Posted in Al-Ṣalāṫ ʻind al-Ḥanafīyah fī ḍaw’i al-Sunnaṫ al-Nabawīyah

Takbire ‘Oola Ke Ilaawah Namaz Me Raf’ Yadayn Na Karne Ka Bayan

Fasl-02:

Takbire ‘Oola Ke Ilaawah Namaz Me Raf’ Yadayn Na Karne Ka Bayan

14.              “Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya: Unhone Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Basara Me Namaz Padhi To Unhone Hamen Woh Namaz Yaad Kara Dee Jo Hum Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Padha Karte They. Unhone Bataaya Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Bhi Uthate Aur Jhukte To Takbeer Kaha Karte They.”

Is Hadith Ko Imam Bukhari Ne Riwayat Kiya Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/271, Raqm-751,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/78, Raqm-2326,

Bazzar Fi Al-Musnad, 09/26, Raqm-3532,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/18, Raqm-14.]

 

 

15.              “Hazrat Aboo Salamah Se Riwayat Hai Ki Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Unhen Namaz Padhaaya Karte They, Woh Jab Bhi Jhukte Aur Uthate To Takbeer Kehte. Jab Aap Namaz Se Faarigh Huwe To Farmaya: Tum Me Se Meri Namaz Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Se Ziyaada Mushaabahat Rakhti Hai.”

Muttafaque Alayh

[Bukhari Fi As-sahih, 01/272, Raqm-752,

Muslim Fi As-Sahih, 01/293, Raqm-392,

Nasa’i Fi As-Sunan, 02/235, Raqm-1155,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/236, Raqm-7219,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/76, Raqm-166,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Aathar, 01/221,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/18, 19, Raqm-15.]

 

 

16.            “Hazrat Mutarrif Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain: Main Ne Aur Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Hazrat ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Pichhe Namaz Padhi Jab Unhone Sajdah Kiya To Takbeer Kahi, Jab Sar Uthaaya To Takbeer Kahi Aur Jab Do² Rak’ato’n Se Uthe To Takbeer Kahi. Jab Namaz Mukammal Ho Ga’i To Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Mera Haath Pakad Kar Farmaya: Unhone Mujhe Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Yaad Kara Dee Hai. (Ya Farmaya) Unhone Mujhe Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Jaisi Namaz Padhaa’i Hai.”

Muttafaque Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/272, Raqm-753,

Muslim Fi As-Sahih, 01/295, Raqm-393,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/444,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/19, Raqm-16.]

 

 

17.              “Hazrat Aboo Bakr Bin Abd-ur-Rahman Ne Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Farmate Huwe Suna Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Namaz Ke Liye Khade Hote To Khade Hote Waqt Takbeer Kehte. Phir Rukoo’ Karte Waqt Takbeer Kehte Phir ﴾سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَه﴿ ‘SamiAllahu-Li-Man-Hamidah’ Kehte, Jab Ki Rukoo’ Se Apni Pusht Mubarak Ko Seedha Karte Phir Seedha Khade Ho Kar ﴾رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْد﴿ ‘Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kehte. Phir Jhukte Waqt Takbeer Kehte. Phir Sar Uthaate Waqt Takbeer Kehte. Phir Sajdah Karte Waqt Takbeer Kehte. Phir Sajde Se Sar Uthaate Waqt Takbeer Kehte. Phir Saari Namaz Me Isi Tarah Karte Yaha’n Tak Ki Poori Ho Jaati Aur Jab Do² Rak’ato’n Ke Aakhir Me Baith Ne Ke Baad Khade Hote To Takbeer Kehte.”

Muttafaque Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/272, Raqm-756,

Muslim Fi As-Sahih, 01/293, Raqm-392,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/20, Raqm-17.]

 

 

18.              “Hazrat Aboo Salamah Bin Abd-ur-Rahman Se Riwayat Hai Ki Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Har Namaz Me Takbeer Kehte Khwaah Woh Farz Hoti Ya Doosri, Maahe Ramadan Me Hoti Ya Is Ke Ilaawah Jab Khade Hote To Takbeer Kehte Aur Jab Rukoo’ Karte To Takbeer Kehte, Phir ﴾سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَه﴿ ‘SamiAllahu-Li-Man-Hamidah’ Kehte. Phir Sajdah Karne Se Pehle ﴾رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْد﴿ ‘Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kehte. Phir Jab Sajde Ke Liye Jhukte To ﴾اَللهُ اَكْبَر﴿ ‘AllahuAkbar’ Kehte. Phir Jab Sajde Se Sar Uthaate To Takbeer Kehte, Phir Jab (Doosra) Sajdah Karte To Takbeer Kehte, Phir Jab Sajde Se Sar Uthaate To Takbeer Kehte, Phir Jab Doosri Rak’at Ke Qa’ade Se Uthate To Takbeer Kehte, Aur Har Rak’at Me Aisa Hee Karte Yeh’n Tak Ki Namaz Se Faarigh Ho Jaate Phir Faarigh Hone Par Farmate: Qasam Hai Us Zaat Kee Jis Ke Qabza’e Qudrat Me Meri Jaan Hai! Tum Sab Me Se Meri Namaz Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Ke Saath Ziyaada Mushaabahat Rakhti Hai. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Taa Dame Wisal Isi Tareeqe Par Namaz Ada Kee.”

Is Hadith Ko Imam Bukhari Ne Riwayat Kiya Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/276, Raqm-770,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/221, Raqm-836,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/20, 21, Raqm-18.]

 

 

19.              “Hazrat Aboo Qilabah Se Riwayat Hai Ki Hazrat Maalik Bin Huwayrith RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Apne Saathiyo’n Se Farmaya: Kya Main Tumhen Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Na Baataaun? Aur Yeh Namaz Ke Mu’ayyanah Awqaat Ke Ilaawah Kee Baat Hai. So Unhone Qiyam Kiya, Phir Rukoo’ Kiya To Takbeer Kahi, Phir Sar Uthaaya To Thodi Der Khade Rahe. Phir Sajdah Kiya, Phir Thodi Der Sar Uthaa’e Rakha Phir Sajdah Kiya. Phir Thodi Der Sar Uthaa’e Rakha. Unhone Hamaare In Buzurg Hazrat Amr Bin Salma Kee Tarah Namaz Padhi. Ayyub Ka Bayan Hai Woh Ek Kaam Aisa Karte Jo Main Ne Kisi Ko Karte Huwe Nahin Dekha. Woh Teesri³ Aur Chauthi⁴ Rak’at Me Baitha Karte They, Farmaya: Hum Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Haazir Huwe To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Paas Thahre. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Jab Tum Apne Ghar Walo’n Ke Paas Waapas Jaao To Fula’n Namaz Fula’n Waqt Me Padhna. Jab Namaz Ka Waqt Ho Jaa’e To Tum Me Se Ek Azan Kahe Aur Jo Bada Ho Woh Tumhari Imamat Kare.”

Is Hadith Ko Imam Bukhari Ne Riwayat Kiya Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/282, Raqm-785,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/21, 22, Raqm-19.]

 

 

20.              “Hazrat ‘Alqamah Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya: Kya Main Tumhen Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Naa Padhaaun? Raawi Kehte Hain: Phir Unhone Namaz Padhaa’i Aur Ek Martaba Ke Siwa Apne Haath Naa Uthaa’e,”

Imam Nasa’i Kee Bayan Kardah Riwayat Me Hai, “Phir Unhone Haath Na Uthaa’e. “

Is Hadith Ko Imam Aboo Dawud, Imam Tirmidhi Aur Imam Nasa’i Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Tirmidhi Ne Kaha Hai Ki Ye Hadith Hasan Hai.

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/286, Raqm-748,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 01/297, Raqm-257,

Nasa’i Fi As-Sunan, 02/131, Raqm-1026,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/221, 351, Raqm-645, 1099,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/388, 441,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/213, Raqm-2441,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/22, 23, Raqm-20.]

 

 

21.              “Hazrat Hasan Bin ‘Ali, Muawiya, Khalid Bin ‘Amr Wa Aboo Huzayfa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Riwayat Karte Hain Ki Sufyan Ne Apni Sanad Ke Saath Hum Se Hadith Bayan Kee (Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne) Pehli Dafa’ Hee Haath Uthaa’e, Aur Baa’z Ne Kaha: Ek Hee Baar Haath Uthaa’e.”

Is Hadith Ko Imam Aboo Dawud Ne Riwayat Kiya Hai.

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/286, Raqm-749,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/23, Raqm-21.]

 

 

22.              “Hazrat Bara’ Bin ‘Aazib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain: Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Namaz Shuru Karte To Apne Dono’n Haatho’n Ko Kano’n Tak Uthaate, Aur Phir Aisa Na Karte.”

Is Hadith Ko Imam Aboo Dawud Ne Riwayat Kiya Hai

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/287, Raqm-750,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/70, Raqm-2530,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/213, Raqm-2440,

Daraqutni Fi As-Sunan, 01/293,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Aathar, 01/253, Raqm-1131,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/23, 24, Raqm-22.]

 

 

23.              “Hazrat Aswad Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Sirf Takbeere Tahreema Ke Waqt Haath Uthaate They, Phir Namaz Me Kisi Aur Jagah Haath Na Uthaate Aur Yeh Amal Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Naqal Kiya Karte.”

Is Hadith Ko Imam Aboo Hanifah Ne Riwayat Kiya Hai.

[Khawarizmi Fi Jami’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/355,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/24, Raqm-23.]

 

 

24.              “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain: Main Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Aboo Bakr Wa Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ke Saath Namaz Padhi, Yeh Sab Hazraat Sirf Namaz Ke Shuru Me Hee Apne Haath Buland Karte They.”

Is Hadith Ko Imam Daraqutni Ne Riwayat Kiya Hai.

[Daraqutni Fi As-Sunan, 01/295,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 08/453, Raqm-5039,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/79,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id,02/101,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/24, Raqm-24.]

 

 

25.              “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Amr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayan Karte Hain: Main Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Dekha Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaz Shuru Karte Waqt Apne Haatho’n Ko Kandho’n Tak Uthaaya, Aur Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Rukoo’ Karna Chaahte Aur Rukoo’ Se Sar Uthaate To Haath Nahin Uthaate They, Aur Un Me Se Kuchh Ne Kaha Dono’n Sajdo’n Ke Darmiyan (Haath) Nahin Uthaate They.”

Is Hadith Ko Imam Aboo ‘Awanah Ne Riwayat Kiya Hai.

[Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/423, Raqm-1572,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/25, Raqm-25.]

 

 

26.              “Hazrat Aswad Bayan Karte Hain Ki Main Ne Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Namaz Ada Karte Dekha Hai. Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Takbeere Tahreema Kehte Waqt Dono’n Haath Uthaate, Phir (Baqiyyah Namaz Me Haath) Nahin Uthaate They.”

Is Hadith Ko Imam Tahawi Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Aathar, 01/294, Raqm-1329,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/25, Raqm-26.]

 

 

27.              “‘Aasim Bin Kulayb Apne Waalid Kulayb Se Riwayat Karte Hain: Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Sirf Takbeer Me Hee Haatho’n Ko Uthaate They Phir Daurane Namaz Me Haath Nahin Uthaate They.”

Is Hadith Ko Imam Ibn Abi Shaybah Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/213, Raqm-2444,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/25, Raqm-27.]