Hazrat Sayyidina Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Allah Rabb-ul-Izzat Ke Jalil-ul-Qadr Paighmbar They Hamaare Aaqa Wa Mawla Hazrat Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Jadde Amjad Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ibtila Wa Aazma’ish Ke An Ginat Maraahil Se Guzre. Safare Hijrat Ikhtiyaar Kiya, Apni Ahliyah Hazrat Haajrah Nanhe Farjande Aarjumand Hazrat Isma’il ‘Alayh-is-Salam Ko Be Aab-o-Giyaah Sahra Me Chhoda. Tablighe Deen Ka Har Raasta Dar Asl Inqilaab Ka Raasta Hai Aur Shaahraah-E-Inqilaab Phoolo’n Kee Sej Nahin Hoti. Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Kee Poori Zindagi Isi Inqilaabi Jidd-o-Jahd Ibaarat Hai.
Sayyidina Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Bargahe Khudawandi Me Iltija Karte Hain Ki Baari Ta’ala Mujhe Aik Nek, Saalih Aur Paak Baaz Bete Se Nawaaz, Allah Paak Du’a-E-Ibarahim Ko Sharfe Qubooliyyat Ata Farmata Hain, Barghae Khudawandi Se Unhein Ita’at Guzaar Beta Ata Hota Hai Jin Ka Naam Isma’il Rakkha Jaata Hai. Baap Kee Aankho’n Ka Noor, Aur Us Kee Kee Dereenah Muhabbato’n Aur Chaahato’n Ka Markaz, Hazrat Isama’il ‘Alayh-is-Salam Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Kee Aakhiri Umr Ka Sahaara Bhi They. Baap Aur Bete Ke Darmiyan Is Be Panaah Mahabbat Ko Dekh Kar Allah Rabb-ul-Izzat Ne Irshaad Farmaya Ki Ibrahim! Apne Lakhte Jigar Isma’il Ko Hamaari Raah Me Qurbaan Kar.
Ghaur Kiya Jaaye To Yeh Maqaame Hairat Wa Isti’jaab Hai. Allah Ka Paighambar Yeh Achchi Tarah Jaanta Hai Ki Aaj Tak Kisi Insaan Kee Qurbaani Ka Hukm Nahin Diya Gaya, Woh Is Par Let-o-La’l Se Bhi Kaam Le Sakte They Is Ka Qareena Bhi Tha Kyun Ki Yeh Hukm Aap Ko Khaab Me Diya Gaya Tha Lekin Dekhiye Paighambar Ke Imaan Ke Imaan-o-Amal Kee Rif’atein! Unhone Lamha Tawaqquf Kiye Baghair Saara Maajra Apne Bete Isma’il Ko Sunaaya Lekin Unhein Hukm Nahin Diya Balki Un Se Raay Puchhi. Qurbaan Jaaein Us Paighambar Zaade Kee Imaani Azmato’n Par Bhi Jinhone Baap Ke Khaab Ko Allah Ka Hukm Samajhte Huwe Sar Taslime Kham Kar Ke Taarikhe Insaaniyat Me Dhab’h Allah Ka Munfarid I’zaaz Haasil Kiya.
Hazrat Sayyidina Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Hazrat Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Mukhaatib Hote Hain Ki Beta! Mein Ne Khaab Me Dekha Hai Ki Tujhe Allah Kee Raah Me Dhib’h Kar Raha Hoo’n. Baap Beta Dono’n Jaante Hain Ki Paighambar Ka Khaab Allah Kee Wah’iy Hota Hai Is Liye Baap Bete Se Puchhta Hai Beta! Bata Teri Kya Raay Hai? Ita’at Guzaar Beta Jawaab Deta Hai Abba Jaan! Aap Apne Rabb Ke Hukm Kee Ta’mil Kijiye Aap Mujhe InshaAllah Sabr Karne Waalo’n Me Paaenge. Qur’an Bataata Hai Ki Sayyidina Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Apne Bete Hazrat Isam’il ‘Alayh-is-Salam Ko Allah Kee Raah Me Qurbaan Karne Ke Liye Oundhe Munh Lita Dete Hai Aur Apne Laadle Bete Ko Dhib’h Karne Ke Liye Chhuri Haath Me Le Lete Hain. Ghaib Se Aawaaz Aati Hai “وَنَادَيْنَاهُ أَنْ يَا إِبْرَاهِيمُ قَدْ صَدَّقْتَ الرُّؤْيَا إِنَّا كَذَلِكَ نَجْزِي الْمُحْسِنِينَ” Ibrahim! Too Ne Apna Khaab Aur Allah Ka Amr Saccha Kar Dikhaaya Hai, Hum Is Tarah Nekefaaro’n Ko Jaza’ Dete Hain, Apne Bete Ko Allah Kee Raah Me Qurbaan Karne Ka Hukm Allah Ke Nabi Kee Bohat Badi Aazmaa’ish Aur Aik Bohat Bada Imtihaan Tha, Hazrat Sayyidina Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Is Bade Naazuk Imtihaan Me Kaamyaab Wa Kaamraan Hai. Aasmaan Se Aik Maindha Aata Hai Aur Hazrat Ibrahim Aur Hazrat Isma’il ‘Alayh-is-Salam Kee Jagah Us Maindhe Ko Dhib’h Karte Hain, Irshaad Hota Hai Ibrahim! Tumhaari Qurbaani Qubool Ho Gayi. Hum Ne Isma’il Kee Dhib’h Ko “Aik Azeem Dhib’h” Ke Saath Fidya Kar Diya. Sayyidina Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Kee Qurbaani Bhi Bargaahe Khudawandi Me Maqbool Wa Manzoor Ho Gayi Aur Un Ke Farzande Arjmand Hazrat Isma’il ‘Alayh-is-Salam Kee Zindagi Bhi Bach Gayi.
–
[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/08_09.]