Posted in Baab-03 : Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel, Dhibhe 'Azeem

Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel

Baab 03 :

 

Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel

 

Woh Dhib’he Isma’il Jis Ka Fidya Dhib’he ‘Azeem Se Kar Diya Gaya Tha Be’thate Muhammadi Ke Baa’d Paaya-E-Takmeel Ko Pahunchne Waala Tha. Imaamat Aur Wilaayat Kee Du’a-E-Ibrahimi Ka Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Khatme Nubuwat ke Baa’d Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aur Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Zari’e Ijra Ho Raha  Tha. Ab Is Wujoode Mas’ood Kee Shahaadat Ka Waqt Qareeb Aa Gaya Tha Jise Dhib’he Isma’il Ka Mazhar Banaaya Gaya Tha Ya’ni Karbala Ke Maidaan Me Nawaasa-E-Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Azeem Qurbani, Dhib’he ‘Azeem Ka Manzar Pesh Karne Waali Thi. Maidaane Karbala Me Khaandaane Rasoole Hashimi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Muqaddas Khoon Se Raushan Hone Waale Charaagho’n Ka Manzar Shaame Ghariba’n Ke Andhero’n Me Utarne Waala Tha. Mit’ti Huwi Qadaro’n Ko Khoone Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Tawaanaa’i Ata Hone Waali Thi. Azali Sadaaqato’n Ke Tahaffuz Ke Liye Hazrat Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Apne Khoon Se Ufuqe Aalam Par Hurriyyate Fikr Ka Naya Ahd Naama Tehrir Karne Waale They. Shaheede Karbala…………Fazilat Ka Amaama Bhi Jin Ke Sare Aqdas Par Baandha Gaya Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Mehboobiyyat Kee Dastaar Se Bhi Jinhein Nawaaza, Azmat Kee Khil’at Bhi Ata Huwi Aur Shahaadat Ka Pairhan Bhi Jin Ka Muqaddar Bana. Is Liye Ki Us Azeem Insaan Kee Qurbaani Ko Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Qurbaani Qaraar Diya Jaa Sake.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/79_80.]

Posted in Baab-03 : Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel, Dhibhe 'Azeem

Hasanayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Jannat Ke Jawaano’n Ke Sardaar

Fasl Awwal :

Manaqibe Husayn

 

Hasanayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma  Jannat Ke Jawaano’n Ke Sardaar

  1. Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

الحسن و الحسين سيد اشباب اهل الجنة

“Hasan Aur Husayn (RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma) Jannat Ke Naujawaano’n Ke Sardaar Hain.”

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 02/218.]

Khatoone Jannat Ke Farjandaane Dhi Hasham Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Lakhte Jigar Hasan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aur Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Jannat Ke Nau Jawaano’n Ka Sardaar Farmaya Gaya Hai Aur Yeh Farmana Hai Tajdare Ka’enat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Nabiyye Aakhir-uz-Zamaan Rahmat-ul-LilAalamin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/81_82.]

Posted in Baab-03 : Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel, Dhibhe 'Azeem

Hasanayn Kee Mahabbat, Mahabbate Rasool Hai

  1. Aik Hadithe Paak Me Aata Hai :

عن أبی هريرة رضي اعنه قال قال رسول اصلى الله تعالى عليه وآله وسلم من أحبهما فقد أحبني و من أبغضها فقد أبغضني يعني حسنا و حسيناً

“Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Jis Ne Hasan Aur Husayn Dono’n Se Mahabbat Kee Us Ne Mujh Se Mahabbat Kee Jis Ne In Dono’n Se Bughz Rakkha Us Ne Mujh Se Bughz Rakkha.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/288.]
Taajdaare Arab-o-Ajam Huzoor Rahmate Aalam SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Hasan Aur Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Jis Ne Mahabbat Kee Goya Us Ne Mujh Se Mahabbat Kee, Jis Ne In Dono’n Se Bughz Rakkha Us Ne Mujh Se Bughz Rakkha. Zara Ghaur Karein Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Bughz Rakhne Waale Ka Kaha’n Thikaana Hai? Us Ke Deen Aur Imaan Kee Kya Waq’at Hai?

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/82_83.]

Posted in Baab-03 : Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel, Dhibhe 'Azeem

Baari Ta’ala Hasanayn Karimayn Se Too Bhi Mahabbat Kar

3.

عن عطاء ان رجلاً اخبره أنه رأی النبی صلی الله عليه وآله وسلم يضم اليه حَسَناً و حسيناً يقول اللهم أني أحبها فأحبها

“Hazrat Ata’ Se Riwayat Hai Ki Kisi Shakhs Ne Use Bataaya Ki Us Ne Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Dekha Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazaraat Hasanayn Karimayn Ko Apne Seene Se Chimtaaya Aur Farmaya “Aye Allah Mein Hasan Aur Husayn Se Mahabbat Karta Hoo’n Too Bhi In Se Mahabbat Kar.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/369.]

 

Baraghae Khudawandi Me Aaqa-E-Ka’enat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Muqaddas Haath Uthey Huwe Hain Mu’attar Aur Mu’tabar Labo’n Par Du’aaiya Kalimaat Mahak Rahe Hain Ki Baari Ta’ala Too Bhi Hasan Aur Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Apni Mahabbat Ka Sazaawaar Thehra, Yeh Du’aaiya Kalimaat Bhi Huzoor Rahmate Aalam Ke Labe Aqdas Se Nikle Ki “اللهم انی احبھما فاحبھما……فمن احبھما فقد احبنی ” Mawla! Mujhe Hasan Aur Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Bada Pyaar Hai Too Bhi In Se Pyaar Kar. Jo Hasan Aur Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Pyaar Karta Hai Goya Woh Mujh Se Pyaar Karta Hai.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/83.]

Posted in Baab-03 : Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel, Dhibhe 'Azeem

Doshe Payambar SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Par Sawaari

Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Apne Laadle Nawaaso’n Se Kitni Mahabbat Thi Woh Unhein Kitna Chaahte They Shaayad Aaj Hum Us Ka Andaazah Na Kar Sakein Kyun Ki Hum Jhagdo’n Me Pad Gaye Hain, Haqiqatein Hamaari Nazro’n Se Ojhal Ho Chuki Hain, Haqaa’iq Ka Chehrah Gard Aalood Hai, Aa’ine Dhund Me Lipte Huwe Hain Hala’n Ki Khulafa-E-Rashidin Aur Ahl-E-Bayt-E-Nabawi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ukhuwwat Aur Mahabbat Ke Gehre Rishto’n Me Munsalik They. Khandane Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Ihtiraam Kee Faza-E-Noor Qalb-o-Nazar Pr Muheet Thi. Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Noore Nazar, As’habe Rasool Kee Aankho’n Ka Taara They.

 

4.

عن عمر يعني ابن الخطاب قال رأيت الحسن والحسين علي عاتقي النبي صلى الله تعالى عليه وآله وسلم فقلت نعم الفرس تحتکما فقال النبي صلى الله تعالى عليه وآله وسلم ونعم الفارسان

“Hazrat Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Mein Ne Hasan Aur Husayn Dono’n Ko Dekha Ki Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Kandho’n Par Sawaar Hain Mein Ne Kaha Kitni Achchhi Sawaari Tumhaare Neeche Hai Pas Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Ma’an Farmaya Sawaar Kitne Achchhe Hain.”

[Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/182,

Rawahu Aboo Ya’la Fi Al-Kabir Wa Rijaaluhu Rijaal As-Sahih.]
Woh Manzar Kya Dilkash Manzar Hoga. Jannat Ke Jawaano’n Ke Sardaar Shahzaada Hasan Aur Husayn Apne Naana Jaan Ke Muqaddas Kandho’n Par Sawaar Hain, Sayyidina Farooqe A’zam Yeh Rooh Parwar Manzar Dekhte Hain Aur Shehzado’n Ko Mubarakbaad Dete Huwe Be Saakhta Pukaar Uthey Hain. Shahzaado’n! Tumhaari Neeche Kitni Achchhi Sawaari Hai. Farmaya Tajdare Ka’enat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne : Umar! Dekha Nahin Sawaar Kitne Achchhe Hain? Woh Hasan Aur Husayn  RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Jinhein Aaqa-E-Do-Jaha’n Ke Muqaddas Kandho’n Par Sawaari Ka Sharaf Haasil Ho Aur Woh Hasan Aur Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Jinhein Choosne Ke Liye Apni Zubaan Mubaarak Ata Kee, Jinhein Apne Lu’aabe Dahan Se Nawaaza, JinheinApni Aaghoshe Rahmat Me Behlaaya.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/84_85.]

Posted in Baab-03 : Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel, Dhibhe 'Azeem

Haalate Namaaz Me Pushte Aqdas Ke Sawaar

5.

عن ابی هريرة رضي اعنه قال کنا نصلي مع رسول اصلى الله تعالى عليه وآله وسلم العشاء فاذا سجد وثب الحسن والحسين علي ظهره فاذا رفع رأسه أخذهما بيده من خلفه أخذاً رقيقاً و يضعهما علي الارض فاذا عاد عادا حتي قضي صلوته. فاقعدهما علي فخذيه

“Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hum Ne (Der Se) Isha’ Kee Namaaz Aaqa ‘Alayh-is-Salatu Wa’s-Salam Ke Saath Padhi. Jab Aa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Sajda Me Gaye Hasan Aur Husayn Dono’n Bhaai Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Pusht Mubaarak Par Chadh Gaye, Jab Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Sare Anwar Sajde Se Uthaaya To Dono’n Ko Apne Haatho’n Se Aaraam Se Thaam Liya Aur Zameen Par Baitha Liya. Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Sajde Me Jaate To Woh Dono’n Yahi Amal Dohraate Hatta Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Isi Haalat Me Poori Namaz Ada Farmaayi. Phir Dono’n Shehzado’n Ko Apni Goud Me Bethaaya.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/513.]

 

Yeh Sajda Khuda Ke Huzoor Ho Raha Hai, Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Haalate Namaaz Me, Sajde Se Sar Uthaate Huwe Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Apne Haatho’n Se Dono’n Shehzado’n Ko Thaam Liya Ki Kahin Yeh Ma’soom Shehzade Neeche Na Gir Jaaein Aur Badi Ihtiyaat Se Unhein Zameen Par Betha Diya. Hasan Aur Husayn Namaaz Ke Dauraan Pushte Mubaarak Par Chadhe Rahe. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Haalate Namaz Me Ihtiyaat Se Unhein Utaarte Rahe Hatta Ki Namaaz Mukammal Huwi Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Dono’n Shehzado’n Ko Apne Aaghoshe Mahabbat Me Samet Liya.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/84_85.]

Posted in Baab-03 : Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel, Dhibhe 'Azeem

Jin Ke Liye Sajda Taweel Kar Diya Gaya

6.

عن أنس قال کان رسول اصلی الله عليه وآله وسلم يسجد فيحبئي الحسن و الحسين فيرکب ظهره فيطيل السجود فيقال يا نبي اأطلت السجود فيقول ارتحلني ابني فکر هت ان اعجله

“Hazrat Anas Bin Malil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Haalate Namaz Me Sajde Me They Ki Hasan Aur Husayn Aaye Aur Pusht Mubarak Par Chadh Gaye Pas Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne (Un Kee Khaatir) Sajda Taweel Kar Diya (Namaz Se Faraaghat Ke Baa’d) Arz Kiya Gaya. Aye Allah Ke Nabi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kya Sajdah Taweel Karne Ka Hukm Aa Gaya. Farmaya Nahin Mere Dono’n Bete Hasan Aur Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Meri Pusht Par Chadh Gaye They Mein Ne Yeh Napasand Kiya Ji Jaldi Karoo’n.”

[Musnad Min Hadith Abd Allah Bin Shaddad, 03/495,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/181.]

 

Ya’ni Hasan Aur Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Jab Haalate Namaaz Me Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Pushte Mubaarak Par Sawaar Ho Gaye To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Qasdan Sajdah Taweel Kar Dita Taa Ki Hasan Aur Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Gir Na Padein Un Ko Koi Gazand Na Pahunch Jaaye.

 

Yeh Dono’n Shehzade Hazrat Ali Shere Khuda Aur Khatoone Jannat Hazrat Fatimat-uz-Zahra Ke Farzandaane Arjmand They. Lekin Yeh Tajdare Ka’enat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Aankho’n Kee Bhi Thandak They. Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Poori Dunya Ko Apne Qaul-o-Amal Se Bata Diya Ki Ali Aur Fatimah Salamu Allah ‘Alayhuma, Hasan Aur Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Mere Bhi Lakhte Jigar Hain Yeh Meri Nasl Se Hain, Yeh Meri Dhurriyyat Hain Aur Farmaya Har Nabi Kee Aulaad Ka Nasab Apne Baap Se Shuru’ Ho Kar Daada Par Khatm Hota Hai Magar Aulaade Fatimah Ka Nasab Bhi Mein Hoo’n Woh Mere Bhi Lakhte Jigar Hain.

 

7.

فاطمة مضغة منی يقبضني ماقبضها ويبسطني ما بسطها و ان الانساب يوم القيامة تنقطع غير نسبي و سببي و صهري

“Fatimah Mere Jiagr Ka Tukda Hain Mujhe Be Chain Kar Deti Hai Har Woh Cheez Jo Use Be Chain Karti Hai Aur Mujhe Khush Karti Hai Har Woh Cheez Jo Use Khush Karti Hai Qiyaamat Ke Roz Tamam Nasabi Rishte Munqata’ Ho Jaaeinge Maa Siwa Mere Nasabi, Qaraabatdaari Aur Susraali Sishte Ke.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/323,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/158,

Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/86_87.]

Posted in Baab-03 : Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel, Dhibhe 'Azeem

Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Jisme At’har Se Mushaabahat

Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Lakhte Jigar Hone Ke Naate Hazrat Imam Husyan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Chunki Qurbanie Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Mazhar Banaya Gaya Tha Aur Unhein Dhib’he ‘Azeem Kee Khil’ate Faakhira Ata Kee Gayi Thi Is Liye Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Jism Ko Janab Risalat Ma’aab SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Jisme At’har Se Qareebi Mushaabahat Ke I’zaaz Se Nawaaza Gaya Tha. Aaqa-E-Do-Jaha’n SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Wisaal Ke Baa’d Jab Logo’n Ko Apne Azeem Paighambar Kee Yaad Sataati, Jab Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Chehra-E-Aqdas Kee Yaad Dilo’n Me Iztiraab Paida Karti To Woh Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Dare Daulat Par Haazir Hote Aur Husayn ‘Alayh-is-Salam Kee Ziyaarat Kar Ke Apni Aankho’n Kee Tashnagi Ka Madaawa Karte. Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Chehra-E-Aqdas Nazro’n Me Sama Jaata. Sahabah Yeh Bhi Jaante They Ki Nawasa-E-Rasool Ko Khil’ate Shahadat Se Sarfaraaz Hona Hai Kyun Ki Woh Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Zabaane Aqdas Se Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Shahadat Ka Tazkirah Sun Chuke They Is Hawaale Se Bhi Hazrat Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam As’habe Rasool Kee Nigaho’n Ka Markaz Ban Gaye They.

 

8.

عن علی قال الحسن اشبه برسول اصلی الله عليه وآله وسلم مابين الصدر الي الرأس والحسين اشبه برسول اصلى الله تعالى عليه وآله وسلم ما کان النفل من ذلک

“Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Marwi Hai Ki Hazrat Hasan Seene Se Le Kar Sar Tak RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Mushaabeh They Aur Hazrat Husayn Us Se Neeche Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Mushaabeh They.”

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 02/219,

Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/87_88.]

Posted in Baab-03 : Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel, Dhibhe 'Azeem

Husayn Kee Mahabbat Allah Kee Mahabbat

9.

عن يعلي بن مره قال قال رسول اصلى الله تعالى عليه وآله وسلم حسين مني و انا من حسين احب امن احب حسيناً

“Hazrat Ya’la Bin Murrah Se Riwayat Hai Woh Kehte Hain Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Husayn Mujh Se Hai Aur Mein Husayn Se Hoo’n Allah Us Shakhs Se Mahabbat Karta Hai Jo Husayn Se Mahabbat Karta Hai.”

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 02/219]

 

Woh Husayn Ibn Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Jin Ke Baare Me Tajdare Ka’enat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Farma Rahe Hain Ki Husayn Mujh Se Aur Mein Husayn Se Hoo’n Aur Yeh Ki Allah Us Shakhs Se Mahabbat Karta Hai Jo Husayn ‘Alayh-is-Salam Se Mahabbat Karta Hai. Ab Jis Se Allah Mahabbat Karat Hai Us Se Adaawat Rakhna Aur Us Ka Khoon Naahaque Bahaana Kitna Bada Jurm Hai? Istiqaamat Ke Kohe Garaa’n Se Yeh Tawaqqo’ Rakhna Ki Woh Aik Faasiq Aur Faajir Ke Daste Paleed Par Bay’at Kar Lega Bilkul Fuzool See Baat Hai. Ahle Haque Raahe Hayaat Me Apni Jaano’n Ka Nadhraana To Pesh Kar Dete Hain Lekin Usoolo’n Par Kisi Samjhaute Ke Rawaadaar Nahin Hote Agar Karbala Ke Maidaan Me Haque Bhi Baatil Ke Saath Samjhauta Kar Leta To Phir Qiyamat Tak Haque Ka Parcham Buland Karne Kee Koi Jur’at Na Karta, Koi Harfe Haque Zubaan Par Na Laata, Darindagi Wehshat Aur Barbariyyat Phir Insaani Mu’aashro’n Par Muheet Ho Jaati Aur Qiyamat Tak Ke Liye Jur’at-o-Bebaaki Ka Parcham Sar Nigoo’n Ho Jaata Aur Naana Ka Deen Zaagho’n Ke Tasarruf Me Aa Kar Apni Iqdaar Aur Arwaah Dono’n Se Mehroom Ho Jaata.

 

 

  1. Isi Tarah Aik Aur Riwaayat Hai :

عن ابی هريرة رضي اعنه قال رأيت رسول اصلى الله تعالى عليه وآله وسلم و هو حامل الحسين بن علي و هو يقول اللهم اني احبه فاحبه

“Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki Mein Ne RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Dekha. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Husayn ‘Alayh-is-Salam Ko Uthaaya Huwa Tha Aur Yeh Farma Rahe They Aye Allah Mein Is(Husayn) Se Mahabbat Karta Hoo’n Too Bhi Is Se Mahabbat Kar.”

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/177.]

 

Agar Hum Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Ghulaami Ka Dam Bharte Hain, Agar Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Mahabbat Ko Apna Oudhna Bichhauna Qaraar Dete Hain, Agar Ishqe Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Apna Tashakkhus Gardaante Hain To Phir Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Jis Se Mahabbat Karte Hain Aur Bargahe Khudawandi Me Arz Karte Hain Ki Baari Ta’ala Mein Husayn Se Mahabbat Karta Hoo’n Too Bhi Is Se Mahabbat Kar, Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Is Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Bughz-o-Adaawat Ka Tasawwur Bhi Hamaare Zehn Me Nahin Aana Chaahiye Balki Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Us Mahboob Se Waalihana Mahabbat Ka Izhaar Kar Ke Apne Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Gehri Waabastagi Ko Mazeed Mustahkam Banaana Chaahiye Ki Qasre Imaan Kee Bunyaad Ko Mazboot Banaane Ka Yeh Aik Mu’atthir Zari’a Hai.

 

Ahl-E-Bayt Kee Mahabbat Aur As’hab-E-Rasol Kee Mahabbat Dar Asl Aik Hee Mahabbat Kaa Naam Hai. In Muhabbato’n Ko Khaano’n Me Taqseem Karna, Ummate Muslima Ke Ittihaad Ko Paarah Paarah Karna Hai, Is Millate Islamiya Ko Doo’iy Ke Har Tasawwur Ke Mita Kar Ukhuwwat-o-Mahabbat Aur Yagaanagat Ke Un Sar Chashmo’n Se Apna Naata Jod Lena Chaahiye Jo Quroone Oola Ke Musalmano’n Ka Turra-E-Imtiyaaz Aur Shaukat-o-Azmat Islam Ka Mazhar Tha. Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Husayn ‘Alayh-is-Salam Kee Muhababt Ko Apni Mahabbat Qaraar Diya Goya Husayn Se Nafrat Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Mahabbat Kee Amalan Nafi Hai Aur Koi Musalman Us Ka Tasawwur Bhi Nahin Kar Sakta.

 

 

11.

عن علی رضی اتعالی عنه قال قال رسول اصلی الله عليه وآله وسلم للحسين بن علي ’’من احب هذا فقد أحبني

“Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Husayn Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ke Baare Me Farmaya “Jis Ne Is(Husayn) Se Mahabbat Kee Us Ne Mujh Se Mahabbat Kee.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03, Hadith-2643,

Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/88 Ta 90.]

Posted in Baab-03 : Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel, Dhibhe 'Azeem

Aalame Bedaari Me Shahadate Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Khabar

Huzoor Khatmi Martabat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Faiz Do Tareeq Se Aam Huwa. Mushaabahate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Faiz Aur Roohaaniyyate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Faiz, Aik Faiz Ke Aam Hone Ka Zari’a Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Bane Aur Dusre Faiz Ke Aam Hone Ka I’zaaz Hazrat Fatimat-uz-Zahra Salamu Allah ‘Alayha Ke Hisse Me Aaya, Faiz Ke Yeh Dono’n Dhaare Husayn Ibn Ali Murtaza RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Kee Zaat Me Aa Kar Mil Gaye Kyun Ki Husayn ‘Alayh-is-Salam Ko Dhib’he ‘Azeem Banaana Maqsood Tha. Dhib’he Isma’il Ke Baare MeTo Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ko Khaab Me Hukm Mila Lekin Dhib’he Husayn Ke Liye Huzoor Aa’iya-E-Rahmat Ko Aalame Khaab Me Nahin, Aalam Aalame Bedaari Me Wah’iye Khudawandi Ke Zari’e Mutla’ Kiya Gaya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Aalame Bedaari Me Jibra’ile Ameen Ne Ittila’ Dee Ki Ya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam! Iraq Kee Sar Zameen Me Aap Ke Shehzade Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Qatl Kar Diya Jaaega Aur Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Talab Karne Par Jibra’ile Ameen Ne Aap Ko Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Maqtal Kee Mitti Bhi Laa Kar Dee Ki Yeh Hai Sar Zameene Karbala Kee Mitti Jaha’n Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Noore Nazar Aur Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Lakhte Jigar Ka Khoon Naahaque Baha Diya Jaaega Woh Husayn ‘Alayh-is-Salam Jo Daushe Payambar SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Sawaar Tha Woh Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Jo Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Aaghoshe Rehmat Me Parwaan Chadha Tha. Woh Husayn Jo Namaz Kee Haalat Me Pushte Aqdas Par Chadh Betha To Tajdare Qa’inat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Apne Sajde Ko Tool De Diya Ki Kahin Gir Kar Shehzade Ko Chot Na Aa Jaaye. Woh Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Jo Yateemo’n Ke Aaqa Aur Gharibo’n Ke Mawla SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Muhabbato’n Aur Shafqato’n Ka Mehwar Tha Aur Woh Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Jis Ke Munh Me Rasoole Aakhir SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Apni Zubaane Aqdas De dee Aur Apne Lu’aabe Dahan Ko Labe Husayn Se Mas Kiya Ki Aik Din Maidaane Karbala Me In Naazuk Honto’n Ko Pur Tishnagi Kee Faslo’n Ko Bhi Lehlahaana Hai. Is Hawaale Se Chand Riwaayaat Mundarijae Zail Hain..

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/90_91.]