Fasl-01:
Imaamat Karaane Aur Buland Aawaaz Se Tasmiyah Na Padhne Ka Bayaan
1. “Hazrat Anas Bin Maalik Ansari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ghode Par Sawaar Huwe Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Daaya’n Pehloo Mubarak Zakhmi Ho Gaya So Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hamen Ek Namaz Baith Kar Padhaa’i Aur Hum Ne Bhi Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Pichhe Baith Kar Namaz Padhi. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Salam Pher Kar Farmaya: Imam To Banaya Hee Is Liye Jaata Hai Ki Us Kee Pairwi Kee Jaa’e. Jab Woh Khada Ho Kar Namaz Padhe To Tum Bhi Khade Ho Kar Padho Aur Jab Woh Rukoo’ Kare To Tum Bhi Rukoo’ Karo Aur Jab Sar Uthaa’e To Tum Bhi Sar Uthaao Aur Jab Sajdah Kare To Tum Bhi Sajdah Karo Aur Jab ﴾سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَه﴿ ‘SamiAllahu-Li-Man-Hamidah’ Kahe To Tum ﴾رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْد﴿ ‘Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kaho.”
Muttafaque Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/257, Raqm-699,
Bukhari Fi As-Sahih, 01/375, Raqm-1063,
Muslim Fi As-Sahih, 01/308, Raqm-411,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/164, Raqm-601,
Nasa’i Fi As-Sunan, 02/98, Raqm-832,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/392, Raqm-1238,
Malik Fi Al-Muwatta’, 01/135, Raqm-304,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/411, Raqm-9318,
Shafi’iy Fi Al-Musnad, 01/58,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/461, Raqm-2103,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/469, Raqm-2108,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/292, Raqm-906,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/286, Raqm-36134,
Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/460, Raqm-4078,
Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Aathar, 01/403,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 06/283, Raqm-3595,
Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/436, Raqm-1619,
Bayhaqi Fi As-Sunan-us-Sughra, 01/320, Raqm-546,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/97, Raqm-2451,
Tabarani Fi Musnad-ush-Shamiyyin, 01/62, Raqm-66,
As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/09, 10, Raqm-01.]
2. “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ghode Se Niche Tashreef Le Aaye To Kharaash Aa Ga’i, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hamen Baith Kar Namaz Padhaa’i Aur Hum Ne Bhi Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Baith Kar Namaz Padhi, Phir Faarigh Huwe To Farmaya: Imam Is Liye Banaaya Jaata Hai Ki Us Kee Pairwi Kee Jaa’e. Jab Woh Takbeer Kahe To Tum Bhi Takbeer Kaho Aur Jab Woh Rukoo’ Kare To Rukoo’ Karo Aur Jab Sar Uthaa’e To Tum Bhi Sar Uthaao Aur Jab Woh ﴾سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَه﴿ ‘SamiAllahu-Li-Man-Hamidah’ Kahe To Tum ﴾رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْد﴿ ‘Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kaho, Aur Sajdah Kare To Tum Bhi Sajdah Karo.”
Muttafaque Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/257, Raqm-700, 01/375, Raqm-1063,
Muslim Fi As-Sahih, 01/308, Raqm-411,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/194, Raqm-361,
Imam Tirmidhi Ne Farmaya Ki Ye Hadith Hasan Sahih Hai.
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/164, Raqm-601,
Nasa’i Fi As-Sunan, 02/195, Raqm-1061,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/393, Raqm-1238,
Shafi’iy Fi Al-Musnad, 01/58,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/110, Raqm-12095,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/477, Raqm-2113,
As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/10, 11, Raqm-02.]
3. “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Rukoo’ Aur Sajde Poore Kiya Karo, Khuda Kee Qasam! Main Tumhen Apne Baad Bhi Dekhta Hoo’n (Aur Kabhi Farmaya, Peeth Pichhe Se Dekhta Hoo’n) Jab Rukoo’ Aur Sajdah Karte Ho.”
Muttafaque Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/259, Raqm-709,
Muslim Fi As-Sahih, 01/319, Raqm-425,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/130, Raqm-12343,
As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/11, 12, Raqm-03.]
4. “Hazrat Sahl Bin Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya: Logo’n Se Kaha Jaata Tha Ki Namazi Halate Namaz Me Apne Daayen Haath Ko Apni Baayi’n Kalaayi’n Par Rakhe. Aboo Haazim Ne Farmaya Ki Mujhe To Yahi Ma’loom Hai Ki Hazrat Sahl Is Baat Ko Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Taraf Mansoob Karte They.”
Is Hadith Ko Imam Bukhari Aur Malik Fi Al-Muwatta’ Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/259, Raqm-707,
Malik Fi Al-Muwatta’, 01/159, Raqm-376,
Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/429, Raqm-1597,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/140, Raqm-5772,
As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/12, Raqm-04.]
5. “Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya: Unhone Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Basara Me Namaz Padhi To Unhone Hamen Woh Namaz Yaad Kara Dee Jo Hum Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Padha Karte They. Bataaya Ki Aap Jab Bhi Uthte Aur Jhukte To Takbeer Kaha Karte They.”
Is Hadith Ko Imam Bukhari Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/271, Raqm-751,
Bazzar Fi Al-Musnad, 09/26, Raqm-3532,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/68, Raqm-2326,
As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/12, 13, Raqm-05.]
6. “Hazrat Aboo Salamah Se Riwayat Hai Ki Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Unhen Namaz Padhaaya Karte They, Woh Jab Bhi Jhukte Aur Uthte To Takbeer Kehte. Jab Aap Namaz Se Faarigh Huwe To Farmaya: Meri Namaz Tum Sab Se Ziyaada Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Ke Saath Mushaabahat Rakhti Hai.”
Muttafaque Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/272,Raqm-752,
Muslim Fi As-Sahih, 01/293, Raqm-392,
Nasa’i Fi As-Sunan, 02/235, Raqm-1155,
Shafi’iy Fi Al-Musnad, 01/38,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/236, Raqm-7219,
Malik Fi Al-Muwatta’, 01/76,
Raqm-166,
Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Aathar, 01/221,
Ibn Jarood Fi Kitab Al-Muntaqa, 01/57, Raqm-191,
Ibn Hibban Fi As-sahih, 05/62, Raqm-1766,
As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/13, Raqm-06.]
7. “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Hazrat Aboo Bakr Aur Hazrat ‘Umar (Aur Ek Riwayat Ke Mutabiq: Hazrat Uthman) RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Namaz Ko ﴾ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلْعَالَمِين﴿ ‘Al-Hamdu-Lillahi-Rabbil-Aalamin’ Se Shuru Kiya Karte They.”
Is Hadith Ko Imam Bukhari Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/259, Raqm-710,
Shafi’iy Fi Al-Sunan Al-Ma’thoorah, 01/135, 138,
As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/13, 14, Raqm-07.]
8. “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain: Main Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Hazrat Aboo Bakr, Hazrat ‘Umar Aur Hazrat Uthmane Ghani RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Kee Iqtida’ Me Namaz Padhi, Magar Main Ne Un Me Se Kisi Ko ﴾بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم﴿ ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Padhte Na Suna.”
Is Hadith Ko Imam Muslim Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Muslim Fi As-Sahih, 01/299, Raqm-399,
Nasa’i Fi As-Sunan, 02/99, Raqm-907,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/315, Raqm-979,
Ibn Hibban Fi As-sahih, 05/103, Raqm-1799,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 01/249, 250, Raqm-459, 497,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/176, 275, 278,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/360, Raqm-4144,
Daraqutni Fi As-Sunan, 01/314, 315,
Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/448, Raqm-1656,
Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/146, 293, Raqm-922, 1986,
Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/359, Raqm-1191,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/51, Raqm-2243,
Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Aathar, 01/261, Raqm-1166,
As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/14, Raqm-08.]
9. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mughaffal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain: Mere Waalid Ne Mujhe Namaz Me ﴾بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم﴿ ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Padhte Huwe Suna To Farmaya: Aye Bete! Yeh Bid’at Hai Bid’at Se Bacho Niz Farmaya: Main Ne Sahaba’e Kiram Ridwanullahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ko Is Se Ziyaada Kisi Aur Bid’at Ko Itna Naapasand Karte Huwe Nahin Dekha. Aur Yeh Bhi Kaha Ki Main Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Hazrat Aboo Bakr Siddiq, Hazrat ‘Umar Aur Hazrat Uthmane Ghani RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Ke Saath Namaz Padhi, Lekin Un Me Se Kisi Ko Ye ﴾بِسْمِ اللَّه﴿‘Bismillah’ Zaahiran Kehte Huwe Nahin Suna Lihaaza Tum Bhi Buland Aawaaz Se Na Kaho Aur Jab Namaz Padho To Sirf ﴾ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلْعَالَمِين﴿ ‘Al-Hamdu-Lillahi-Rabbil-Aalamin’ Se (Qir’at) Shuru Karo.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai.
“Imam Tirmidhi Farmate Hain: Hazrat ‘Abd Allah Bin Mughaffal Kee Hadith Hasan Hai Aur Aksar As’habe Rasool Jin Me Hazrat Aboo Bakr, Hazrat ‘Umar, Hazrat Uthamane Ghani Aur Hazrat ‘Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Our In Ke Ilaawah Kaee Sahaba’e Kiram Ridwanullahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Shaamil Hain Aur Taabe’in Ka Bhi Isi Par Amal Hai. Sufyan Sauri, Ibn Mubarak, Ahmad Aur Is’haq ﴾بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم﴿ ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Ko Oonchi Aawaaz Se Padhna Jaaiz Nahin Qaraar Dete Balki Farmate Hain Ki Aahista Padhni Chaahiye.”
–
[Tirmidhi Fi As-sunan, 02/12, Raqm-244,
Ibn Qudamah Fi Al-Mughni, 01/284,
As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/15,16, Raqm-09.]
10. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mughaffal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai: Main Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Pichhe Aur Aboo Bakr Wa Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ke Pichhe Namaz Padhi Aur Kisi Ko Bhi (Buland Aawaaz Se) ﴾بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم﴿ ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Padhte Huwe Na Suna.”
Is Hadith Ko Imam Aboo Hanifah Aur Imam Nasa’i Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Khawarizmi Fi Jami’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/318, 323,
Nasa’i Fi As-Sunan, 02/99, Raqm-908,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/315, Raqm-980,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/54, 55,
Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Aathar, 01/260, 261, Raqm-1161,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/52, Raqm-2248,
As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/16, Raqm-10.]
11. “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain: Main Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Aboo Bakr, Uamar Wa Uthaman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Kee Iqtida’ Me Namaz Padhi, Yeh Tamaam Hazaraat ﴾بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم﴿ ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Buland Aawaaz Me Nahin Padhte They.”
Is Hadith Ko Imam Aboo Hanifah Aur Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Khawarizmi Fi Jami’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/322,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/179, 275,
Ibn Hibban Fi As-sahih, 05/105, Raqm-1802,
Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/146, Raqm-923,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/52, Raqm-2249,
Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Aathar, 01/262, Raqm-1167,
As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/16, 17, Raqm-11.]
12. “Hazrat Aboo Wa’il RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Ali Aur Ammar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma (Namaz Me) ﴾بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم﴿ ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Padhte Waqt Aawaaz Buland Nahin Karte They,”
Is Hadith Ko Imam Ibn Abi Shaybah Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/361, Raqm-4149,
As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/17, Raqm-12.]
13. “Hazrat Ibrahim Nakha’iy RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Imam Ka Buland Aawaaz Se ﴾بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم﴿ ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Padhna Bid’at Hai.”
Is Hadith Ko Imam Ibn Abi Shaybah Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/360, Raqm-4138,
As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/17, Raqm-13.]