذ حسينًا وعبد اللَّه بْن عُمَر وعبد اللَّه بْن الزبير بالبيعة أخذا شديدًا ليست فيه رُخْصَةٌ ولا هَوادة حتى يبايعوا.

Hazrat Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam, Hazrat Abd Allah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aur Hazrat Abd Allah Bin Zubayr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Mere Haque Me Bay’at Lo Aur Jab Tak Woh Meri Bay’at Na Karein Unhein Hargiz Mat Chhodo.

[Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa’l-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 06/24,

Ibn Athir Fi Al-Kamil Fi At-Tarikh, 04/14,

Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 08/146.]

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-17.]