Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Apne Laadle Nawaaso’n Se Kitni Mahabbat Thi Woh Unhein Kitna Chaahte They Shaayad Aaj Hum Us Ka Andaazah Na Kar Sakein Kyun Ki Hum Jhagdo’n Me Pad Gaye Hain, Haqiqatein Hamaari Nazro’n Se Ojhal Ho Chuki Hain, Haqaa’iq Ka Chehrah Gard Aalood Hai, Aa’ine Dhund Me Lipte Huwe Hain Hala’n Ki Khulafa-E-Rashidin Aur Ahl-E-Bayt-E-Nabawi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ukhuwwat Aur Mahabbat Ke Gehre Rishto’n Me Munsalik They. Khandane Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Ihtiraam Kee Faza-E-Noor Qalb-o-Nazar Pr Muheet Thi. Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Noore Nazar, As’habe Rasool Kee Aankho’n Ka Taara They.
4.
عن عمر يعني ابن الخطاب قال رأيت الحسن والحسين علي عاتقي النبي صلى الله تعالى عليه وآله وسلم فقلت نعم الفرس تحتکما فقال النبي صلى الله تعالى عليه وآله وسلم ونعم الفارسان
“Hazrat Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Mein Ne Hasan Aur Husayn Dono’n Ko Dekha Ki Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Kandho’n Par Sawaar Hain Mein Ne Kaha Kitni Achchhi Sawaari Tumhaare Neeche Hai Pas Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Ma’an Farmaya Sawaar Kitne Achchhe Hain.”
–
[Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/182,
Rawahu Aboo Ya’la Fi Al-Kabir Wa Rijaaluhu Rijaal As-Sahih.]
Woh Manzar Kya Dilkash Manzar Hoga. Jannat Ke Jawaano’n Ke Sardaar Shahzaada Hasan Aur Husayn Apne Naana Jaan Ke Muqaddas Kandho’n Par Sawaar Hain, Sayyidina Farooqe A’zam Yeh Rooh Parwar Manzar Dekhte Hain Aur Shehzado’n Ko Mubarakbaad Dete Huwe Be Saakhta Pukaar Uthey Hain. Shahzaado’n! Tumhaari Neeche Kitni Achchhi Sawaari Hai. Farmaya Tajdare Ka’enat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne : Umar! Dekha Nahin Sawaar Kitne Achchhe Hain? Woh Hasan Aur Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Jinhein Aaqa-E-Do-Jaha’n Ke Muqaddas Kandho’n Par Sawaari Ka Sharaf Haasil Ho Aur Woh Hasan Aur Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Jinhein Choosne Ke Liye Apni Zubaan Mubaarak Ata Kee, Jinhein Apne Lu’aabe Dahan Se Nawaaza, JinheinApni Aaghoshe Rahmat Me Behlaaya.
–
[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/84_85.]