Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 08

Hadith Number : 08

“Ibn Wathilah Se Riwayat Ki Unhone Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Suna Ki Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Makkah Aur Madinah Ke Darmiyan Paanch-05 Bade Ghane Darakhto’n Ke Qareeb Padaaao Kiya Aur Logo’n Ne Darakhto’n Ke Neeche Safaa’i Kee Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Kuchh Der Aaraam Farmaya. Namaz Ada Farmayi, Phir Khitaab Farmane Ke Li’e Khade Hu’e. Allah Ta’ala Kee Hamd Wa Thana Bayan Farmayi Aur Wa’z-o-Naseehat Farmayi, Phir Jo Allah Ta’ala Ne Chaaha Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Bayan Kiya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Aye Logo’n! Mein Tumhare Darmiyan Do² Chizein Chhod Kar Ja Raha Hoo’n, Jab Tak Tum In Kee Pairawi Karoge Kabhi Ghumraah Nahin Hoge Aur Woh (Do² Chizein) Allah Kee Kitab Aur Mere Ahle Bayt/Aulaad Hain.” Is Ke Baa’d Farmaya : “Kya Tumhein Ilm Nahin Ki Mein Mominin Kee Jaano’n Se Qareeb Tar Hoo’n?” Aisa Teen³ Martaba Farmaya. Sab Ne Kaha : Haa’n! Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai.”

[1-Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/109, 110, Raqam-4577,

2-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 04/168,

3-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/164,

4-Hisma-ud-Deen Hindi, Kanz-ul-’Ummal, 01/381, Raqam-1657.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 11

Hadith Number : 11

“Sufyan Bin ‘Uyaynah (Manaqibe ’Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Zimn Me) Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Chaar⁴ Khoobiya’n Aisi Hain Ki Agar Mein Un Me Se Kisi Ek Ka Bhi Haamil Hota To Use Fula’n Fula’n Chiz Hatta Ki Surkh Oonto’n Se Ziyadah Mahboob Rakhta.
Woh Chaar⁴ Khoobiya’n Yeh Thi’n : (Pehli Khoobi Unhein Ghazwa-e-Khaybar Ke Mauqa Par) ‘Alam (Jhande) Ka Ata Hona Hai. (Doosri Khoobi) Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Un Ke Mut’alliq Yeh Farmana Ki (Tera Aur Mera Ta’alluq Aise Hai) Jaise Haroon Aur Moosa Ka (Ta’alluq Hai). (Tisri Khoobi) Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Un Ke Mut’alliq Yeh Farmana Ki Jis Ka Mein Mawla Hoo’n (Us Ka ‘Ali Mawla Hai).
(Raawi-e-Hadith) Sufyan Bin ‘Uyaynah Ko Chouthi Khoobi Bhool Ga’e.”

[1-Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-us-Sunnah,/607, Raqam-1385,

2-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/643, Raqam-1093,

3-Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 03/151, Raqam-948,

4-Ibn ‘Asakir Ne “Tarikh Dimashq Al-Kabir (45/89, 91)” Me Hazrat Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Riwayat Me Chaar⁴ Khoobiya’n Bil-Tafseel Likhi Hain.

Ahmad Bin Hanbal Kee Bayan Kardah Riwayat Kee Isnaad Hasan Hain.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 12

Hadith Number : 12

“‘Abd-ur-Rahman Bin Saabit (Manaqibe ’Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Zimn Me) Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha : Mein Ne Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Teen³ Aisi Khaslatein Bayan Farmate Hu’e Suna Ki Agar Un Me Se Ek Bhi Mujhe Ata Ho To Woh Mujhe Dunya Wa Maafiyha Se Ziyadah Mahboob Hoti. Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n (Us Ka ‘Ali Mawla Hai), Aur ‘Ali Meri Jagah Aisa Hai Jaise Moosa Kee Jagah Haroon, Aur Mein Use ‘Alam Ata Karunga (Jo Allah Ta’ala Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Habib Hai Aur Allah Ta’ala Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Ke Habib Hain).”

[1-Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-us-Sunnah,/608, Raqam-1386,

2-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/61, Raqam-12127,

3-Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 03/207, Raqam-1008,

4-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/88, 89,

Diya’ Maqdisi Ne Is Hadith Kee Sanad Ko Sahih Qaraar Diya Hai.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 13

Hadith Number : 13

“Rafa’ah Bin Iyaas Dabbi Apne Waalid Se Aur Woh Us Ke Daada Se Riwayat Karte Hain Ki Hum Jamal Ke Din Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath They. Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Talhah Bin ‘Ubaydullah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Kee Taraf Mulaqat Ka Paigham Bheja. Pas Talhah Un Ke Paas Aa’e. Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Kaha : “Mein Aap Ko Allah Kee Qasam Deta Hoo’n, Kya Aap Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Hai Ki Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai, Aye Allah! Jo ‘Ali Ko Dost Rakkhe To Use Dost Rakkh, Jo Us Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh?” Hazrat Talhah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha : Haa’n! Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Kaha : “To Phir Mere Saath Kyoo’n Jung Karte Ho?” Talhah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha : Mujhe Yeh Baat Yaad Nahin Thi. Raawi Ne Kaha : (Us Ke Baa’d) Talhah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Waapas Laut Ga’e.”

[1-Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/371, Raqam-5594,

2-Bayhaqui Fi Al-I’tiqad,/373,

3-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 27/76,

4-Haythami Ne “Majma’-uz-Zawa’id (09/107)” Me Likha Hai Ki Yeh Hadith Bazzar Ne Nazir Se Riwayat Kee Hai.

5-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 11/332, Raqam-31662.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 14

Hadith Number : 14

“Hazrat Buraydah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Yaman Ke Ghazwah Me Shirkat Kee Jis Me Mujhe Aap Se Kuchh Shikwa Huwa. Jab Me Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Paas (Jung Se) Waapas Aaya To Mein Ne Us Waqt Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Zikr Na-Munasib Andaaz Se Kiya. Mein Ne Dekha Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Chehra-e-Mubarak Mutaghayyir Ho Gaya Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Aye Buraydah! Kya Mein Mominin Kee Jaano’n Se Qarib Tar Nahin Hoo’n?” To Mein Ne Kaha : Kyoo’n Nahin, Ya RasoolAllah ﷺ! Us Par Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai.”

[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/347,

2-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/584, 585, Raqam-988,

3-Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/130, Raqam-8465,

4-Khasa’is Amir Al-Mu’minin ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/86, Raqam-78,

5-Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/110, Raqam-4578,

6-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/84, Raqam-12181,

7-Ibn Abi ‘Asim Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 04/325, 326,

8-Shashi Fi Al-Musnad, 01/127,

9-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/229, Raqam-348,

10-Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi, 10/147,

11-Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 04/23,

12-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/142, 146, 148,

13-Muhibb Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/128,

14-Ibn Kathir Ne “Al-Bidayah Wa An-Nihayah (04/168, 05/457)” Me Kaha Hai Ki Nasa’i Kee Bayan Kardah Riwayat Kee Isnaad Jayyad Qawi Hain Aur Is Ke Tamaam Rijaal Thiqah Hain.

15-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/134, Raqam-36422.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 15

Hadith Number : 15

“Hazrat Maymoon Aboo ‘Abd Allah Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Yeh Kahte Hu’e Suna : Hum Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Ek Waadi…. Jise Waadi-e-Khum Kaha Jaata Tha…. Me Utre. Pas Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaz Ka Hukm Diya Aur Sakht Garmi Me Jama’at Karwaayi. Phir Hamein Khutba Diya Dar Hala’n Ki Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Sooraj Kee Garmi Se Bachaane Ke Li’e Darakht Par Kapda Latka Kar Saaya Kiya Gaya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Kya Tum Nahin Jaante Ya (Is Baat Kee) Gawaahi Nahin Dete Ki Mein Har Momin Kee Jaan Se Qarib Tar Hoo’n?” Logo’n Ne Kaha : Kyoo’n Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Pas Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai, Aye Allah! Too Us Se Adaawat Rakkh Jo Is Se Adaawat Rakkhe Aur Use Dost Rakkh Jo Ise Dost Rakkhe.”

[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/372,

2-Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/131,

3-Tabarani Ne Yeh Hadith “Al-Mu’jam-ul-Kabir (05/195, Raqam-5068)” Me Ek Aur Sanad Se Riwayat Kee Hai.

4-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/104,

5-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/157, Raqam-36485,

6-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/166,

7-Ibn Kathir Ne “Al-Bidayah Wa An-Nihayah (04/172)” Me Is Riwayat Kee Sanad Ko Jayyad Aur Rijaal Ko Thiqah Qaraar Diya Hain.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 16

Hadith Number : 16

“‘Atiyyah ‘Awfi Se Riwayat Hai, Woh Kahte Hain Ki Mein Ne Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Puchha : Mera Ek Daamaad Hai Jo Ghadir Khum Ke Din Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Shaan Me Aap Kee Riwayat Se Hadith Bayan Karta Hai. Mein Chaahta Hoo’n Ki Use Aap Se (Baraahe Raast) Sunu. Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha : Aap Ahle Iraq Hain Tumhari Aadatein Tumhein Salaamat Rahein. Pas Mein Ne Kaha Ki Meri Taraf Se Tumhein Ko’i Aziyyat Nahin Pahunchegi. (Us Par) Unhone Kaha : Hum Juhfah Ke Maqaam Par They Ki Zuhr Ke Waqt Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Baazoo Thaamein Hu’e Baahar Tashrif Laa’e. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Aye Logo’n! Kya Tumhein Ilm Nahin Ki Mein Mominin Kee Jaano’n Se Bhi Qarib Tar Hoo’n?” To Unhone Kaha : Kyoo’n Nahin! To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai.” ‘Atiyyah Ne Kaha : Mein Ne Mazeed Puchha : Kya Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yeh Bhi Irshad Farmaya : “Aye Allah! Jo ‘Ali Ko Dost Rakkhe Use Too Dost Rakkh Aur Jo Is (‘Ali) Se Adaawat Rakkhe Us Se Too Adaawat Rakkh?” Zayd Bin Arqam Ne Kaha : Mein Ne Jo Kuchh Suna Tha Woh Tumhein Bayan Kar Diya Hai.”

[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/368,

2-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/586, Raqam-992

3-Nasa’i Ne Yeh Hadith Hazrat Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Khsa’is Amir-ul-Mu’minin ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim (Saf’h,/97, Raqam-92)” Me Alfaaz Ke Ma’mooli Ikhtilaf Ke Saath Riwayat Kee Hai. Us Ke Baare Me Haythami Ne “Majma’-uz-Zwa’id (09/107)” Me Kaha Hai Ki Ise Bazzar Ne Riwayat Kiya Hai Aur Is Ke Rijaal Thiqah Hain.

4-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/195, Raqam-5070,

5-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/165,

6-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/105, Raqam-36343,

7-Maymoon Aboo ‘Abd Allah Bayan Karte Hain Ki Ek Shakhs Ne Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Baare Me Puchha To Unhone Yeh Hadith Mubarak Bayan Kee. Hisam-ud-Deen Hindi Ne Yeh Hadith “Kanz-ul-’Ummal (13/104, 105, Raqam-36342)” Me Bayan Kee Hai.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 17

Hadith Number : 17

“Hazrat Jabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Hum Juhfah Me Ghadir Khum Ke Maqaam Par They, Jab Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Baahar Tashrif Laa’e, Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai.”

[1-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/59, Raqam-12121,

2-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/169, 170, 172,

3-Dhahabi Ne “Siyar A’lam-in-Nubala’ (07/570, 571)” Me Ise ‘Abd Allah Bin Muhammad Bin ‘Aaqil Se Riwayat Karte Hu’e Matan Hadith Ko Mutwateer Qaraar Diya Hai. Riwayat Me Hain Ki ‘Ali Bin Husayn, Muhammad Bin Hanafyyah, Aboo Ja’far Aur ‘Abd Allah Bin Muhammad Bin ‘Aaqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Hazrat Jabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Ghar Par They.

4-Ibn Kathir Ne “Al-Bidayah Wa An-Nihayah (04/173)” Me Likha Hai Ki Hamare Shaikh Dhahabi Ne Is Riwayat Ko Hasan Qaraar Diya Hai.

5-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/137, Raqam-32433.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 18

Hadith Number : 18

“Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Maqame Khum Par Ek Darakht Ke Neeche Khade Hu’e Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakda Huwa Tha. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Irshad Farmaya : “Aye Logo’n! Kya Tum Gawaahi Nahin Dete Ki Allah Tumhara Rabb Hai?” Unhone Kaha : Kyoo’n Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Irshad Farmaya : “Kya Tum Gawaahi Nahin Dete Ki Allah Aur Us Ka Rasool Tumhari Jaano’n Se Bhi Qarib Tar Hain?” Unhone Kaha : Kyoo’n Nahin! Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Yeh (‘Ali) Mawla Hai.”

[1-Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-us-Sunnah,/603, Raqam-1360,

2-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/161, 162,

3-Hisam-ud-Deen Hindi Ne Yeh Hadith “Kanz-ul-’Ummal (13/140, Raqam-36441)” Me Naqal Kee Hai Aur Kaha Hai Ki Ise Ibn Rahwayh, Ibn Jarir, Ibn Abi ‘Asim Aur Mahamili Ne “Amali” Me Riwayat Kiya Hai Aur Ise Sahih Qadaar Diya Hai.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 19

Hadith Number : 19

“Hazrat Hudhayfah Bin Usayd Ghaffari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Aye Logo’n! Mujhe Latif-o-Khabir Zaat Ne Khabar Dee Hai Ki Allah Ne Har Nabi Ko Apne Se Pehle Nabi Kee Nisf ‘Umar Ata Farmayi Aur Mujhe Gumaan Hai Mujhe (Anqarib) Bulaawa Aayega Aur Mein Use Qubool Kar Lunga, Aur Mujh Se (Meri Zimmedariyo’n Ke Mut’alliq) Puchha Jaayega Aur Tum Se Bhi (Mere Mut’alliq) Puchha Jaayega, (Is Baabat) Tum Kya Kahte Ho? Unhone Kaha : Hum Gawaahi Dete Hain Ki Aap Ne Hamein Intihaayi Jidd-o-Jahad Ke Saath Deen Pahunchaaya Aur Bhalaayi Kee Baatein Irshad Farmayi, Allah Ta’ala Aap Ko Jaza-e-Khair Ata Farmaye. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Tum Is Baat Kee Gawaahi Nahin Dete Ki Allah Ki Siwa Ko’i Ma’bood Nahin Aur Muhammad Allah Ke Bande Aur Us Ke Rasool Hai, Jannat Wa Dozakh Haque Hain Aur Mout Aur Mout Ke Baa’d Kee Zindagi Haque Hai, Aur Qiyaamat Ke Aane Me Ko’i Shak Nahin, Aur Allah Ta’ala Ahle Quboor Ko Do-Baara Uthaayega? Sab Ne Jawaab Diya : Kyoo’n Nahin!
Hum Un Sab Kee Gawaahi Dete Hain. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Allah! Too Gawaah Ban Jaa, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Logo’n! Be Shak Allah Mera Mawla Hai Aur Mein Tamaam Mominin Ka Mawla Hoo’n Aur Mein Un Kee Jaano’n Se Qarib Tar Hoo’n. Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Yeh Us Ka Yeh (‘Ali) Mawla Hai. Aye Allah! Jo Ise Dost Rakkhe Too Use Dost Rakkh, Jo Is Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh. “Aye Logo’n! “Mein Tum Se Pehle Jaane Waala Hoo’n Aur Tum Mujhe Hawz Par Miloge, Yeh Hawz Basra Aur San’a’ Ke Darmiyani Faasle Se Bhi Ziyadah Chawda Hai. Is Me Sitaaron Kee Baraabar Chaandi Ke Pyaale Hain, Jab Tum Mere Paas Aawoge Mein Tum Se Do² Intihaayi Aham Chizo’n Ke Mut’alliq Puchhunga, Dekhne Kee Baat Yeh Hai Ki Tum Mere Pichhe Un Dono’n Se Kya Sulook Karte Ho! Pehli Aham Chiz Allah Kee Kitab Hai, Jo Ek Haithiyyat Se Allah Se Ta’alluq Rakhti Hai. Tum Use Mazbooti Se Thaam Lo To Na Gumraah Hoge Na (Haque) Se Munharif, Aur (Doosri Aham Chiz) Meri Itrat Ya’ni Ahle Bayt Hain (Un Ka Daamaam Thaam Lena). Mujhe Latif-o-Khabir Zaat Ne Khabar Dee Hai Ki Be Shak Yeh Dono’n Haque Se Nahin Hatenge Yaha’n Tak Ki Mujhe Hawz Par Milengi.”

[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/180, 181, Raqam-3052,

2-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/67, Raqam-2683,

3-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/166, 167, Raqam-4971,

4-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/164, 165,

5-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 01/188, 189, Raqam-957, 958,

6-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/166, 167,

7-Ibn ‘Asakir Ne “Tarikh Dimashq Al-Kabir (45/169)” Me Hazrat Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Bhi Riwayat Lee Hai.

8-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/463.]