Posted in Al-Ṣalāṫ ʻind al-Ḥanafīyah fī ḍaw’i al-Sunnaṫ al-Nabawīyah

Imaamat Karaane Aur Buland Aawaaz Se Tasmiyah Na Padhne Ka Bayaan

Fasl-01:

Imaamat Karaane Aur Buland Aawaaz Se Tasmiyah Na Padhne Ka Bayaan

1.              “Hazrat Anas Bin Maalik Ansari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ghode Par Sawaar Huwe Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Daaya’n Pehloo Mubarak Zakhmi Ho Gaya So Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hamen Ek Namaz Baith Kar Padhaa’i Aur Hum Ne Bhi Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Pichhe Baith Kar Namaz Padhi. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Salam Pher Kar Farmaya: Imam To Banaya Hee Is Liye Jaata Hai Ki Us Kee Pairwi Kee Jaa’e. Jab Woh Khada Ho Kar Namaz Padhe To Tum Bhi Khade Ho Kar Padho Aur Jab Woh Rukoo’ Kare To Tum Bhi Rukoo’ Karo Aur Jab Sar Uthaa’e To Tum Bhi Sar Uthaao Aur Jab Sajdah Kare To Tum Bhi Sajdah Karo Aur Jab ﴾سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَه﴿ ‘SamiAllahu-Li-Man-Hamidah’ Kahe To Tum ﴾رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْد﴿ ‘Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kaho.”

Muttafaque Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/257, Raqm-699,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/375, Raqm-1063,

Muslim Fi As-Sahih, 01/308, Raqm-411,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/164, Raqm-601,

Nasa’i Fi As-Sunan, 02/98, Raqm-832,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/392, Raqm-1238,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/135, Raqm-304,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/411, Raqm-9318,

Shafi’iy Fi Al-Musnad, 01/58,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/461, Raqm-2103,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/469, Raqm-2108,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/292, Raqm-906,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/286, Raqm-36134,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/460, Raqm-4078,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Aathar, 01/403,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 06/283, Raqm-3595,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/436, Raqm-1619,

Bayhaqi Fi As-Sunan-us-Sughra, 01/320, Raqm-546,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/97, Raqm-2451,

Tabarani Fi Musnad-ush-Shamiyyin, 01/62, Raqm-66,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/09, 10, Raqm-01.]

 

 

2.              “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ghode Se Niche Tashreef Le Aaye To Kharaash Aa Ga’i, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hamen Baith Kar Namaz Padhaa’i Aur Hum Ne Bhi Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Baith Kar Namaz Padhi, Phir Faarigh Huwe To Farmaya: Imam Is Liye Banaaya Jaata Hai Ki Us Kee Pairwi Kee Jaa’e. Jab Woh Takbeer Kahe To Tum Bhi Takbeer Kaho Aur Jab Woh Rukoo’ Kare To Rukoo’ Karo Aur Jab Sar Uthaa’e To Tum Bhi Sar Uthaao Aur Jab Woh ﴾سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَه﴿ ‘SamiAllahu-Li-Man-Hamidah’ Kahe To Tum  ﴾رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْد﴿ ‘Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kaho, Aur Sajdah Kare To Tum Bhi Sajdah Karo.”

Muttafaque Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/257, Raqm-700, 01/375, Raqm-1063,

Muslim Fi As-Sahih, 01/308, Raqm-411,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/194, Raqm-361,

Imam Tirmidhi Ne Farmaya Ki Ye Hadith Hasan Sahih Hai.

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/164, Raqm-601,

Nasa’i Fi As-Sunan, 02/195, Raqm-1061,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/393, Raqm-1238,

Shafi’iy Fi Al-Musnad, 01/58,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/110, Raqm-12095,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/477, Raqm-2113,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/10, 11, Raqm-02.]

 

 

3.              “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Rukoo’ Aur Sajde Poore Kiya Karo, Khuda Kee Qasam! Main Tumhen Apne Baad Bhi Dekhta Hoo’n (Aur Kabhi Farmaya, Peeth Pichhe Se Dekhta Hoo’n) Jab Rukoo’ Aur Sajdah Karte Ho.”

Muttafaque Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/259, Raqm-709,

Muslim Fi As-Sahih, 01/319, Raqm-425,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/130, Raqm-12343,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/11, 12, Raqm-03.]

 

 

4.              “Hazrat Sahl Bin Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya: Logo’n Se Kaha Jaata Tha Ki Namazi Halate Namaz Me Apne Daayen Haath Ko Apni Baayi’n Kalaayi’n Par Rakhe. Aboo Haazim Ne Farmaya Ki Mujhe To Yahi Ma’loom Hai Ki Hazrat Sahl Is Baat Ko Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Taraf Mansoob Karte They.”

Is Hadith Ko Imam Bukhari Aur Malik Fi Al-Muwatta’ Ne Riwayat Kiya Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/259, Raqm-707,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/159, Raqm-376,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/429, Raqm-1597,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/140, Raqm-5772,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/12, Raqm-04.]

 

 

5.              “Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya: Unhone Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Basara Me Namaz Padhi To Unhone Hamen Woh Namaz Yaad Kara Dee Jo Hum Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Padha Karte They. Bataaya Ki Aap Jab Bhi Uthte Aur Jhukte To Takbeer Kaha Karte They.”

Is Hadith Ko Imam Bukhari Ne Riwayat Kiya Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/271, Raqm-751,

Bazzar Fi Al-Musnad, 09/26, Raqm-3532,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/68, Raqm-2326,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/12, 13, Raqm-05.]

 

 

6.              “Hazrat Aboo Salamah Se Riwayat Hai Ki Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Unhen Namaz Padhaaya Karte They, Woh Jab Bhi Jhukte Aur Uthte To Takbeer Kehte. Jab Aap Namaz Se Faarigh Huwe To Farmaya: Meri Namaz Tum Sab Se Ziyaada Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Ke Saath Mushaabahat Rakhti Hai.”

Muttafaque Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/272,Raqm-752,

Muslim Fi As-Sahih, 01/293, Raqm-392,

Nasa’i Fi As-Sunan, 02/235, Raqm-1155,

Shafi’iy Fi Al-Musnad, 01/38,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/236, Raqm-7219,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/76,
Raqm-166,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Aathar, 01/221,

Ibn Jarood Fi Kitab Al-Muntaqa, 01/57, Raqm-191,

Ibn Hibban Fi As-sahih, 05/62, Raqm-1766,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/13, Raqm-06.]

 

 

7.              “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Hazrat Aboo Bakr Aur Hazrat ‘Umar (Aur Ek Riwayat Ke Mutabiq: Hazrat Uthman) RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Namaz Ko  ﴾ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلْعَالَمِين﴿ ‘Al-Hamdu-Lillahi-Rabbil-Aalamin’ Se Shuru Kiya Karte They.”

Is Hadith Ko Imam Bukhari Ne Riwayat Kiya Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/259, Raqm-710,

Shafi’iy Fi Al-Sunan Al-Ma’thoorah, 01/135, 138,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/13, 14, Raqm-07.]

 

 

8.              “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain: Main Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Hazrat Aboo Bakr, Hazrat ‘Umar Aur Hazrat Uthmane Ghani RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Kee Iqtida’ Me Namaz Padhi, Magar Main Ne Un Me Se Kisi Ko ﴾بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم﴿ ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Padhte Na Suna.”

Is Hadith Ko Imam Muslim Ne Riwayat Kiya Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 01/299, Raqm-399,

Nasa’i Fi As-Sunan, 02/99, Raqm-907,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/315, Raqm-979,

Ibn Hibban Fi As-sahih, 05/103, Raqm-1799,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 01/249, 250, Raqm-459, 497,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/176, 275, 278,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/360, Raqm-4144,

Daraqutni Fi As-Sunan, 01/314, 315,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/448, Raqm-1656,

Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/146, 293, Raqm-922, 1986,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/359, Raqm-1191,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/51, Raqm-2243,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Aathar, 01/261, Raqm-1166,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/14, Raqm-08.]

 

 

9.              “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mughaffal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain: Mere Waalid Ne Mujhe Namaz Me ﴾بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم﴿ ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Padhte Huwe Suna To Farmaya: Aye Bete! Yeh Bid’at Hai Bid’at Se Bacho Niz Farmaya: Main Ne Sahaba’e Kiram Ridwanullahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ko Is Se Ziyaada Kisi Aur Bid’at Ko Itna Naapasand Karte Huwe Nahin Dekha. Aur Yeh Bhi Kaha Ki Main Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Hazrat Aboo Bakr Siddiq, Hazrat ‘Umar Aur Hazrat Uthmane Ghani RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Ke Saath Namaz Padhi, Lekin Un Me Se Kisi Ko Ye  ﴾بِسْمِ اللَّه﴿‘Bismillah’ Zaahiran Kehte Huwe Nahin Suna Lihaaza Tum Bhi Buland Aawaaz Se Na Kaho Aur Jab Namaz Padho To Sirf  ﴾ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلْعَالَمِين﴿ ‘Al-Hamdu-Lillahi-Rabbil-Aalamin’ Se (Qir’at) Shuru Karo.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai.

“Imam Tirmidhi Farmate Hain: Hazrat ‘Abd Allah Bin Mughaffal Kee Hadith Hasan Hai Aur Aksar As’habe Rasool Jin Me Hazrat Aboo Bakr, Hazrat ‘Umar, Hazrat Uthamane Ghani Aur Hazrat ‘Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Our In Ke Ilaawah Kaee Sahaba’e Kiram Ridwanullahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Shaamil Hain Aur Taabe’in Ka Bhi Isi Par Amal Hai. Sufyan Sauri, Ibn Mubarak, Ahmad Aur Is’haq ﴾بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم﴿ ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Ko Oonchi Aawaaz Se Padhna Jaaiz Nahin Qaraar Dete Balki Farmate Hain Ki Aahista Padhni Chaahiye.”

[Tirmidhi Fi As-sunan, 02/12, Raqm-244,

Ibn Qudamah Fi Al-Mughni, 01/284,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/15,16, Raqm-09.]

 

 

10.              “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mughaffal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai: Main Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Pichhe Aur Aboo Bakr Wa Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ke Pichhe Namaz Padhi Aur Kisi Ko Bhi (Buland Aawaaz Se) ﴾بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم﴿ ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Padhte Huwe Na Suna.”

Is Hadith Ko Imam Aboo Hanifah Aur Imam Nasa’i Ne Riwayat Kiya Hai.

[Khawarizmi Fi Jami’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/318, 323,

Nasa’i Fi As-Sunan, 02/99, Raqm-908,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/315, Raqm-980,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/54, 55,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Aathar, 01/260, 261, Raqm-1161,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/52, Raqm-2248,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/16, Raqm-10.]

 

 

11.              “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain: Main Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Aboo Bakr, Uamar Wa Uthaman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Kee Iqtida’ Me Namaz Padhi, Yeh Tamaam Hazaraat ﴾بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم﴿ ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Buland Aawaaz Me Nahin Padhte They.”

Is Hadith Ko Imam Aboo Hanifah Aur Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.

[Khawarizmi Fi Jami’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/322,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/179, 275,

Ibn Hibban Fi As-sahih, 05/105, Raqm-1802,

Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/146, Raqm-923,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/52, Raqm-2249,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Aathar, 01/262, Raqm-1167,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/16, 17, Raqm-11.]

 

 

12.              “Hazrat Aboo Wa’il RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Ali Aur Ammar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma (Namaz Me) ﴾بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم﴿ ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Padhte Waqt Aawaaz Buland Nahin Karte They,”

Is Hadith Ko Imam Ibn Abi Shaybah Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/361, Raqm-4149,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/17, Raqm-12.]

 

 

13.              “Hazrat Ibrahim Nakha’iy RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Imam Ka Buland Aawaaz Se ﴾بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم﴿ ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Padhna Bid’at Hai.”

Is Hadith Ko Imam Ibn Abi Shaybah Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/360, Raqm-4138,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/17, Raqm-13.]

Posted in Al-Ṣalāṫ ʻind al-Ḥanafīyah fī ḍaw’i al-Sunnaṫ al-Nabawīyah

Takbire ‘Oola Ke Ilaawah Namaz Me Raf’ Yadayn Na Karne Ka Bayan

Fasl-02:

Takbire ‘Oola Ke Ilaawah Namaz Me Raf’ Yadayn Na Karne Ka Bayan

14.              “Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya: Unhone Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Basara Me Namaz Padhi To Unhone Hamen Woh Namaz Yaad Kara Dee Jo Hum Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Padha Karte They. Unhone Bataaya Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Bhi Uthate Aur Jhukte To Takbeer Kaha Karte They.”

Is Hadith Ko Imam Bukhari Ne Riwayat Kiya Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/271, Raqm-751,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/78, Raqm-2326,

Bazzar Fi Al-Musnad, 09/26, Raqm-3532,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/18, Raqm-14.]

 

 

15.              “Hazrat Aboo Salamah Se Riwayat Hai Ki Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Unhen Namaz Padhaaya Karte They, Woh Jab Bhi Jhukte Aur Uthate To Takbeer Kehte. Jab Aap Namaz Se Faarigh Huwe To Farmaya: Tum Me Se Meri Namaz Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Se Ziyaada Mushaabahat Rakhti Hai.”

Muttafaque Alayh

[Bukhari Fi As-sahih, 01/272, Raqm-752,

Muslim Fi As-Sahih, 01/293, Raqm-392,

Nasa’i Fi As-Sunan, 02/235, Raqm-1155,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/236, Raqm-7219,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/76, Raqm-166,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Aathar, 01/221,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/18, 19, Raqm-15.]

 

 

16.            “Hazrat Mutarrif Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain: Main Ne Aur Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Hazrat ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Pichhe Namaz Padhi Jab Unhone Sajdah Kiya To Takbeer Kahi, Jab Sar Uthaaya To Takbeer Kahi Aur Jab Do² Rak’ato’n Se Uthe To Takbeer Kahi. Jab Namaz Mukammal Ho Ga’i To Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Mera Haath Pakad Kar Farmaya: Unhone Mujhe Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Yaad Kara Dee Hai. (Ya Farmaya) Unhone Mujhe Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Jaisi Namaz Padhaa’i Hai.”

Muttafaque Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/272, Raqm-753,

Muslim Fi As-Sahih, 01/295, Raqm-393,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/444,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/19, Raqm-16.]

 

 

17.              “Hazrat Aboo Bakr Bin Abd-ur-Rahman Ne Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Farmate Huwe Suna Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Namaz Ke Liye Khade Hote To Khade Hote Waqt Takbeer Kehte. Phir Rukoo’ Karte Waqt Takbeer Kehte Phir ﴾سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَه﴿ ‘SamiAllahu-Li-Man-Hamidah’ Kehte, Jab Ki Rukoo’ Se Apni Pusht Mubarak Ko Seedha Karte Phir Seedha Khade Ho Kar ﴾رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْد﴿ ‘Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kehte. Phir Jhukte Waqt Takbeer Kehte. Phir Sar Uthaate Waqt Takbeer Kehte. Phir Sajdah Karte Waqt Takbeer Kehte. Phir Sajde Se Sar Uthaate Waqt Takbeer Kehte. Phir Saari Namaz Me Isi Tarah Karte Yaha’n Tak Ki Poori Ho Jaati Aur Jab Do² Rak’ato’n Ke Aakhir Me Baith Ne Ke Baad Khade Hote To Takbeer Kehte.”

Muttafaque Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/272, Raqm-756,

Muslim Fi As-Sahih, 01/293, Raqm-392,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/20, Raqm-17.]

 

 

18.              “Hazrat Aboo Salamah Bin Abd-ur-Rahman Se Riwayat Hai Ki Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Har Namaz Me Takbeer Kehte Khwaah Woh Farz Hoti Ya Doosri, Maahe Ramadan Me Hoti Ya Is Ke Ilaawah Jab Khade Hote To Takbeer Kehte Aur Jab Rukoo’ Karte To Takbeer Kehte, Phir ﴾سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَه﴿ ‘SamiAllahu-Li-Man-Hamidah’ Kehte. Phir Sajdah Karne Se Pehle ﴾رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْد﴿ ‘Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kehte. Phir Jab Sajde Ke Liye Jhukte To ﴾اَللهُ اَكْبَر﴿ ‘AllahuAkbar’ Kehte. Phir Jab Sajde Se Sar Uthaate To Takbeer Kehte, Phir Jab (Doosra) Sajdah Karte To Takbeer Kehte, Phir Jab Sajde Se Sar Uthaate To Takbeer Kehte, Phir Jab Doosri Rak’at Ke Qa’ade Se Uthate To Takbeer Kehte, Aur Har Rak’at Me Aisa Hee Karte Yeh’n Tak Ki Namaz Se Faarigh Ho Jaate Phir Faarigh Hone Par Farmate: Qasam Hai Us Zaat Kee Jis Ke Qabza’e Qudrat Me Meri Jaan Hai! Tum Sab Me Se Meri Namaz Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Ke Saath Ziyaada Mushaabahat Rakhti Hai. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Taa Dame Wisal Isi Tareeqe Par Namaz Ada Kee.”

Is Hadith Ko Imam Bukhari Ne Riwayat Kiya Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/276, Raqm-770,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/221, Raqm-836,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/20, 21, Raqm-18.]

 

 

19.              “Hazrat Aboo Qilabah Se Riwayat Hai Ki Hazrat Maalik Bin Huwayrith RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Apne Saathiyo’n Se Farmaya: Kya Main Tumhen Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Na Baataaun? Aur Yeh Namaz Ke Mu’ayyanah Awqaat Ke Ilaawah Kee Baat Hai. So Unhone Qiyam Kiya, Phir Rukoo’ Kiya To Takbeer Kahi, Phir Sar Uthaaya To Thodi Der Khade Rahe. Phir Sajdah Kiya, Phir Thodi Der Sar Uthaa’e Rakha Phir Sajdah Kiya. Phir Thodi Der Sar Uthaa’e Rakha. Unhone Hamaare In Buzurg Hazrat Amr Bin Salma Kee Tarah Namaz Padhi. Ayyub Ka Bayan Hai Woh Ek Kaam Aisa Karte Jo Main Ne Kisi Ko Karte Huwe Nahin Dekha. Woh Teesri³ Aur Chauthi⁴ Rak’at Me Baitha Karte They, Farmaya: Hum Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Haazir Huwe To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Paas Thahre. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Jab Tum Apne Ghar Walo’n Ke Paas Waapas Jaao To Fula’n Namaz Fula’n Waqt Me Padhna. Jab Namaz Ka Waqt Ho Jaa’e To Tum Me Se Ek Azan Kahe Aur Jo Bada Ho Woh Tumhari Imamat Kare.”

Is Hadith Ko Imam Bukhari Ne Riwayat Kiya Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/282, Raqm-785,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/21, 22, Raqm-19.]

 

 

20.              “Hazrat ‘Alqamah Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya: Kya Main Tumhen Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Naa Padhaaun? Raawi Kehte Hain: Phir Unhone Namaz Padhaa’i Aur Ek Martaba Ke Siwa Apne Haath Naa Uthaa’e,”

Imam Nasa’i Kee Bayan Kardah Riwayat Me Hai, “Phir Unhone Haath Na Uthaa’e. “

Is Hadith Ko Imam Aboo Dawud, Imam Tirmidhi Aur Imam Nasa’i Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Tirmidhi Ne Kaha Hai Ki Ye Hadith Hasan Hai.

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/286, Raqm-748,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 01/297, Raqm-257,

Nasa’i Fi As-Sunan, 02/131, Raqm-1026,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/221, 351, Raqm-645, 1099,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/388, 441,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/213, Raqm-2441,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/22, 23, Raqm-20.]

 

 

21.              “Hazrat Hasan Bin ‘Ali, Muawiya, Khalid Bin ‘Amr Wa Aboo Huzayfa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Riwayat Karte Hain Ki Sufyan Ne Apni Sanad Ke Saath Hum Se Hadith Bayan Kee (Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne) Pehli Dafa’ Hee Haath Uthaa’e, Aur Baa’z Ne Kaha: Ek Hee Baar Haath Uthaa’e.”

Is Hadith Ko Imam Aboo Dawud Ne Riwayat Kiya Hai.

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/286, Raqm-749,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/23, Raqm-21.]

 

 

22.              “Hazrat Bara’ Bin ‘Aazib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain: Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Namaz Shuru Karte To Apne Dono’n Haatho’n Ko Kano’n Tak Uthaate, Aur Phir Aisa Na Karte.”

Is Hadith Ko Imam Aboo Dawud Ne Riwayat Kiya Hai

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/287, Raqm-750,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/70, Raqm-2530,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/213, Raqm-2440,

Daraqutni Fi As-Sunan, 01/293,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Aathar, 01/253, Raqm-1131,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/23, 24, Raqm-22.]

 

 

23.              “Hazrat Aswad Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Sirf Takbeere Tahreema Ke Waqt Haath Uthaate They, Phir Namaz Me Kisi Aur Jagah Haath Na Uthaate Aur Yeh Amal Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Naqal Kiya Karte.”

Is Hadith Ko Imam Aboo Hanifah Ne Riwayat Kiya Hai.

[Khawarizmi Fi Jami’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/355,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/24, Raqm-23.]

 

 

24.              “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain: Main Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Aboo Bakr Wa Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ke Saath Namaz Padhi, Yeh Sab Hazraat Sirf Namaz Ke Shuru Me Hee Apne Haath Buland Karte They.”

Is Hadith Ko Imam Daraqutni Ne Riwayat Kiya Hai.

[Daraqutni Fi As-Sunan, 01/295,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 08/453, Raqm-5039,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/79,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id,02/101,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/24, Raqm-24.]

 

 

25.              “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Amr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayan Karte Hain: Main Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Dekha Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaz Shuru Karte Waqt Apne Haatho’n Ko Kandho’n Tak Uthaaya, Aur Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Rukoo’ Karna Chaahte Aur Rukoo’ Se Sar Uthaate To Haath Nahin Uthaate They, Aur Un Me Se Kuchh Ne Kaha Dono’n Sajdo’n Ke Darmiyan (Haath) Nahin Uthaate They.”

Is Hadith Ko Imam Aboo ‘Awanah Ne Riwayat Kiya Hai.

[Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/423, Raqm-1572,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/25, Raqm-25.]

 

 

26.              “Hazrat Aswad Bayan Karte Hain Ki Main Ne Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Namaz Ada Karte Dekha Hai. Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Takbeere Tahreema Kehte Waqt Dono’n Haath Uthaate, Phir (Baqiyyah Namaz Me Haath) Nahin Uthaate They.”

Is Hadith Ko Imam Tahawi Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Aathar, 01/294, Raqm-1329,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/25, Raqm-26.]

 

 

27.              “‘Aasim Bin Kulayb Apne Waalid Kulayb Se Riwayat Karte Hain: Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Sirf Takbeer Me Hee Haatho’n Ko Uthaate They Phir Daurane Namaz Me Haath Nahin Uthaate They.”

Is Hadith Ko Imam Ibn Abi Shaybah Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/213, Raqm-2444,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/25, Raqm-27.]

Posted in Al-Ṣalāṫ ʻind al-Ḥanafīyah fī ḍaw’i al-Sunnaṫ al-Nabawīyah

Imam Ke Pichhe Qir’at Na Karne Ka Bayan

Fasl-03:

Imam Ke Pichhe Qir’at Na Karne Ka Bayan

28.              “Hazrat Jaabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Jo Shakhs Imam Ke Pichhe Namaz Padhe To Imam Ka Padhna Hee Us Ka Padhna Hai.”

Is Hadith Ko Imam Aboo Hanifah Ne Riwayat Kiya Hai

[Khawarizmi Fi Jami’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/331,

Imam Muhammad Fi Al-Muwatta’, 01/96,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/320, Raqm-1050,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/43, Raqm-7903,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/160,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/26, Raqm-28.]

 

 

29.              “Hazrat Jaabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Logo’n Ko Namaz Padhaayi, To Ek Shakhs Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Pichhe Qir’at Kee. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaz Se Faarigh Ho Kar Farmaya: Tum Me Se Kisi Ne Mere Pichhe Qir’at Kee Thi? (Log Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Narazagi Ke Dar Se Khaamosh Rahe, Yaha’n Tak Ki) Teen³ Baar Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ba-Takaraar Yahi Istifsaar Farmaya. Aakhir Ek Shakhs Ne Arz Kiya: Ya RasoolAllah ﷺ! Main Ne. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Jo Imam Ke Pichhe Ho To Imam Kee Qir’at Hee Us Kee Qir’at Hai.”

Is Hadith Ko Imam Aboo Hanifah Ne Riwayat Kiya Hai.

[Haskafi Fi Musnad Al-Imam Al-A’zam: 61,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/26, 27, Raqm-29.]

 

 

30.              “Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Imam Is Liye Banaaya Jaata Hai Ki Us Kee Pairwi Kee Jaa’e. Jab Woh Takbeer Kahe To Tum Takbeer Kaho. Jab Woh Rukoo’ Kare To Tum Rukoo’ Karo, Jab ُ﴾سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَه﴿ ‘SamiAllahu-Li-Man-Hamidah’ Kahe To Tum ُ﴾رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْد﴿ ‘Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kaho, Jab Woh Sajdah Kare To Tum Bhi Sajdah Karo Aur Jab Woh Baith Kar Namaz Padhe To Tum Sab Bhi Baith Kar Padho.”

Muttafaque Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/257, Raqm-701,

Muslim Fi As-Sahih, 01/309, Raqm-414,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/164, Raqm-602,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/276, Raqm-846,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/341, Raqm-8483,

Darami Fi As-Sunan,01/343, Raqm-1311,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/27, Raqm-30.]

 

 

31.              “‘Ata’ Bin Yasaar Riwayat Karte Hain Ki Unhone Zayd Bin Thabit RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Imam Ke Saath Qir’at Ke Mut’alliq Sawaal Kiya To Hazrat Zayd Bin Thabit RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Jawaab Diya: Imam Ke Saath Kisi Cheez Me Qir’at Nahin.”

Is Hadith Ko Imam Muslim Ne Riwayat Kiya Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 01/406, Raqm-577,

Nasa’i Fi As-Sunan, 02/160, Raqm-960,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/331, Raqm-1032,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/522, Raqm-1951,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/163, Raqm-2738,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/27, 28, Raqm-31.]

 

 

32.              “Hazrat Hittaan Bin ‘Abd Allah Raqaashi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Ek Martaba Main Ne Hazrat Aboo Moosa Ash’ari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Saath Namaz Padhi, Jab Woh Qa’ada Ke Qareeb They To Ek Shakhs Ne Kaha: Yeh Namaz Neki Aur Pakeezagi Ke Saath Padhi Ga’i Hai, Jab Woh Namaz Se Faarigh Ho Ga’e To Unhone Mud Kar Dekha Aur Puchha Tum Me Se Kisi Ne Yeh Baat Kee Thi? Sab Khaamosh Rahe, Unhone Phir Dobaara Puchha Ki Tum Me Se Kisi Ne Yeh Baat Kahi Thi? Sab Khaamosh Rahe, Ki Aap Meri Pitaa’i Karenge (Ya Naraz Honge) Is Mauqe Par Hazrat Moosa Ne Mujh Se Kaha: Aye Hittaan! Shaayad Tum Ne Yeh Kalima Kaha Hai? Main Ne Kaha: Main Ne Nahin Kaha, Mujhe To Aap Ka Dar Tha, Phir Logo’n Me Se Ek Shakhs Ne Kaha: Main Ne Yeh Kalima Kaha Tha Aur Meri Niyyat Siwaaye Bhalaa’i Ke Our Kuchh Na Thi, Hazrat Aboo Moosa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya: Kya Tum Nahin Jaante Namaz Me Kya Kehna Chaahiye? Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hamen Khutba Diya Aur Hamen Namaz Ka Mukammal Tareeqa Batla Diya, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Jab Tum Namaz Padhne Lago To Sab Se Pehle Apni Safen Durust Karo Phir Tum Me Se Koi Shakhs Imamat Kare Jab Imam Takbeer Kahe To Tum Takbeer Kaho. Jab Woh ُ﴾غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّيْن﴿ ‘Ghay-Ril Magh-Doobi A’Lay-Him Wa-Lad-Daallin’ Kahe, To Tum Aameen Kaho, Allah Ta’ala Tumhari Duaa Ko Qubool Farmayega, Phir Jab Woh Takbeer Keh Kar Rukoo’ Kare To Tum Bhi Takbeer Keh Kar Rukoo’ Karo, Imam Tum Se Pehle Rukoo’ Karega Aur Tum Se Pehle Rukoo’ Se Sar Uthaayega, Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Is Tarah Tumhara Amal Us Ke Muqaable Me Ho Jaayega Aur Jab Imam ُ﴾سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَه﴿ ‘SamiAllahu-Li-Man-Hamidah’ Kahe To Tum ُ﴾رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْد﴿ ‘Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kaho. Allah Ta’ala Tumhare Qaul Sunta Hai Aur Tumhare Nabi Kee Jubaan Par Allah Ta’ala Ne  ُ﴾سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَه﴿ ‘SamiAllahu-Li-Man-Hamidah’ Jaari Kar Diya, Phir Jab Imam Takbeer Keh Kar Sajdah Kare To Tum Bhi Takbeer Keh Kar Sajdah Karo, Imam Tum Se Pehle Sajdah Karega Aur Tum Se Pehle Sajde Se Sar Uthaayega. Phir Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Tumhara Yeh Amal Imam Ke Muqaable Me Hoga Aur Jab Imam Qa’ade Me Baith Jaa’e To Tum Sab Se Pehle Yeh Kalimaat: ُ﴾التَّحِيَّاتُ الطَّيبَّاتُ الصَّلَوَاتُ لِلَّهِ. السَّـلَامُ عَلَيْكَ أيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ الله وَبَرَكَاتُهُ. السَّلَامُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللهِ الصَّالِحِيْنَ. أَشْهَرُ أَنْ لاَ إِلَهَ اللهُ وَأَشْهَدُ أَنْ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُوْلُه﴿ ‘At-Tahiyatu At-Tayyibatu As-Salawatu Lillahi As-Salamu Alayka Ayyuha An-Nabiyu Wa RahmatuAllahi Wa Barakatuhu As-Salamu Alayna Wa Ala IbadiAllahi As-Salihina Ash’hadu AnLa’Ilaha IllaAllahu Wa Ash’hadu Anna Muhammadaan Abduhu Wa Rasooluhu.” Padho.”

Is Hadith Ko Imam Muslim Ne Riwayat Kiya Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 01/303, 304, Raqm-404,

Ibn Hibban Fi As-sahih, 05/541, Raqm-2167,

Darami Fi As-Sunan,01/363, Raqm-1358,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/28, 29, 30, Raqm-32.]

 

 

33.              “Hazrat Qatadah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Riwayat Me Yeh Alfaz Ziyaada Hai: Jab Imam Qir’at Kare To Tum Khaamosh Raho, Aur Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hadith Me Bhi Yeh Alfaz Hai: Aur Jab Imam Qir’at Kare To Tum Khaamosh Raho.”

‘Imam Muslim Ne Kaha Hai: Ye Riwayat Mere Nazdik Sahih Hai.”

[Muslim Fi As-Sahih, 01/304, Raqm-404,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/155, Raqm-2709,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/30, 31, Raqm-33.]

 

 

34.              “Hazrat Aboo Nu’aym Wahb Kaysaan Se Riwayat Hai Ki Unhone Hazrat Jaabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Yeh Farmate Huwe Suna: Jis Ne Koi Rak’at Padhi Aur Us Me Soorah Faatiha Nahin Padhi To Goya Us Ne Namaz Hee Nahin Padhi, Siwaaye Is Ke Ki Woh Imam Ke Pichhe Ho.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Malik Fi Al-Muwatta’ Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Tirmidhi Ne Farmaya Ki Ye Hadith Hasan Sahih Hai.

[Tirmidhi Fi As-sunan, 01/346, 347, Raqm-312, 313,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/84, Raqm-187,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/121, Raqm-2745,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/317, Raqm-3621,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/160, Raqm-2725,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Aathar, 01/282, Raqm-1265,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/31, Raqm-34.]

 

 

35.              “Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Zuhar Kee Namaz Padhaayi. Ek Shakhs Aaya Aur Us Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Pichhe Soorat ُ﴾سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الأَعْلَى﴿ Padhi, Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Namaz Se Faarigh Huwe To Farmaya: Tum Me Se Qir’at Kis Ne Kee? Sahaba’e Kiram Ridwanullahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne Arz Kiya: Ek Aadami Ne, Farmaya: Main Jaan Gaya Tha Ki Tum Me Se Koi Mujh Se Jhagad Raha Hai.”

Is Hadith Ko Imam Aboo Dawud Ne Riwayat Kiya Hai.

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/219, Raqm-828,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/31, 32, Raqm-35.]

 

 

36.              “Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Unhen Namaz Padhaayi, Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Namaz Se Faarigh Huwe To Farmaya: Tum Me Se ُ﴾سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الأَعْلَى﴿ Kis Ne Padha? Ek Aadami Ne Arz Kiya: Main Ne. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Main Jaan Gaya Tha Ki Tum Me Se Koi Mujh Se Jhagad Raha Hai.”

Is Hadith Ko Imam Aboo Dawud Ne Riwayat Kiya Hai.

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/219, Raqm-829,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/32, Raqm-36.]

 

 

37.              “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ek Jahri Namaz Se Faarigh Ho Kar Farmaya: Kya Tum Me Se Kisi Ne Ab Mere Saath Qir’at Kee Thi? Ek Shakhs Ne Arz Kiya: Jee Ha’n! Ya RasoolAllah ﷺ! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Main Bhi Keh Raha Tha Ki Kya Ho Gaya Hai Ki Mujh Se Qur’an Me Jhagada Kiya Ja Raha Hai Raawi Bayan Karte Hain Ki Yeh Sun Ne Ke Baad Sahaba’e Kiram Ridwanullahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Jahri Namazo’n Me Qir’at Se Ruk Ga’e They.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Imam Nasa’i Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Tirmidhi Ne Farmaya Ye Hadith Hasan Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 01/344, 345, Raqm-312,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/313, Raqm-826,

Nasa’i Fi As-Sunan, 02/103, Raqm-919,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/459, Raqm-848,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/86, Raqm-193,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/240, 284, 285, 301, 487,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Aathar, 01/280, 281, Raqm-1255,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/32, 33, Raqm-37.]

 

 

38.              “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Imam Is Liye Banaaya Jaata Hai Ki Us Kee Iqtida’ Kee Jaa’e, Jab Woh Allahu Akbar Kahe To Tum Log Bhi Allahu Akbar Kaho, Aur Jab Qir’at Kare To Chup Raho.”

Is Hadith Ko Imam Ibn Majah Ne Riwayat Kiya Hai Aur Farmaya Ye Hadith Hasan Sahih Hai.

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/458, Raqm-846,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/237, Raqm-604,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/320, Raqm-993,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/386, Raqm-420,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/331, Raqm-3799,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/115, Raqm-7137,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Aathar, 01/281, Raqm-1257,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/33, 34, Raqm-38.]

 

 

39.              “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Imam Isee Liye Banaaya Jaata Hai Ki Us Kee Pairwi Kee Jaa’e. Jab Woh Takbeer Kahe To Tum Takbeer Kaho Aur Jab Woh Qir’at Kare To Tum Khaamosh Raho Aur Jab Woh ُ﴾سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَه﴿ ‘SamiAllahu-Li-Man-Hamidah’ Kahe To Tum ُ﴾اللَّهُمَّ رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْد﴿ ‘Allah-Humma Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kaho.”

Is Hadith Ko Imam Nasa’i Ne Riwayat Kiya Hai.

[Nasa’i Fi As-Sunan, 02/141, Raqm-921,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/34, Raqm-39.]

 

 

40.              “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Sarware Ka’enat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ek Aisee Namaz Se Faarigh Huwe Jis Me Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Buland Aawaaz Me Qir’at Farma’i Thi. To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Daryaft Farmaya: Kya Tum Me Se Ab Kisi Shakhs Ne Mere Saath Qur’an Padha? Ek Shakhs Ne Kaha: Jee Ha’n! Ya RasoolAllah ﷺ! Main Ne Padha. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Isee Liye To Main Bhi Keh Raha Tha Kya Ho Gaya Ki Koi Shakhs Mujh Se Qur’an Me Jhagad Raha Hai. Jab Se Logo’n Ne Yeh Suna To Jis Namaz Me Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Baa Aawaaz Buland Qir’at Farmate They Koi Shakhs Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Pichhe Qir’at Na Karta.”

Is Hadith Ko Imam Nasa’i Ne Riwayat Kiya Hai.

[Nasa’i Fi As-Sunan, 02/140, Raqm-919,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/34, 35, Raqm-40.]

 

 

41.              “Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Sarware Do-Aalam SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaze Zuhar Ada Farma’i, Ek Shakhs Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Pichhe ُ﴾سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الأَعْلَى﴿ Padha. Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Namaz Ada Farma Chuke To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Daryaft Kiya: Is Soorah Ko Kis Shakhs Ne Padha, Ek Shakhs Ne Arz Kiya: Main Ne! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Mujhe Aysa Ma’loom Huwa Goya Koi Shakhs Mujh Se Qur’an Me Jhagad Raha Hai.”

Is Hadith Ko Imam Nasa’i Ne Riwayat Kiya Hai.

[Nasa’i Fi As-Sunan, 02/141, Raqm-917,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Aathar, 01/207,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/35, 36, Raqm-41.]

 

 

42.              “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Imam Is Liye Hota Hai Ki Us Kee Iqtida’ Kee Jaa’e. Jab Woh ُ﴾اَللهُ اَكْبَر﴿ ‘Allahu Akbar’ Kahe To Tum ُ﴾اَللهُ اَكْبَر﴿ ‘Allahu Akbar’ Kaho, Jab Woh Qir’at Kare To Tum Khaamosh Raho Jab Woh  ُ﴾وَلَا الضَّالِّيْن﴿ ‘Wa-Lad-Daallin’ Kahe To Tum ُ﴾آمِيْن﴿ ‘Aameen‘ Kaho, Jab Woh Rukoo’ Kare Tum Rukoo’ Karo, Jab Woh ُ﴾سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَه﴿ ‘SamiAllahu-Li-Man-Hamidah’ Kahe To Tum ُ﴾اللَّهُمَّ رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْد﴿ ‘Allah-Humma Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kaho Jab Woh Sajdah Kare To Tum Sajdah Karo, Aur Jab Woh Baith Kar Namaz Padhaaye To Tum Bhi Baith Kar Namaz Padho.”

Is Hadith Ko Imam Ibn Majah Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/276, Raqm-846,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/36, Raqm-42.]

 

 

43.              “Hazrat Aboo Moosa Ash’ari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Jab Imam Qir’at Kare To Tum Khaamosh Raho, Aur Jab Woh Qa’ade Me Ho To Tum Pehle At-Tahiyyaat Padha Karo.”

Is Hadith Ko Imam Ibn Majah Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ibn Majaha Fi As-Sunan, 01/276, Raqm-847,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/36, 37, Raqm-43.]

 

 

44.              “Hazrat Naafi’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Jab Muqtadi Kee Qir’at Ke Baare Me Sawaal Kiya Gaya Ki Kya Muqtadi Bhi Imam Ke Pichhe Qir’at Karega, To Unhone Farmaya: Jab Tum Me Se Koi Imam Ke Pichhe Namaz Padhe To Use Imam Kee Qir’at Kaafi Hai Aur Jab Akela Padhe To Khud Qir’at Kare. Naafi’ Farmate Hain Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Khud Bhi Imam Ke Pichhe Qir’at Nahin Karte They.”

Is Hadith Ko Malik Fi Al-Muwatta’ Ne Riwayat Kiya Hai.

[Malik Fi Al-Muwatta’, 01/86, Raqm-192,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Aathar, 01/284, Raqm-1283,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/37, Raqm-44.]

 

 

45.              “Hazrat Aboo Moosa Ash’ari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai: Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hamen Ta’leem Dete Huwe Farmaya: Jab Tum Namaz Ke Liye Khade Howo To Koi Ek Tumhara Imam Ban Jaa’e. Aur Jab Imam Qir’at Kare To Tum Khaamosh Raha Karo.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/415,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/37, 38, Raqm-45.]

 

 

46.              “Hazrat Zayd Bin Aslam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Imam Kee Iqtida’ Me Qir’at Karne Se Mana Farmaya Karte They Aur Hamaare Masha’ikh Ne Mujhe Bataaya Hai Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Farmaya: Us Shakhs Kee Namaz Hee Nahin Jo Imam Kee Iqtida’ Me Qir’at Kare Aur Hazrat Moosa Bin Uqba RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Mujhe Bataaya Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Hazrat Aboo Bakr, Hazrat ‘Umar Wa Hazrat Uthaman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Imam Ke Pichhe Qir’at Karne Se Mana Farmaya Karte They.”

Is Hadith Ko Imam And-ur-Razzaq Ne Riwayat Kiya Hai.

[Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/139, Raqm-2810,

Imam Muhammad Fi Al-Muwatta’, 01/98,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/38, Raqm-46.]

 

 

47.              “Hazrat Aboo Wa’il RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Imam Kee Iqtida’ Me Qir’at Kerne Ke Baare Me Poochha Gaya, To Unhone Farmaya: Khaamosh Raho Ki Namaz Me Masrufiyat Hai Tujhe Imam Is (Qir’at) Kee Qifaayat Kar Dega.”

Is Hadith Ko Imam Muhammad Fi Al-Muwatta Ne Riwayat Kiya Hai.

[Imam Muhammad Fi Al-Muwatta’: 96,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Aathar, 01/284, Raqm-1273,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/38, 39, Raqm-47.]

 

 

48.              “Hazrat ‘Alqamah Bin Qays RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Jahari (Jin Me Aawaaz Se Qir’at Hoti Hai) Aur Sirri (Jin Me Qir’at Aahista Hoti Hai) Dono’n Tarah Kee Namazo’n Me Imam Ke Pichhe Qir’at Nahin Karte They.”

Is Hadith Ko Imam Muhammad Fi Al-Muwatta’ Ne Riwayat Kiya Hai.

[Imam Muhammad Fi Al-Muwatta’: 96,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/39, Raqm-48.]

 

 

49.              “Dawood Bin Qays Farra’ Madani Kehte Hain Ki Mujhe Hazrat Sa’iyd Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Awlaad Me Se Kisi Ne Bataaya Ki Hazrat Sa’iyd Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmaya Karte They: Main Yeh Pasand Karta Hoo’n Ki Jo Shakhs Imam Ke Pichhe Qir’at Kare Us Ke Moo’nh Me Angaar Ho.”

Is Hadith Ko Imam Muhammad Fi Al-Muwatta’ Ne Riwayat Kiya Hai.

[Imam Muhammad Fi Al-Muwatta’: 98,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/39, Raqm-49.]

 

 

50.              “‘Abd Allah Bin Abi Layla Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Imam Kee Iqtida’ Me Qir’at Karne Se Mana’ Farmaya Karte They.”

Is Hadith Ko Imam Abd-ur-Razzaq Ne Riwayat Kiya Hai.

[Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/138, Raqm-2805,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/40, Raqm-50.]

 

 

51.              “Imam Muhammad Bin ‘Oojlaan Se Riwayat Hai Ki Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya: Meri Yeh Khwahish Hai Ki Jo Shakhs Imam Ke Pichhe Qir’at Kare Us Ke Moo’nh Me Pat’thar Ho.”

Is Hadith Ko Imam Abd-ur-Razzaq Ne Riwayat Kiya Hai.

[Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/138, Raqm-2806,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/40, Raqm-51.]

 

 

52.              “Hazrat Aboo Hamzah Bayan Karte Hain: Main Ne Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Arz Kiya: Kya Main Qir’at Karoo’n Jab Ki Imam Mere Saamne Ho? To Unhone Farmaya: Nahin.”

Is Hadith Ko Imam Tahawi Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Aathar, 01/284, Raqm-1282,

As-Salatu ‘Inda-‘l-Hanafiyyah  Fi Daw‘-is-Sunnat-in-Nabawiyyah,/40, Raqm-52.]