(٤) بَابٌ فِيْ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم : مَنْ کُنْتُ مَوْلَاهُ فَعَلِيٌّ مَوْلَاهُ
Baab-04 :
Farmane Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam : Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai
23: “Hazrat Shu’bah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Salamah Bin Kuhayl Se Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Aboo Tufayl Se Suna Ki Aboo Sarihah…..Ya Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma…. Se Marwi Hai (Hazrat Shu’bah Ko Raawi Ke Muta’alliq Shak Hai) Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ka Mein Mawla Hoo’n, Us Ka Ali Mawla Hai.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai Aur Kaha Ki Yeh Hadith Hasan Sahih Hai.
Shu’bah Ne Is Hadith Ko Maymoon Aboo Abd Allah Se, Unhone Zayd Bin Arqam Se Aur Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Kiya Hai.
–
[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/633, Al-Hadith Raqam-3713,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/195, 204, Al-Hadith Raqam-5071, 5096,
وقد روي هذا الحديث عن حبسي بن جنادة في الكتب الآتية :
Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/134, Al-Hadith Raqam-4652,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/78, Al-Hadith Raqam-12593,
Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, : 602, Al-Hadith Raqam-1359,
Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 11/608, Al-Hadith Raqam-32946,
Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 45/77, 144,
Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 12/343,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/451,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/108,
وقد روي هذا الحديث أيضا عن جابر بن عبدلله في الكتب ألآتية.
Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, : 602, Al-Hadith Raqam-1355,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/366, Al-Hadith Raqam-32072,
وقد روي هذا الحديث عن ايوب الأنصاري في الكتب ألآتية :
Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, : 602, Al-Hadith Raqam-1354,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/173, Al-Hadith Raqam-4052,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/229, Al-Hadith Raqam-348,
وقد روي هذا الحديث عن بريدة في الكتب ألاتيية :
Abd-ur-Razzaque Fi Al-Musannaf, 11/225, Al-Hadith Raqam-20388,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01 : 71,
Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 45/143,
Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, : 601, Al-Hadith Raqam-1353,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/457,
Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 11/602, Al-Hadith Raqam-32904,
وقد روي هذا الحديث عن مالك بن حويرث في الكتب ألاتيية :
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 19/252, Al-Hadith Raqam-646,
Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 45 : 177,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/106,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/25_27, Al-Hadith Raqam-23.]
24: “Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Ye Farmate Hu’e Suna : Jis Ka Mein Wali Hoo’n Us Ka Ali Wali Hai Aur Mein Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko (Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se) Ye Farmate Hu’e Suna : Tum Mere Liye Isi Tarah Ho Jaise Haaroon ‘Alayh-is-Salam Ko Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Liye They, Magar Mere Ba’d Koi Nabi Nahin, Aur Mein Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko (Ghazwa-E-Khaybar Ke Mauqa’ Par) Ye Bhi Farmate Hu’e Suna : Mein Aaj Us Shakhs Ko Alam Ata Karoonga Jo Allah Aur Us Ke Rasool Se Mahabbat Karta Hai.”
Is Hadith Ko Imam Ibn Majah Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/45, Al-Hadith Raqam-121,
Khasa’is Amir Al-Mu’minin Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim, : 32, 33, Al-Hadith Raqam-91,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/27, Al-Hadith Raqam-24.]
25: “Hazrat Bara’ Bin Aazib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hum Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Hajj Ada Kiya, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Raaste Me Aik Jagah Qiyaam Farmaya Aur Namaz Bajama’at (Qaa’im Karne) Ka Hukm Diya, Us Ke Ba’d Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya : Kya Mein Momin Kee Jaano’n Se Qarib Tar Nahin Hoo’n? Unhone Jawaab Diya : Kyun Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Mein Har Momin Kee Jaan Se Qarib Tar Nahin Hoo’n? Unhone Jawab Diya : Kyoo’n Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Pas Yah (Ali) Har Us Ka Wali Hai Jis Ka Mein Mawla Hoo’n. Aye Allah! Jo Ise Dost Rakkhe Use Too Dost Rakkh (Aur) Jo Is Se Adaawat Rakkhe Us Se Too Bhi Adaawat Rakkh.”
Is Hadith Ko Imam Ibn Majah Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/88, Al-Hadith Raqam-116,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/27, 28, Al-Hadith Raqam-25.]
26: “Hazrat Buraydah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Yaman Ke Ghazwah Me Sheerkat Kee Jis Me Mujhe Aap Se Kuchh Shikwa Huwa. Jab Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Waapas Aaya To Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Zikr Karte Hu’e Un Ke Baare Me Tanqis Kee.
Mein Ne Dekha Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Chehra Mubarak Mutaghayyir Ho Gaya Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Aye Buraydah! Kya Mein Mominin Kee Jaanon Se Qarib Tar Nahin Hoo’n?” To Mein Ne Arz Kiya : Kyun Nahin, Ya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam! Us Par Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai.”
Is Hadith Ko Imam Ahmed Apni Musnad Me, Imam Nasa’i Ne “As-Sunan-ul-Kubra” Me Aur Imam Hakim Aur Ibn Abi Shaybah Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Hakim Kehte Hain Ki Yeh Hadith Imam Muslim Kee Sharaa’it Par Sahih Hai.
–
[Ahmad Bin Hanba Fi Al-Musnad, 05/347, Al-Hadith Raqam-22995,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/130, Al-Hadith Raqam-8465,
Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/110, Al-Hadith Raqam-4578,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/84, Al-Hadith Raqam-12181,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/28, 29, Al-Hadith Raqam-26.]
27: “Hazrat Maymoon Aboo Abd Allah Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Ye Kehte Hu’e Suna : Hum Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Aik Waadi…. Jise Wadi-E-Khum Kaha Jaata Tha…. Me Utare. Pas Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaz Ka Hukm Diya Aur Sakht Garmi Me Jama’at Karwaa’i. Phir Hamein Khutba Irshaad Farmaya Dar Haala’n Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Sooraj Kee Garmi Se Bachaane Ke Liye Darakht Par Kapda Latka Kar Saaya Kiya Gaya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Kya Tum Nahin Jaante Ya (Is Baat Kee) Gawaahi Nahin Dete Ki Mein Har Momin Kee Jaan Se Qarib Tar Hoo’n?” Logo’n Ne Kaha : Kyoo’n Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Pas Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai, Aye Allah! Too Us Se Adaawat Rakkh Jo Is Se Adaawat Rakkhe Aur Use Dost Rakkh Jo Ise Dost Rakkhe.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Ne Apni “Musnad” Me Aur Bayhaqui Ne “As-Sunan-ul-Kubra” Me Aur Tabarani Ne “Al-Mu’jam-ul-Kabir” Me Riwayat Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/372,
Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/131,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kbir, 05/195, Al-Hadith Raqam-5068,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/29, 30, Al-Hadith Raqam-27.]
28: “(Khud) Hazrat Ali ‘Alayh-is-Salam Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ghadir Khum Ke Din Farmaya : Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Ne, Aur Tabarani Ne “Al-Mu’jam-ul-Awsat” Me Riwayat Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad , 01/152,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/448, Al-Hadith Raqam-6878,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/107,
Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/705,
Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, : 604 Al-Hadith Raqam-1369,
Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 45/161, 162, 163,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 04/171,
Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 13/77, 168, Al-Hadith Raqam-32950, 36511,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/30, 31, Al-Hadith Raqam-28.]
29: “Hazrat Ammar Bin Yasir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Aik Saa’il Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Paas Aa Kar Khada Huwa. Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Namaz Me Haalate Rukoo’ Me They. Us Ne Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ki Anguthi Khinchi. Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Anguthi Saa’il Ko Ata Farma Dee. Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Paas Aa’e Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Us Kee Khabar Dee. Is Mauqa Par Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Yeh Aayate Kareema Naazil Hu’i : ﴾Be Shak Tumhara (Madadgaar) Dost Allah Aur Us Ka Rasool Hee Hai Aur (Saath) Woh Iman Waale Hain Jo Namaz Qaa’im Karte Hain Aur Zakaat Ada Karte Hain Aur Woh (Allah Ke Huzoor Aajizi Se) Jhukne Waale Hain﴿ Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Is Aayat Ko Padha Aur Farmaya : Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai, Aye Allah! Jo Ise Dost Rakkhe Too Use Dost Rakkh Aur Jo Is Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal, Imam Hakim Aur Tabarani Ne Al-Mu’jam-ul-Awsat Me Riwaayat Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/119,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/372,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/119, 371, Al-Hadith Raqam-4576, 5594,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/129, 130, Al-Hadith Raqam-6228,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/174, Al-Hadith Raqam-4053,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/195, 203, 204, Al-Hadith Raqam-5068, 5069, 5092, 5097,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/65,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 07/17,
Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban,/445, Al-Hadith Raqam-2205,
Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 07/377,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/31, 32, Al-Hadith Raqam-29.]
30: “Hazrat Atiyyah Awfi Se Riwayat Hai, Woh Kehte Hain Ki Mein Ne Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Poochha : Mera Aik Daamaad Hai Jo Ghadir Khum Ke Din Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Shaan Me Aap Kee Riwayat Se Hadith Bayan Karta Hai. Mein Chaahta Hoo’n Ki Use Aap Se (Baraahe Raast) Sunu. Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha : Aap Ahle Iraq Hain Tumhari Aadatein Tumhein Mubaarak Ho’n. Mein Ne Un Se Kaha Ki Meri Taraf Se Tumhein Koi Aziyyat Nahin Pahunchegi. (Us Par) Unhone Kaha : Hum Juhfah Ke Maqaam Par They Ki Zohr Ke Waqt Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Baazoo Thaamein Hu’e Baahar Tashrif Laa’e. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Aye Logn! Kya Tumhein Ilm Nahin Ki Mein Mominin Kee Jaano’n Se Bhi Qarib Tar Hoo’n?” To Unhone Kaha : Kyoo’n Nahin! To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai.” Atiyyah Ne Kaha : Mein Ne Mazeed Poochha : Kya Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yeh Bhi Irshad Farmaya : “Aye Allah! Jo Ali Ko Dost Rakkhe Use Too Dost Rakkh Aur Jo Is Se Adaawat Rakkhe Us Se Too Adaawat Rakkh?” Zayd Bin Arqam Ne Kaha : Mein Ne Jo Kuchh Suna Tha Woh Tumhein Bayan Kar Diya Hai.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Aur Tabarani Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/368,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/195, Al-Hadith Raqam-5070,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/32, 33, Al-Hadith Raqam-30.]
31: “Aboo Tufayl Se Riwayat Hai Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Logo’n Ko Aik Khuli Jagah (Rahbah) Me Jam’a Kiya, Phir Un Se Farmaya : Mein Har Musalman Se Allah Kee Qasam De Kar Puchhta Hoo’n Ki Jis Ne Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Ghadir Khum Ke Din (Mere Mut’alliq) Kuchh Farmate Hu’e Suna Hai Woh Khada Ho Jaa’e. Is Par Tees(30) Afraad Khade Hu’e Jab Ki Aboo Nu’aym Ne Kaha Ki Katheer Afraad Khade Hu’e Aur Unhone Gawaahi Dee Ki (Hamein Woh Waqt Yaad Hai) Jab Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Aap Ka Haath Pakad Kar Logo’n Se Farmaya : “Kya Tumhein Is Ka Ilm Hai Ki Mein Mominin Kee Jaano’n Se Qarib Tar Hoo’n?” Sab Ne Kaha : Ha’n, Ya RasoolAllah! Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n, Us Ka Yeh (Ali) Mawla Hai, Aye Allah! Too Use Dost Rakkh Jo Ise Dost Rakkhe Aur Too Us Se Adaawat Rakkh Jo Is Se Adaawat Rakkhe.” Raawi Kehte Hain Ki Jab Mein Waha’n Se Nikla To Mere Dil Me Kuchh Shak Tha. Usi Dauraan Mein Zayd Bin Arqam RadiyAlkahu Ta’ala Anhu Se Mila Aur Unhone Kaha Ki Mein Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Is Tarah Farmate Hu’e Suna Hai. (Is Par) Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha : Too Kaise Inkaar Karta Hai Jab Ki Mein Ne Khud Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Mut’alliq Aisa Hee Farmate Hu’e Suna Hai?”
Is Hadith Ko Imam Ibn Hibban, Ahmad Bin Hanbal Aur Hakim Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/376, Al-Hadith Raqam-6931,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/370,
Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/682, Al-Hadith Raqam-1167,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/109, Al-Hadith Raqam-4576,
Bazzar Fi Al-Musnad, 02/133,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/104,
Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-us-Sunnah, 603, Al-Hadith Raqam-1366,
Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/134,
Muhibb-ud-Deen Ahmad At-Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/127,
Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/156,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/460, 461,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/33, 34, Al-Hadith Raqam-31.]
32: “Hazrat Riyaah Bin Harith Se Riwayat Hai Ki Aik Wafd Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Mulaqat Kee Aur Kaha : Aye Hamaare Mawla! Aap Par Salaamati Ho. Hazrat Ali KarrmAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Kareem Ne Poochha : Mein Kaise Aap Ka Mawla Hoo’n Haala’n Ki Aap To Qaume Arab Hain (Kisi Ko Jaldi Qaa’id Nahin Maante). Unhone Kaha : Hum Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Ghadir Khum Ke Din Suna Hai : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Be Shak Us Ka Yeh (Ali) Mawla Hai.” Hazrat Riyaah Ne Kaha : Jab Woh Log Chale Ga’e To Mein Ne Un Se Jaa Kar Poochha Ki Woh Kaun Log Hain? Unhone Kaha Ki Ansaar Ka Aik Wafd Hai, Un Me Hazrat Aboo Ayyub Ansari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bhi Hain.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Aur Tabarani Ne “Al-Mu’jam-ul-Kabir” Me Riwaayat Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/419,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/173, 174, Al-Hadith Raqam-4052, 4053,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/60, Al-Hadith Raqam-12122,
Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/672, Al-Hadith Raqam-967,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/103, 104,
Muhibb-ud-Deen Ahmad At-Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 02/169,
Muhibb-ud-Deen Ahmad At-Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/126,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 04/172,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/462,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/34, 35, Al-Hadith Raqam-32.]
33: “Hazrat Riyah Bin Harith RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayaan Karte Hain Ki Us Dauraan Jab Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Sahn Me Tashreef Farma They Aik Aadami Aaya, Us Par Safar Ke Atharaat Numaaya They, Us Ne Kaha : As-Salaamu Alayka Aye Mere Mawla! Poochha Gaya Yeh Kaun Hai? Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Aboo Ayyub Ansaari Hain. Hazrat Aboo Ayyub Ansaari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayaan Karte Hain Ki Mein Ne Khud Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmaate Hu’e Suna Ki Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai.”
Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne “Al-Mu’jam-ul-Kabir” Me Aur Ibn Abi Shaybah Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/173, Al-Hadith Raqam-4052, 4053,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-musannaf, 06/366,
Nayshaboori Fi Sharf Al-Mustafa, 05 : 495,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/35, 36, Al-Hadith Raqam-33.]
34: “Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllau Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Logo’n Se Gawaahi Talab Karte Hu’e Kaha Ki Mein Tumhein Qasam Deta Hoo’n Jis Ne Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna : Aye Allah! Jis Ka Mein Mawla Hoo’n, Us Ka Ali Mawla Hai, Aye Allah! Too Use Dost Rakkh Jo Ise Dost Rakkhe Aur Too Us Se Adaawat Rakkh Jo Is Se Adaawat Rakkhe. “Pas Is (Mauqa) Par Solah (16) Aadmiyo’n Ne Khade Ho Kar Gawaahi Dee.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Aur Tabarani Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/370,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/171, Al-Hadith Raqam-4985,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/106,
Muhibb-ud-Deen Ahmad At-Tabari Fi Dhakha’ir-ul-Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/125, 126,
Muhibb-ud-Deen Ahmad At-Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/127,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/461,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/36, 37, Al-Hadith Raqam-34.]
35: “Hazrat Zadhan Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai, Aap Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Majlis Me Logo’n Se Halfan Yeh Puchhte Hu’e Suna : Kis Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Ghadir Khum Ke Din Kuchh Farmate Hu’e Suna Hai? Is Par Terah(13) Aadami Khade Hu’e Aur Unhone Tasdiq Kee Ki Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Aur Tabarani Ne Al-Mu’jam-ul-Awsat Me Riwaayat Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/84,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/69, Al-Hadith Raqam-2131,
Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/585, Al-Hadith Raqam-991,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/107,
Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-us-Sunnah,/604, Al-Hadith Raqam-1371,
Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/131,
Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 05/26,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/462,
Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/158, Al-Hadith Raqam-36487,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/37, 38, Al-Hadith Raqam-35.]
36: “Hazrat Abd-ur-Rahman Bin Abi Layla Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Wasi’ Maidaan Me Dekha, Us Waqt Aap Logo’n Se Halfan Poochha Rahe They Ki Jis Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Ghadir Khum Ke Din……. Jis Ka Mein Mawla Hoo’n, Us Ka Ali Mawla Hai…….Farmate Hu’e Suna Ho Woh Khada Ho Kar Gawaahi De. Abd-ur-Rahman Ne Kaha : Is Par Baarah(12) Badri Sahaba-E-Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Khade Hu’e, Goya Mein Un Me Se Aik Kee Taraf Dekh Raha Hoo’n. Un ( Badri Sahaba-E-Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn) Ne Kaha : Hum Gawaahi Dete Hain Ki Hum Ne Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Ghadir Khum Ke Din Yeh Farmate Hu’e Suna : “Kya Mein Mominon Kee Jaano’n Se Qarib Tar Nahin Hoo’n, Aur Meri Biwiya’n Un Kee Maa’ein Nahin Hain?” Sab Ne Kaha : Kyoo’n Nahin, Ya RasoolAllah! Is Par Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n, Us Ka Ali Mawla Hai, Aye Allah! Jo Ise Dost Rakkhe Too Use Dost Rakkh Aur Jo Is Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Aur Aboo Ya’la Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/119,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/257,
Tahawi Fi Mushkil-il-Athar, 02/308,
Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 02/80, 81, Al-Hadith Raqam-458,
Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 14/236,
Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/156, 157,
Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 45/161,
Muhibb-ud-Deen Ahmad At-Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/128,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/38, 39, Al-Hadith Raqam-36.]
37: “Hazrat Sa’iyd Bin Wahb Aur Zayd Bin Yathi’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Khule Maidaan Me Logo’n Ko Qasam Dee Ki Jis Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Ghadir Khum Ke Din Kuchh Farmate Hu’e Suna Ho Khada Ho Jaa’e. Raawi Kehte Hain : Chhe (Aadami) Sa’iyd Kee Taraf Aur Chhe (06) Zayd Kee Taraf Se Khade Hu’e Aur Unhone Gawaahi Dee Ki Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Ghadir Khum Ke Din Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Haque Me Yeh Farmate Hu’e Suna : “Kya Allah Mominin Kee Jaano’n Se Qarib Tar Nahin Hai?” Logo’n Ne Kaha : Kyoo’n Nahin! Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Aye Allah! Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai, Aye Allah! Too Use Dost Rakkh Jo Ise Dost Rakkhe Aur Too Us Se Adaawat Rakkh Aur Is Se Adaawat Rakkhe.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Apni “Musnad” Me Tabarani Ne “Al-Mu’jam-ul-Awsat” Aur “Al-Mu’jam-us-Saghir” Me Aur Ibn Abi Shaybah Ne Apni “Musannaf” MeRiwaayat Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/118,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/69, 134, Al-Hadith Raqam-2130, 2275,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/65,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/67, Al-Hadith Raqam-12140,
Nasa’i Fi Khsa’is Amir-ul-Mu’minin ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/90, 100, Al-Hadith Raqam-84, 95,
Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 02/105, 106, Al-Hadith Raqam-480,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/107, 108,
Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 05/26,
Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/160,
Hisam-ud-Deen Hindi, Kanz-ul-Umaal, 13/157, Al-Hadith Raqam-36485,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/39, 40, Al-Hadith Raqam-37.]
38: “Aboo Is’haq Se Marwi Hai, Woh Kehte Hain Ki Mein Ne Sa’iyd Bin Wahb Ko Yeh Kehte Hu’e Suna : Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Logo’n Se Qasam Lee Jis Par Paanch (05) Ya Chhe (06) Sahabah Ne Khade Ho Kar Gawaahi Dee Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Tha : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/366,
Nasa’i Fi Khsa’is Amir-ul-Mu’minin ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/90, Al-Hadith Raqam-83,
Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/598, 599, Al-Hadith Raqam-1021,
Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 02/105, Al-Hadith Raqam-479,
Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/131,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/104,
Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/160,
Muhibb-ud-Deen Ahmad At-Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/127,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/40, 41, Al-Hadith Raqam-38.]
39: “Umayrah Bin Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Unhone Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Khule Maidaan Me Qasam Dete Hu’e Suna Ki Kis Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna Hai : Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai? To (Is Par) Chhe(06) Afraad Ne Khade Ho Kar Gawaahi Dee.”
Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Al-Mu’jam-ul-Awsat Me Riwaayat Kiya Hai.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/134, Al-Hadith Raqam-2275,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/64, 65,
Nasa’i Fi Khsa’is Amir-ul-Mu’minin ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/89, 91, Al-Hadith Raqam-82, 85,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/108,
Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/132,
Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 45/159,
Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 22/397, 398,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/41, Al-Hadith Raqam-39.]
40: “Aboo Tufayl Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Logo’n Se Halfan Poochha Ki Tum Me Se Kaun Hai Jis Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Ghadir Khum Ke Din Yeh Farmate Hu’e Suna Ho : “Kya Tum Nahin Jante Ki Mein Mominon Kee Jaano’n Se Qarib Tar Hoo’n? Unhone Kaha : Kyoo’n Nahin. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai, Aye Allah! Jo Ise Dost Rakkhe Too Bhi Use Dost Rakkh, Aur Jo Is Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh.” (Sayyidina Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Is Guftagu Par) Baarah (12) Aadami Khade Hu’e Aur Unhone Is Waaqe’a Kee Shahadat Dee.”
Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Al-Mu’jam-ul-Awsat Me Riwaayat Kiya Hai.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/576, Al-Hadith Raqam-1987,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/106,
Ibn ‘Asakir, Tarikh Damishq Al-Kabir, 45/157, 158,
Muhibb-ud-Deen Ahmad At-Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/127,
Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/157, Al-Hadith Raqam-36485,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/41, 42, Al-Hadith Raqam-40.]
41: “Hazrat Hudhayfah Bin Usayd Ghaffari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Aye Logo’n! Mujhe Latif-o-Khabir Zaat Ne Khabar Dee Hai Ki Allah Ne Har Nabi Ko Apne Se Pehle Nabi Kee Nisf Umr Ata Farmaa’i Aur Mujhe Gumaan Hai Mujhe (Anqarib) Bulaawa Aa’ega Aur Mein Use Qubool Kar Lunga, Aur Mujh Se (Meri Zimma Daariyo’n Ke Mut’alliq) Poochha Jaa’ega Aur Tum Se Bhi (Mere Mut’alliq) Poochha Jaa’ega, (Is Baabat) Tum Kya Kehte Ho? Unhone Kaha : Hum Gawaahi Dete Hain Ki Aap Ne Hamein Intehaa’i Jidd-o-Jahad Ke Saath Deen Pahunchaaya Aur Bhalaa’i Kee Baatein Irshad Farmaa’i, Allah Ta’ala Aap Ko Jaza-E-Khair Ata Farmaa’e. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Tum Is Baat Kee Gawaahi Nahin Dete Ki Allah Ke Siwa Koi Ma’bood Nahin Aur Muhammad Allah Ke Bande Aur Us Ke Rasool Hai, Jannat Wa Dozakh Haque Hain Aur Maut Aur Maut Ke Ba’d Kee Zindagi Haque Hai, Aur Qaiyaamat Ke Aane Me Koi Shak Nahin, Aur Allah Ta’ala Ahle Quboor Ko Do Baara Uthaa’ega? Sab Ne Jawaab Diya : Kyoo’n Nahin! Hum In Sab Kee Gawaahi Dete Hain. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Allah! Too Gawaah Ban Jaa, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Logo’n! Be Shak Allah Mera Mawla Hai Aur Mein Tamaam Mominin Ka Mawla Hoo’n Aur Mein Un Kee Jaano’n Se Qarib Tar Hoo’n. Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Yeh (Ali) Mawla Hai. Aye Allah! Jo Ise Dost Rakkhe Too Use Dost Rakkh, Jo Is Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh. “Aye Logo’n! “Mein Tum Se Pehle Jaane Waala Hoo’n Aur Tum Mujhe Hawz Par Miloge, Yeh Hawz Basra Aur San’a’ Ke Darmiyani Faasle Se Bhi Ziyaada Chawda Hai. Is Me Sitaaro’n Kee Baraabar Chaandi Ke Pyaale Hain, Jab Tum Mere Paas Aaoge Mein Tum Se Do Intehaa’i Aham Chizo’n Ke Mut’alliq Puchhunga, Dekhne Kee Baat Yeh Hai Ki Tum Mere Pichhe Un Dono’n Se Kya Sulook Karte Ho! Pehli Aham Chiz Allah Kee Kitab Hai, Jo Aik Haithiyyat Se Allah Se Ta’alluq Rakhti Hai. Tum Use Mazbooti Se Thaam Lo To Na Gumraah Hoge Na (Haque) Se Munharif, Aur (Doosri Aham Chiz) Meri Itrat Ya’ni Ahl-E-Bayt Hain (Un Ka Daamaam Thaam Lena). Mujhe Latif-o-Khabir Zaat Ne Khabar Dee Hai Ki Be Shak Yeh Dono’n Haque Se Nahin Hatenge Yaha’n Tak Ki Mujhe Hawz Par Milengi.”
Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne “Al-Mu’jam-ul-Kabir” Me Riwaayat Kiya Hai.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/180, 181, Al-Hadith Raqam-3052,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/67, Al-Hadith Raqam-2683,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/166, 167, Al-Hadith Raqam-4971,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/164, 165,
Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 01/188, 189, Al-Hadith Raqam-957, 958,
Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/166, 167,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/463,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/42_44, Al-Hadith Raqam-41.]
42: “Hazrat Jarir Se Riwayat Hai Ki Hum Hajjat-ul-Wada’ Ke Mauqa Par Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath They, Hum Aik Aisi Jagah Pahunche Jise Ghadir Khum Kehte Hain. Namaz Ba Jama’at Hone Kee Needa Aayi To Saare Muhaajirin Wa Ansaar Jam’a Ho Ga’e. Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hamaare Darmiyan Khade Hu’e Aur Khitaab Farmaya : Aye Logo’n! Tum Kis Chiz Kee Gawaahi Dete Ho? Unhone Kaha : Hum Gawaahi Dete Hain Ki Allah Ke Siwa Koi Ma’bood Nahin. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Phir Kis Kee? Unhone Kaha : Be Shak Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Ke Bande Aur Rasool Hain. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tumhara Wali Kaun Hai? Unhone Kaha : Allah Aur Us Ka Rasool Azza Wa Jalla Wa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam. Phir Farmaya : Tumhara Wali Our Kaun Hain? Tab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Baazoo Se Pakad Kar Khada Kiya Aur (Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke) Dono’n Baazoo Thaam Kar Farmaya : “Allah Aur Us Ka Rasool Jis Ke Mawla Hain Us Ka Yeh (Ali) Mawla Hai, Aye Allah! Jo Ali Ko Dost Rakkhe Too Use Dost Rakkh (Aur) Jo Is (Ali) Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh, Aye Allah! Jo Ise Mahboob Rakkhe Too Use Mahboob Rakkh Aur Jo Is Se Bughz Rakkhe Too Us Se Bughz Rakkh.”
Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne “Al-Mu’jam-ul-Kabir” Me Riwaayat Kiya Hai.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/357, Al-Hadith Raqam-2505,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/106,
Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/138, 139, Al-Hadith Raqam-36437,
Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/179,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/44_46, Al-Hadith Raqam-42.]
43: “Amar Bin Dhi Murr Aur Zayd Bin Arqam Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ghadir Khum Ke Maqaam Par Khitaab Farmaya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai, Aye Allah! Jo Ise Dost Rakkhe Too Use Dost Rakkh Aur Jo Is Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh, Aur Jo Is Kee Nusrat Kare Us Kee Too Nusrat Farma, Aur Jo Is Kee I’aanat Kare Too Us Kee I’aanat Farma.”
Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Al-Mu’jam-ul-Kabir Me Riwaayat Kiya Hai.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/192, Al-Hadith Raqam-5059,
Nasa’i Ne “Khsa’is Amir-ul-Mu’minin Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/100, 101, Al-Hadith Raqam-96,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/104, 106,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 04/170,
Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 11/609, Al-Hadith Raqam-32946,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/46, Al-Hadith Raqam-43.]
44: “Hazrat Umayr Bin Sa’d Se Riwayat Hai Ki Unhone Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Khule Maidaan Me Yeh Qasam Dete Hu’e Suna Ki Kis Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Suna Hai Ki Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai? To Atthaarah (18) Afraad Ne Khade Ho Kar Gawaahi Dee.”
Is Hadith Ko Haythami Riwaayat Kiya Hai.
–
[Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/108,
Haythami Ne Kaha : Ise Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai Aur Is Kee Isnaad Hasan Hain,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 04/171,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/461,
Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/154, 155, Al-Hadith Raqam-36480,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/46, 47, Al-Hadith Raqam-44.]
45: “Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hajjat-il-Wida’ Se Waapas Tashrif Laa’e To Ghadir Khum Par Qiyaam Farmaya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Saa’ebaan Lagaane Ka Hukm Diya Aur Woh Laga Diye Ga’e Phir Farmaya : “Mujhe Lagta Hai Ki Anqarib Mujhe (Wisaal) Ka Bulaawa Aane Ko Hai, Jise Mein Qubool Kar Loonga. Tehqiq Mein Tumhare Darmiyan Do Aham Chizein Chhod Kar Ja Raha Hoo’n, Jo Aik Doosre Se Badh Kar Ahmiyyat Kee Haamil Hain : Aik Allah Kee Kitab Aur Doosri Meri Itrat. Ab Dekhna Yeh Hai Ki Mere Ba’d Tum In Dono’n Ke Saath Kya Sulook Rawa Rakhte Ho Aur Yeh Dono’n Aik Doosre Se Juda Na Hongi, Yaha’n Tak Ki Hauz(-E-Kawthar) Par Mere Saamne Aayengi.” Phir Farmaya : “Be Shak Allah Mera Mawla Hai Aur Mein Har Momin Ka Mawla Hoo’n” Phir Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n, Us Ka Yeh Wali Hai, Aye Allah! Jo Ise (Ali Ko) Dost Rakkhe Use Too Dost Rakkh Aur Jo Is Se Adaawat Rakkhe Us Se Too Adaawat Rakkh.”
Is Hadith Ko Imam Hakim Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Woh Farmaate Hain Ki Yeh Hadith Imam Bukhari Aur Imam Muslim Kee Shara’it Par Sahih Hai.
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/109, Al-Hadith Raqam-4576,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/45, 130, Al-Hadith Raqam-8148, 8464,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/166, Al-Hadith Raqam-4969,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/47, 48, Al-Hadith Raqam-45.]
46: “Hazrat Ibn Wathilah Se Riwayat Hai Ki Unhone Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Suna Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Makkah Aur Madinah Ke Darmiyan Paanch Bade Ghane Darakhto’n Ke Qareeb Padaaao Kiya Aur Logo’n Ne Darakhto’n Ke Neeche Safaa’i Kee Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Kuchh Der Aaraam Farmaya, Namaz Ada Farmaa’i, Phir Khitaab Farmane Ke Liye Khade Hu’e. Allah Ta’ala Kee Hamd-o-Thana Bayan Farmaa’i Aur Wa’z-o-Naseehat Farmaa’i, Phir Jo Allah Ta’ala Ne Chaaha Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Bayan Kiya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Aye Logo’n! Mein Tumhare Darmiyan Do Chizein Chhod Kar Ja Raha Hoo’n, Jab Tak Tum In Kee Pairawi Karoge Kabhi Ghumraah Nahin Howoge Aur Woh (Do Chizein) Allah Kee Kitab Aur Mere Ahl-E-Bayt-o-Itrat Hain.” Is Ke Ba’d Farmaya : “Kya Tumhein Ilm Nahin Ki Mein Mominin Kee Jaano’n Se Qareeb Tar Hoo’n?” Aisa Teen Martaba Farmaya. Sab Ne Kaha : Ji Haa’n! Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai.”
Is Hadith Ko Imam Hakim Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Kaha : Buraydah Aslami Kee Riwaayat Karda Hadith Imam Bukhari Wa Muslim Kee Shara’it Par Sahih Hai.
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/109, 110, Al-Hadith Raqam-4577,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/48, 49, Al-Hadith Raqam-46.]
47: “Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hum Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Nikle Yaha’n Tak Ki Ghadir Khum Pahunch Ga’e. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Saa’ebaan Lagaane Ka Hukm Diya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Din Thakaawat Mahsoos Kar Rahe They Aur Hamaare Oopar Us Din Se Ziyaada Garm Din Us Se Pehle Na Guzra Tha. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Allah Kee Hamd-o-Thana Bayaan Kee Aur Farmaya : “Aye Logo’n! Allah Ta’ala Ne Jitne Nabi Bheje Har Nabi Ne Apne Se Pehle Nabi Se Nisf Zindagi Paa’i, Aur Mujhe Lagta Hai Ki Anqarib Mujhe (Wisaal Ka Bulaawa) Aane Ko Hai Jise Mein Qubool Kar Lunga. Mein Tumhare Andar Woh Chiz Chhode Ja Raha Hoo’n Ki Us Ke Hote Hu’e Tum Hargiz Gumraah Nahin Howoge, Woh Kitabullah Hai.” Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Khade Hu’e Aur Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Thaam Liya Aur Farmaya : “Aye Logo’n! Kaun Hai Jo Tumhari Jaano’n Se Ziyaada Qareeb Hai?” Sab Ne Kaha : Allah Aur Us Ka Rasool Azza Wa Jalla Wa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Behtar Jaante Hain. (Phir) Farmaya : “Kya Mein Tumhari Jaano’n Se Qareeb Tar Nahin Hoo’n?” Unhone Kaha : Kyoo’n Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai.”
Is Hadith Ko Imam Hakim Ne Riwaayat Kiya Aur Kaha : Yeh Hadith Sahih-ul-Isnad Hai.
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/533, Al-Hadith Raqam-6272,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/171, 172, Al-Hadith Raqam-4986,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/49, 50, Al-Hadith Raqam-47.]
48: “Hazrat Rafa’ah Bin Iyaas Dabbi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Apne Waalid Se Aur Woh Apne Daada Se Riwayat Karte Hain Ki Hum Jamal Ke Din Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath They. Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Talhah Bin ‘Ubaydullah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Kee Taraf Mulaaqaat Ka Paigham Bheja. Pas Talhah Un Ke Paas Aa’e. Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Kaha : “Mein Aap Ko Allah Kee Qasam Deta Hoo’n, Kya Aap Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Hai Ki Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai, Aye Allah! Jo Ali Ko Dost Rakkhe To Use Dost Rakkh, Jo Us Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh?” Hazrat Talhah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha : Haa’n! Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Kaha : “To Phir Mere Saath Kyoo’n Jung Karte Ho?” Talhah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha : Mujhe Yeh Baat Yaad Nahin Thi. Raawi Ne Kaha : (Us Ke Ba’d) Talhah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Waapas Laut Ga’e.”
Is Hadith Ko Imam Hakim Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/371, Al-Hadith Raqam-5594,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/50, 51, Al-Hadith Raqam-48.]
49: “Hazrat Jabir Bin Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwaayat Hai Ki Hum Jahfah Me Ghadire Khum Ke Maqaam Par They, Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Baahar Hamaare Paas Tashreef Laa’e, Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai.”
Is Hadith Ibn Abi Shaybah Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/59, Al-Hadith Raqam-12121,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/51, 52, Al-Hadith Raqam-49.]
50: “Aboo Yazid Awdi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Apne Waalid Se Riwayat Karte Hain Ki (Aik Daf’a) Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Masjid Me Dakhil Hu’e To Log Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Ird-Gird Jam’a Ho Ga’e . Un Me Se Aik Jawaan Ne Khade Ho Kar Kaha : Mein Aap Ko Allah Kee Qasam Deta Hoo’n, Kya Aap Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Suna Hai Ki Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai, Aye Allah! Jo Ali Ko Dost Rakkhe Use Too Dost Rakkh? Is Par Unhone Kaha : Mein Gawaahi Deta Hoo’n Ki Mein Ne Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna Hai : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai, Aye Allah! Jo Ise Dost Rakkhe Use Too Dost Rakkh Aur Jo Is Se Adaawat Rakkhe Us Se Too Adaawat Rakkh.”
Is Hadith Ko Aboo Ya’la Ne Apni Musnad Me Riwaayat Kiya Hai.
–
[Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 11/307, Al-Hadith Raqam-6423,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/68, Al-Hadith Raqam-12141,
Ibn ‘Asakir, Tarikh Damishq Al-Kabir, 45/175,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/105, 106,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 04/174,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/52, 53, Al-Hadith Raqam-50.]
51: “Hazrat Aamir Bin Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki Hazrat Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Khuda Kee Qasam Mein Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aur Un Ke Muta’alliq Jo Kuchh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Acchhi Tarah Jaanta Hoo’n. Mein Gawaahi Deta Hoo’n Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Ghadir Khum Waale Din Farmaya : Us Waqt Jab Hum Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Baithey Hu’e They, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apni Chaadar Ka Kona Pakda Aur Khade Hu’e Phir Farmaya : Aye Logo’n! Tumhaara Mawla Kaun Hai? To Sahabah Ne Arz Kiya : Allah Aur Us Ka Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Behtar Jaante Hain. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ka Mein Mawla Hoo’n To Ali Us Ka Mawla Hai. Aye Allah Too Us Se Dushmani Rakkh Jo Ali Se Dushmani Rakhta Hai Aur Us Ko Dost Bana Jo Ali Ko Dost Banaata Hai.”
Is Hadith Ko Shashi Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Shashi Fi Al-Musnad, 01/165, 166, Al-Hadith Raqam-106,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/53, Al-Hadith Raqam-51.]
52: “Hazrat Yazid Bin Umar Bin Mooriq Riwayat Karte Hain Ki Aik Mauqa’ Par Mein Shaam Me Tha Jab Hazrat Umar Bin ‘Abd-ul-Aziz RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Logo’n Ko Nawaaz Rahe They. Pas Mein Un Ke Paas Aaya, Unhone Mujh Se Poochha Ki Aap Kis Qabile Se Hai n? Mein Ne Kaha : Quraysh Se. Unhone Poochha Ki Quraish Kee Kis (Shaakh) Se? Mein Ne Kaha : Bani Hashim Se. Unhone Poochha Ki Bani Hashim Ke Kis (Khandan) Se? Raawi Kehte Hain Ki Mein Khaamosh Raha. Unhone (Phir) Poochha Ki Bani Hashim Ke Kis (Khandan) Se? Mein Ne Kaha : Mawla Ali (Ke Khandan Se). Unhone Poochha Ki Ali Kaun Hai? Mein Khaamosh Raha. Raawi Kehte Hain Ki Unhone Mere Seene Par Haath Rakkha Aur Kaha : BaKhuda! Mein Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Ghulam Hoo’n.” Aur Phir Kaha Ki Mujhe Be Shumaar Logo’n Ne Bayan Kiya Hai Ki Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna : Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai.” Phir Mazaahim Se Poochha Ki Is Qabil Ke Logo’n Ko Kitna De Rahe Ho? To Us Ne Jawaab Diya : Sau (100) Ya Do Sau (200) Dirham. Is Par Unhone Kaha : Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Qaraabat Kee Waj’h Se Use Pachaas (50) Dinar De Do, Aur Ibn Abi Dawud Ki Riwayat Ke Mutabiq Saath (60) Dinar Dene Ki Hidayat Kee, Aur (Un Se Mukhaatib Ho Kar) Farmaya : Aap Apne Shahr Tashrif Le Jaaein, Aap Ke Paas Aap Ke Qabila Ke Logo’n Ke Baraabar Hissah Pahunch Jaa’ega.”
Is Hadith Ko Aboo Nu’aym Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 05/364,
Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 48/233,
Ibn ‘Asakir,Tarikh Dimashq Al-Kabir, 69/127,
Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 06/427, 428,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/53_55, Al-Hadith Raqam-52.]
53: “Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Teen Khaslatein Aisi Bataayi Hain Ki Agar Mein Un Me Se Aik Ka Bhi Haamil Hota To Woh Mujhe Surkh Oonto‘n Se Ziyaada Mahboob Hoti. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne (Aik Mauqa’ Par) Irshad Farmaya : “Ali Meri Jagah Par Is Tarah Hain Jaise Haroon ‘Alayh-i-Salam Moosa ‘Alayh-i-Salam Ke Liye They, (Woh Nabi They)Magar Mere Ba’d Koi Nabi Nahin.” Aur Farmaya : “Mein Aaj Us Shakhs Ko ‘Alam Ata Karoonga Jo Allah Aur Us Ke Rasool Se Mahabbat Karta Hai Aur Allah Aur Us Ka Rasool Us Se Mahabbat Karte Hain.” (Raawi Kehte Hain Ki) Mein Ne Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko (Is Mauqa’ Par) Yeh Farmate Hu’e Bhi Suna : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai.”
Is Hadith Ko Imam Nasa’i Aur Shashi Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Nasa’i Fi Khsa’is Amir-ul-Mu’minin ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim, 33, 34, 88, Al-Hadith Raqam-10, 80,
Shashi Fi Al-Musnad, 01/165, 166, Al-Hadith Raqam-106,
Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 45/88,
Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 15/163, Al-Hadith Raqam-36496,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/55, 56, Al-Hadith Raqam-53.]
54: “Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Maqame Khum Par Aik Darakht Ke Neeche Khade Hu’e Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakda Huwa Tha. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Irshad Farmaya : “Aye Logo’n! Kya Tum Gawaahi Nahin Dete Ki Allah Tumhara Rabb Hai?” Unhone Kaha : Kyoo’n Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Irshad Farmaya : “Kya Tum Gawaahi Nahin Dete Ki Allah Aur Us Ka Rasool Tumhari Jaano’n Se Bhi Qarib Tar Hain?” Unhone Kaha : Kyoo’n Nahin! Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Yeh (Ali) Mawla Hai.”
Is Hadith Ko Ibn Abi Asim, Ibn Asakir Aur Hisam-ud-Deen Hindi Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-us-Sunnah,/603, Al-Hadith Raqam-1360,
Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/161, 162,
Hisam-ud-Deen Hindi Ne Yeh Hadith “Kanz-ul-’Ummal, 13/140, Al-Hadith Raqam-36441,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/56, Al-Hadith Raqam-54.]
55: “(Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: ) Aagah Raho! Be Shak Allah Mera Wali Hai Aur Mein Har Mu’min Ka Wali Hoo’n, Pas Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai.”
Is Hadith Ko Hisam-ud-Deen Hindi Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 11/608, Al-Hadith Raqam-32945,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 04/328,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/56, 57, Al-Hadith Raqam-55.]
56: “Amar Bin Dhi Murr, Sa’iyd Bin Wahb Aur Zayd Bin Yathi’ Se Riwayat Hai Ki Hum Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Yeh Kehte Hu’e Suna Ki Mein Har Us Aadami Se Halfan Puchhta Hoo’n Jis Ne Ghadir Khum Ke Din Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna Ho, Is Par Terah Aadami Khade Hu’e Aur Unhone Gawaahi Dee Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Kya Mein Mominin Kee Jaano’n Se Qarib Tar Nahin Hoo’n?” Sab Ne Jawab Diya : Kyoo’n Nahin, Ya RasoolAllah! Raawi Kahta Hai : Tab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakda Aur Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n, Us Ka Ali Mawla Hai, Aye Allah! Jo Ise Dost Rakkhe Too Use Dost Rakkh, Jo Is (Ali) Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh, Jo Is (Ali) Se Mahabbat Kare Too Us Se Mahabbat Kar, Jo Is (Ali) Se Bughz Rakkhe Too Us Se Bughz Rakkh, Jo Is (Ali) Kee Nusrat Kare Too Us Kee Nusrat Farma Aur Jo Ise Ruswa (Karne Kee Koshish) Kare Too Use Ruswa Kar.”
Is Ko Bazzar Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Bazzar Fi Al-Musnad, 03/35, Al-Hadith Raqam-786,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/104, 405,
Tahawi Fi Mushkil-il-Athar, 02/308,
Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/159, 160,
Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/158, Al-Hadith Raqam-36487,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 04/169, 05/462,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/57, 58, Al-Hadith Raqam-56.]
57: “Abd-ur-Rahman Bin Abi Laylah Se Riwayat Hai Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Logo’n Se Khitaab Kiya Aur Farmaya : Mein Us Aadami Ko Allah Aur Islam Kee Qasam Deta Hoo’n, Jis Ne Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Ghadir Khum Ke Din Mera Haath Pakde Hu’e Yeh Farmate Hu’e Suna Ho : “Aye Musalmano! Kya Mein Tumhari Jaano’n Se Qarib Tar Nahin Hoo’n?” Sab Ne Jawab Diya : Kyoo’n Nahin, Ya RasoolAllah! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n, Us Ka Ali Mawla Hai, Aye Allah! Jo Ise Dost Rakkhe Too Use Dost Rakkh, Jo Is (Ali) Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh, Jo Is (Ali) Kee Madad Kare Too Us Kee Madad Farma, Jo Is Kee Ruswaa’i Chaahe Too Use Ruswa Kar?” Is Par Terah (13) Se Zaa’id Afraad Ne Khade Ho Kar Gawaahi Dee Aur Jin Logo’n Ne Yeh Baatein Chhupaa’i Woh Dunya Me Andhe Ho Kar Ya Bars (Safed Kodh, Leprosy) Kee Haalat Me Mar Ga’e.”
Is Ko Hisam-ud-Deen Hindi Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/131, Al-Hadith Raqam-36417,
Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/158,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/58, 59, Al-Hadith Raqam-57.]
You must be logged in to post a comment.