Posted in Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu

Ali Al-Murtada RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ahl-E-Bayt Me Se Hain

(٣) بَابٌ فِيْ کَوْنِهِ رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ مِنْ أَهْلِ الْبَيْتِ

Baab-03 :

Ali Al-Murtada RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ahl-E-Bayt Me Se Hain

 

16:             “Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Jab Aayate Mubaahala : ﴾Aap Farma De’n Aao Hum Apne Beto’n Ko Bulaate Hain Aur Tum Apne Beto’n Ko Bulaao.﴿ Naazil Hu’i To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Husayn ‘Alayhim-us-Salam Ko Bulaaya, Phir Farmaya : Ya Allah! Yeh Mere Ahl-E-Bayt Hain.”

Is Hadith Ko Imam Muslim Aur Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Tirmidhi Farmate Hain Ki Yeh Hadith Hasan Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1871, Al-Hadith Raqam-2404,

Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/225, Al-Hadith Raqam-2999,

Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih,  05/638, Al-Hadith Raqam-3724,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/185, Al-Hadith Raqam-1608,

Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra,  07/63, Al-Hadith Raqam-13169, 13170,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/107, Al-Hadith Raqam-8399,

Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/163, Al-Hadith Raqam-4719,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/21, Al-Hadith Raqam-16.]

 

 

17:              “Hazrat Safiyyah Binte Shaybah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Hai Ki Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Farmati Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Sub’h Ke Waqt Is Haal Me Baahar Tashrif Laa’e Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Aik Chaadar Odh Rakhi Thi Jis Par Siyaah Oon Se Kajaawon Ke Naqsh Bane Hu’e They. Hazrat Hasan Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Aa’e To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Unhein Us Chaadar Me Daakhil Farma Liya, Phir Hazrat Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aa’e Aur Un Ke Saath Chaadar Me Daakhil Ho Ga’e, Phir Saiyyidah Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Aa’in To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Unhine Bhi Chaadar Me Daakhil Farma Liya. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yeh Aayate Mubaaraka Padhi : ﴾Aye Ahl-E-Bayt! Allah To Yahi Chaaahta Hai Ki Tum Se (Har Tarah) Kee Aaludgi Door Kar De Aur Tumhein Khoob Paak Wa Saaf Kar De.﴿”

Is Hadith Ko Imam Muslim Ne Riwayat Kiya Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1883, Al-Hadith Raqam-2424,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/370, Al-Hadith Raqam-36102,

Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/672, Al-Hadith Raqam-1149,

Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 03/678, Al-Hadith Raqam-1271,

Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/159, Al-Hadith Raqam-4707,

Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/149,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/22, Al-Hadith Raqam-17.]

 

 

18:             “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Chhe Maah Tak Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Yeh Ma’mool Raha Ki Jab Namaze Fazr Ke Liye Nikle To Hazrat Fatimah Salamu Allah ‘Alayha Ke Darwaaza Ke Paas Se Guzarte Hu’e Farmate : Aye Ahl-E-Bayt! Namaz Qaa’im Karo (Aur Phir Yeh Aayate Mubaaraka Padhte: ) ﴾Aye Ahl-E-Bayt! Allah Chaahta Hai Ki Tum Se (Har Tarah Kee) Aaludgi Door Kar De Aur Tum Khoob Paak Wa Saaf Kar De.﴿.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai Aur Kaha Hai Ki Yeh Hadith Hasan Hai.

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/352, Al-Hadith Raqam-3206,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/259, 285,

Hakim Fi Al-Mustadrak , 03/172, Al-Hadith Raqam-4748,

Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/761, Al-Hadith Raqam-1340, 1341,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/388, Al-Hadith Raqam-32272,

Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/360, Al-Hadith Raqam-2953,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/367, Al-Hadith Raqam-12223,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/23, Al-Hadith Raqam-18.]

 

 

19:             “Parwarda-E-Nabi Hazrat Umar Bin Abi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Ghar Me Yeh Aayat Mubarak ﴾Aye Ahl-E-Bayt! Allah To Yahi Chaahta Hai Ki Tum Se (Har Tarah Kee) Aaloodgi Door Kar De Aur Tum Ko Khoob Paak Wa Saaf Kar De ﴿…. Naazil Hu’i. To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ko Bulaaya Aur Aik Chaadar Me Dhaanp Liya. Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Pichhe They, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Unhein Bhi Kamli Me Dhaanp Liya, Phir Farmaya : Ilaahi! Yeh Meri Ahl-E-Bayt Hain, In Se Har Aaloodgi Ko Door Kar De Aur Inhein Khoob Paak Wa Saaf Farma De.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/351, Al-Hadith Raqam-3205,

Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/663, Al-Hadith Raqam-3787,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/292,

Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn,  02/451, Al-Hadith Raqam-3558,

Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/158, Al-Hadith Raqam-4705,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/54, Al-Hadith Raqam-2668,

Ahmad Bin Hanbal Aydan Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/587, Al-Hadith Raqam-994,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/23, 24, Al-Hadith Raqam-19.]

 

 

20:             “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmane Khudawandi : ﴾Aye Ahl-E-Bayt! Allah To Yahi Chaahta Hai Ki Tum Se (Har Tarah Kee) Aaloodgi Door Kar De.﴿ Ke Baare Me Kaha Hai Ki Yeh Aayat Mubarak Panjtan Ke Haque Me Naazil Hu’i. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Hazrat Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Hazrat Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ke Haque Me.”

Is Hadith Ko Tabarani Ne “Al-Mu’jam-ul-Awsat” Me Riwayat Kiya Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/380, Al-Hadith Raqam-3456,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/231, Al-Hadith Raqam-375,

Ibn Hayyan Fi Tabaqat-ul-Muhaddithin Bi-Asbahan, 03/384,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 10/278,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/24,25, Al-Hadith Raqam-20.]

 

 

21:              “Hazrat Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Jab Yeh Aayat Naazil Hu’i : ﴾Aye Mahboob! Farma Diji’e Ki Mein Tum Se Sirf Apni Qaraabat Ke Saath Mahabbat Ka Sawaal Karta Hoo’n.﴿ To Sahaba-E-Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah  SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam! Aap Ke Qaraabat Waale Kaun Hai Jin Kee Mahabbat Hum Par Waajib Ho Gayi Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ali, Fatimah, Aur Un Ke Dono’n Bete (Hasan Aur Husayn).”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne “Al-Mu’jam-ul-Kabir” Me Riwayat Kiya Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/47, Al-Hadith Raqam-2641,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/168,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/25, Al-Hadith Raqam-21.]

 

 

22:             “Hazrat Aboo Barzah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aadmi Ke Dono’n Qadam Us Waqt Tak Agle Jaha’n Me Nahin Padte Jab Tak Ki Us Se Chaar Chizo’n Ke Baare Sawaal Na Kar Liya Jaa’e, Us Ke Jism Ke Baare Me Ki Us Ne Use Kis Tarah Ke Aamaal Me Bosidah Kiya? Aur Us Kee Umr Ke Baare Me Ki Kis Haal Me Use Khatm Kiya? Aur Us Ke Maal Ke Baare Me Ki Us Ne Yeh Kaha’n Se Kamaaya Aur Kaha’n Kharch Kiya? Aur Ahl-E-Bayt Kee Mahabbat Ke Baare Me? Arz Kiya Gaya : Ya RasoolAllah  SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam! Aap Kee (Ya’ni Ahl-E-Bayt Kee) Mahabbat Kee Kya Alaamat Hai? To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apna Daste Aqdas Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Shaane Par Maara (Ki Yeh Mahabbat Kee Alaamat Hai).”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne “Al-Mu’jam-ul-Awsat” Me Riwayat Kiya Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/348, Al-Hadith Raqam-2191,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/346,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/26, Al-Hadith Raqam-22.]

Advertisement