Posted in Dhibhe 'Azeem

Dhib’he ‘Azeem (Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)

ذبح عظیم

ذبح اسماعیل علیہ السلام سے

ذبح حسین رضی الله تعالى عنہ تک

 

پروفیسر ڈاکٹر محمّد طاہر القادری

 

 


بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ

مَـوْلَاىَ  صَـلِّ   وَ  سَـلِّـمْ  دَآئـِمـًا  اَبَدًا
عَلـىٰ   حَبِيْبِكَ   خَيْـرِ   الْخَلْقِ   كُلِّهـِمٖ

نَبِيُّنَـا   الآمـِرُ   الـنَّـاهِي   فـَلاَ    أَحَدٌ
أَبـَرَّ  فـِي   قـَوْلِ  لاَ  مِـنْـهُ  وَلاَ  نـَعـَمٖ

﴾صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَعَلىٰ آلِهِ وَأَصَحابِهِ وَبَارِكَ وَسَلَّمَ﴿

Posted in Baab-01 : Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam, Dhibhe 'Azeem

Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ

مَـوْلَاىَ  صَـلِّ   وَ  سَـلِّـمْ  دَآئـِمـًا  اَبَدًا
عَلـىٰ   حَبِيْبِكَ   خَيْـرِ   الْخَلْقِ   كُلِّهـِمٖ

نَبِيُّنَـا   الآمـِرُ   الـنَّـاهِي   فـَلاَ    أَحَدٌ
أَبـَرَّ  فـِي   قـَوْلِ  لاَ  مِـنْـهُ  وَلاَ  نـَعـَمٖ

﴾صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَعَلىٰ آلِهِ وَأَصَحابِهِ وَبَارِكَ وَسَلَّمَ﴿

 

 

Baab 01

 

Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam

 

Peshe Lafz

Tamaamtar Ikhtiyaaraat Ko Apni Zaat Me Murtakiz Kar Khuda Ban Ne Ka Junoon Taarikhe Insaani Ke Har Daur Aur Ahd Me Masnade Iqtidar Par Biraajmaan Mutlaq-ul-‘Inaan Baadshaaho’n Ke Zehno’n Me Futoor Par Barpa Karta Raha Hai. Insaani Khopdiyo’n Ke Meenaar Ta’meer Kar Ke Apni Ana Ko Taskeen Dene Ke Us Shaytaani Amal Ne Is Kuraa-E-Arazi Par Shaadaab Mausamo’n Kee Chaandni Bikharne Kee Bajaaye Taarikh Ke Awraaq Par Jabar-o-Istibdaad Kee An Ginat Daastaanein Raqam Kee Hain. Yeh Junoon Aaj Kee Naam Nihaad Muhadhdhab Aur Jamhoori Dunya Me Zulm, Barbariyyat, Darindagi Aur Wahshat Kee Intihaao’n Ko Chhoote Huwe Na Sirf Zinda Hai Balki Poori Quwwat Aur Shiddat Ke Saath Mutaharrik Bhi Hai. Yehi Wajah Hai Ki Apni Tamaam Tar Raushan Khayaali, Science Aur Fanni Irtiqa’ Ke Baa Wajood Insaani Mu’ashare Haywani Mu’asharo’n Ke Qareb-Tar Ho Rahe Hain, Jungale Ka Kanoon Aaj Bhi Kisi Na Kisi Soorat Me Aulaade Aadam Par Musallat Hai, Farq Sirf Itna Hai Ki Ab Yeh Kaare Mazammat, Khushnuma Aur Dil-Fareb Unwaanaat Ke That Jaari Hai. Ab Tausee’ Pasandi Ke Paimaane Badal Gaye Hain, Ab Jismaani Ghulaami Kee Jagah Siyaasi Aur Ma’aashi Ghulaami Ke Naye Naye Andaaz Muta’aarif Ho Rahe Hain. Riyaasati Dehshatgardi Ne Har Cheez Ko Apni Lapet Me Le Rakkha Hai, Aatishe Namrood Se Maidaane Karbala Me Khaandaane Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Khaimo’n Ko Aag Lagaaye Jaane Tak Riyaasati Dehshatgardi Kee An Ginat Mithaalein Bikhri Huwi Hain, Riyaasati Dehshatgardi Jise Umuman Qanooni Aur Aa’ini Tahaffuz Bhi Faraaham Kiya Jaata Hai Hamaare Poore Ahd Kee Pehchaan Ban Gayi Gai, Kehne Ko To Nasli Ta’aassubat Ka Khatima Ho Chuka Hai Lekin Maghrib Samed America Jaise Naam Nihaad Muhadhdhab Aur Jamhoori Mu’aasharo’n Me Gore Aur Kaale Khoon Me Amalan Aaj Bhi Tameez Rawa Rakkhi Jaati Hai.

 

Taarikhe Aalam Shaahid Aadil Hai Ki Haakim Aur Mahkoom Tabaqaat Ke Darmiyaan Sadiyo’n Par Muhit Siyaasi Aur Tabaqaati Kashmakash Dar-Asl Insaan Ke Bunyaadi Huqooq Kee Paamaali Ka Nateeja Hai Aur Yeh Kashmakash Us Waqt Tak Jaari Rahegi Jab Tak Dunya Ibn Aadam Ke Qanoon Aur Huqooq Dene Waale Paighambare Amn Hazrat Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Dehliz Se Apni Ghulaami Ka Rishta Ustuwaar Kar Ke Ufuqe Aalam Par Daa’imi Amn Kee Bashaarato’n Ke Nuzool Ko Yaqeeni Nahin Banaati.

 

Sayyidina Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ne Aatishe Namarood Me Be-Khatar Kood Kar Kalima-E-Haque Kehne Kee Jis Paighambarana Riwaayat Ko Aage Badhaaya Tha Woh Azim Riwaayat Dhib’he Isma’il Se Dhib’he Husayn Tak Taslim-o-Raza Aur Ithaar-o-Qurbaani Kee In Kaa’inaati Saccha’iyo’n Kee Ameen Hai Jin Ke Baghair Tehdhibe Insaani Ke Ijtima’iy Rawyyo’n Kee Har Tafhim Aur Tawjihah Be-Ma’ni Aur Ghair Mu’aththir Ho Kar Rah Jaati Hai Taarikhe Islaam Hurriyyat Fikar Ke Ameen Inhi’n Lamhaate Jaawidaa’n Kee Ayni Shaahid Hai, Iqbal Ne Kya Khoob Kaha Hai :

Gharib Aur Saada Wa Rangi’n Hai Daastaane Haram
Nihaayat    Is   Kee    Husayn    Ibteda    Hai    Isama’il

                   Is Abadi Haqiqat Ke Tarjumaani Par Mabni Iqbal Ka Yeh She’r Hamesha Se Ah-E-Ilm-o-Nazar Ko Mutawajih Karta Raha, Zaroorat Is Baat Kee Thi Ki Hakim-ul-Ummat Ke In Jazbaat Ko Baa-Qaa’idah Ilmi Aur Tehqiqi Qaalib Me Dhaala Jaata So Is Sa’adat Ke Liye Qudrat Ne Mufakkire Islam Professor Doctor Muhammad Tahir-ul-Qadri Kee Zabaane Haqiqat Tarjumaan Ka Intekhaab Kiya. Chunanche Yeh Kitab Aap Ke Mukhtalif Mawa’qe’ Par Kiye Gaye Khutabaat Ka Majmoo’a Hai Jin Me Muhtaram Muhammad Muhammad Taj-ud-Deen Hashimi Shahib Ne Baa’z Zaroori Hawaala Jaat Ka Izaafa Bhi Kar Diya Hai Yoo’n Is Achhoote Mauzoo’ Par Apni Nau’iyyat Kee Pehli Kitaab Aap Ke Hatho’n Me Maujood Hai.
Riyaz Husayn Chaudhri

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/02 Ta 04.]

Posted in Baab-01 : Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam, Dhibhe 'Azeem

Baargaahe Khudaawandi Se Sayyidina Isma’il ‘Alayh-is-Salam Kee Qurbaani Ka Hukm

Fasl Awwal

Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam

 

Baargaahe Khudaawandi Se Sayyidina Isma’il ‘Alayh-is-Salam Kee Qurbaani Ka Hukm

Allah Tabarak Wa Ta’ala Apne Bando’n Kee Duaaein Bhi Qubool Kar Leta Hai Aur Unhein Aazma’ish Me Bhi Daalta Hai. Un Kee Quwwate Imaani Ka Imtihaan Bhi Leta Hai Aur Unhein Arfa’ Wa Aa’li Maqaamaat Par Faa’iz Bhi Karta Hai. Ambiya-E-Kiram Ko Allah Ta’ala Ne Jis Tarah Kaa’enaat Me Sab Se Buland Maraatib Par Faa’iz Farmaya Aur Apne Qurb-o-Wisaal Kee Ne’mato’n Se Nawaaza Usi Tarah Unhein Badi Kathin Manzilo’n Se Bhi Guzarna Pada. Unhein Badi Se Badi Qurbaani Ka Hukm Huwa Lekin Un Ke Maqaame Bandagi Ka Yeh I’jaaz Tha Ki Sare Moo Hukme Rabbi Se Inhiraaf Ya Tasaahul Nahin Barta, Un Kee Itaa’at, Khashiyyat Aur Mahabbat Ka Yahi Me’yaar Tha Ki Unhone Apni Poori Zindagi Aur Us Me Maujooda Juma Ne’mato’n Ko Apne Mawla Kee Raza Ke Liye Waqf Kiye Rakkha, Hatta Ki Aulaad Jaisi Azeez Tareen Mataa’ Ke Qurbaan Karne Ka Hukm Bhi Mila To Saaabit Kar Diya Ki Yeh Bhi Is Kee Raah Par Qurbaan Kee Jaa Sakti Hai. Jumla Ambiya-E-Kiram Apni Shaane Bandagi Me Yakta Aur Be-Misaal They Lekin Silsila-E-Ambiya’ Me Sayyidina Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Kee Daastaane Azimat Bohat Dilchashp Aur Qaabile Rashk Hai. Un Ke Liye Allah Kee Raah Me Bete Ko Qurbaan Karne Ka Hukm Aik Bohat Badi Aazmaa’ish Thi Lekin Sayyidina Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Is Aazmaa’ish Me Poora Utre Kaise ? Qur’an Kee Zubaani Mualahiza Farmaein :

رَبِّ هَبْ لِي مِنَ الصَّالِحِينَ۝ فَبَشَّرْنَاهُ بِغُلَامٍ حَلِيمٍ۝ فَلَمَّا بَلَغَ مَعَهُ السَّعْيَ قَالَ يَا بُنَيَّ إِنِّي أَرَى فِي الْمَنَامِ أَنِّي أَذْبَحُكَ فَانْظُرْ مَاذَا تَرَى قَالَ يَا أَبَتِ افْعَلْ مَا تُؤْمَرُ سَتَجِدُنِي إِنْ شَاءَ اللَّهُ مِنَ الصَّابِرِينَ۝ فَلَمَّا أَسْلَمَا وَتَلَّهُ لِلْجَبِينِ۝ وَنَادَيْنَاهُ أَنْ يَا إِبْرَاهِيمُ ۝ قَدْ صَدَّقْتَ الرُّؤْيَا إِنَّا كَذَلِكَ نَجْزِي الْمُحْسِنِينَ۝ إِنَّ هَذَا لَهُوَ الْبَلَاءُ الْمُبِينُ۝ وَفَدَيْنَاهُ بِذِبْحٍ عَظِيمٍ۝

[الصَّافَّات، ٣٧ : ١٠٠_١٠٧]

“Aye Mere Parwardigaar Mujh Ko Nek Beta Ata Farma.Pas Hum Ne Un Ko Aik Burdbaar Bete Kee Bishaarat Dee. Phir Jab Woh (Isama’il) Un Ke Saath Daudane (Kee Umr) Ko Pahunche Farmaya Aye Mere Bete, Mein Khaab Me Dekhta Hoo’n Ki Mein Tum Ko Dhib’h Kar Raha Hoo’n Pas Tum Bhi Ghaur Kar Lo Ki Tumhaara Kya Khayaal Hai (Isma’il Ne Bila Taraddud) Arz Kiya Aye Abba Jaan (Phir Der Kya Hai) Jo Kuchh Aap Ko Hum Huwa Kar Daaliye (Jaha’n Tak Mera Ta’alluq Hai) Aap InshaAllah Mujhe Sabr Karne Waalo’n Me Paaeinge. Phir Jab Dono’n Ne (Allah Ka) Hukm Maan Liya Aur (Ibrahim Ne) Un Ko Maathe Ke Bal Litaaya. Aur Hum Ne Un Ko Needa Dee Ki Aye Ibrahim (Kya Khoob) Tum Ne Apna Khaab Saccha Kar Dikhaaya, Hum Nekokaaro’n Ko Yoo’n Hee Badla Dete Hain. (Be Shak Baap Ka Bete Ke Dhib’h Ke Liye Tayyar Ho Jaana) Yeh Aik Badi Sareeh Aazma’ish Thi (Hazrat Ibrahim Us Aazma’ish Me Poore Utre) Aur Hum Ne Aik Azim Qurbaani Ko Un Ka Fidya (Bana) Diya.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/06_07.]

Posted in Baab-01 : Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam, Dhibhe 'Azeem

Paikare Taslim-o-Raza

Hazrat Sayyidina Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Allah Rabb-ul-Izzat Ke Jalil-ul-Qadr Paighmbar They Hamaare Aaqa Wa Mawla Hazrat Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Jadde Amjad Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ibtila Wa Aazma’ish Ke An Ginat Maraahil Se Guzre. Safare Hijrat Ikhtiyaar Kiya, Apni Ahliyah Hazrat Haajrah Nanhe Farjande Aarjumand Hazrat Isma’il ‘Alayh-is-Salam Ko Be Aab-o-Giyaah Sahra Me Chhoda. Tablighe Deen Ka Har Raasta Dar Asl Inqilaab Ka Raasta Hai Aur Shaahraah-E-Inqilaab Phoolo’n Kee Sej Nahin Hoti. Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Kee Poori Zindagi Isi Inqilaabi Jidd-o-Jahd Ibaarat Hai.

 

Sayyidina Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Bargahe Khudawandi Me Iltija Karte Hain Ki Baari Ta’ala Mujhe Aik Nek, Saalih Aur Paak Baaz Bete Se Nawaaz, Allah Paak Du’a-E-Ibarahim Ko Sharfe Qubooliyyat Ata Farmata Hain, Barghae Khudawandi Se Unhein Ita’at Guzaar Beta Ata Hota Hai Jin Ka Naam Isma’il Rakkha Jaata Hai. Baap Kee Aankho’n Ka Noor, Aur Us Kee Kee Dereenah Muhabbato’n Aur Chaahato’n Ka Markaz, Hazrat Isama’il ‘Alayh-is-Salam Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Kee Aakhiri Umr Ka Sahaara Bhi They. Baap Aur Bete Ke Darmiyan Is Be Panaah Mahabbat Ko Dekh Kar Allah Rabb-ul-Izzat Ne Irshaad Farmaya Ki Ibrahim! Apne Lakhte Jigar Isma’il Ko Hamaari Raah Me Qurbaan Kar.

 

Ghaur Kiya Jaaye To Yeh Maqaame Hairat Wa Isti’jaab Hai. Allah Ka Paighambar Yeh Achchi Tarah Jaanta Hai Ki Aaj Tak Kisi Insaan Kee Qurbaani Ka Hukm Nahin Diya Gaya, Woh Is Par Let-o-La’l Se Bhi Kaam Le Sakte They Is Ka Qareena Bhi Tha Kyun Ki Yeh Hukm Aap Ko Khaab Me Diya Gaya Tha Lekin Dekhiye Paighambar Ke Imaan Ke Imaan-o-Amal Kee Rif’atein! Unhone Lamha Tawaqquf Kiye Baghair Saara Maajra Apne Bete Isma’il Ko Sunaaya Lekin Unhein Hukm Nahin Diya Balki Un Se Raay Puchhi. Qurbaan Jaaein Us Paighambar Zaade Kee Imaani Azmato’n Par Bhi Jinhone Baap Ke Khaab Ko Allah Ka Hukm Samajhte Huwe Sar Taslime Kham Kar Ke Taarikhe Insaaniyat Me Dhab’h Allah Ka Munfarid I’zaaz Haasil Kiya.

 

Hazrat Sayyidina Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Hazrat Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Mukhaatib Hote Hain Ki Beta! Mein Ne Khaab Me Dekha Hai Ki Tujhe Allah Kee Raah Me Dhib’h Kar Raha Hoo’n. Baap Beta Dono’n Jaante Hain Ki Paighambar Ka Khaab Allah Kee Wah’iy Hota Hai Is Liye Baap Bete Se Puchhta Hai Beta! Bata Teri Kya Raay Hai? Ita’at Guzaar Beta Jawaab Deta Hai Abba Jaan! Aap Apne Rabb Ke Hukm Kee Ta’mil Kijiye Aap Mujhe InshaAllah Sabr Karne Waalo’n Me Paaenge. Qur’an Bataata Hai Ki Sayyidina Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Apne Bete Hazrat Isam’il ‘Alayh-is-Salam Ko Allah Kee Raah Me Qurbaan Karne Ke Liye Oundhe Munh Lita Dete Hai Aur Apne Laadle Bete Ko Dhib’h Karne Ke Liye Chhuri Haath Me Le Lete Hain. Ghaib Se Aawaaz Aati Hai “وَنَادَيْنَاهُ أَنْ يَا إِبْرَاهِيمُ ۝ قَدْ صَدَّقْتَ الرُّؤْيَا إِنَّا كَذَلِكَ نَجْزِي الْمُحْسِنِينَ۝” Ibrahim! Too Ne Apna Khaab Aur Allah Ka Amr Saccha Kar Dikhaaya Hai, Hum Is Tarah Nekefaaro’n Ko Jaza’ Dete Hain, Apne Bete Ko Allah Kee Raah Me Qurbaan Karne Ka Hukm Allah Ke Nabi Kee Bohat Badi Aazmaa’ish Aur Aik Bohat Bada Imtihaan Tha, Hazrat Sayyidina Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Is Bade Naazuk Imtihaan Me Kaamyaab Wa Kaamraan Hai. Aasmaan Se Aik Maindha Aata Hai Aur Hazrat Ibrahim Aur Hazrat Isma’il ‘Alayh-is-Salam Kee Jagah Us Maindhe Ko Dhib’h Karte Hain, Irshaad Hota Hai Ibrahim! Tumhaari Qurbaani Qubool Ho Gayi. Hum Ne Isma’il Kee Dhib’h Ko “Aik Azeem Dhib’h” Ke Saath Fidya Kar Diya. Sayyidina Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Kee Qurbaani Bhi Bargaahe Khudawandi Me Maqbool Wa Manzoor Ho Gayi Aur Un Ke Farzande Arjmand Hazrat Isma’il ‘Alayh-is-Salam Kee Zindagi Bhi Bach Gayi.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/08_09.]

Posted in Baab-01 : Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam, Dhibhe 'Azeem

Hayaate Isma’il ‘Alayh-is-Salam Ko Tahaffuz Kyun Diya Gaya?

                   Ab Zehne Insaani Me Sawaal Paida Hota Hai Ki Agar Hazrat Isma’il ‘Alayh-is-Salam Ko Bachaana Hee Maqsood Tha To Phir Un Ko Allah Kee Raah Me Qurban Karne Ka Hukm Kyun Diya? Aur Agar Hukm Huwa Tha To Un Kee Zindagi Ko Tahaffuz Kyun Diya Gaya. Aakhir Is Kee Wajah Kya Hai? Hukm Is Liye Huwa Ki Saraapa-E-Ithaar Wa Qurbaani Paighmbar Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ke Lakhte Jigar Se Dhib’h Kee Taarikh Kee Ibtida Ho Jaaye Ki Raahe Haque Me Qurbaniya’n Dene Ka Aaghaaz Ambiya’ Kee Sunnat Hai Aur Bacha Is Liye Gaya Ki Us Azeem Paighambar Kee Nasle Paak Me Nabi-E-Aakhir-uz-Zama’n Hazrat Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Wiladate Baa-Sa’adat Hona Thi. Aulade Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Me Tajdare Ka’enat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Tashrif Laana Tha Is Liye Hazrat Isma’il ‘Alayh-is-Salam Kee Dhib’h Ko Jannat Se Laaye Gaye Maindhe Kee Qurbaani Kee Soorat Me “Azeem Dhib’h” Ke Saath Badal Diya Gaya Aur Hazrat Isma’il ‘Alayh-is-Salam Mahfooz Wa Maamoon Rahe.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/09_10.]

Posted in Baab-01 : Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam, Dhibhe 'Azeem

Ta’mieere Ka’bah Se Ka’enat Kee Imamat Tak

Sayyidina Hazrat Isma’il ‘Alayh-is-Salam Sinne Buloghat Ko Pahunche, To Makkah Mu’azzamah Kee Waadi Me Apne Waalid Buzurgwaar Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ke Saath Tashrif Laaye. Allah Rabb-ul-Izzat Kee Taarf  Se Unhein Ka’batullah Kee Ta’meer Ka Hukm Huwa, Yeh Aik Bohat Bada I’zaaz Tha Jo Sarware Ka’enat Huzoor Rahmate Aalam SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Jadde Amjad Ke Hisse Me Aaya. Inhin Kee Nasle Paak Me Mab’ooth Hone Waale Paighambare Aa’zam Wa Aakhir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Hisse Me Yeh Sa’adat Bhi Aayi Ki Ka’batullah Ko Teen Sau Saath Buto’n Se Paak Kar Ke Us Par Parchame Tawheed Lehraaya.

 

Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Kee Hayaate Muqaddasa Par Aik Nazar Daalein To Kaare Nubuwwat Kee Anjaam Dihi Me Unhein An Ginat Masaa’ib Ka Saamna Raha Aur Aazmaa’ish Ke Kathin Maraahil Se Guzarna Pada. Allah Ke Us Azeem Paighambar Ne Raahe Haque Me Aane Waali Un Mushkilaat Ka Khandah Peshaani Se Muqabala Kiya Aur Har Aazma’ish Par Pura Utre. Kamyaabi Ne Qadam Qadam Par Un Ke Qadmo’n Ko Bosa Dene Ka I’zaaz Haasil Kiya Chunanche Qur’ane Hakeem Me Allah Ta’ala Ne Baar Baar Sayyidina Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Kee Daastaane Azeemat Ko Shaandaar Alfaaz Me Duhraaya Hai Soorah Baqarah Me Irshaade Khudawandi Hai :

وَإِذِ ابْتَلَى إِبْرَاهِيمَ رَبُّهُ بِكَلِمَاتٍ فَأَتَمَّهُنَّ قَالَ إِنِّي جَاعِلُكَ لِلنَّاسِ إِمَامًا قَالَ وَمِنْ ذُرِّيَّتِي قَالَ لَا يَنَالُ عَهْدِي الظَّالِمِينَ ۝ وَإِذْ جَعَلْنَا الْبَيْتَ مَثَابَةً لِلنَّاسِ وَأَمْنًا وَاتَّخِذُوا مِنْ مَقَامِ إِبْرَاهِيمَ مُصَلًّى وَعَهِدْنَا إِلَى إِبْرَاهِيمَ وَإِسْمَاعِيلَ أَنْ طَهِّرَا بَيْتِيَ لِلطَّائِفِينَ وَالْعَاكِفِينَ وَالرُّكَّعِ السُّجُودِ ۝ وَإِذْ قَالَ إِبْرَاهِيمُ رَبِّ اجْعَلْ هَذَا بَلَدًا آمِنًا وَارْزُقْ أَهْلَهُ مِنَ الثَّمَرَاتِ مَنْ آمَنَ مِنْهُمْ بِاللَّهِ وَالْيَوْمِ الْآخِرِ قَالَ وَمَنْ كَفَرَ فَأُمَتِّعُهُ قَلِيلًا ثُمَّ أَضْطَرُّهُ إِلَى عَذَابِ النَّارِ وَبِئْسَ الْمَصِيرُ ۝ وَإِذْ يَرْفَعُ إِبْرَاهِيمُ الْقَوَاعِدَ مِنَ الْبَيْتِ وَإِسْمَاعِيلُ رَبَّنَا تَقَبَّلْ مِنَّا إِنَّكَ أَنْتَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ ۝ رَبَّنَا وَاجْعَلْنَا مُسْلِمَيْنِ لَكَ وَمِنْ ذُرِّيَّتِنَا أُمَّةً مُسْلِمَةً لَكَ وَأَرِنَا مَنَاسِكَنَا وَتُبْ عَلَيْنَا إِنَّكَ أَنْتَ التَّوَّابُ الرَّحِيمُ ۝ رَبَّنَا وَابْعَثْ فِيهِمْ رَسُولًا مِنْهُمْ يَتْلُو عَلَيْهِمْ آيَاتِكَ وَيُعَلِّمُهُمُ الْكِتَابَ وَالْحِكْمَةَ وَيُزَكِّيهِمْ إِنَّكَ أَنْتَ الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ۝

[
البقره، ٢ : ١٢٤_١٢٩]

“Aur (Woh Waqt Yaad Karo) Jab Ibrahim Ko Un Ke Rabb Ne Kai Baato’n Me Aazmaaya To Unhone Woh Poori Kar Dee, (Is Par) Allah Ne Farmaya Mein Tumhein Logo’n Ka Peshwa Banaaunga, Unhone Arz Kiya (Kya) Meri Aulaad Me Se Bhi? Irshaad Huwa (Haa’n Magar) Mera Wa’dah Zaalimo’n Ko Nahin Pahunchta. (Aur Yaad Karo) Jab Hum Ne Is Ghar (Khana-E-Ka’bah) Ko Logo’n Ke Liye Rujoo’(Aur Ijtima’) Ka Markaz Aur Jaae Amaan Bana Diya, Aur (Hukm Diya Ki) Ibrahim Ke Khade Hone Kee Jagah Ko Maqaame Namaz Bana Lo, Aur Hum Ne Ibrahim Aur Isama’il Ko Taakeed Farmaayi Ki Mere Ghar Ko Tawaaf  Karne Waalo’n Aur I’tikaf Karne Waalo’n Aur Rukoo’ Wa Sujood Karne Waalo’n Ke Liye Paak (Saaf) Kar Do. Aur Jab Ibrahim Ne Arz Kiya Aye Mere Rabb! Ise Amn Waala Shahr Bana De Aur Is Ke Baashindo’n Ko Tarah Tarah Ke Phalo’n Se Nawaaz (Ya’ni) Un Logo’n Ko Jo Un Me Se Allah Par Aur Yawme Aakhirat Par Imaan Laaye, (Allah Ne) Farmaya Aur Jo Koi Kufr Karega Us Ko Bhi Zindagi Kee Thodi Muddat (Ke Liye) Faa’idah Pahunchaunga Phir Use (Us Kufr Ke Baa’is) Dozakh Kee Azaab Kee Taraf (Jaane Par) Majboor Kar Dunga Aur Woh Bohat Buri Jagah Hai. Aur (Yaad Karo) Jab Ibrahim Aur Isma’il Khana-E-Ka’bah Kee Bunyaadein Utha Rahe They (To Dono’n Du’aa Kar Rahe They) Ki Aye Hamare Rabb! Too Hum Se (Yeh Khidmat) Qubool Farma Le, Be Shak Too Khoob Sun’ne Waala  Khoob Jaan’ne Waala Hai. Aye Hamare Rabb Hum Dono’n Ko Apne Hukm Ke Saamne Jhukne Waala Bana Aur Hamaari Aulaad Se Bhi Aik Ummat Ko Khaas Apna Taabe’ Farmaan Bana, Aur Hamein Hamaari Ibaadat (Aur Hajj Ke) Qawaa’id Bata De Aur Hum Par (Rahmat Wa Maghfirat ) Kee Nazar Farma, Be Shak Too Hee Bohat Tauba Qubool Famaane Waala Maherbaan Hai. Aye Hamaare Rabb, Un Me Inhin Me Se (Woh Aakhiri Aur Barguzidah) Rasool Mab’ooth Farma Jo Un Par Teri Aayatein Tilaawat Farmaaye Aur Unhein Kitaab Wa Hikmat Kee Ta’leem De (Kar Daana-E-Raaz Bana De) Aur Un (Ke Nufoos Wa Quloob) Ko Khoob Paak Saaf Kar De, Be Shak Too Hee Ghaalib Hikmat Waala Hai.”

 

Aazma’ish Ka Marhala Guzar Gaya. Kaamyaabi Ka Noor Sayyidina Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Kee Muqaddas Peshaani Par Chamakne Laga, Us Waqt Paighaame Haque Aaya Ki Ibrahim! Hum Ne Teri Abdiyyat Ko Parkh Liya, Hum Ne Teri Shaane Khalili Ka Imtihaan Le Liya. Hum Ne Dekh Liya Ki Teri Dil Me Hamaari Mahabbat Ke Kitne Samundar Maujzan Hain, Hum Ne Teri Qurbaani Ka Bhi Mushaahidah Kiya, Qadam Qadam Par Tere Sabr-o-Istiqaamat Ko Bhi Dekha. Hum Ne Tere Tawakkul Aur Kalima-E-Shukr Kee Adaa’igi Ka Husn Bhi Dekha. In Tamam Aazma’ish Par Poora Utarne Ke Baa’d Ibrahim! Ab Aik Khushkhabari Bhi Sun Le, Aik Mujhdah Jaan Fiza Bhi Sama’at Kar, Woh Khushkhabari Kya Hai, Woh Mujhdah Jaan Fiza Kya Hai? Woh Khushkhabari Yeh Hai Ki Ibrahim! Mein Tujhe Nasle Bani Aadam Kee Imamat Ata Karta Hoo’n. Poori Insaaniyat Kee Imamat, Tamaam Ummato’n Kee Imamat, Aqwame Aalam Kee Imamat.

 

Allah Ta’ala Ne Farmaya : إِنِّي جَاعِلُكَ لِلنَّاسِ إِمَامًا

Sayyidina Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ne Arz Kiya Baari Ta’ala Yeh Imamat Sirf Mere Liye Hai Ya Meri Dhurriyyat Aur Nasl Ke Liye Bhi? Irshad Huwa : لَا يَنَالُ عَهْدِي الظَّالِمِينَ Ibrahim! Hum Ne Tujhe Bhi Imaamat Dee Aur Yeh Imaamat Teri Dhurriyyat Aur Nasl Ko Bhi Ata Kee, Magar Shart Yeh Hai Ki Yeh Imaamat Us Ka Muqaddar Banegi Jo Tere Naqshe Qadam Par Chalega Jo Siraate Mustaqeem Ko Apnaayega Woh Dunya Kee Imaamat Paayega Lekin Jo Teri Raah Se Munharif Hoga, Imaamat Ka Bhi Haque Daar Na Hoga.

 

Phir Ta’meere Ka’ba Ka Hukm Huwa. Azeem Baap Aur Azeem Beta Ta’meere Ka’ba Me Masroof Ho Gaye Aik Aik Patthar Laate Aur Ka’be Kee Diwaarein Ta’meer Karte. Diwaarein Buland Ho Gayin, Aik Patthar Ata Huwa Jis Par Khade Ho Kar Ta’meer Ka Kaam Ho Raha Tha. Joo’n Joo’n Diwaarein Oonchi Ho Rahi Thi Too’n Too’ n Yeh Patthar Bhi Buland Hota Jaata Aur Sayyidina Hazrat Isma’il ‘Alayh-is-Salam Ta’meere Ka’ba Me Apne Waalide Giraami Kee Mu’awanat Farmaate, Patthar Dhoond Dhoond Kar Laate وَإِذْ يَرْفَعُ إِبْرَاهِيمُ الْقَوَاعِدَ مِنَ الْبَيْتِ وَإِسْمَاعِيلُ Jab Sayyidina Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Aur Sayyidina Isma’il ‘Alayh-is-Salam Ta’meere Ka’ba Me Masroof Hote To Yeh Kalimaat Un Kee Zubaane Aqdas Par Jaari Hote رَبَّنَا تَقَبَّلْ مِنَّا إِنَّكَ أَنْتَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ Mawla! Hum Tere Ghar Kee Ta’meer Kar Rahe Hain Hamaari Yeh Mashaqqat Qubool Farma, Hamaari Is Mazdoori Ko Qubooliyyat Ka Sharaf Ata Kar, رَبَّنَا وَاجْعَلْنَا مُسْلِمَيْنِ لَكَ Ya Baari Ta’ala! Hamaari Jabeenein Tere Huzoor Jhuki Rahein, Hamare Sajdo’n Ko Apni Baargah Me Qubool Farma. وَمِنْ ذُرِّيَّتِنَا أُمَّةً مُسْلِمَةً لَكَ Hamaari Aal Aur Dhurriyyat Me Se Ummate Muslima Paida Kar. Phir Agli Aayat Me Hukm Huwa Tum Ne Aaj Hamaara Ghar Ta’meer Kiya Hai Jo Maangna Hai Maang Lo, Apni Mashaqqat Ka Silah Talab Kar Lo, Baargaahe Khudawandi Me Haath Uth Gaye رَبَّنَا وَابْعَثْ فِيهِمْ رَسُولًا مِنْهُمْ يَتْلُو عَلَيْهِمْ آيَاتِكَ وَيُعَلِّمُهُمُ الْكِتَابَ وَالْحِكْمَةَ وَيُزَكِّيهِمْ إِنَّكَ أَنْتَ الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ۝ Baari Ta’ala Hum Ne Tere Ghar Kee Diwaarein Buland Kee Hain Hum Ne Apni Dhurriyyat Me Se Ummate Muslima Maang Lee Hai. Aye Rahim-o-Karim, Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Se Le Kar Mujh Tak Har Zamaane Me Nabi Aakhir-uz-Zama’n SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Zahoor Ka I’laan Karta Raha Hai, Yeh Silsila-E-Nubuwwat Wa Risaalat Us Muqaddas Hasti Par Ja Kar Khatm Ho Jaayega. Woh Rasoole Mu’azzam SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Jis Kee Khaatir Too Ne Yeh Bazme Kaa’enaat Sajaayi. Kura’-E-Arz Par Hazaarha Ambiya’ Ko Mab’ooth Farmaya Woh Rasoole Aakhir SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Jis Ke Liye Too Ne Millato’n Ko Paida Kiya. Dunya-E-Rang-o-Boo Ko Aaraasta Kiya, Aabshaaro’n Ko Takallum Ka Hunar Bakhsha, Hawaao’n Ko Chalne Kee Khoo Ata Farmaayi. Woh Rasoole Bar Haque Jis Kee Khaatir Too Ne Apna Jalwah Be Naqaab Kiya, Jis Kee Khaatir Too Ne Apni Makhlooqaat Ko Parda-E-Adam Se Wujood Bakhsha, Jis Kee Khaatir Too Ne Insaano’n Ke Liye Hidaayate Aasmaani Ke Silsile Ka Aaghaaz Kiya, Us Rasoole Mu’azzam SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Aur Us Nabi Aakhir-uz-Zama’n SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Is Kaa’inaate Rang-o-Boo Me Zahoor Hone Waala Hai, Baari Ta’ala Ne Farmaya Haa’n Ibrahim Hamaara Woh Mahboob Rasool Aane Waala Hai, Bata Ibrahim! Too Kya Chaahta Hai. Farmaya Rabbe Kaa’enaat! Agar Too Ta’meere Ka’ba Kee Hamein Mazdoori Dena Chaahta Hai, Agar Ta’meele Hukm Me Hamein Too Kuchh Ata Karna Chaahta Hai To Aye Parwardigaar Apne Aakhiri Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Meri Aulaad Me Mab’ooth Hone Ka Sharaf Ata Farma. Meri Dhurriyyat Ko Noore Muhammadi Ke Jalwo’n Se Hamkinaar Kar De, Meri Aulaad Ko Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Qadam Bosi Kee Sa’aadat Bakhsh De, Mawla! Mujhe Apna Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam De De. Irshaad Huwa, Ibrahim Too Ne Teen Chizein

(01) Nubuwwat Wa Risaalat

(02) Khatme Nubuwwat Aur

(03) Ummate Muslima Apni Dhurriyyat Ke Liye Maang Lee Hain, Ibrahim Too Ne Meri Mahabbat Aur Raza Ke Liye Mera Ghar Ta’meer Kiya Hai Aur Du’aa Bhi Woh Maangi Hai Jise Mein Rad Nahin Kar Sakta Is Liye Ibrahim! Jaa Hum Ne Tujhe Teri Mazdoori Ke Sile Me Yeh Teeno’n Chizein Ata Kar Dee.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/10 Ta 16.]

Posted in Baab-01 : Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam, Dhibhe 'Azeem

Patthar Kee Azmat

Riwayat Me Hai Ki Sayyidina Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ne Jis Patthar Par Khade Ho Kar Apni Nasl Me Taajdaare Kaa’enaat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Wialdate Ba-Sa’adat Kee Du’aa Maangi Thi Yeh Wahi Patthar Tha Jis Par Khade Ho Kar Ta’meere Ka’ba Ka Kaam Sar Anjaam Diya Tha. Us Muqaddas Patthar Kee Azmat Par Jaan-o-Dil Nisaar Jis Par Khade Ho Kar Apni Aulaad Me Nabi Aakhir-uz-Zama’n SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Mab’ooth Hone Kee Du’aa Maangi Jaa Rahi Hai. Rabb Ne Kaha Aye Be Jaan Patthar Tujhe Khabar Hai Tujh Par Khade Ho Kar Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ne Hum Se Kyaa Maang Liya Hai Is Lamhe Ko Apne Seene Me Mehfooz Kar Le Yeh Lamha Qubooliyyat Ka Lamha Hai. Is Lamhe Hamaare Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Aamad Ka Zikr Ho Raha Hai. Is Waqt Rasoole Kaa’enaat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Tazkaare Jalila Se Roohe Ka’enaat Mu’attar Hai, Qudrate Khudawandi Se Patthar Mom Ho Gaya Aur Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ke Qadmo’n Ke Nishaan Qiyaamat Tak Ke Liye Us Me Paiwast Ho Gaye.

 

Us Patthar Ka I’zaaz Yeh Tha Ki Us Par Khade Ho Kar Allah Ke Aik Jalil-ul-Qadr Paighmabar Ne Us Ke Mahboob Ka Tazkirah Chhed Diya Tha. Allah Ke Nabi Kee Nisbat Se Woh Patthar Bhi Muhtaram Ho Gaya. Be Shumaar Pattharo’n Par Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ke Qadmo’n Ke Nishaan Lage Honge, An Ginat Pattharo’n Ne Kafe Paae Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ko Bosa Dene Ka I’zaaz Haasil Kiya Hoga Lekin Imtidaad Zamane Ke Saath Woh Nuqoosh Mit’te Gaye, Maah-o-Saal Kee Gird Unhein Apne Daaman Me Chhupaati Rahi Magar Jis Patthar Par Khade Ho Kar Sayyidina Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ne Tuloo’e Sub’h Milaad Kee Du’aa Maangi Thi, Allah Se Us Ke Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Maanga Tha. Kawnayn Kee Daulat Ko Apne Daaman Me Simetne Kee Aarzu Kee Thi Woh Patthar Harame Aqdas Me Maqame Ibrahim Par Qiyamat Tak Ke Liye Mahfooz Kar Diya Gaya.

 

Hum Ne Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Kee Du’aa Qubooliyyat Kee Khil’ate Faakhirah Ata Kee, Aur Jo Patthar Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Kee Du’aa Ka Nishaan Tha Use Sahne Ka’ba Me Qiyamat Tak Ke Liye Mahfooz Kar Diya Aur Baaqi Tamam Patthar Hadoode Ka’ba Se Hata Diye Kyun Ki Ka’ba Meri Sajdahgah Hai. Yeh Meri Tawheed Ka Markaz Hai, Is Ke Samt Munh Kar Ke Ibaadat Kee Jaati Hai Yeh Mehware Haque Hai. Khalqat Ka Mamba’-o-Markaz Hai, Mashriq Se Maghrib Tak Log Mere Ka’be Me Hajj Wa Ibaadat Ke Liye Aaeinge, Haram Kee Zameen Ko Apne Sajdo’n Se Basaaeinge. Yeh Fiza’ Un Ke Naala-E-Neem Shabi Se Ma’moor Hogi. Mein Unhein Yeh Patthar Dikhaunga Jo Du’a-E-Khalil ‘Alayh-is-Salam Kee Yaadgaar Hai Jis Par Khade Ho Kar Us Ne Nabi Aakhir-uz-Zama’n SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Apni Nasl Me Mab’ooth Hone Kee Du’aa Maangi Thi. Aye Harame Ka’ba Tak Aane Waalo! Aye Mere Ghar Kee Ziyaarat Kee Sa’adat Haasil Karne Waalo! Yeh Sadqah Hai Is Patthar Ka Jin Par Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ke Qadmo’n Ke Nishaan Hain Kyun Ki Yeh Du’a-E-Mustafa Ka Naqsh Hai.

 

Hukm Huwa وَاتَّخِذُوا مِنْ مَقَامِ إِبْرَاهِيمَ مُصَلًّى Sawaal Huwa Ki Baari Ta’ala Us Patthar Ko Kaise Mahfooz Karein. Farmaya Is Patthar Ko Ka’be Ke Saamne Gaad Do, Us Waqt Tak Mere Ghar Ka Tawaaf Mukammal Nahin Hoga Jab Tak Tawaaf Karne Waale Us Patthar Ke Saamne Mere Huzoor Sajdah Rez Na Honge Taa Ki Dunya Ko Ma’loom Ho Jaaye Ki Yeh Tamaam In’aamaat Wa Ikraaamaat Sadaqa Hai Is Patthar Ka.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/17_18.]

Posted in Baab-01 : Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam, Dhibhe 'Azeem

Du’aa-E-Khalil Kee Qubooliyyat

Du’aa-E-Khalil Ko Khil’ate Qubooliyyat Ata Huwi, Kawnayn Kee Daulat Sayyidina Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ke Daamane Talab Me Daal Dee Gayi Yeh Du’aa Pehle Paare Ke Aakhir Me Aayi Hai Dusre Paare Ke Shuroo’ Me Is Ka Jawaab Bhi Aa Gaya. Irshade Baari Ta’ala Hai :

كَمَا أَرْسَلْنَا فِيكُمْ رَسُولًا مِنْكُمْ يَتْلُو عَلَيْكُمْ آيَاتِنَا وَيُزَكِّيكُمْ وَيُعَلِّمُكُمُ الْكِتَابَ وَالْحِكْمَةَ وَيُعَلِّمُكُمْ مَا لَمْ تَكُونُوا تَعْلَمُونَ ۝  فَاذْكُرُونِي أَذْكُرْكُمْ وَاشْكُرُوا لِي وَلَا تَكْفُرُونِ ۝ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اسْتَعِينُوا بِالصَّبْرِ وَالصَّلَاةِ إِنَّ اللَّهَ مَعَ الصَّابِرِينَ ۝ وَلَا تَقُولُوا لِمَنْ يُقْتَلُ فِي سَبِيلِ اللَّهِ أَمْوَاتٌ بَلْ أَحْيَاءٌ وَلَكِنْ لَا تَشْعُرُونَ ۝ وَلَنَبْلُوَنَّكُمْ بِشَيْءٍ مِنَ الْخَوْفِ وَالْجُوعِ وَنَقْصٍ مِنَ الْأَمْوَالِ وَالْأَنْفُسِ وَالثَّمَرَاتِ وَبَشِّرِ الصَّابِرِينَ ۝ الَّذِينَ إِذَا أَصَابَتْهُمْ مُصِيبَةٌ قَالُوا إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ ۝ أُولَئِكَ عَلَيْهِمْ صَلَوَاتٌ مِنْ رَبِّهِمْ وَرَحْمَةٌ وَأُولَئِكَ هُمُ الْمُهْتَدُونَ۝

[
البقره، ٢ : ١٥١_١٥٧]

“Isi Tarah Hum Ne Tumhare Andar Tumhin Me Se (Apna) Rasool Bheja Jo Tum Par Hamaari Aayatein Tilaawat Farmata Hai Aur Tumhein (Nafsan Wa Qalban) Paak Saaf Karta Hai Aur Tumhein Kitab Kee Ta’leem Deta Hai Aur Hikmat Wa Daana’i Sikhaata Hai Aur Tumhein Woh (Asraare Ma’rifat Wa Haqiqat) Sikhaata Hai Jo Tum Na Jaante They. So Tum Mujhe Yaad Karo Mein Tumhein Yaad Rakhunga Aure Mera Shukr Ada Kiya Karo Aur Meri Naa Shukri Na Kiya Karo. Aye Imaan Waalo’n Sabr Aur Namaz Ke Zari’e (Mujh Se) Madad Chaaha Karo, Yaqinan Allah Sabr Karne Waalo’n Ke Saath (Hota) Hai. Aur Jo Log Allah Kee Raah Me Maare Jaaein Unhein Mat Kaha Karo Ki Yeh Murdah Hain, (Woh Murdah Nahin) Balki Zinda Hain Lekin Tumhein (Un Kee Zindagi Ka) Shu’oor Nahin. Aur Hum Tumhein Zaroor Bil-Zarool Aazmaaenge Kuchh Khauf Aur Bhook Se Aur Kuchh Maalo’n Aur Jaano’n Aur Phalo’n Ke Nuqshaan Se, Aur (Aye Habib) Aap (Un) Sabr Karne Waalo’n Ko Khushkhabari Suna De’n. Jin Par Koi Musibat Padti Hain To Kehte Hain Be Shak Hum Bhi Allah Hee Ka (Maal) Hain Aur Hum Bhi Us Kee Taraf Palat Kar Jaane Waale Hain. Yahi Woh Log Hain Jin Par Un Kee Rabb Kee Taraf Se Pey Dar Pey Nawaazishein Hain Aur Rahmat Hai, Aur Yahi Log Hidayat Yaafta Hain.”

 

Hazrat Ibrahim Ne Allah Se Qaumo’n Kee Imaamat Ka Sawaal Kiya, Imaamat Kee Do Shaklein Kar Dee Gayi. Kyun Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Saath Nubuwwat Ko Khatm Hona Tha Aur Taajdaare Kaa’enaat Ke Sare Aqdas Par Khatme Nubuwwat Ka Taaj Sajaaya Jana Maqsood Tha Is Liye Imaamat Ke Do Juzw Kar Diye Gaye. Aik Imaamat Se Nubuwwat Aur Dusri Imaamat Se Wilaayat. Hikmat Yeh Thi Ki Jab Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Par Nubuwwat Ka Silsila Khatm Ho Jaata To Phir Faize Nubuwwat Ba-Shakl Imaamat Mere  Nabi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Ummat Ko Milna Shuroo’ Ho Jaaye Yun Soorah Baqarah Aayat 151 Se 157 Tak Du’aa-E-Ibrahim Ka Jawab Hai.

 

Du’aa To Faqat Yeh Thi Ki Mawla! Apna Woh Paighambar, Rasoole Aakhir-uz-Zama’n SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Meri Aal Me Meri Nasl Me Mab’ooth Farma. Allah Rabb-ul-Izzat Ne Jawaab Me Farmaya Ki Do Chizein Ata Karta Hoo’n Aik Nabi Aakhir-uz-Zama’n SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Be’that Aur Phir Shahadat. Farmaya كَمَا أَرْسَلْنَا فِيكُمْ رَسُولًا مِنْكُمْ Aage Is Se Muta’alliq Farmaya يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اسْتَعِينُوا بِالصَّبْرِ وَالصَّلَاةِ إِنَّ اللَّهَ مَعَ الصَّابِرِينَ Aye Waalo! Sabr Aur Namaaz Ke Zari’e Madad Maangna وَلَا تَقُولُوا لِمَنْ يُقْتَلُ فِي سَبِيلِ اللَّهِ أَمْوَاتٌ Jo Allah Kee Raah Me Shaheed Ho’n Unhein Murdah Na Kaho بَلْ أَحْيَاءٌ وَلَكِنْ لَا تَشْعُرُونَ Woh Zinda Hai Lekin Un Kee Zindagi Ka Shu’oor Nahin”

 

Be’thate Muhammadi Aur Shahaadat Ka Baahmi Rabt Mazkoorah Aayaat Me Bade Aham Nikaat Kee Taraf Rehnumaayi Karta Hai. Du’aa-E-Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ke Jawab Me Aik Taraf Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Khatme Nubuwwat Bayaan Kee Jaa Rahi Hai To Dusri Taraf Shahaadat Ka Zikr Hai. Is Wijdaani Aur Irfaani Nukte Kee Wazaahat To Aa’indah Safhaat Me Kee Jaayegi, Taa Hum Yaha’n Sirf Itna Bata Dena Kaafi Hai Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Shaan Khatme Nubuwwat Ke Saath Aap Ko Martaba-E-Shahaadat Par Bhi Faa’iz Karna Maqsood Tha Jis Ka Mazhar Nawasa-E-Rasool Sayyidina Imam Husayn Qaraar Paaye. Yahi Wajah Hai Ki Shahaadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Hee Dhib’he ‘Azeem Samajhte Hain.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/18 Ta 20.]

Posted in Baab-01 : Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam, Dhibhe 'Azeem

Dhib’he ‘Azeem Ka Mafhoom

Hazrat Sayyidina Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Kee Hayate Muqaddasa Me Hazrat Isma’il ‘Alayh-is-Salam Kee Qurbaani Ka Waaqia Aik Aisa Waaqia Hai Jis Kee Wajah Se Unhein Baargaahe Khudawandi Se Sharfe Imaamat Bhi Ata Kiya Gaya. Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Allah Kee Raah Me Apne Bete Ko Qurbaan Karne Ke Liye Khud Bhi Tayyar Ho Gaye They Aur Sa’adat Mand Bete Ne Bhi Hukme Khudawandi Ke Aage Sar Taslime Kham Kar Diya Tha. Baap Bete Ne Taslime Jaa’n Ka Yeh Izhaar Zubaani Kalaami Nahin Kiya Balki Amalan Hukm Kee Baja Aawri Ke Liye Bete Kee Qurbaani Kee Gharaz Se Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ne Apne Haath Me Chhuri Bhi Le Lee Thi. Is Ka Tafseeli Zikr Guzishta Safhaat Me Ho Chuka Hai, Hazrat Isma’il ‘Alayh-is-Salam Kee Zindagi Mahfooz Rahi Ki Un Kee Nasle Paak Se Nabi Aakhir-uz-Zama’n SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Wiladate Baa Sa’adat Hona Thi, Khuda-E-Burzurg-o-Bartar Ne وَفَدَيْنَاهُ بِذِبْحٍ عَظِيمٍ Keh Kar Isama’il Ke Dhib’h Ko Dhib’he ‘Azeem Ka Fidya Qaraar Diya. Farzande Paighambar Kee Qurbaani Hona Be’thate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Khaatir Mauqoof Huwi. Hikmate Khudawandi Yeh Thi Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Baa’d Chunki Koi Nabi Nahin Aayega Is Liye Shahaadat Ke Liye Us Ke Lakhte Jigar Ka Intekhaab Amal Me Aayega Aur Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Ko Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Lakhte Jigar Sayyidina Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Dhib’he ‘Azeem Bana Denge.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/20_21.]

Posted in Baab-01 : Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam, Dhibhe 'Azeem

Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Aur Shahadate Imam Husayn Ka Baahami Ta’alluq

Agar  Shahaadate Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Ta’alluq Dhib’he Isma’il Se Joda Na Jaaye To Baat Mukammal Nahin Hoti, Shahaadat Ka Amal Adhoora Rah Jaata Hai Aur Baat Mukammal Taur Par Samajh Me Nahin Aati. Hazrat Isma’il Kee Qurbaani Ko Sirf “Dhib’h” Ke Lafz Se Zikr Kiya Gaya. Un Kee Jagah Maindhe Kee Qurbaani Huwi To Use “Dhib’he ‘Azeem” Kaha Gaya. Ab Yeh Baat Samajh Me Nahin Aati Ki Maindhe Kee Qurbaani Ko Azeem Aur Paighambar Ke Bete Kee Qurbaani Ko Mahaz Dhib’h Kaha Jaae.  Ab Sawaal Paida Hota Hai Ki Is Dhib’he ‘Azeem Se Muraad Kounsi Qurbaani Hai? Dhib’he ‘Azeem Yaqinan Wahi Qurbaani Hogi Jo Dhib’he Isma’il Se Badi Qurbaani Kee Soorat Me Ada Hogi.

 

Isma’il ‘Alayh-is-Salam Hazrat Sayyidina Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ke Farzand They Jab Ki Sayyidina Hasan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Huzoor Sarware Kawnayn SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Lakhte Jigar Aur Noore Nazar They. Qat’a Nazar Is Ke Liye Nabi Aur Sahaabi Ke Martabe Me Bohat Farq Hota Hai Lekin Nisbate Ibrahimi Se Nisbate Mustafawi Yaqinan Arf’a Wa A’la Hai Ilaawah Azi’n Sayyidina Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Sibte Paighambar Aur Pisare Batool-o-Haydar Hone Ke Saath Saath Nisbate Ibrahimi Bhi Haasil Hai. Neez Shahaadate Imame Husayn Chunki Sirate Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Hee Baab Hai Is Liye Kaa’enaat Kee Isi Munfarid Aur Yakta Qurbaani Ko Hee Dhib’he ‘Azeem Hone Ka Sharaf Haasil Hai. Lihaaza Badi Sadaaqat Ke Saath  Yeh Baat Paaya-E-Suboot Ko Pahunch Gayi Ki Hazrat Isma’il ‘Alayh-is-Salam Kee Qurbaani Ke Zimn Me Jis Dhib’he ‘Azeem Ka Fidya Diya Gaya Woh Aik Maindha Na Tha Balki Lakhte Jigare Musatafa Husayn Ibn Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Kee Qurbaani Thi. Hakim-ul-Ummat Allama Iqbal Ne Is Haqiqat Ko Badi Khoobsoorat She’ri Qaalib Me Dhaala Hai :

Allah  Allah  Baa-E-Bismi  Allah  Pidar
Ma’na-E-Dhib’he ‘Azeem Aamad Pisar


[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/21_22.]