Harfe Aaghaaz
Ahle Ilm-o Sa’adat Ne Apne Apne Daur Kee Zaroorat Aur Taqaazo’n Ke Mutaabiq Logo’n Ke Ilm-o Fikr Aur Aqida Wa Amal Kee Hifaazat Aur Pukhtagi Ke Liye Chhote Bade Majmoo’a Haae Ahaadith Murattab Farmaae. In Majmoo’a Haae Ahadith Me Se Hee Ek Qism “Arba’iyn” Kee Hai Jis Se Muraaf Chaalis Ahaadith Mubaraka Ka Majmoo’a Hai. Shaykh-ul-Islam Doctor Muhammad Tahir-ul-Qadri Madda Zillooh-ul-‘Aali Ka Shumaar Asre Haazir Ke Un Jalil-ul-Qadr Muhaddithin Me Hota Hai Jinhone Daure Jadeed Ke Taqaazo’n Ke Madde Nazar Rakhte Huwe Awaam-o Khaas Dono’n Kee Ilmi Wa Fikri Rehnuma’i Aur Aqida-o Amal Kee Pukhtagi Ke Liye Aslaaf Kee Riwaayaat Ke Mutaabiq Jaha’n “Al-Minhaj-us-Sawi, Hidayat-ul-Ummah Aur Jami’-us-Sunnah” Jaise Nihaayat Mustanad Majmoo’a Haae Ahaadith Murattab Farmaae, Wahi’n Tabligh-o Ishaa’ate Hadith Kee Fazilat Aur Us Se Haasil Hone Waale Dunyawi Wa Ukhrawi Fuyooz-o Barakaat Sametne Ke Liye Ba Soorate Arba’iyn Mukhtasar Majmoo’a Haae Ahaadith Murattab Kar Ne Kee Ilmi Riwaayaat Ko Bhi Aage Badhaaya Taa Ki Wasaa’il Wa Dharaae’ Kee Kami Aur Qillate Waqt Ke Shikaar Log Farmoodaaate Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Mustaneer Ho Saken.
Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Isi Tarah Digar Tamam Ambiya’e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Ka Apne Mazaaraate Mubaaraka Me Jismo’n Ke Saath Zinda Hona, Unhen Rizq Ata Kiya Jaana, Un Ka Namaz Ada Karna, Hajj Ada Karna Aur Ahwaale Ummat Par Muttalo’ Rehna Ek Aisa Amre Qat’iy Hai Jis Ke Baare Me Riwaayaat Tawaatur Kee Hadd Tak Pahonchi Hu’i Hain. Is Amr Ko Tasleem Kar Ne Me Koi Shai Maane’ Nahin Ki Sahaba’e Kiram, Tabe’iyn, Tab’a Tabe’iyn, Soofiya’, Muhaddithin, Mufassirin Aur Fuqaha’ Waghairahum Tamam A’imma’e Mutaqaddemin Wa Muta’akkhirin Ka Isi Aqida Par Ijma’ Hai.
Zere Nazar “Arba’iyn” Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Isi Tarah Digar Tamam Ambiya’e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Apne Mazaaraate Mubaaraka Me Jismo’n Ke Saath Zinda Hone, Unhen Rizq Diye Jaane, Un Ke Namaaz-o Hajj Ada Kar Ne Aur Ahwaale Ummat Par Muttalo’ Rehne Ke Hawaale Se Mustanad Dhakhira’e Hadith Se Chaalis Ahadith Mubaraka Aur Aqwaale A’imma Jam’a Ki’e Ga’e Hain. Zere Nazar Arba’iyn Shaykh-ul-Islam Doctor Muhammad Tahir-ul-Qadri Madda Zillooh-ul-‘Aali Kee Taalif “Al-Azmatu Al-Nabawiyyah Fi Al-Khasa’is-il-Barzakhiyyah” (Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Barzakhi Khasa’ise Mubaraka)” Se Maakhooz Hai, Jis Me Mauzoo’e Zere Bahth Jam’a Kee Ga’i Ahadith Ziyaada Ta’daad Me Hain. Zeez A’imma-o Muhaddithin Kiram Ke Tauzihaat-o Tashrihaat Bhi Bit-Tafsil Darj Kee Ga’i Hain. Jab Ki Arba’iyn Haadha Me Zakhaamat Ke Khaud Se Ahaadith Kee Takhreej Aur A’imma Ke Tauzeehi Wa Tashreehi Aqwaal Kaafi Kam Kar Diye Ga’e Hain.
Allah Ta’ala Se Du’aa Hai Ki Hamen Kamaahaqqahoo, Farmoodaate Nabawi Se Istefaada Karne Aur Raahe Haqq Ko Pehchaan Ne Aur Us Par Bisaat Phir Chalne Kee Taufique Ata Farmaae. (Aameen Bijaahi Syyid-il-Mursaleen SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam)
(Hafiz Zahir Ahmad Al-Isnadi)
Research Scholar, Fareede Millat Research Institute